• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller BEGUNAAH ( Completed )

Mr. Perfect

"Perfect Man"
1,434
3,733
143
Behad hi shandar update tha shubham bhai______
Pratiksha apne bhai ko samjha rahi hai ki vidhi se faaltu me itna dar raha hai. Kafi intresting hai ye ladki. Lagta hai ab yahi bhai ka uddhar karegi______
Vidhi ne inspector ko jab bataya ki uske dad company ke kisi ladke se uski shadi ki baat kar rahe the to inspector uski is baat se dukhi ho gaya. Ye sach me buddhu hi hai. Ladki khula signal deti hai magar ise kuch samajh hi nahi aata budbak kahi ka______
Vidhi sach me tej dimag ki hai. Agar sach me avinas ki memory wapas aa gai hai to wo jarur vidhi ke ghar se nikal jayega. Usne sahi kaha ki nakab wale ko ghar me ghusne ki jarurat hi nahi hai. Uska shikar to khud hi uski pakad me aa jayega. Vidhi ki baato se inspector shock tha_______
Pratiksha to ek bhi mauka nahi chhodti hai. Uski baat se vidhi bhi chup rah gai thi jab usne inke kya hota hai kaha tha. Dekhte hain kya hota hai_______


BEGUNAAH
Update - 26
_________________________



Ab Tak,,,,,

"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha______"Zyada dimaag par zor na dala karo. Tumhari yaad daast ko jab waapas aana likha hoga to wo khud hi aa jayegi. Khair ham chalte hain dear. Tumhe agar abhi aur taazi hawa ka lutf lena ho to le lo."
"Nahi ab main bhi chaluga sahab ji." Avinash ne kaha_____"Yaha kafi der se hu aur ab achha mahsus ho raha hai. Waise bhi ab shaam ho chuki hai."

Dushyant seedhiyo ki taraf chal pada to uske piche avinash bhi chal pada. Kuch hi der me wo dono apne apne kamre me pahuch gaye. Apne kamre me pahuch kar dushyant ne apni wardi utaari aur normal kapde pahan kar bathroom me ghus gaya. Uske man me kayi saare vichaar ubhar rahe the. Uske zahen me sabse pahla sawaal yahi aaya tha ki uske puchne par kya avinash ne sach bataya tha ya jhuth.? Aapni yaad daast na aane ki baat kah kar kya avinash ne usse jhuth bola tha ya sach me uski memory waapas nahi aayi hai.?


Ab Aage,,,,,

"Ye jagah to pahle wali jagah se bhi zyada achhi hai jai." Saundarya ne ek bade farmhouse ke gate ke andar aane ke baad saamne dikh rahe ek bade se kintu do manjila ghar ko dekhte huye kaha______"Sach me yaha bhi door door tak abaadi nahi hai lekin iske jaise farmhouse aur bhi hain yaha. Kya unme koi rahta nahi hoga.?"

"Farmhouse shahar se door aisi hi jagaho par bade bade log banwate hain dear." Jai ne ghar ke darwaze ki taraf badhte huye kaha______"Taaki unhe shahar ki tarah shor sharaba na sunne ko mile. Yaha wo log ekaant me sukoon ke sath kuch din rahte hain aur apne pariwar ke sath apna wakt guzaarte hain. Uske baad wo fir yaha se chale jate hain."

"To kya fir yaha koi nahi rahta.?" Saundarya ne jai ki taraf dekhte huye pucha.
"Farmhouse ke maalik yaha ki dekh rekh ke liye ek do aadmi rakh dete hain." Jai ne darwaze ke key hole me ek moti si chaabhi daalte huye kaha______"Is farmhouse me bhi do aadmi the jinhe hamare aane se pahle hi yaha se hata diya gaya hai. Tum to janti hi ho ki ham kisi ki nazar me nahi aana chaahte."

"Haan ye to hai." Saundarya ne thandi saans chhodte huye kaha______"Pata nahi is tarah hame kab tak duniya walo se chhup ke rahna padega.? Baar baar thikana badalne se main to ab ukta chuki hu."
"Fikar mat karo dear." Darwaza khol kar andar daakhil hote huye jai ne kaha______"Ab hamare vanwaas ki awadhi khatm hi hone wali hai. Uske baad ham dono apne ghar me ek sath khushi khushi rahege. Bas ek baar wo ho jaye jiske liye ham itne saalo se dar dar bhatak rahe hain, uske baad hame kisi bhi chiz ki tension nahi rahegi."

Jai ki ye baat sun kar saundarya ne kuch nahi kaha balki wo andar aane ke baad is ghar ki banawat aur sundarta ko dekhne lagi thi. Ye farmhouse kafi bada tha. Chaaro taraf se uchi boundary wall thi aur bicho bich do manjila imaarat bani huyi thi. Jai is jagah ko do hapte pahle dekh chuka tha aur tabhi se usne yaha rahne ke bare me soch liya tha. Ab ye hairaani ki aur sochne wali baat thi ki is jagah par rahne ki byawastha usne kaise kar li thi.?

Thodi hi der me farmhouse ke andar wo tempo daakhil hua jisme uska samaan load tha. Tempo me jo log the unhone tempo se sara samaan utaar kar ghar ke andar rakhna shuru kar diya. Zyada samaan nahi tha kintu zarurat ki har chiz zarur thi. Kareeb ek ghante me sara samaan ghar ke andar sahi tarike se jama diya gaya. Uske baad jai ne tempo me aaye aadmiyo ko kuch paise diye aur unhe kuch zaruri hidaayate de kar farmhouse se vida kar diya.

Shaam dhal chuki thi. Jai aur saundarya samaan ko set karne aur karwane me thoda thak bhi gaye the is liye kuch der dono ne araam kiya, uske baad dono ne ek sath hi bathroom me snaan kiya. Saundarya raat ke liye kitchen me dinner taiyar karne lagi thi jabki jai ghar se baahar aa kar lawn me kisi se phone par baat karne laga tha. Baat karte wakt uske chehre par aise bhaav gardish karte nazar aa rahe the jaise wo kisi baat se behad khush ho.


<>•<>•<>

Dushyant chhat se niche aaya to dekha dring room me koi nahi tha. Kitchen se zarur halki halki awaaze aa rahi thi. Use samajhte der na lagi ki vidhi kitchen me hai. Uske dil ki dhadkane ye soch kar fir se tez ho gayi thi ki uski bahan ki vajah se jo kuch hua tha usse jab wo vidhi ke samne pahuchega to wo usse kya kahegi.? Kitna samjhaya tha usne pratiksha ko magar koi faayda nahi hua tha. Ab wo ye soch soch kar chintit ho raha tha ki uski natkhat bahan aage aur kya kya gul khilayegi jiski vajah se uski haalat kharaab hogi.?

Kitchen ke gate se dushyant ne chupke se andar ki taraf dekha. Kitchen ke andar vidhi khana banane me lagi huyi thi. Ye dekh kar dushyant dabe paanv waapas palta aur fir dabe paanv hi kitchen se hat kar seedhiyo ki taraf badh chala. Seedhiyo se hote huye wo vidhi ke kamre ke paas pahucha.

Dushyant ne vidhi aur pratiksha ki baate sun li thi is liye use pata tha ki uski bahan vidhi ke kamre me hi hai. Isi liye wo uske paas aaya tha taaki use fir se samjha sake. Kamre ka darwaza band tha is liye usne darwaze par knock kiya to andar se pratiksha ki awaaz aayi. Wo abhi aayi kah kar shayad darwaza kholne aa rahi thi. Kuch hi palo me darwaza khula aur bhai bahan ki nazre ek dusre se mili. Pratiskha dushyant ko dekhte hi pahle to muskuraayi fir ekdam se uska chehra latak gaya.

"Sorry bhaiya." Fir usne chehra latkaye huye hi maano udaas bhaav se kaha______"Mujhe yaad hi nahi raha tha ki aapne mujhe kya samjhaya tha. Par isme meri bhi zyada galti nahi thi. Darasal bhabhi itni zyada sundar thi ki unhe dekhte hi main sab kuch bhool gayi thi aur fir excitement me mere muh se unke liye bhabhi ji namaste nikal gaya tha...haan nahi to."

"Koi baat nahi gudiya." Dushyant ne kamre me daakhil hote huye kaha______"Lekin ab aisa dubara mat karna aur use bhabhi waabhi to bilkul bhi mat kahna. Wo sirf meri dost hai aur wo bhi mujhe sirf apna dost hi maanti hai. Is liye ab is baat ko achhe se yaad rakhna, thik hai na.?"

"Mujhe to lagta hai ki aap bewajah hi itna dar rahe hain bhaiya." Pratiksha ne halki muskaan ke sath kaha______"Bhabhi to bahut achhi hain aur unhone us wakt mujhe bhabhi kahne par kuch kaha bhi nahi tha....haan nahi to."

"Uffff fir bhabhi kaha tune." Dushyant ne pareshan lahje se kaha______"Maine tujhse kaha na gudiya ki ham sirf dost hain aur usne us wakt tujhe is liye kuch nahi kaha kyo ki wo teri pahli galti thi aur anjane me tujhse huyi thi magar dubara tere dwara aisa kahe jane par wo gussa ho jayegi. Uske baad wo ham dono ko yaha se baahar ka raasta dikha degi."

"Mujhe nahi lagta ki itni achhi ladki itna khatarnaak kaam karegi hamare sath." Pratiksha ne kaha_____"Aap to khamakha dar se kaape ja rahe hain. Aap mere wo bhaiya nahi hain jo kisi se bhi nahi darte the....haan nahi to."
"Ab main tujhe kaise samjhaau gudiya.?" Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_______"Achha chal jane de. Tu araam kar le main ja raha hu."

Dushyant ye kah kar kamre se baahar nikal gaya jabki uske is tarah chale jane par pratiksha dhimi awaaz me hasne lagi thi. Fir usne darwaza band kiya aur bed par aa kar let gai. Dushyant ke aane se pahle wo fresh ho kar aur dusre kapde pahan kar hi bed par araam karne ke liye leti thi.

Idhar dushyant man me kayi tarah ki baate sochte huye niche aaya aur dring room se hote huye baahar ke darwaze ke paas pahucha hi tha ki piche se aayi vidhi ki awaaz se use ruk jana pada. Vidhi ne use rukne ke liye awaaz di thi. Dushyant samajh gaya ki ab uski class lagne ka time aa gaya hai. Usne ek gahri saans li aur palat kar vidhi ki taraf dekha.

"Is tarah chup chaap kaha bhaage ja rahe ho tum.?" Vidhi ne apne dono hath kamar me rakh kar aur use ghoorte huye kaha tha. Wo kareeb paanch kadam ki doori par hi khadi thi.
"Na...nahi to...main to kahi nahi bhaaga ja raha." Dushyant uski baat se ekdam baukhla gaya tha_____"Main to darwaze ki kundi lagane aaya tha."

"Kundi to maine usi wakt laga di thi jab tum apni bahan ko le kar aaye the." Vidhi ne usi position me apni kamar par haath rakhe huye kaha______"Aur zara ye to bataao ki tum pratiksha ko ye kya sikha padha kar laaye ho.?"

"Kya matlab.???" Dushyant ne buri tarah chaunkte huye kaha______"Maine bhala use kya sikhaya padhya.?"
"Zyada bhole mat bano tum." Vidhi ne sapaat lahje me kaha______"Tumne bhi achhi tarah suna tha ki usne mujhe kya kaha tha. Matlab ki jab maine tumhare pyar ko accept nahi kiya to ab tum pratiksha ki aad me ye sab karne lage.?"

"Tum galat samajh rahi ho vidhi." Dushyant uske paas jate huye gambheer bhaav se bola______"Maine pratiksha ko iske liye kuch bhi nahi sikhaya padhaya aur na hi main aisa karne ke bare me soch sakta hu. Meri nazar me ye sab karna had darze ka ghatiya kaam hai. Tum khud socho ki jab main khud hi tumhe kah chuka hu ki tumhe mere liye majbur hone ki koi zarurat nahi hai to fir main tumhe majbur karne aur karane wale kaam kaise karuga.? Ye sab maa ki vajah se hua hai. Jab tumne us din unse phone par baat ki thi tab unhone shayad ye samajh liya hoga ki ham dono ke bich aisa waisa rishta hai. Is khushi me unhone pratiksha se bhi ye sab bataya hoga. Ye sab usi vajah se hua hai. Agar tumhe is baat se bura laga hai to main pratiksha ki taraf se uske liye tumse maafi maagta hu."

"Zyada senti hone ki koi zarurat nahi hai." Vidhi ne usi sapaat lahje me kaha______"Mujhe pratiksha ke dwara waisa kahne ka zara bhi bura nahi laga hai. Wo to masoom hai. Mujhe laga waisa kahne ke liye usse tumne kaha hoga."

"Bilkul nahi." Dushyant ne kaha______"Main usse waisa kahne ke liye kah hi nahi sakta. Mujhe jo kahna tha wo maine pahle hi tumse kah diya tha."
"Khair chhodo is baat ko." Vidhi ne palat kar sofe par baithte huye kaha. Wo man hi man has rahi thi dushyant ki hawa nikaal kar. Idhar dushyant ne bhi maano chain ki saans li thi aur fir aa kar uske samne wale sofe par baith gaya.

"Wakeel sahab se baat cheet huyi tumhari.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye pucha.
"Haan wo subah gyaarah baje ke kareeb aaye the." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Yaha wo ek ghante tak rahe. Hamare bich kafi saari baate huyi. Pahle to unhone yaha ki aisi security ke bare me mujhse pucha to maine unse saari baate bataayi jise sun kar wo kafi hairaan the. Uske baad business aur property se related baate hone lagi. Maine bhavnagar wali company ko chhod kar baaki teeno ko bench dene ke liye unse kah diya hai. Property me ye ghar aur bhavnagar wale bangale ko bachaya hai aur sath hi ek farmhouse ko bhi. Baaki property ko bechne ki baat kahi unse. Uska jo paisa hoga usme se adhe paise se maine ek naya anathashram kholne ko kaha unse. Usme sabhi anaath bachcho ka paalan poshan aur unki padhaayi ka sara kharcha hamari taraf se diya jayega. Uske alawa kuch paisa har mahine sameep ke hi ek briddhashram ko dene ki baat huyi."

"Ye to bahut hi achhi baat hai." Dushyant ne kaha______"Tumhare apne jiwan ke liye itni property aur paisa hi paryaapt hai."
"Sahi kaha." Vidhi ne kaha_____"Company ke sare workers ka hisaab puri imandari se kar ke unhe unka paisa diya jayega aur sath hi sabhi workers ko meri taraf se ek ek lakh rupaye diye jayege taaki kisi ke bhi man me asantosh na rahe. Bhavnagar wali company ka sara kaaryabhaar ab meri dekh rekh me hoga. Iske liye mujhe daily waha par jana hoga. Ye maine khud decide kiya hai kyo ki yaha akele baithne se behtar hai ki main isi me apna wakt bitaau."

"Starting me." Dushyant ne kaha_____"Thodi problem hogi jaanne samajhne me magar baad me tumhare liye sab easy lagne lagega."
"Haan ye to hai." Vidhi ne kaha_____"Waise dad ke bharosemand aadmi hain waha jinke bare me dad ne mujhe us din bataya tha ki wo meri puri help karege aur har chiz ke bare me baariki se batayege. Dad ne ye bhi bataya tha ki company me unka ek aur bharosemand byakti hai jo meri har tarah se help karega aur wo meri age se bas thoda sa hi bada hai. Dad ne us din ye bhi bataya tha ki wo byakti unhe bahut pasand tha aur wo use mera life partner banane ke bare me bhi soch rahe the."

"Ohh fir to ye aur bhi achhi baat hai." Vidhi ki is baat se dushyant ko zabardast jhatka laga tha magar fir jaldi hi usne khud ko samhaal liya tha______"Mere khayaal se tumhe jald hi company ka sara kaarybhaar samhaal lena chahiye. Main bhi ab koshish karuga ki ye case jald se jald nipat jaye taaki iski vajah se tumhe bhi is paabandi wali pareshani se nijaat mil jaye."

"Is case ke baad kya tum mujhse milne nahi aaoge.?" Vidhi ne dushyant ke chehre ki taraf dhyaan se dekhte huye puchha tha.
"Pata nahi." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha. Sach to ye tha ki vidhi ki us baat se uska dil toot sa gaya tha aur ab use vidhi ka vajood apne se bahut door hota dikhaayi dene laga tha jo ki uske liye behad dardnaak tha. Fir bhi apne machal rahe jazbaato ko samhaalte huye kaha_______"Is case ke baad tumhare is ghar me rahne ke liye mere paas koi khaas vajah bhi nahi rah jayegi. Main ek police wala hu is liye iske baad koi dusra case mil jayega jisme main busy ho jaauga. Dusri baat ye ki tum bhi iske baad yaha sara din akeli nahi rahogi. Tum bhi to apni company aur karobaar me busy ho jaaogi. Aise me ek dusre se milna milana shayad hi sambhav ho sake."

"Kamaal hai." Vidhi ne kaha______"Mujhse dosti ki baat karte ho aur ye bhi bol rahe ho ki milna milana sambhav nahi hoga.? Bhala ye kya baat huyi.?"
"Wakt hamesha ek jaisa kaha rahta hai vidhi.?" Dushyant ne feeki muskaan ke sath kaha______"Aaj wakt aisa hai ki avinash ke maamle ki vajah se ham dono is ghar me ek dusre ke aamne saamne baithe hain magar fir wakt badal jayega. Avinash ka maamla bhi nipat jayega aur mujhe bhi kisi dusre case me lag jana padega. Sab kuch badal jayega dost...na tum sara din yaha khaali baithi rahogi aur na hi main yaha aa paauga. Lekin haan is sab me ek cheez zarur huyi hai aur wo ye ki main na to is case ko kabhi bhool paauga aur na hi tumhe. Tumhare sath guzre huye chand dino ke ye lamhe mere liye ek khubsurat yaad ban kar rah jayege, jo mere dil ko khushi bhi denge aur shayad dard bhi."

"Ohh tum to senti ho gaye." Vidhi ne larazte huye swar me kaha aur fir sofe se uthte huye boli______"Main ham dono ke liye chaay bana kar laati hu."
"Hmmm." Dushyant iske siva kuch na bol saka. Uske dil par is wakt bada tez tufaan utha hua tha. Uska ji chaah raha tha ki dahaade maar maar kar rona shuru kar de magar usne khud ko badi mushkil se samhala. Uske hotho par ye soch kar feeki si muskaan ubhar aayi ki kabhi kabhi ek mard kitna bebas ho jata hai ki wo kisi ke saamne ji bhar ke ro bhi nahi sakta.

Dushyant se chaay bana kar lane ki baat kah kar vidhi badi tezi se kitchen ki taraf aayi thi. Kitchen me aate hi wo kitchen ke base par aankhe band kar ke khadi ho gayi thi. Uski dhadkane badi tezi se chal rahi thi. Band palko ki koro se aanshu ke katre nikal kar uske surkh gaalo par gir pade the. Usne to bas chhedne ke liye dushyant se company ke us kalpnik ladke se apne life partner wali baat kahi thi. Use nahi pata tha ki uski un baato se dushyant itna zyada senti ho jayega jisse ki wo aisi baate karne lage. Use uski bhavnaao ka bakhubi ahsaas tha. Dushyant ki baato ne uske dil ko jhakjhor kar rakh diya tha. Wo jaanti thi dushyant use kis had tak chaahta hai aur ab to wo bhi use utna hi chaahe lagi thi. Ye alag baat hai ki apni chaahat ko khul kar usse kahne ki na to usme himmat hoti thi aur na hi wo apni sharm ko khud se door kar sakti thi. Dosti ke rishte se wo dushyant se har lahje me baate kar leti thi aur isme use na to jhijhak mahsus hoti thi aur na hi use himmat jutaani padti thi.

"Tum buddhu ke buddhu hi rahoge dushyant." Vidhi ne apne gaalo par ludhke aanshu ke katro ko ponchhte huye dhime swar me jaise khud se hi kaha______"Tum ye kyo nahi samajh rahe ki main bhi tumhe chaahne lagi hu.? Kya tumhe meri aankho me zara sa bhi apne liye prem nahi dikhta.? Are buddhu main to aise hi tumhe chhed rahi thi aur tum ye samajh baithe ki main tumse ab door ho jaaugi. Nahi jaan...ab to main chaah kar bhi tumse door nahi ja sakti aur na hi tumse door hona chaahti hu. Tumhe agar mere jaisi ladki ki talaash thi to fir tum bhi ab ye samajh lo ki meri talaash bhi tum hi ho."

Kuch der me chaay ban gayi to vidhi ne use teen cup me dala aur fir sabse pahle apne dupatte se apni aankho ki nami ko achhe se ponchha uske baad wo haatho me tray le kar kitchen se baahar aa gayi. Kuch hi palo me wo dring room me pahuchi. Usne dekha ki sofe par dushyant kisi soch me dooba hua baitha tha. Use is tarah soch me duba dekh vidhi ke dil me ek tees si ubhri. Wo jaanti thi wo is wakt unhi baato ke bare me sochte huye apne dil ko jala raha hai. Vidhi ko apne aap par ye soch kar behad gussa aaya ki usne use aisi baato ke dwara chheda hi kyo tha.

Vidhi ne dushyant ko awaaz di to uski tandra bhang huyi. Usne chaunk kar vidhi ki taraf dekha to vidhi ko apne saamne tray liye khade paya. Vidhi tray liye thoda sa jhuki to dushyant ne usme se chaay ka cup plate ke sath utha liya. Uske baad vidhi ne ek cup tray se nikaal kar center table par rakha aur fir tray liye seedhiyo ki taraf badh gayi. Kuch hi der me wo waapas aayi aur dushyant ke saamne sofe par center table se apna cup utha kar baith gayi.

"Avinash ko chaay nahi diya kya tumne." Chaay ki ek chuski lene ke baad dushyant ne vidhi se pucha.
"Usi ko to de kar aayi hu abhi." Vidhi ne shaant bhaav se kaha______"Pratiksha ke liye nahi banaya kyo ki abhi wo araam kar rahi hai. Jab wo araam kar ke aayegi to ham sab sath me hi dinner karege."

Vidhi ki is baat par dushyant chup hi raha. Uske chehre par aise bhaav the jaise wo abhi bhi kisi cheez ke bare me soch raha ho. Vidhi lagataar usi ki taraf dekhe ja rahi thi. Dushyant ka dhyaan kahi aur hi tha. Vidhi ke zahen me khayaal ubhra ki uski baato ka asar dushyant par shayad kuch zyada hi ho gaya hai. Tabhi to wo ekdam se shaant aur gumsum sa nazar aane laga hai. Vidhi ko is baat se apne aap par fir gussa aane laga ki uski bevkufi ki vajah se ye sab hua hai.

"Achha tumne bataya tha ki tumne us bhediye ko pakad liya hai." Vidhi ne maahaul ko pahle jaisa banane ki garaz se kaha_____"Jo us naqab wale ko yaha ki suchnaaye deta tha.? Usse us naqab wale ke bare me tumhe kuch pata chala kya.?"

"Ye sab us naqab wale ki sochi samjhi saajish thi." Dushyant ne sapaat lahje se kaha______"Kyo ki bhediye ke roop me jo shakhs pakad me aaya wo hamare police thane ka sabse zyada imandar byakti hai. Wo byakti thane me ek mamuli sa hawaldaar hai jisne apni ab tak ki service me kabhi kisi se ek paisa bhi rishwat me nahi liya. Tumhe maine hawaldar bhanu singh ke bare me bataya tha na.?"

"To kya..??" Vidhi ke chehre par chaunkane ke bhaav ubhre.
"Haan." Dushyant ne uske sawaal ko samajh kar use bich me hi tokte huye kaha______"Wo bhediya bhanu singh hi hai jabki sach ye hai ki bhanu singh ko jaan bujh kar bhediye ke roop me fasaya gaya hai. Asal bhediya to koi aur hi hai jisne bhanu singh ko fasaya hai."

"Baat kuch samajh me nahi aayi." Vidhi ka dimaag jaise ulajh gaya tha.
"Badi seedhi si baat hai vidhi." Dushyant ne kaha_____"Hame is baat ka shak ho chuka tha ki hamare department me koi aisa byakti hai jo us naqab wale ko hamare har kriyakalaap ki jankari deta hai. Is liye ham us bhediye ki khoj me lag gaye. Yahi baat us naqaab wale ko bhi pata chal gayi ki mujhe is baat ka shak ho chuka hai aur ab main uske khabri ko khoj raha hu. Is liye usne iske liye ek chaal chali jisme usne bhediye ke roop me bhanu singh ko hame pakadwa diya aur apne asal khabri ko hamari pakad se door kar diya."

"Par naqab wale ne aisa kiya kyo.?" Vidhi ne hairaani byakt karte huye kaha______"Aakhir aisa kar ke use kya laabh hua hoga.?"
"Aisa karne se." Dushyant ne kaha______"Use ye laabh hoga ki ham ulajh kar rah jayege aur dubara naye sire se uske bhediye ki talaash karege. Tum samajh sakti ho ki isme wakt lagega aur wo naqab wala shayad wakt hi chaahta hai. Filhaal to abhi uske laabh ke roop me yahi samajh aa raha hai magar mujhe yakeen hai ki aisa karne ke pichhe uska iske alawa bhi koi dusra maksad hoga."

"Aur kya maksad ho sakta hai uska.?" Vidhi ne maano sochne wale andaaz se kaha______"Ye bhi to ho sakta hai ki aisa kar ke wo avinash tak pahuchne ka koi raasta bana raha ho."
"Ho sakta hai." Dushyant ne kaha______"Kyo ki avinash ko haasil karna uski pahli priority hai magar avinash tak pahuchna uske liye namumkin hai. Tumne dekha hi hai ki yaha par security ka kitna tagda intjaam kar rakha hai maine. Boundary wall me gupt roop se aise sensors lagaye gaye hain jis se agar koi unauthorised person us diwaar ko touch karega to andar system me fauran alarm baj uthega. Uske baad yaha ki security fauran hi harkat me aa jayegi."

"Chalo ye maan liya ki yaha par wo naqab wala pravesh nahi kar sakta." Vidhi ne kaha______"Magar ye baat to naqab wale ko bhi pata chal chuki hogi ki tumne yaha kitni tight security ka intjaam kar rakha hai. Aise me bhala wo yaha aane ki murkhata karega hi kyo.? Mujhe to isme kuch aur hi maamla samajh me aa raha hai."

"Kaisa maamla.?" Dushyant ne vidhi ki taraf dhyaan se dekha.
"Meri theory 'Door Ki Kaudi' word se related hai." Vidhi ne khaas bhaav se kaha______"Halaaki badi simple si theory hai. Jaise tum ye samajhte ho ki us din ke accident se mumkin hai ki avinash ki yaad daast waapas aa gayi hogi waise hi is baat ko kya wo naqab wala nahi samajhta hoga.? Mera khayaal hai ki itna shaatir byakti zarur is baat ko samajhta hoga."

"Tum kahna kya chaahti ho.?" Dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Galat baat hai ye." Vidhi ne bura sa muh banaya______"Beech me kisi ki baat ko kaatna galat baat hai. Khair to main ye kah rahi thi ki waise hi is baat ko wo naqaab wala bhi samajhta hoga. Is baat ko le kar avinash ke sambandh me jo baate tum soch rahe the wahi baate us naqaab wale ne bhi sochi hogi. Yaani ki agar avinash ki yaad daast waapas aa gayi hai to use apne past ka sab kuch yaad aa jayega. Uske baad mauka dekh kar wo yaha se chup chaap khisak lega. Yaha se khisakne ke piche uska yahi maksad hoga ki uske sath jisne bhi bura kiya hai wo usse badla lega. Use to ye baat 101% pata hi hogi ki uske sath bura karne wala kaun hai. Is liye wo yaha se khisakne ke baad seedha apne dushman ke paas pahuchne ki koshish me jut jayega."

"Main abhi bhi nahi samajh pa raha hu ki tum kahna kya chaahti ho.?" Dushyant se raha na gaya to wo fir se bich me bol pada tha.
"Main asal mudde par hi aa rahi thi." Vidhi ne use ghoorte huye kaha______"Khair, to jaise tum ye sab baate avinash ke bare me uski yaad daast aane ki baat ko madde nazar rakhte huye soch rahe the, theek aise hi ye baate us naqaab wale ne bhi sochi hongi. Ab tum khud socho ki agar sach me avinash ki yaad daast aa gayi hai to wo tumhare anumaan ke mutaabik yaha se mauka dekh kar khisak jayega ki nahi.???"

"Haan kyo nahi." Dushyant ne jaise swikaar kiya_____"Kyo ki itna to saabit ho chuka hai ki uske sath past me zarur kuch bura hua hai is liye wo apna badla lene ke liye yaha se nikalne ki puri koshish karega magar main abhi bhi nahi samajh paya ki tumhare ye sab kahne ka matlab kya hai.?"

"Matlab to bada seedha sa hai mere pyare dost." Vidhi ne is baar muskurate huye kaha______"Jab tumhe khud lagta hai ki avinash yaha se khisak jayega to yahi baat wo naqaab wala bhi to sochta hoga. Aise me use avinash tak pahuchne ke liye is ghar me ghusne ki kya zarurat hai.? Uska shikaar to khud hi yaha se nikal kar uski pakad me asaani se aa jayega na."

Vidhi ki is baat se dushyant ke mano mastishk me jaise jhanaka sa hua. Dimaag ki batti badi tezi se jali aur fir palak jhapakte hi saari baat uski samajh me aa gayi. Chehre par aashcharya liye wo vidhi ko is tarah dekhne laga tha jaise vidhi ke sir par achanak hi tajmahal aa kar katthak karne laga ho.

"Door Ki Kaudi word se related meri ye theory inspector dushyant ko kaisi lagi.?" Dushyant ki haalat ka lutf uthaate huye vidhi ne muskurate huye usse pucha.
"Tumne to mujhe lajawaab aur hairaan kar diya yaar." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha______"Tumhari ye theory yakeenan kaabile taarif hai. Mere zahen me ye baat aayi hi nahi thi ki avinash ke sambandh me jo baate main soch sakta hu wahi baate wo naqab wala bhi to soch sakta hai. Aakhir wo bhi to dimaag se shaatir byakti hai. Tumne bilkul sahi kaha. Us naqab wale ko bhala is ghar me ghusne ki zarurat hi kya hai jabki uska shikaar khud hi yaha se nikalne ki khwaahish rakhta ho."

"Bilkul." Vidhi ne kaha______"Aur mere khayaal se usne tumhe isi liye uljhaya hai taaki tumhare zahen me ye sab baate na aa sake aur tum uske asal bhediye ko khojne me apna dimaag lagate raho. Jabki uska asal bhediya use ye batata rahega ki tum yaha kya kar rahe ho aur sath hi wo is ghar par bhi nazar rakhega taaki use is baat ka pata bhi chalta rahe ki avinash agar sach me yaha se nikalta hai to wo kab nikalta hai aur fir nikal kar kaha jata hai."

"Yakeenan tumhari in baato me vajan hai." Dushyant vidhi ke dimaag ki man hi man prasansha karte huye bola______"Lekin iska ek dusra pahlu ye bhi to hai ki agar avinash ki yaad daast sach me na aayi ho tab to naqab wale ke armaano par paani hi fir jayega."

"Avinash ki yaad daast aane aur na aane ke ye dono pahlu aise hain jinke vaastavik sach ka pata ham me se kisi ko bhi nahi hai." Vidhi ne kaha_____"Ham sab to iske bare me sirf apni sambhaavnaye hi byakt kar rahe hain lekin iska koi na koi pahlu to vaastavik sach me shumaar hoga hi. Ek pal ke liye ham agar ye maan le ki uski memory waapas nahi aayi hai to us surat me naqab wala yakeenan koi dusra raasta dekhega, kyo ki use to har haal me avinash chahiye. Wahi agar ye maan le ki avinash ki memory sach me waapas aa gayi hai to us surat me dono ke liye ye situation gambhir ho jaayegi. Ek taraf wo naqab wala hai jo aisi situation me kuch bhi kar ke avinash ko haasil karna chahega aur dusri taraf tum ho. Tum yakeenan ye nahi chaahoge ki itni security ke baavjud avinash yaha se nikal jaye aur wo naqab wale ke hath lag jaye. Kyo ki aise me mumkin hai ki tumhari naukari par sankat paida ho jaye."

"Mujhe lagta hai." Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha______"Ki itna to us naqab wale ne bhi mujhe nahi uljhaya hai jitna ki tumne apni in baato se mujhe uljha ke rakh diya hai."
"Isi liye to kahti hu." Vidhi ne ghoorte huye kaha______"Ki dhele bhar ka bhi sense nahi hai tumhare paas."

"Kiske paas sense nahi hai.?" Dushyant kuch bolne hi wala tha ki tabhi dring room me aate huye pratiksha ne pucha.
"Aree bada jaldi araam kar liya tumne." Vidhi ne baat ko badalte huye jaldi se muskura kar kaha.
"Haan bha......mera matlab hai ki main bed par leti to araam karne ke liye hi thi." Pratiskha ke mukh se bhabhi shabd nikalne wala tha magar fir use yaad aa gaya tha is liye jaldi se baat ko badalte huye usne kaha______"Magar fir mujhe aisa lagne laga jaise ki mujhe bhookh lagi hai. Ab aap to jaanti hi hain ki khaali pet araam bhi nahi hota. Isi liye kamre se yaha chali aayi...haan nahi to."

"Achha aisi baat hai kya.?" Vidhi uski baato se muskura kar boli______"Chalo koi baat nahi. Main tumhare liye garma garam khana ready karti hu. Tab tak tum inke paas baitho."
"Inke paas.?????" Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye shararat se muskura kar kaha______"Inke kya hota hai.? Bhaiya ka koi naam nahi hai kya.??"

Pratiksha ki in baato se jaha vidhi buri tarah jhemp gayi thi wahi dushyant ye soch kar ghabra gaya tha ki ab jane uski bahan vidhi se kya kya kahne lage. Udhar pratiksha ki is baat par vidhi ne khud ko samhaalte huye kaha______"Are mera matlab ye tha pratiksha ki tum apne bhaiya dushyant ke paas baitho. Bhala aisa kaise ho sakta hai ki tumhare bhaiya ka koi naam hi na ho.?"

"Wahi to." Pratiksha ne dushyant ke bagal me dhamm se baithte huye kaha______"Mujhe laga yaha aapke paas rahne se bhaiya ka naam hi gul ho gaya hai. Hehehe...haan nahi to."
"Isi liye tujhe kabhi apne paas nahi bulata tha." Dushyant ne sahsa kheejhte huye kaha______"Kyo ki tu bewajah anaap shanaap bolne lagti hai."

"Ab usne aisa kya kah diya jo tum us masoom par gussa karne lage.?" Vidhi ne dushyant ke chehre par naraazgi dekhi to usne jaldi se kaha______"Tum mardo ko kya pyar se baat karna nahi aata.?"
"Chal aa ja." Dushyant ne jab dekha ki pratiksha uski baat se subakne lagi hai to usne use apne se chhupkate huye kaha______"Tu to meri gudiya hai na. Achha dekh main tujhse sorry bol raha hu....chal ab maaf kar de apne bhaiya ko."

"Dekha na." Pratiksha ne vidhi ki taraf dekhte huye muskura kar kaha______"Aise hain mere bhaiya. Mere sabse pyare bhaiya hain. Mujhe rote huye nahi dekh sakte kyo ki main inki jaan hu....haan nahi to."
"Haan wo to main dekh hi rahi hu." Vidhi ne muskurate huye kaha______"Achha ab tum apne bhaiya ke paas ruko, main tumhare liye garma garam khana thaali me saja kar laati hu."

"Aree rukiye main bhi chalti hu aapke sath." Pratiksha ne jhat se uthte huye kaha______"Main yaha mehmaan ban ke thodi na aayi hu. Ab main bhi har kaam me aapka haath bataaugi. Aapko akele kuch nahi karne dugi...haan nahi to."

Vidhi uski masoom baate sun kar muskura uthi aur fir wo pratiksha ko sath liye kitchen ki taraf badh gayi. Sofe par baitha dushyant apni bahan ki baato me vidhi ke prati chhupe apnattwa ke bhaav ko mahsus kar raha tha. Wo bakhubi samajh raha tha ki chaahe jitna pratiksha ko samjha lo magar wo karegi wahi jo karne ka wo soch kar yaha aayi hai.


<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
BEGUNAAH
Update - 27
_______________________________


Ab Tak,,,,,

"Aree rukiye main bhi chalti hu aapke sath." Pratiksha ne jhat se uthte huye kaha______"Main yaha mehmaan ban ke thodi na aayi hu. Ab main bhi har kaam me aapka haath bataaugi. Aapko akele kuch nahi karne dugi...haan nahi to."

Vidhi uski masoom baate sun kar muskura uthi aur fir wo pratiksha ko sath liye kitchen ki taraf badh gayi. Sofe par baitha dushyant apni bahan ki baato me vidhi ke prati chhupe apnattwa ke bhaav ko mahsus kar raha tha. Wo bakhubi samajh raha tha ki chaahe jitna pratiksha ko samjha lo magar wo karegi wahi jo karne ka wo soch kar yaha aayi hai.


Ab Aage,,,,,,

Shaam ko inspector dushyant security officer se kafi der tak kuch baate karta raha. Security officer se baat karne ke baad usne kisi se mobile phone se baat ki. Uske baad wo waapas bangale ke andar aa gaya. Darwaza band kar ke wo chup chaap apne kamre me chala gaya. Vidhi aur pratiksha kitchen me dinner bana rahi thi. Kitchen se pratiksha ki hi awaaze aa rahi thi jo jane kya kya bolti ja rahi thi aur vidhi uski baate sun kar kabhi hasne lagti to kabhi kuch bol kar chup ho jati thi.

Apne kamre me pahuch kar dushyant bed par chup chaap let gaya tha. Uske chehre par gardish kar rahe bhaav saaf bata rahe the ki is wakt wo mayoos aur udaas tha. Upar chhat par lage kunde par ghoom rahe pankhe ko dekhte huye wo kisi gahre khayaalo me gum sa ho gaya tha. Baar baar uske zahen me vidhi ki wo baate goonjne lagti thi jo usne usse kahi thi.

Dushyant ka hriday vidhi ki baato se aahat sa ho gaya tha. Baar baar uske dil me ek asahneey tees ubhar uthti thi. Ek hi khwaahish thi uski ke wo ek aisi ladki se hi shadi karega jise dekh kar uska dil cheekh cheekh usse kahe ki yahi hai wo jiski use barso se talaash thi. Apni is khwaahish ke chalte usne kabhi bhi kisi ladki se koi kareeb ka rishta nahi rakha tha. Apni isi khwaahish ki vajah se usne ab tak shadi bhi nahi ki thi aur ghar me apne pita se uske rishte bigad chuke the.

Zindagi me pahli baar use uski pasand ki ladki mili jo uske dil me utar gayi magar wo use haasil na huyi. Vidhi ne shuru me bhale hi uske prem ko na swikaara raha ho magar dosti ke rishte se wo uske kareeb to tha aur sabse badi baat ye ki use kahi na kahi ye ummid bhi thi ki wo vidhi ka dil jeet kar use ek din apna zarur bana lega. Kintu aaj vidhi ki baato ne use zabardast jhatka de diya tha. Vidhi ki baato se sirf uska dil hi nahi toota tha balki uski ummide bhi chakna choor ho gayi thi. Use ab aisa lag raha tha ki wo yaha se kahi aisi jagah chala jaye jaha par uske alawa dusra koi bhi na ho, taaki wo upar baithe khuda ko dekhte huye bilakh bilakh kar ro sake. Yaha duniya walo ke samne ro kar wo kisi ko apne aanshu nahi dikhana chaahta tha.

Ishq ek achhe khaase insaan ko kya se kya bana deta hai iska udaahran is wakt wo khud ban baitha tha. Police department ka ek sabse kaabil aur imandaar officer is wakt ishq me mile dard ko jazb karne ki koshish kar raha tha. Use is baat ka gumaan tak nahi tha ki jo dard is wakt wo mahsoos kar raha tha uska milna bhi mahaj uski nadaani aur na-samjhi ka hi nateeja tha, warna haqiqat to isse bahut juda thi jiska wo tasavvur bhi nahi kar pa raha tha. Vidhi to ab usi ki ho chuki thi. Jitna pyar wo usse karta tha utna hi pyar wo bhi to usse karne lagi thi magar is baat ko samajhne ke liye ya kahe ki is baat ko mahsoos karne ke liye use vidhi ki aankho me thoda gahraayi se jhaankne ki darkaar thi.

Dinner ready hua to vidhi ke kahne par pratiksha uske kamre me aa kar use dinner karne ke liye bulaane aayi. Chanchal aur chulbuli pratiksha ne is baat par zyada gaur hi nahi kiya ki is waqt uska bhai kin baato ke chalte dukhi haalat me pada hua tha. Wo to vidhi ke sath rahne ki khushi me hi magan thi. Uske zahen me to yahi tha ki vidhi ab uski bhabhi hi hai. Use kya pata ki uska na-samajh bhai bewajah hi apne dil ko dukhi kar ke leta hua tha.

Avinash ko vidhi uske kamre me hi khana de aayi thi. Uske baad baaki teeno ne ek sath hi baith kar dinner karna start kiya. Pratiksha to apne swabhaav ke anusaar khaate wakt bhi kuch na kuch bolti hi ja rahi thi aur udhar vidhi uski baate sun sun kar halke se muskura uthti thi magar dushyant ekdam khamosh tha. Sach to ye tha ki is waqt use zara si bhi bhookh nahi thi. Khane ka ek niwala bhi uske halak se niche nahi utar raha tha magar iske baavjud wo sirf is liye baith kar niwaale ko apne mukh me thoos raha tha ki vidhi aur pratiksha me se koi ye na puchh baithe ki wo kha kyo nahi raha hai ya use bhookh kyo nahi hai.?

Pratiksha ki chulbuli baato se vidhi bhale hi muskura uthti thi kintu dushyant ki khamoshi dekh kar use samajhne me der nahi lagi thi ki wo is wakt itna shaant aur khamosh kyo hai. Wo jaanti thi ki uski baato ki vajah se dushyant is wakt khamosh hai. Halaaki usne wo sab baate to bas use chhedne ke liye hi kahi thi. Use bilkul bhi andaza nahi tha ki uski un baato se dushyant itna serious ho jayega. Is waqt dushyant ki ye khamoshi khud vidhi ke dil ko bhi dukhi kar rahi thi. Use apne aap par behad gussa aa raha tha ki usne aisi baato se dushyant ko chheda hi kyo tha.?

Vidhi bhala ab ye kaise chaah sakti thi ki jise wo behad pyar karne lagi hai use uski vajah se koi taklif ho jaye. Wo khud dushyant se apne dil ki baat kahne se jhijhakti thi isi liye usne dushyant se us din uski family ke bare me pucha tha aur jab usne apni family ke bare me batate huye chhoti bahan pratiksha ke bare me bataya to vidhi ko pratiksha ke roop me apne liye ek jariya nazar aa gaya tha. Uske baad usne fauran hi faisla kar liya tha ki wo pratiksha ko yaha bulayegi aur fir pratiksha ke hi jariye wo dushyant ko bata degi ki wo bhi usse prem karti hai.

Dinner khatam hua to dushyant utha aur washbasin me hath dho kar chup chaap hi apne kamre ki taraf chala gaya. Uska chup chaap is tarah se chale jana vidhi ke dil par jaise aghaat sa kar gaya tha. Wo usse bahut kuch kahna chaahti thi magar chaah kar bhi usse kuch bol na paayi thi. Use pahli baar ahsaas hua ki usne dushyant se wo sab kah kar apne aur dushyant ke bich ek diwaar si khadi kar di hai. Is ahsaas ne vidhi ko buri tarah jhakjhor kar rakh diya. Uska ji chaha ki wo bhaag kar dushyant ke kamre me jaaye aur waha wo dushyant ke seene se lipat jaye. Dushyant se lipat kar wo usse cheekh cheekh kar kahe ki wo use maaf kar de. Uski ye khamoshi usse sahan nahi hogi magar pratiksha ki maujudgi me wo aisa nahi kar sakti thi aur na hi aisa karne ki usme himmat thi.

Raat me do alag alag kamro me bed par lete huye dono premi ek dusre ke bare me sochte huye jane kab tak karwate badalte rahe. Aakhir neend ne dono par meharbaani ki to dono so gaye. Subah huyi aur ek naye din ki shuruaat huyi. Jaha vidhi ye soch rahi thi ki kaise wo dushyant ke chehre par khushi laaye to wahi dushyant ab ye soch raha tha ki ye case ab jald se jald khatam ho jaye aur wo apni bahan ko le kar vidhi ke is bangale se chala jaye. Iske pahle jaha wo yahi koshish karta tha ki wo zyada se zyada vidhi ke paas hi rahe wahi ab wo is koshish me lag gaya tha ki jitni jaldi ho sake wo vidhi se door chala jaye. Kyo ki ab use lagne laga tha ki jitna wo vidhi ke paas rahega utna hi wo uske aur apne prem ke bare me sochega jisse uska dil aur bhi zyada dukhega.

Subah breakfast karne ke baad dushyant avinash ke kamre me gaya aur use fauran hi taiyar ho jane ka hukum de diya. Avinash ne puchna to chaha magar dushyant ke chehre par chhayi kathorta ko dekh kar usne usse ye puchne ka irada multavi kar diya ki wo use fauran taiyar hone ke liye kyo kah raha hai.?

Avinash fauran hi taiyar hua aur fir dushyant ke sath niche aa gaya. Dring room me pratiksha ne jab apne bhaiya ko avinash ke sath dekha to usne puch hi liya ki wo kaha ja rahe hain. Pratiksha ke puchne par dushyant ne bas yahi kaha ki zaruri kaam se baahar ja rahe hain.

Bangale se baahar aa kar dushyant ne avinash ko apni police gipsy me baithne ko kaha. Security officer ko shayad usne pahle hi samjha diya tha is liye uske baithte hi uske piche do special police wale bhi gipsy me baith gaye. Ek dusri jeep me do teen police wale pahle se hi baithe huye the. Dushyant ne jaise hi gipsy ko start kar ke aage badhaya to pichhe wali jeep bhi uske pichhe chal padi.

<>•<>•<>

"Tumhe yaha aane ki kya zarurat thi dushyant.?" Hospital ke cabin me kursi par baithe dr sanyaal ne kaha______"Mujhe phone kar dete to main khud hi aa jata."
"Maine socha tum busy hoge." Dushyant ne sapaat bhaav se kaha______"Is liye khud hi yaha aa gaya. Dusri baat ye bhi thi ki mujhe avinash ka check up karwana tha. Asal me kal ise kamre me achanak bahut zyada ghutan hone lagi thi jiski vajah se iski tabiyat bigad gayi thi. Aisa iske sath pahli baar hi hua hai. Halaaki jab ye chhat par khuli hawa me gaya to better mahsus karne laga tha."

"Agar aisi baat hai." Doctor sanyaal ne kaha______"To main checkup kar leta hu aur kuch tablets bhi likh duga."
"Aur iske haath me chadhe huye is plaster ka kya." Dushyant ne ek nazar avinash ke haath par daalte huye pucha_____"Mujhe lagta hai ki ab ise iske haath se nikaal dena chaahiye tumhe."

"Haan iske liye main tumse bolne hi wala tha." Doctor sanyaal ne kaha______"Iske liye abhi kam se kam ek hapte ka time aur lagega. Uske baad main is plaster ko nikaal duga."
"Mujhe to aisa lag raha hai doctor sahab." Sahsa is beech avinash bol pada______"Ki ab aapko ise nikaal hi dena chahiye kyo ki mujhe aisa mahsus ho raha hai ki ab mera haath bilkul thik ho gaya hai. Iski vajah se andar mere haath me kabhi kabhi khujli si hoti hai."

"Haan main samajh sakta hu." Doctor sanyaal ne kaha______"Aur isi liye aapko maine tablets di thi. Wo isi ke liye thi. Khair abhi jaisa ki maine kaha ki kam se kam ek hapte ka time aur lagega to tab tak ise nikaalna thik nahi hoga. Waise bhi ye aapke liye hi behtar hoga is liye ise aise hi rahne dijiye. Filhaal abhi mere sath aaiye. Main aapka checkup kar leta hu."

Doctor sanyaal ke kahne par avinash kursi se utha aur fir doctor ke sath cabin se baahar chala gaya, jabki dushyant wahi kursi par baitha kisi khayaal me doobta nazar aane laga. Kareeb pandrah minute baad doctor sanyaal aur avinash wapas cabin me aaye. Doctor sanyaal ne yahi kaha ki koi vishesh baat nahi hai. Lagataar ek hi kamre me rahne se aisa hua tha baaki koi problem wali baat nahi hai.

Doctor se ijaazat le kar dushyant avinash ke sath vidhi ke bangale ki taraf badh chala. Avinash ko bangale par chhodne ke baad dushyant apni police gipsy le kar waapas nikal gaya tha. Bangale ke andar jane ka uska man nahi kiya tha. Jabse use vidhi ke dwara ye sunne ko mila tha ki uski company me uski age ka koi ladka employee tha jiske sath vidhi ke dad uski shadi ke bare me soch rahe the tabse dushyant ka dil byathit ho chuka tha aur ab wo vidhi ke saamne jane se parhez kar raha tha. Uska vash chalta to wo aaj hi apni bahan ko le kar is bangale se chala jata magar jab tak ye case sulajh nahi jata tab tak use yaha par rahna jaise majburi thi.

Police thane pahuch kar wo sub inspector vikrant se mila. Wo ab behtar tha aur uski chote bhi thik ho gai thi. Thane par maujud uska muh laga hawaldar bhanu singh use dekh kar aaj us tarah se khush nazar nahi aaya tha jaise pahle uske aane se khush ho jata tha. Iski vajah yahi thi ki pichhle dino us par ye ilzaam laga tha ki wo naqab wale ka bhediya hai. Halaaki dushyant aur yaswant dono ne hi use clean chit de di thi magar iske baavjud uske zahen se ye baat nahi gai thi aur shayad vajah thi ki wo pahle ki bhaanti dushyant ko dekh kar khush nahi hua tha.

Thane me dushyant kafi time tak raha aur vikrant se avinash ke maamle wale case se related kafi der tak baate karta raha. Uske baad wo thane se nikal kar apni gipsy lekar yaswant se milne chala gaya. Aadhe ghante baad wo yaswant ke thane me uske cabin me baitha cigarette phoonk raha tha.

"Kya baat hai." Yaswant ne dushyant ki taraf dhyaan se dekhte huye kaha______"Aaj tumhara chehra latka hua sa kyo nazar aa raha hai.? Kahi tumhe department se nikaal to nahi diya gaya.?"
"Tum to sale chaahte hi yahi ho." Dushyant ne use ghoorte huye kaha______"Ki mujhe kachra samajh kar department se baahar fenk diya jaye."

"Ye sab chhod aur ye bata ki pratiksha yaha aa gayi ki nahi.?" Yaswant ne kaha______"Tune bataya tha na ki vidhi ne use bulaya hai."
"Haan kal aa gayi hai wo." Dushyant ne kaha______"Aur tujhe to pata hi hai uski fitrat."
"Kya usne kuch gazab kar diya hai.?" Yaswant ne halki muskaan ke sath kaha______"Kahi usne vidhi ke saamne tujhse kuch ulta sidha to nahi bol diya.?"

"Wo chhod aur ye bata ki asal bhediye ka kuch pata chala ki nahi.?" Dushyant ne kaha______"Uski jo jo location hame mili thi un locations par tune chhaanbeen ki ke nahi.?"
"Chhaanbeen to barabar ki bhai." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha______"Magar jaisa ki mujhe pahle se hi ummid thi waisa hi hua. Yaani ki koi faayda nahi hua. Mere khayaal se wo bahut hi zyada shaatir hai. Usne apne khilaaf aisa koi saboot chhoda hi nahi hai jisse ki ham use pakad sake. Kahne ka matlab ye ki usne har baar ek alag location me ja kar apne khabri se baat ki thi. Matlab saaf hai ki wo ye hargiz bhi nahi chahta tha ki police kisi bhi tarah se us tak pahuche. Ab rahi baat uske bhediye ki to uski chhanbeen abhi jaari hai. Is waakye se itna to ab wo bhi samajh hi gaya hoga ya fir use us naqaab wale ne samjha diya hoga ki use ya to pahle se bhi zyada satark rahna hoga ya fir kuch din ke liye khabar dene wali activities band karni hogi. Aisi surat me us bhediye ko pakad pana bhi itna asaan nahi hoga."

"Iska to yahi matlab hua pyare." Dushyant ne kaha______"Ki ham na to us naqaab wale ko talaash kare aur na hi uske bhediye ko. Kyo ki ham chaahe kuch bhi kar le magar hame kuch bhi haasil hone wala nahi hai. Badi ajeeb baat hai ki ye case aisa uljha hua hai ki kahi se iska koi clue haath nahi lag raha. Jis din wo bhediya pakad me aaya tha to laga tha ki ab ham us naqaab wale tak pahuch hi jayege magar hamari saari ummido par us waqt paani fir gaya jab hame ye realise hua ki jis bhediye ko hamne pakda hai use kisi gahri saazish ke tahat bhediya bana kar hamare samne jaise paros diya gaya hai. Jabki asal bhediya to abhi bhi hamari pahuch se door hai. Agar ham ye kahe to zara bhi galat nahi hoga dear ki us naqaab wale ne aisa kar ke hame ek zabardast tamasha dikha diya hai."

"Baat kadwi zarur hai bhai." Yaswant ne kaha______"Magar ye baat sach hai. Yakeenan usne aisa kar ke hame tamasha hi dikhaya hai. Ek tarah se ye samajh lo ki wo hame khel khila raha hai."
"Ab ek khel ham bhi use khilayenge pyare." Dushyant ne thande swar me kaha______"Ham use dikhayege ki dushyant the great ko khel khilane ka anjaam kya hota hai."

"Kya karne wale ho tum.?" Yaswant ne dushyant ki taraf dhyaan se dekhte huye pucha.
"Bas dekhte jaao pyare." Dushyant ne kaha______"Aur haan ab tumhe bhi uske bhediye ko talaash karne ke liye kast uthane ki zarurat nahi hai. Ham bhi dekhte hain ki uska bhediya usko hamare yaha ki khabre de kar kab tak use kamyaab banaye rakhne me uski help karta hai."

"Aakhir tum karne kya wale ho.?" Yaswant ne na-samajhne wale bhaav se kaha_____"Tumhari in baato se to lagta hai ki tumhare haath usse related koi suraag lag gaya hai. Tabhi aisi baate kah rahe ho. Agar aisa hi hai to mujhe bhi bataao kuch iske bare me."
"Hamne kaha na dear ki bas dekhte jaao." Dushyant ne ek nayi cigarette jalaate huye kaha______"Filhaal ham chalte hain. Tumhe gudiya se milne aana ho to aa jana."

Dushyant ki baat sun kar yaswant use ghoorta rah gaya jabki dushyant kursi se utha aur cabin se baahar aa gaya. Uske pichhe yaswant bhi baahar aa gaya. Thane se baahar aa kar dushyant apni gipsy me baitha aur fir gipsy ko start kar ke aage badh chala.

<>•<>•<>

Apne kamre me bed par leti vidhi pratiksha se baate zarur kar rahi thi magar uska dhyaan dushyant ki taraf hi laga hua tha. Subah breakfast kar ke dushyant avinash ko le kar chala gaya tha. Uske baad wo bangale me avinash ko chhod kar fir se kahi chala gaya tha. Dopahar me lunch ke liye vidhi aur pratiksha dono ne dushyant ka intzaar kiya tha magar dushyant ghar nahi aaya tha. Vidhi ke kahne par pratiksha ne dushyant ko call bhi kiya tha magar dushyant ne ye kah kar call cut kar di thi ki wo shaam tak hi waapas aa payega. Is liye lunch ke liye wo log uska intzaar na kare.

Dushyant ke na aane se vidhi ka chehra utar gaya tha. Use achhi tarah pata tha ki dushyant ne aane se kyo mana kar diya tha. Jabki aisa kabhi nahi hota tha ki wo use bulaye aur wo aane se mana kar de. Vidhi ko uske na aane ka itna bura nahi lag raha tha jitna is baat se use dukh ho raha tha ki uski un baato ki vajah se dushyant ab usse kat raha hai. Pratiksha ke samne wo is baat ko zaahir nahi karna chaahti thi magar pratiksha bhi koi chhoti si bachchi nahi thi. Use bhi vidhi ka utra hua chehra dekh kar kuch kuch andaza ho raha tha. Apne chamchal swabhaav ki vajah se usne hasi mazaak me hi usko is baat ke liye kayi baar chhed diya tha.

Shuru me to dono ek dusre ke bare me kafi der tak baate karti rahi thi. Vidhi zyadatar pratiksha se uski family ke bare me hi puch rahi thi aur pratiksha ke puchne par usne bhi use bataya tha ki uske dad ne uski mom ki hatya kar di thi jiski vajah se ab wo jail me hain. Uski mom ke murder wale case me hi dushyant ka uske yaha aana jana shuru hua tha uske baad dono ke bich dosti ho gayi thi. Pratiksha ne jab kured kured kar usse puchha to usne sara kissa hi use bata diya.

Pratiksha apne bhaiya ke bare me badha chadha kar vidhi ko bata rahi thi. Pratiksha ne vidhi ko ye bhi bataya ki uske bhaiya ne ab tak kyo shadi nahi ki hai. Baato baato me pratiksha ne vidhi se ye bhi kaha ki usne apne bhaiya ki aankho me uske prati prem dekha hai to agar bhaiya usse apne prem ka izhaar kare to kya wo unke prem ko accept karengi.? Pratiksha ke is sawaal par vidhi chup rah gayi thi. Uske dil ne to cheekh cheekh kar kaha ki usne to kab ka dushyant ke prem ko accept kar liya hai magar zubaan se kahne me use sharm aur jhijhak mahsus hoti hai. Vidhi ki khamoshi ne pratiksha ko ye bata diya tha ki vidhi ko uske bhai ka prem swikaar hoga magar wo uske mukh se sunna chaahti thi. Pratiksha ne use ye bhi bataya ki us din jab usne uski maa se phone par baat ki thi to maa bahut khush huyi thi aur fir usne unse pratiksha ko bhej dene ke liye kaha to unhone bina ek par ki deri kiye haan kah diya tha. Baad me maa ne use yahi bataya tha ki uske bhai ne apne liye ladki pasand kar li hai. Maa ki baat se wo khud bhi bahut khush ho gayi thi aur fir wo jald se jald yaha aana chaah rahi thi taaki wo jaldi se apni hone wali bhabhi ko apni aankho se dekh sake.

Pratiksha ki ye baate vidhi ke man me khushi ke laddu ki tarah foot rahi thi aur aakhir me use pratiksha se kahna hi pada ki wo uske bhai ko pasand karti hai magar uske samne usse kahne me use behad sharm aur jhijhak mahsus hoti hai. Vidhi ki is baat se pratiksha khushi se naachne lagi thi. Vidhi ke dono haath pakad kar wo kamre me hi use gol gol ghumaye ja rahi thi.

Dopahar ko jab dushyant na aaya to dono ki ye khushi udaasi me badal gayi thi. Pratiksha to phone par hi sab kuch bata dene wali thi magar vidhi ne use is bare me batane se mana kar diya tha. Uska kahna tha ki wo koi achha sa mauka dekh kar khud hi dushyant se kah degi ki use uska prem swikaar hai. Dopahar se shaam ho gayi thi magar dushyant abhi tak nahi aaya tha.

"Waise to mere bhaiya bahut samajhdaar hain." Pratiksha ne kaha______"Lekin is maamle me wo shayad abhi kachche hain warna kya unhe zara bhi is baat ka ahsaas na hota ki aap bhi unse prem karti hain. Aapne mana kar diya hai mujhe warna unke aate hi main unse ye baat kah deti....haan nahi to."

"Maine tumhe yahi soch kar yaha bulaya tha." Vidhi ne gahri saans lete huye kaha______"Ki tumhare jariye main apne prem ko tumhare bhaiya tak pahucha dugi magar ab ye kaam mujhe khud hi karna hoga. Haalaki mere liye aisa karna bahut hi mushkil hai lekin ab mujhe apni sharm aur jhijhak ko apne andar se nikaalni hi hogi pratiksha. Kyo ki ab hamare bich ek diwaar si khadi ho gayi hai."

"Ye aap kya kah rahi hain.?" Pratiksha ne chaunkte huye puchha______"Aap dono ke bich bhala kaisi diwaar khadi ho gayi hai.?"
"Ye diwaar meri hi bevkufi se khadi huyi hai pratiksha." Vidhi ne kaha_____"Halaaki maine to tumhare bhaiya ko chhedne ke uddeshya se hi wo baat kahi thi magar dushyant meri baat ko sach maan gaya aur us baat se wo serious ho gaya. Yahi vajah hai ki subah breakfast karte waqt wo ekdam khamosh tha aur fir ab tak uske wapas na aane ki vajah bhi yahi hai. Is liye ab mujhe khud hi use batana hoga ki sach kya hai. Mujhe nahi pata tha ki wo meri us baat se itna serious ho jayega warna main use aisi baat se chhedti hi nahi. Maine dushyant ka dil dukha diya pratiksha. Dekho na kitni buri hu main."

"Nahi nahi...aap buri nahi hain bhabhi." Pratiksha ne vidhi ki aankho se ekdam chhalak aaye aanshu ko jaldi se ponchhte huye kaha______"Aur buri ho bhi nahi sakti hain. Aap to meri sabse achhi wali bhabhi hain. Wo sab to ek mazaak tha jise bhaiya samajh nahi paaye. Dekhna jab aap bhaiya se kahengi ki aap bhi unhe pyar karti hain to bhaiya kitna khush ho jayenge. Rukiye main fir se bhaiya ko phone lagati hu aur unse kahti hu ki jaldi se ghar aaye warna main unse baat nahi karugi. Haan nahi tooo."

Vidhi ne use rokna chaha magar pratiksha na ruki. Usne jhat se apna phone nikaal kar dushyant ko phone laga diya. Kuch hi palo me ring ke sath alag se kahi ring tone ki awaaz bhi sunaayi di to vidhi chaunki. Usne pratiksha ko dhire se bataya ki lagta hai dushyant aa gaya hai. Kyo ki uske mobile ki ringtone ki awaaz niche sunaayi de rahi thi. Pratiksha ne bhi jab suna to usne jaldi se phone kaat diya aur kamre se baahar ki taraf daud chali.

Pratiksha ke jate hi vidhi ka dil ye soch kar tezi se dhadakne laga ki wo dushyant se kaise kah payegi ki wo bhi use prem karti hai. Kahne me aur karne me zameen asmaan ka fark hota hai. Jab insaan saamne hota hai to aisi situation me usse apne dil ki baat kahne me badi himmat jutaani padti hai. Jabki usme to is wakt itni bhi himmat nahi ho rahi thi ki wo kamre se nikal kar niche jaye aur dushyant ka saamna kare. Kuch der sochte rahne ke baad aakhir usne himmat ki aur gahri saans le kar bed se niche utar kar kamre se baahar ki taraf chal padi.

"Sara din kaha the aap.?" Niche pahuchte hi pratiksha ne apne dono haath apni kamar par rakh kar dushyant se shikayati lahje me pucha_____"Kya har roz aisa hi karte hain aap.? Agar yahi karte hain to bahut galat karte hain aap. Jaaiye mujhe aapse baat nahi karna ab....haan nahi to."

"Main bahut zaruri kaam me byast tha gudiya." Dushyant ne sofe par baithte huye kaha______"Tujhe to pata hai ki main ek police wala hu aur mujhe duty par jana hota hai. Waise bhi aaj kal jis case par main involve hu usme bahut sir khafana padta hai. Khair ye sab chhod aur apne hath ki garma garam chaay to pila de. Dekh na kitna waqt ho gaya maine apne gudiya ke haath ki chaay nahi pi."

"Chaay to main aapko pila dugi." Pratiksha ne halki muskaan ke sath kaha______"Lekin ek shart par. Boliye shart manjur hai warna main nahi pilane wali. Haan nahi to."
"Achha thik hai." Dushyant ne kaha_____"Bata kya shart hai teri.?"

"Shart ye hai ki kal aap apni dost vidhi ji ko apne sath kisi bahut hi khubsurat jagah par ghumane le jayege." Pratiksha ne maano ek hi saans me kaha_______"Aur ye meri shart hi nahi balki aapke liye mera hukum bhi hai. Ab agar aapne mera ye hukum nahi mana to soch lijiye fir...haan nahi to."

"Ye kaisi shart aur kaisa hukum hai tera.?" Dushyant ekdam se pareshaan nazar aane laga______"Tujhe pata bhi hai ki tu kya kah rahi hai.?'
"Haan ji achhi tarah pata hai." Pratiksha ne do took lahje me kaha______"Aur main ye bhi samajhti hu ki aapko isme koi problem nahi honi chahiye. To ab ye faisla ho chuka hai ki kal aap apne sare kaam chhod kar bhabhi ji ko....mera matlab hai ki vidhi ji ko apne sath kahi ghumane le jayege. Wow kitna achha lagega na bhaiya...jab aap dono ek sath kisi khubsurat jagah par ghoom rahe hoge. Kaash ki main bhi aapke sath chalti to bahut maza aata...haan nahi to."

"Tere dimaag me ye sab fizool ki baate aati kaha se hain gudiya.?" Dushyant ne kaha______"Maine tujhe samjhaya tha na ki....!" Dushyant bolte bolte ekdam se ruk gaya. Kyo ki tabhi uski nazar seedhiyo se utar rahi vidhi par pad gayi thi. Dushyant ko is tarah se apni baat ko adhura chhod kar chup hota dekh pratiksha ne uski nazro ka pichha kiya. Vidhi par nazar padte hi uske gulaabi hotho par muskaan ubhar aayi.

"Achha hua aap bhi yaha aa gayi." Pratiksha ne muskurate huye kaha______"Maine bhaiya se baat kar li hai to aap kal subah jaldi hi ready ho jaaiyega."
"Aree par kis liye.?" Vidhi ne ghabrate huye pucha. Use laga kahi pratiksha ne dushyant ko ye to nahi bata diya ki wo bhi usse prem karti hai.

"Kis liye ka kya matlab hai.?" Pratiksha ne kaha______"Aapko bhaiya ke sath kal picnic par jana hai. Meri abhi yahi baat ho rahi thi bhaiya se. Achha ab aap yahi baithiye. Main aap dono ke liye special wali chaay bana ke laati hu."

Pratiksha, vidhi ko hairaan pareshaan kar ke kitchen ki taraf tezi se badh gayi. Idhar dushyant ko aisa lag raha tha jaise ki wo apna sir kisi patthar par de maare. Udhar vidhi ko bhi samajh nahi aa raha tha ki dushyant ke sath kal picnic par jane ka kya matlab hai.? Tabhi sahsa uske dimaag ki batti jali aur fir use samajhte der na lagi ki ye picnic par jane ka plan pratiksha ne banaya hai, taaki wo dushyant ke sath jaye aur fir wo waha akele me dushyant se apne dil ki baat kah sake. Pratiksha ke is plan par vidhi ko man hi man hasi aayi aur usne man hi man use thanks bhi kaha.

Vidhi ne dekha ki dushyant sofe par chup chaap kuch sochte huye baitha tha. Use bhi samajh nahi aaya ki wo usse kya bole. Asal me situation ekdam se badal gayi thi. Pyar wale emotions jab se ubhre the tab se dono ke bich ajeeb si khamoshi ne janm le liya tha.

"Aaj dopahar me lunch karne kyo nahi aaye the.?" Vidhi ne dushyant se baat karne ke liye jaise bahana khojte huye kaha_____"Kitna intzaar kiya ham dono ne. Tum to jante ho ki pratiksha ke aane se pahle ham dono sath hi baith kar lunch aur dinner karte the."

"Waqt hamesha ek jaisa nahi rahta." Dushyant ne sapaat lahje me kaha______"Is sabke pahle to main kisi ke bhi sath lunch aur dinner nahi karta tha. Halaaki ye ek tarah se achha hi tha. Akela tha to kisi cheez ki dil me khwaahish to nahi rahti thi."

Isse pahle ki vidhi kuch kahti dushyant sofe se uth kar bathroom ki taraf chala gaya. Uska is tarah se chale jana vidhi ke dil par jaise chot kar gaya. Wo achhi tarah jaanti thi ki dushyant kyo uth kar chala gaya tha. Shayad ab wo uske paas rukna nahi chahta tha. Kitchen ke darwaze ke pichhe chhup kar khadi pratiksha ne bhi apne bhai ko sofe se uth kar jaate dekha tha. Usne bhi apne bhai ka jawaab suna tha aur use bhi samajh aa gaya tha ki is wakt do dil jal rahe hain. Uske man me sawaal ubhra ki kya uska bhai kal vidhi ko le kar jayega ya fir kaam ka bahana bana kar aaj ki tarah subah hi nikal jayega.

Bathroom me fresh hone ke baad dushyant avinash ke kamre me chala gaya. Avinash ke kamre me ja kar usne kuch der avinash se uska haal chaal pucha uske baad wo apne kamre me chala gaya. Udhar dushyamt ke jane ke baad vidhi kuch der tak sofe par baithi rahi fir wo uthi aur apne andar machal rahe jazbaato ko kaabu karte huye kitchen ki taraf badh gayi.

Kitchen me jab vidhi pahuchi to pratiskha ne usse zyada kuch nahi kaha bas yahi kaha ki kal sab thik ho jayega. Khair pratiskha ne chaay banaayi aur khud hi tray me le kar dushyant ke kamre ki taraf chal di. Pratiksha ko maahaul ki nazaaqat ka bakhubi ahsaas tha is liye usne is waqt apne bhaiya se sharaarat karne ka zara bhi nahi socha. Kamre me pahuch kar usne dushyant ko chaay di aur uske paas hi bed ke kinaare par baith gayi.

"Kya hua gudiya.?" Pratiksha ko chup chaap baithte dekh dushyant ne kaha______"Tujhe chaay nahi pina kya.? Apne liye chaay nahi laayi tu.?"
"Wo maine socha ki pahle aapko de aau." Pratiksha ne nape tule lahje se kaha______"Uske baad main aur vidhi ji sath me piyenge. Waise maine to socha tha ki ham sab hi sath me baith kar chaay piyenge lekin aap to waha se yaha chale aaye."

"Haan wo aaj kaam ki vajah se zyada thak gaya hu." Dushyant ne kaha______"Is liye baithne ka man nahi tha balki kuch der araam karna chaahta tha."
"Thik hai fir aap araam kijiye." Pratiksha ne bed se uthte huye kaha______"Jab dinner ready ho jayega to main aapko bulane aa jaaugi."

Pratiksha ke aisa kahne par dushyant ne haan me sir hila diya aur fir wo chup chaap chaay pine laga. Pratiksha kuch sochte huye darwaze ki taraf badhi fir darwaze ke paas pahuchte hi wo ruki aur fir palat kar dushyant ki taraf dekhte huye boli______"Bhaiya ek baat kahu aapse.?"

"Aaan..haan bol na." Dushyant ne chaunk kar uski taraf dekhte huye kaha_____"Kya kahna hai tujhe.?"
"Kabhi kabhi jo dikhta hai zaruri nahi ki wahi sach ho." Pratiksha ne ajeeb bhaav se kaha_____"Aur kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jo ham samajhte hain waisa bhi asal me hota nahi hai."

"Kya kahna chaahti hai.?" Dushyant ne na-samajhne wale andaaz se kaha.
"Kuch nahi bhaiya." Pratiksha ne kaha______"Lekin ummid karti hu ki jo maine abhi kaha hai us bare me aap gahraayi se zarur sochenge aur haan....kal vidhi ji ko le kar aap picnic par zarur jayenge. Agar aapne koi bahana banaya to fir soch lijiyega. Kabhi baat nahi karugi aapse...haan nahi to."

Pratiksha itna kahne ke baad ek pal ke liye bhi nahi ruki balki palat kar tezi se darwaze ke baahar nikal gayi thi. Idhar uski baate sun kar dushyant gahri soch aur duvidha me pad gaya tha. Use samajh nahi aaya ki uski bahan use vidhi ke sath picnic par jane ke liye itna zor kyo de rahi thi, jabki maujuda situation aisi thi hi nahi ki wo kahi picnic par ja sake. Avinash ka maamla use iske liye ijazat de hi nahi sakta tha. Pratiksha ne use badi mushkil me daal diya tha.

Chaay pine ke baad dushyant apni bahan ki baato ke bare me sochne laga. Uske kaano me fir se uske dwara kaha gaya waakya goonj utha______'Kabhi kabhi jo dikhta hai zaruri nahi ki wahi sach ho, aur kabhi kabhi aisa bhi hota hai ki jo ham samajhte hain waisa bhi asal me hota nahi hai.'

Dushyant ke kaano me uski bahan ka ye waakya goonj raha tha. Uske zahen me sawaal ubhra ki aakhir pratiksha aisa bol kar kya samjhana chaahti thi use.? Kahi aisa to nahi ki use is baat ka pata chal gaya ho ki wo vidhi se prem karta hai aur vidhi uske prem ko swikaar nahi ki hai. Kya vidhi ne use is bare me bataya hoga...lekin vidhi usse is sambandh me baat kyo karegi.? Kahi aisa to nahi ki vidhi ne use ye bata diya ho ki wo usse kyo kat raha hai...magar ye to abhi ki baat hai. Pratiksha kya samjhana chaahti thi use. Jo dikhta hai wahi sach ho zaruri nahi aur jo ham samajhte hain asal me waisa bhi nahi hota hai. Kya wo aisa mere aur vidhi ke bare me kah rahi thi.?

Dushyant buri tarah ulajh kar rah gaya tha. Police department ke ek kaabil police officer ka dimaag maano kund sa pad gaya tha. Yaha par Mirza Ghalib ka ek sher us par bilkul fit baithta hai ki______"Ishq ne hame nikamma kar diya ghalib...Warna aadmi ham bhi the bade kaam ke."

<>•<>•<>
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
nice update ..pratiksha to akele me bhi vidhi ko bhabhi keh rahi hai apne bhai se 🤣🤣.. kitna samjhaya par bhi bhabhi kehna nahi chhodegi wo ..
vidhi ne company ke baare me jhooth batake dushyant ka dil tod diya aise lagta hai ..
dushyant naraj ho gaya ye jaanke ki vidhi ki umar se thoda bada ladka vidhi ke papa ka khas aadmi hai aur wo usse vidhi ki shadi karana chahte the waise ye vidhi ne jhooth kaha tha ..

vidhi bhi ro di ye jaanke ki usne dushyant ko naraj kar diya ..
dono ek dusre se bahut prem karte hai par vidhi khudse kehna nahi chahti ..aur dushyant pehle hi propose kar chuuka hai to ab dobara wo keh nahi sakta kyunki usse dono ki dosti toot sakti hai ..

vidhi ne door ki kaudi se kuch sikhkar apne vichar bataye dushyant ko ..

vidhi sabse jyada idea deti hai dushyant ko ..

ek baar phir bhabhi kehte huye bach gayi pratiksha 🤣🤣🤣..
Shukriya bhai,,,,,:hug:
 

TheBlackBlood

शरीफ़ आदमी, मासूमियत की मूर्ति
Supreme
79,634
117,553
354
Behad hi shandar update tha shubham bhai______
Pratiksha apne bhai ko samjha rahi hai ki vidhi se faaltu me itna dar raha hai. Kafi intresting hai ye ladki. Lagta hai ab yahi bhai ka uddhar karegi______
Vidhi ne inspector ko jab bataya ki uske dad company ke kisi ladke se uski shadi ki baat kar rahe the to inspector uski is baat se dukhi ho gaya. Ye sach me buddhu hi hai. Ladki khula signal deti hai magar ise kuch samajh hi nahi aata budbak kahi ka______
Vidhi sach me tej dimag ki hai. Agar sach me avinas ki memory wapas aa gai hai to wo jarur vidhi ke ghar se nikal jayega. Usne sahi kaha ki nakab wale ko ghar me ghusne ki jarurat hi nahi hai. Uska shikar to khud hi uski pakad me aa jayega. Vidhi ki baato se inspector shock tha_______
Pratiksha to ek bhi mauka nahi chhodti hai. Uski baat se vidhi bhi chup rah gai thi jab usne inke kya hota hai kaha tha. Dekhte hain kya hota hai_______
Shukriya bhai,,,,,:hug:
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,848
32,666
259
nice update ..vidhi aur dushyant me duriya aa gayi hai galatfehmi ki wajah se ..dono pyar karte hai ek dusre se ,dushyant vidhi ki baat se naraj ho gaya aur vidhi sharma rahi hai apne pyar ka ijhahaar karne se ..
vidhi ne pratiksha ko sab sach batake sahi kiya aur pratiksha ne bhi dushyant ko hint de diya hai ab dekhte hai wo samajh pata hai yaa nahi ..
aur pratiksha ne ek picnic ka plan bhi bana liya dushyant aur vidhi ke liye 😍😍..
pratiksha bahut hi chulbuli par dil ki saaf ladki hai ..

dushyant ne aisa kya plan banaya hai jo yashwant se bhi share nahi kiya 🤔🤔..
bhanu singh abhi bhi naraj hi hai uspe shak karne ko lekar ..
 
Top