Update:-78 (B)
Sabhi logon ko ye mehsus Hoti khushi mano 2 maa (Serin aur Nischal ki maa) ki marmik kahani se ubarne me madad kar rahi ho.... Kasak utsukta vash puchhne lagi... "Ye kitne vishalkay sher ka jhund hai. Yahi Adhmya aur uska parivar hai na??"…
Nandni aur Nischal ne jaise hi haan me sar hilaye, Kasak... "Ye itne khush hai ki uski khushi main yahan tak mehsus kar rahi, Shwetna ki shadi me to lagta hai sab deewane huye ja rahe hain"..
Nandni ko baat shuru karne ka jaise mauka mil gaya ho... Aur usne Adhmya aur uske parivar ke khush hone ke pichhe ka karan Nischal ke 4 jodi se hone wale bacchon ko batayi, jise Jivisha ki sahmati par plan kiya gaya tha. Isliye Jivisha bhi usse apna baccha maanti hai...
Haalanki Nandni ko wakai pata nahi tha ki Adhmya aur uska parivar kyon khush hai... Lekin Nandni ko apne doston ki khushi ya gum bhaanpne ke liye kisi shakti ki jaroorat nahi thi. Wo brahmand ke kisi bhi kone se unki khushiyan aur gum, dono mehsus kar sakti thi... Fir wo Nischal ho ya Jivisha, dono dukh me ho ya khushi me, mehsus ho hi jata tha...
Haalanki jis baat ka dar tha wahi hua... Abhishek gusse me aa'kar Nischal ko ek thappad laga diya... Asis bhi ghurti najron se dono (Nischal aur Nandni) ko dekha aur apni bahan Nandni ko ek thappad jad diya...
Baat koi bhi ho Nandni ko thappad padte hi Ansh aur Nischal ki bhavna badal gayi, lekin Asis se dono hi kuchh nahi hi kah sakte the... Wahin Kasak ko bhi chubh gayi ye baat... Jivisha ki 4 shaut aur charon se bachhe honge...
Haan lekin Kasak ko sab ke upar viswas tha... Isliye wo Jivisha ko bulane kahi... Issi bich Shwetna bhi wahan Lin ke sath pahunch gayi... Wahan ke khinche mahol ko dekh'kar wo bhi Nandni se isharon me puchhne lagi ki "yahan hua kya tha"???
Nandni ne bhi isharon me hi samjha diya ki, usne aur HuYu ne jo raaj daba rakha tha wo samne aa gaya hai... Kasak ke kahne par Nischal ne Jivisha ko bula liya... Wo aur Serin bilkul masti aur khushi me pahunchi…
Jivisha ka kafila jahan se bhi gujar raha tha, har koi alag hi tarah ke santusti ko mehsus karte, jhumte huye apne jaam lahra rahe the... Jaise hi Jivisha apne logon ke bich, Adhmya aur dragon babies ke sath pahunchi… wo log bhi kuchh sukoon aur santust bhada ehsaas mehsus kar rahe the...
Abhi to kewal 2 ke sath Jivisha ne apni khushiya saajha ki thi... Lekin jaise hi usse pata chala ki Nandni ne sabko sach bata diya... Wo paglon ki tarah uske poore chehre ko hi chumti.… "Aa gale lag ja... Mere vajah se tujhe abhi sun'na para kya yahan???"..
Itne me hi Abhishek, Jivisha ke iss pagalpan ke liye, jaise hi usse chilla'kar daantne laga... Adhmee kud'kar Jivisha aur Abhishek ke bich khadi ho gayi... Gussa Adhmee par aisa haavi, ki wah shant hone ko taiyar hi nahi thi. Anth me Nischal aur Jivisha ko, Adhmya ko bulana para tab kahin jaa'kar wo shant hui...
Jaise hi Adhmee alag hui, Jivisha apne bhai ke samne haath jodti... "Samjh lo na koi bhi chij fir gala hi daba dena.... Aise kyon over react kar rahe ho"..
Abhishek, gusse me usse ghurte... "4 shadiyan tujhe mazak lag raha hai.… Upar se wo najayaj"….
Nandni ne apni aankhen badi kar lee. Abhishek najayaj par hi tha, ki Serin kud'kar Abhishek ke aage aayi aur usse apne pichhe ki, aur in sab ke ke bich Jivisha bus itna hi kahi.…
"Bhaiya tumhare jagah agar kisi aur ne mere bacche ke bare me itni badi baat kah di hoti na... Khair yahan aao mere pass, main tumhe mehsus karwati hun ki kyon main khush hun... Aur tum log jo nahi dekh pa rahe ho un 2 aatmaon ko, lekin main saaf mehsus kar shati hun.. Nischal aur Serin ki maa.… Unke dono hath lagatar uth rahe hain hum sab ko aashirwad dene ke liye"..
Kasak, Serin ke pichhe se Abhishek ko aage layi… Aur aakhir me jab Jivisha ne sabhi se apni khushi saajha ki… har kisi ke aascharya ki koi seema nahi thi… Har koi stabdh bus sochta hi rah gaya…
Kasak, Nandni, Ert, Luna, Shwetna, Ansh, Abhishek, Asis aur Saahil, sab ke sab kayi baar uss asambhav se aascharya ko mehsus karte rahe. Wakai Jivisha kitni khush thi uska aabhash sab ko jo raha tha... Har koi aaschrya aur khushi ke bich aanshu baha rahe the… Jivisha ne kewal Nischal ko pass aane se mana kar diya... Muskurati hui wo kahne lagi... "Apne bacchon se mere love bahut dur rahe, meri vajah se... Main nischint se unhe milvaungi"…
Jivisha ki baat sunkar sabhi hasne lage... Tabhi Shwetna apna naag dansh hanth me lee… Nischal aur Jivisha, dono ke naag dansh ko bhi nikali... Nischal aur Jivisha ko ek point par khade karne ke baad, teeno naag dansh ko teen kone par ghus'kar ek triangle shape ka nirman ki, jiske bich me dono khade the…
Shwetna jor se chillati hui kahne lagi... "Humari khushi ye poora Zoren mehsus karega"….
Teen alag-alag tarah ki raushni, Nischal aur Jivisha ke sar ke thik upar, aapas me mil'kar, upar hawa me rang-birangi raushni bikher rahi thi…. Wo bikhri raushni, kafi teji se wahan ke vayumandal me failne lagi... Jiske pravaah me jo bhi fase ek alag hi alokik khushi ko mehsus karne lage…
Shwetna aur Lin aaye hi huye the yahan apne mukhiya ko lene. Shwetna aur Lin ne unhe sath me lee aur bakiyon ko jaldi se taiyar ho'kar pahunchne bol dee. Khas'kar Ert ko, kyonki Shwetna ko bhi pata tha ye kitni badi mastikhor hai aur kahan jane wali hai...
Shaam dhal chuki thi. Charo ore rang-birangi raushni rang bikher rahi thi. Har jagah lage huye the chhote bade high class woofer. Unme se nikalti masti bhadi dhun jhumne ko vivas kar de. Saikdon kilometer me faila hua bada sa maidan... jiske thik bich me 6 km unchi minar bani thi aur 1600 meter ka golaakar stage bandha gaya tha...
Maidan lakhon yuvak aur yuvtiyon se bhada hua tha jo jode me aaye the. Aur jinke jode nahi the, wo kinare khade hokar apna joda bana rahe the. Wahan pahunchi har Stri kafi aakarshak libas me thi.. khule aur aakarshak vastr, jise pahan'kar jhumti har stri apne aakarshak badan se apne sathi ko rijha rahi thi. Aur unke sathi upar lagbhag khule badan, jis par bina button ya chain ke sleevless chhote jacket ya chhote shirt pahne, apne partners ke sath poore madhoshi me jhum rahe the... Jaam lahra rahe the... Aur ek dusre ko chum'kar mahol ko kafi Khushnuma bana rahe the.…
Nilbhut samuday ki sardar Shwetna ki wo pahli jhalak aur sabhi yuvak-yuvtiyan paglon ki tarah hooting karte, apne jaam ko hawa me lahraye, tabhi samne se Shwetna ne bhi apne hatho me jaam uthaya... Jaise hi jaam uthe, thik ussi waqt Lin bhi wahan pahuncha...
Majakiya yuvakon ne mahol banate huye apne sardar ko apne chunav par punar vichar karne kah'kar, khud ko chun'ne ke liye kahne lage... Shwetna pyara sa chehra bana'kar, Lin ke honth se honth laga'kar chumti hui, apna faisla jaise hi batayi, Ek baar fir se sabhi yuvak-yuvtiyan apne sathi ke sath chipak'kar jhumna shuru kar chuke the.... Aur inhi bhid me sab ke sab alag-alag jagah par masti kar rahe the, Siway Nandni aur Ansh ke koi bhi nahi gaya uss stage par...
Jodi banane ki rashm nibhayi jane lagi...Jashn-e- mahol me sab jhum rahe the... Poori khushiyan bikherte log apne sardar ki sadi ka jashan me dube the... Jaise hi jodi banane ki rashm samapt hui aur naye jode dwara hawa me jaam lahraye gaye...
Fir to Ert apna jaam samapt karti, Abhisek ko le'kar bhumigat ho gayi... Honth se honth laga'kar usse chunti hui apne sathi ko poorn kamuk karne ke liye, naah phans sammohan halka fijaon me bikher dee...
Fir to dono ek dusre ko behatsha chumte huye, poorn kamuk milan karne lage... Wahin upar jhumte kayi yuvak-yuvtiyan bhi apne sathi ke sath bhumigat ho gaye... Apne sathi ko samjhne wali aur shant rahne wali Luna bhi poorn apne kaam-uttejna me thi...
Luna, Asis ko khinch'kar guest ke liye bane tent me se, ek tent me ghus gayi aur batti bujha di... Batti bujhte hi Asis pahli baar ek kamuk Aizem ki stri ka roop dekh raha tha... Fir to wo bhi sex aanand me bilkul dub sa gaya...
Kasak aur Sahil to iss jahan-e-mahol me iss kadar dube the ki jodi ban'ne ke kafi der baad tak bhi, kayi sare yuvak-yuvtiyon ki tarah, chipak'kar jhumte rahe... Mohol hi kuchh aisa tha ki ang se ang lagana ek anokha anubhav de raha tha... Jab'tak Serin aur HuYu unke pass nahi pahunche, tab'tak dono ne wahan ke jashn ko poora enjoy kiya...
Jivisha aur Nischal, Shwetna aur Lin ko le'kar sidha alfas grih pahunche… Yah alfas grih ek andheri gufa numa sanrachna thi, jo Nilbhut samuday ke rituals me tha... Naye jode ko yahin andheri gufa me apni pahli raat bitni hoti hai, jahan inke liye kuchh na kuchh inke puravaj dwara chhoda jata tha..
Alfas grih me dono ko chhod'kar jab sabhi laut rahe the, Nandni ki ikchha hui sabke sath vatika me samay bitaya jaye... Nandni ki ikchha thi, isliye uska bada sa parivar jisme Nischal, Ansh, aur Jivisha ke alawa dragon babies aur Adhmya ka poora privar sath tha, sab chal diye wahan waqt bitane...
Lekin jaise hi sabhi vatika ke dwar par pahunche, wahan ke dwarpaal ne rasta rokte huye kaha... "Pahle hi Shwetna ke kahne par... Master Serin aur uski humshakal ke liye poore vatika ko 2 hisson me deewar bana di gayi hai... Ab itne logon sath jayenge to pareshani hogi... Main kitne deevar baan'ta rahoon...
Nandni aur Jivisha jab yah suni, wo dono hansti hui sabko le'kar Viggo viman me hi lautna uchit samjhi.… Sabhi wapas laut aaye... Khushi ka mahol tha sabne pana jamavda hall me hi lagaye aur sabhi saithan bacchon ko khelne ke liye dusre hisse me bhej diya gaya…
Jivisha jab sukoon se baithi, tab Nischal ka sar apne gode me le'kar uske sar par haat ferti hui, uske bachhon se milawane lagi... Nischal ke liye ye kafi anmol kshn the… Apne ansh ko jab usne mehsus kiya hairat bhadi uski aankhon me halki nami thi.
Jivisha uske aanshu pochhti hui wapas se Nischal ko apne gode me sulayee aur samne Nandni ko dekh'kar…. "Mere love ka kafi komal hriday hai na... Main nahi chahti thi uske aanshu koi wahan bahar wale dekhe"…
Nandni aur Ansh dono hi Jivisha ko gher'kar baithe... Jivisha gahri shwans leti.… "Sorry Nandu mere vajah se tu hamesa fans jaati hai"…
Nandni:- Aage bol Jhalli… ye to aadha hua..
Nandni:- Areee ab main sensitive ho gayi hun...
Tabhi bich me Adhmee dahari, mano kahna chah rahi ho… "Bilkul yakin mat karna"… aur ye baat Nandni aur Jivisha dono hi saaf samajh paa rahi thi... Dono hi hasne lagi... Tabhi ek baar fir Nandni boli... "Jaldi muh ka shutter khol'kar bol kya paka rahi dimag me"…
Jivisha:- Nahi re iss baar kuchh bhi aisa nahi... Main soch rahi thi bichare ye Middle Universe wale... Inke pass koi entertainment source nahi, isliye jab dekho tab ya to ladte rahte hain, ya har mauke par apni aabadi badhane me lag jate hain"..
Nandni, Jivisha ke sar ko thokti... "Abhi ye inke jashn manane ka tarika hai"..
Jivisha:- Haan lekin aaj jab main dragon babies ke sath thi… to ek maa ke liye ajib lagega na ye.. apne bacchon ke sath aise jashn attend karna…
Nandni:- Wahan koi parivar nahi aaya tha... Sabhi parivar apne bacchon ke sath screen par ye shadi dekh rahe the aur bhavishya me tu bhi aisa hi karegi. Ab iss mudde par tu apni saitan khopdi chalana band kar de. Aur haan shoorwaat me tune sahi kaha tha, ki main teri vajah se fans jati hun... Mujhe aur na fansa...
Nischal:- Ek Baar uski poori baat sun to le… .
Nandni:- Chup be jodu ke gulaam. Kaash tere jaisa 1% bhi gun mere pati me hota, to ab tak tum dono se jhagra kar raha hota... Ye teri biwi kitni sensitive baaten shuru ki thi... Lekin jis hisab se isne entertainment par jod diya na main samjh gayi ki ye kya kahne wali hogi...
Jivisha:- Kya???
Nandni:- Yahi na ki main yahan ke logon ke sath film nirman karun...
Jivisha aur Nischal ek sath... "Yesss sahi samjhi hai... Yahan bhi filmon ki pratispardha hogi. Itne sare grah hain, har garh se kitni filmen relese hogi. Sabke hindi dubbed hum dekhenge… waise bhi pahli nirmata, nirdesak, ho sake to actress bhi tu hi rahegi, to hamesa tera hi naam pahle liya jayega. Godess of Middle univese cinema"…
Pichhli baar ek movie banane ki kosis hui thi... Goli maarne ka scene tha... Dummy istamal karne kaha gaya tha... Filmon ki deewani Nandu aur Jivisha ko wo scene pasand na aaya tha, aur jab bhi wo camera me dekhti, artist ko bolti "ek aur kosis natural nahi lag raha"...
Baar-baar ek hi baat sun'ne ke baad natural lagne ke liye bhai ne orignal gun laa'kar shoot kar diya tha, jiske khun ke chhinten Nandni ke poore chehre par bhi pare the... Sahi waqt par ilaj ho gaya, warna natural acting karwane ke chakkar me ek tapak hi gaya tha...
Nandni uss ghatna ko yaad karke poori tarah se sihar gayi... Ansh ko ghurti hui kahne lagi…. "Kuchh to bolo... Kam se kam mere khatir dono ka jabda hi tod do"…
Ansh:- Had hai yaar, tum teeno ke bich main kahan se aa gaya ….. main to sath baitha hun bus. Mujhe mat ghasito...
Nandni:- Ansh, lakshan dikh rahe hain tunhare. Tunhare ander kaale dil me hamesa se yahi chalta hai na ki kaise main fans jaun, isliye aise mamlon me kabhi mere favour me nahi bologe.... Abhi to waise bhi ander se dil ke armaan jhum rahe honge... "Achha hai fansi ab ye"…
Nischal, apna haath badha'kar Nandni ke sar par ek haath maarte... "Tum dono (Jivisha aur Nandni) apne pagalpan me doctor sahab ko kyon fansa rahi. Kitne sarif hai ye"..
Nandni:- Ohhh hoo hoo sarif… 2 baar gusse se mujhe khinch'kar thappad laga chuka hai... Sarif hai ye...
Nischal hadbara kar uth'te… "Aree doctor sahab kaise kar liye ye kaarnama… mujhe bhi sikhao... Aap to hum patiyon ki shaan ho"…
Tabhi ek kadada panja para aur Nischal 5 fit dur jakar gira aur ussi ke upar docotor sahab bhi land kar rahe the... Ye karnaama Adhmee kar chuki thi... Pahle Nischal ko ek laafa lagayi, uske baad Ansh ko utha'kar Nischal ke upar fenk dee...
Jivisha aur Nandni hansti hui Adhmee ke sath khadi ho'kar Adhmya ko ghurti... "Tumhe bhi in patyon ke group me samil hona hai kya???"… Adhmya bechara apna dum samet'kar Adhmee ke paun me let gaya...
Nischal aur Ansh usse dekh'kar… "Thuuu hai, patiyon ke naam par dhabbe Adhmya"…
Nandni:- Lagta hai poore sanskar na aaye hain... Adhmee jarra wapas se sanskaar sikhao…
Nischal aur Ansh bahar bhagte... "Sale issi Adhmya ko dekh'kar kahavat bani hogi... Bahar ka sher, ghar me chuha"…
Nandni unhe bhagte dekh hansti hui kahne lagi.… "Sala apne baton ka koi sar pair hi nahi hota, topic kya start hoti hai.… Aur baat kahan aakar khatm hoti hai"…
Jivisha:- Kaun sa desh ki artvayvasta ke bich me hum cinema ghused rahe hain… aise charha to ghar-ghar ki baat hai... Kaun sa humne kuchh naya teer maara hai...
Hansi mazak aur sabhi ke pagalpan ke bich, ek dusre ke sath ka luft uthane ke baad sabhi sone chale gaye. kafi sukoon bhadi raat ke baad, khili si subah ki shurwaat ho rahi thi. Shwetna ke saja anusar 20 hazar Zoren wasiyon ko Nischal ne der raat hi uthwa liya tha aur subah ke pahli kiran ke sath hi, Nischal apne safar par nikal chuka tha…
Very interesting lajawab dhmakedar update
Ye sare cherecter kaha se develop kiye hain bahi
Jaha bhi nazar jati h Sala maiend blanck ho jata h in ki conversation comady sun k
Sab ek se barh k ek hain
Or ek baat btao ye panchi Raj ne dragons k ande 21000 rakhway thy ship k ander
Or bache nikle 8400 baqiyo ka kia bna