• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,287
158
Final Chepter :-: The Rise Of Glaxian:- C





Fir Jivisha apne dono hath falayi aur hath se hath judte chale gaye... Jivisha apni badi si nili aakhen Surpmarich ke aankon me daalti.… "Hum log "Galaxian" hai aur ye poora brahmand humara hai... Ek wada main khud se karti hun.… Tu marne se pahle sunta ja... Vish-Nilayani ki wo adhuri ikchha main poori karungi…. Apne anterman se manaa kar uss Adharv ko wahin rahe apne pariwar ke sath… love maro iss dharti ke bojh ko... Hume aur bhi bahut se kaam hain"…


Jivisha ek kadam pichhe aayi, Nischal ek kadam aage aa'kar... "Koi aakhri ikchha Bhagwan ji"…


Surpmarich:- Khud to achhe aur jimmedar kahte ho to mujhe bhi barabar ka mauka do... Aur.…..


Surpmarich apni baat kahne ke madhya me tha... Issi bich Nischal ek chhoti si raftaar, unchi si chhalang aur Surpmarich ka bolta hua sar kat'kar niche gir gaya...


Nischal Kate chehre ke pass ghutno ke bal baith'kar apna khanjar saaf karte…. "Barabar ka mauka do, mere hath khol do. Abe mashtishk mahal bana diya tune, hum kya murkh hain jo samne khade ho'kar kahenge, haan aa 2-2 hath karte hain... Sala tu to palak jhapakte hume sula dega. Isliye nahi de sakta tha aisa mauka re".

"Wo dekh chinkhte abhage Nayjo, tu fasa kya, tujhe kam aank gaye. Wo to meri love ko jab bharosa ho gaya ki haan teri shaktiyan ab gayi, tab usne raushni ko laangh kar maarne kahi. Bahut chalak aurat hai wo bhi.. sala tu samjha hi nahi. "

"Tu nahi samjh paya ki tu jo yahan khada hai wo tu khud nahi aaya balki bulaya gaya hai. Astak aur tere mukhaute ki poori planning meri thi to meri pyari patni aur uske atoot mitrvar ne mil kar poora focus master par kiya tha. Sala kuchh der apne clone Surpmarich ke pass baith jata. Sach kahta hun pasine chhudwa diye the usne. Uss ke pass tere jaisi shakti na thi lekin main to uske dimag ka fan ho gaya re gadhe…"

"Pahle mujhe aur Serin ko laga tha ki ye dono mitr hume andu-jhandu ko maarne ka plan karva rahe hai. Lekin Jisa ne kaha tha, "love ye gulaam Surpmarich jyada khatarnak hai usse humare bare me har baat pata hai. Usse bus kisi tarah sambhal lene tab dekhna ki kaise uska master bilkul bewakoofon ki tarah jholi me aa gidega. Wahan mat chukna warna wo gulaam apne malik se mil gaya fir humara astitv nahi rahega."

"Uss waqt laga ki hume tasalli se rahi thi lekin abhi poora yakin ho gaya. Tu itna bada gadha ki apne sath-sath apne khandan aur uske takat ka pol patti khol gaya. Hum to dialogue bol'kar bhadas nikalne ke sath time pass kar rahe the aur tu ek ke baad ek falana takat aayega kahta chala gaya.. Sale gadhe tere viprit duniya me akl ki kami hai pakka"

"Warna aise mauke par hum dialogue baji karte hi nahi, vishwas maan. Dil me dar rahta hai ki kisi vidhi dushman baag gaya to fir se lamba mehnat kar'ke pakdo, plan karo aur tab jakar kahani khatm hogi... Example tera wo gulaam wala Surpmarich…"

"Jaise hi meri biwi ko laga tu marne layak ho gaya, fir suna nahi kya boli... "Maar do love dharti ke bojh ko, hume aur bhi kaam hai... Utni der se kaam nahi yaad aaya."

"Baki maine apne logon ko ek hi baat sikhayi hai... Pahle gala kaat do... Fir baad me to baat hoti rahegi, jaise itminan se tujhse kar raha... Kya samjha… agli baar jab paida lena tab meri ye theory yaad rakhna"..

"Yahan se sare kachre saaf karo... Humare war heroes ke shav, poore samman aur poore sharir ke sath tabut me rakho... Poore desert planet par main, Middle Universe ke sabhi heroes ka sangrahalay banwaunga... Jahan humre war hero ka apna ek ghar hoga aur uss ghar me hogi uss war hero ki poori yadon ke sath poori jeevni... Lekin uss se pahle… OMU ke bahadur sena nayika Luna ke naam ek jaam... Luna tum hum sab me best ho"…


Turant hi wahan ka mahol saaf kiya gaya... Soft aur hard drink serve hone laga... Luna ko bich me khada kiya gaya aur Jivisha usse hawa me upar kar dee... Taliyan, Seety aur hooting se poora mahol gunjne laga... Jaam ka daur aadhe ghante tak chalne ke baad, Nischal ne Viggo viman ka poora command hi Luna ke sath me saunpte…. "Ek sahshakt commander ka uska apna commanding viman... Aaj se iska complete command tumhare hath me"…


Luna:- Lekin Sahjade... ..


Nischal:- Vigyan kisi ek ki milkiyat nahi honi chahiye. Khoj koi bhi kare uska laabh sabko milna chahiye... Ab OMU ki sena nayika jarra hum chalen control room... Kuchh baten apne logon se karni hai...


Nischal, Luna ke sath pahuncha, sath me Shwetna bhi thi... Kewal yahi 3 log the... Nischal... "OMU ke Director aur Army chief se.… "kya main request kar sakta hun ki war ki official announcement main karun"…


Shwetna:- Sahjada hum itne formal kab se ho gaye...


Luna:- Hum sab ko aapke aur master Serin ki capability pata hai… log aap dono ko ek Viggo ya Dakshat ki kshmta se aankte hain... Lekin mai aapki trainee hun aur aap dono ko achhe se janti hun. Aap dono humare sacche leader ho, jisme apne logon ke netritv ki poori kshmta hai... Aap aise requet na karo...


Nischal:- Ye sab baten fir kabhi hogi... Dono se sirf ek hi baat kahunga... Koi bhi law se badhkar nahi hona chahiye, fir wo naam koi bhi ho... Anaitik aur aniti apno ke bich bhi ho to uska virodh karna chahiye... Iska pratyaksh udharahan Astak tha, jiska virodh Vardali nahi kar payi thi... Khair… OMU se connect karo...


Poora Organization hi Luna ka intzar kar raha tha. Wo jaise hi connect ki, Shwetna sabse aage aa'kar.… "Humne apni poorn kashmtaon ke sath yuddh lada, aur yudhh jin natijon ke liye lade, hum usme jit hasil kar chuke hain... Ek jaam jit ke naam toast karne se pahle..… Hum sab ke chahete aur war hero Nischal kuchh baten hum sab se karenge"…


Nischal screen ke samne aaram se baith'te...


"Aap sab ko badhai ho. Aap sab ne jin natijon ke liye apne logon ko, apne karibiyon ko iss yudhh me bheja, wo sab apne lakshya me kamyab laute. Jo nahi laute unke liye humare aankhon me aansu aur dil me garv hoga. Sath me ek ikchha ki kisi din main bhi unke tarah ladte huye kisi veer ki maut marun".


"Akele kuchh bhi sambhav nahi. Kewal Nischal hi kar sakta hai ye Nischal ka ghamand hoga. Kewal Serin kar sakti hai ye Serin ka ghamand hoga. Haan ye kaam Nischal ka hai ye Nischal karega. Ye kaam Serin ka hai wo Serin ko karne do aur ek yudhh kewal sahi anusashan aur poorn yojna se hi jiti ja sakti hai. Fir chahe aap ke samne koi bhi dushman kyon na ho"


"Iss yuddh ko kayi hisson se yojnabadhh kiya gaya. Kayi hisson me log bante the aur kayi log alag-alag yojna par kaam karte, ek sammilit parinaam le kar aaye hain. Main har uss team ka sukrgujar hun jo yojna se lekar uss par kaam karne ke liye sahi logon ka chunav kiya. Isse hi to complete team work kahte hai aur aaj kaa natija humari poori team ke naam hai. Kuchh chehre samne hai to kuchh parde ke pichhe se apna yogdan dete rahe aur iss natije ko sambhav kar diya."


"Main bata dun aap sab ko, humari ladai Astak aur Surpmarich ke sath-sath uske master se bhi thi aur vishwas maniye viprit duniya ka rahne wala wo master kitna kharnak ho sakta hai iska andaja aap iss baat se laga sakte hain ki itihaas me ek baar wo aaya aur poore middle universe ko hi nahi baki universe ke 18 hisson ko tabahh kar gaya tha. "


"Aap sab ko jaan kar garv hoga ki humne middle universe ke ek poorane doshi, Astak aur Surpmarich ke master ko uski aakhri manjil tak pahuncha diya hai. Aur ye poori ladai inhi 3 bindu par kendrit thi. 2 ka aap ko pata tha teesra humne chhipa kar rakha tha"


"Yudhh ke natije to maine bata diye ye ek adhikarik ghoshna thi jo koi bhi bata deta main to in sab ke alaawa kuchh aur baat karne aaya hun"..


'Maine khud ko kabhi ek war hero nahi mana aur naa hi kabhi uss roop me dekha... Main ek Universe traveller aur khojkarta hun aur Meri bahan Serin ek shandar sena prasikshak, yojnakarta aur uss se bhi umda ek khoj karta"….


"Aap sab ko Nischal me, bhale ek viggo Sigma ki kashmtayen dikhti hogi... Ya fir master Serin me ek kushal Dakshat yudhh ladaka.. Meri Priya Vish-Jivisha ko aap sab kisi chamtkar ki tarah dekhte honge... Lekin sach to ye hai, ki hum picture me isliye hote hain, kyonki humari maut koi aur mar jate hain, yah kah'kar ki "mujhme wo kshmta nahi, jo aap sab me hai... Aap jinda rahe to poora samaj jivit rahega, main jivit raha to kewal mera parivar"…


"Maarne walon ko to bus ek mauka chahiye... Hum mare, aur hamare sath hamari vir'gatha ki kahani jo aage badh rahi thi wo bhi mar gayi... Fir Nischal ko sirf iss baat ke liye jaana jaata, ki koi ek Viggo Sigma tha… Ya Serin ke liye kah dete ki koi ek kushal Dakshat thi."


"Humari vir'gatha hi hume hero banati hai aur sach maniye wo gatha kaiyon ke balidan ki kahani hoti hai, jo hanste huye humari maut mar jaate hain aur hume hero bana jate. Hum hero to ban jate hain lekin kisi ko bhi uss sacche hero ki kahani nahi pata hoti, jo sare viprit natijon ko badal kar hume hero bana jata hai...


"War hero... Ye shabd hi mithya hai… khud ko tasalli dene wale kuchh shabd, kyonki sach to ye hai ki hume hero banane ke liye kitno ke balidan hote hain, jinhe koi jaan hi nahi pata… Ye wo log hote hai jinhe hum par bharosa hota hai ki hum jinda rahe to poore community ke liye laabhdayak honge."


"Hum jaise log isliye tasveer me dikh jate hain, kyonki dusron ki apeksha hum me mahaj kuchh jyada kashmta hai…. Lekin vishwas kijiye, jis din hum jaise kshmta wale corrupt hote hai... Ye war hero uss waqt bhi sina tane khade milenge... Aap ko ek corrupt powerful insano se azad karane ke liye, ye hai inke sahas ki kahani aur apne samaj ke prati zazba."…


"Koi takatwar na to kabhi war hero tha aur na ho sakta hai... Wo to bus 1000, 2000 jyada jane le sakta hai, bus itna hi fark hai"


"Humari chaheti sena nayika Luna ko thoda shak hua tha, jab earth se chhote air craft pahunche… naman hai humare pahle war hero ki jodi... Canon aur Saras ki... Inke yudhh ke kisse kahne baithun to shayad raat bit jaye... Dushmano ko humare bade-bade viman se jyada dard inke chhote ne vimano diya tha. Jamin par jahan Astak ki vishal fauj hum par hawi thi. Dushmano ke hazar caroron ki tukdi ko palak jhapakte tabaah kar diya... Yah kahani thi aam se 2 insan aur uske real heroic team ki, jo kushal commander ke netritv me, kisi bhi yudhh ke parinam ko hi badal kar rakh de"…


"Humare war hero Nilbhut samuday ke Aerobok, jiski matr 2 carore ki tukdi khadi thi sina tane, 2000 carore narbhakshiyon ke bhid me... Jamini ladai me kandhe se kandha milaya…. Apne se kayi guna vishal sainik ko fauj thi jo daudti to pata nahi chalta tha kab maut kuchal kar chali gayi... Lekin date rahe... Mujhe aur Serin ko hamesa bacha'kar nikalne ka safe passage dete rahe".…


"Khud sena ke commander the, lekin ek aisi ladki ki baat maan'ne se pichhe na hata, jise yudhh ka anubhav bilkul nahi tha…. Lekin ye Aerobok ki durdarshita thi, jo usne unhe bhi sun'na jaroori samjha, jo yudhh se takaluff nahi rakhte... Suna, vichar kiya aur uss poori niti me usse hi commander maan'kar follow kiya.… Humare real war hero, jinhe post se jyada iss baat ki fikr hoti hai ki dushman ko kaise dhul chatayi jaye, fir wo idea koi ek chhota baccha hi kyon na de raha ho"…


"Nandni aur Ansh... Iss war hero ki to Khair baat hi nahi... Inke bare me bahut jyada baten nahi sirf itna hi, ye kisi ko bhi surprise kar sakte hain aur ye dono bilkul sadharan se insan hai, jiski kshmta huamre ashadharn takaton se bhi upar hai... Ye dono to meri aur meri patni ke dream heros hain"…


"Kuchh dream heros aur bhi hai jinki kshmta aur unke kaam OMU se bhi kahin upar hai. Ye apne aap me itna bada sangathan hai jiski barabari OMU nahi kar sakta (Sattvik Aashram)... Lekin un heros ka jikr mai na hi karun to jyada behtar hai... Kyonki achhai aur burai ki ladai me, sabse jyada unhe hi toda gaya, lekin fir bhi wo apna astitv banaye rahe... Apne aatm bal par khade rahe, aur jinme kshmtayen hain unki kshmtaon ko nikharte rahe"…


"Kuchh war heros aise bhi the, jihone apne poorn jivan kaal me kuchh nahi kiya... Ulta kisi ki galat mansa ke bahkawe me khud narbhakshi ban gaye aur na jane kitne insano ko chaba gaye... Galat ya sahi ka kya aaklan kare, jab koi sipahi aise order follow kar raha ho... Wo apne sena ka anushan banaye tha... Haan main apne ek dost Jatin ki baat kar raha jiska hriday pariwartan ussi waqt ho gaya tha, jab wo kisi brutal sena ke command me tha"...

Pahle kisi ki galat niti ko jhela aur baad me ek dhurt Surpmarich ke clone ko jhela... Jisne usse ek ayogya shashak sabit kiya... Uski galti hi kya thi. Pahle apne kurur shashak ke order follow karne ki. Order follow karna kisi bhi shashan vayvastha me kab se galat maana jane laga, haan lekin satta parivartan me wo doshi to hoga hi... Dusra Jab ek sidhh purush Surpmarich kisi ka gulaam ho sakta tha to kya ek shashak ki mati brhamit nahi kiya ja sakta? Uski jagah koi bhi hota to yahi hota... Galat kahan tha wo... Haan lekin usse jarra bhi afsos nahi tha in sab baton ka, kyonki uska bhi yahi manna tha ki"...

"Insan kitna bhi achha kyon na ho lekin satta me baith'kar apne logon ko hi nahi bacha paya, jabki waise dimag par kabu karne wale to satta me pahle se kabij the purv Shashan ke dauran. Mujhe uske lautne ke bare me soch'kar apni taiyari rakhni chahiye thi jo main nahi rakh paya isliye main ek ayogya shashak hun"

"Ek real war hero jisne ek hi ikchha mujhse jatayi thi... 'Mere 2 bacche hain aur maine apne jivan me, earth ke mission operation se lekar Zoren ke Dirdh aayu rastr ki satta sambhali thi... Lekin ek aisa kaam nahi kiya jiss se wo proud feel kar sake... Ek hi sapna bacha hai... Ek gravanvit maut ke sath apni pachtave se bhadi jivan ko alvida kah sakun.'.

"Marne ka aisa zazba sirf ek real war hero ke pass hota hai... Mukhauta utarne ke baad orignal Surpmarich aaya aur bina koi mauka diye aap jinhe apna war hero samjh rahe hain, unka gala kaat'kar hawa me lahra diya aur ye najara Viggo viman me har kisi ne dekha" ..

"Jatin aur uske sathiyon ko apni kashmta pata thi aur apne kshmta ka aisa prayog kiya, ki ek maha sidhh insan jo kali takton ka aisa varish tha, jise hum milkar nahi hara nahi sakte the... Isliye humari jagah ek sochi samjhi maut Jatin aur uski poori team mara, sirf iss viswas me ki jitna waqt wo humare bahrupiye ko maar'kar sab ko tourcher karne me lega, utne waqt me hum apna maksad saadh lenge'...


"Iss yudhh ka mukhya target na to wo Surpmarich ka clone tha aur na hi wo gulam Astak... Ye dono to mukhaute the jiska malik koi aur hi tha, aur hume ye bhi nahi pata tha ki jo Surpmarich humare pass hai wo mahaj uska clone tha aur humara mukhya mujrim to kahin aur baithkar na sirf oprate kar raha tha balki ungli par humari duniya ko nacha raha tha"... .

"Astak aur Clone Surpmarich ka malik aaj maara gaya kyonki humare war hero Jatin ek aisa behrupiya tha, jisne uss maha sidh vikrut purush ko, shak tak hone nahi diya ki jise wo maar raha hai, wo asli nahi nakli hai... Jatin jisne hamesa mujhe ek malik aur khud ki sewak hi samjha... Aaj meri maut mara… Wo hai asli war hero"...

"Hum to dusron ke balidan se uncha huye hain… unke bina huamre koi astitv nahi... Isliye main ek adhikarik ghoshna karta hun jiski ikchha meri patni pahle jata chuki hai... Desert planet Nischal ka official pata hoga, jiske dwar hamesa poore universe ke liye khule honge... Wahan hun banayenge war hero sangrahalay, jahan humare real war hero ko poora universe karib se jaanega... Jaanega poora Universe, kaise wo lade aur kaise maujooda haalaat me unke dwara wo kaam na hua hota to kya natije hote... Unke bacche apne abhibhavak par garv kar sake … hum sab garv kar sake... Aisa ek sangrahalay hoga"


"Aur sabse aakhri me main ye jaam apne 2 heros ke liye uthata hun... Luna aur Shwetna... OMU ke dono shrave sharva... Ye dono apne kshetr ke legend hai... Pani aur jamin ki malik Shwetna aur poora aakash to kewal Luna ka hai... In dono ke hote na to koi aapki jamin le sakta hai, na hi pani aur na hi aaksah… ek jaan huamre sabhi war heros ke naam"...


Nischal ki baat ko jaise sab mehsus kar rahe ho... Bhavuk kshn the aanshu har kisi ke aankhon me. Jashn, jaam aur ek vijayi raat thi... Har kisi ko jaise fakr sa mehsus ho raha tha...


Jshan Viggo viman se le'kar, Middle Universe ke har planet ke har rastra me manaya ja raha tha... Shwetna aur Luna ki meeting kuchh jyada hi khinch gayi aur kafi der baad un dono ne apne doston ko join kiya...


Jshan manate huye sab kab nind ke aagosh me pahunche unhe bhi pata nahi chala. Poore hall me hi log ludhke pare the... Koi idhar chit to koi udhar palat. Subah ke karib 11 baje, bacchon ke shor ne sabko thoda-thoda padeshan kiya..


Nischal aur Jivisha dono mithi angdai lete, ek dusre ke honth sparsh kar, muskurate huye dekhne lage.… "Taiyar ho jao… in sabko chhodte hain aur hum 1 mahine ki honeymoon par nikalte hain" … Jivisha, Nischal ki arji sun'kar hansti hui, Nischal ko aankh maari aur badi hi adaa se Nischal ke chehre par apni hath ferti... "Bina kisi ke jaankari ke chalo"….


Syren sound….. dhimi aaawz.. fir syren ka volume plus... Aur Plus.. aur bhi jyada plus... Plus... Kaan faad syren sound..


Itne tej ki sabhi jaag gaye... Samne se je rera re baba... 30 hi-profile armed agents, jaise kisi surksha agency ke ye fit, muscular, mustaid, rera wale agents ho, jinke aas-pass hone se feeling aa jaye ki koi badi hasti ab aane wala hai... aur har koi ussi feeling ke sath tak'taki lagaye raste par najren bichhaye the...


Agents daurte huye aaye aur deewar ke dono kinare gun tane phail gaye... Sabhi bus yahi soch rahe the ki ye aa kaun raha hai... Sabse bade VIP Shwetna aur Luna to pass me ludhki padi thi, jo usbasi leti, angdai le rahi, fir ye VIP kaun aa raha??...


Tabhi jhannatedar kisi adhikari ke poshak me, bilkul taro taza hokar pahunch rahe the, Ansh aur Nandni…. Bilkul hi-profile rera tha dono ka... Aisa jaise marvel ke Nick fury bane ho... Filmi kida to waise bhi inhe paida hone ke sath ki kaat liya tha…


Apne mausa aur massi ka first look dekh'kar dragon babies hooting karne lage… Nandni upar se shant ander se muskurati kewal najro ke ishare se sabhi bachhon ko shant karwa dee...


Nandni kisi ek agent ko dekhi, aur wo kisi rattu tote ki tarah…. "Aap sab ka OMU headquarter me swagat hai… Aapke samne hai Organisation of Middle Universe (OMU) ke Intelligence director Nandni aur deputy director Ansh"...


Tabhi Nandni poore attitude me apne hath upar karti… "Tum sab apne kshetr ke bahut bade naam ho sakte ho... Koi Sahjada ho sakta hai, to koi master, to koi queen, to koi prince... Lekin OMU ke najar me bus ek sipahi ho. Humare pass 17 mastisk mahal ki official report hai... Middle Universe me ye mahal Zoren Grah par hai aur dusra Prithvi par... Baki ke 15 mastisk mahal, jahan Astak jaise mahal ke upasak hone ki poori-poori ummid hai, wo universe ke 15 alag alag hisson me hai"…

"Main OMU ki intelligence aur operations head hone ke nate "The Glaxian" team ki ghosna karti hun, jiska first assignment hoga, aprakritik mashtisk mahal ko brahmand ke nakshe se mita dena, taki Prellel World ka poora rasta band ho jaye. Sath hi sath iss mahal se mili takat ko hum dekh chuke hain, jo amanviya aur aprakritik chijon ka srijan karti hai. Isliye mahal ke sath uske upasak ko bhi khatm kar dena hai"

"Nischal, Jivisha, Serin, HuYu, Sohan, Mohan, Gopal, Bitti, Meena, Sonu, Monu, aur inke kuchh sathi, ek team ka hissa hain."

"Aap sab headquarter me report karenge, jahan 2 aur swatantr team ke sath, ek official OMU ki Glaxian team se aap sab ki mulakat hogi, jo mere single command ke ander iss assignment ke liye niklegi."

"Be sharp at 2 PM. Maan'ne ya na maan'ne ke liye ye koi proposal nahi hai. It's an order".


Nischal, Jivisha, Serin, HuYu sab ke sab stabdh... Iss chhodi ko subah-subah kya ho gaya… Nandni gayi aur ye log sabhi uske tevar par hanste huye taiyar hone ke liye nikal gaye...



Wahin Viprit duniya me Adharv aur Savdha ek bade se minar par khade the... Kale lahrate libas me, dono uss minar par khade... Niche jahan tak najar jaye fauj hi fauj... Aur sabse aage ke katar me uske sabse karibi log...



"Kisi ne Baba ko mul duniya me maar dala hai... Kya hum itne kamjor ho gaye ki koi bahri duniya ka insan humare baba ko maar daale, aur hum iss duniya me sok manaate rahe"…


"Badla.. Badla... Badla... Badla.. Badla .. Badla… Badla... Badla.… Badla"


Charo ore maidan se badle ke naara gunjne laga... Adrav sabko hath dikhate...


"Unka gala chirkar khun se hum Mul Duniya ki dharti ko sinch'kar, wahan ke cahappe chappe par "Maracian Samrajya" ka naam likh denge... Rohela, Maya, Naveed aur Soram.. apni tukdi ke sath khoj dalo chappa-chappa iss viprit duniya ka, aur dhundh nikalo mul duniya ka wo rasta, jo kabhi koi band nahi kar paye… Hum wahan apne kahar se unhe samjhayenge ki kya galti wo kar gaye"...
To ye hui kahani khatam paisa hajam, magar saala ye to aur jyada Locha ho gaya hai. The Glaxian mein koun koun hai, agla mission kya hai. Supramarich ki beti aur damaad ka kya hoga, abhi to bahut kuch baaki hai. Jaldi se next part lao iska.
 

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
To ye hui kahani khatam paisa hajam, magar saala ye to aur jyada Locha ho gaya hai. The Glaxian mein koun koun hai, agla mission kya hai. Supramarich ki beti aur damaad ka kya hoga, abhi to bahut kuch baaki hai. Jaldi se next part lao iska.
Kahani ke bare me kuch naa likhe.... Khair ye wala part tie up hai bhanvar २ se... Jahan Jahan vyom hai wahan wahan bhanvar २ ke mission hai... Pahle wo to aa jaye...
 
  • Love
Reactions: Lib am

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,287
158
Kahani ke bare me kuch naa likhe.... Khair ye wala part tie up hai bhanvar २ se... Jahan Jahan vyom hai wahan wahan bhanvar २ ke mission hai... Pahle wo to aa jaye...
Ab aur kitna likna hai kahani ke baare mein laalchi inshaan. Lekhak to ek hi hai naa har kahani ka, to taareef to lekhak ki hi hogi naa. Bas kahani to bahut hi rochak, shandaar aur jhakas thi magar meri kuch shikayate hai.
  • Jivisha aur Nischal ka pyar bahut hi kam dikhaya gaya dono hi parts mein
  • Serin ki hamshakal ko gayab hi kar diya gaya
  • Hamare chote love birds bhi gayab kar diye gaye
  • Bade bhaiyya aur Jyoti bhabhi ki nok jhok bhi nahi dikhi
  • Mukhiya ji aur parivar bhi gayab tha
  • Nischal ki doosri biwi ka bhi kuch nahi bataya gaya tha
  • Nayjo samuday ki ladkiyo ka kya hua aur kya Nischal unse koi badla lega
Baaki sab mast aur ek dum chakachak tha. Planning kya khatranak thi ki supramarich ka baap bhi nahi soch sakta tha ki aisa bhi kaand ho sakta hai. Yudh mein Sirin aur Nischal ne jo aatank machaya tha wo to alag hi level tha aisa lag raha tha ki dono judva hai aur ek doosre se communicate karne ki jarurat hi nahi hai. Jivisha aur Nandini ne Supramarich aur Astak ki har chal ki watt lagayi thi wo to gajab hi tha. Parthvi se fighters ne bhi bahut hi shaandaar pradarshan kiya tha. Jaisa ki Nischal ne aakhir mein kaha tha ye poora team effort tha. Bahut hi detailed, well researched aur complex story aur updates the. Thank you Mr. Writer
 

mehug

Active Member
822
1,357
123
Update:-2






Somewhere In Universe...

Fauj ke kayi 5 bade-bade jahaj ek unknown planet par utar rahe the.. Har viman ke upar saaf aksharon (word) me likha hua tha.. "Middle State Of Aizem Planet"…


Sare viman kisi Aizem Grah ke Madhya Rajya se the, jinke hajaron ke tadat ki sainya tukdi us jagah par utar rahi thi.…


Viman ke land hote hi sainik apne viman se bahar utar'kar ek katar bana rahe the. Har sainik jaise hi us jamin par apne paun rakhta, bus itna hi khyal unke man me aata, "Kya manhush si jagah hai"


5 katar me tukdi khadi thi, aur har sainik umda technology se laish hathiyaron ke sath khade the... Har katar ke sabse aage me uss tukdi Front Officer khada tha, aur un 5 Front Officer ko command dene ke liye ek Suzerain thi.


Sabhi soldier jabtak katar laga rahe the, Suzerain Meerasi apne ek chief officer Nizal ke sath char kadam chal'kar us jagah ka muvayna karne lagi.. khusk hawa, hawa me ret ke kan.. charo ore bilkul tapa dene wala tapman aur jahan tak najar jaye kewal ret hi ret...


Kuch hi samay me puri tukdi katar me thi, Nizal bhi aakar apni team ke sath khada ho gaya.… Aur Meerasi apne tukdi ko mission samjhati...


"Aizem ki Uttari seema walon ne humare rajya me isi planet ke kisi janwar ko chhoda tha.. Us janwar ka tracker tum sabke screen par flash ho raha hai... Har tukdi ko uss janvar ko chhip'kar dhundhna hai.. anukul mauka dekh'kar usse maar dalo aur sabse aham baat.… Uttari seema wale iss kshetr me ghuse the, is baat ka sboot dhundh nikalo, chalo jao jao jao jaldi se jao"…


Meerasi sabhi soldiers ko command dene ke baad apne commanding viman me gayi aur wahan se har kisi par najar banayi hui thi.. jaise-jaise ye kshetr explore ho raha tha, Meerasi ko apne air-conditioned viman me bhi pasine aane lage the...


Soldier tukdiyon ki vaman jaise-jaise us kshetr ko scan kar rahi thi, kafi visamtayen aur khuffnak si jagah dikh rahi thi.. Har 50 kilometre par yahan ki jalwayu aur kshetr puri tarah se badla hua tha...


Retila ilake ke samapt hote hi ek bahut lambi aur utni si chaudi nadi wahan se gujarati thi, jiske pani ki dhara itni tej thi ki wo ummid ke pare the.. Uske thik aage jungle aur pahad shuru hote the, jiske pedon ki unchai aasman chhute the.


Jungle bhi kafi ajib, jiske bare me na to aaj tak kabhi dekha aur na hi suna... Har ped takriban 2000 fit mota aur 8000 se 10000 fit uncha tha.. aisa lag raha tha building ke badle yahan ped hi khade rahte hai...


Unki sakhayen itni moti thi ki aisa lag raha tha wo sakha na hokar, 1000 sal purana koi bargadh ka ped nikla ho dayen bayen se.… aur har sakha par viman ke barabar ki chidiyon ne jaise ghosla bana rakha ho...


Shwansen to tab ruk gayi, jab soldier aircarft ko achanak hi dayen-bayen puri takat se modne pare, kyonki junglon ke aage badlon se bhi unche pahad the, jinme se kayi to sakriya jwalamukhi the...


Meerasi, apne opretor ko dekhti hui... "Kya isliye is planet ka naam, Final Planet rakhe huye the kyonki iski jamin par ruke to hum apne final place ko dekhenge"…


Operator:- Meerasi mujhe nahi lagta ki yahan ki jamin par utarkar, yahan ke kisi janwar ko le jaya bhi ja sakta hai... Wo janwar yahin ke kshetr ki kisi antriksh yatri ki galti se apne elaake me pahuncha hoga."…..


Operator aur Meerasi dono baat kar hi rahe the, tabhi samne ke screen par jaise hi najar gayi, Meerasi chillati hui kahne lagi.… "Abort the mission"… "I repeat abort the mission"…


Najron ke samne kaleja chid'kar bahar nikal aaye aisa drishya tha. Dur-dur tak jahan najar jaye bada sa sapaat maidan, jahan par the Final Planet par basne wale jiv...


Koi apne kaamsutra me laga hua tha, to kayi aapas me khel rahe the.. maidan ke is bhag me halke laal rang me nar aur halke pile rang me madayen thi, jo 5-6 ke jhundh me the aur aapas me kayi sare kamo me sanlipt the...


Maidan ke is hisse me kya ho raha tha uska aaklan karna bilkul hi muskil tha, kyonki ek najar jo wahan ke jiv ko dekh le, wo heart attack se mar jaye... Sabhi stanpayi (mammals), apne dono paun par khade hone wale.. nar ka pura sharir halke balon se cover the..


Unke sarir ki banawat to insano ki tarah hi thi.. purn nange insan jis swaroop me milenge, unki roop Rekha aur banwat bhi waisi hi thi.. kewal jo anter tha wo uske sharir ka rang jo halke laal aur halke pile rang ka pratit hota tha.. aur unka aakar...


Aakhen fat jaye unka aakar dekh'kar, kuch aur fat jaye dekhkar wo to anterman ki pukar hai. Baharhaal jo najron ke samne the... unka aakar kuch yun tha ki paun ka ek panja 15 fit ki lambai ka hoga.. unka sarir kam se kam 30 fit ka ilaka gher leta ho, aur unki lambai kam se kam 200-300 fit to hogi hi... dekhkar hi shwans tham jaye..


Alag-alag disha se urr'kar jaise hi pancho viman us maidani ilake me the, sabki fat'kar hath me aa chuki thi... Meerasi abort the mission kah to rahi thi, lekin wahan khel rahe bachon ne jaise koi urrta hua khilona pakad liye ho.. pal bhar me hi pachon viman wahan khel rahe bachon ke hath me thi, aur pal bhar me hi sab jamin par..


Jaise hi yah ghatna hui, wahan ke kuch niwasi ne dekha aur sab ek sath chillane lage... Kaan faad wo chillana tha, jise sunkar kya-kya fat chuka tha viman me baithe sainikon ka, wo to wahi achhe se explain kar sakte the. Un giant insano ka samanya roop se baat karna hi behra kar de, fir to ye log jod-jod se chilla rahe the...


Mission abort hone se pahle hi pachon viman chhatigrast hokar maidan me the aur charo ore se unhe giant insan ghere... "Sabhi abhi bahar aa jao"… Itna kahkar ek giant insan ne pachon viman ke bich khali jagah me mukka maar diya...



Mukka parne se jo wahan kampan aur awaj paida hui, uske bhay se sabhi apne viman se bahar nikal aaye.. har kisi ke chehre par dar saaf dekha ja sakta tha.. kayi sainikon ke halakh sukh chuke the to kayi apni paint gili kar chuke the…


3000 hazar ki bhid me chand logon ko chhod diye jaye to sab yahi soch rahe the ki paun ke niche kuchle jayenge ya chutki se masle jayenge..


Meerasi yah najara dekhkar oprator ko missiles activate karne boli aur viman ko unke ilake me lene ke liye kah di.. Meerasi ke order turant follow huye... 2000 fit ki unchai par Meerasi ne apne viman sthir ki aur upar se announce karne lagi... "Hum dushman nahi hain dost hain.. hum yahan kisi ko nuksan pahunchane nahi aaye, humare logon ko jane do"


Meerasi ki awaj niche pachon viman me lage bhonpu se gunjne lagi, jise sunkar wahan ki fijaon me paglon wali hansi gunjne lagi… Ek giant insan ne jhuk'kar apne mutthi me 4-5 sainikon ko utha liya aur uske pass wale uske sathi ne uske hatheli par tali baja dali...


Sabhi soldirs aise hatheli par chipak gaye jaise machhar ko markar chipka diye ho.. aur wo giant insan apni hathli wahan ke khade viman ke ore kar diya.. Meerasi ka khun puri tarah se khaul gaya.. ataack ke aadesh dekar Meerasi ne apne viman me loaded chhote missaile se humla kar di..


Niche se goliyan barasni shuru hui aur upar ke viman se missile... 5 minute me hi wo ilaka dhuwan-dhuwan ho chuka tha. Meerasi operator ko rukne kahi aur dhuwa chhatne ka intzar karne lagi..


Jaise hi wahan ka dhuwan hata, samne giant insan khamosh khade the.. unme se ek ne fir se apne hatheli par 4-5 soldier ko rakha aur uska dusre sathi ne tali dete huye sanbko hatheli par chipkate huye kahne laga… "Yahan kewal tumhara bahubal kaam aayega, baki ke hathiyar Jin tatvon (ingredients/chemical) ke bane hai yahan ke jalwayu unhe un tatwon me ghol degi"…


Meerasi ko aisa laga jaise wo sadme me na kahin chali jaye.. test karne ke liye usne ilaka saaf karne wala missile chhod dee, jo 20 kilometer ke kshetr ko malwe me tabdil kar deta, bina dimag me dusra khyal laye ki niche wahan uske log fase hai..


Missile chhuta aur agle hi pal kewal wahan dhwan hi dhuwna tha aur dhuwan jab chhata tab is baar sabhi giant hans rahe the. Is baar 10 giant ke hateli par takriban 150 se jyada soldier...


Tabhi achanak wahan hooting hone lagi.. sabhi soldiers ek sath chillane lage.. hatheli par bhi jo khade apni maut ka soch rahe the.. wo sab bhi siti bajane aur hooting karne me lage the…


Haan unki awaj bahut dhimi giants ke kano me ja rahi thi, lekin jaa jaroor rahi thi... Upar aasman me jab unhone dekha to Meerasi ki viman ke sath dusra viman bhi pahunch chuka tha... Unhe aisa laga jaise us viman se koi chhoti si chij chhalang laga'kar niche kudi hai, jo teji se unke ore badh rahi hai...


Niche sainikon ki dhimi aa rahi hooting par wo sab hansne lage, mano kah rahe ho "pagal kahin ke" aur agle hi pal har hatheli par tali tokhne ke liye unka dusra sathi taiyar tha...


Ye bada sa 20 fit ka panja hawa me ek sath aur agle hi pal aise laga jaise wahan ke mahol me khamoshi si chha gayi... 10 giant jo apne hath upar kar chuke the, jabtak apne hath niche karte, kisi ke bahubal ne un giants ki pariksha leni shuru kar di thi...


10 giant jo hath uthaye tali marne ko taiyar the.… ek ke baad dusre aur fir teesre ne mehsus kiya ki ek hawa ka patla jhonka unke pass aaya aur gaya.. aur itne hi der me unka vishal, sharir sar se lekar paun tak, kayi hisson me bantkar khun ki dhar chhodte huye jamin par gira para..


Uss Bahubali ne tabahi ka yah manjar, sabhi giant ke palak jhapkne se pahle hi dikha chuka tha.. 10 uthe hath jo apne sathi ke hath par tali ki thap dete. Wo sabhi hath niche aane se pahle kat chuke the...


Kisi bhi giant ke muh se awaj nikalne se pahle hi bhadi bhadkam maans ke lothre maidan me the, aur ek ladka apne logon ke bich sina tane khada tha, jiske bade se khanjar se khun tapak raha tha…


Sabhi sainik wapas se hooting karne lage.. charo ore.. Nischal, Nischal, Nischal, Nischal... ki gunj hone lagi…


Pal bhar ka hi samay to liya tha Nischal ne aur 200 se 300 fit se unche 10 tower ko wo apne khanjar se mahaj chand second me chid-faad'kar niche jamin par gira chuka tha... Unke pass itna waqt bhi nahi tha ki apni maut ki pira par chilla de.. Na hi Nischal ne unhe itna waqt diya ki pahle wale giant ke ander jab wo khanjar dal raha tha, to aakhri wala apni tali ki thap de de.. aisa laga jaise slow motion me 10 hath niche aa rahe the jo inch dar inche niche aate-aate kat fat'kar bikhar gaye...


Gahri si chinkhen aur gusse se pagal giant insano ka swaroop pal bhar me aaya.. aur tabhi Nischal apne viman me lage bhonpu se sabko sunane laga...


"Doston ye kanjar beraham hai... Ek baar jab katna shuru karti hai to fir tum dekhoge ki tumhari aabadi kam ho rahi hai, lekin kuch kar nahi paoge... Charo ore bebas sa mahol hoga aur mai tumhe chinkhne ka bhi waqt nahi dunga"…

"Mai har safar par apni aakhri manjil soch'kar nikalta hun.. jise bhi mere khanjar ka shwad chakhna hai wo aage aa jaye.. Aur yadi aisi chahat na ho to humne aapas me bahut khun baha liya, koi hai jo baat kare ya fir tum sabko kaat'kar hi mai apne logon ko yahan se le jaun"…
Lajawab update
 
Top