• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792

Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...

Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....

Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...

Last edited:

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,518
188
Update:-40

Orja ko Apasyu ke pichhe laga'kar Nischal ghar ke hall me baith'kar sochne laga... "Abhi ghar me akeli hogi Jivisha, ja'kar baat kar lun kya… Ek baar puchhna to banta hai ki aakhir mera intzar kyon nahi ki"…

Dusri ore Jivisha apne ghar ke hall me baithi.… "Rishta to toota hi hua hai, ek baar kam se kam puchh lun ki aakhir uski sacchi mohabbat me kaun si kami rah gayi jo usne kisi aur ko chun liya"….

Dono apne hi khyalon me bus sochte-sochte saanjh dhala diye. Na to apni jagah se hile aur na hi ek dusre se mile, bus sochte hi rah gaye.

Bhukh kuchh-kuchh Jivisha ko lag rahi thi. Wo uthi aur taiyar ho'kar bahar nikli. Jaise hi darvaje se pahla kadam bahar rakhi, thik samne Nischal se najren takra gayi.…

6 fit plus ki hight. Bilkul streght athlete body. Dhili t-shirt hawa ke jhonke se jab badan se chipakte, ander ka gathile badan ki pahchan karwa jati. Utna hi pyar khila sa chehra aur sabse khubsurat uski halki pratit hoti laal retina... Aakhen aisi jinme doob jao.…

Najren mili to kuch pal ke liye thehar si gayi thi. Halki jhurjhuri ke sath badan me aisi lahar uthi ki Jivisha hil gayi. Agle hi pal khud ko sambhalti apne aakhon par chasma dali aur baal ko jhatakti puri attitude se chalne lagi….

Nischal, Jivisha ki najron se ghayal hote apne dil par hath rakhte.…. "Ufffff... Dard de gayi dil me"….. Nischal to Jivisha ke aakarshak chehre aur uski gahri nili aakhon me tabtak dooba raha jabtak Jivisha ne chasma dal'kar jhatak'kar chali nahi gayi...

Jivisha aage aur pichhe-pichhe Nischal... "Hayyy, ye pichhe se bhi utni hi katilana lagti hai"…. Nischal apne armaan khud se hi kahne laga... Tabhi Jivisha pichhe mud'kar ek baar dekhi aur attitude ke sath apni naak par ungli ferti aage chalne lagi..

Colony street se nikal'kar wo sadak par pahunchi. Tabhi khyal aaya ki hand bag to ghar hi bhul gayi. Jivisha jhatke me mudi aur wapas jane lagi. Wo ja rahi thi aur Nischal udhar se aa raha tha…. Jivisha usse dekh'kar mann hi mann hansti hui.… "Aur kar lo pichha"…

Jivisha wapas laut rahi thi aur Nischal usse wapas jate dekh.… "Ab ye kahan wapas chal di... Jaroor iske boyfriend ka phone aaya hoga, tabhi wapas ja rahi... Lekin boyfriend to bahar gaya hai aur Jivisha ne to phone bhi nahi uthaya.… Lagta hai kuchh bhul gayi hai... Kahin aisa to nahi ek waqt me 4-5 boyfriend ho. Ho bhi sakta hai, isse jo ek najar dekh le issi ka ho jaye... Sale ye gore bhi to pichha kar rahe hain"… .

Poora ander tak hila dene wala khyal tha. Nischal, Jivisha ko bus jate huye dekh raha tha... Dur wo apne ghar tak pahunchi aur ander chali gayi... "Yahin ruk kar intzar karta hun… aayegi to issi raste na. Dekhta hun mere sath-sath uss bichare ke sath bhi to kahin dagabaji nahi kar rahi"…

Jivisha ander gayi aur bag utha'kar ghar jab lock kar rahi thi, tab usse khyal aaya ki uss raste par jaroor wo dhokebaaj khada hoga.… Rasta change aur destination bhi... Jivisha colony street ka dusra rasta pakad lee... Aur ander hi ander hansti hui wo aage badhne lagi... Lekin jaise hi colony street khatm hui wahin kinare Nischal baitha hua tha…

"Ohhh nooo.. ye yahan intzar kar raha hai... Shahhh !!! Yaar.... Kyon mera pichha kar raha hai... Ye aisa nahi manega"…. Jivisha gusse me tam tamayi Nischal ke pass pahunchi… "Mera pichha kyon kar rahe ho"…

Nischal ka to kaleja dhak se rah gaya ho... Kuch pal ki khamoshi aur kahin gum ho gaya... Jivisha chutki bajati.… "Hello mister tum se hi puchh rahi hun"…

Nischal:- Main tumhara intzar kyon karunga, mere pass aur koi kaam nahi hai kya, Miss Jivisha...

Kahte hain na aadmi harbari me hamesa garbari kar deta hai... Kash yahan Nischal pahle confirmation hi maang leta ki "Kya tum Jivisha ho"… Idhar Nischal ne sawal puchha aur udhar Jivisha ka para high... "Bekar me hi ek khyal aata raha ki meri tarah ye bhi shayad sab bhul gaya hoga"…

Jivisha:- Tumhe dekh'kar to aisa hi lag raha hai mere ex-boyfriend. Lagta hai mujhe chhodne ka afsos sa ho raha hai tumhe..…

Nischal:- Kaun kise chhod gaya wo to dikh raha.....

Jivisha:- Main tumse baat bhi kyun kar rahi hun waise... Tum jao apne raste main chali apne raste..

Nischal:- Sarkari rasta hai... Tumhe jahan jana hai wahan jao.... Mujhe mat sikhao, kahan jana hai...

Jivisha, Nischal ko dekh'kar ganda sa muh banati, hathon ka ishara dekar kahne lagi... "Chal fut" aur apni baat kah'kar wahan se beach ke ore nikal gayi.

Beach side food, sath wine aur Miyami beach ke jinda dil shaam ka najara... Jivisha khubsoorat sham ka luft uthati hui, wahan takriban ghantey bhar ruki. Jab wapas jane lagi... Tabhi baar counter par usse Nischal dikh gaya, jo usse hi dekh raha tha….. "Ye chahta kya hai mujhse. Ek ladki sath me hai, uske baad bhi mujhe follow kar raha hai."…

Jivisha, thodi mayus si ho'kar wahan se nikli. Ghar wapas aa'kar raat bhar Nischal ke khyalon me hi dubi rahi. Subah naste par, Apasyu sath me baitha hua tha... "Mujhe apne ghar wapas jana hai".…

Apasyu:- Hmmm! Thik hai yahan se aaj Delhi ke liye nikal jao. Wahan mere lautne tak ka intzar karna. Kuch kaam sath me khatm karenge, fir tum wapas Pune chali jaana.…

Apasyu ki baat sun'kar Jivisha "Haan" me apna sar hila dee aur ja'kar apna bag pack karne lagi. Idhar Orja aur Nischal sath baithe huye the... Orja ko bhi pata chal chuka tha ki Jivisha kahin bahar ja rahi hai, wo bhi akeli...

Orja:- Tumhari sacchi chahat yahan se akeli kahin ja rahi hai...

Nischal:- Kahan..

Orja:- Delhi..

Nischal:- Aur uska boyfriend…

Orja:- Wo kuchh kaam se yahin ruka hai... Baad me uss se Delhi me milega, aur fir wahan se ye dono Jivisha ke ghar jayenge.… Shayad jodi banane ke prastav le'kar...

Nischal:- Jivisha kitni pyari lagti hai na... Main himmat nahi juta paya lekin wo aayi thi mujhse baat karne…. Meri to dharkane jaise atak si gayi ho. Jabtak wo bol rahi thi, mai bus usse hi dekhta raha...

Orja:- Tumhare pass ye achha mauka hai Nischal. Ho sakta hai, jab tum nahi the tab iss ladke ne apne chikni chupdi baton se fasa liya ho... Abhi wo kuch din sath me nahi hai... Tumhare pass pura mauka hoga...

Nischal khush hote…. "Kya sach me"

Orja, Nischal ke chehre ko bade dhyan se dekhti.… "Zindgi har kisi ko mauka deti hai, jyada soch'kar mauke ko gawana nahi chahiye".

Nischal, khushi se Orja ko gale lagaate... "Mujhe koi idea nahi Delhi kaise jayenge"…

Orja:- Tum bus taiyari karo main tumhe Delhi bhejne ka intzam karti hun...

Sham ke 8 baje Jivisha Miyami se Washington DC nikal rahi thi aur wahan se Delhi. Apasyu se bichhdte waqt Jivisha usse ek baar apni bahon me samet'ti hui alag hui aur uska chehra dhyan se dekhti hui kahne lagi…. "Atoot mitrwar prem, ye yaad rakhna"…

Apasyu muskurate huye apna sar jhukate.… "Kuch chijen jab samajh me nahi aaye to usse waqt par chhodte huye, apni pahli awaj sun'na. Delhi airport par tumhe receive karne mere kuch logon ke sath Vaibav pahunchega, tum kuch din ussi ke sath rukna"…

Jivisha kuch kadam aage badh chuki thi..... Wo hath ke ishare se Apasyu ko bulayi… Apasyu jaise hi uske karib pahuncha... Jivisha muskurati hui uske chehre par hath ferti hui kahne lagi.… "Tumse ek alag hi lagaav hai gurudev..… wada karo main jab bhi yaad karungi tum maujood rahoge"…

Apasyu:- Wada raha... Ab tum jao aur aise hi muskurate rahna... Pyari lagti ho...

Jivisha, aakhri baar Apasyu ko najar bhar'kar dekhi aur Miyami se udd chali.... Washington DC pahunch'kar Jivisha apna flight lee. Lagbhag 45 minute pahle Jivisha flight board ki thi. Raat bhi kafi ho rahi thi, isliye akele jaag kar bore hone se achha tha so kar waqt kaat liya jaye...

Jivisha air hotage ko bula'kar bata di ki wo so rahi hai, isliye usse khane-pine ke naam par distrub na kiya jaye. Air hostage ne muskura'kar uska welcome kiya aur Jivisha ka seat belt lagwa diya, taki take off ke waqt distrub na ho...

Jivisha kaan me earpieces lagayi aur aankh par moti si patti dal'kar so gayi. Thodi hi der me Jivisha nind ki gahraeyon me thi aur subah jab aankh khuli, apne sar par haath pit'ti air hostage ko chilla-chilla kar bulane lagi...

Uska chillana itna tej tha ki sabhi yatri ussi ke ore dekh rahe the aur wo apne pados me baitha Nischal ko dekh rahi thi. Usne kab flight board ki, kab ek kaan ke earpiece ko nikal'kar apne kaan me lagaya, Jivisha ko kuch pata na chala…

Jab se jaagi thi, Jinvisha apni bhauh sikod'kar, aakhen chhoti kiye Nischal ko ghure ja rahi thi.… Kam nautanki to ye mahashay bhi nahi the... Jivisha itni tej chillayi ki pilot tak ne sun liya hoga, lekin Nischal ab bhi aaram se aankhon par pattiyan lagaye sone ka natak kar raha tha...

Air hostage pahunchi aur Jivisha se chillane ka karan puchhne lagi... Jivisha bhi chinkhti hui kah di ki issi ladke se pichhe chhudane ke liye to usse apna US trip bich me cancel karna para...

Gahama gahmi shuru thi. Issi bich Nischal aahiste se apne aankh ki patti hatate, dhime se apni gardan aise bayen moda jaise iss mahol se anjaan ho... Aur jaise hi Jivisha par najar gayi…. "Uffff kya subah ki shurwat hai... Good morning Sweetheart"…

"Huhhh chhichoda. Man to kar raha hai kud jaun iss plan se"…

"Kya ho gaya, kyon subah-subah bhadki ho"..

"Tumhari manhush shakl dikh gayi na... Ab to pura din hi kharab hoga"…

"Shut up"… Nischal itna tej chinkha ki poora viman hi hilne laga. Sabhi yatri dar se saham gaye... Naubat yah aa gayi ki ussi pal Flight management ne dono ko alag bithaya aur plan ki emergency landing France ke airport par karwani pari...

Jivisha ko ussi flight se bheja gaya aur Nischal sham ki flight se Delhi aata. Nischal bechara, kitna plan kiya tha aur yahan, ho kya gaya. Iske purv jab Delhi jane ki yojna bani thi, tab Orja sara arrangment karne ke baad USA me hi ruk gayi. Wah yahan Jivisha ke boyfriend ko atka kar rakhti aur Nischal ke pass jyada se jyada waqt hota...

Yojna to kafi safal rahi, jab der raat Nischal, Jivisha ke thik pass wali seat par baitha tha. Lekin subah hote hi dil ke armaan aashuon me bah gaye... Nischal socha flight me baith'kar apne bhoolne ke bare me batane ka pura waqt milega, lekin yahan to.…

Khair airport ke waiting lounge me mayus baitha Nischal, aankh mund kar Orja ko yaad karne laga... Khili si hansi aur pyari si awaj.… "Kya hua, mujhe kyon dhundh rahe. Fir kuch gadbad hui kya"…

Nischal:- Maine to muh khol'kar bus good morning kaha tha... Itne me hi wo mujhe bich raste utar'kar akeli Delhi nikal gayi...

Orja thodi hairan hoti.… "Yahan prithvi par yatri viman se kisi ko bich me utarte nahi hain"…

Nischal:- Areee yahan baat dusri ho gayi thi... Chhodo jano do... Mujhe wahin samjh jana chahiye tha ki meri koi sacchi mohabbat nahi... Aur na fir kabhi hogi... Tum uske boyfriend ko bhi mat uljhao… usse bhi jane do... Tum Serin aur baki logon ka pata lagao… hum yahan se jitni jaldi ho sake niklenge...

Orja:- Itne mayus kyon ho rahe ho... Jaldbaji me kuch bhi faisla mat karo... Meri ek baat manoge...

Nischal:- Tumhare sath koi hai kya???

Orja:- Itne aham mudde ke bich kya soch'kar yah sawal kiya???

Nischal:- Nahi bus aisa laga...

Orja:- Haan pass ne tumhari sacchi mohabbat ka naya wala saccha boyfriend baitha hai... Baat karvaun kya???

Nischal:- Maaf karna… pata nahi kyon itna chidha sa rahta hun... Serin ne mujhe Aizem me jab se batayi ki main chirchira hota ja raha hun... Bade atihat se rahta tha, lekin ab jaise dhairya pura khone laga hun aur mere pass koi nahi... Ek baar fir main akela ho gaya…

Orja:- Akele haan sahi kah rahe... Mujh se bhi jyada akele ho gaye lagta hai..

Nischal, ko jaise hi Orja aur uski biti kahani yaad aayi, mafi mangte huye... "Lagta hai jisne yaden mitayi usne mere sochne ki shakti ko bhi mita diya hai"…

Orja:- Bus ab bahut hua... Ab se main tumhari boss aur tumhe tumhari Mohabbat jabtak mil nahi jati mera kaha maan'na hoga... Samjhe ki nahi samjhe …

Nischal, hanste huye... "Ji samjh gaya"

Orja:- Aur haan tum kabhi akele nahi the... Aur na hi tumne kabhi akelepan ke dard ko mehsus kiya hai... Isliye iss par sochna bhi mat… Mai tumse baat karti rahungi... Abhi wahan baithe kya kar rahe ho... Bhartiya samay anusar sham ke 8 baje flight land hogi... Abhi subah ke 11 ho rahe hai... Chalo bhag'kar jao Delhi. Maine pata kar liya hai ki Jivisha kahan rahne wali hai.. Tum thik uske baju wale ghar me rahoge...

Orja se baat kar'ke Nischal me jaise nayi urja aa gayi ho... Ek jhonka chala aur Nischal, Orja se baat karte huye wahan se apni daur laga diya. France se ek hawa ka jhonka Bhartiya samay anusar subah ke lagbhag 11 baje nikla aur Turki, Afganistan hote huye subah ke 11:05 tak Delhi me tha. Jabki Nischal ke anusar aaj wo Orja se baat karte huye thoda kam gati se dauda tha...

Khair pahunch chuke the Delhi. Aur Delhi aa'kar ek shandar apartment ke samne ruke jiske third floor par flat number 304 me Nischal ka thikana tha... Nischal aaram se apartment ke passage me hi kursi dal'kar baitha. Jivisha ke aaschrya se bhada chehra jo dekhna tha…

Idhar Indra Gandhi anter'rastriya hawai adde par sham ke 8 baje flat land kar chuki thi. Kal ke uttradhikari aur Yuvraj ke naam se mashoor 2.5 fit ka balak Vaibhav pahunch chuka tha apne atithi ko lane...

Yun to Jivisha aur Vaibav me ek chhota sa parichay pahle se tha, lekin aaj to wo balak host bana hua tha... Wahi 4-5 log dayen bayen... Chhutku armani ka jacket pahne Jivisha ko hath dikhane laga…. Jivisha uske pass pahunch'kar hansti hui kahne lagi... "Ye abhi se coat paint pahan'kar joker ki tarah dikhte ho… jitni umr hai uss hisab ke kapde pahno samjhe"....

Vaibhav ne haan me javab diya aur apne sath usse apne uncle ke purane apartment me le aaya, jahan kabhi Apasyu ne apna pura delhi mission oprate kiya tha... 303 flat number...

Jivisha, Vaibhav ke sath apartment ke passage me thi, jaise hi apne flat ke ore kadam badhayi, Nischal passage me aaram se ek kursi par baitha aur dusri kursi par paun failaye huye tha... Jivisha ki najar jaise hi Nischal par gayi... Uske tan badan me puri aag lag gayi… Aneder ke gusse ko wo poori tarah se samete badi hi teji ke sath uske ore badhi...

Jivisha ke gusse ko Nischal bhi pura bhanp chuka tha. Samne se chali aa rahi Jivisha ke ore, seb ka ek tukda dikhate huye usse apne muh me liya aur hasne laga...

Tabhi uss mahol me Jivisha ki dard bhadi ek lambhi chinkh gunj gayi.... Jivisha ke ankhon ke aage lagbhag andhera tha aur sar me kafi tej dard, jiski pira asahniya thi. Itni asahniya pira ki uski chinkh kafi dur tak suni ja sakti thi... Bhaybhit aur dil me aatank paida karne wali chinkh...
Excellent fantastic bemissal update
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

The king

Well-Known Member
4,239
15,472
158
Nice update bhai or ye jisa ko kya hua last me jo usko sar dard karne laga kya uski yaddast wapas aa rahi he waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Anubhavp14

न कंचित् शाश्वतम्
247
900
108
Update:-7

"Thik hai Lobhu… aaj mere sabhi bacchon ko ek sath bulao... Sabha bhawan me hi sabse milungi aur unke sath sab chalenge Nischal ke mahal"….

Serin taiyar hokar sidha pahunchi sabha bhavan, jahan 40 bacche unka intzar kar rahe the. Bacchon ke bich pahunchte hi wo uske bhid me ghus gayi. Apne ghutno par baithi thi aur sabhi bacche aakar usse lipat rahe the, to koi usse chum raha tha…

Serin:- Aaj ka mukhya aakarshan kya hai...

Sab ek sath... "Hume pata nahi"…

Serin:- Hum sab Nischal ke sahar chal rahe hain...

Sabhi bacche ek sath mayusi se.… "Wahan jana jaroori hai kya?"

Serin:- Oppss !!! Kyon tum sabko pasand nahi uske pass jana...

"Wahan kewal jungle hi jungle hai aur wahan rajdhani ki tarah maza nahi aata"… baccho ka mila jula javab..

Tabhi ek halki si bhanak Serin ke kaan me pari, abhi ke liye najarandaz karti... "Thik hai tum sab mat jao. Mai 3 din ki chhuti par ja rahi yah maan'kar ki na tum sab mujhe chahte ho aur na hi Nischal ko"…

"Thik hai hum bhi sath chal rahe, lekin iss baar Nischal ko bolna hume kisi planet ghumane. Jab dekho hum sabko akela chhod'kar bhaag jata hai"… bacchon ki mili juli pratikriya…

Serin sabko bahar bhejti, ek yuvak ke karib pahunchi.… "Tumhara naam kya hai"

Yuvak:- Muley...

Serin:- To Muley mujhe jara samjhao ki Nischal aur uske sahar ke bare me jab baat kar rahi thi, tab tumhari hansi kyon nikal aayi…

Muley:- Unka naam sun'kar jiske chehre par hansi nahi aayi, ya to nafrat me andha hai, ya fir pagal...

Serin:- Achhi kosis thi. Apne bhav aur bhavna ko jarra kabu me rakhna sikho. Nischal se milna hai isliye shant hun.. aur mujhe dil ki chahat aur chaplusi me fark karna aata hai… Nischal ko lekar mann me koi khyal hai to usse dil me daba'kar mere pichhe nikala karo... Yad rahe dobara mujhe tumhare pass aane ki jaroorat na pare…

Serin apni baat samjhati hui wahan se nikal gayi. Sherin apne priya sagirdh aur raj-sahi samapt hone ke baad Middle State ke mukhiya Lobhu ke sath Nischal se milne chal dee. Halanki umr me kafi anter tha aur sagirdh kahne ka ye katai matlab nahi hota ki umr me chhota hoga..

Nischal aur Serin kabhi usi umr me the, jis umr ke bacchon ke sath Serin iss waqt safar kar rahi thi. Jab dono (Nischal aur Serin) ko apne pariwar se dur Jaal mahal me fenk diya gaya tha… Haalanki feka jana to kewal Nischal ko hi tha, lekin Serin kisi kimat par Nischal ko akela nahi chhodna chahti thi. To jabse unhe Jaal mahal laya gaya, fir kabhi dono ne apne bachpan ko nahi jiya...

Serin ke sath wo anath bacche the jinki jimmedari kisi ne nahi lee thi. Iss se judi ek aur baat hai... Ye wo bacche the jinke mata-pita kabhi Nischal aur Serin ke khilaf lade the. Aizem ke lagbhag 1 lakh kushal prashikshit sainik Zoren grah ke shashak ke sath milkar Jivisha aur Nischal ke khilaf lade…

Ussi bhishan nar sanhar me anath huye bacche the. Jinme se 1000 bacchon ki jimmedari kisi ne nahi lee, uski jimmedari Nischal aur Serin utha rahe the.. Halanki kahna galat hoga ki jimmedari utha rahe the, balki in bacchon me wo apna bachpan dhundh rahe the jo ab laut'kar nahi aata..

Takriban aadhe ghante baad Serin, Nischal ke sahar ke dwar par thi jiske aage bada sa board laga tha.… "Virane me aapka swagat hai"…

Middle state ke jab sabhi shahar apne vikas ki nayi unchai ko chhu rahe the, tab Nischal ke shahar ki aabadi lagbhag shunya ho gayi... 8000 square kilometer me mahaj 3000 pariwar baste the, usme bhi kayi kilometer baad 20-30 gharon ki basti thi.

"Ye Nischal bhi na, pura Middle State uska hai fir bhi jungle me rahta hai"…

"I love jungle, main Nischal ke sath jodi bana'kar yahin rahungi"…

"To tu abhi kyon nahi rah leti, humara sar kha rahi"

"Nischal ke pass jo rahega usse Adhymya ki potti saaf karni hogi"

"Ewwww !!! Fir mai Nischal ke sath nahi kisi aur ke sath jodi banaungi"

"Mere, mere, mere"

"Huhhh ! Tum log to abhi bacche ho aur waise bhi koi kaam bhi nahi karte. Jodi ki jimmedari kaise sambhaloge"

"Serin hai na... Wo jab kaam karti hai to hume kaam karne ki kya jaroorat"

Bacchon ki mili juli pratikriya sun'kar Lobhu hanste huye kahne laga… "Jo Serin kisi ki awaj sun'kar hi chidh jati thi, aaj pura din inki sunti hai"…

Serin:- Lobhu baaten ghumao mat, saaf-saaf kah do jo kahna hai...

Lobhu:- Tum janti ho main kis ore ishara kar raha hun.… Tumhe to khud bhi pata nahi ki tumhe jina kisne sikhaya… khush rahna kisne sikhaya…

Serin:- Bacchon ko pahle mahal chhod'kar aao ... Fir tum mujhe aur Nischal ko uske bare me batana... Jab bhi Jivisha ke bare me batate ho, dil me gudgudi si hone lagti hai… itni chulbuli aur humse pyar karne wali bhi koi thi… Lobhu ek baar aur shuru se sab batao na...

Lobhu:- Nischal se mil lo mai in bacchon ko mahal me chhod'kar aaya…

Serin khili si muskan ke sath jungle ke ander chal dee. Ek pratibandhit kshetr jahan jane se pahle Adhymya ke bacchon se izazat leni padti thi. Waise to abhi apne baap ke size yani ki 30 fit ki unchai nahi prapt kiye the. Ye bacche abhi 8 fit ke hi the, lekin 12 ki jhundh me ye apne pita Adhymya se bhi jyada khatarnak aur balshali the.

Jaise hi Serin us pratibandhit kshetr me 100 meter aage badhi hogi, Adhymya ke baccho ne charo ore se gher liya… 12 ke 12 ne milkar itni jod dahar maari ki Serin ke kaan faad diye….

"Hat rasta chhod... Tere baap me kabhi himmat nahi hui mujhe rokne ki aur tu mujhe rok raha"…. Serin bhi gurrati hui ek najar sabko dekhti hui kahne lagi...

Tabhi jhund ke 2 sher aage aaye aur thik uske chehre ke samne itna tej garje ki apne muh ka aanshik chhipchipa laar Sherin ke muh par chhiten maarte, apne gardan dayen-bayen ghumane lage...

Serin apna muh saaf karti 4 kadam pichhe hui aur daud'kar jump leti, dono ke side face par ek-ek thappad jadti.… "Tumhe ladne ka mann hai to yahi sahi aa jao.. aaj tum sbako yahi lita lita'kar maarne wali hun...

Thik issi waqt thodi dur se Nischal ki awaj aayi aur sabhi sher vishram le liye. Koi sher hatkheli karte Serin ke kandhe ko dhakka maar raha, tha to kisi ko Serin uska gala pakad'kar aalingan me le rahi thi... Wahan se aage badhne se pahle Serin kahti chali.… "Jab Nischal nahi hoga tab apna bal pradarshan karenge"…. Adhamya ke sabhi bacche ki ek sath khushi ki dahar...

"Bahut hi pyari aur khubsurat lag rahi"…. Nischal ek kate ped ke upar baith'kar, Final Planet se chori karke laye pakshi ke ore maans ka tukda uchhal'kar fenkte huye kahne laga...

Serin uske karib baith'kar, Nischal ko chumti hui.… "Tumhara hona hi meri khushi hai Nischal. Viggo Viman ki koi khabar"…

Nischal gahri shwans lete…. "Hum dono ko chhod'kar Jivisha ko pura Middle State se lekar North State tak janta hai. Humare Viggo viman ka raaj bhi unhi panno me dafan hai kahin, jo hume yaad nahi"…

Serin Nischal ke gale me kisi dost ki tarah hath dal'kar bhinchti hui.… "Kahti hun prithvi chalo to chalte nahi.. ab mai ub gayi hun... Kisi ek baat par faisla kar lo, mujhe tumhara ye akelapan achha nahi lagta"…

Nischal:- Tum ho na meri puri duniya...

Serin:- Pagal mujhe to next blood (Next Generation) dekhna hai.. aur ye aakhri Viggo ka badhta samuday...

Nischal:- Achha isliye meri jodi banane ki soch rahi… khud to akeli mauj karna chahti ho aur mujhe kisi ke sath bandhne ki soch rahi… aur kya kah rahi ho sabse... Meri jodi banegi wo bhi Viggo ke rashm se...

Serin:- Dekha jaye to meri chhoti si sajis hai. Viggo ki jodi to banegi nahi ye to mai samjh gayi. Isi bahane tumhari kam se kam 3-4 jodi bana'kar main Viggo samuday ko sanrakshit to kar hi sakti hun... Aur jitne bhi next blood honge unhe mai bada karungi... Unki master Serin...

Nischal:- Ye har baat par tum Viggo samuday ke badhava par jod kyon daal rahi ho aaj... Kya yakin nahi ki mai jivit rahunga...

Serin:- Is baat par yakin karne ke liye pahle mujhe jivit rahna hoga aur vishwas karo, jo hathiyar tumhe marne ke liye aage badhenge, unhe pahle mujhe bhedna hoga... Ab mai bhaybhit hun tumhari baaton se. Aaj ke baad tunhari har yatra me main tunhare sath rahungi. Lekin uss se pahle meri baat maan lo, meri khushi ke liye...

Nischal:- Tumhari ikchha janta hun lekin fir bhi suna do…

Serin wapas se Nischal ko chumti... "Bada sa samoroh hoga. Kewal middle state hi nahi, balki pure Aizem jshn me duba hoga... Pura hafta hum chhutiyan manate rahenge... Pahli baar Amusement Hall kisi jode ke liye khola jayega, aur shayad aakhri baar bhi.… Wahan tum aur tumhari jodi pure hafte maze karoge... Aur wahin ke wahin next blood ki subh sanket bhi sun lungi.. maza aayega…

Nischal:- Aur Jivisha, jiske bare me Zoren niwasi kah rahe the ki unhone alokik raushni dekhi thi... Ek Viggo ke sache prem ki jodi...

Serin:- Tumhare sine par wo nishan hai kya???

Nischal:- Nahi... Par ye bhi to ho sakta hai na ki jab mere yaden gayi to dil se wo chahat bhi gayi... Yahi wajah hai ki hath ke nishan mit gaye...

Serin:- Isliye to mai jodi ke liye itni jid kar rahi hun... Tumhari sacchi chahat mil gayi fir tum kisi ladki ko hath lagaoge nahi...

Nischal:- Aaj ye kaisi paglon wali baten kar rahi ho..

Serin:- Main bus sun-sun kar thak gayi hun... Ya to samuday aage badhao ya fir aaj ke baad jise bhi mai aakhri Viggo kahti sunugi, uske samuday ko aakhri kar dungi... Aur main faisla kar chuki hun... Mai ja rahi hun bacchon ke pass.. apni marji bata dena...

Serin gusse me uth'kar ja rahi thi aur tabhi wahan Lobhu bhi pahunch gaya... Usse iss prakar gusse se jate dekh..… "Serin wo sun to lo jisse sun'ne ke liye bulayi thi"..

"Mujhe na to kuch sun'na hai aur na samjhna... Isse kah do aaj faisla karke jaldi bata de. Meri baat bahut dino se taal raha hai"… Apni baat kahti Serin wahan se chali gayi... Aur Nischal apne aakhon me khun utar'te, apne khanjar ko bade dhyan se dekhte.…

"Mere jahan se mere Jaal mahal ke dhwast hone ki puri yaden jisne mitayi... Jisne mere jivan ke sabse hasin pal ko koda (blank) kar diya. Mera wada hai khud se jab tak usse apne khanjar se chir na dun chain nahi aayega... Lobhu aaj hi 10 logon ko pahle Zoren bhejo.
Wahan se Jivisha ki puri detail lekar prithvi kaho jane. Sab pata karke kaho aane.… Dhyan rahe kisi ko kano kaan khabar nahi honi chahiye ki ye 10 log kahan aur kyon ja rahe hai. Lagta hai meri Half (meri sauteli) kafi khaffa hai mujhse.. Chalo mai chala Serin ke pass aur tum jao mera kaam karne... Abhi"

______________________________________

"Nooooo... Noooo... Please.. I can't hold u anymore.. aaaiii aaiiii reeeeee"..

"Lage hai ye videshi professional to gayi bahaya... Ja chhori kisi aur ko jaldi bhej je mahra hathiyat khada howe"…

"Aahhhh aahhhh aahhhh aahhhh... Harder baby... Aahhh harder... Ummmmm.."

"Chaudhry teri wali to maze le rahi.. mahri kahe bich raste me daga de gayi"…

"Wadhwani keep quite"…

"It's so big.. come on push it harder"…

"Re Khan thari sasuri ander dalne kah rahi se, dal na.. kahe chum chat kar Jhon Snow bana ja raha... Muh se hi sab kar lega ke"…

(Jhon Snow 'Game Of Throne' Namak web series ka ek mukhya patr tha. Uski duty aisi jagah lagi thi jahan wo sex na kar sakta tha aur majboori aisi fasi thi ki kya kare… to apne jibh ke hunar se mamala shant kar diya tha... Usi ka jikr karte"

"Wadhwani don't dustub"…

"Mare se ab bardast na howe hai, saanp funfkar raha hai kisi na kisi bil me to ghusega sasura.."…

"Wadwaniiiiiiiiii... BC .. Haramiiii... MC… BSDK.…."

"Sale pichhwade jate hi deshi yaad aa gaya Khan, abhi to angereji me kahe se "don't distrub"…

"Wadhwani teri wali aa gayi.. ja le uski..."

Ek bade se kamre me rangarang kraykarm shuru tha. Samuhik kraykram me maze ke sath-sath hnsi thitholi bhi apne charam par tha... USA ke 3 migrant billionaire ke bache the, jo apne baap ki daulat ka bilkul sahi istamaal karne me lage huye the aur jashn ke mahol me 'Khao piyo mauj karo' ki kahawat ko sach kar rahe the...

Haan lekin ye mauj baap ke daulat se nahi kar rahe the, balki wakai me apne baap ke daulat ka sahi istamal kiya tha. Dhyan dijiyega warna mera koi dosh nahi yadi aap yah samjh le ki baap ki daulat se group sex samaroh ka aayojan tha.

Gaurtalab hai, pahle jahan inke pitaji ki rank prawasi billionaire ke hisab se Forbes magazine me chhapti thi. Nahi samjhe to jakar Google kijiye top Indian billionaire in USA, top Pakistani billionaire.. to aise me unke pitaji ki ranking thi. Baki overall USA ke amiron me to 150-200 rank par ho, wo Google baba achhe se bata denge..

To ab ye teeno mahaj 6-7 mahine me hi na kewal USA ke balki duniya ke amiron me sumar the. Sal bhar pahle tak ye teeno ek dusre ke pitaji ko bus kitabon aur magazine ke jariye Naam sunte the. Na kabhi dur-dur se dekha aur na hi kabhi mile. Lekin achanak hi kuch mahine pahle teeno ne apne pitaji ko jhatka dete, sath me business shuru kiya.. ek vittiya varsh (financial year) me matr 7 mahine hi kaam kiye the aur un 7 mahine me inka hi danka gunj rahi thi....

Jahan arab'patiyon ke vyapar me 2 se 5% ka gross profit dekhne ko milta tha, wahin inke vyapar me adbhut aur achambhit karne wala growth dekha gaya tha, wo bhi kayi hazar guna. Iss baat ka aaklan sirf itne se hi lagaya ja sakta hai hi teeno ne 1 billion USD se 7 mahine pahle business shuru kiya tha aur year close kiya 9 trillion USD.

Business ke galiyaron me bus inhi ki dhoom thi. Charo ore inhi ke charche aur har businessman ander se kudhte huye apne karibiyon se puchh rahe the ki ye "Last Wish" company aisa kar kya rahi hai jo har din 4 guna se bhi jyada tarakki kar rahe...

Aakhir ye teeno hai kaun jo achanak se picture me ubhar'kar samne aa gaye? Inke baap to salon ki mehnat ke Baad bhi kabhi 7 billion se aage nahi badhe, fir majah 7 mahine me kaun sa jadu kiya hai????

Huge applause for Nischal And Serin :applause:
Dono ne Kabil-E-Tareef kaam kiya hai 1000 bachcho ko adopt kiya aur inhi ki madad se wo apna bachpan bhi jee rahe hai lekin ye kehna bhi galat nahi hoga ki kahi na kahi inka bhi haath tha in bachchon ko anath karne me ...khair us time kuch nhi hua ho lekin ab wo apni galti ko sudhaar rahe hai .....
Adhymya ki entry bhi ho hi gayi ... Aur ye Nischal final planet se pkashi chori kar laaye 🤔 ese kese mtlb waha to wese bhi sab abnormal hota hai to pakshi ki height bhi abnormal hogi to chori karte samay kisi ko pata kese nahi chala
Zara ispe prakash daaliye Nainu bhaiya ....

To in logo ko jisha ke baare me sab pata hai lekin phir bhi ye earth pe nahi jaa rahe .....
Aur Serin ke kehna bhi sahi hai ye last Viggo last Viggo sunna to isse acha ki next generation bana lo

Nischal ne Lobhu se logo ko earth se jisha ke baare me detail laane kaha hai mtlb jaldi hi Nischal aur Jisha aamne saamne honge majaaa ayega yeppppiiiieee
Aur ab to nischal ne kasam bhi kha li

Ab Ye 3 Hawasi hai kon

Shandaar Update Nainu Bhaiya
 
Top