Update:- 107
Serin uske gala pakad kar thoda upar ki aur uske honth ko chumti hui kahne lagi… "Tum pahli najar se achhe lagte ho, lekin tumhari harkton se utni hi nafrat hai. Kal sharp 8 baje taiyar rahna, hum safar par chal rahe hain.. jao ab so jao aur apni dukan kisi bhadosemand ko dete jana, kyonki ab tumhara lautna kabhi-kabhi hoga..
HuYu, Serin ko teji se palat kar niche karte uske honth par honth rakh'kar chuma aur kahne laga… "Subah 8 baje….". Aur apni baat kahne ke baad fir se ek baar chum'kar wahan se chala gaya.. Usse jate dekh Serin muskura rahi thi aur HuYu ke iss kadak andaj ke bare me hi soch rahi thi. Aaj se pahle kisi ne uske samne itni himmat nahi dikhayi thi…
Subah 7.30 baje hi Nischal aur Jivisha viman me pahunch chuke the. Thodi der baad HuYu aur Serin bhi hanste huye viman ke ore chale aa rahe the…. "Baby, tumhe tumhare jija shayad mil gaye"..
Nischal HuYu ko gaur se dekhte… "Kaun ye.. iski to band main abhi bajata hun"..
Jivisha:- Aisa kya.. waise kaise bhai ko bahan ki khushi dekhi nahi jati kya.. main to dono ko jab pahli baar dekhi thi, tabhi purvanuman ho gaya tha…
Nischal:- Pahle kyon nahi batayi…
Jivihsa:- Tum hi to kahte ho purvanuman ek feeling hai jo vastavik ho bhi sakti hai aur nahi bhi..
Nischal:- Kitni badi jhuthi ho… main aisa kyon kahne laga. Mujhe to pata hai ki purvanuman ek feeling hai, jo tumhe kuch achha ya bura hone ka sanket deta hai.. apni kahani mujh par mat lado..
Jivisha:- Huhhh ! Tumne hi kaha tha, tabhi to mujhe sab yaad hai…
Nischal:- Jhuthi kahin ki.. tum 2 minute shant raho.. dono aa gaye hain…
Nischal, HuYu ko aakhen dikhate… "Tum kyon aaye ho yahan HuYu"..
Serin:- Mere sath aaya hai.. ye mujhe chahta hai.. aur yahan mera viswas jitne aaya hai..
Jivisha:- Dekh'kar to lagta nahi ki dono ke bich viswas jitne ya haarne jaisi koi kahani hai… tum to isse bahut pahle se chahti ho..
Nischal:- Mujhe HuYu pasand nahi..
Serin:- Tumne pahle se ek ko pasand kar rakha hai Nischal aur jise pasand kiya hai wo bilkul mast hai… tumhe pasand nahi karna hai.. mujhe pasand karna hai. Apna dhyan bhabhi par lagao…
Nischal, Jivisha ke ore dekhte huye…. "Sab samjh raha hun Serin ye nautanki aur hajir jawabi kiske sangati ka natija hai. Lekin isse sath safar par kyon le kar aa gayi.. bekar me iski jaan ko khatre me dalna…
Serin:- Chinta mat karo, jaan bachane ki kala me ye bahut mahir hai.. aakhir shatir chor jo thehra..
HuYu:- Chor kah'kar kyon bejjati kar rahi ho. Mujhe kalakar kahte hain… Maine logon ke kadi suraksha ke bich unke anmol chijen churaya jaroor hun, lekin unke malik ko badle me kimat de deta hun, ya nahi mane to main saman wapas kar deta hun… 2 sal aur 3 mahine se Serin ka wo pendent tha mere pass, kisi ko becha kya maine..
Nischal:- Gadhe fir chori karne ki kya jaroorat hai..
HuYu:- Apne apne shauk hain. I love challenges. Jab koi apni chij kadi suraksha ke bich rakh'kar sukoon se sota hai, tab uski nind haram karne ka maza hi kuch aur hai. Waise main Serin ke pendent me koi intrest nahi rakhta tha… Main to Huwayu jane ka plan kar raha tha uss waqt..
Serin:- Huwayu kyon ….. apne naam ka matlab dhundne Huwayu jate kya?
Jivisha:- Main ja rahi hun mujhe kuch bhi samjh me nahi aa raha, kaun kahan ja raha hai..
Serin:- Bhabhi Huwayu suraj ke gole ka sabse najdiki grah hai, jahan jana hi maut hai…
Jivisha:- Kya baat kar rahi ho, maine ek movie me dekhi hai wo grah.. lagta nahi tha ki koi aisi bhi jagah hogi. Film me sab kalpnik hi laga tha, abhi pata chal raha hai aisi bhi koi jagah hai.. Suno ji main bhi chalungi wahan… mujhe bhi jwalamukhi wala grah dekhna hai..
Nischal:- Ek pagal apne sath kam thi Serin, jo tum isse bhi le aayi..
Jivisha:- Huhhhh ! Main pagal hun… juban kuch jyada lambi nahi ho rahi hai..
Serin:- Had hai, dono kitna aapas me bahas karte ho.. iski baat to sun lo kyon ja raha tha…
HuYu:- Dekho ye sahi hai mere bapu ne mera naam ussi grah ke naam par rakha tha. Mere bapu ne mera naam Huwayu ke prem me rakha tha, jiska karan tha wahan paya jane wala ek nayab dhatu, jisko pane ki chahat ab bhi unke man me hai. Huwayu par lagbhag 40 lakh varsh purv ke kuch nayab dhatu rakhe hain..
Serin:- Kis tarah ke dhatu hai..
HuYu:- "Puri detail to mere bapu ko bhi pata nahi, lekin uss dhatu ka ek 1/2 mm ka tukda mila tha unhe… wo prithvi par paye jane wale chandi ke dhatu jaisa tha bilkul.. bus fark itna tha ki wo chandi ke mukable kafi halka hota hai. Ek tarah ka friendly dhatu kah lo, jiske gun kafi rochak hain."
"Chunki Huwayu atyant garam jagah hai, lekin agar sarir par wo dhatu ho to, wo dhatu body need ke hisab se heat ko bahar reflect kar'ke, ander normal temprature banaye rakhta hai.. uske alawa wo dhatu jis surface par rakha ho, raushni uss surface ke aar paar ho jayegi...."
Serin:- Matlab uss ke istamal se koi bhi adrishya ho sakta hai..
Jivisha:- Mister India ki tarah..
Nischal:- Nahi gaya na wo Huwayu, fir band karo discussion..
Jivisha:- Ye fir se wapas akdu hua ja rahe hai… HuYu tumhe jana chahiye tha wahan… kyon nahi gaye..
HuYu:- Ussk waqt market me dhindhora pit gaya tha. Har jagah kewal Serin ke pendent ki charcha hone lagi.. aur mera pura focus divert ho gaya… Sath me ek aur sach ye bhi hai ki, mujhme itni capacity nahi ki ek aisa viman bana sakun jo suraj ke najdik ka temprature jhel sake… isliye wahan ka khyal dil se nikal'kar Serin ke pendent churane par focus karne laga…
Nischal:- Iska matlab yah hua ki tum Serin ko kisi tarah raji karne aaye ho, ki wo tumhare liye aisi technology developed kare, jo tumhare Huwayu tak ke safar ko aasan bana de. Aur apne swarth par chahat ki chasni laga kar Serin ke samne pesh kar diye…
Serin:- Oh uparwale… HuYu itna bada game mere sath..
Jivisha:- Kamal ka conclusion hai baby.. muh khologe to gandh hi failaoge, tumhe HuYu nahi pasand isliye koi bhi conclusion mat nikalo..
Serin:- Nana bhabhi .. Nischal ka aakalan sahi hai...
HuYu:- Chor hun bewakoof nahi jo chahat ki chasni me apna swarth pados dun… Main challenge apne dum par accept karta hun aur single hand pura kaam hota hai. Pahle chahat jagao, fir ek marmik kahani banao aur kuch salon ki fielding ke baad apni mansa me kamyab ho… itna lamba intzar mujh se nahi hoga…
Serin:- HuYu tum please itne lambe-lambe bhasan na diya karo, main bore ho jati hun… chhodo in sab baton ko Surpmarich par concentrate karen..
HuYu, hairani se sabko dekhte huye… "Tum log kiske pichhe ja rahe ho"..
Nischal:- Tum itne hairan kyon ho HuYu.. kya jante ho tum Surpmarich ke bare me…
HuYu:- Ek mangadhant kahani hai ye Surpmarich, jiska koi astitwa nahi hai… khud ko sabse taktwar aur prakriti ke barabar man'ne wala ek prani…
Nischal:- Bus sath chalte raho, yah bhi tay ho jayega ki kahani mangadhant hai, ya hum sab sach ke pichhe hain.
HuYu:- Mere sath chalo aur kuch mere pasand ki dhatu do..… aur ek bhatti. Mujhe ek khanjar banana hai.
"Chatakkk".. ek jordar thappad…. "Kya lana hai wo batao, yahan kahin koi chij hum jakar nahi late"… Jivisha HuYu ko ek thappad lagati hui kahne lagi…
HuYu:- Mujhe to bus ek khanjar banana hai… aur mera apna bag chahiye…
Jivisha:- Computer ji iska bag aur humare pass jitne bhi dhatu hai uske kuch samples le aaeye…
Computer:- Arre yaar khud bhi chal fir liya karo.. kitna achha to wo sath chalne ki baat kar raha tha..
Jivisha:- Be serious abhi kaam ka waqt hai..
Computer:- Lo ab ye bhi serious ho rahi hai…
Nischal:- Bus bhi karo computer ko counter karna Jisa.. abhi kaam dekhte hai na...
Jivisha:- Computer ji iska muh band kar do.. aaj iski khabar main akele me leti hun... Jab dekho tab ye mujhe tok rahe hai..
Serin:- Chup karo dono… kyon pagal bana rahe ho… ek dum chup…
Jabtak Serin dono par gussa ho rahi thi, HuYu ka bag aur tarah-tarah ke dhatu bhi wahan pahunch gaye…
HuYu:- Nah mujhe maza nahi aaya… computer ji yahan ke dhatu section me mujhe le chaliye aur ye saman bhi wahin shift kar dijiye…
Nischal:- Mujhe ek baat sanjh me nahi aa rahi.. ye achanak se mere dhatu bhandar me kyon jana chahta hai..
Serin:- Acess control do usse aur jo kar raha hai usse karne do na.. har baat me swal karna jaroori hai.. usse kar lene do apna, hum apne kaam par focus karen..
Nischal Serin ki baat maan'kar usse control de diya aur uske wahan se jate hi…. "Serin sab thik to hai na"..
Serin:- Kya hua aise kyon puchh rahe ho..
Nischal:- Nahi HuYu ka behaviour ajib hai aur main kuch samjhta uss se pahle hi tumne usse bhej diya. Jabki computer ka acess control usse hum de sakte hai ya nahi uss par main soch raha tha..
Serin:- Kuch bhabhi se bhi sikh lo… bhabhi bhi chahti thi ki wo apne kaam me lag jaye, taki hum apni ran'niti tay kar le.. dhatu le'kar khanjar hi banana chahta hai… bana lene do.. kaun sa wo kahin bhag raha hai… jab hum se alag hoga to sara saman wasool lenge.. ..
Jivisha:- Jo ki hone se raha, wo alag hone ke irade se to nahi hi aaya hai.... kabhi-kabhi Nischal over karne lagte hain Serin…
Nischal:- Hmmm ! Sorry, main utni gahrai se nahi soch paya. Waise Tum kya sach me HuYu ko pasand karti ho.
Serin:- Achha lagta hai wo mujhe… pure himmat ke sath mujh se ek mauka manga aur main mana nahi kar payi…
Nischal:- Chalo thik hai, koi baat nahi. Waise mujhe bhi achha lagta hai wo. Kam se kam usse pata to hai ki wo kya aur kyon kar raha hai.
Ek bade yudh ke ore agrsar ho rahe the teeno. Pahle se kuch bhi tay kar pana muskil tha, isliye apni ran'niti tay karke teeno ek achhi nind le chuke the. Subah jab aankh khuli prithvi ke orbit ke bilkul najdik the…
Jivisha mithi angrai leti hui jagi aur fresh ho'kar control room ke pass wale hall me pahunchi. Nischal pahle se wahan taiyar hokar kitchen me tha. Subah ki surwat ek mithi chumban se hui, fir dono hi nasta banane me lag gaye..
Nischal:- Aakhri ladai… kya tum taiyar ho..
Jivisha:- Jahan tum wahan main, har khatre ke liye taiyar hun main..
Ek aakhri mukam, ek aakhri kadi.. Jahan se in sab ki shurwat hui thi. Jiske pass wo shaya Nischal ko pahunchana chahti thi, jab wo Sapna ke mirt dimag me ghusa tha..
Apne path par chale the dono aur kadiyon ko jodte-jodte yahan tak pahunche the.. jiski sabse aham kari thi Vish Nilayani ki wo pustak, jise Nischal aur Jivisha ne Alfas grih me padha tha aur tab gyaan hua tha ki aage ka safar tay kar'ke, majil kahan aakhri hai.…