• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792

Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...

Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....

Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...

Last edited:

Chinturocky

Well-Known Member
4,398
12,819
158
अरे यार ये क्या कर दिया,
जरूर कोई तो योजना होगी जो इस जाल से निकलेगी दोनो को। आपने कहा था अंत ही शुरुवात होगा तो कृपा करके इनकी मृत्यू से शुरुवात मत करना।
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,679
174
Kab tak... Aakhir kab tak .. main apne prithvi vasiyon ko in ghatnao se dur rakhun... Aap hi bataeye... Kya unko haq nahi hai ki poore brahmand me corrupt karen aur poore brahmand ka corruption jaane ... Aap hi faisla kijiye...

Yesssss ... Leon bhai... Highteck dialogue ka daur khatm karte hain ... Chaliye ladai ke maidan me warna Naina kaki kahegi dialogue itta bada aur action ittu sa...
Nainu bhaya aapne Naina ji ko kaki bola ab dekh lo kaisi magabharat karvati hai Naina ji or unke fan Mr @11 star fan :D
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Ye kya nischal aur jiviya itne kamjor kaise ho gaye :sigh: ki kide makode jaise villain logis ne bhi unki band baja di...... :sigh:
Jinki koi aukat nahi un dono ke samne...

Bad, Bhery Bhery bad.... :sigh:
Shayad koi aur planning ho.. like plan B..
jiske chalte next update mein in villain logis ki aisi ki taisi ho jaye....
Khair let's see what happens next
Btw brilliant update with awesome writing skills...
Waiting for next update...
 
KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,859
32,706
259
Update:-109

Maharathi saje, ranbhumi saja, dhak gaya aakash.

Pahunche fir veeron ki toli karne anth'hin samrajya ka vinash..

Ajib sa mahol tha. Megh saman charo ore ka ghanghor kaala mahol. Manhushiyat jiske pag-pag par virajman. Aakash poora vimano se dhak kar aur bhi uss mahol ko kaala bana rahi thi...

Nischal apne bade se viman me baith'kar niche maut ke vyakul log ko hi dekh raha the... Niche anginat narbhakshi aur uska mukhiya, apne najren aakash ke ore gadaye kewal peratiksha me the ki kab Nischal aur uski fauj niche utre aur wo ek he pal me unki leela samapt kar de...

Aakash se vimano ka jakhira dhire-dhire niche aa raha tha. Sabse niche Nischal ka hi viman tha aur uske charo ore se York planet ka hawai kshetr gherta anginat viman...

Sabhi viman me ek sath Pratham flash hua... "Kyon dar to nahi lag raha na Sahjade"…

Astak:- Kya soch raha hai chuhe, aaj mere iss giant fauj ke paun tale tu aur tere log kuchle na jaye yahi soch'kar niche aane me teri fat si rahi hai...

Nischal, Serin ke ore dekh'kar muskuraya... Serin kisi dost ki tarah kahndhe par hath dalti.… "Sirf hum dono, kandhe se kandha mila'kar"…

Ek yodhha jo aaj apni poorn kshmta ke sath nikli thi... Serin apni leather tight yudhh ke poshak me thi. Kamar ke dono ore uski apni wo talvar thi, jise dono (Nischal aur Serin) ne mil'kar kabhi Jaal mahal me poore 128 din me banaya tha...

Mishrit dhatu ki yah talvar, Guru Vashudhar ke margdarshan me bani thi… 4 alag-alag prakar ke dhatu jo iss Brahmand ke charo kono se layi gayi thi... Serin ki kamar me 20 meter ki patli blade kisi kamarband ki tarah chamak rahi thi...

Kandhe ke dono kinare patli si chain bandhi thi... Ek chain Serin ki to dusri Nischal ki thi... Aur viman ke bahari kinare se laga tha 2 khas hathiyar...

Nischal, apne baju ki pakad ko tight karte…. "Hum aaj bhi ussi ran'niti se utarenge Serin... Sirf main... Command ab tumhare hath me hai Serin aur uske baad Aerobok. Ab main chala...

Jamin se lagbhag 4000 fit ki unchai... Sharir par bhasm lapete, gale aur hath me badi si rudraksh ki mala lapete... Dhamnnn ki ek jordar awaj se jaisi wahan ki bhumi kaanpi ho...

Log chillaye... Maro isse.…

Sakdon hath hawa me the... Ek sath hi bijli, aandhi aur toofan sabhi hathon me samete.. lekin shayad ye bhid hi dhal thi Nischal ki, kyonki jab charo ore se jhund ghere ho to kitne hath humle kar sakte the Nischal par... 10, 20, 50… iss se jyada haath uthte to khud ke hi logon ko ghyal karte...

Gahri bhul wali yudhh yojna jahan na to yuddh me sainikon ki katar thi jo dusron ko maarne ke liye jagah se aur na ki yudhh karne ka koi formation... Thi to kewal wahan bhid aur kayi kashmtawale Astak ke vansaj chillate huye...

Nirbhik Sahjada, apne nirdayi khanjar ke sath kud chuka tha. Dushmano ke hath hawa me, 100 hath bijli aur acid ke humle ko vyakul aur idhar...

Nabj me khun ki raftaar, Nischal ke daurne ke raftaar se bhi atydhik... Garm shwans aisi thi ki aas paas ka mahol ko poora garm kiye huye the... Bus chand pal ruka wo, paglaye vansajon ki chinkh suna, unke hath hawa me dekha aur agle hi pal, na to wo hath the aur na hi halakh se kisi ki aawj nikli...

Uski toofani daur ki raftaar shuru hote hi maut ki chinkh nahi nikal rahi thi, lekin hawa me Kate fate sharir ke chitre, ek sath jab hajaro ki sankhya me jabtak bhumi par girne ko hote, algle hajaron ke chitre hawa me hote...

Fir to kaatne me koi raham nahi thi... Daur aur santulan ka pura najara Nischal pesh kar raha tha jabki Surpmarich ki kripa se arbon ki sankhya me vansaj sainik, Nischal ke saman tej daur rahe the...

Tej daur to rahe the, lekin utna tej daud'kar, khuli aankhon se dekhna aur humala karte aage badhna bhi to aana chahiye.… Aankh munde andhi daur thi, fir to Abhedi chamri ko bhedne ki bhi jaroorat nahi thi... Tej daudte huye jab vansaj sainik Nischal se takrate, tab aukkad bhi samjh me aa gayi...

Na to Nischal ki abhedi chamri thi aur naa hi takkar se bachne ki ratti bhar bhi kosis... Bus jo tha, wo tha aage badhne ka junnon aur mahaakal ban'kar sabko kaal ke gaal me pahunchana... Takkad to aise ho rahi thi jaise ek fraction second me bomb phootna shuru tha...

Aate takarate aur boom. Chithre unke jamin par bikhre pare hote… Bhasm me lipte uss sharir par ratti bhar bhi asar nahi... Bus aage badhne ki than rakhi thi... Nischal aage badhta raha jise takkar maarne ka shauk tha wo takkar maarte rahe, lekin na Nischal ruka aur na hi ruka uska beraham khanjar...

Jis bhay ki baat Jivisha uss raat kar gayi thi... Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar, Thar-Thar… trarrateee aur kaanpte vansaj sainik bus hawa me haath utha'kar vayumandaliya urja ko samet hi rahe hote, itne me to Nischal unke chithre udaa'kar aage badh chuka hota...

Bhay aur khuff ka aisa manjar dikha raha tha ki baukhlayi vansaj sena paglon ki tarah bijli gira rahe the. Acid ki bauchhar kar rahe the... Nischal to tej daud ke sath nikal jata, chapet me kewal unke hi log aate, aur wahi ghayal hote ja rahe the... 5 me se 2 kosika vibhajit karne wali judwa ki maut to Zoren par hui thi... 1 kosiska vibhajit karne wale vansaj bilkul aage, Nischal ke daud ke raste me khade the...

Wah bhid wala rasta jahan apni fauj ke bich chhipa tha Astak aur Joy.… Ussi raste par 1 kosiska vibhajit karne wale vansaj, Nischal ke intzar me tha. Ek kilometer ka kshter hi khali tha, jisme kewal kosikayen faili hui thi aur yadi wahan ladai hoti to aisa lagta Nischal hawa se lad raha... Hawa se ladtna padts to yahi sahi, lekin aaj uske kadam kahan rukne wala tha...

Nischal aur uska beraham khanjar, pahunch chuka ths uss khali se 1 km ke kshetr ke pass, jahan vyakul anginat naa dikhne wale dushman ghat lagaye the...

Yun to uski daur ko koi kosika nahi pakad sakta tha... Lekin fir bhi Nischal uss jagah ko paar karne se pahle ruka... Dushmano ka ilaka saaf karke wo ruka tha... Aur jaise hi ruka kadakti bijli uske ore iss raftaar se, aur itna jyada vistar se pahunch rahe the ki sampark matr me aane se Nischal ka sharir ko khak kar de...

Ek hath me khanjar to ab dusre hath me tha naag dansh aur Nischal apni jagah par khada... Apne hath ke uss lambe se naag dansh ko samne ke ore utha liya… Aakash ke kilometet ke kshetr ko ghere biljli aur acid ka badal, khud-v-khud naag dansh ke muh se connect ho gaya, aur simat'te huye sab uske anader sama gaya. Thik agle hi pal Nischal ne sar ke upar se naag dansh ko gol ghuma'kar, jaise hi bhumi par patka...

Jo sameta tha usska 100 guna bahar aaya... Naag dansh ke vish me lipt, jiski chapet me thi 10km ke aas-pass ka ilaka aur uss kshetr ke sabhi vansaj fauj kale padkar, hawa me raakh bankar unki haddiyan tak udd chali thi... aur ussi ke sath jal chuka tha Astak ke vansaj ka wo abhiman bhi, jis akele ke dum par poore planet ko hi nigalne ka dawa karte the...

Kosika me vibhajit hone wala vansaj to bijli aur acid ke humle ke baad, Nischal par humla karne ki soch raha tha, lekin uss se pahle hi jhulas gayi thi har ek kosokauen.. jisme kisi ke ander ghus'kar nigalne ka dum tha...

"Tumhare ye badal, bijli, barshat mere kahar se nahi bacha sakte… yahan karne ko tum sab ke pass ek hi kaam hai, wo hai apne sathiyon ki maut dekhna. Kyonki maut tumhe kab chapet me legi, wo tum mehsus nahi kar paoge... Dekhna to dur ki baat hai"…

Thama karvaan fir chala... Hajaron Kate fate chitre, fraction of second me, hawa me hote. Un kate chithron ke niche aane se pahle, fir se hajaro chithre hawa me hote.… Rakranjit yah dharti hui ja rahi thi aur dark universe me kauff failaane wale, mutne lage the... Dimag sabke kabu hone ke baad bhi dekh rahe vansaj apne maut ke dar se thar-thar kaanp rahe the...

Bus kuchh pal ka fasla aur fir samne hote 2 dharti ke bojh, jise chid'kar iss dharti ko paavan bana dena tha... Badh chala fir Sahjada… mahakaal ka roop dharan kiye sabko chidte huye…

Tej si gati thi, laal aankhen aisi ki bhay ka parichayak sa bana tha, aur aankhon ke samne hi the dono... Joy aur Astak bade se aasan par baithe... Kadam to Nischal ke rukte nahi, lekin fir ek bhool ka ehsas Nischal ko bhi ho chala... Ek purani taknik, jo vilupt ho chuki thi, wo Nischal ke raftaar ke aade aa gayi... Jispar usse sochna chahiye tha...

Veg parivartak. Ek kushal dakshat ki bahut purani taknik, Jis se har Viggo ki gati ko shunya ki ja sakti thi... Usse ek jagah par khade hone ko vivash kiya ja sakta tha. Taiyari ke dauran ek chhoti si chuk thi jispar kisi ka dhyan nahi gaya aur samne Nischal ke saman hi 2 tej dushman dushman the.

Fir agle hi pal 2 khanjar utne hi teji ke sath Nischal ke uss nile sarir me ghus gaya... Rakht ki dhar khanjar ke niche se bahne lagi... Ek khanjar Astak ne bayen ore Nischal ke sine me ghusaya, to dusra khanjar Joy ne dayen ore se… Tej dard ki chinkh me wo lakh varg kilometer ka kshetr tharra gaya tha….

Dard ki wo aawaj upar vimano ki srinkhla par bhi sunai dee... Serin ussi pal ko rawana to hui... Lekin vimano ki shrinkhla ghiri hui thi adrishya vimano se... Ye bhi Zoren grah ki hi taknik thi, jo kisi jamane me, Mahamahim ne dur daraj ke technician se develope karwaya tha...

Serin apne samay se niche kudne wali thi, lekin kab unke vimano ki gherabandi hui kisi ko pata tak nahi chala... Aur Serin fans'kar rah gayi thi...

Nischal ki chinkh aur bhi tej hoti ja rahi thi, jab aage se ghusa khanjar pichhe pith se nikal gaya aur dhire-dhire dono ore se uske badan ko chidte huye niche aa raha tha...

Uske hath ka naag dansh uss chhaliya Surpmarich ke hath me thi. Nischal ka beraham khanjar Astak ke hath me... Dard aur gusse me lipt Nischal ki wo chinkh bhayawaah thi, jise sun'kar sab hans rahe the...

Ek chhaliya, aur ek kurur shashak ne mil'kar Nichal ko poora trap kiya tha... Nischal ke sine ke dono ore ghusa khanjar to aam hi thi, lekin usme lipt astak zahar, jise ek Dakshat samuday wale, Viggo ko marne ke liye istamal karte the, khanjar ko itna khas bana chuke the ki Nischal ka pahle se Nila sharir, ab gadha nile rang me tabdil hota ja raha tha… dur se dekhne par uska sharir bilkul kaala hi najar aa raha tha...

"Tumne kya socha, yahan aaoge aur mere samrajya ko tabbah kar doge"…. Gusse se pagal Astak ne khanjar se Nischal ke badan ko niche chidte huye chillaya.…

"Tumhe kya lagta hai mere hazaron varsh ki siddhi ko tum challenge kar jaoge... Bhulo mat mai Surpmarich hun... Maut bhi mujhe nahi maar sakti aur main jise marne ka soch lun, fir usse koi nahi bacha sakta"…. Surpmarich bhi chinkhte huye apni baat kaha aur khanjar ko Astak ke khanjar ke samanatar hi niche chidte huye la raha tha…

"Yahan tu mar raha hai, wahan teri jodi... Jiske gurur ki kahani meri raniyan khatm kar rahi... Wo raniyan jiske samne wo tinka barabar nahi, gurur ke sath mahal me ghusi thi shikar karne"… Astak chillaya aur sath hi sath Nischal ke najron ke samne ek screen par core planet ka najara dikhaya...

Surpmarich naag dansh ke upar lage naag ko apne hathon se noch kar bhumi par patka aur naag-dansh ko poori tarah se nishkriya karne ke baad, uss chhote se naag ke fan ko apne paun tale raund'kar, ek laat maar'kar kahin dur fenkte... "Ye tumhare 2 kaudi ke hathiyar... Inse mukabla karoge"…

Wahin Astak ji tod kosis karta raha khanjar ke energy stone ko nikalne ki, jab wo nahi nikal paya tab khanjar ko apne kamar me daal'kar…. "Niche tu mar raha hai... Upar teri bahan maregi kyonki tum dono ke maut ki kahani likhi ja chuki hai"…

Joy:- Hume andhere me rakh'kar khud par itna yakin ki 200 carore jahajon ka beda le'kar yahan aa gaya... Tujhe kya laga Vardali apni marji se wahan thi... Wo humare hukm ki gulaam hai... Kuchh sach bata'kar tujhe aisa phaansa ki tu sochta raha hum middle Universe se jankari lete rahenge, aur tum wahan mujhe rokte rahoge… Earth aur Middle Universe ki poori mission compromised hai, aur tumhari vajah se Vardali ko Orja bhi mil chuki hai...

Astak:- "Yahan tu hai, teri bahan hai, teri jodi hai. Middle universe ke tamam yoddha ke sath, tere 200 carore viman me se 199 carore viman Dark universe me hai... Jo ab humare 1000 carore viman ke ghere me hai"...

"1 caror viman ke sath tera wo viggo viman Zoren ke space station se kya kar lega. Usse de diye 2000 carore viman, joojhte huye kisi tarah apne air-strike ki kshmta dikhane ke liye... Baki mere 2000 carore viman me load ho chuke hain 40000 carore vansaj... Na sirf Middle Universe ke grahon par tabahi ka manjar hoga, balki humari fauj unpar kabja kar'ke, poore samuday ko hi nigal jayegi... Abhiyan pahle 10 grah se shuru hoga jo aakhri Zoren par khatm hoga"...

"Tum jaise badjaat ko sunane ab aa rahi hai meri sharv'shresth rani, kyonki usne tay kiya tha ki iss yudhh ka live telicast wo poore universe me dikhayegi... thik waise hi commentry jaise tu aur tere sathiyon ne kiya tha kabhi"…
romanchak update ...nischal ne bahut saare astak ke logo ko yamlok bhej diya par khud astak aur joy ke taknik me fans gaya aur buri tarah ghayal ho gaya 😔..naagdansh bhi bekar kar diya astak ne ..

ek taraf serin bhi fans gayi hai aur jivisha bhi ..
dekhte hai kya hoga is yuddh ka parinam aur kya jivisha aur serin bach payengi trap se 🤔.

aur ye vardali gaddar nikal gayi 😡..
 
Rawat@7

Bad Is Never Good Until Worse Happens.
737
1,026
139
Update:-110

Ek ghinauni si jagah jahan kadam rakhte hi aisa mehsus hone lage ki yadi narak ki koi kalpna ki hogi, to issi jagah ko dhyan me rakh'kar ki hogi… Core planet ke bacche paida karne ki factory se lekar, usse jinda kaccha chaba jane ki ghinauna harkaten dur se hi iss core planet par mehsus ho jaye...

Apni maa ki sabse ladli dragon baby Meena, jab apni maa ke sath pahla kadam uss bhumi par rakhi, anjaane se dar ke sath apna bada sa sarir jitna sikod sakti thi, usse sikod'kar Jivisha ko bhinch lee.

Jivisha hawa ki badi si baahn banati uske poore sar par ek baar me hath ferti... "Teri maa abhi tere sath hai, kisi baat ki chinta karne ki jaroorat nahi hai tumhe. Nayla kisi ko bhi utarne mat kaho, sab viman me hi rahenge aur jaisa samjhaya hai wahi hoga. Meena tum Nayla ke sath viman me jao"..

Meena:- Maaaaa...

Jivisha:- Pagal hum unhe darane aaye hain… aur yaad hain na tumne maa ki kasam uthayi hai... Wo Arhcemia yahain hai...

Meena, Nayla ke sath viman me chadhti... "Maa hume jaldi call karna, intzar kar rahi hun"…

Shwetna:- Jakar suit up karo... Tum dushman ki jamin par ho… Tunhara darna tumhari maa ko kamjor bana sakta hai aur unki jaan ja sakti hai... Isliye dil majboot karo aur khud ko taiyar karo…

Meena haan me sar hilati hui wahan se ander chali gayi... Jivisha, Shwetna ke sath core planet ke core ilake me uss mashtishk mahal ke ore badhne lagi...

Jivisha:- Yahan ka mahol kitna ghinauna hai na...

Shwetna:- Ajib se narbhakshiyon ke hone ki bu hai Shashika... Sare gale se log jo insano ko chabate hain.…

Jivisha:- Mujhe bhi kuchh aisa hi lagta hai.... Ruko...

Viman takriban 200 meter ki duri par thi. Jivisha ne Shwetna ko rukne ka ishara kiya... Samne kuchh hi duri par wo bada sa mashtisk mahal... Jivisha kisi tarah ki seema ka anubhav kar'ke rukne ka ishara ki...

Jaise hi uske kadam ruke... Arhcemia ke tej hansi ki awaj charo ore gunjne lagi... "Tumhare chham-chham karte huye paun ki awaj ruk kyon gayi badjaat, aao aage badho"..

Shwetna:- Kash kuchh sanskaar sikh ler hoti... Chhodo ye bhi.. kash kuch jigra bhi hota ander... Tera grah, teri dharti, fir bhi dubki hui hai apne mahal me... Tum jitni ghinauni ho, utni hi badi darpok bhi"…

Arhcemia:- Ye yudhh niti hai... Aur hum apne surakha ghere me... Tumhari vishal si fauj mere darvaje par hai aur hum yaha 18 raniyan aur 120 upraniyon ke sath ander... Tum apni fauj le'kar ghuso..

Shwetna:- Kyon wo Surpmarich kisi rani me apna bij daal raha hai kya, iss planet ke kisi hisse me, jo wo yahan nahi hai... Ohhh shayad 121 up Raniyon ki ginti hogi... Ek uss Surpmarich ke sath bachhe ka bij le rahi, isliye 120 up rani aur Surpmarich ki koi charcha nahi..

Arhcemia:- Tujhe yudhh ke bich sambhog ka bada khyal aa raha... Kyon tere ya teri shashika ke ander bij nahi dala ab tak, iss baat se irshya to nahi... Kahin iss baat ka to malal nahi ki itna siddhiyon wala, tumhe ab tak apna bij kyon na de paya jabki ek lambe samay tak tha to tere hi pass...

Chham se payal ke chhamakne ki aawaj aayi aur Jivisha apna kadam aage badha chuki thi. Shwetna ne jaise hi kadam badhana chaha, usse Jivisha ke hath pichhe dikh rahe the jo na me ishare karti, aaage badh rahi thi…

Shwetna naag dansh ke baare me kahne lagi, lekin Jivisha usse bhi mana karti hui chali. Ek suddh aatma, ek kale ghanghore ilake me apne gurur aur abhiman ke sath ek ek kadam badhati hui chali ja rahi thi...

Chham-chham payal ki awaj ek lay me aana shuru ho chuki thi... Jivisha khuli aankhon se uss jagah ke charo ore ka najara dekh rahi thi... Ek bahut bada brain jiske ander Jivisha thi aur samne wo mahal tha. Uss brain ka central nervous system...

Ek dead brain me ghusne ka natija Jivisha janti thi. Ek dead brain me gum hona usse pata tha... Ek dead brain se agar Jivisha khud bahar nahi aa pati hai, tab jo bahar aayegi wo Jivisha nahi hogi...

Ek aisa prangan jo anant universe jaisa tha. Iska kendr to issi ke garv me tha lekin iska sanchalan kahin aur se ho raha tha. Koi aisa jiska gyan aur shaktiyan anant thi... Aur aise sanchalak ke prangan me Jivisha bina uske anumati ke ghusi thi…

Chham-chham karti wo aage badh rahi thi aur tabhi samne chudail ki shkal aur thik waise his bhesh me, hawa ke do shaye Jivisha ka rasta roke khade… Jivisha apni tej chamakti nili aankhon se dono ko ghurti... "Humla karne ke liye muhrat dekhogi kya???"…

"Tum yahan humare humle jhel paogi kya??"
"Tumhe maarne se pahle humne socha baat kar len"…

Dono ek ek kar'ke apni baat rakhi. Haalanki Jivisha unki baten sun kam rahi thi aur charo ore ka jayja jyada le rahi thi..… itne me wo dono Jivisha ke aas-pass mandrane lagi...

Agle hi pal Jivisha kisi shaye ki tarah uss mahol me gayab ho gayi aur attahas se paripoorn uski hansi.… "Mujhse hi khelne ki kosis rahi ho dono, tum aur tumhari jaisi maujood sabhi aatmaon se ek hi baat kahna chahungi.... Aaj main bilkul baat karne ke mood se nahi aayi aur aage jab koi mujh se milo to yah ummid mat rakhna ki main kisi ko chetavni de'kar marungi"…

Jivisha apni baat khatm kar niche bhumi par aayi aur apne ek hath ka sikanja jaise hi usne kasa, un dono Sayon ke gale par Jivisha ka panja kasta chala gaya...

Dono saye apne gale par aise hath pakdi, mano poori takat laga'kar Jivisha ke hath hatana chah rahi ho... Shawns na le pane ki ghutan unke chehre par saaf dekhi ja sakti thi...

Mahol aisa ho gaya ki unke pran ab tab me nikalne wale the. Lekin issi bich 16 raniyan samne ek sath khadi dikhi, jisme sabse aage Arhcemia thi. Jivisha ko dekh'kar wo jor-jor se hasti hui.....

"Vish-Jivisha ke badle murkh Jivisha kah dun to galat nahi hoga… number 8 jo bharm jaal ki mahir hai aur number 12 jo hamesa adrishya rahti hai, unhe hi maarne chali thi... Hahahaha... Ab dekho iss jagah ka kamal"…

Arhcemia ne hath ka ishara kiya aur... Aur wo dono Shaye bhi un 16 ke sath aa'kar khadi ho gayi, aur Jivisha hairani se samne dekhne lagi..

Number 12:- Kyon jhatka laga kya? Bechari hairan hai...

Jivisha:- Kitne log iss haram me gulaam ho, jo aapas me naam ke badle number se bulate ho...

Arhcemia:- Ab to main bhi baat karne ke mood se nahi hun... Iss badjaat ki itni himmat ki ye humare ilake me aise tan kar khadi thi... Iski wo nagin sathi hume lalkaare... Pakad kar lagbhag pran nikal lo iske, lekin maarna mat, kyonki abhi pahle inhe joker to bana lene do...

Jivisha:- Oo yahan chhoti si samasya hai...

Aur itna kah'kar Jivisha bilkul dhuyen ki tarah gayab ho gayi... Charo ore se chham-chham ki awaj aane shuru ho chuke the... 18 raniyan aur sath me Arhcemia apne dimag ko poore mahal me khula chhode thi...

Issi bich Jivisha ek baar fir attahas se paripoorn apni hansi hansti... "Ek adrishya aur dusri bharm jaal"…

Hansi ke bich Jivisha ne 2 Raniyon ke bare me kahi... Sabhi Jivisha ko dhundh rahe the aur issi bich un sab ko wo dono raniyan hawa me dikhi.. number 8 aur number 12 ki kali lahrati hui body, bilkul hawa me aise bandhi thi, mano faile hui rui ko poora kaskar bandh diya gaya ho aisi sikudi hui thi dono.

Jab tak koi unhe madad kerne ke liye apni jagah se hil pata, dhuuu se aag lag gayi... Jaise petrol chhidak kar kisi ne machis laga di ho... Ek pal pahle Jivisha ne sabko apni baton se khincha aur agle hi pal dhuu-dhuu karke unka sharir jalne laga...

Chham-chham payal ki awaj charo ore se aise aa rahi thi, mano koi in logon ke kaan me rod ghusa'kar teasing kar raha ho. Pratham issi mashtishk mahal me baitha hua tha… jise York ladai ke maidan se kuchh der ke liye relief mili thi..

Surpmarich bhi ab bachi hui 16 Raniyon ke sath khada tha. Agle hi pal wo 3 Raniyon ke sath gayab hua... Ek rani jisme bijli ki shakti thi, ek rani jisme hawa ko bandhne ki shakti thi, aur ek rani jonk ki bhanti thi jo kisi ke bhi upar chipak'kar usse poora apne ander chuste huye khinch sakti thi...

Surpmarich Sampurn mantr ka malik tha, jo kisi bhi aatma ko bandh sakta tha... Wahin Jivisha Akshnd mantr ki malkin, jo apne mantr jaap se apne aatma ko vibhajit kar sakti thi... Haan lekin dono mantr me sadaiv Sampoorn mantr upar hi raha hai, kyonki ye aatma ko sidha sharir se jod deti hai... Uske baad yadi aatma tooti to mul sharir tootega aur natija nischit mirtyu...

Ek shaitan 3 shayak ke sath apni siddhi ka parichay dene nikla... Ek mashtishk jaal jo Jivisha ke shaktiyon ke viprit kaam karta tha... Ek masthisk jaal jo mrit mashtisk ke saman tha aur Jivisha mrit mashtisk ke viprit kaam kar rahi thi..

Mantron ka jaap jaise hi hawa me failna shuru hua, wahan arbon aatmayen na jane kaun-kaun se bil se nikalna shuru kar chuki thi… Wo aatmayen uss mashtishk jaal ki rakshak thi shayad, jise Surpmarich jagaa chuka tha aur usse teen hisson me bant diya tha, jiski mukhiya wo teen raniyan tha...

Jis rani ki jaisi shakti thi, wo arbon kali aatmayon ke pass apni shaktiyon ke sath-sath uske mukhiya rani ki shaktiyan bhi sama gayi.…

Chham-chham ki aawaj charo ore se aati... Kaali raat sa mahol tha. Arbon kaale saye ki laal aakhen tim tima rahi thi… Bahar se dekhne par kisi ko kuchh pata nahi chalta ki ander kya ho raha hai... Uss mashtishk ki seema ke ander ghus'kar Jivisha bhi abhi tak uss mahal yani CNS tak nahi pahunch payi thi...

Ek vikrut siddh purush Pratham ne apna poora jaal bichha diya tha… Jivisha bhi arbon dushmano ke bich ghiri, apni maujoodgi se sabko bhaybhit kee hui thi... Ek ore se hawa ko hi bandhne wali arbon aatmayen thi.. to dusri ore se arbon aatmayen bijli ka aisa kadkate najare dikha rahi thi, jiske sampark me aate hi, Jivisha poori tarah se achet ho jati... To teesri, arbon aatma ko jonk (leech) ki tarah cipkana aata tha... Bus wo ek mauke ki talash me the ki kaise bhi kar'ke ek baar wo Jivisha se chipak jaye... Fir ek ke baad ek sabhi parijivi parbhakhi (Parasite Predators) apne hi sathi aatma se chipkate huye, Jivisha ke upar poorn roop se chipak jaye...

Idhar Jivisha... Apne wahan hone ke poorn parichay deti, fijaon me chham-chham kar'ke apne Payal kee dhun charo ore bikher rahi thi… Jivisha uss jagah ke charo ore hawa ki tarah mandra rahi thi... Janlewa zahar ki tarah phail chuki thi... Akshnad mantr ka jaap aisa tha ki arbon ke bich me hath aa'kar bhi hath nahi aa rahi thi. Aur in sab ke bich jab uska kahar barasta tab koi mauka na milta bachne ka..

Hathon ke ek ishare se, zoom se ujli si raushni wahan charo ore phail jati aur uss raushni ki chapet me aa'kar kali aatmayen dhuyen ki tarah bikhar jati... Sabhi kaali aatma Jivisha ke charo ore mandra ke usko quid karne ki kosis me juti thi, aur Jivisha itni teji se unke vprit ghum'kar, unki kaali aatmaon ko baandh'kar iss had tak apna pressure badha deti, ki jhundh ke jhund foot'kar bhikhar jaate…

Wah aise humle kar rahi thi ki aatmaon ko Jivisha me bhakshak (consumer, eater) najar aane laga tha aur sabhi apne mukiya Raniyon ke sath poorn bhay se aage badh rahi thi... Dayra simat'te ja raha tha, Jivisha ka kahar baraste ja raha tha... Issi bich 4 leech aatma kisi tarah chipakne me kaamyab ho gayi...

Jaise hi wo Jivisha ke sharir par pahunchi fir to Jivisha par ek sath arbon aatamyen jakar chipak gayi... Uski gati sthir thi, uske sharir ko nigla ja raha tha.…. Surpmarich ne turant hi sampoorn mantr ke jaap se, Jivsha ke aatma ko suke sharir se bandh diya... Aur uske agle hi pal...

Aatma khinchne wali Astak ki rani ne turant apna fanda fenka aur Jivisha ki lagbhag aatma khinch kar quid kar chuki thi, matr kuchh ansh bache huye the... Aur Jivisha ke sharir par chipka tha jonk... Aisa lag raha tha Jivisha ander aur bahar dono jagah se mari thi... Bus itni jaan baki ki wo aankehn khol'kar sab dekh sakti thi..
Thank you for the update mitra.
Mind blowing and Fantastic update.

Adbhut writing skill.:applause:
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

nice update ..jivisha ne us mahal me kadam rakh diya aur waha bhi uske liye trap bichhaya gaya tha ..
sabko darr ka saamna to karwaya jivisha ne par aakhir wo bhi fans hi gayi jonkh ke jaal me ...
2 best yoddha maut ki kagar par hai aur ab koi madad karne aata hai ya nahi dekhte hai 🤔..

aur ye itni fauz lekar sirf nischal aur jivisha hi ladh rahe hai to fauz laane ka faayda kya hua ..
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,679
174
Jb 28 30 din yah sangram chalna hai to sirf jitna nhi dikha sakte na uske liye Jo dono paksho ne taiyariya ki hai unko ajmane to do nhi baad me koi aa kr bolega Ye to ek tarfa hai ab yah bhi to socho Jo itne varso se gyan churaya hai or jinda hai usko kuchh to experience rha hi hoga ab vo apna experience na dikhaye to kya sirf naina ji ka fevrit joker hi ban jaye :D
Vahi apna astak miya hai jo itne saal se apni gufa me dhusa rha hai to kuchh na kuchh to unse bhi apna best weapon rakha hoga like game changer Jaisa kuchh
dekha jaye to yah ek sochi samkhi ran nit hai abhi apni nandu or huyu bhi to hai or dekh kr Lagta nhi kya supermachis ne is mantra ka prayog Pahle hi Karna chaha tha pr tb nandu ne uske gaal jla diye the dono ab Nainu bhaya ne kuchh bhi socha ho pr jivisha ko bhi pta hai supermachis hai inke sath vo pendent vala backup hai
Vo kya name tha unka vo Orja ki saheli Ha vardali uske bare me bhi kuchh bola tha astak ne uska bhi dekhna padega kya karegi Orja jb pta chalega use
Or bhi Bahut kuchh hai bhaya... Pr apun Yahi se nipat leta hai jyada ki to bor lagega :D

Ham to Pahle bole the vipaksh kamjor na hai ab Dekhte hai kya hota hai aage

Har ek pahlu Har ek mod sandar lajvab hai adventure to kut ke bhar diya hai bhai ne josh aisa ki lage hai ab tu nhi Ya Mai nhi writing skills ka to sabhi ko pta hi hai awesome hai ab iske aage bhi Kuchh hota hai to mujhe pta nhi
Are josh josh me kya kuchh accha bura likh gya pta nhi Jaisa bhi hai samhal lena :D
Or na samhal pao to ek dusre ko baat dena sb adde pr milenge to samhal lenge :D
 
Top