• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Sci-FI Zindagi (Meri Kahani)

Forever Away

New Member
55
51
18
So readers kal update dena tha lekin abhi de raha hn kiun k kal mein busy hn pura din so update abhi de raha hn us k baad saturday ko update aaye ga
 
Forever Away

New Member
55
51
18
Update-2

Ladka: Hahahahahahahahaha Mein wapis aa gya mein zinda hn zinda, ab Duniya mera Inteqaam deikhey gi hahahahahahahahaha.

Who ladka langrata hua gadi k pass aaya aur driver ne gadi kholi ladka agli seat pe beitha Ladkiyan pehley hi dari hui theen us ladkey k yeh krney pe bhi dari theen lekin jesay hi us ladki jo London se aaye thi us ki nazer ladkey k sir pe gai tou wahan se khoon beh raha tha us ne apney dupattey us k pass ho k us k sir pe bandhney lagi k Ladkey ne peechay ki traf deikha.

Ladki: Who aap k sir se khoon beh raha hai.

Ladki ne yeh dartey huey kaha tha jis pe ladkey ne apney sir pe hath rakha aur usey deikha tou us k hath pe khoon laga hua tha.

Ladka: Ghabrao nai ab mujhey kch nai honey wala mein bilkul theek hn Mobile dena mujhey call krni hai.

Ladkey k yeh kehney pe jo us k sath gaun se aayee thi us ne apna Mobile dia aur Ladkey ne ek number milaya kch hi bell janey k baad doosri traf se call pick hui.

Doosri traf se: Kon bol raha hai.

Ladka: HAQSAAHU.

Doosri traf se: Bhai bhai kahan ho aap, aap theek ho na, mujhey maloom tha k aap Zinda ho kch nai hua aap ko aap jaldi se batao mein abhi aata hn aap k pass.

Ladkey: Mein theek hn chotey tu aesa kr Ch Inayat k ghar pounch.

Doosri traf se: Mein jald se jald pounchta hn bhai.

Ladkey ne Driver ko wahan se nikalney ko kaha 30 min main who haveli main they jab gadi haveli pounchi tou Ch aur us ki bivi bahir lawn main preshan beithey they lekin jesay hi unho ne gadi deikhi tou khush ho gaey Ladki jo London se aayee thi who gadi se nikal k bhaag k apni maa se ja k galey mili aur wohi 8 saal baad milney ki wajah se roney lagey.

Ladka bhi bahir nikla aur chal dia un k pass Ladkey ki halat deikh k tou Ch bhi herat zada tha k kia hua hai jo itna time laga aur Ladkey k sir se khoon bhi nikla hai.

Ladka: Lijeay Ch Inayat aap ki amanat sahi salamat le k aaya hn.

Ch: Tumhey mera naam kesay maloom yahan tuk k gaun walon ko bhi nai pata k mera naam kia hai.

Ch Inayat jo pehley hi preshan tha usey kch samjh nai aa rahi thi k itna time kiun laga uper se Ladkey k kapron pe itna zyada khoon aur sir pe bhi sukha hua khoon laga tha uper se apna naam sun k jo k 3 se 4 logon k elawa kisi ko nai maloom es liey us ne preshan ho k Ladkey se poucha lekin ladkey ne koi jawab nai dia aur ja k chair pe beith gya abhi koi kch kehta k bahir gadiyon aur horn ka shor aaney laga aur thodi deir k baad takreeban 50 k kareeb bndey ghar main aaye.

Ch Inayat: Arey Faisal tum jahan itney dinon k baad kheriat.

Faisal: Bhai kahan hn.

Ab Ch Inayat kch bol pata k wahan ek awaz goonzi.

Ladka: HAQSAAHU.

Yahan Faisal khush ho k Ladkey k pass chala gya aur zameen pe beith k us ka hath pakad lia aur usey choomney laga waheen Ch Inayat ek baar phr se aankhein badi kiey sa us Ladkey ko deikhney laga kiun k es lafz se who achi trhah se waqif tha.

Ladka: Abhi mujhey chalna ho ga Ch abhi itna time nai k mein tumharey kisi sawal ka jawab de sakun filhal mujhey who bnda chaiey jis ki wajah aaj mein yahan es halat main hn.

Faisal: Bhai hum aap ko dhoondney main lagey huey they jis wajah se yeh dimagh se hi nikal gya lekin ab aap aa gaey ho na ab who zyada din nai shup sakta.

Ladka: Kursi pe kon hai.

Faisal: Waleed.

Ladka: Matlab usi ne yeh kaam krwaya hai usi se maloom parey ga k kis ne meri mukhbari ki thi.

Ch Inayat: Phr kab aao gey Fazal.

Fazal: Bht jald bht jald aaun ga filhal yeh kaam nipta loon.

Ch Inayat: Theek hai.

Fazal, Faisal aur us k aadmi wahan se nikley bahir aaye tou Fazal ne Faisal se chabi li aur driver seat pe beith gya sath main Faisal bhi tha Fazal ne gadi chalaani shuru ki aur Baba k ghar ki traf chal dia thodi hi deir main pounch gya Faisal yahan gadi rukney se heran hua k yahan gadi kiun rok di Fazal ne.

Faisal: Bhai yahan kiun roki humein tou ghar jana hai na.

Fazal: Yahan kaam hai mujhey.

Faisal: Yahan kon rehta hai.

Fazal: Jin ki wajah se mein zinda hn.

Fazal ander gya tou ander baba aur Gudiya preshan bbeithey they jesay hi un ki nazer Fazal pe pari Gudiya tou bhaag k us k pass gai aur usey galey se laga lia aur roney lagi Baba bhi ab tention free they lekin abhi bhi preshan they k merey sir pe khoon kiun laga hua hai.

Baba: Beta tum theek tou ho na.

Fazal: G baba mein theek hn aur mujhey sab yaad aa gya hai.

Fazal ki baat sun k yahan Gudiya ne aur zor se Fazal ko galey se laga lia waheen Baba ko bhi maloom ho gya k kia hua hai.

Gudiya: Nai mein aap ko kaheen nai janey doon gi.

Gudiya ne yeh rotey huey kaha tha who ghabra gai thi k ab Fazal usey shod k chala jaey ga us ka koi bhai nai tha jab se Fazal aaya tha usey bhai ka pyaar mila tha es 1 saal main jitna pyaar usey Fazal se bhai k roop main mila tha utna kabhi nai mila es liey ab who Fazal se door nai jana chahti thi.

Fazal: Kis ne kaha mein apni Gudiya ko shod k jaa raha hn mein bhi tujh se bht pyaar krta hn terey bagheir mein bhi nai reh paun ga.

Gudiya: Mein aap k sath jaun gi.

Fazal: Theek hai lekin mujhey kch kehna hai baba shaid aap ko maloom perh gya ho ga k mein kon hn kiun k yahan pe bhi merey kissey mashoor hn kia aap sachayee jaan k bhi merey sath chalna chahtey hn ya nai.

Baba: Tumhari sachayee mein pehley din se janta tha kiun k us waqt tum lambi darhi aur lambey baal main nai they mein tumhari asliyat janta tha phr bhi tumhari madad ki kiun k tum burey nai ho haan halat ne bura bana dia hai who alag baat hai lekin mein yeh ghar zameenein shod k kesay jaun.

Fazal: Aap us ki fiker na krein.

Fazal ne Ch Inayat ko phone kia aur usey bata dia k jis ghar who mujhey milney aaya tha us ghar ki aur zameenon ki deikh bhal karey sab kaam ho janey k baad who wahan se nikal parey.

Jinho ne Ch Inayat ki betion pe hamla kia tha aur jo bach k bhaag gaey they un main se ek darr k marey ek farmhouse main gya aur wahan pe mojud guards usey achi trhah se jantey they esi liey unho ne usey janey dia who ander gya yahan hall main kch log beithey they.

Boss: Haan maar dala Ch ki betion ko?

Aadmi: Boss boss wh who who zinda hai boss who mara nai hai who humein maar de ga.

Boss: Kis ki baat kr raha hai mein sawal kia kr raha hn tu kis ki baat raha hai MC.

Boss ne yeh gussay main kaha tha.

Aadmi: Fazal, Fazal Zinda hai.

Yeh naam suntey hi sab k sab apni jagah se khadey ho gaey aur ek pal ko yeh naam sun k hi un ka jism kamp sa gya tha un k galey khushk ho gaey they zuban ko tala sa lag gya tha koi kch bol hi nai raha tha.

Boss: Tu ne usey deikha apni aankhon se.

Boss ne yeh badi hi himmat juta k kaha tha.

Aadmi: Boss us ki lambi darhi thi aur lambey baal they wohi tha un ladkion k sath us ne tou Haris ko bhi maar dia wesay hi jesay Fazal marta hai.

Boss: Ager who Fazal hai tou tu kesay zinda bach gya who apna shikaar hath se nai janey deta tou tujhey kesay janey dia.

Yeh keh k Boss ne usey goli maar di sab apni jagah pe beith chukey they un main se kisi ne apna muh khola.

Aadmi: Kaheen yeh sach tou nai.

Boss: Ch Fazal ka hi bnda hai usey maloom hai k Fazal ka khouf her jagah hai us k merney k baad bhi, usi ka faida uthaya ho ga us ne kisi aur se yeh kaam krwa k jesay Fazal marta hai wesay hi us ne maara ho ga aur kch nai hai Fazal mar chuka hai.

Fazal ki gadi us k ghar k bahir ruki ghar nai mehal kehna sahi ho ga Gudiya mehal deikh k hi excited lag rahi thi jesay hi gadi ruki Fazal k sath sath baqi bhi bahir nikley Gudiya bhaag k Fazal k pass gai.

Gudiya: Bhaiya kia yeh aap ka ghar hai.

Gudiya ne yeh bht hi exited aur khush hotey huey kahi thi jis pe Fazal bhi muskura utha.

Fazal: Nai yeh meri Gudiya ka mehal hai.

Gudiya yeh suntey hi Mehal k ander ki traf bhaagney lagi baqi sab bhi chaltey huey ander aa gaey baba bhi aaj Gudiya ka itna khush honey khush they sab hall main aa k beith gaey Gudiya kabhi es kamrey main tou kabhi doosrey kamrey main bhaag k ja rahi thi.

Fazal: Gudiya idher aao beta.

Gudiya Fazal k pass aa gai aur Fazal ne usey apney sath hi sofey pe bitha lia.

Fazal: Pehley khana khaen gey us k baad jo bhi kamra aap ko pasand aaye who aap ka theek hai.

Gudiya: G bhaiya.

Khana khaney k baad baba aur Gudiya apney apney kamrey main chaley gaey Fazal aur Faisal hall main beithey they aur baatein k rahey they.

Faisal: Tou ab kia bhai.

Fazal: Filhaal mujhey abhi hospital jana hai sir main goli hai usey nikalna hai werna phr se koi nayee musibat na per jaey.

Faisal: Theek hai bhai mein Saima ko Hospital bulwata hn aur aadmi bhi ready krta hn phr chaltey hn.

Faisal ne sab se pehley Saima ko call ki.

Saima: Haan Faisal.

Faisal: Kahan ho es waqt.

Saima: Mein ghar hn kiun kheiriat.

Faisal: Jaldi se hospital pounch phr btata hn aur haan OT tyaar rakheen operate krna hai tujhey.

Saima: Theek hai mein 30 min main pounchti hn.

Faisal: Bhai Saima hospital k liey nikal rahi hai hum bhi chalna chaiey.

Fazal: Haan chalo.

Us k baad Fazal aur Faisal bahir aaye gadi main beithey aur nikal parey Hospital k liey un k peechay 20 ghadiyan bhi theen jin main bndon k pass latest machine gun aur Asla tha kch hi time main yeh pounch gaey Fazal aur Faisal gadi se bahir nikley.

Faisal: Sab k sab Hospital main pheil jao jaldi.

Fazal aur Faisal k sath aaye sab k sab hathyaar sameit Hospital k ander chaley gaey aur us k baad Fasial aur Fazal bhi ander janey lagey Hospital ka staaf Faisal ko deikh usey salam kr raha tha yeh dono chaltey huey Saima k cabin k bahir khadey they dono ander gaey Saima Faisal k sath kisi ajnabi ko deikh k shocked ho gai.

Saima: Yeh tumharey sath kon hai Faisal.

Faisal: Mein bahir khada hn bhai aap apni problem bta dein.

Saima: Kon bhai? Faisal kon hai yeh.

Faisal kch boley bina hi bahir chala gya jubkeh Fazal muskura k Saima ko deikh raha tha Saima apney samney khadey shaksh ko deikh k kisi gehri soch main thi k isey janti bhi hai k nai.

Saima: Kon ho tum.

Fazal: Yeh mein hn Sammo.

Abhi jo Fazal ne kaha yeh sun k ek pal k liey Saima ki dhadkan hi ruk gai who aankhein badi kiey Fazal ko deikh rahi thi k cheikh maar k us ne Fazal ko galey se laga lia aur roney lagi Fazal ne bhi usey roney dia kch deir k baad Fazal ne Saima ko khud se alag kia aur usey chup krwaya.

Saima: Kahan chaley gaey they tum pata hai mera kia haal hua tha us waqt jab mujhey tumharey marney ki khaber milli thi kahan kahan nai dhoondha tumhey hum ne.

Fazal: Unho ne mujhey maar hi dia tha Sammo per mein bach gya meri yaaddast chali gai aaj hi wapis aaye hai aur deikho tumharey samney hn.

Saima: Suker hai tum sahi salamat ho acha ab yeh btao yahan kiun aana hua ager tumhey milna hi hota tou merey ghar aa jatey.

Fazal: Mujhey sir main goli lagi thi jis ki wajah se meri yaaddast gai ab who mujhey merey sir main hilti hui mehsoos hoti hai who nikalni hai.

Saima ne jaldi se Fazal k sir ka x-ray krwaya aur usey le k OT chali gai wahan Fazal ka operation hua Goli nikal di gai us k baad Fazal ko ICU shift kr dia gya who abhi behosh tha subhah ho chuki thi jab Fazal ko hosh aaya tou us k samney Gudiya beithi thi Fazal ne Faisal ki traf deikha.

Faisal: Bhai subhah se yeh puch rahi thi k bhaiya kahan hn tou isey btana para es ne zid ki k isey aap k pass aana hai tou le k aana para.

Gudiya: Bhaiya ab aap kesay hn kia hua tha aap ko.

Fazal: Kch nai Gudiya who merey sir main goli thi usey nikala hai operation kr k.

Ek din baad Fazal ko discharged kr dia gya 1 mahina laga Fazal ko doobara se routine k kaam krney main es beech kisi ko kaano kaan khaber hi nai hui k Fazal wapis aa gya hai kiun k us ka huliya hi aesa tha k who pehchanney main hi nai aa raha tha.

Fazal: Chotey aaj apna hulya theek krna hai kiun k ab sab ko maloom hona chaiey k mein wapis aa gya hn.

Faisal: G bhai mein ghar pe hi Barber ko bulwa leta hn Barber aaya Fazal ne kandhey tuk hi baal katwayee aur darhi hi choti kerwayee ab Pehchan main aa raha tha k yeh Fazal hai Fazal naha dho k tyaar hua aur apney kaprey pehney aur bahir aaaya.

Fazal: Gudiya mein zara bahir ja raha hn aap ghar pe hi raho mein thodi deir main aata hn.

Gudiya: G bhaiya.

Fazal aur Faisal bahir aaye aur gadi main beith k rawana huey peechay un k sath ab 30 k lagbhag gadiyan theen Fazal speed se ja raha tha Faisal ko bhi andaza ho gya tha k Fazal kahan ja raha hai who bhi ab exited tha us ne apni gun nikal li thi aur reload bhi kr li thi apni manzil pe pounch k gadi roki aur bahir nikley.

Fazal: Jo apney hn un ko sheidna nai hai jo dushman hn un ko shodna nai hai lekin mujhey Waleed zinda chaiey.

Faisal: G bhai.

Yeh keh k Faisal apney logon k sath us building main chala gya Fazal ne ek cigret lagai aur aahista aahista ander jana laga jab Building k ander janey laga usey starting main hi bandon ki laashein milni shuru ho gaen aur jo zinda they who Fazal ko deikh k khush ho gaey aur jhuk k salam krney lagey udher Faisal apney bndon k sath main office main pounch gya tha aur Waleed k uper pistol taan k rahi thi aur jo sath main beithey they us k sir pe bhi pistol taani hui thi.

Waleed: Yeh kia kr rahey ho Faisal jantey bhi ho es ka prinaam kia ho ga yeh maloom hai tumhey .

Faisal: Samney deikh Sheir aa raha hai.

Waleed ne main door pe deikha tou wahan se Fazal Cigret k dhonwey udata hua kamrey main aaya jisey deikh k Waleed ki dhadkaney hi bnd ho gaen theen jesay who aankhein phaad phaad k Fazal ko deikh raha tha jo k ab us k samney tha Waleed itna khoufzada ho gya tha k apni kursi se uth gya aur side ho gya Fazal muskurata hua us Kursi pe beith gya.
 
Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,065
188

Awesome update bhai super
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,860
17,982
189
Nice update bro
 
Top