• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-112 (A)



Khel-khel me har khiladi apna best dene ke liye hi utra tha. Kaun kis par bhadi padta iska aaklan to nahi kiya ja sakta tha, kyonki dono hi paksh ek dusre ko maarne ki kshmta rakhte the. Bus kaun apne pitare me, kaun sa chaukane wala dav bacha'kar rakhta hai, aur kitni kusalta se usse aajmata hai hai, poora khel ussi par depend tha. Yahan kamjor kaun hai...


Arhcemia ka jaise hi ishara hua "kato gala dono ka"... Ek bhuchal sa jaise utha ho uss mashtishk mahal me... Chham-chham ki ek sath lakhon awaj ki khuff to uss dhun ko sun'kar paida ho jaye... Aur jab mahal se bahar nikal'kar sabhi ne dekha to hosh gum the…


Sanbse aage Jivisha khadi thi, uske thik pichhe anginat ujle Shaye, kuchh masthisk mahal ke seema ke ander to kuchh seema ke bahar... Jivisha apni payal ki chham-chham ke sath 2 kadam aage badhayi, aur ussi ke sath lakhon paun chham-chham ke sath aage badhe...


Payal ka wo ek sath chham-chham ki awaj, wahan base bhooton ke dil me bhi khuff pida kar de. Ek pal ke liye sabka kaleja kaanp gaya. Khuffnak awaj aur hairan kar dene wala manjar tha, kyonki abhi bhi to Jivisha upar mahal me hi tangi thi. Lahuluhan aur lagbhag mari si haalat me.... Arhcemia kuchh bolne ko hui, tabhi Surpmarich usse rokte.... "To tumhe mashtishk mahal ka raaj pata chal gaya"…


Jivisha:- "Bhag lo abhi yahan se Surpmarich mukhaute, kyonki iss shakti khand me jo striyon ke sath anyay hua hai, uska hisab chukane main apne sath lakho maa ko le'kar aayi hun. Ek istri aur uske navjaat par huye anyay ki kahani sun'kar inke dilon me itni aag lagi hai ki kuchh pal me yahan sabko barbad karke niklegi"...

"Jaan bacha sakte ho to aaj tum sab apni jaan bacha lo, bhagne ke liye sara brahmand khula hai.. Lekin wada hai tum sab se, aaj bhagte waqt tumhe yah ehsas ho jayega ki ye brahmand kitni chhoti hai".…


Jivisha hunkar bharti apni dono bahen failayi aur dekhte hi dekhte wahan Nilbhut samuday ki lakhon istriyon ki kalpnik sarir, uss mashtishk mahal me praves kar chuki thi...


Surpmarich ka ek Ansh Pratham mantr jaap se wahan ki sabhi kaali aatmon ko jagana shuru kiya, jo iss mashtishk mahal ki rakshak thi... Jivisha ki atthas bhadi hansi thi aur ussi ke sath kahar ka manjar shuru ho chuka tha...


Dono hath Jivisha ne jaise hi failaye, sabhi Nilbhut striyan uss mahal me charo ore failti chali gayi... Samne fir sankhya kitni hi uss jagah ke rakshak aatmaon ki... Nilbhut samuday ki striya saanp ka fanda itni teji se sabke gale me dalti ja rahi thi, ki sabki aatma dhuan ban'kar hawa ho rahi thi...


Atma khinchne wali Rani Bhakshnee, judi arbon aatmaon ke sath aur har kisi ke hath me tha aatma khinchne ka fanda…. Humla ke mukhya kendr, Jivisha par ek sath arbon aatmaon ka fanda ek sath hawa me uchhalta aaya…


Hawa me charo ore se fande hi fande. Jivisha apni jagah khadi, na hili aur na hi gayab hui... Apni jagah khadi rahi... Uski atthas se paripoorn hansi, jaise Lalkaar thi... Gulamon ki basti me ek azad panchhi ne apne bhay ka chhota sa parichay pahle karwaya tha… Ab to sabke jinda rahne ki aajmaish kar rahi thi Jivisha…


Aatma khinchne wale fande ke upar fanda chadha tha. Itne sare fande ki Jivisha kahin gayab si ho gayi… Aisa laga kisi ped par itne fande lage ki fande ki motai 100 pipal ke vriksh ke saman ho gayi...


Charo ore se arbon aatmaon ki jor aajmaish shuru. Fanda dhire-dhire simat'ta chala ja raha tha, lekin kis ore… Arbon aatmayen ek sath poore jod laga'kar wah fanda khinch'kar poore ke poore Jivisha ko nichod lena chah rahi thi, isliye poori takat laga'kar ek sath wo apne sire ko khinch rahi thi...


Pahle 10 minute ki kosis aur sab mil'kar apne fande ko ek inch na khinch payi… Yah najara dekhne ke sath hi Surpmarich wahan se Arhcemia aur 8 Raniyon ko le'kar bahar nikal aaya... Aur idhar Jivisha apne raudra roop me tandav karna shuru kar chuki thi...


Arbon hath jo fande ko thame the poore jor laga'kar apne sire ko khinchne lage... Ek inch bhi fande ko khinch to nahi paye, lekin Jivisha gol ghumna shuru kar chuki thi.. Arbon aatmayen jor laga'kar fande ka sira khinch'kar khud ko aage badhne se rokne ki, ji tod kosis karne lagi par jaise-jaise Jivisha gol ghum rahi thi, Jivisha ke badan se fanda lipat'ta chala ja raha tha..


Bhakshnee ki khud ki apaar shakti, jiske ander kayi carore aatmaon ki shakti thi. Aur uske sath madadgar arbon aatmayen jo na jane kitne hazar varshon se uss mashtishk mahal me thi. Sabhi poori takat lagaye dono hath se fande ka sira poori takat se pakdee hui thi. Khud ko khinchen se rokne ke liye, aiediyon ko uss bhumi me lagbhag gaad dee thi, ye caroro aatmayen… lekin aediyon ke jod par bhi khud ko khinchne se nahi rok pa rahi thi... Arbon aatmayen aediyon ke support par viprit takat laga'kar bachna to chah rahe the, lekin inch dar inch arbon khisssssss khissssss ki aawaj ke sath, khinchti hui ja rahi thi...


Jivisha gol-gol ghunti rahi fanda simata gaya, ek circle me hazaron aatma aakar Jivisha ke upar poora lipti, uske upar dusre circle ki aatmayen, fir teesre... Jivisha gol-gol ghumti rahi, aatma ke upar aatma poora lipat'ti chali ja rahi thi... Sabse niche wali aatma unhi ke aatma khinchne wale fande ka davab jhel nahi payi…


Ab to har ek round circle par, niche ki aatma poori tarah se dhuan ban'kar uddna shuru ho gayi. Jivisha ghumti rahi aur aatmaon ko mukti milti gayi... Wahin Nilbhut samuday ki striyan, jo ek maa bhi thi... Har uss maa ke dard ka badla le rahi thi jo iss shakti khand ka shikar hokar apne bacche tak ko kha gayi...


Haiwaniyat ke iss shakti khand par beraham thi Nilbhut stri... Prakop aisa ki bharm jaal rani samne aayi apne caroron aatmaon ke sath bharm dikhana shuru kiya... Aur tabhi un sabhi aatmaon ne uss fijaon me hi zahar ghol diya...


Zahar naag phans sammohan ka. Bacche paida karne wali iss factory me jaise hi Nilbhut striyon ne naag phans sammohan istamal kiya, sabhi machine jaise pagal ho gayi... Iss kshetr ki sabse kamjor nabj, jiske chapet me to ab wo bhi the jo aatma ko khinchne wale fande ko jakde huye the...


Astak ki 8 raniyan yahan mahal me thi... Jisme se 4 mahal ke bahar lad rahi thi… 4 apne guton ke sath mahal ke ander intzar kar rahi thi... Ek ore kahar Nilbhut striyon ka.. Mantr mugadh hokar nachti hui 3 raniyan bhi wahin par thi... Sharp fanda gale me lagta aur dhuyen ki tarah kaali aatma udti rahi...


Wahin Jivisha lagatar gol ghum kar apne upar aatmaon ka ambar sa laga di... Apne sarir ke upar lipte aatmaon par rassi ka khinchav itna tej rakhi thi ki mano ulta ab wo fande se aatmaon ko jakad kar uss ki leela samapt karne me juti hui thi...


Thik uss waqt jab Surpmarich 8 Raniyon ko le'kar mashtisk mahal se hawa hua, ek sochi samjhi ran'niti ke tahat wahan se nikla tha... Surpmarich ek sunischit ran'niti ke tahat mashtisk mahal me pahuncha tha. Jahan 18 Raniyon me se 10 rani poorn roop se mashtisk mahal me thi, wahin 8 Raniyon ke sath Surpmarich kisi anya sthan se anterdhyan ho'kar unke kalpnik sharir ke sath mashtishk mahal me pahuncha tha.


Thik waise hi jaise Jivisha Nilbhut ki striyon ke sath pahunchi thi, kalpnik sharir ke sath. Haan lekin iss baar Jivisha ka kalpnik sharir chaukane wala tha, kyonki wo kalpnik sharir na ho'kar jaise apne vastavik sharir ke sath praves ki ho.


Surpmarich ne yah tay to kiya tha ki Jivisha apne kalpnik sharir ke sath Mashtishk mahal pahunchegi... Lekin iss prakar chaunka'kar pahunchegi uski ummid na thi. Akshand mantr ke prayog se apne aatma ke chhote se hisse ko, apna sampoorn roop de'kar Jivisha pahle akeli aayi...


Surpmarich bhi chhal niti ka bahut purana khiladi tha. Jaldbaji nahi kiya aur Jivisha ke maarne ki dusri niti jo usne pahle se soch'kar rakhi thi, uspar kaam karne se pahle uske yun akele aane ka karan samajhne ki kosis karne laga...


Jahan ek ore Surpmarich apne siddhi ke jor par matr 8 aatmaon ko apne sath jod'kar, 8 kalpnik sharir ke sath mashtishk mahal me ghusa tha... Wahin Surpmarich ne jo aage anubhav kiya usme Jivisha apni aadhi shakti ke sath, Nilbhut samuday ki lakhon striyon ke kalpnik sharir ke sath jud'kar tandav karne mashtisk mahal me ghus chuki thi.


Surpmarich ko Jivisha ki shaktiyon ka aabhash ho chuka tha. Wah samajh chuka tha ki Jivisha na sirf mashtishk mahal ke bare me janti hai, balki koi to hai jisne Jivisha ka gyan iss had tak badha diya hai ki wo mashtishk mahal ke ranbhumi me jit rahi hai.


Surpmarich jab sunischit hua ki Jivisha apne aatma ko 2 bhag me vibhajit kar'ke, ab wo poori tarah se yahan pahunch gayi hai... Waqt tha asli dav khelna ka... 1000 carore vansaj fauj iss core planet par bhi the... Aur unke bich thi 8 rani aur Surpmarich ka sharir... Apne sath 8 Raniyon ko le'kar wo sharir me praves kiya aur turant hi poori fauj ke sath nikal gaya Jivisha aur baki Nilbhut striyon ke achet sharir par humla karne...


Jivisha ka kalpnik sarir iss waqt mashtisk mahal me asankhya aatmaon ko mukti dene me vyast thi. Viman me ginti ke log, kyonki Nilbhut sabhi ladakon ki aatma bhi Jivisha ke sath, iss se achha mauka kya tha, Jivisha aur uske shathiyon ke sharir ko nasht kar'ke apni jit sunischit karne...


Mahal se 200 km ki duri par tha 1000 carore vansaj fauj ka jamavda... Aur wo dhire-dhire aage badh chale.… Ek bahut badi bhul aur Surpmarich ke poore galat aakaln ke sath.…


Iss core planet par ek smuday aur basta tha, jispar Astak ke julm ki kahani kuchh aisi thi ki, unke samuday ke 20-30 ghar aur takriban 150 se 200 logon ki chhoti-chhoti bastiyan, pichhle hazaron salon se, pidhi dar pidhi pratarit hoti aa rahi thi…


Yah mul roop se Arhcemia ka hi samuday tha, lekin ek lamha wo unhe khushi ka na de saki thi... Wo samuday aur koi nahi balki Viggo ka sabse pratarit samuday tha… Shayad wo yahan se vilupt ho bhi jate... Apni gulaam bhare nasib se khud ko aazadi bhi dilva dete...


Lekin atmhatya jaisi kayarta ko na apna'kar, har pal ye khud ko taiyar karte rahe... Bhale ek chhoti si Viggo basti par lakhon giddhon ki najar thi... Bhale Arhcemia apne samuday ka dimag me ghus'kar uski mansa ko parakh leti aur utna hi kurur ho jati... 100 julm ek baar me sahte the, baagi hai iss baat ko jatate rahe aur baar-baar mana karne ke baad bhi apni taiyari karte rahe...


Surpmarich aur Arhcemia, apne pichhe 7 Astak rani aur 1000 carore ki fauj liye aage badhte rahe... Iss se pahle ki wo bade se maidan ko paar kar'ke kuchh fit chaude rajsahi sadak par, poori fauj viman ke samne la khada karte… Wahan unka rasta roke khade the wo 12 lakh Viggo samuday ke sabhi log... Aur un sab ka netritv karti sabse aage khadi thi Shwetna...


Sadiyon se atyachar ki aag me tadapte log, sadiyon se apman me ghut'te jhulaste log. Sadiyon se jise badjaat kaha gaya aur jiske khun ko gaali de'kar dhudhkarte rahe... Uske samuday ke har ladaka jo samrthya rakhta tha ladne ka, apne hathon me talvar liye wahan apni bhujayen chaudi kar rahe the...
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Update:-112 (B)







"Tummmmmmmm"… Arhcemia un samuday ke logon ko "tum badjaat gandi khun"… kahne hi wali thi ki uske honth sil gaye... Arhcemia telepathy karne wali thi, tabhi uski sari mansik tarange uske dimag me ek baar fir waise hi ghusne lagi jaisa kabhi Orja ne uske tarangon ko uske dimag me sametna shuru kar diya tha...


Arhcemia ne turant hi apna teleportation band kiya aur thik ussi waqt bich se rasta khula... Chhammmm... Chhammmm... Chhammmm... Chhammmm... Wahi khatarnaak payal ke chham-chham ki awaj... Iss baar poore lahra'kar aur echo ke sath aa rahi thi... Har chham ki uth'ti dhun aisi thi ki kaleja na chahte huye bhi baith jata...


Aur tabhi samne se wah alokik swaroop bhi najar aane lagi jo bilkul chamak rahi thi... Jivisha ko dekh'kar hi Arhcemia ke sath sabhi rani aur Surpmarich sabhi khauff me aa gaye. Kisi gauravsali rani ki tarah bilkul gurur ke sath aa'kar wo sabse aage khadi hui.


Uske kamarband ke dono kinare se 2 latakte mayan ki talvaar, iss baat kee gawah thi ki aaj Jivisha ki talvar chalegi... Saree ka faada bich se 2 bhagon me vibhajit ho chuka tha, ye chetavni thi ki rani swyam iss yudhh ko aage rahkar ladne wali hai...


2 kalpnik hissa shakti swaroop Jivisha ka Mahal aur Viman me tha aur apne ek tihai shakti ke sath Jivisha khud ladai ke maidan me, apne poorn goroor aur abhimaan ke sath khadi thi... Uss mashush si jagah me Jivisha ka hona hi un sabke dil me khauff paida kar rahi thi, jo yahan ki bhumi, jal aur aakash ko apne shaktyon se badhe huye the.…


"Tum ne to aaj wakai mujhe sochne par majboor kar diya ki ek jivan kaal me aakhir itni siddhiyan kaise le sakta hai koi. Ya fir Vish-Kritima shuru se chhalava karti aa rahi hai aur wo bhi meri tarah sanjoye rahi apni skatiyan"… Surpmarich jab apni kah raha tha, uski jhujhlahat saaf jhalak rahi thi.


Jivisha uski aawaj me uska chid'chidapan saaf mehsus kar sakti thi... Lekin aaj shayad wo bilkul bhi baat karne ya kisi ke ke prashn ka uttar dene ki ikkchhuk thi…


"Meenaaaa... Beta apni kasam nibha... Aur jab iss Arhcemia ke badan ko noch'kar, har ek ang ko alag karna to fir koi raham mat dikhana, bina dare aage badho"…


Jivisha ne Meena ko bina dare aage badhne ke sanket diye aur hawa me bade-bade dragons 50 ki sankhya me the.. Complete mettalic suit ke Kamal ki desine, kamal ki dur darshita aur kisi chij ke nirman me Decca technology ka koi jabav nahi. Apne lambe meteallic pankh failaye, rang-birange rang ke complete mettelic suit pahne 50 dragon wahan ke aakash ko dhake the...


Shwetna apni hath hawa me utha'kar sabhi dragon babies ko apni postion hold karne boli.… Ek kadam wo aage badhti...


"Humne suna hai yahan ki aakash aur jamin sab tumhari hai... Isliye dono kshetr ko parakhne ke liye hum chale aaye aur dekho sath me kuchh dost bhi laye hain... Jyada chaukne ki jaroorat nahi hai kyonki jis Vardali ko tumne kaam par lagaya tha usne apna kaam bahut khubsurti se kiya hai... Aaj hume bhi dikhao ki ye jamin aur aakash kitni tumhari hai aur apne iss kide makodon ki fauj se hume kitna nuksan pahuncha sakti ho"


"Sathiyon na raham karo na ruko... Bus badhte raho aur khauff ka manjar dikhate raho"…


Jivisha apne dono hath me talvaar thame hawa me ki... Arhcemia ne bhi humle ki hunkaar bhadi aur daur chale dono ore se...


12 lakh Viggo apne pratisodh ki aag ka badla lene badh chale... 1000 carore ki vishal sena samne se dauri chali aa rahi thi aur ye 12 lakh Viggo dono kinaron se line bana'kar tej daur'kar unhe kinaron se poora gher rahe the... 50 bekauff dragon babies aakash me uddte aage badh chale...


Sabhi vansaj fauj aakash me apne hath upar kiye apne charo ore phaile dushman par bijli, acid aur toofan ki barshat kiye. Wahin Jivisha apne aatma ke 2 tukde uss mahal me tandav kar chhod aayi aur ek tihai shkatiyon ke sath khud ran bhumi me khadi… apne dono hathon me talvar liye...

Talvar bhi aisi ki jo dikhne me to matr kuchh fit ki thi, lekin jis ore talvar ka ishara ho jaye, fir wo maidan ke aakhri tak talvar apna kahar dikhati. Aakhir me khade narbhakshiyon aur in sade se badan ke malikon ko ek sath Jivisha ke talvar ka aabash ho jata, kyonki jab talvar chalti tab dikhta hawa ka wo adrishya talvar jo chalne ke sath hi apna aakaar (shape) dikhata…


Hawa hi jaise aaj Jivisha ki saarthi bani ho... Lahrati wo teji ke sath ja khadi thi dushmano ke bich me... Vansaj sena ke har hath jo vayumandal se energy khinch rahe the... Jivisha ke bayen hath ki lahrati talvar uss energy ko kaat rahi thi… aur aaj to jaisi unka abhedi sharir makkhan bana hua tha... Jivisha pahle aage badhi aur apne dayen hath ke talvaar ko lahra'kar ek sath bhumi par lakhon sar ek sath gira'kar bhumi ko rakhtranjit kar, yudhh ka aagaj poore khuffnaak aur berahmi ke sath karti.….


"Mukti ko taras rahe logon ko aaj mukti de do Viggo... Kahar ban'kar barso aur dikha do kitni aag dahak rahi hai tumhare sine me. Aaj tumhe inki shakti nahi rok shkti... Kahar bankar toot paroo... Na ruko aur na raham karoooo"..


Lakhon sar kat'kar jamin par gide. Khun ke fawaade chhodta dhar tadapte huye niche bhumi par gir raha tha. Jivisha kurta ka parichay deti jaise hi Viggo ke lambe tadap ko bhadkayi fir to... apne tej daud ke liye mashoor Viggo, poore vansaj fauj ko kinaron se gherte huye... jab unki talvaron ne vansaj fauj ka imtihaan lena shuru kiya, fir to hawa me hath uthana bhool gaye. Vayumandaliya urja istamal kaise karni hai bhool gaye. Hath poora upar utne se pahle Viggo apni poori raftaar ke sath apne hone ka parichay dete aage badh jate.… Hath upar ko ja rahe hote aur gala kat'kar niche jamin par.


1000 carore bhid ko charo ore kinaron se Viggo ne ghera.. khun ke chhinte uddte, maans haddiyan sahit kat'kar jamin par bikharti aur charo ore se Viggo ne kaatna shuru kar diya tha... Bebas aur lachhar Astak Vansaj 12 lakh Viggo se aise ghire ki baukhlahat me bus apne sathiyon ka kata sar hawa me dekh rahe the. Bhagna chah to rahe the lekin inhe poora gherkar marna shuru kar chuke the Viggo ladake...


Arhcemia, Surpmarich aur uske sath 8 raniyan dhire-dhire kadam pichhe le rahi thi… "Surpmarich tumhari siddhiyan kahan gayi, istamal karo na"…


Surpmarich:- Usne sampurn mantr ka jaap sikh liya hai... Meri aatma ko bandh di hai sharir se...


Arhcemia:- Matlab..…


Surpmarich:- Matlab tumhare mahal se khud ko jodna mujhe nakara bana diya hai... Tumhara mahal hi kamjor par gaya hai aur uske sath meri shabhi shkatiyan bhi uss mahal ke adhin ho'kar ghut gayi hai... Hathon se bijli nikal raha hun to 12 volt ka current aa raha hai... Ab kya gudgudi kar dun...


Arhcemia:- Matlab…


Surpmarich:- Matlab ya to bhag lo ya maro.… Mera kya hai main mar bhi gaya to fir sharir badal lunga...


"Hahahaha... Tu shaktiyon ki talash me murkh ban gaya Surpmarich…. Teri siddhi aur skatiyan to adhin ho gayi iss mahal ki... Aur jo teri aatma bandhi thi Zoren ke mahal se, usse humne bandh diya hai... Tumhari aatma ko naya sharir dene wala koi shakti uss mahal se bahar nahi aayega lekin aaj tere charo ansh ka vinash tay hai".….


Jivisha apni baat samapt karne ke baad kaal ban'kar lahrayi... Lahrate talvaron me jaise rakt pyas jagi ho. Hawa ke sath uski lahrati dono talvaren, ek ke baad ek chalana shuru kar chuki thi. Dhar se gardan alag karna shuru kar chuki thi... Ek sath lakhon Kate sar bhumi par. Gardan se rakt ka favada nikal raha aur kannpta hua khun me bhinga badan niche jamin par...


Kinaron se Viggo ki beraham talvaren bhumi ko rakhranjit kiye aage badh rahi thi... Charo ore maut ki chikhen… kati fati lash ranbhumi me bikharte ja rahi thi…. Bich se Jivisha hawa ke rath par sawar, apne talvar ko lahrati bhumi ko rakhtranjit kar rahi thi…. 5 minute viram ke baad Meena bhid se apna target dhund chuki thi... Arhcemia ke milte hi, wo humla karne aage badhi...


Meena ke sath hi uske sabhi sathi aakash se humla shuru kar chuke the. "Sunnnnnn.… Shiiiiiii... Bhommmmm'... Kuchh aise hi hawa se tej dhwani, niche jamin par aati aur agle hi pal... Kisi ki nili wave jamin se takra'kar visphot ke sath-sath, aisi tej bijli ki aandhi sath me le aati ki maans chhod haddiyan kadak jati aur bikhre huye lothre charo ore hote...


Meena aage badhi apni shikar ke ore. Bacchi galti kar gayi 8 Raniyon ke bich ja'kar… aayi thi to Arhcemia ko pakadne lekin bharm jaal ke chapet me fans'kar rah gayi... Aur agle hi pal ek Rani ka panja aur paun itne chaude ho gaye ki Meena ko jamin se patak kar, uske metal lage gardan ko apne paun niche daba'kar kuchalne lagi.. Meena ka 1 pankh body ke niche fansa aur dusre pankh ko wo rani apne bade se panje me jaise hi jakdi... Ek toofan sa utha tha fir...


Jivisha tej hawa ke veg se lahrati hui bich se sabko kaat'ti hui aage badhi... Yudhh ki kaman ab usne diya Shwetna ke hath me, aur khud pahunchi uss madhya me jahan ab tak wo 8 raniyan khud ko mehfuj ki hui thi...


Ek bada sa bharm jaal banane ki kosis aur agle hi pal Jivisha ne apni talawar ko hawa me ghuma'kar, itni tej pichhe jhatka ki dono talvar adrishya gati se pichhe ke ore gayi... Ek Rani jo khud pichhe rakh'kar, aage bharm paida karne ki kosis kar rahi thi aur dusri raani ussi ke samanantar khadi ho'kar Jivisha par khatarnak rashayan ki barish karne wali thi... Jivisha ke hath ki dono talvar tej gati se hawa me lahrati, pichhe khadi dono Raniyon ke gardan ko faadte huye sida jakar viman me ghus gayi... Un dono rani ke sar talwar ki nok par viman se latak raha tha...



Jivisha hawa ki rath par sawar jaise hi pahunchi, apni berahmi se awgat karwati 2 rani ke sar sidha viman se taang di aur samne chal rahe najare ko dekh Jivisha tej chillati.… "Mere bacchon se dur raho"…


Jivisha ke tej gusse se wahan ke charo ore ka vayumandal hi laal sa dikh raha tha aur hawa me bana Jivisha ka vishalkay laal chehra jo kayi varg kilometer tak poore aakash ko dhake tha. Jivisha apne hathon se hawa ka panja banayi aur uss giant rani ke upar aur niche ke jabde ko pakadti hui faadna shuru kar dee...


"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa" … ki bhayanak chinkh se poora maidan hi ek pal ke liye saham gaya…. Jivisha apne hawa ke dono panje se uske vishal hote jabde ko faarna shuru kar di... Itne me Shwetna ne ek dur ka daud liya... Teji se daudte huye wo aayi aur hawa me uncha chhalang lagati jabde ke bich ke gape me, poora talvar chala'kar bich muh ko ho kaat girayi...


Shwetna ne fir maut ki hunkaar bhadi.... "Sathiyon na rukooo... Na raham karooo".


Maidan ke charo ore se Viggo ki tej chinkh ke sath, vansajon ke kaatne ka khel bhi tej ho gaya... Dragon babies hawa se tabahi ka manjar dikhane lage..... "Na ruko, na raham karo"… "na ruko, na raham karo"… "na ruko na raham karo"… Maidan ke charo ore gunj rahi thi...
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Kya yuddh dikhaya maza hi aagaya.
Luna ne to tabahi hi macha di, saale sirf nishchal aur jivisha ke liye plan banaye aur Luna ne inki leli.
WO kya kahte the ha
CHAL MERI LUNA....🤣🤣🤣😂😂😂
Hahaha ... Haan Luna chal bhi dee aur modern warfare dikha bhi dee... Now move back to other folk... Jarra dekh bhi len ki udhar kya ho raha hai... Stay tune ... Aur aaj jarra dil tham ke
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Bahut khub nain bhai. Shandar update. Luna ke command me bittu gopal ki team aur earth k fighter jets ne kya kamal dikhaya maza aa gaya. Kul mila kar aapne 12 se 15 ghanto me middle universe ko to safe kar hi diya ap rahi andar ki khabar jo suspense me rakhi gayi he agle kuchh updates tak. Vese bhai apni orja ji aur guruji ki team ka samachar nahi aaya hella aur messa ka kya hua. Aur wo gaddar vardali ki bhi koi khair khabar nahi di. Vese agla update lagta he master serin ki yuddha niti se related dene wale ho. So eagerly waiting for next rock brother.
Thankooo sooo much.. battu bhai... Pan abhi aisa hai ki Orja, Hella Messa Vardali ye sab iss kahani ke hissa nahi hai... So aap ko unke naam ki bhanak mil sakti hai wo nahi...

Baki suspence jaisa kuchh nahi hai... Aaj yudhh ka ek sectio aur end kiye deta hun kaleje par patthar rakh'kar mood nahi tha end karne ka lekin baad me haan.. naaa.. haa .. naa me finally socha... Readers baiman ho sakte hain par ye writer nahi... So finally.... Complete kar diya section :D
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
mujhe laga ye ladhai 28 din chalegi aur maine ye filhal ke kisi update me padha nahi ..isliye puchh liya ...

Count kar lijiyega updates jab se ladai shuru hui.... 28 din ladai isliye chalegi kyonki ladai ke 28 update hain lagbhag... Maine ek sath update dene ka faisla kiya nahi to 28 din to jata hi ...

Smile please ..

romanchak update ...nischal aur jivisha dono buri tarah ghayal ho gaye hai ,aur khoon bhi bahut beh gaya hai 😔. aur lagta hai abhi ladhne ke kabil nahi hai dono ..
arhcemia ne sabko video dikhaya middle universe kitna khatre me hai , dono main yoddha ghayal aur saare viman ghire huye dark universe ke vimano se ..

luna ne apni kabiliyat ko dikhaya aur himmat naa haarkar apne logo ko surakshit karne ne jut gayi ..

199 crore viman support ke liye rakhe the pichhe jo saaamne nikal kar aa gaye aur dushman ki anginat vimano ko dhul chatane lage 🤩..

bitti aur gopal bhi missiles ka sahi istemal kar rahe the aur earth ke aircrafts ne dushman ke bich ghuskar unko thikane lagane ke kaam kiya 🤩..

arhcemia aur pratham kuch kar hi nahi paaye 🤣.. aur sab vanshaj sena apne aap ladhai karne lagi bina kisi command ke 🤣..
luna ne har baar ki tarah sahi yudh neeti ka prayog karke dushman ko maat de di ..

Hahaha... Abhi part A Luna end hua hai.... Aage shayad aur romanch bhara hua ho.... Part B Jivisha aaj shuru hoga ... Hold your nerves kyonki ab jisvisha aa rahi hai
 

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Bettle of Palkhed- ye chapter howard University me bahut lambe samay se padaya ja rha h . Bajirao Rao peshva aur Nizam ka wo yuddh jisme Nizam ki lakho ki sena mahaj kuch muthhi bhar Maratha seniko se bahut buri tarah hari thi, ek bhi Maratha sipahi na hi ghayal hua aur na mara gaya.. aur Nizam ka kuch bacha nahi tha is yuddh ke bad.....to kehna yahi h ki sahi strategy aur hosle se wo kam bhi ho jata hai jo asambhav ho .. jo Luna ne kiya wo kabile tarif bitti Gopal ka ek pal ke liye bhi apne dhyan se na bhatkana ye saf batata hai ki jivisha aur nishchal ne unhey kese bada kiya hoga .. jivisha aur nishchal ki halat dekh jaha ek aur pura middle universe thara utha tha aur aashaye kho chuka tha ,un ummido ko jis tarah se Luna ne jinfa rakhne ki koshish ki us sey hi pata chalta hai wo nishchal ki shagird hai .. ab hona ye hai ki dark univerce ka 1/4 power ab ja chuki hai, planets per jivan samapt sarpmarich ka dimag nahi balki marak jahaj hi ker sakte the isliye sab se pehle unhey raste se hataya gaya aur machli ke liye dana bane khud nishchal aur jivisha jisme dark univerce ke mahamahim bhi fas ker rhy gaye aur sari siddhiya bhi dhari ki dhari reh gayi ... Ab dekhna hai ki ye dono bali ke bakre kya gadar machate hai aur kese machte hai ...
Thankooo sooo much for your so lovely responce... Haan aise kayi yudhh hai jinke varnan bhartiya ituhason me nahi by the grace of some fulls... Baharhaal ye charcha lambi hai.. aur utni hi afsos janak bhi... Saurastra ke veer, rajasthan ke veer, bhartiya mul ke kayi veeron ki kahani gayab hai... Aree hume ye pata tak nahi ki sabse aakhri ladai.... Talvar vs hightech weapon Indians worriors ne ladi thi.... Jahan briten aur uske sathi countries force apne high-tech weapon se bhi wah base nahi jit payi thi wahan rajputna force hath ke talvar bhale vs hightech weapon ke yudhh me apne raja ke liye jit ka parcham lahra'kar ... Itihas ka wo gaurav likha jise talvar aur bhale wale hath ke yudhh ki aakhri ladai kahte hain ... Aur jiska itihas Isreal me bacchon ko padhaya jata hai..

Baharhaal... End the topic ... Thanks for your beautiful response... Abhi sambhavnayen maine dekhi hai... Aur aapke liye kahani ki hakikat bhej raha :hug:
 
Top