• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Update:-89




Baat khatm karne ke sath hi Nischal ne Bitti aur Gopal ki toli ko kaam samjha chuka tha... Jab bhi secure chember viman se connect hogi ye jimmedari unhi logon ki hogi...


Raat kaali thi, aur Nischal aaj ki raat to bilkul nahi sone wala tha. Ek secure chember me Nischal aur Bhoro baith'kar aas pass ke mahol par najar banaye the. Night vision camera secure chember ke 6 kilometer ke dayre me laga hua tha, aur secure chember ke 100 meter ke dayre ko taar se fensing kar diya gaya tha...


Raat ke 10 baje masoom se jungli jaanvar jal char ko nikle the.... Nadi ka patla bahav lagbhag aadhe kilometer ki duri par tha… Ghati ka tapman lagbhag 20⁰ ke aas-pass tha jo halke thand ka aabhash karva raha tha...


Nischal, Bhoro ke kandhe par hath daalte... "Aur Bhoro sir, kaisa laga humare sath safar par aa'kar"…


Bhoro:- Aap ke sath hona mere liye kisi romanch se kam nahi Sahjade... Middle Universe me hum jaise kayi aise aam log hain, jo aapko aur aapki team ko dekh'kar ek baar yahi hasrat karte hain, kaash ek din hum bhi aise hero hote....


Nischal, Bhoro ki baat sun'kar muskurate huye.... So pichhle 1 mahine se upar ho gaya mere sath. Ab tumhara dil kya kahta hai...


Bhoro:- "Hum sab me ek hero hai. Jaan lena koi badi baat nahi, jaan bachana aana chahiye. Jaise aaj aapne kiya pahle unhe bachaya, jise humari shahsika ne yah samjh'kar bheja tha ki sab mar ke aana to aana, lekin humare shashak, shahsika aur unke doston ko kuchh nahi hona chahiye"...

"Main samjh nahi pa raha tha ki ek jaan ki kimat 10 hazar jaan kaise. Sath raha to samjh me aaya ki iss jaan ki kimat to lagayi hi nahi ja sakti… Aap sab sacche hero ho Sahjade, jo pahle apne logon ki surkaha dekhta hai baad me apni…


Nischal:- O mere bhai tu to emotional ho gaya… lekin thanks yaar... Dil ko sukoon mila. Sun'kar achha laga ki hum dilon me baste hain...


Bhoro:- Main bahar ek baar check kar aaun..


Nischal:- Oo... Lagta hai hum musibat me fansne wale hai…


Bhoro:- Kaise Sahjade…


Nischal:- "Tapman 15⁰ hai... Itne heat wali jagah par itna kam taapman… kuchh der me ye ghati pani se bhari hogi... Ek kaam karo... Sabhi secure chember ko aapas me connect kar do... Main upar ka dono sira pahad se connect karta hun, taki floting chember rahe"…

"Ek baat aur, main bahav ke sath bahte huye pani kahan girta hain uske muhane tak jaunga... Yadi subah ho jati hai, to tum log khudai shuru karke Hayber dhatu nikalna shuru kar doge"…


Jaise Nischal andaja laga chuka tha thik waisa hi hua... Aur shayad aisa roj hi in ghatiyon me hota tha.... Tapman jab gir jaye to evaporation ke karan ghanghor barish shuru ho jati thi..


Lagbhag 12.30 baje honge, jab badh ke saman pani ka poora jhonka aaya… Nischal pahle se taiyar. Ek floting tube liya aur bahta chala gaya... Bahte huye takriban 190 se 200 kilometer dur nikal aaya tha. Lagbhag 2 ghante se wo dhalan ke ore tej bahav ke sath bahta huye, ek bahut badi khadi ke pass chala aaya tha…


Pani ka bahav aage jakar kafi tej ho gayi. Jharrr-jharrr ki tej awaj aabhash karwa gayi ki koi badi khadi ya jharne ka muhana aa chuka hai. Nischal ne raat ke waqt khadi me kudna sahi nahi samjha. Apni chain ka istmal karke wo ghati se lagi pahad ke kinare aaram se aa gaya...


Pani ka bahav satah se takriban 8 ya 10 fit uncha hoga... Nischal andaja laga raha tha ki wo jahan khada hai wo kisi parvat ka kinare par khada hai jo pani ke katav ke karan samtal si ban gayi hai...


Apne badan se kapde nikal'kar nichod hi raha tha ki tabhi uske kano me kayi sare ladkiyon ke hasne ki awaj aane lagi... Nischal ne dhyan diya to pata chala ye awaj khadi se aa rahi thi... Usse thoda aascharya hua kyonki pani ke girne ki aawaj ko bhi chidte huye yah hansi ki aavaj aa rahi thi…


Nischal kuch soch'kar wahin raat bitane ka faisla liya. Mann me yah khyal bhi tha ki kahin koi samuday iss ore rahta ho. Raat ke iss prahar unki syriyan khadi me jal krida kar rahi ho... Kisi ke niji kriyaklap me usse hast'chhep na karne ka faisla kiya...


Bilkul saaf to kuchh nahi dikha, lekin usse aabhash ho raha tha ki pani me bahti hui kuchh ladkiyan khadi me tej awaj ke sath chhalang laga rahi thi. Unki hansti khelti awaj Nischal ko kisi dayan ki aawaz se kam na lag rahi thi. Jab bhi wo sone ki kosis karta, koi na koi ladki chinkhti chillati bahti hui khadi me chhlang laga rahi thi.


Issi bich ek chhoti si ghatna ho gayi... Jal vihar karti ek ladki bahti hui, ja rahi thi.… Iss baar jab kano me hansi ki awaj aayi tab Nischal gusse se ek baar dekha. Nischal ne jaise hi najar aawaz ke ore kiya, uss ladki ki bhi najaren Nischal se takra gayi...


Yun to ab bhi kewal andhra hi tha, lekin Nischal uss ladki ki chamkti hari aankhen saaf dekh sakta tha, jiski najren ussi ke ore thi. Ek pal ke liye najren takrayi thi aur agle hi pal uss ladki ne pani me dubki laga lee... Uske baad to poora mahol hi shant ho gaya...


"Aise shant hote tum sab pahle batana tha na"… Nischal mann me khyal laata, vayumandaliya aavran bana liya, taki kuch der aaram kar sake... Nischal gehri nind me so raha tha. Kitni der soya pata nahi lekin gahma-gahmi se uski nind khul gayi.


Andhera ab bhi poora tha. Nischal apni garadan utha'kar jab dekha to kayi sari rang birangi chamkili aankhon ki raushni ussi ke ore thi... Koi halki nili, to koi halki laal, bhanti-bhanti prakar ki chamkti najren.


Andhere me najron ke siwa kisi ka chehra athva sharir bilkul bhi najar nahi aa raha tha… Sabhi Nischal ke karib aane ki kosis kar rahi thi, lekin vayumandaliya aavran ke karan unke kadam ek nischit duri par the.


"Ye pagal ladkiyan karna kya chahti hai" yahi khyal ander chal raha tha, tabhi Nischal ne apni aakhon ko minja... Usse laga inki najren tarange chhod rahi hai... Tej dhamaka bhi vayumandaliya aavran par hua, lekin Nischal soch me duba hua tha, isliye bhrm laga.


Kintu pahli baar ke bharm ko sunischit karte, baki kayi sare najron se toofan chhodti ladkiyan, uss vayumandaliya aavran par humla karne lagi..… "Kaun ho tum log aur mujh par humla kyon kar rahi ho"…


"Mera naam Deevu hai... Tum humare ilake me kaise pahunche Viggo. Tumne niyam ka ullanghan kiya hai"….


Nischal ko samjhte der na lagi ki yahan bhi seemayen bandhi hai... Nischal bade vinamrta se... "Dekhiye main yahan kewal mehman hun... Kahin dur grah se aaya hun Universe ke 2 hisson ko paar kar'ke. Aap sab ko pareshan karne ka irada nahi tha... Main to bus khoji hun aur jigyasavash paani ke bahav ke sath aa gaya"…


Deevu:- Batao tum Viggo samuday ke ho ki nahi…


Nischal:- Haan main Viggo samuday ka hun.. lekin...


Nischal ne jaise hi haan kaha, fir aage sunta kaun hai... Sabhi halla karti sanyukt roop se humla karne lagi... Vayumandaliya aavran ke bahari deevar visphoton ki aawaz se gunj rahi thi. Nischal sar pakad'kar baith gaya... Gusse me bhannate huye kahne laga... "Karti raho kosis, jab baat karne ka mann ho to bata dena"…


Nischal har aadhe ghante par vayumandaliya aavran banata raha aur wo sabhi ladkiyan gussa'kar uske aavran ko todne ki kosis me juti rahi… Nischal ko samjh me nahi aa raha tha ki sala ek jagah basne wale 2 seemaon ke log ek dusre se itni nafrat kyon karte hain…


Jaise-jaise subah hone lagi, Gussayi striyon ka gussa se bhada chehra aur uska sharir ki kaaya bhi najar aane lagi. Sab ke sab ek se badh'kar apsraon ke roop me thi... Jiske badan par matr chhati aur kamar dhakne ke kapde pahne huye the...


Bilkul aakarshak aur lubhavna badan tha aur chehre ki banavat utni hi jaanlewa. Nischal un sab ko bade dhyan se dekhne ke baad bahut der tak sochta raha... Uske dimag me tha aise striyon ka varnan jo aankhon se tarange chhode aur roop aisa ki kisko dekhun iss vidambana me kisi ek ko na dekh pao...


Ye to Nischal ke apne khyal the, jo wo soch raha tha, lekin bahar wo sabhi ladkiyan Nischal ko ek Viggo ghuspaithiya samjh'kar bilkul rukne ka naam hi nahi le rahi thi...


Gahan soch ke baad Nischal ko dhyan aaya... "Ohhh upar wale, main kaise bhul sakta hun, ye to Nayjo samuday ki striyan hai... Nischal ko jaise hi inke samuday ka aabhash hua... Nischal apna sar jhuka'kar...


"Aapke ilake me main anjaane me ghusa hun... Aapka doshi ho sakta hun, lekin anjaane me pahuncha hun... Main apna surksha ghera hata raha hun... Aage mere anjaane me hui bhool ki saja aap tay kar sakti hai"…


Nischal apni baat kah'kar apna vayumandaliya aavran hataya. Teen char humle uske sharir ke ird-gird huye, lekin Nischal apna sar jhukaye sthir raha.


Shayad upar kuch wo log aapas me charcha kar rahi ho... Nischal ko uthne nahi kaha gaya, isliye wo apna sar jhukaye hi baitha raha. Nischal bhi kaan laga'kar upar chal rahe mahol ko bhanpne ki kosis karne laga, lekin usse pata tha ki wo inhe baat karte sun nahi payega...


Haan lekin Nischal ke chehre par muskaan tab aa gayi, jab uske kaan me dur kahin se uske bacchon ki aawaz aane lagi... 800 bachhe aapas me jhagra karte aur khelte kud'te uss ore badh rahe the...


Unki awaj Nayjo samuday ki striyon ke kaano me bhi ja raha tha. Wah ladki Deevu ne shayad kuch ladkiyon ko wahan se hata'kar, awaj ki disha me bheja ho... Aur kuchh der baad dragon babies ki awaj Nischal ke kaano me aane lagi... Haan lekin Nayjo samuday ke ladkiyon ki awaj Nischal ke kaan me nahi aa rahi thi, lekin baat karne se pata chal raha tha ki wo ladkiyan dragon babies se baat kar rahi hai...


Thodi der baad fir to Bitti aur Gopal ki aguwai me sabhi bacchon ne jo hi udham machaya... "Humare baba kaise kisi ke samne sar jhuka sakte hain"… jab Bitti aur Gopal ke sath sabhi bachhon ke jor dene ke baad bhi Nischal nahi utha tab sabhi bacche katar laga'kar apna sar jhuka liye...


Deevu:- Uth jaeye aap... Mujhe yakin ho gaya ki aap mehman hai. Maaf kijiye humne bura salookh kiya aapke sath... Bacchon tum sab aise kyon sar jhukaye...


Bitti:- Humare Baba ne sar jhuka liya matlab humne bhi...


Deevu ke sath sabhi ladkiyan hansti hui... "Baba kaise ho gaye ye tumhare"..


Gopal:- Baba se hi puchh lijiye..


Nischal:- Ye aapke smuday ke sanrakhit planet Wishper ke bacche hain… wahan kuch climate badlav aaye the, uss vajah se in dragons egg ki hatching nahi ho pa rahi thi, sabhi ande barbaad ho rahe the... Panchhi raaja ne inke hatching ka jimaa sunpa aur uske baad se hi mere bacche mere sath hai...


Deevu:- Aapne wapas nahi kiya in bacchon ko...


Nischal:- Ab yahan se jane ke baad hi inhe inke ghar chhod aaunga...


Deevu hansti hui... "Ab muskil hoga inhe ghar chhona. Oh main bhi na aap sab aayen mere sath... Mere baba aapse mil'kar khush honge"..


Deevu ke sath Nischal aur uske sabhi 800 bacche chal diye. Nischal, Bhoro se sampark karte huye poori baat samjha diya aur Deevu ke sath Nayjo samuday ke desh pahuncha… Ye jagah khadi ke aage basa samtal Vanya paradesh tha... Jahan tak najar jaye kewal hare bhare ped hi ped... Aur Hariyali hi Hariyali...


Nayjo samuday ka naam sun'kar hi Nischal ka sar jhuk jata tha. Haalanki ye samuday to insano ka hi tha, lekin insano se kafi duri bana'kar rakhte the. Yahan tak ki inke ilake me galti se pahunchne ki saja bhi di jati thi...


Yah samuday apne yahan ke pedon ko apne bacche se badh'kar palate hain, aur har ped kaatne walon se inki nafrat thik waisi hi hoti hai, jaisi kisi ke bacche ke katil se uske abhibhavkon ke. Samast brahmand me aisa kaun sa samuday na hoga, jisne ped na kaate ho. Fir wo achhe log ho ya bure..


Isliye Nayjo wale ek saman sabse nafrat karte the. Unka maan'na tha, yadi ped na ho'kar ye aap ke pariwar ka koi sadsya hota, to kya kaat dete... Jitni jaroorat hai untni inki sakhaon ko kaat'kar apni jaroorat poori ki ja sakti hai.. iss se ped bhi aage badhega aur sabka kaam bhi hota rahega...


Bus inka yahi junoon Nischal ke ander wah sharddha bhavna jaga deti, jo ye kisi bhi Nayjo ke samne apna sar jhuka sakta tha.. Nayjo ki bahut badi prajati Wishper planet par basti hai, jo insano se uss planet ko dur rakhti thi...

 

nain11ster

Prime
23,612
80,706
259
Update:-90



Aisa nahi hai ki prakriti ki sewa karne ka inko koi fal nahi mila ho... Inke stri aur purush me itni sari siddhiyan aur shaktiyan prkriti ne de rakhi hai, ki aaj tak kisi ki buri chhaya in logon ne Wishper planet par nahi padne diya. Nichal un logon ko wahan medical assistance diya karta tha. Kayi tarah ke jadi buti ka gyan... Aur jatil kidon ke shikar huye vrikshon ke bimari ka jab wo pata nahi laga pate the, tab Wishper planet wale Nayjo samuday, Nischal se sampark kiya karte the... Ek sampoorn viksit aur utna hi shabhya samaj tha Nayjo ka...


Vaniya kshetr ke bicho-bich ek bada sa maidani hissa tha, jahan Nischal sabke sath pahuncha. "Koi mehman aa raha hai aur wo Wishper planet ka bahri koi karibi insan tha"... Itni detail kafi thi wahan ke mukhiya ko khud swagat me kadam badha'kar aane ke liye...


Nischal se jab thodi der baat hui aur unhe jaise hi Nischal ka naam pata chala... Fir to jo sar jhuka'kar izzat Nischal ne inhe bakshi thi, wahi samman in logon ne Nischal ko bakshi...


Nischal ko aaschrya hua ki unhe kaise pata, uske baare me. Fir un logon ne apne Wishper planet ke sampark shorrot ke bare me bataya… Ye log bhi Universe ke anya hisson me samprak kar sakte the tatha dusre Planet bhraman kar sakte the. Lekin ye kewal un 5 planets se hi sampark karte the ya aana jana karte jahan Nayjo samuday basta tha...


Kafi gopiniya tarike se alag-alag grahon par basne wale Nayjo aapas me milte the, jiski jaankari bahari kisi ko nahi hoti aur na hi wo log Nischal se ye saajha karna chahte the.


Baton ka ek lamba daur chala... Bitti aur Gopal ki poori toli ko wahin rukne ke liye pralobhan bhi diye gaye, lekin uske jawab sunkar to sab lot-pot ho gaye... Aur in bacchon ne jo hi apni maa, maasi aur mausa ji ke gungaan kari.. poora Nayjo hi agli baar Jivisha, Nandni aur Ansh se milne ki ikchha jatane laga. Mukhiya ne saaf shabdon me kah diya…. "Ye agli baar aana ke liye kahna koi aupcharikta nahi hai... Aana hi hoga"


Kafi Khushnuma mahol tha. Din bhar virakhon ki sewa karna aur fal ka sewan kar'ke jeevan bitana. Na kisi ke khilaf ladne ki taiyari aur naa hi kisi ko apni seema me dekhna. Jin bahri insano ko ek Nayjo wale chahte, unhe inke poora samuday chahta tha, kyonki unke dil me yahi hota ye bhi ek Nayjo hi hai.… Prakrit premi...


Masti, Jaam, Nritya aur ek bhavya swagat ke bich aadha din gujar gaya. Hansi khusi mahol ke bich, Nayjo ke mukhiya hath jodte huye kahne lage…. "Nischal aap ka yahan hona rachyta ki marji hai"... Fir unhone apni pareshani Nischal ke samne rakha... Unke jungle ka dakhini kshetr (Southern Area) barbaad ho chuka tha...


Wo poora ilaka heat ke prabhav se pahle vanchit tha… lekin pichhle 6 dino se wah kshetr heat ke sampark me aane se poora banjar ho gaya.. Ab to heat ka asar badhne laga hai... Yadi aise hi ye heat failta rahata, to poora vaniya kshtr ka ek chauthai hissa jal jayega. Upar se bhavishya me yadi koi aur hissa heat ke chapet me aata hai to jungle ke dusre hisse ko bhi kho sakte hain.. Bus kisi tarah yah pata lagana tha ki yah kshetr heat ke sampark me kyon aaya aur koi upay hai jis'se bhavishya me aisi koi ghtna ho to bacha ja sake.


Nischal ne poora suna aur madad karne ka wada bhi kiya, lekin filhal usse abhi jana tha, kyonki ek sunoyit kaam usse itni dur khinch laya tha. Kaam khatm kar'ke usse jald se jald lautna tha. Mukhiya Nischal ki bhi pareshani samjh sakta tha, isliye apne kaam ke liye jyada jod na de'kar, jigyasavash Nischal ke aane ka karan puchhne laga…


Mukhiya ka sawal poochna tha aur Nischal muskura kar kahne laga…. "Sardar mere aane ka karan jaan'ne ki bhavna kahin swarthi to nahi. Mera kaam apne logon se karwa'kar aap mera poora waqt chahte hai"…


Mukhiya:- Isse swarth nahi, ek dusre ke kaam aana kahte hai. Ek dusre ke sampark me rah'kar ek dusre ke kaam na aaye, fir aise sampark ka kya arth. Aisa main nahi koi Aizem ka Sahjada kahta hai...


Nischal:- Hahaha.. Kya main aap ko uss samuday se mila sakta hun jo aap ki tarah hi...


Mukhiya bich me hi baat kaat'te... "Hume Nilbhut samuday ki jaankari hai... Bahut samay pahle humne mishrit jodi ka prastav diya tha, lekin ek chhoti si samasya ne humare bich deewar paida kar di...


Nischal:- Kaun si samasya sardar..


Mukhiya:- Humare yahan ki na to stri aur na hi koi purush bahar ke planet par basne ke liye taiyar huye aur ye baat unke shashak ko pasand nahi aayi... Unka kahna tha ye mishrit jodi nahi balki khud ko uncha aur hume nicha samjhna hua...


Nischal, jod se hanste huye... "Haan to galat kya kaha unhone"


Mukhiya:- Nischal kisi ke apman karne jaisi bhavna nahi thi. Humare log bahri duniya me andhadhun ped ki katai nahi dekh sakte... Bus issi dar se wah dusre planet nahi rahna chahte...


Nischal:- Maine 3 sal purv ek prastav Wishper Nyajo samuday ko diya tha. Hum bahari duniya ko nahi samjhenge to bahri duniya hume kaise samjhegi...


Mukhiya:- Hmmm !! Haan ye bhi sahi hai.. aur Mishrit jodi na hone ka khamiyaja hume bhugatna bhi pad raha hai... Khair iss parastav par poori ghambhirta se Nayjo samuday sochegi... Pahle abhi ka kaam dekh le... Nilbhut samuday to hum me se ek hai.… Unke liye humara kshetr pratibandhit nahi raha.…


Nischal:- Isliye humare khoji yah maidan nahi dundh paye aur majboori me mujhe ek ladai uss tapte maidan me ladni pari…


Mukhiya:- Ye jagah hi aisi hai ki hum ye kshetr par na to kisi ko hawai marg se aur nahi kisi ko bhutal marg se aane de sakte hain… Dhatu ki talaash me takriban 2 lakh se jyada grahon ke nivasi kosis karte hain… un sab ko Uttari maidan ka hi hum rasta batate hain..... Aapke samuday (Viggo) ke log kafi prakrami hote hain... Shikari dragons se koi bach jaye to Viggo se nahi bachte. Aur yadi fir bhi koi dushman bhadi parta hai to hum sanyukt roop se unhe dekh lete hain...


Nischal:- Prakrami ke sath ahankari kyon nahi jodte...


Mukhiya:- Mujhe koi shikayat nahi un baton se aur naa hi kabhi wo log mere liye ahankari rahe hai... Humne Viggo ke pass bhi mishrit jodi ka prastav rakha tha lekin aap samjh sakte hain…


Nischal:- Rahne dijiye sardar, yahan vicharon ka thoda matbhed ho jayega… itne hi mel milaap se Viggo ke sath rahte to yahan ki ladkiyan, bah kar aaye ek Viggo par humla na karti...


Mukhiya:- Ye to seema niyam ullanghan tha... Aur unka apna manoranjan… isme main thode na kuchh kar sakta hun.. chhodiye Nischal, aap aane ka karan batayen..


Nischal:- Mujhe 22 carore viman ke bede ko surakshit karna hai...


Mukhiya:- Ohhhh !!! Matlab Drak Universe aur Middle Universe ke bich yudhh ki taiyari chal rahi hai...


Nischal:- Nahi Surpmarich aur Insano ke bich yudhh ki taiyari chal rahi hai..


Mukhiya:- Wo koi bhi ho, aap ki jit sunischit hai...


Nischal iss baar mukhiya ke aankhon me dekhte.… "Aap bhi na sardar.… Maine Surpmarich kaha, na ki mukhota..."


Mukhiya kuchh der gahan soch me dub gaya. Betuki si hasne ki bhavna apne chehre par laate.… "Yahan ka kaam khatm kar le Sahjade"…


Nischal:- Humne rahashya dhundh liya hai sardar.


Mukhiya:- Aap jab samjh rahe hain ki main iss vishay par nahi baat karna chah raha, fir bhi aap kyon uss baat ko kar rahe... Yadi rahshya dhoondh liye hain, to anth najdik hai. Uss anth se bach gaye aur ek badha paar kar liye tab humari mulakat hogi aur tab hum baat karenge… Haan lekin yadi rahashya dhundh liya ho to mulakat hogi... Aap isharon ko samjhe, hum niyam se bandhe hain…


Nischal:- Main isharon ko samjha gaya aur apni baat saaf taur par bata di ki kyon mujhe ye dhatu chahiye aur kitna chahiye uska andaja to aapne laga hi liya hoga.


Mukhiya ne turant apne sabhi logon ko ikattha hone ke liye kah diya. Nischal ko bhi Nilbhut samuday ke logon ko yahan bula lene ke liye kaha gaya.


Sabhi kuchh hi der me ikattha huye. Mukhiya apne 4 carore logon ke samne apni baat rakhte…. "Nilbhut samuday ke log humare sath hai... Khadi me jama poora dhatu ka bhandar khod'kar bahar nikalo aur usse kaise middle universe ki seema tak ye log lekar jayenge ye baat aap ko sena nayak Bhoro batayenge... Bina kaam me der kiye inki madad kijiye... Uttri maidan (wahi maidan jahan Nischal ki ladai hui thi) par parche lahra dijiye ki kuchh waqt ke liye wo maidan humare adhin hai... Viggo ya shikari wahan koi badha na kare"…


Ghosna karne ke baad Mukhiya muskurate huye Nischal ko dekha aur Nischal hanste huye... "Baandh liya aapne mujhe"…


Mukhiya ne ek sodhkarta ki poori team Nischal ko de di. Jiski aguwai Parashu kar raha tha... Nischal jale huye jungle ke ore pahuncha… kuchh dino tak lagatar wahan sodh karta raha aur sath me sodhkarta ki team ke sath discussion jari rahi.


Lagbhag 8 din baad sahi dhang se karno ka pata chal paya tha... Aas pass khanij aur dhatu ke jo dur daraj ke pahad the wo khisak gaye the, jis wajah se butal par chhota sa badlav ho gaya aur heat ka prabhav uss kshetr me hua tha...


Nischal ne kuchh points ko locate kiye aur 500 Nilbhut sainik jo bacchon ke liye kewal aaye the... Unhe bhumigat hokar apne location par pahunchne ke aadesh mile.…


Wo log apne sath Hurriyen planet ke dhatu Hayber ki 1600 fit ki unhi deewar bhi liye gaye the. Jinhe alag-alag postion par ek nischit angel par un dhatu ki deewaron ko set karna tha... Jaise-jaise Nischal unhe batate gaya, thik unhi postions par Hayber ki deewar ko laga diya gaya...


2 din lagatar pani ke sampark me aane ke baad dakshni jungle thandi hone lagi. Jabtak Nischal idhar artitect aur sodhkarta ki team ke sath, unhe butal par sithit jwalamukhi ke pahad aur unke postion me aaye chhote se badlav ke karan hone wale nukshan ko calculate karna aur bachne ke upay sikha raha tha…


Inki apni technology thi. Unhi technology ki madad se ek fast drill machine banaya gaya. Jiski madad se location par pahunch'kar deewar ko asthapit kar sake... Sath me hidayat bhi diya Nischal ne, laut'te waqt sahi dang se un surangon ko bharte huye lautne, taki bhumi dhanse nahi, warna wapas se nayi deewar kisi aur jagah banani par sakti hai...


Haalanki kayi drill machine to taiyar ho gaya, lekin ek aur prakriti premi Nilbhut samuday ke wahan hone se, kitni sahuliyat hogi, iss baat ka aaklan karte huye... Nayjo ki yuvtiyan, Nilbhut ke yuvkon ko rijhane ka kaam shuru kar di.


Ek se badh'kar ek aakarshak aur khubsurat striyan, jo tarah tarah ke kamuk pralobhan de rahi thi. Uss din Nischal ko, Nilbhut samuday ke ek aur gun ka pata chala tha… Apne samuday ke prati izzat aur shashak ki sahi baat ko dil se anusaran karna...


Ek bhaunre ke liye kayi kaliyan uplabdh thi, lekin Nilbhut Samuday ke purv ke shashak ki ghosna, pidhi dar pidhi yaad thi. "Nayjo samuday ne hume bejjat kiya hai"… Iss baat ko jehan me dale sabhi Nilbhut sainik kewal apna kaam karte...


Rijhane ke athak prayas kiye gaye, kintu jo samuday khud naag phaans se yahan ki sabhi aakarshak striyon ko vash me kar le, bhala unhe kaun Nayjo ki stri rijha sakti thi.... Haan lekin Nischal, Nayjo ki madad se behad khush tha...


Mahaj 10 dino ke ander 33 lakh suddh metal ke viman ko taiyar kiya ja chuka tha. Sabhi large range ki viman thi, lagbhag 2 se 6 varg kilometer ki, jiske ander poori kashmta anusar Hayber metal ko load kar diya gaya tha. Nayjo ki poori tecnical team in vimano ko remote acess karti, apne gupt raston se Zoren ki seema me bhej rahi thi... Jab tak viman land nahi karta, tab tak sara control Nayjo ke hath me hota, ek baar viman sahi location par land hui, uske baad ye log apna control hata leta...


Sabse pahle ke 1000 vimano me iss dhatu ko mod'kar kaise viman taiyar kar sakte hain, uski poori 1000 unit machinary bhej di gayi thi. Haan lekin karar kewal itna tha ki ye poori technology aur sabhi viman ladai ke baad wapas se Hurriyent planet par honge... Jiske liye Nischal khushi khushi raaji ho chuka tha.


Shayad Nayjo ke dimag me un vimano ke misuse ki kahani kahin na kahin thi, isliye wah in dhatu ke bani ek bhi viman bahri universe me nahi chhodna chah raha tha... Inki lagan aur mehnat ko dekhte huye, Nischal ne ek meeting cordinate ki, jisme Shwetna ke pass uss bhavna ko Nischal ne rakha, jis vajah se Nayjo samuday Zoren aane se mana kar gayi thi"…


Yun to Shwetna bhi utni hi jiddi thi, jitne ki uske samuday ke log. Pahle to saaf mana kar gayi aur gusse me yah tak kah di, "Uske log kisi ke sath bhi mishrit jodi bana sakte hai, siway Nayjo ke". Kafi jyada mehnat karni pari thi aur Wishper ke cute bacchon ka chehra dikhaya gaya... Kahani batayi gayi... "Ye bhi to Wishper se hain aur humare sath hai"... Tab kahin ja'kar Shwetna aur baki ke log pighle, iss ummid me ki aane wali pidhi bhi Dragon bacchon ke jaisi hi cute hogi...


To kya ye ummid aasha ki ek nayi kiran thi, ya fir Nischal, Nandni aur Jivisha ne milkkar churan diya tha, jo bhavishya me inhe kafi khincha tani dekar jati. Waise ye natija to waqt ke hathon me tha... Filhaal to Nayjo niyam anusar jodiyan bhi bani aur Nilbhut ke log na sirf Hurriyent, balki Wishper palnet ke liye bhi jodi banane par sahmati bana chuke the...


Mukhiya itna jyada khush tha ki usne pahle lot sabhi viman aur 10 machinaries ko dhaej me Shwetna ko shaunp diya. Wah khush itna tha ki uske 20 lakh log alag se Viggo Viman ko upgrade karne me laga diya.....

 

The king

Well-Known Member
4,239
15,470
158
Yatri deehan dehaan deen billi ic story py aagya hy phir nh kehna billi dodh p gya ksi ko pta b nhi chla 😂😂😂😂 baki khani mn kya chal rha hy wo 89 update parhny k baad ❤❤❤
Abhi billi ko babbu darling ka dudh nahi mil raha he is liye har jagah babbu ka dudh sungha rahe ho accha sorry 😂 😂 😂 😂 nahi bolunga massum nahi par tufani Billi420 bhai ko:?::?:
 
Last edited:
Top