• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792

Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...

Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....

Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...

Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-85

Chief chillaya "guards"... Aur agle hi pal uss hall me sabhi dragon babies katar me khade ho gaye. Upar dragon babies ki katar, niche 12 dus futiya sher ke bachhe line lagaye aur unke pichhe 20 futiya Sher aur Sherni Adhmya aur Admee samne se sabko ghurti hui khadi thi...

Nandni, nayi-nayi bani in baby dragon ki leader Meena ko thappad lagati... "Tum log ab yahan humara dimag kharab karoge kya... Yahan guns aur hatiyar le'kar log aayenge aur tum sab bina soche-samjhe aa gaye"..

"Jhalli massi, missile aur tope ka idea bhi de deti na"… Meena apne pankh se apna matha pit'te hui kahi..

Jivisha:- Chief, shanti se baat kar le... Yadi ye baad proof hoti hai ki cheating kiya hai humne, to tum jo bologe wo hoga... (Fir Adhmya aur Adhmee ke ore dekhti).. Adhmya, Adhmee kya hai ye sab...

Adhmee Jivisha ki baat sun'kar dahari aur ek tej dhakka Jivisha ko aisa dee, ki wo kursiyon ko pichhe ke ore samet'ti hui 10 fit tak dur ja'kar giri.. naak se khun nikalne laga...

Sabhi dragon babies Adhmee ko ghurne lage... Meena gusse me fuhhh-fuhhh karti thandi barfili hawa spray karti... "Adhmee chachi, tumhari to... chicha samjha lo apni lugai ko warna kada virodh pradarshan ho jayega"…

Iss par Adhmee ne usse ek dhima thappad maari aur ghurti aankhon se shant rahne ka ishara... "Kamini Adhmee, humla karne se pahle bol to deti"… Jivisha khud ki haalat thik karti hui kahne lagi...

Nandni:- Har jagah tu khatra mol le'kar aage nani ki tarah khadi rahegi to yahi haal hoga na... Thik kiya Adhmee...

Chief:- Kya hun baith'kar baat kar len... Yahan ka mahol kharab na karen... Jivisha, kya tum sabko kahogi jane...

Uski baat sun'kar Adhmee daharti hui wahan se bahar nikli... Dragon babies bhi uske pichhe chal diye.… "Maa, Rani chachi kah rahi hai iss baar screen par action hota suni to 2-4 ko tapka denge"… jate-jate Meena cheta kar nikli...

Chief:- Kamal ke janvar hain ye... Bolte bhi.…

Jivisha bich me hi tokti... "Dobara jaanvar na nikle muh se chief... Yadi mere kisi bacche ka naam nahi pata to usse dragon bulao... Ab baith kar baat kar len"…

Chief:- Thik hai meri galti hai jo maine sahi se deal nahi kiya...

Ansh:- 80 hazar coin... 1 piece ki kimat...

Chief ne shuru se baten gaur kiya... Pahli baar maine bola to 10 lakh ki betting, dusri baar bola to 20 lakh.. teesri baar bola to 50 lakh ki betting ho gayi... Idhar Machhli wale matter me bhi maine jitni baar bola rate multiple high ho raha hai...

Chief apne khyalon me calculation karte huye.… Bus Jivisha ke ore hi dekh raha tha... Jivisha Ansh aur Nandni ko dekhti... "Maaf kar do bechare ko.. 1000 per piece thik hai na"..

Nandni, budbudati.… Kamine ne humla karne ka socha tha...

Ansh:- Shiii... Dhime bolo, wo chief hai yahan ka...

Jivishsa:- Mr & Mrs ladaku jaldi batao bhi...

Ansh:- Kya hai saali sahiba main jhagra karta hun kya Nandni se jo mr ka naam jor rahi???

Jivisha apne dono gaal par hath rakhti.… "Hayyyyy jiju, ek baar aur kaho na"…

Ansh:- Pyari saali sahiba ji, kya main jhagra karta hun????

Nandni, apne dono hath se Jivisha ka pith thokti.… "Nautanki kahanin ki, ja 10000 me hi rate nakki kar le, aur ye Nischal uss Last Line ke pass viman kaahe roke hai… (5Km/hr se viman chal rahi thi jo lagbhag ruka hua pratit ho raha tha)

Jivisha:- Kuchh meeting waigrah kar rahe honge... Chal screen ke samne baith'te hain... aur deal bhi final karte hain...

Jivisha wapas aa'kar 10000 me rate final kar'ke usse 5000 mada machhli supply karne ke liye, saman ki dekh bhal karne wale sainikon ko bol dee...

Jab tak ye log bahasbaji me lage the tab'tak Nischal poori yojna samjha'kar Viggo viman ki gati dhire-dhire badhana shuru kar chuka tha...

"Ye hui na baat. Chal ab jarra baat kar len.. kyonki uske baad to sidha Hurriyen planet par hi ye rukega aur bich me kafi vyast mahol hoga... Ladke me thoda josh bhar dun"… Nandni samne screen dekhti hui kahne lagi...

Jivisha, apne hall se 2 technology expert ko bula'kar, 2 screen ko party hall me connect kar lee aur kuchh command jaise hi dee, Nischal najron ke samne the…. "Baby, Last Line cross karne hi wale ho kya???"

Nischal:- Umaaahhhhh.… Line kya ab to sidha suraj par pahunch jaunga... Chinta mat karna aur wahan sabka khyal rakhna... Nandu... Chup kaahe...

Nandni:- Chup kaahe na rahungi.... Dono jija sali ne mil'kar mujhe bahut sunaya.... Nautanki drame me, I am Alone Nischal... Jaldi aa fir in dono ki band banayenge…

Nischal:- Hahaha... Doctor sahab ye main kya sun raha hun...

Ansh:- Aa'kar baat karna itminan se... Kaam khatm kar'ke aana.… Yahan 5 carore coin hai humare pass aur ek din me 10 se 11 lakh coin kharch ho rahe... Isliye chinta mat karna…

Nischal:- Hahaha... Poora credit aapko hi jata hai fir… lagta hai mada machhliyon ki deal ho gayi... Doctor sahab jald hi milta hun... Chalo line cross karne wala hun... Ab sidha Hurriyent planet par settle ho jaunga tabhi baat ho payegi… Disconnect kar raha hun...

"Ruko, ruko... Ruko... Ruko"… Pichhe se Gopal aur Bitti awaz dete rah gaye lekin Nischal ne disconnect kar diya... Viman apni puri raftaar pakadi... Last Line cross... Jaise hi wo line cross hui... "Boys, command dena shuru karo"…

Nischal ne gear up kiya... Viman apni poori kashmta se speed pakdi aur apne maximum speed par thi... Idhar sahayak controll room se, viman ke aage ke portion ko pura 360⁰ rotation karna shuru kar diya gaya...

Hirriyent planet se 2200 kilometer ki shesh duri. Nischal ne temprature reading dekha.. Last Line cross karne se le'kar 800 kilometer ander ghusne ke bich me jo temprature me badlav tha, usse dekh'kar Nischal ke hosh udd gaye...

Haalanki iss waqt heat wo impact nahi de pa rahi thi jisse viman ka nuskan ho lekin 10 kilometer ke kshtr me jitna heat badh raha tha, uss hisab se to Hurriyen Planet ke pass temperature ka to aaklan hi nahi kiya ja sakta tha..

"Boys plan me thodi tabdili hai… Main bahut bada daav khelne ja raha hun... Hurriyent par hum apne super speed se, 30 se 45 minute me pahunchne ka risk nahi le sakte... Abhi yahan ka 10 hazar digree celcius temprature hai.. aur ye temprature multiple hota chala jayega... Ab sab taiyar ho jao... Kyonki main Pahli baar istamal karne ja raha hun Viggo viman ka central boost engine"…

announcement ke baad control room se Nischal ne apna khel shuru kar diya... Viggo viman ke dono side engine ko band kar diya... Engine band hote hi viman ki gati girte huye shunya tak pahunch gayi... ..

Jaise hi engine shunya hua, Kuchh second rukne ke baad engine ne Jor Ka jhatka khaya, fir shant… Bus kewal mehsus kiya ja sakta tha ki viman ruki aur fir se kafi tej jhatka.…

Fir to boost engine ka bhi kamal dikhne laga tha... Nischal pal-pal ki khabar le raha tha… Viman me aage ka hissa tej-tej gol ghumne ke bavjood bhi, heat lagbhag 45 se 50 second me ek layer khatm kar raha tha...

Engine boost speed par. Vishalkay Viggo viman, bilkul na dikhne wali gati me.. Lagbhag 2000 km ka safar aur har 40 se 45 second me 1 layer khatm ho raha tha… Nischal ke pass waqt bahut kam tha. Pichhe jane ki koi gunjaish nahi.… Ab bus pal-pal waqt katna tha aur boost engine ki gati par bharosa kar'ke Hurriyent planet land karna tha...

Last Line cross hone ke baad se hi, dum sadhe, Jivisha, Nandni aur Ansh samne ka najara dekh rahe the... Aisa lag raha tha kisi pahiye me aag lag gayi ho, aur wo teji se fail raha hai. Pahle Matel laal hokar pighalta fir kuchh second ka break lagta.… Ye kuchh second ka break uss raakh ke karan hota jiski 2 inch ki parat metal ke upar chadhaya gaya tha...

Garmi ke karan wo rakh jis chij se chipki thi, wah chipkane wala padarth jal'kar alag ho jata aur raakh apne aap upar se bikhar jate.. Jabki 1 complete metal sheet me 1 fit mote metal par 2 inch ka raakh chadhane ke baad, kul 10 sheet jod'kar banaya ek complete metal sheet banaya gaya tha, fir bhi wo poora 1 complete sheet matr 40 se 45 second me gayab ho rahi thi... Jabki viman ke aage ka hissa utni hi teji se ghum bhi raha tha...

Jivisha, Ansh aur Nandni to bhagwan se prathna kar rahi thi... Aur issi daran viamn itni teji se aage badha ki settelite ki image chali gayi. Wo gati hi aisi thi. Engine ko 3 minute lag gaye complete boost hone me... Aisa laga jaise central engine 3 minute me apne engine ke jung ko poori tarah se chhudaya ho... Uske baad to Viggo viman bilkul gayab hi ho gaya….

Camera ye speed ki tasveer nahi de sakti thi isliye Nischal dimag me poora calculation laga'kar, 6 minute baad hi central engine ko control karne laga... Lekin itna bada viman, upar se itni jyada gati.… Nischal jabtak viman ko poora control karta, viman Hurriyent palnet ke satah par land kar chuki thi... Yahan kayi chhote bade, ubar-khabar kewal aur kewal jwalamukhi ke pahad the. Lekin pahad ko bhi bauna bana de itna vishal tire Hurriyent grah par aniyantrit land kiya tha.…

Ghinghinate huye Viggo viman Hurriyent ke surface par land kiya aur jitne bhi jwalamukhi ke pahad the wo sab ke sab ubar-khabad road breaker ka kaam kar rahe the... Viman pura hichkhole khate, chhote bahe jawalamukhi me visphot karta aage badh raha tha...

Boom-boom ki awaj ke sath jwalamukhi fatne lagta aur Viggo viman jhatke se chhitak kar kabhi left to kabhi right, to kabhi center se uchhal'kar aage badh raha tha... Aur iss dauran aage ke bache protective layres bahari aur chattano ke heat ke karan barbad hote ja raha tha...

Nischal andaza laga chuka tha ki agle aadhe ghante me uske viman ka sara protactive layer khatm ho jayega. 30 protective layer me se jab 5 layer bachte, tab kinaraon ka utna failav bhi nahi bachta jo bich ke body ko heat se protect kar sake...

Ye ek bahut badi musibat thi, kyonki bich ke body par matr 2 protective layer chadha hua tha... Wo hissa heat ke sampark me aate hi, matr 4 ya 5 minute ka khel tha.... Jitna heat space me tha, uske mukable Hurriyent Planet pe bahut kam heat thi, shayad yahan ke atmosphere ke karan. Lekin khule mahol me itna heat bhi kafi tha viman ko poora barbaad karne ke liye...

Har tarah ke calculation dimag me ghum rahe the. Nischal bhi control room me utni hi teji dikhate huye apna kaam kar raha tha... Nischal ne boost engine band kiya aur left aur right wing ke dono engine start kar'ke, Nischal ne reverse me pure engine ko dala…

Kafi atihat se wo dhime-dhime engine ko reverse karta raha... Viman dhime-dhime slow hone lagi thi... Aage se takriban 23 layer bilkul hi barbaad ho chuke the... 7 layer bacha hua tha... Nischal viman ko pura jhatke ke sath reverse me liya...

Nilbhut samuday ke sabhi logon ko taiyar rahne ke liye kaha... Nischal engine ko pura reverse karte huye, ubar-khabad pahadiyo ke bich Viman ko aise khada kiya, jahan ek bhi jawalamukhi aas-pass nahi thi...

Nilbut samuday ke log pahle se taiyar the. Jaise hi viman ruki, turant 3 khoji team bhumigat ho'kar poore grah me surakshit location ki talaash me nikle... Wahin baki ke log, jo poore viman ko bhumigat karna chahte the, jab bhumigat ho'kar viman ko bhumigat karne lage... Viman ka lagbhag 40km ka hissa hi bhumigat hua, baad me Nilbhut sainik usse wapas satah par le aaye... Wo log Nischal ke pass pahunch'kar viman ki unchai puchhne lage…

Jaise hi Nischal ne unchai 200 kilomete bataya... Sabhi ke hosh udd gaye.… "Shahjada, 200 km ki itna bada dancha hum bhumigat nahi kar sakte, isse litana hoga.. tab jakar ye bhumigat hoga...

Nischal:- Lekin kyon.....

Nilbhut Samuday ke sanik:- Hum 30-40 km ander tak ki gahrai tak hi bhumigat ho sakte hai... Jyada niche gaye to black hole ka nirman ho sakta hai.. Yahan to aap 200km tak bhumigat hona hai. Usme bhi koi insan ka chhota dhancha nahi jeyega, balki ye vishalkay sanrachna 200km bhumi me jayegi. Aisa karna poore planet ko hi khatre me daal dega... Ho sakta hai kuchh salon me ye poora planet collapse kar jaye...

Nischal…. Ohhh kya musibat hai... Viman sidha nahi kar sakta... Kayi sare jwalamukhi ke contact me aa jayega... Uska visphot, viman me chhed kar degi, aur yahan ka high temperature ander pahunch gaya to viman ke har section me aag hi aag hoga... Khoji team ka intzar karte hain… 2 minute me wo aaye to thik, nahi to hum khud udd chalenge koi safe thikana dhundhne...

Nischal ne kah to diya tha safe thikane ke bare me. Par uske aankhon me umre aanshu kuchh aur hi kahani bayan kar rahe the... 7 layer aage ke bache the... Jisme se pahla layer bus chand der ka mehman tha... Uske baad jaise hi dusra layer jalta, fir heat ka asar bich body par hona shuru ho jata...

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-86

Jald hi viman ko surakhit nahi kiya jata to mahaj 15 minute me viman ki body jal jati... Ye body itni badi thi ki kin-kin hisson me ander se aag pakadta, yah nischal ko bhi nahi pata tha... Haan lekin jo dar tha wo aankhon se dikh raha tha... Viggo viman khone ka dar…

Pahle jaal mahal gaya ab Viggo viman. Nischal engine, medical section, aur viman se tarikaban 1200 section ko lagbhag alag karne ka command de chuka tha… bus final command dene ki der thi... Poora viman na sahi, jitna bachaya ja sakta tha usse bacha'kar bhumigat kiya ja sakta tha... Master control room me baita Nischal gahri soch me dooba... Aankhon ke umde aanshu kab aabkhon se chhalak aaye pata bhi nahi chala...

Aankhon se uske lagaatar aanshu aa rahe the, lekin aur koi chara nahi tha... Gopal aur Bitti, apni toliyon ke sath masti me lage the. Na jane unhe bhi shayad Nischal ki pira ka aabhash hua ho. Nokha ke sath aaye baki ke Nilbhut sainik jo kewal Dragon babies ko sambhale huye the, wo sabhi dragon babies ko rokte rah gaye lekin kisi bacche ne unki na suni aur sab ke sab mukhya controle room me pahunch gaye...

Bitti aur Gopal dono Nischal ke kandhe par baith'kar uske lagatar bahte aanshu ko apne se pochhte huye...

"Baba main kuchh din baad bahut badi ho jaungi, fir apne pith par bitha'kar poore antriksh ki shair karwaungi. Tum ro mat...

"Nahi baba mere sath sawari karenge"…

Jaise hi Bitti aur Gopal ne apna-apna prastav diya, baki ke bhi sabhi dragon wahan halla machane lage... Nischal apna baanh failate…. "Tumhari maa ki tarah to main ek sath pyar nahi dikha sakta, lekin machine aur jamin se badi sapatti to tum sab ho"…

Viggo viman jane ka afsos kahin gayab sa ho gaya. Dragon babies ko dekh'kar Nischal kafi sukoon mehsus kar raha tha... Tabhi Nilbhut samuday ke khoji wahan pahunch gaye. Khoji ke wahan pahunchte hi Nischal unhe jigyasavash dekhne laga...

Khoji yahan rukne ke khatre ko bhanpte huye... "Sahjade yahan thodi si samsya hai... Planet ke jin-jin hisson me jivan basta hai, wo 2 pahadiyon ke bich ki sankari ghati hai... Ye ghati lagbhag 4 se 5 kilometer gahra, aur ghati ki chaurai 1 kilomter se le'kar 20 kilometer tak ka hai"..

Nischal:- Hmmmm... Koi baat nahi hai... Lagta hai hum viman nahi bacha sakte... Maine viman ke 1200 khand kiye hain, unhe lekar nikalte hain...

Nilbhut sainikon ke mukhiya, Bhoro... "Sahjada 2 ghatiyon ke bich yadi viman ko wapas lita de to hum bhumigat kar sakte hain...

Nischal:- "Bhoro jo samsya khade viman ko bhumigat karne ke sath hota, wahi iss me bhi hoga... 200 kilometer me faila ye viman.… Yahan ke surface ko jaise hi ye viman cover karega, kam se kam 2000 jwalamukhi ke muhane ko hi cover kar dega... Tum jabtak iska aadha hissa yani 10 kilometer ka hissa ander le ja rahe hoge tab wo jwalamukhi blast kar chuka hoga"...

"Jamin ke 10 se 15 kilometer ke garv me ye viman. Aur iss viman me itne barood load hai, ki kewal iska engine section me aag lagti hai, to ye poora planet ko le doobega... Main chah kar bhi ye risk nahi le sakta... Dekho baat karte-karte aage ka 6th layer bi ja raha hai... Ab to viman ki body bhi heat ke sampark me hogi...

Bhoro:- Ek ilaaka to hai jiska maidani bhaag kayi lakh varg kilometer tak faila hai aur uss ilake ka tapman bhi lagbhag 200⁰ celcius ka hoga... Lekin..

Niachal:- Lekin kya Bhoro…

Bhoro:- Wo ek bura sapna jaisa kshetr hai kyonki wo ilaka shayad iss planet ke sabse khatarnak kaal jivon ka ilaka hai...

Nischal:- Koi baat nahi hai fir to... Tum location share karo …

Jaise hi location sajha hua... Nischal viman ke left aur right wing ka engine start karte huye.… "Bhoro sabhi bacchon ko aur sainikon ke sath secure chember me jao.… 20 secure chember tumhe satah par hi milenge… sucure chember sahit bhumigat hona... Jab tak main na lautun tab tak koi bhi secure chember se bahar nahi niklenge"…

Bhoro:- Aapke aane me waqt laga tab Sahjade...

Nischal:- Ek secure chember me viman hai aur ek secure chember me yahan ke dhatu ko kaise uss viman par cover karna hai, uske sare equipment aur uss equipment ko chalane ke liye poora manual mil jayega... Koi sawal...

Bhoro:- Nahi Sahjade...

Nischal:- Sabko le'kar abhi niklo... Ek bhi yahan chhute na... Computer ji... Yahan maujood har ek life ko mere screen par dikhaeye"

Computer ji jab'tak screen par har life ki live location dikhata, tabtak Bhoro aur Nilbhut samuday ke kul 8500 sainik, sabhi bacchon ko secure chember ko le'kar bhumigat ho chuke the… Haan lekin Nischal ko aaschrya aur ussi ke sath 2 ke upar utna hi jyada gussa tab aa gaya, jab wahan computer par 3 life aur dikh rahe the... aur ab koi Nilbhut sainik bhi nahi tha viman me...

Aage ka 6th layer lagbhag damage hone ke kagar par tha... Complete metal sheet ab khulna shuru ho chuka tha... Nischal waqt ganwa nahi sakta tha, isliye viman ko teji ke sath hawa me lena shuru kiya aur Computer ji ko command dete.… "Computer ji teeno ko yahan master control room me lekar aao"…

Teeno jaise hi pahunche…. Bitti aur Gopal pankh ke pichhe muh chhipaye, Nischal ke daantne ka intzar kar rahe the... Wahin nischal location set kar'ke viman ko auto-pilot command de raha tha...

Viman poori raftar se aage badhi aur idhar Nischal….. "Bittiiiii, Gopallll..."

Dono:- Baba wo ladki se pahle inquiry kar lo na... Hum to yahin rahenge...

Nischal:- Usse to main baad me dekhunga lekin tum dono...

Bitti:- Gopal tu bol...

Gopal:- Main kyon akela fansoon...

Bitti:- Baba mujhe Gopal ne roka tha..

Niachal:- Tumne baat nahi maani apne commander ki..

Gopal:- Usse humari baat maan'ni pari..

Nischal:- Jarra samjhaoge kaise...

Jaise hi Gopal ne muh khola... Nischal haath dikhate... "Baad me baat karta hun... Tum dono nahi tum teeno yahin raho"…

Bitti aur Gopal dono ek sath... "Inse parichay to karwao"

Nischal:- Ye hai Vardali… Astak ki vansaj. Bahut shaktishali... Iss universe me kewal ek inka hi samuday sarv'shresth hai… paricahy karte raho… main viman land karwa raha... Bahar ka kaam samapt kar'ke milta hun. Aur dono kisi tarah ke raham ki ummid mat karna mujhse… computer ji teeno me se koi bhi bahar nahi aane chahiye... Sabko bandi room me quid karo...

Bitti aur Gopal ek sath... "Baba hume mujrim bana rahe..."

Nischal unki baat ansuni karte apna kaam karta raha... Issi bich Bitti... "Baba kam se kam iss aunty ka to muh khol do... Hum inhi se baat karenge"…

"Dekho baba main kah raha hun hume bhi le chalo sath... Warna main maa ko kah dunga, aap ka chakkar hai iss aunty ke sath"… Gopal dhamkate huye kaha...

"Tum sab ko jo teri maa aur maasi film dikha'kar abhi se paka aam bana rahi hai, uski khabar main baad me lunga.. Oye comouter ji... In dono ka muh khula kyon chhod diye"…

Computer ji... "Mere bolne par pratibandh laga dete ho, isliye in dono ka muh khula chhod diya"…

Idhar jab'tak set location par viman land hone lagi... Nischal ne sabka muh band karwate… Bandi grih yani ki secure jail me dal diya... Viman land kar chuki thi... Nischal viman se bahar aaya...

Nilbhut khoji shayad galat temprature aakalan karke gaye the, ya jab Nilbhut khoji yahan aaye ho, tab alag temprature tha, lekin iss waqt iss maidan ka atmospheric temprature 300⁰ celcius ke aas pass tha...

Garmi ke karan poora maidan jhulsa hua tha... Khusk aur garam hawaye chehre ko poora sek rahi thi... Swans lo to aisa lagta jaise garam aag hi shwans me khinch rahe ho... Lagatar heat ke karan atomispheric burn ho raha tha... Iss vajah se oxygen ki kafi kami thi iss jagah par...

Nischal tej-tej shwans khichta, khada ho'kar idhar, udhar dekh raha tha... Dhul bhi raakh jaisi kali-kaali udd rahi thi... Poori jamin pak'kar kaali par chuki thi... Haan uss maidan me kuchh ajib tarah ke jhadiyan jaroor thi...

Gadhe hare rang ki jhadiyan jo lagbhag 2 fit lambi hogi... Jhariyan dekhne me bilkul hard lag rahi thi aur jamin se bilkul sidha upar ke ore nikla hua tha...

"Kaisi darawani jagah hai baba"…. "Yahan hum kya karne aaye hain baba"…

Niachal ke ek kandhe par Bitti aur dusre kandhe par Gopal baith'kar, apni-apni baat kaha. Nischal ek baar dayen to ek baar bayen ghum'kar…. "Tum dono ko kuchh kahne ka fayda bhi hai... Ab ye computer ji ka sequrity bridge khali tumne toda, ya uss madam ne bhi"…

Gopal:- Baba humare pass computer chicha ka complete access hai.

Nischal:- Aur wo kaise...

Gopal:- Bachapan me ek din hum Viggo viman par khel rahe the… Main, Bitti… Hum dono ke hi gardan atak kisi chij me atak gayi. Juban bahar aa gaye aur pran halakh me. Hum chillate rahe par computer chicha ne nahi suna... Bus fir kya tha... Maa gusse ma pahunchi... Hume bachaya aur computer chicha ko dantaan diya. Fie hume de diya computer chicha ka full access...

Nischal ek baar left dekha, ek baar right aur fir upar aasman me.… "Hey uparwale ye Nandni aur Jivisha kam thi, jo ye dono ussi ki parchhayi bante ja rahe"….

"Wowwwwwwww.… Ye to kamal ke hain"…..

"Itssss Awesomeeee"…

"Ye tum dono…. Woooooo... Namaste sir, how you"

Nischal jabtak upar aasmaan me dekh raha tha, thik uss waqt ek bada sa laal dragon uss maidan me utra.. Bhayanak aur Vishalkay…. Shwans bhi chhode to naak se hawa nahi balki aag nikal rahi thi.. Wishper planet ke dragon se bilkul alag...

Pankh jaise chattan ke bane ho. Poore sarir ka koi aisa hissa nahi jo mulayam ho... Sabse darawani to uske ridh ke haddi ki line bana rahi thi, jiske upar 2 fit ka nukila haddi ka kil laga hua tha, jo punchh se le'kar uske sar tak khada tha...

Bitti aur Gopal to iss look wale dragon ko dekh'kar hi flat ho gaye... Haan Nischal jab apna sar aakash ke ore kiye apni bhavna upar wale ko suna raha tha, thik ussi waqt in dono ki baten sun'kar jab usne samne najar diya, tab Nischal harbara gaya.…

Bitti aur Gopal to bacche the, lekin Nischal thehra ek universe traveller, usse shikari aur aam jibon me fark karna aata tha... Aur ye iss grah ka aam sa jiv to nahi hi tha, balki ek shikari tha...

Laal dragon ke samne teeno kisi chhote teddy ke saman dikh rahe the... Nischal apni baat kah'kar dhime se Bitti aur Gopal ko wapas viman me jane ke liye kaha, lekin jabtak Nischal dono ko viman me jane kahta, tab tak dono uddte-uddte uss laal dragon ke aakhon ke samne ja pahunche the…

Dono jaise hi uske aankhon ke samne pahunche, wah laal dragon apna bada sa muh khol liya... Nischal ko bhanpte der na lagi ki aage kya hone wala hai...

Nischal ne apni chain nikali aur agle hi pal wo dragon ek jordar takkad kha'kar ludakta hua kahin dur jakar gira... Dur ja'kar girne ke dauran, usne jo muh khola tha uss se ek tarah ke laal rang ki tej hight wave nikli thi...

Takkar ke karan uss laal dragon ka muh ka nishana badal gaya aur wo wave jaise hi bhumi se takrayi, tej visphot jaisa awaj hua...

Nischal chilla'kar Bitti aur Gopal ko viman me jane ke liye kaha. Jab tak Bitti aur Gopal apne chhote chhote pankh se uddan bhar'kar viman ke ore bhagte... Tab'tak wo dragon fir uth khada hua... Usne dur se hi wo laal wave fir se chala diya...

Nischal teji dikhate huye ek lamba chauda vayumandaliya aavran banaya jiske piche Bitti aur Gopal ko usne surakshit kiya... Vayumandaliya aavran se usne Bitti aur Gopal ko surakhit to kar liya lekin Nischal ko bhi aabhash ho gaya ki uska paala aam kaal jiv se nahi para hai.…

Kyonki uske laal wave ne ek baar me hi uske vayumandaliya aavran ki dhajjiyan udda kar rakh dee. Sirf itna hi nahi balki uss laal wave ka sampark kuchh kuchh uske sharir se bhi hua.… Kuchh aisa sampark jisme pani ke chhinten saman wo laal wave nichal ke sharir par para lekin jahan bhi pada, kapde samet chhed kar dale...

Atayant hi pida me Nischal dikh raha tha... Kisi tarah khud ko balance kiye wah khada raha... Aur tirchhi najaron se Bitti aur Gopal ko viman ke ander jate dekh raha tha...

"Lagta hai musibat badhne wali hai"... Samne ka najara hi kuchh kuchh aisa tha... Poore aakash me laal aur kaale dragon mandra rahe the... Aur samne to ek tha hi, aur koi bhi dragon baat karne ke mood me nahi lag raha tha..

Shhaayannnnnnn... Ki awaj charo ore se gunjne lagi... Yah hawa ko chid'kar niche aate uss teji se girne wale wave ki awaj thi jo wo dragon apne muh se chhod rahe the... Kala dragon kala wave chhod raha tha aur laal dragon laal wave... Sab bilkul satika nishana par...

Itne tej hote humle se Nischal bachne ke liye Nischal ke pass ek hi upay tha… Wo tha uska chain... Apni chain ko tej gati se lahra'kar Nischal bhumi se connect karta aur khud ko khinch'kar utni hi teji se kabhi aage to kabhi dayen bayen karke khud ko bachata…

Chain ke sath khinchne ki gati to Nischal ke pahle prapt gati se bhi 4 guna jyada thi, isliye kisi bhi dragon ke liye Nischal ko bhagte huye dekh pana kafi muakil sa ho gaya tha... Unke najron ko bhi wahi najar aata jo bakiyon ko chain ke sath Nischal ko dekh'kar mehsus hota... Abhi ek point par khada tha aur najar ghuma kar dekha to kahin aur khada hai...

Shayannn ke tej vissil sound charo hi disha se aa rahi thi…. Boom, boom, boom, boom... Charo ore bhumi par tej tej bomb phootne jaisi awaj... Bitti screen par roti hui... "Gande dragon... Baba ko maar rahe hai... Gopal humla kar dun kya"…

"Mera khoob khaul raha hai... Baba yahan se wahan bach kyon rahe hai... Marte kyon nahi"…

Bitti:- Computer chicha missile load karo, aur koi barf jamane wala missile load karo chicha... Ye to garam aur toofani pahle se hai...

Gopal:- Computer chicha sath me inke parkhache udd jaye... Aise talvar bhala aur hathiyar type blade bhi load karo... Ek baar jam jaye to inke tukde tukde kar dun...

Bitti aur Gopal poore aawesh me aate huye, apni hath khitir-pitir command board par chalate huye command dene lage aur computer ji inke hisab se missile loading ka kaam kar rahe the…

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,044
173

Khubsurti ki ek aur missal ish adbhut update me
 
Gajab ki bahaduri ka pradarshan kiya mahabali ne ish nayi update me
 
Ayush2017

Natural beauty is real beauty
6,132
17,569
189
0
Update:-17

Nichal ek chhota sa viram liya hi tha ki wo ladki sabko sunati hui kahne lagi... "Bus ab aur aage tum kuch nahi kaho... Kuch baten mujhe kah lene do.. aur kuch hum aapas me, akele me kar lenge"…

Nischal ne ishara kiya, uske logon ne apne sath laye pani ka ek thaili usse badha diya... Wo ladki 2 ghunt pani pi'kar sukoon sa mehsus karti.…

"Mera naam Orja hai. Main Astak ki beti hun, aur mai wahan wapas nahi jana chahti aur naa hi mujhe abhi marna hai.."

Nischal:- Unke bare me batao jo iss planet par aaye hain…

Orja:- Main Astak ki vansaj hun to wo kisi sena ko nahi bhejega, balki vansaj sena aayi hogi. Ek sardar ke sath 8 vansaj.

Nischal:- Kya hum lad sakte hai...

Orja:- Mat lado... Mai yah nahi janti ki tum jitoge ya nahi.. lekin mai unhe janti hun... Yadi tum sab ladne ke irade se ho to mujhe bata do.. Mai na chahte huye bhi wapas laut jati hun. Aur haan tumhare 12 log jinda hai, lekin viman ke sath hi unka exit panel fasa hua hai. Unke jahaj ka malwa Dark Universe ke dakhini dwar ke ore badh raha hai, jo 4 din me Dark universe ki seema ke ander hoga...

Nischal:- Boys sab ready hai..

"Yahan girls bhi hai" Ek crew member boli..

Nischal:- Mai chup hun Serin tum hi command sambhalo …

Orja, wahan ka mahol bhaanpti… "Tum sab karne kya wale ho????"

Niachal:- Tumne jo circuit joda hai uss se tumhari technology parakh rahe the.. report aa gayi hai…

Orja:- Kaisi report..

Nischal:- Yahi ki tecnically tum log achhe ho, lekin hum se achhe nahi… Tumhari technology ab bhi pichhe hai aur purely Dakshat samuday ki technology hai.. iss technology ko humare yahan ka baccha bhi beat kar de...

Orja:- Dushman se milne se pahle hi usse kamjor parakh rahe ho... Unhe iss faltu ke machino ki jaroorat nahi, kyonki unke hath hi technology hai... Yahan ki ret tumhari dushman hogi. Yahan ki hawa tumhari dushman hogi. Yahan ret ke niche ke saanp tumhare dushman honhe. Unki taknik ke aage tum kuch bhi nahi... Tumhari faltu ki machine chalegi, tab unhe bhedne se pahle uske dhatu (metal) aur rashayan (chemical) hawa me bikhar jayenge aur wo log unhi rashayan ko sagrahit karke tum par hi.….

Nischal:- Hum par hi humla kar denge..

Orja chehre par aisi bhavna thi mano kah rahi ho, bhavna me bah'kar bahut kuch bol gayi.… "Ye mai tumhe baad me bhi bata deti, lekin jigyasu insan jab tak aakhon se dekh na le, tabtak unhe viswas nahi hota isliye taal rahi thi..."

Nischal:- Tumne jo abhi bataya usse kaun si taknik bolte hain...

Orja:- Ye nature science hai... Apni sharirik urja se prakritik urja ko niyantran karna aur usse istamal karna..

Nischal:- Tum me kaun sa gun hai...

Orja:- Mere ander bij daloge to kal tak tunhare jaisa ek bacha tumhare god me dal dungi, jo parso hi tunhare jitna bada ho jayega... Aur kuch jan'na hai...

Orja ki baat sun'kar sabhi hansne lage. Serin jigyasavash… "Kya sach me aisa hota hai…. Iss shakti ko mai parakhna chahungi"…

Orja:- Ab to mujhe bhi lag raha hai ki tum logon ke pass had se jyada advance technology hai, jo nature ko bhi challenge kar de. Tumhare yahan kya madayen bhi bij dal sakti hai... Shayad ungliyon me technology laga rakha hoga... Nar na mile to madyen khud se ungli karke bij daal le... Mujhe bhi sikha dena...

Nischal:- Iss lihaj se to tum log rachayita se bhi aage nikal gaye. Kyonki tumne rachayita ki banayi chij ko kewal control hi nahi kiya, balki unme badlaav bhi le aayi..

Orja:- Ae Viggo Sigma, unclassified first Alfa… itne bhi na pratibha dikhao ki main rijhti chali jaun... Tum mujhe pasand aaye... Mujh me koi shaktiyan nahi… Main bus ek sandesh vahak hun… kisi bhi medium me main sandesh bhej sakti hun... Tumhara viman gujra to maine sanket de diya..
Mujhe pata nahi tha ki kisi sardar ka viman ass pass hai... Tum chaho to apna badla mujhse le sakte ho. Tumhare sath hui ghatna ke pichhe mera hath hai. Bus maarna mat pleaseee. Mujhe abhi jina hai"..

Nischal:- Unhe suchna bhejo aur iss location par bulao.

Worrier head Remmy:- Yahan bahut sare bacche hain..

Nischal:- Befikr raho mujhe unse kewal baat karni hai..

Orja:- Off O tumhe baat karni hai, lekin wo baat nahi karte... Baat hi karni hoti to tum par humla kyon karte..

Serin:- Tum ho na, tumhari liye baat karenge... Kuch bahut purana hisab barabar karna hai.. Kyon half..

Nischal:- Bilkul sahi kahi Serin..Unhe baat karna pasand ho ki na ho, mujhe baat karni hai. Abhi usse yahan bulao... Serin meri chijen do.…

Orja bahut samjhati rahi, lekin koi nahi maana. Ant me haar'kar, Orja ne unhi ki suchna pranali se sandesh bheja. Sandesh bhejne ke thik agle pal hi ek viman unke samip aa'kar ruki.

Iss baar uss viman ke ander se koi bhi humla nahi hua. Shayad Orja sath thi, aur unka maksad Orja ko jinda le jana tha. Ek ore Nischal apne logon ke thik aage khada aur dusri ore takriban 200 meter ki duri par Dark Universe ke Astak ke vansaj ka viman.

Viman ka bada sa darvaja khula. Sidhiyon se log utar rahe the. "Orja, unhe humari bhasha samjao"..

Orja:- Puri bhasha wo tumhari jaan chuke hain. Wo baat-chit karenge, lekin baat chit ke baad tum mujhe inke sath jane doge..

Nischal:- Ab ye to unke baat-chit par nirbhar karta hai...

Nischal apni baat puri kar hi raha tha, tabhi Serin, Nischal ki banayi suraksha ghere ko khol'kar bahar nikal aayi aur Nischal ke kandhe par hath rakhi...

Nischal, Serin ki iss harkat par kuch kahta, uske thik pahle hi usse bhi samne kuch log najar aa rahe the... Nischal ke aakhon me bhi wahi khun utar aaya, jo iss waqt Serin ki aakhon me tha...

Kuch varsh purv.….

Kai varsh purv Nischal aur Serin dono science exhibition aayojan me Aizem ke Madhya rastra ka pratinidhitwa kar rahe the. Ussi science exhibition me Serin aur Nischal ne pahli baar "complete safe exit panel" ke nirman ko sabke samne rakha tha..

Ek aisa safe exit panel jo Unerverse ocean me bhi feka gaya to apne aas pass ke kisi bhi grah ka vayumandaliya kshetr dhundh'kar, wo panel wahan tak ka safar tay kar sakta tha.

Ye wirless circuit ka bana apne tarah ka pahla exit panel tha, jo 3 mahine tak Universe Ocean me urr sakta tha. Iske ander ka rashayan (chemical) kisi bhi prani ko 3 mahine tak poshan de sakta tha jo tube ke jariye naak se auto-connect ho jata aur sarir ke jarooraton ke hisab se usse poshan dete...

Poshan dene wale rashayan ko ek sal ke baad badalna tha. Uss rashayan ko banane ki vidhi kafi saral thi aur chhote se chhote lab me bhi taiyar kiya ja sakta tha.

Charo ore Nischal aur Serin ke aawishkar ki dhoom machi hui thi. 60km ka bada sa maidani kshetr tha jahan ye exhibition chal raha tha. Takriban 3000 vaigyanik, 20000 mukhya log jo kayi grah ke shashak ki ore se yah exhibition dekhne pahunche huye the. Suraksha ke lihaj se 1 lakh uss grah ke sainik, jahan ye exhibition chal raha tha. 10 lakh any grah ke sainik.. aur itne logon ki maujudgi me yah science exhibition aayojit hua tha…

Tabhi achanak hi wahan par humla ho gaya... Kisi ko kuch pata nahi ki ye humla kisne kiya aur kyon kiya. Wahan Aizem ke 2000 sainik jattha bhi tha, jinki lash any surksha karmiyon ke sath palak jhapkte hi gir chuki thi.

Kiski kis se dushmani thi kisi ko pata nahi. Hawai kshetr me kab ghuspaith hui kisi ko pata nahi. Har koi vigyan ke kshetr me huye aawiskaron ka luft utha raha tha… Bus ek pal se dusre pal matr ka fark tha.

Abhi aankh khole the, palak jhapak'kar jab wapas aankh khole to sab badal chuka tha. Sab kuch itni jaldi hua ki kisi ko samjh me nahi aaya ki wahan hua kya. Serin ko Nischal ki fikr thi aur Nischal, Aizem ka nirbhik Sahjada apne hath me bada sa khanjar liye, apni na dikhne wali gati se tej daud laga chuka tha...

Ek aisa kshn (moment) aaya jab wo chhota ladka Nischal teji se daudte huye hawa me chhalang laga chuka tha. 4 fit ka ek ladka, samne 8 fit se jyada lambe kad ka ek anjaana dushman, jiski na to wo kshmta janta tha aur na hi uss par humla karne ka kya natija hoga uski koi parwah.

Uske aankhon ke aage to bus unki lashen dikh rahi thi, jinhe yah tak pata nahi tha ki unhe mitrtyu dand kyon mili. Teji se daudta hua wo chhota ladka 50 fit se uncha chhalang laga chuka tha.

Apni sari urja hatahon me lekar aaya. Uss chhote ladke ki khanjar chal chuki thi jiske bare me wahan ke sabhi planet wasiyon ko pata tha ki jab uski khanjar chalti hai to saikdon salon se majboot khade ped ko bhi ek hi bar me upar se niche tak chirta hua wo ladka jamin par kadam rakhta hai..

Uss chhote ladke ki khanjar ki dastan sabne kuch din pahle suni thi. Jab khelte huye wo uttri seema me ghus gaya tha aur jab wahan ke fauj me samil 20 fit unche janwar ko katna shuru kiya, tab kewal maans ke lothre aur khun hi khun charo ore tha.… Jab bhi ye khanjar chali thi raktranjit hi hua tha...

50 fit ki unchai, aur ek baar fir wah ladka apni khanjar chala chuka tha. Jab uss ladke ki khanjar apne dushman ke sar se takrayi, visphot jaisa awaj hua tha. Aisi awaj jise sun'kar wahan ka pura mahol hi tham gaya ho. Bijli si raushni hui thi.

Nischal ki khanjar uske dushman ke sar par lagi lekin pahli baar uski khanjar ne dhokha de diya aur sar se takrane ke baad khajar ka dhatu jaise dhul ke kan me badal gaye ho. Ek Abhed dushman, jise Nischal ki khajar bhed nahi payi thi.

Sarir Abhed hua to kya hua, lekin sar par khajar lagne se jo visphot ki awaj ke sath raushni hui, uss se ek baat to saaf thi ki itni takat se sar par humle ke baad uski akl to thikane aayi hi hogi.

Sath hi sath ek chhote se Viggo ke gusse ka samna bhi karna para tha, jo itna nirbhik tha ki usne yah nahi socha dushman ki takat kya hai, balki hath se khanjar khone ka gum bhulate agle hi pal jab wo uske sine ke pass tha, logon ne fir se wahi visphotak awaj ke sath raushni dekhi...

Dono visphot aur raushni me second ke 100we hisse se bhi kam ka samay tha... Uss 4 fit chhote ladke ki laat apne dhushman ke chhati par chali thi. Nischal jab niche jamin par khada hua tab uska wo dushman kahin dur-dur tak uss madan ki seema me najar nahi aaya jo ki 60 kilometer ke kshetr me faila hua tha…

Jaise hi wo anjaana duhman kahin dur jaa'kar gira, bahut hi teji se teen log kuch fit ki duri par ek chhote ladke ko ghere khade the. Wo teen aur naye dushman kuch bol to nahi the, lekin aakhon se unke soley barash rahe the.

Dekhte hi dekhte teeno ne apna naqab hataya aur ek sath apne hath ko disha de diya. Thik ussi waqt Serin, Nischal ke sath khadi ho gayi. Jaise hi un-logon ne apni shaktiyan chalayi, aisa laga do shaktiyan takra gayi ho.

Nischal aur Serin ki jab aakhen khuli tab wo jaal mahal ke medical section me the. Dono ki maa.. unke karib baithi muskura rahi thi... Serin ki maa ek kusal Dakshat sumday ki sahjadi thi, to Nischal ki maa ek kushal Viggo.

Jahir hai dono bacche ke man me kayi sare sawal the. Serin ki maa ne Nischal aur Serin ka sar chumte huye kahne lagi.… "Tum dono pahle aise insan ho jo Astak ke vansaj sena ke samne khade the, aur jivit bhi ho. Nischal mujhe afsos hai, tumhare guruji ka diya hua pendent wo le gaye."..

Jaise hi Serin ki maa ne yah bataya, thik ussi pal Serin apna pendent dekhne lagi jo Nischal ki maa ne usse diya tha....

Serin:- Mera wala pendent to hai...

Nischal ki maa... "Kise pata iss pendent ki wajah se dono jivit ho. Tum dono aaram karo aur kuch hi dino me ek chhota sa badlav tum dono apne ander mehsus karoge. Ye ek Dakshat aur Viggo (Serin aur Nischal ki maa) ki mehnat hai. Dono kabhi alag mat hona... Hum chalte hain"…

Wakai, dono ne kuch din baad apne ander badlav mehsus kiya tha. Vayumandaliya aavran ye khud apne hathon se bana sakte the... Dono ne mil'kar fir iske ek device banane par kaam kiya, jiska naam diya tha fasal-raksha. Kyonki bahut se sukshm jiv aur janvar fasal ko barbad kar dete the, isliye unhe bachane ke liye ye device banane lage taki pure fasal ki raksha ho sake.

Dono sath milkar fir se ek bade project par kaam to shuru kiye, lekin banate waqt dono hi viprit aur jigzag the. Waise to Nischal aur Serin ke bich jitna gahra pyar tha, utni hi ladai bhi hoti thi. Upar se ye project...

Nichal apne haton se prawaah hone wale aur mastisk se control hone wale iss project ko bahut barikiyon se parakh kar. Yadi Nuschal urja ki reading yadi +2 leta to wahin Serin ke result -2 hua karta tha. Ek ka natija jo hota wo dusre ke na kewal thik viprit balki aara-tirchha bhi hua karta tha...

Jaise nischal ne koi manak nikala +5 to ussi ka manak Serin ka hota +12. Nischal 1 negative wiring ki baat karta aur Serin 2 positive wiring karke test karti... Kya hi ladaeyan hua karti thi dono ke bich iss project ko le'kar…

Ladai jhagre wala yah project dhire-dhire progress karta 2 sal me taiyar hua tha. Shayad dono ki maa iss device ki kimat janti thi, isliye medical section me jab dono aankh munde behosh the aur dono ke upar dono ki maa medical experiment kar rahi thi, tab anti jigzag visualisation dal diya tha…

Dono hi apne dono bachon ko jante the, aur unhe pata tha ki ye dono mil'kar vayumandal aavran device ko banane par kaam shuru karenge aur bana bhi lenge. lekin dono ki maa ye kabhi nahi chahti thi ki kuch gupt chijen bahar aaye.

8 aise vachan the jo Serin aur Nischal ki maa ne marne se pahle, kuch kewal Serin se to kuch dono se liye the. Nischal ke ore se Serin ne hi wo wada kiya tha, jisme se ek ye vayumandaliya aavran device bhi tha. Jo device ye bana rahe the kewal uski swikriti mili thi, lekin kewal ek shart par ki aage ye iski copy nahi banayenge. Koi bhi reserach paper taiyar nahi karenge. Aur jin'par itna bharosa ho ki jindgi apni unke hawale kar sake kewal unhi ko istamal karne denge…

Vayumandaliya aavran device ka nirman to dono ne kar liya tha, aur iss dauran Serin ko bhi andruni kayi sari baton ka pata chal chuka tha, ki inke pariwarik mahol me kya khel chal raha tha...

Uss device ko banate waqt dono ne ek nayi paddhati ko janm diya.. Tum kuch kaho hum kuch kare aur nirman hote rahe. Issi ke tarj par bahut se nirman huye jinme se wo hand mask bhi tha, jise iss waqt Nandni istamal kar rahi thi.. pardarshi energy gloves ke naam se.

Aur yahi karan bhi raha hai ki Nischal ke dimag se jab Surpmarich chori kar raha tha to usse anokhe aur nayab nirman safalta purvak hote to dikhe lekin unka nirman nahi kar paya.

Iska sadharan sa karan yah bhi tha ki Surpmarich kewal Nischal aur Jivisha ke dimag par focus kiye huye tha. Dono ke mahasagar jaise dimag ko pahle chori karne ke karm me kuch Nischal ke dimagi hisse ki yaad chhut gayi aur Serin ka puri yaden rah gayi...

Surpmarich ke pass waqt itna bhi nahi bacha ki wo Serin ke dimag ki ek jhalak le sake. Bewakoof Surpmarich, kyonki Nischal ke jivan ki puri aham janakari to Serin ke dimag me thi... Aakhri me bus teeno ke dimag ke softwere ko corrupt kar'ke maara gaya… Aaj jab Nischal ke nirman ki dekh'kar nirman ki sochta hai to kewal visphote hi hota hai.. kyonki sare nirman dono ne viprit jigzag policy ke tahat kiya…

Nischal ne -1 socha to Serin bus uski aakhen padh'kar chup chap +6 kar deti thi. Mudda yah nahi tha ki unhe ya unki maa ko Surpmarich ke aane aur dimag se kuch churane ka purvanuman hua tha... Wo dono to bus Jaal mahal me faile, apne hi pariwar bane dushman se apne nirman ko surakhit rakhte the, jo har waqt in par najar diye hote… jiski jankari Serin ko to thi, lekin Nischal ko bahut baad me hui.....

Chaliye vartman samay me chala jaye kyonki kuch varsh purv jo narsanhar ke jimeedar the. 3 benaquab huye log Nischal aur Serin ke samne the. Aur ek jo Nischal ke guruji ka pendent lekar bhaga tha, Wo pendent pahne huye hi thik samne khada tha, Sardar Dreda.…
Awesome update
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,474
158
Update:-85

Chief chillaya "guards"... Aur agle hi pal uss hall me sabhi dragon babies katar me khade ho gaye. Upar dragon babies ki katar, niche 12 dus futiya sher ke bachhe line lagaye aur unke pichhe 20 futiya Sher aur Sherni Adhmya aur Admee samne se sabko ghurti hui khadi thi...

Nandni, nayi-nayi bani in baby dragon ki leader Meena ko thappad lagati... "Tum log ab yahan humara dimag kharab karoge kya... Yahan guns aur hatiyar le'kar log aayenge aur tum sab bina soche-samjhe aa gaye"..

"Jhalli massi, missile aur tope ka idea bhi de deti na"… Meena apne pankh se apna matha pit'te hui kahi..

Jivisha:- Chief, shanti se baat kar le... Yadi ye baad proof hoti hai ki cheating kiya hai humne, to tum jo bologe wo hoga... (Fir Adhmya aur Adhmee ke ore dekhti).. Adhmya, Adhmee kya hai ye sab...

Adhmee Jivisha ki baat sun'kar dahari aur ek tej dhakka Jivisha ko aisa dee, ki wo kursiyon ko pichhe ke ore samet'ti hui 10 fit tak dur ja'kar giri.. naak se khun nikalne laga...

Sabhi dragon babies Adhmee ko ghurne lage... Meena gusse me fuhhh-fuhhh karti thandi barfili hawa spray karti... "Adhmee chachi, tumhari to... chicha samjha lo apni lugai ko warna kada virodh pradarshan ho jayega"…

Iss par Adhmee ne usse ek dhima thappad maari aur ghurti aankhon se shant rahne ka ishara... "Kamini Adhmee, humla karne se pahle bol to deti"… Jivisha khud ki haalat thik karti hui kahne lagi...

Nandni:- Har jagah tu khatra mol le'kar aage nani ki tarah khadi rahegi to yahi haal hoga na... Thik kiya Adhmee...

Chief:- Kya hun baith'kar baat kar len... Yahan ka mahol kharab na karen... Jivisha, kya tum sabko kahogi jane...

Uski baat sun'kar Adhmee daharti hui wahan se bahar nikli... Dragon babies bhi uske pichhe chal diye.… "Maa, Rani chachi kah rahi hai iss baar screen par action hota suni to 2-4 ko tapka denge"… jate-jate Meena cheta kar nikli...

Chief:- Kamal ke janvar hain ye... Bolte bhi.…

Jivisha bich me hi tokti... "Dobara jaanvar na nikle muh se chief... Yadi mere kisi bacche ka naam nahi pata to usse dragon bulao... Ab baith kar baat kar len"…

Chief:- Thik hai meri galti hai jo maine sahi se deal nahi kiya...

Ansh:- 80 hazar coin... 1 piece ki kimat...

Chief ne shuru se baten gaur kiya... Pahli baar maine bola to 10 lakh ki betting, dusri baar bola to 20 lakh.. teesri baar bola to 50 lakh ki betting ho gayi... Idhar Machhli wale matter me bhi maine jitni baar bola rate multiple high ho raha hai...

Chief apne khyalon me calculation karte huye.… Bus Jivisha ke ore hi dekh raha tha... Jivisha Ansh aur Nandni ko dekhti... "Maaf kar do bechare ko.. 1000 per piece thik hai na"..

Nandni, budbudati.… Kamine ne humla karne ka socha tha...

Ansh:- Shiii... Dhime bolo, wo chief hai yahan ka...

Jivishsa:- Mr & Mrs ladaku jaldi batao bhi...

Ansh:- Kya hai saali sahiba main jhagra karta hun kya Nandni se jo mr ka naam jor rahi???

Jivisha apne dono gaal par hath rakhti.… "Hayyyyy jiju, ek baar aur kaho na"…

Ansh:- Pyari saali sahiba ji, kya main jhagra karta hun????

Nandni, apne dono hath se Jivisha ka pith thokti.… "Nautanki kahanin ki, ja 10000 me hi rate nakki kar le, aur ye Nischal uss Last Line ke pass viman kaahe roke hai… (5Km/hr se viman chal rahi thi jo lagbhag ruka hua pratit ho raha tha)

Jivisha:- Kuchh meeting waigrah kar rahe honge... Chal screen ke samne baith'te hain... aur deal bhi final karte hain...

Jivisha wapas aa'kar 10000 me rate final kar'ke usse 5000 mada machhli supply karne ke liye, saman ki dekh bhal karne wale sainikon ko bol dee...

Jab tak ye log bahasbaji me lage the tab'tak Nischal poori yojna samjha'kar Viggo viman ki gati dhire-dhire badhana shuru kar chuka tha...

"Ye hui na baat. Chal ab jarra baat kar len.. kyonki uske baad to sidha Hurriyen planet par hi ye rukega aur bich me kafi vyast mahol hoga... Ladke me thoda josh bhar dun"… Nandni samne screen dekhti hui kahne lagi...

Jivisha, apne hall se 2 technology expert ko bula'kar, 2 screen ko party hall me connect kar lee aur kuchh command jaise hi dee, Nischal najron ke samne the…. "Baby, Last Line cross karne hi wale ho kya???"

Nischal:- Umaaahhhhh.… Line kya ab to sidha suraj par pahunch jaunga... Chinta mat karna aur wahan sabka khyal rakhna... Nandu... Chup kaahe...

Nandni:- Chup kaahe na rahungi.... Dono jija sali ne mil'kar mujhe bahut sunaya.... Nautanki drame me, I am Alone Nischal... Jaldi aa fir in dono ki band banayenge…

Nischal:- Hahaha... Doctor sahab ye main kya sun raha hun...

Ansh:- Aa'kar baat karna itminan se... Kaam khatm kar'ke aana.… Yahan 5 carore coin hai humare pass aur ek din me 10 se 11 lakh coin kharch ho rahe... Isliye chinta mat karna…

Nischal:- Hahaha... Poora credit aapko hi jata hai fir… lagta hai mada machhliyon ki deal ho gayi... Doctor sahab jald hi milta hun... Chalo line cross karne wala hun... Ab sidha Hurriyent planet par settle ho jaunga tabhi baat ho payegi… Disconnect kar raha hun...

"Ruko, ruko... Ruko... Ruko"… Pichhe se Gopal aur Bitti awaz dete rah gaye lekin Nischal ne disconnect kar diya... Viman apni puri raftaar pakadi... Last Line cross... Jaise hi wo line cross hui... "Boys, command dena shuru karo"…

Nischal ne gear up kiya... Viman apni poori kashmta se speed pakdi aur apne maximum speed par thi... Idhar sahayak controll room se, viman ke aage ke portion ko pura 360⁰ rotation karna shuru kar diya gaya...

Hirriyent planet se 2200 kilometer ki shesh duri. Nischal ne temprature reading dekha.. Last Line cross karne se le'kar 800 kilometer ander ghusne ke bich me jo temprature me badlav tha, usse dekh'kar Nischal ke hosh udd gaye...

Haalanki iss waqt heat wo impact nahi de pa rahi thi jisse viman ka nuskan ho lekin 10 kilometer ke kshtr me jitna heat badh raha tha, uss hisab se to Hurriyen Planet ke pass temperature ka to aaklan hi nahi kiya ja sakta tha..

"Boys plan me thodi tabdili hai… Main bahut bada daav khelne ja raha hun... Hurriyent par hum apne super speed se, 30 se 45 minute me pahunchne ka risk nahi le sakte... Abhi yahan ka 10 hazar digree celcius temprature hai.. aur ye temprature multiple hota chala jayega... Ab sab taiyar ho jao... Kyonki main Pahli baar istamal karne ja raha hun Viggo viman ka central boost engine"…

announcement ke baad control room se Nischal ne apna khel shuru kar diya... Viggo viman ke dono side engine ko band kar diya... Engine band hote hi viman ki gati girte huye shunya tak pahunch gayi... ..

Jaise hi engine shunya hua, Kuchh second rukne ke baad engine ne Jor Ka jhatka khaya, fir shant… Bus kewal mehsus kiya ja sakta tha ki viman ruki aur fir se kafi tej jhatka.…

Fir to boost engine ka bhi kamal dikhne laga tha... Nischal pal-pal ki khabar le raha tha… Viman me aage ka hissa tej-tej gol ghumne ke bavjood bhi, heat lagbhag 45 se 50 second me ek layer khatm kar raha tha...

Engine boost speed par. Vishalkay Viggo viman, bilkul na dikhne wali gati me.. Lagbhag 2000 km ka safar aur har 40 se 45 second me 1 layer khatm ho raha tha… Nischal ke pass waqt bahut kam tha. Pichhe jane ki koi gunjaish nahi.… Ab bus pal-pal waqt katna tha aur boost engine ki gati par bharosa kar'ke Hurriyent planet land karna tha...

Last Line cross hone ke baad se hi, dum sadhe, Jivisha, Nandni aur Ansh samne ka najara dekh rahe the... Aisa lag raha tha kisi pahiye me aag lag gayi ho, aur wo teji se fail raha hai. Pahle Matel laal hokar pighalta fir kuchh second ka break lagta.… Ye kuchh second ka break uss raakh ke karan hota jiski 2 inch ki parat metal ke upar chadhaya gaya tha...

Garmi ke karan wo rakh jis chij se chipki thi, wah chipkane wala padarth jal'kar alag ho jata aur raakh apne aap upar se bikhar jate.. Jabki 1 complete metal sheet me 1 fit mote metal par 2 inch ka raakh chadhane ke baad, kul 10 sheet jod'kar banaya ek complete metal sheet banaya gaya tha, fir bhi wo poora 1 complete sheet matr 40 se 45 second me gayab ho rahi thi... Jabki viman ke aage ka hissa utni hi teji se ghum bhi raha tha...

Jivisha, Ansh aur Nandni to bhagwan se prathna kar rahi thi... Aur issi daran viamn itni teji se aage badha ki settelite ki image chali gayi. Wo gati hi aisi thi. Engine ko 3 minute lag gaye complete boost hone me... Aisa laga jaise central engine 3 minute me apne engine ke jung ko poori tarah se chhudaya ho... Uske baad to Viggo viman bilkul gayab hi ho gaya….

Camera ye speed ki tasveer nahi de sakti thi isliye Nischal dimag me poora calculation laga'kar, 6 minute baad hi central engine ko control karne laga... Lekin itna bada viman, upar se itni jyada gati.… Nischal jabtak viman ko poora control karta, viman Hurriyent palnet ke satah par land kar chuki thi... Yahan kayi chhote bade, ubar-khabar kewal aur kewal jwalamukhi ke pahad the. Lekin pahad ko bhi bauna bana de itna vishal tire Hurriyent grah par aniyantrit land kiya tha.…

Ghinghinate huye Viggo viman Hurriyent ke surface par land kiya aur jitne bhi jwalamukhi ke pahad the wo sab ke sab ubar-khabad road breaker ka kaam kar rahe the... Viman pura hichkhole khate, chhote bahe jawalamukhi me visphot karta aage badh raha tha...

Boom-boom ki awaj ke sath jwalamukhi fatne lagta aur Viggo viman jhatke se chhitak kar kabhi left to kabhi right, to kabhi center se uchhal'kar aage badh raha tha... Aur iss dauran aage ke bache protective layres bahari aur chattano ke heat ke karan barbad hote ja raha tha...

Nischal andaza laga chuka tha ki agle aadhe ghante me uske viman ka sara protactive layer khatm ho jayega. 30 protective layer me se jab 5 layer bachte, tab kinaraon ka utna failav bhi nahi bachta jo bich ke body ko heat se protect kar sake...

Ye ek bahut badi musibat thi, kyonki bich ke body par matr 2 protective layer chadha hua tha... Wo hissa heat ke sampark me aate hi, matr 4 ya 5 minute ka khel tha.... Jitna heat space me tha, uske mukable Hurriyent Planet pe bahut kam heat thi, shayad yahan ke atmosphere ke karan. Lekin khule mahol me itna heat bhi kafi tha viman ko poora barbaad karne ke liye...

Har tarah ke calculation dimag me ghum rahe the. Nischal bhi control room me utni hi teji dikhate huye apna kaam kar raha tha... Nischal ne boost engine band kiya aur left aur right wing ke dono engine start kar'ke, Nischal ne reverse me pure engine ko dala…

Kafi atihat se wo dhime-dhime engine ko reverse karta raha... Viman dhime-dhime slow hone lagi thi... Aage se takriban 23 layer bilkul hi barbaad ho chuke the... 7 layer bacha hua tha... Nischal viman ko pura jhatke ke sath reverse me liya...

Nilbhut samuday ke sabhi logon ko taiyar rahne ke liye kaha... Nischal engine ko pura reverse karte huye, ubar-khabad pahadiyo ke bich Viman ko aise khada kiya, jahan ek bhi jawalamukhi aas-pass nahi thi...

Nilbut samuday ke log pahle se taiyar the. Jaise hi viman ruki, turant 3 khoji team bhumigat ho'kar poore grah me surakshit location ki talaash me nikle... Wahin baki ke log, jo poore viman ko bhumigat karna chahte the, jab bhumigat ho'kar viman ko bhumigat karne lage... Viman ka lagbhag 40km ka hissa hi bhumigat hua, baad me Nilbhut sainik usse wapas satah par le aaye... Wo log Nischal ke pass pahunch'kar viman ki unchai puchhne lage…

Jaise hi Nischal ne unchai 200 kilomete bataya... Sabhi ke hosh udd gaye.… "Shahjada, 200 km ki itna bada dancha hum bhumigat nahi kar sakte, isse litana hoga.. tab jakar ye bhumigat hoga...

Nischal:- Lekin kyon.....

Nilbhut Samuday ke sanik:- Hum 30-40 km ander tak ki gahrai tak hi bhumigat ho sakte hai... Jyada niche gaye to black hole ka nirman ho sakta hai.. Yahan to aap 200km tak bhumigat hona hai. Usme bhi koi insan ka chhota dhancha nahi jeyega, balki ye vishalkay sanrachna 200km bhumi me jayegi. Aisa karna poore planet ko hi khatre me daal dega... Ho sakta hai kuchh salon me ye poora planet collapse kar jaye...

Nischal…. Ohhh kya musibat hai... Viman sidha nahi kar sakta... Kayi sare jwalamukhi ke contact me aa jayega... Uska visphot, viman me chhed kar degi, aur yahan ka high temperature ander pahunch gaya to viman ke har section me aag hi aag hoga... Khoji team ka intzar karte hain… 2 minute me wo aaye to thik, nahi to hum khud udd chalenge koi safe thikana dhundhne...

Nischal ne kah to diya tha safe thikane ke bare me. Par uske aankhon me umre aanshu kuchh aur hi kahani bayan kar rahe the... 7 layer aage ke bache the... Jisme se pahla layer bus chand der ka mehman tha... Uske baad jaise hi dusra layer jalta, fir heat ka asar bich body par hona shuru ho jata...
Nice update bhai
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,474
158
Update:-86

Jald hi viman ko surakhit nahi kiya jata to mahaj 15 minute me viman ki body jal jati... Ye body itni badi thi ki kin-kin hisson me ander se aag pakadta, yah nischal ko bhi nahi pata tha... Haan lekin jo dar tha wo aankhon se dikh raha tha... Viggo viman khone ka dar…

Pahle jaal mahal gaya ab Viggo viman. Nischal engine, medical section, aur viman se tarikaban 1200 section ko lagbhag alag karne ka command de chuka tha… bus final command dene ki der thi... Poora viman na sahi, jitna bachaya ja sakta tha usse bacha'kar bhumigat kiya ja sakta tha... Master control room me baita Nischal gahri soch me dooba... Aankhon ke umde aanshu kab aabkhon se chhalak aaye pata bhi nahi chala...

Aankhon se uske lagaatar aanshu aa rahe the, lekin aur koi chara nahi tha... Gopal aur Bitti, apni toliyon ke sath masti me lage the. Na jane unhe bhi shayad Nischal ki pira ka aabhash hua ho. Nokha ke sath aaye baki ke Nilbhut sainik jo kewal Dragon babies ko sambhale huye the, wo sabhi dragon babies ko rokte rah gaye lekin kisi bacche ne unki na suni aur sab ke sab mukhya controle room me pahunch gaye...

Bitti aur Gopal dono Nischal ke kandhe par baith'kar uske lagatar bahte aanshu ko apne se pochhte huye...

"Baba main kuchh din baad bahut badi ho jaungi, fir apne pith par bitha'kar poore antriksh ki shair karwaungi. Tum ro mat...

"Nahi baba mere sath sawari karenge"…

Jaise hi Bitti aur Gopal ne apna-apna prastav diya, baki ke bhi sabhi dragon wahan halla machane lage... Nischal apna baanh failate…. "Tumhari maa ki tarah to main ek sath pyar nahi dikha sakta, lekin machine aur jamin se badi sapatti to tum sab ho"…

Viggo viman jane ka afsos kahin gayab sa ho gaya. Dragon babies ko dekh'kar Nischal kafi sukoon mehsus kar raha tha... Tabhi Nilbhut samuday ke khoji wahan pahunch gaye. Khoji ke wahan pahunchte hi Nischal unhe jigyasavash dekhne laga...

Khoji yahan rukne ke khatre ko bhanpte huye... "Sahjade yahan thodi si samsya hai... Planet ke jin-jin hisson me jivan basta hai, wo 2 pahadiyon ke bich ki sankari ghati hai... Ye ghati lagbhag 4 se 5 kilometer gahra, aur ghati ki chaurai 1 kilomter se le'kar 20 kilometer tak ka hai"..

Nischal:- Hmmmm... Koi baat nahi hai... Lagta hai hum viman nahi bacha sakte... Maine viman ke 1200 khand kiye hain, unhe lekar nikalte hain...

Nilbhut sainikon ke mukhiya, Bhoro... "Sahjada 2 ghatiyon ke bich yadi viman ko wapas lita de to hum bhumigat kar sakte hain...

Nischal:- "Bhoro jo samsya khade viman ko bhumigat karne ke sath hota, wahi iss me bhi hoga... 200 kilometer me faila ye viman.… Yahan ke surface ko jaise hi ye viman cover karega, kam se kam 2000 jwalamukhi ke muhane ko hi cover kar dega... Tum jabtak iska aadha hissa yani 10 kilometer ka hissa ander le ja rahe hoge tab wo jwalamukhi blast kar chuka hoga"...

"Jamin ke 10 se 15 kilometer ke garv me ye viman. Aur iss viman me itne barood load hai, ki kewal iska engine section me aag lagti hai, to ye poora planet ko le doobega... Main chah kar bhi ye risk nahi le sakta... Dekho baat karte-karte aage ka 6th layer bi ja raha hai... Ab to viman ki body bhi heat ke sampark me hogi...

Bhoro:- Ek ilaaka to hai jiska maidani bhaag kayi lakh varg kilometer tak faila hai aur uss ilake ka tapman bhi lagbhag 200⁰ celcius ka hoga... Lekin..

Niachal:- Lekin kya Bhoro…

Bhoro:- Wo ek bura sapna jaisa kshetr hai kyonki wo ilaka shayad iss planet ke sabse khatarnak kaal jivon ka ilaka hai...

Nischal:- Koi baat nahi hai fir to... Tum location share karo …

Jaise hi location sajha hua... Nischal viman ke left aur right wing ka engine start karte huye.… "Bhoro sabhi bacchon ko aur sainikon ke sath secure chember me jao.… 20 secure chember tumhe satah par hi milenge… sucure chember sahit bhumigat hona... Jab tak main na lautun tab tak koi bhi secure chember se bahar nahi niklenge"…

Bhoro:- Aapke aane me waqt laga tab Sahjade...

Nischal:- Ek secure chember me viman hai aur ek secure chember me yahan ke dhatu ko kaise uss viman par cover karna hai, uske sare equipment aur uss equipment ko chalane ke liye poora manual mil jayega... Koi sawal...

Bhoro:- Nahi Sahjade...

Nischal:- Sabko le'kar abhi niklo... Ek bhi yahan chhute na... Computer ji... Yahan maujood har ek life ko mere screen par dikhaeye"

Computer ji jab'tak screen par har life ki live location dikhata, tabtak Bhoro aur Nilbhut samuday ke kul 8500 sainik, sabhi bacchon ko secure chember ko le'kar bhumigat ho chuke the… Haan lekin Nischal ko aaschrya aur ussi ke sath 2 ke upar utna hi jyada gussa tab aa gaya, jab wahan computer par 3 life aur dikh rahe the... aur ab koi Nilbhut sainik bhi nahi tha viman me...

Aage ka 6th layer lagbhag damage hone ke kagar par tha... Complete metal sheet ab khulna shuru ho chuka tha... Nischal waqt ganwa nahi sakta tha, isliye viman ko teji ke sath hawa me lena shuru kiya aur Computer ji ko command dete.… "Computer ji teeno ko yahan master control room me lekar aao"…

Teeno jaise hi pahunche…. Bitti aur Gopal pankh ke pichhe muh chhipaye, Nischal ke daantne ka intzar kar rahe the... Wahin nischal location set kar'ke viman ko auto-pilot command de raha tha...

Viman poori raftar se aage badhi aur idhar Nischal….. "Bittiiiii, Gopallll..."

Dono:- Baba wo ladki se pahle inquiry kar lo na... Hum to yahin rahenge...

Nischal:- Usse to main baad me dekhunga lekin tum dono...

Bitti:- Gopal tu bol...

Gopal:- Main kyon akela fansoon...

Bitti:- Baba mujhe Gopal ne roka tha..

Niachal:- Tumne baat nahi maani apne commander ki..

Gopal:- Usse humari baat maan'ni pari..

Nischal:- Jarra samjhaoge kaise...

Jaise hi Gopal ne muh khola... Nischal haath dikhate... "Baad me baat karta hun... Tum dono nahi tum teeno yahin raho"…

Bitti aur Gopal dono ek sath... "Inse parichay to karwao"

Nischal:- Ye hai Vardali… Astak ki vansaj. Bahut shaktishali... Iss universe me kewal ek inka hi samuday sarv'shresth hai… paricahy karte raho… main viman land karwa raha... Bahar ka kaam samapt kar'ke milta hun. Aur dono kisi tarah ke raham ki ummid mat karna mujhse… computer ji teeno me se koi bhi bahar nahi aane chahiye... Sabko bandi room me quid karo...

Bitti aur Gopal ek sath... "Baba hume mujrim bana rahe..."

Nischal unki baat ansuni karte apna kaam karta raha... Issi bich Bitti... "Baba kam se kam iss aunty ka to muh khol do... Hum inhi se baat karenge"…

"Dekho baba main kah raha hun hume bhi le chalo sath... Warna main maa ko kah dunga, aap ka chakkar hai iss aunty ke sath"… Gopal dhamkate huye kaha...

"Tum sab ko jo teri maa aur maasi film dikha'kar abhi se paka aam bana rahi hai, uski khabar main baad me lunga.. Oye comouter ji... In dono ka muh khula kyon chhod diye"…

Computer ji... "Mere bolne par pratibandh laga dete ho, isliye in dono ka muh khula chhod diya"…

Idhar jab'tak set location par viman land hone lagi... Nischal ne sabka muh band karwate… Bandi grih yani ki secure jail me dal diya... Viman land kar chuki thi... Nischal viman se bahar aaya...

Nilbhut khoji shayad galat temprature aakalan karke gaye the, ya jab Nilbhut khoji yahan aaye ho, tab alag temprature tha, lekin iss waqt iss maidan ka atmospheric temprature 300⁰ celcius ke aas pass tha...

Garmi ke karan poora maidan jhulsa hua tha... Khusk aur garam hawaye chehre ko poora sek rahi thi... Swans lo to aisa lagta jaise garam aag hi shwans me khinch rahe ho... Lagatar heat ke karan atomispheric burn ho raha tha... Iss vajah se oxygen ki kafi kami thi iss jagah par...

Nischal tej-tej shwans khichta, khada ho'kar idhar, udhar dekh raha tha... Dhul bhi raakh jaisi kali-kaali udd rahi thi... Poori jamin pak'kar kaali par chuki thi... Haan uss maidan me kuchh ajib tarah ke jhadiyan jaroor thi...

Gadhe hare rang ki jhadiyan jo lagbhag 2 fit lambi hogi... Jhariyan dekhne me bilkul hard lag rahi thi aur jamin se bilkul sidha upar ke ore nikla hua tha...

"Kaisi darawani jagah hai baba"…. "Yahan hum kya karne aaye hain baba"…

Niachal ke ek kandhe par Bitti aur dusre kandhe par Gopal baith'kar, apni-apni baat kaha. Nischal ek baar dayen to ek baar bayen ghum'kar…. "Tum dono ko kuchh kahne ka fayda bhi hai... Ab ye computer ji ka sequrity bridge khali tumne toda, ya uss madam ne bhi"…

Gopal:- Baba humare pass computer chicha ka complete access hai.

Nischal:- Aur wo kaise...

Gopal:- Bachapan me ek din hum Viggo viman par khel rahe the… Main, Bitti… Hum dono ke hi gardan atak kisi chij me atak gayi. Juban bahar aa gaye aur pran halakh me. Hum chillate rahe par computer chicha ne nahi suna... Bus fir kya tha... Maa gusse ma pahunchi... Hume bachaya aur computer chicha ko dantaan diya. Fie hume de diya computer chicha ka full access...

Nischal ek baar left dekha, ek baar right aur fir upar aasman me.… "Hey uparwale ye Nandni aur Jivisha kam thi, jo ye dono ussi ki parchhayi bante ja rahe"….

"Wowwwwwwww.… Ye to kamal ke hain"…..

"Itssss Awesomeeee"…

"Ye tum dono…. Woooooo... Namaste sir, how you"

Nischal jabtak upar aasmaan me dekh raha tha, thik uss waqt ek bada sa laal dragon uss maidan me utra.. Bhayanak aur Vishalkay…. Shwans bhi chhode to naak se hawa nahi balki aag nikal rahi thi.. Wishper planet ke dragon se bilkul alag...

Pankh jaise chattan ke bane ho. Poore sarir ka koi aisa hissa nahi jo mulayam ho... Sabse darawani to uske ridh ke haddi ki line bana rahi thi, jiske upar 2 fit ka nukila haddi ka kil laga hua tha, jo punchh se le'kar uske sar tak khada tha...

Bitti aur Gopal to iss look wale dragon ko dekh'kar hi flat ho gaye... Haan Nischal jab apna sar aakash ke ore kiye apni bhavna upar wale ko suna raha tha, thik ussi waqt in dono ki baten sun'kar jab usne samne najar diya, tab Nischal harbara gaya.…

Bitti aur Gopal to bacche the, lekin Nischal thehra ek universe traveller, usse shikari aur aam jibon me fark karna aata tha... Aur ye iss grah ka aam sa jiv to nahi hi tha, balki ek shikari tha...

Laal dragon ke samne teeno kisi chhote teddy ke saman dikh rahe the... Nischal apni baat kah'kar dhime se Bitti aur Gopal ko wapas viman me jane ke liye kaha, lekin jabtak Nischal dono ko viman me jane kahta, tab tak dono uddte-uddte uss laal dragon ke aakhon ke samne ja pahunche the…

Dono jaise hi uske aankhon ke samne pahunche, wah laal dragon apna bada sa muh khol liya... Nischal ko bhanpte der na lagi ki aage kya hone wala hai...

Nischal ne apni chain nikali aur agle hi pal wo dragon ek jordar takkad kha'kar ludakta hua kahin dur jakar gira... Dur ja'kar girne ke dauran, usne jo muh khola tha uss se ek tarah ke laal rang ki tej hight wave nikli thi...

Takkar ke karan uss laal dragon ka muh ka nishana badal gaya aur wo wave jaise hi bhumi se takrayi, tej visphot jaisa awaj hua...

Nischal chilla'kar Bitti aur Gopal ko viman me jane ke liye kaha. Jab tak Bitti aur Gopal apne chhote chhote pankh se uddan bhar'kar viman ke ore bhagte... Tab'tak wo dragon fir uth khada hua... Usne dur se hi wo laal wave fir se chala diya...

Nischal teji dikhate huye ek lamba chauda vayumandaliya aavran banaya jiske piche Bitti aur Gopal ko usne surakshit kiya... Vayumandaliya aavran se usne Bitti aur Gopal ko surakhit to kar liya lekin Nischal ko bhi aabhash ho gaya ki uska paala aam kaal jiv se nahi para hai.…

Kyonki uske laal wave ne ek baar me hi uske vayumandaliya aavran ki dhajjiyan udda kar rakh dee. Sirf itna hi nahi balki uss laal wave ka sampark kuchh kuchh uske sharir se bhi hua.… Kuchh aisa sampark jisme pani ke chhinten saman wo laal wave nichal ke sharir par para lekin jahan bhi pada, kapde samet chhed kar dale...

Atayant hi pida me Nischal dikh raha tha... Kisi tarah khud ko balance kiye wah khada raha... Aur tirchhi najaron se Bitti aur Gopal ko viman ke ander jate dekh raha tha...

"Lagta hai musibat badhne wali hai"... Samne ka najara hi kuchh kuchh aisa tha... Poore aakash me laal aur kaale dragon mandra rahe the... Aur samne to ek tha hi, aur koi bhi dragon baat karne ke mood me nahi lag raha tha..

Shhaayannnnnnn... Ki awaj charo ore se gunjne lagi... Yah hawa ko chid'kar niche aate uss teji se girne wale wave ki awaj thi jo wo dragon apne muh se chhod rahe the... Kala dragon kala wave chhod raha tha aur laal dragon laal wave... Sab bilkul satika nishana par...

Itne tej hote humle se Nischal bachne ke liye Nischal ke pass ek hi upay tha… Wo tha uska chain... Apni chain ko tej gati se lahra'kar Nischal bhumi se connect karta aur khud ko khinch'kar utni hi teji se kabhi aage to kabhi dayen bayen karke khud ko bachata…

Chain ke sath khinchne ki gati to Nischal ke pahle prapt gati se bhi 4 guna jyada thi, isliye kisi bhi dragon ke liye Nischal ko bhagte huye dekh pana kafi muakil sa ho gaya tha... Unke najron ko bhi wahi najar aata jo bakiyon ko chain ke sath Nischal ko dekh'kar mehsus hota... Abhi ek point par khada tha aur najar ghuma kar dekha to kahin aur khada hai...

Shayannn ke tej vissil sound charo hi disha se aa rahi thi…. Boom, boom, boom, boom... Charo ore bhumi par tej tej bomb phootne jaisi awaj... Bitti screen par roti hui... "Gande dragon... Baba ko maar rahe hai... Gopal humla kar dun kya"…

"Mera khoob khaul raha hai... Baba yahan se wahan bach kyon rahe hai... Marte kyon nahi"…

Bitti:- Computer chicha missile load karo, aur koi barf jamane wala missile load karo chicha... Ye to garam aur toofani pahle se hai...

Gopal:- Computer chicha sath me inke parkhache udd jaye... Aise talvar bhala aur hathiyar type blade bhi load karo... Ek baar jam jaye to inke tukde tukde kar dun...

Bitti aur Gopal poore aawesh me aate huye, apni hath khitir-pitir command board par chalate huye command dene lage aur computer ji inke hisab se missile loading ka kaam kar rahe the…
Nice update bhai waiting for next update
 
Top