• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Superb fantastic awesome update

Bhai, naqaabposh Ins. Dushyant ka dhyaan Avinash se hatane ke liye Vidhi par hamla kiya hai.main yahi kahna chahta tha.:love2:
Bahut bahut shukriya 23n24 bhai aapki is khubsurat pratikriya ke liye,,,,,:hug:

Ohh chaliye achhi baat hai,,,,:dost:
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
BEGUNAAH
Update - 15


Ab Tak,,,,,,

"Aree suno to." Dushyant ekdam se hadbada gaya. Usne to bas mazaak me kaha tha, bola______"Main to ye baat bas mazaak me kah raha tha yaar. Tum bhi to meri kitna khichaayi karti ho. Kya maine uske liye bura mana.?"
"Aanshu mat bahaao." Vidhi ne palat kar kaha_____"Kapde change karne ja rahi hu. Main bhi tumhare sath hi chalugi. Rondu kahi ke....huh."

Vidhi ne ye kaha aur fir pair patakte huye upar apne kamre ki taraf chali gayi. Jabki uski is baat par dushyant muskuraye bina nahi rah saka tha. Khair vidhi ke jane ke baad usne vikrant ko phone lagaya aur usse waha ki information li aur fir use kuch zaruri baate bata kar phone rakh diya. Uske zahen me ek hi baat chal rahi thi ki aaj apni dhamki ke anusaar naqaab wala avinash ko uski baat na maanne ke liye jaan se maarne aayega. Kya wo sach me apni dhamki ko pura karne aayega.? Kya sach me wo avinash ko jaan se maarne ki koshish karega ya fir ye uski kori dhamki hi bas thi..?


Ab Aage,,,,,

"Itni badi baat tumne hamse chhupa kar rakhi officer." DCP manjrekar ne apne saamne baithe inspector dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Aakhir kyo officer.? Aaj agar baat had se zyada na badh gayi hoti to aage bhi tum hame is baat se bekhabar hi rakhne wale the."

"I'm sorry sir." Dushyant ne kaha_____"Lekin is baat ko aapse na batane ke peeche do hi vahaj thi. Ek to ye ki avinash ka maamla koi file me darz case nahi tha. Balki main to insaaniyat ke taur par uski help kar raha tha ki use apne bare me pata chal jaye aur ye bhi ki koi uske sath kis vajah se aisa kar raha hai. Dusri vajah ye thi ki mujhe laga tha ki ye maamla is had tak jayega hi nahi. Magar baat badhte badhte aur bhi badhti chali gayi. Avinash ke maamle me sabse zyada sochne wali baat yahi hai ki uske bare me hame ab tak kuch bhi nahi pata chal saka. Ek to uski momery loss hai is vajah se wo apne bare me kuch nahi bata sakta, dusre uske finger prints ke adhaar par bhi uske bare me kuch pata nahi chal raha. Yaha tak ki news channels ke maadhyam se bhi kuch haasil nahi hua. Hamare paas ab ek yahi raasta hai ki ham uske liye jaal banaye taaki jab wo dubara avinash ke sath kuch bhi karne aaye to wo pakda jaye. Uske pakde jane par hi pata chalega ki aakhir ye maamla kya hai aur kyo hai.?"

"Waise to tumne is sabke bare me hamse chhupa kar achha nahi kiya hai officer." Dcp manjrekar ne kaha______"Magar kyo ki tum hamare department ke bahut hi kaabil officer ho is liye ham is baat ke liye tumhe maaf karte hain. Khair ab ye bataao ki is maamle me tum hamse kya chaahte ho.?"

"Jaisa ki main aapko bata chuka hu sir." Inspector dushyant ne kaha______"Ki pichhli raat us naqaab wale ne miss vidhi ke ghar me ghusne ki koshish ki thi. Halaaki usne khidki ka sheesha todne ke alawa koi aur nuksaan nahi kiya tha magar uski us harkat se saaf ho gaya tha ki usne inke ghar me ja kar sirf isi liye inhe daraya ki wo mujhe indirectly warn kar sake. Jisse ki main uske aur avinash ke beech na aau warna wo vidhi ke sath koi aisi waisi harkat is liye kar sakta hai kyo ki vidhi meri dost hai. Ab aisa to hoga nahi sir ki main us naqaab wale ki aisi kisi dhamki se dar kar uske raaste se hat jaauga. Is liye jab main aisa nahi karuga to yakeenan wo tilmilayega aur fir koi shakht kadam uthayega. Main nahi chaahta ki uski vajah se avinash ya miss vidhi par kisi tarah ki koi musibat aa jaye. Is liye main chaahta hu sir ki in dono ki security ke liye mujhe kuch aise special police wale chahiye jinhone khaas tarah ke kaamo ki training li ho."

Dcp manjrekar ne dushyant ki baat sunne ke baad dushyant ke bagal wali chair par baithi vidhi ki taraf dekha. Vidhi ke ghar se nikalne ke baad inspector dushyant apne sath hi use le kar dcp ke paas aa gaya tha. Ab wo apne alla adhikari se is maamle ko chhupana nahi chaahta tha balki unhe is sabke bare me bata kar unse help lena chaahta tha.

"Theek hai officer." Dcp ne kaha______"Ham aise kuch special police walo ko bhejne ke liye baat karte hain. Tum baaki ki security ka dhyaan rakhna."
"Oh thank you sir." Dushyant kahne ke sath hi chair se khada ho gaya aur fir dcp ko salute bajane ke baad wo vidhi ko le kar cabin se baahar chala gaya.

"To ab kya karna hai.?" Raaste me vidhi ne dushyant ki taraf dekhte huye pucha.
"Wahi jo tumne suggestion diya tha." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Mere flat me itni jagah hai nahi is liye avinash ko tumhare yaha shift kar duga aur main khud bhi yahi rahuga. Jab tak avinash ka wo dushman yaani ki naqaab posh pakda nahi jata tab tak tumhare ghar me security shakht rahegi."

"Wo to thik hai janaab." Vidhi ne kaha______"Magar kya tumhe lagta hai ki wo naqaab wala itni security ke rahte ghar ke andar ghusne ki koshish karega.?"
"Maanta to main bhi hu." Dushyant ne kaha_____"Ki itni security ke rahte huye wo ghar ke andar ghusne jaisi moorkhta nahi karega magar ye bhi pakki baat hai ki wo security dekh kar peechhe bhi nahi hatega. Wo avinash tak pahuchne ke liye kuch na kuch to zarur karega aur hame uske dwara wahi kuch karne ka intzaar rahega."

"Waise aksar aisa dekha gaya hai." Vidhi ne kaha_____"Ki aise kaam karne walo ke kayi saare sources hote hain. Mera matlab hai ki unke taar police aur kanoon tak bhi pahuche huye hote hain. Jinse unhe madad milti hai. To kya tum uske bare me aisa soch sakte ho ki uska koi madad karne wala police ka koi aadmi bhi ho sakta hai.?"

"Kahna kya chaahti ho tum.?" Dushyant na-samajhne wale bhaav se puchha.
"Yahi ki vikrant rane ke bare me kya khayaal hai tumhara.?" Vidhi ne saaf aur ispast lahje se kaha_____"Kya wo us naqaab wale ka sathi ho sakta hai.?"

"Ye tum kya bol rahi ho vidhi.?" Dushyant buri tarah chaunka tha uski baat se fir bola____"Vikrant rane ek imaandar police wala hai. Uske bare me mujhe mere alla adhikariyo ne sab kuch bataya hai. Tum soch bhi kaise sakti ho ki vikrant rane us naqaab wale ka sathi hoga.?"

"Tum ek police wale ho janaab." Vidhi ne muskurate huye kaha_____"Aur tumhe har kisi par shak karna chahiye. Aksar aisa hota hai ki jo jaisa nazar aata hai wo waisa hota nahi hai. Waise sochne wali baat to hai hi ki vikrant rane tabhi yaha transfer ho ke aaya jab avinash ke maamle me kuch hota nazar aaya. Jabki vikrant rane iske pahle bhi to yaha aa sakta tha. Dusri baat usne itne kam time me avinash ka sara maamla hi apne under me le liya hai. Kya tumhe uski ye baat thodi ajeeb nahi lagi.?"

"Tumhe to yaar sach me police me hona chahiye tha." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Mujhe zara bhi ummid nahi thi ki tum is sabke bare me aisa kuch soch sakti ho."
"Abhi maine kaha tha na." Vidhi ne kaha_____"Ki jo jaisa nazar aata hai wo waisa hota nahi hai. Tum maano ya na maano magar mujhe tumhare us vikrant rane par shak hai."

"Kya sirf is liye ki usne itne kam time me avinash ka sara maamla apne under me le liya hai.?" Vikrant ne kaha_____"Jab ki sach to ye hai ki maine khud use is maamle ko apne under me rakhne ko kaha tha."
"Kya main puch sakti hu ki tumne aisa kyo kiya.?" Vidhi ne kaha______"Jab ki shuru se hi tum avinash ke maamle ko apne haath me liye huye the. Ab aisa kya ho gaya hai ki vikrant rane ke aate hi tumne uske under me sab kuch saump diya.?"

"Uski sirf ek hi vajah hai vidhi." Dushyant ne zara jhijhakte huye kaha______"Aur wo ye ki main zyada se zyada tumhare sath time spend karna chaahta tha. Tumhe bata hi chuka tha ki mere dil me tumhare liye kya tha. Ye alag baat hai ki baad me ham dono ek achhe dost ban gaye magar jo cheez dil me hai use nikaal dena mere bas me bhi to nahi hai."

Inspector dushyant ki in baato se vidhi kuch na boli, bas khamoshi se uski taraf dekhti rah gayi. Uske chehre par pal bhar me kayi tarah ke bhaav ubharte nazar aaye. Uski khamoshi dekh kar dushyant ko bechaini si huyi aur uska dil bhi zoro se dhadakne laga tha.

"Dekho tum naraaz na hona yaar." Fir usne baat ko samhaalne ki garaz se kaha_____"Mere dil me bhale hi chaahe jo bhi ho magar main iske liye tum par kabhi koi dabaav nahi daaluga. Ham sirf dost hain."

"Ok fine." Vidhi ne bhaav heen swar me kaha______"To avinash ke maamle ko vikrant ke supurd karne ke pichhe tumhari ye vajah thi.?"
"Haan." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Main jaanta hu ki avinash ke maamle ko mujhe kisi aur ke supurd nahi karna chahiye tha magar iska matlab ye bhi nahi hai ki main uske maamle ko ignore kar raha hu. Balki sach to ye hai ki main is maamle ki har pal ki khabar rakhta hu."

"Khabar rakhni bhi chahiye." Vidhi ne kaha_____"Lekin sirf avinash aur naqaab wale ke maamle ki hi nahi balki apne us vikrant rane ki bhi."
"Oh god tum abhi bhi us par shak kar rahi ho.?" Dushyant ne hairaani se vidhi ki taraf dekha.
"Kya karu janaab." Vidhi ne muskurate huye kaha______"Ek police wale ki dost hu. Is liye kuch to asar hoga hi mujh par."

Vidhi ki is baat par dushyant muskuraya to zarur magar man hi man bola_____'Ek police wale ki dost ki jagah agar police wale ki jaane bahaar kah deti to kya chala jata tumhara.?'

Kuch hi der me dushyant ki police gipsy vidhi ke ghar ke saamne ruki. Dushyant ne dekha ki ghar ke baahar kayi saare police wale maujood hain. Vikrant rane use kahi nazar nahi aaya. Shayad ghar ke andar hoga avinash ke sath, aisa usne socha. Khair gipsy ke rukte hi dono niche utre. Dushyant ko dekhte hi waha maujood police walo ne use salute kiya. Dushyant ne un sabke salute ka jawaab sir ko halka sa kham karke diya aur fir ek police wale se vikrant ke bare me puchha to usne bataya ki wo avinash ko le kar aa rahe hain.

Us police wale ki is baat par dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi. Use yaad aaya ki raaste me usne vikrant se phone par baat ki thi. Tab vikrant ne usse kaha tha ki wo avinash ko le kar vidhi ke ghar aa jayega aur wahi usse milega. Magar wo ab tak nahi pahucha tha. Dushyant ne mobile nikaal kar vikrant ko call kiya. Ring jane ki awaaz uske kaano me padi magar call receive nahi huyi balki puri bell jane ke baad call cut ho gayi. Dushyant ne kayi baar call kiya magar udhar se vikrant ne call receive nahi ki. Ye dekh kar dushyant ke chehre par pareshani ke bhaav ubhar aaye.

"Kya hua.?" Vidhi jo uske paas hi khadi thi usne dushyant ko achanak hi pareshan hote dekh puchha.
"Vikrant phone nahi utha raha." Dushyant ne kaha_____"Use to hamse pahle hi avinash ko le kar yaha aa jana chahiye tha magar nahi aaya aur ab phone bhi nahi utha raha. Abhi kuch der pahle hi to usse baat huyi thi meri. Kahi uske aur avinash ke sath kuch...!"

"Ho sakta hai." Vidhi uski baat puri hone se pahle hi bol padi_____"Agar wo yaha hamse pahle nahi pahucha to yakeenan koi baat hai."
"Oh god." Dushyant ke mano mastishk me ekdam se jaise jhanaka sa hua, bola_____"Kahi raaste me us naqaab wale ne to nahi unke sath kuch kar diya.? Yakeenan aisa ho sakta hai."

Kahne ke sath hi dushyant badi tezi se apni gipsy ki taraf bhaga. Use is tarah bhaagte dekh vidhi bhi uske peeche bhaagi. Dushyant gipsy me baith chuka tha aur vidhi ko apni taraf aate dekha to usne use yahi rukne ko kaha aur fir gipsy ko start kar wo badi tezi se gipsy ko ek taraf dauda diya. Abhi dushyant kuch hi door gaya tha ki tabhi uska phone baja. Usne drive karte huye hi mobile par aa rahi call ko receive kar ke use kaan se lagaya to udhar se jo kuch uske kaan me kaha gaya use sun kar inspector dushyant ka dimaag hang ho gaya aur haath paanv thande pad gaye.

<>•<>•<>

Inspector dushyant se phone par baat karne ke baad vikrant dushyant ke flat se avinash ko le kar nikla tha. Ek dusri police ki jeep me usne apne sath hi avinash ko baitha liya tha aur jeep ke peeche chaar police wale bhi baith gaye the. Vikrant ki jeep ke peeche ek aur police ki jeep thi jisme kuch police wale the aur vikrant wali jeep ki security ke liye piche piche chal rahe the.

Flat se nikalne ke baad paanch minute tak sab kuch theek thaak hi tha. Sadak ke ek taraf boundary wall thi aur uske peeche kuch doori par makaan bane huye the jabki dusri taraf sadak ke kinaare kinaare bade bade pedh the. Is wakt sadak par zyada aawa jaahi nahi thi. Is taraf ka raasta aisa hi rahta tha magar vikrant ya dusre police walo ko yaha par kisi anhoni ke hone ki zara bhi ummid nahi thi.

Sadak par dono police ki jeepe araam se chal rahi thi ki tabhi saamne se ek truck aata hua dikha. Sadak itni to chaudi thi ki saamne se aata hua truck bade araam se apni side par se nikal sakta tha. Samne se aata hua truck jab kuch paas aaya to uske peeche ek aur truck aata hua dikha. Vikrant ki jeep ke bagal se aage wala truck bade araam se nikal gaya aur uske nikalne ke baad uske peeche wala truck jab vikrant ki jeep ke paas aaya to usne achanak hi jeep ko side se takkar maar di. Parinaamswaroop vikrant ki jeep lahra gayi aur sadak ke kinaare par bane cemented naali par jeep ka aage wala ek pahiya ghus gaya. Vikrant ne bahut samhaalne ki koshish ki thi magar use zara bhi ummid nahi thi saamne se aate huye truck ke peeche wala truck achanak se uski jeep me takkar maar dega. Jeep ka pahiya naali me bade veg se ghusa tha aur fir nateeja ye nikla ki jeep side se palat'ti chali gayi. Uske baad kya hua ye dekhne ke liye jeep me kisi ki bhi na aakhe khuli rah saki thi aur na hi kisi ko hosh rah gaya tha.

Sadak par huye is haadse ki awaaz sadak ke dusri taraf kuch doori par bane makaano ke andar tak pahuch gayi thi. Nateeja ye nikla ki kuch hi der me kayi saare log ghatna isthal par pahuch gaye. Logo ne sadak par do police ki jeepo ko aage pichhe kuch faasle par naali ke paas palti huyi haalat me dekha to sab ke sab thage se rah gaye the. Fir kisi ne is baat ki khabar thaane me ki to kuch hi der me waga par do moter sycle me kuch police wale aaye.

Sadak par ulti padi jeepo ko dekh kar police walo ki rooh kaamp gayi thi. Unme se ek ne apne mobile se jaldi hi ambulance ko phone lagaya aur uske baad inspector dushyant ko phone kar ke maamle ki suchna di.

Watawaran me maut jaisa sannata chhaya hua tha. Halaaki kuch doori par khade log aapas me khusur fusur kar rahe the. Ghatna isthal par aaye police walo ne dono jeepo ke paas ja kar dekha. Jeep ke palat jane se kuch police wale jeep se baahar nikal kar kuch doori par lahu luhaan pade the. Sub inspector vikrant apne bagal se left side avinash ke upar ludhka pada tha. Uski police ki wardi jagah jagah khoon se sani huyi thi. Yahi haal peeche wali jeep ka bhi tha. Jeep me aaya koi bhi shakhs hosh me nahi tha. Kisi ke sir me chot lagi thi to kisi ka hath toot gaya tha. Accident agar zyada gambheer nahi tha to maamuli bhi nahi tha.

Abhi wo ye sab dekh hi rahe the ki inspector dushyant apni gipsy se waha pahucha. Uske peeche hi ambulance ki do gaadiya bhi aa gayi. Aanan faanan me sabhi ko ambulance me dala gaya aur fir sabko fauran hi city hospital ilaaj ke liye le jaya gaya. Inspector dushyant ne ghatna isthal ka baariki se muaayna kiya aur fir waha kuch hi doori par khade logo se is waardaat ke bare me puchhtaanch karne laga.

Logo se puchtaanch me ye baat saamne aayi ki unhone yaha se do trucko ko jate dekha tha. Mumkin hai un truck walo ne hi is haadse ko anjaam diya hoga. Dushyant to samajh chuka tha ki ye kaam us naqaab wale ka hi hai magar wo logo se ye pata karne ki koshish kar raha tha ki kya kisi ne truck ke andar baithe driver ka chehra dekha tha ya kisi ne un trucko ko police jeepo par takkar maarte dekha tha.? Is sawaal ka jawaab logo ne yahi diya ki unme se kisi ne bhi truck driver ka chehra nahi dekha magar haan kuch logo ne truck ka rang roop aur number zarur note kar liya tha.

Dushyant ko ummid thi ki truck ki name plate farzi hi hogi fir bhi usne un trucko ke number ke adhaar par un do trucko ki khoj shuru kar di. Is kaam me dushyant ko zyada pareshani nahi huyi kyo ki use wo dono truck aadhe km ki doori par hi ek mod par khade mil gaye the. Dushyant ne truck ke andar dekha to paya ki truck ke andar koi nahi hai. Use samajhne me der na lagi ki truck chaalak waardaat ko anjaam de kar badi safaayi se nikal gaya hai. RTO se pata chala ki truck me lagi number plates farzi hain. Kahne ka matlab ye ki inspector dushyant ko un trucko se koi saboot ya koi suraag haath nahi lag saka.

Inspector dushyant thak haar kar truck se niche utar hi raha tha ki tabhi use kuch dikha. Truck ke driving gate ke kinare laal rang ka dhabba dikha use. Thik se dekhne par pata chala ki wo dhabba asal me khoon hai. Dushyant ke zahen me khayaal ubhra. Truck ke is gate par kiska khoon ho sakta hai.? Kya is truck me naqaab wala tha ya uska koi sathi.? Khoon taza tha, matlab kuch hi der pahle ka hai. Mumkin hai ki jalbaazi me utarte wakt yaha par shareer ka koi bhaag zor se laga hoga jisse ki us bhaag par cut laga aur gate par khoon lag gaya.

Inspector dushyant ne dono trucko se finger prints lene ke liye finger prints aur forensic walo ko phone kar ke bulaya. Phone karne ke baad dushyant trucko ke aas paas zameen ka muaayna karne laga. Pakki sadak thi is liye kisi ke foot prints milna asaan nahi tha fir bhi dushyant badi bareeki se aas paas dekh raha tha. Is taraf abaadi kam thi fir bhi dushyant ka anumaan tha ki kisi ne to kuch dekha hoga. Ye soch kar dushyant us makaan ki taraf badha jo baaki makaan se zyada paas me tha. Kuch hi der me wo us makaan ke darwaze par pahucha aur darwaze ko thapthapaya.

Darwaza ek atharah unnees saal ki ladki ne khola. Darwaze ke baahar ek police wale ko dekh kar ladki ke chehre par ghabrahat ke bhaav ubhre. Dushyant ne usse puchha ki usne thodi der pahle yaha se kuch logo ko bhaagte dekha hai kya.? Dushyant ke is sawaal par ladki ne kuch pal socha aur fir haan me sir hilaya. Dushyant ke puchne par ladki ne bataya ki usne ek aadmi ko dekha hai bhaagte huye. Wo makaan ke andar kitchen me thi aur kitchen ke saamne wali khidki se usne ek aadmi ko dekha hai.

Us ladki ke anusaar aadmi ek hi tha aur gunda jaisa lagta tha. Halaaki usne thik se uska chehra nahi dekha tha magar wo bhaag aise raha tha jaise uske peeche saikdo bhoot lage ho. Ladki ki baat sun kar dushyant soch me pad gaya ki ladki ne ek hi aadmi ko kaise dekha.? Jabki uske anusaar kayi aadmi hone chahiye the. Do truck the to do aadmi to zarur hone chahiye the. Ladki se puchtaanch karne ke baad dushyant waapas trucko ke paas aa gaya. Uske man me khayaal aaya ki ho sakta hai ki wo log ek sath ek taraf na bhaage ho yaani alag alag disha me bhaage ho taaki asaani se kisi ki nazar me na aaye ya pahchaane na jaye. Agar aisa tha to yakeenan unhone pahle se hi sab kuch plan kar ke rakha tha.

Finger prints aur forensic walo ke aane ke baad dushyant gipsy se hospital chala gaya. Is haadse ne use hila ke rakh diya tha. Use zara bhi ummid nahi thi ki naqaab wala itna jaldi aisa kar guzrega. Matlab saaf tha ki wo dushyant aur vikrant dono ki gatividhi par nazar rakhe huye tha. Use achhi tarah pata tha ki dushyant ke flat ke andar jana khatre se khaali nahi hoga is liye usne avinash ko baahar hi target karne ka soch liya tha.

Hospital me dushyant doctor se mila aur usse sabka haal chaal puchha jis par doctor ne bataya ki jaan to kisi ki bhi nahi gayi magar sab ke sab gambheer roop se ghayal zarur huye hain. Agar jeep kayi baar paltiya kha jati to kisi na kisi ki maut pakki thi. Halaaki ye bhi unki achhi kismat ki hi baat thi jo is accident me sab ke sab jaan se bach gaye hain. Doctor se baat karne ke baad dushyant vikrant se milne gaya to dekha wo hosh me aa chuka tha. Uske sir par aur haatho me kayi jagah pattiya lagi huyi thi. Dushyant ko dekhte hi uske hotho par feeki si muskaan ubhar aayi. Uske baad usne larajte swar me bas itna hi kaha ki sorry sir. Jawaab me dushyant ne bhi koi baat nahi kaha aur fir uska haal chaal puchhne ke baad usi hall me dusri taraf ek bed par pade avinash ki taraf gaya.

Avinash ka haal vikrant se zyada bura tha. Uske sir me to patti bandhi hi thi magar chehre par bhi kafi chot dikh rahi thi jis par marham patti lagi huyi thi, sath hi baye hath me plaster chadha hua tha. Doctor ne bataya tha ki uska baya hath toot gaya tha. Avinash apni aankhe band kiye leta hua tha. Dushyant ne usse kuch bhi puchna sahi nahi samjha aur uth kar baaki police walo ko dekhne laga. Uske baad wo waapas doctor ke paas aaya aur usse sabke discharge karne ke bare me baat karne laga.

Us wakt chaar baj rahe the jab dushyant avinash ko liye vidhi ke ghar pahucha. Usne phone par vidhi se is haadse ke bare me bata diya tha. Haadse ki baat sun kar vidhi ko bhi jhatka laga tha. Khair vidhi ke ghar aate hi dushyant ne avinash ko ek kamre me shift kar diya. Dushyant ne vikrant ko apne flat me rahne ko bol diya tha aur khud vidhi ke ghar me rahne ka bol diya tha usse.

Inspector dushyant soch raha tha ki kaha wo avinash aur vidhi ki security ke liye pukhta intjaam karne ke liye dcp ke paas gaya tha aur kaha us naqaab wale ne badi safaayi se apne kaam ko anjaam de diya tha. Din dahaade aisa karnaama kiya tha us naqaab wale ne jo ki soch aur ummid se pare tha. Dushyant ke zahen me ek sawaal uchhal kood macha raha tha ki naqaab wale ne itna bada kaand kyo kiya.? Matlab ki agar is accident me avinash ki jaan chali jati to.? Kya naqaab wale ne avinash ko jaan se maarne ke liye hi is accident ko anjaam diya tha ya fir ye accident pahle se hi planed tha. Matlab ki usko utna hi karna tha jitne me kisi ki jaan na ja sake. Khaas kar avinash ki to bilkul bhi nahi. Dushyant ko apna ye vichaar ekdam sahi laga. Yaani naqaab wale ne sab kuch plan kar ke kiya tha. Iska matlab ye hua ki wo apni dhamki ko pura kar gaya tha. Magar uske track record ka kya jo wo har baar avinash ko ek hi jurm me fasa kar kaayam kiye huye tha.?



<>•<>•<>
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,850
32,669
259
nice update ..vidhi ka shak karna sahi tha rane par ..
2 police jeep ko takkar maari aur sab ghayal ho gaye 🤔..nakaab posh bahut hi planning ke saath kaam kar raha hai ..
aur vidhi ki baat sahi ho sakti hai koi na koi police wala jarur nakab wale se mila hua ho sakta hai 🤔🤔..
par wo truck pe khoon kiska laga tha ?

aur us ladki ne kise dekha nakab wale ko ya uske saathi ko ?
.
itna to pakka hai ki nakab posh ins..dushyant se aage chal raha hai ..
vidhi ke ghar par security ka intejaam to ho gaya par dekhte hai nakab posh usko bhedne ke liye kya karta hai 🤔🤔🤔..

ab dushyant ko avinash ke saath saath vidhi ki security ke baare me bhi sochna hoga ..
 
Top