• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Black water

Vasudhaiv Kutumbakam
5,857
21,065
188
Awesome fabulous update sirji
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
◆ Update 1 ◆


Yatrigan Kripya Dhyan De.... :announce:

Jivisha Ek Khubsurat Sundari Hai Jiske Followes Ki Kami Nahi 👌👌

Apni Saheli Ke Intjar Me Station Par Khadi Hai,
Aur Use Station Ke Anouncement Se Pata Chalta Hai Ki Train Plateform No. 2 Par Nahi 5 Pr Aayegi..

Sabhi Followers Ke Sath Jivisha Alexa Ke Sath Wanha Jati Hai..

Nandini Ki Aagman Hota Hai Aur Dono Saheli Aaps me Bartalap Karte Hain.. Tabhi Ek Ladka Unke Beech Se Dhakka Dete Huye Gujrata Hai..


Sabhi Followers Use Pakad Kar Late h,
Alexa Use Car Me Bithane Ko Bolti Hai

Par Ladka Apna Nam Vyom Btakar Aur Takrane Ka Reason Bta Kar Wanha Se Chla Jata Hai..

Dono Swarna Villa Pahunchte hai Aur Sb Unhe Aangan Me Chay Pite Huye Mil Jate Hain..
Janha Baton se Pata Chalta Hai Nandini Ki Shadi Ho Gayi Hai.. "Aur Teri Bhi......." Ye Bat Wo Jivisha Se Bolte Huye Ruk Jati Hai...

Parivar Ki Halki Fulki Masti Aur Vartalap...
Parivar Ka Introduction

Nandini Aram Karne Ke Liye Kamre Me Ja chuki Thi.. Jivisha Uske Pas Jati Hai Aur vartalap..



Nischal Shayad Jivisha Ka Premi Raha Ho..

AnT Me Dono Ka Hasi Majak Aur Masti..

◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆◆


Bahut Hi Sundar Update :applause:
Aur Apki Hindi Bhi Lajawab Hai :bow:

Kya Iska Pahla Part Aa Chuka Hai :?:

Agar Ha To Mujhe Short Me Smjha Dena Jb Free Ho Ap :love:
Kyunki Use Pad Nahi Paungi :(
Ji Jivisha atyant hi khubsurat Yuvti hai jo jyadatar hansi mazak aur masti ke mood me rahti hai... Kuch lamhon ko chhod de to...

Baat kare first part ki to siggi me hai pichhli kahani ki detail ... Lekin mai aise nahi likh raha jisse kahin bhi lage ki kahin se koi link hai... Jo term ya ghatna ho chuki hai.. uske highlights aapko update ke sath sath mil jayenge ... So don't worry ...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update 2

• Somewhere In Universe...

"Middle State Of Aizem Planet".
Ke 5 Bade Jahaz Ek Unknown Planet Par Utarte Hain.

Sabhi Vimano Se Sainik Utar Kar 5 Tukdiyon Me Kadhe Ho Jate Hain..
Har Tookdi Ke Aage Unke Officers The..
Un 5 Tukdiyon Ke Command Ke Liye Ek Suzerain Thi... Jiska Nam Meerasi Tha


Meerasi Aur Nizal Wanha Ka MuaaYana Karte Hain aur Fir Meerasi Sbko Cammond Karti Hai..

( Kya Ye Nizal Hai Ya Nischal :?: )

Ye Sabhi Yanha Ek Janwar Ko Dhundne Aaye Hain.. Use Dhundne Ko Dhundne Ke Liye Viman Se Nikalte Hain.

Kuch Dur Jane Ke Bad Unhe Gaint Dikhayi Dete Hain..
Aur 5 Viman Ko PakadKar wo Jameen Par Rakh Dete Hain..

Pahle Vartalap se Bat Banane Ki Bat Hoti Hai..
Par Isse Kam Nahi Chlata Aur Hoti Hai
Nishchal Ki Entry.. :dwarf:

5 Gaints Ko Wo Buri Tarah Se Maar Deta Hai Ek Khanjar Se kyunki Wanha Koi Bhi Aur Weapon Kaam Nahi Kartaa...



:bow:

◆◆◆◆◆◆◆◆◆

Outstanding Work :bow:

Gazab Ka Imagination Hai..
Ye Part Mujhe Hollywood Movie Se Inspired Lag Raha Hai.. Mujhe Uska Nam Yad Nahi Aa rha Abhi.

Kher Ek Bat Kahni Thi :shy:
Thoda Nam Asaan Nahi Rakh Sakte The.. :shy:


Waiting For Next... :love:
Nope Nizal aur Nischal alag alag hain..

Nichal is a wirrior of his own kind... Apne samuday ka ekalauta bacha yodha... Jo shuru se hi kewal apne khanjar par hi vishwas karta hai... Bawajood iske ki uske pass uttam shathiyaron ki koi kami nahi hai... Iski puri detail aapko pahle part se milegi jiska second part me koi role nahi hai....

Ab hero ki entry ho rahi thi .. thoda to buildup dena tha .. btw wo 5 nahi the 10 logon ko lita diya tha...

Ho sakta hai kahin se koi samanta lagti ho ..
Lekin itni vishmta wala island to kisi ke imagination me nahi hoga giants to ho sakte hai... Wo to common hai aur maine Kumbkaran se inspired hokar giants ka explain kiya hun ..

Baharhaal update ko sarahne ka shukriya ... Oh haan Hindi ki tarif ka bhi shukriya ... Aur sath bane rahe...

Pichhle part ke jo bhi term use honge wo brief ho jayenge ... Ghatnayen jo connect hogi uske bhi highlights update me mil jayenge... So don't worry ...

Aakhri me naam ... Naam alians je bhi common hai ... Bus thoda tricky hai ...

Meera+si=Meerasi
Nirlaj ho gaya Nizal
Ajmana ho gaya Aizem
Zor lagana ho gaya Zoren

So it's only triky and funny aal the name ... Getting together make a sence of some heavy name first time use
 

anujdarji

Member
295
319
79
o bhai sab, end ese kiya ki next update ke intezaar main hai ab.
do storyline chal rahi hai, ek earth pe aur ek koi dusre hi planet me
Kahani sahi jaa rahi hai, jese jese aage badhegi vese vese hi
aur interesting hoti jaa rahi hai
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update:-3





"Ek Viggo Sigma (Viggo ek prakar ka samuday hai, aur Sigma uske ander ki classification) mere kshetr me.... Sab pichhe hato abhi"…. Sabse piche se ek mota tagda, pet nikla hua giant chala aa raha tha.. Usne kuch ishara kiya aur pass kadhi ek giant ne apni hatheli jamin par faila'kar usse apne hatheli par chadhne ke liye kahne lagi.…


Nischal apne khanjar ko saaf karke apne kamar me dala aur hatheli par khada ho gaya... Wo ladki apni hatheli ko uncha karke Nischal ko apne sar par rakhne lagi.. Ijjat matr ke liye Nischal apne paun ke boot khol'kar niche gira diya aur wo us yuvti ke sar par khada tha...


Haalaki sab to wahan par daitya hi the lekin unke samuday ke hisab se wo ek tond nikla hua vridhh tha, shayad apne kshetr ka mukhiya... Nischal jab us ladki ke sar par baith'kar uss mukhiya ke samne aaya, Nischal ka size uske naak se bhi chhota lag raha tha…

Yeh baat toh jag jahir hai sab ke liye ki nischal koun hai.. agar ushe koi pehchaan bhi nahi paya toh uski fighting skills dekh ke hi samajh jaaye ki ye ek Viggo siggma hai... jaise ush mukhiya ne pehchaan liya usko.. aur is tarah se adar satkar kar raha hai..


Mukhiya apna parichay dete huye kahne laga... "Main BoYo hun, Final Planet ka shashak. Apne aane ka karan batao.. kya tum bhi unme se ek ho jo humari duniya ko explore karke sabke samne rakhna chahte hain"…


Nischal:- Nahi BoYo... Humare kshetr me upadrav macha'kar ek janwar is planet aaya hai... Haan pahle janwar hi laga tha kyonki andhere me kewal sabne uska size dekha tha, thik se pahchan nahi hua.. yahan aakar samjh me aaya ki wo tum me se koi ek hai"…


BoYo:- Tracking device yahan kaam kar raha hai.. kamal ki technology hai fir... Thik hai track karo ki wo kaun tha, aur koi sewa humare kshetr se..

Nischal:- Nahi, mujhe bus itna pata karna hai ki wo kiske kahne par humare Middle State me pahuncha tha… ya fir bhatakte huye aaya aur galti se usne upadrav machaya hai...

toh mamle ki jad woh janwar hai... joh unke state ghuske tabahi machayi hogi.. par nischal ke mutabik koi aur hi iske piche...

BoYo ne turant hi apne logon ko ishara kiya … kuch sainikon ko wo giant manav apne kandhe par bitha'kar unke bataye disha me chalne lage... Idhar Nischal aur BoYo aapas me baten kar rahe the..


Tabhi achanak us yuvti ne chhink diya aur sir par palthi laga'kar baitha Nischal, jhatak'kar fisal gaya.… "Areee, balon chameli ka tel laga rakhi thi kya"…

Ha ha ha ha ha ha ha ha ha :lol: :lol:
yeh epic tha :lol:
are dhett teri ki.. chameli ka tel.. aur bhi ush planet pe :lol:
aur nischal toh sab kuch bhool chuka tha na phir earth ke chijo ke bare mein kaise maloom :D


Nischal fislate huye kahne laga aur kuch pakad'kar wo khud ko jamin se girne se bachaya... Ye kuch aur nahi balki Nischal uss yuvti ke stan ke nipple ko pakad'kar jhul raha tha... Jaise hi Nischal idhar jhulna shuru kiya, upar us yuvti ne kuch to apne chehre par erotic expression laye thi, jise dekh'kar ek yuvak gusse me aage aaya aur Nischal ko mutthi me daboch'kar apne sar par rakha. Nische khade uske sabhi sathi yah dekh'kar hans rahe the.. Hans to us samuday ke log bhi rahe the, jo itne chhote se insan ki pakad ke karan apne hi samuday ki ek ladki ko madak bhawanyen lete dekh liya…


Khair kuch der ki sabki hansi aur us yuvak aur yuvti ke chidh ke baad, ek baar aur BoYo aur Nischal ki baten shuru ho chuki thi.. Kuch samay bitne ke baad mamla saaf ho chuka tha.. Final Planet ke antriksh khojkarta ne emergency landing li thi.. aur jabran uss kshetr me ghusne ke karan saari ghatnayen hui...

Are yaar.. yeh nischal us tharki apsyu jaisa kaam kyun kar raha hai... galat baat :sigh: jivu ko maloom hua to kahi sar na fod de iska...
Alexa 21:bat:
Alexa = ab pakad ne ke liye kuch anjane mein hath aa gaya .. nahi pakadta jameen pe gir jata.. chamalya :D

Nischal aaschrya se kahne laga... "Ek to planet ki hawai seema langh gaye upar se kshetr me jabran landing... Humne to kabhi kisi antrikshyatri ko emergency landing ke liye nahi roka..."


BoYo bahut vinamrta-purvak javab diya... "Hum kaise dikhte hai ya hum kya hai, ye hum jahir nahi hone dena chahte.. Isliye emergency ke waqt yadi koi chara na ho to khud Universe ocean me kud'kar jaan de do, ya jabran ghuskar kaam khatm karo aur laut aao… Planet Privecy Policy...


Nischal:- Lekin mai to yahan se apne logon ko lekar jaunga.. Aur ye hokar rahega..


BoYo:- Tum pahle Viggo nahi ho Nischal, jo yahan se jinda jayega... Kayi 100 varsh purv yahan pahle bhi Viggo aa chuka hai.. haan lekin tum usse kayi guna jyada khatarnak ho... Lekin tumhare sathiyon ke liye afsos hai.. wo ye jagah chhod'kar nahi ja sakte.. wo yahan surakshit hai uski jimmedari mai leta hun..


Nischal:- Prastav to achha hai BoYo, lekin kuch mamlon me mai pichhe nahi hat'ta..


BoYo:- Hmmm ! Thik hai kuch mamlon me hum bich ka rasta nikal lete hain... Tumhare upar hi chhodta hun, kuch aisa karo ki inki kahi baten matr kalpna lage…


Nischal:- Kewal Mera viman Final Planet par aaya.. Ab jab mere log yahan pahunche hi nahi to wo kuch bhi kah nahi sakte ki yahan kya dekha...


Takriban 2 ghante aur 5 technician ke sath milkar, Nischal ne sabhi chhatigrast Viman ko urne layak bana diya... BoYo se vidai lekar sabhi viman wahan se ek katar me urr chale...


Nischal ka viman apne 2 pilot 20 viman karmchari aur 2 mehmano ko lekar urr raha tha.. Meerasi, Nischal ki mehmannawaji khushi se swikaar karti uske sath ja rahi thi...

matlab kisine chaal nahi chala.. accidentally yeh hua tha... par kya pata kitna sach ho... hmm... so boyo bhi nahi maan raha aur nischal bhi..
chalo bich ka rasta nikal liya.. btw in logo ki planet privacy policy kaafi ajib aur sath hi khatarnak bhi hai... waise dekha jaye toh ant mein nischal ne apne budhimatta ke jariye Hal nikal hi liya....


Meerasi, hot shower lene ke baad taiyar hokar jaan bachane ke liye Nischal ko dhanywad kahne chal dee... Patle sifon ke halke pardarshi libas me wo ek kamayani lag rahi thi, jise dekh'kar Nischal ke karamchari aahen bharne lage aur Meerasi sabke armano ko jalati, Nischal ke kamre me...


Nischal, Meerasi ko ek jhalak upar se niche dekhte... "Meerasi, kafi khubsurat lag rahi ho"..


Meerasi, Nischal ke bistar ke ore badti hui apne badan ke kapde ko wahin jamin par giraati uske bistar par baith'ti... "Aise aur jyada khubsurat lagungi"… Nischal bina der kiye uske upar toot para..


"Aaaaaaahhhhhh... Nischalllll... Ummmmmmmmm.… Aahhhhhhh... Ufffffffff... Harderrrrr, nischallll.… Aaahhhhhhh"… Bahar khade Nischal ke dono karmchari lagatar 2 ghante tak bus yahi sunte rahe aur jale se arman liye ek dusre ka muh dekhte rahe...


Ander dono hafte huye bistar par hath failaye the... Meerasi uth'kar cigerattee ke ek kas khinchti.… "Maza aa gaya Nischal, aur tumhe"…


Nischal:- Apna to nara hi hai, aapki khushi me hi humari khushi hai…


Meerasi:- Haan baant lo khushiyan jab tak baant sakte ho.. Serin (Nischal Step sister) tumhari jodi banane ki soch rahi hai. aur uska kahna tha ki Viggo ke rashm anusar jodi banayegi..


Nischal:- "Viggo ki jodi banane ki koi rashm nahi hoti, balki ek sache pyar ke sath wo apne aap puri rashmon ke sath jodi bana leta hai ya bana leti hai, fir uske liye kisi samaroh ya khas mauke nahi dekhne parta"….

"Sache prem me dube do dil jab rashmon se bandhte hai to us alokik raushni ki prawah darsha jati hai ki uska dil mujhme dhadak raha hai aur mera dil uske sine me.. Fir uske bina mere jivan ki kalpna nahi ki ja sakti aur mere bina wo jivit nahi rah sakti... Ek Viggo ki sachi Mohabbat.. sunne me kitna achha lag raha hai… lekin mere jivan me Serin ke alawa koi sacha nahi mila aur yahi ek matr satya hai.. kya tum kuch der mujhe akela chhod sakti ho.…"



Meerasi use akela chhod'kar wahan se chali gayi... Nischal gahri shwans lete kuch varsh purv ki ghatna par sochne laga jab bachpan se kuch bhi achha na chal rahe uske jeevan me bada sa toofan aaya... Aur jab hosh aaya to wo toofan ja chuka tha… Uski bahan Serin kafi khush thi aur Aizem ke charo ore khushiyon ki lahar thi..


In khushiyon ko lautane wala bhi wahi Nischal hi tha jise Serin ne pura samarthan diya.. Lekin dono me se kisi ko yaad nahi ki uss waqt hua kya tha.


Dono kabhi-kabhi baith'kar inhi bato par charcha karte aur kahne lagte... "Bhale us daur ke panne dimag se kisi ne fad diye ho, lekin humne jaisa apne rajya ki kalpna ki thi ye usse kahin behtar hai… afsos kewal jaal mahal ka ho raha aur mujhe yaad nahi ki mera Viggo viman kahan hai"


Meerasi ki baton se Nischal ko bus yahi khyal aata raha… aur fir ant me ek chhota sa armaan.… "Kya kabhi sacha prem mujhe bhi hoga, jaisa Viggo ki kahaniyon me hota hai"……


_______________________________________
Yeh ho kya raha hai... is tharki hawas ki pujaran kutiya ki itni himmat ki jivu ke maal pe haath daale :D
Aur is serin ko ho kya gaya hai.. mana ki sautele hai par hai toh ek hi baap ke santan... nahi yeh hargiz nahi hona chahiye... are jivu ki yaaddast kya gayi yahan har koi uske maal par daka daalne pe utaru ho gaye :bat:
Alexa 21:bat:
Alexa 21= kya kare ab waqt waqt ki baat hai.. chamalya :D


India Pune.…


Jivisha, Nandni ke sath Subah-Subah hi Kasak ke ghar se chal dee, takriban 1 ghante ki driving ke baad dono pahunch chuke the Jivisha ke bade papa ke ghar... Jaise hi car ek bunglow ke samne ruki, Nandni, Jivisha ko ghurti... "Pahunch gaye gaanv"


Jivisha:- Nahi baba, bade papa rahte gaanv me hi the, lekin yahan bhi makan ka kaam chal raha tha to 2 sal pahle shift kiye hai.. tab shayad mai kahin gayab thi...


South Pune City ke ilake me chhota sa bunglow jiske aage 'Kanak Villa' likha hua tha. Dono darvaja kholkar dakhil hui.. jaise hi hall me pahunchi, achanak hi Jivisha ke muh se jod se nikal gaya... "Subah-Subah ladki dekhne kaun aata hai"..


Darasal jaise hi Nandni aur Jivisha ander pahunche, Kasak puri tarah saji hui hall me baithi thi. Ek ore se Kasak ka pura pariwar aur dusri ore se ladke ka pariwar aur ghadi me waqt ho raha tha, 8.30 A.M.


Jivisha ki baat sun'kar dono paksh wale fiki-fiki muskan dene lage aur Nandni budbudati hui kahne lagi... "Jhalli, volume to check kiya kar"..


Jivisha:- Are yaar subah ke 8.30 baj rahe hain, tu samjh rahi hai…


Nandni:- Chup ho ja jarra comedy queen...


Jivisha ke bade papa Sudhanshu, sabko Jivisha ka parichay karwate kahne lage… "Ye mere chhote bhai ki beti Jivisha hai, aur uske sath uski dost Nandni khadi hai"..


Tabhi gumsum baithi Kasak anayas (suddenly) hi kafi jod bol pari.… "Papa ye meri bhi to"….. itna bolkar shayad khyal aaya ki kahan baithi hai, to apni awaj normal karti... "Meri bhi to dost hai"


"Haan aur ye teri gurumata"… Nandni, Jivisha ko dekh'kar dhime se kahne lagi aur dono chup chap kamre ke ander ghus gaye.…


Takriban aadhe ghante baad Kasak kamre me aakar Nandni aur Jivisha ke gale lagti.… "Tum dono achanak yahan"…


Jivisha:- Kyon humara aana tujhe pasand nahi aaya...


Kasak:- Ek inch bhi mai mazak ke mood se nahi hun, ab puri baat batayegi…


Jivisha:- Hum aaj chal rahe hain post graduation me admission lene, 2 saal mann laga'kar padhenge aur pass honge...


Nandni:- Ladka pasand aaya...


Kasak:- 2 minute ruk batati hun... Tu bol Jisa..


Jivisha:- Aate hi itni enquiry kyon, pahle ladke ke baare me bata..


Kasak:- Tujhse nahi bataungi to kis'se bataungi.. lekin pahle ek baat puri kar..


Jivisha:- Bus wahi, admission le'kar post graduation karenge...


Kasak apne sir pit'ti.… "Tujhe kisi ne kuch nahi bataya kya?"


Jivisha:- Kya ???


Kasak:- In bade logon ke parr nikal aaye hain, humare sath hi khel rahe...


Jivisha:- Paheliyan kyon bujha rahi hai.. sidha sidha bol na...


Kasak:- Halla mat karna aur shanti se sun'na.. Nandu tu advance me iska muh daba de...


Jivisha:- Thik hai samjh gayi, puri baat sun leti hun...


Kasak:- Tu salo bhar gayab thi.. Nandni bhi nahi thi... So karne ko kuch nahi tha to maine apna post graduation pura kar liya... Uske baad khali baithi thi to...


Nandni, Kasak ko ghurti hui... "Ye pause kyon le rahi hai"…


Kasak:- Khali baithi thi to socha pyar hi kar lu..


Jivisha:- What ??? Matlab ye jo abhi sarif ladka aaya tha…


Kasak:- Sarif to nahi hai, lekin pure kabu me hai… to bacha, moral of the story is, Ansh (Nandni Husband) ke influence se mujhe mil gayi hospital ke patients ki file management ki job... Subah 10 baje se jitni der lag jaye last day ki entry karne se lekar, unke file taiyar karne me...

Aur samne hai tumhare hone wale jiju Sahil ka cafe... Kuch samjhi ki nahi samjhi... Chal chill maar aur smile kar.. Aaj raat ki party tere jiju ke ore se...


Jivisha:- Prit ki reet lag gayi.. chal best of luck… hum dono chalte hai admission lene.. tujhse sham me mulakat karti hun...


Kasak:- Aree kaun sa apna family college bhaga ja raha hai… aayi hai to ruk na..


Jivisha wapas jati... "Aaj sham ko party me milti hun"…


Jivisha jaise gayi thi waise hi Nandu ke sath wapas laut aayi... Raste me kuch der dono khamosh hi rahe...


Nandni:- Car se bag kyon nahi nikali..


Jivisha:- Aise hi, laga ki ek baar ander ja'kar pahle sab se mil lun.. achha hi hua.. bag le'kar ander jati to Kasak mujhe aane nahi deti, aur mai is situation ko analyze nahi karna chahti thi ki kyun main yahan nahi ruki...


Nandni:- Tu jaisa soch rahi hai waisa kuch bhi nahi hai...


Jivisha:- Lekin mai to kuch soch hi nahi rahi...


Nandni:- Kha le kasam, tere dil me ye khyal nahi aaya ki har umr ke padaw ki apni baat hoti hai... Har samay ek jaisa nahi hota, unme badlav bhi dekhne milta hai...


Jivisha:- Tu anteryami hai na, jo itna soch Lee...


Nandni:- Anteryami to main bilkul bhi nahi hun, lekin tere chehre ko padhna aata hai... Ab jyada soch mat, kyonki wo Kasak hai aur wo kabhi badal nahi sakti...


Jivisha:- Samjh me aa gaya ki meri memory reset kyon hui hai..


Nandni:- Kyon ???


Jivisha:- Kyonki main bhi kabhi pyar me thi aur shayad sab kuch bhul'kar pyar me rahi houngi.. tabhi to mujhe Kasak ke bare me kuch bhi pata nahi... Wo un salon ka dard nahi bata payi, jin salon me main nahi thi.. warna khali baith'kar pyar karte hain, ya fir dil se dard mitane ki kosis me Sahil se mili thi…


Nandni:- Pagal kahin ki itna kyon sochti hai... Wo Kasak hai Kasak.. Sham tak ka intzar kar, dekhna wo tera dard aise mitayegi ki tu bhi kya yaad karegi..


Jivisha:- Isliye to upar wale ne un salon ka reset button dabaya tha jisme mai shayad swarthi ho gayi thi... Ek mauka apni pichhli galti sudharne ka..


"Pagal kahin ki, tu kabhi swarthi nahi thi... Jo waqt yaad hi nahi unme apni galti dhundhne ki kosis kyon kar rahi... Niyati ko kya manjoor hai wo to niyati hi samjhe"….. Jivisha ki baat par Nandni muskura'kar bus itna hi sochi aur Jivisha ke sath laut aayi...


Lautne ke kram me tay ye hua ki Nandu apne pune wale flat me rahegi aur jaisa pahle tha sab kuch waisa hi hoga... Sab tay hone ke baad Jivisha ne car Nandu ke flat ke ore le liya...


Dono ki car apartment ke karib thi aur Jivisha, Ansh ke naam par Nandni ko chhed di... Nandni ko bhi aa gaya gussa aur usne de diya ghuma ke uske sar par.. pura baal bikhar'kar aa gaye aage aur jab tak Jivisha baal ko hatati, tab tak kinare khadi ek sport bike boundry wall ke upar thi.

Jivisha ne jaise hi car rok'kar bahar dekhne utri, uski car ki chabhi us bike owner ke pass... Bhadi bhid ka mahol aur wo ladka apni laal-laal aankhon se Jivisha ko ghurte huye...
ab yeh naya chyappa...
are aisa kaise kasak shaadi kar sakti hai.. pehle uske jija nischal ko toh aane do..
are nain11ster ji itn sashte mein kasak ko bhagane ke firak mein ha story se :bat:
yeh kaisa Saryanta racha aapne...
Yeh n choulbe idhar :bat:
kasak kahani k ant tak rahegi jivu, nandu aur nischal ke sang aur yeh final hai..
yaar sab ulat pulat ho raha hai story mein..
ek taraf purani baatein yaad na hai par kis baat ko leke khud ko hi baar doshi maane jivu.. nandu samjha rahi hai phir bhi yakin nahi..
udhar kasak, ab kya kahu... Khair..
upor se yeh nischal serin se shaadi karne jaa raha hai.. jab ki agar rules ke madde nazar ek Viggo siggma bas ushe hi jivan sathi chunti hai jishe dilo jaan se pyaar ho.. Even sabse hairani ki baat serin ko bhi yaad nahi kuch bhi..
yahan tak unlogo se apne planet ko bachane apne bade bhai se bhi takra gaya tha.. are jaal mahal kaise tuta yeh tak yaad nahi...
Akhir hua kya tha? kis wajah kis kaaran? koun hai iske piche?
Sawal hi sawal khade ho rahe hai..
Bas ek kadi jisko sab yaad hai nandu..
Kya kasak bhi bhool gay nischal ko?
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skill :applause: :applause:
 
Top