Update:-113 (D)
Naag-dansh ka takriban 100 kilometer ka dayra ban raha tha... Serin aur Nischal uss khali se maidan me dhime-dhime chale... Dayre me jitne sainik kuchle gaye the wahan tak ke sabhi Nilbhut sainikon ko Aerobok samet chuka tha aur aage koi najar hi nahi aa raha tha…
Aerobok chillaya… "Jo jamin me ghuse hain wo jamin ki gahrai unki nahi... Chalo unhe dikha de"...
Bache huye sainikon ke sath Aerobok ek baar fir bhimigat hua... Nischal aur Serin uss khali se maidan me aaram se chal rahe the.… "Kyon re vishes aur sharv'shresth samuday... Kis bil me ghus gaye… ya apne paida hone par afsos sa ho raha hai"
Koi jawab na aaya tab Serin jor se hansti hui.… "Kyon be badjaat... Itni hi teri aukaad thi… dar se kaanp raha hai kya kisi bil me chhip'kar"…
Serin abhi itna hi boli thi ki tabhi ek ke baad ek lakhon chhatpatate huye giants bhutal par aaye... Uski dard bhadi chinkh kafi dur se aa rahi thi, lekin itni unchi thi ki kaan faad rahi thi….
Nischal:- Tu kya sochta hai bill me chhipa rahega to maut nahi aayegi.… Tere baap tujhe bil se nikalne ghus chuke hain aur vishwas maan, mere diye maut me awaj nahi aati lekin unke diye maut ka dard itna hoga ki sab yahi soch rahe honge ki kaash maut Nischal ke hathon hoti to jyada achha hota...
Serin:- Wo dekh Astak…
Nischal:- Fir sochna kya hai... Daur laga... Raste me koi mile ki naa mile, usse jab dhar dabochenge tab sab apne aap bil bila'kar bahar aayenge...
Serin:- Naah iss fauj ka commander Surpmarich to maara gaya, bina command ki fauj abhi bahar aayegi jab Aerobok dobara kahar barsayega... Ruk ja ab to sab ko saaf karte huye chalenge... Abhi inki manmauji fauj, shadi ke baarat ki tarah niklegi... Jinhe bus haath utha'kar hawa se kuchh khinchna hai… bus itna hi...
Serin kahna bilkul sahi tha, lekin wahan se kewal giants hi nahi nikle balki nayi nikli fauj uss se bhi vishal thi... Arbon maar chuke the lekin jab fauj nikalna shuru hui to iss baar ki sankhya aur bhi jyada thi. Sabhi ke sabhi Nischal ki tarah tej dhavak aur sath hi sath inki apni kshmta aur iss baar ki ran'niti to bilkul alag...
Unke formation ko dur se hi dekh'kar… "Tune kya kaha tha manmauji fauj, bina commander ka... Suchna de pahle Nilbhut sabhi sanik bahar aaye aur surkaha gehre me jaye, warna inki taiyari dekhkar lagta hai uhne jamin me hi gaad denge"...
Serin ne turant suchna bheji, Nilbhut sainik, sabhi unke piche katar laga'kar khade ho gaye... Nischal unhe samjha'kar wapas Naag-dansh ke ghere me bheja...
Yahan aa'kar Nischal aur Serin dono wakai kafi surprise the. Ek anumanit tha ki jo inki shaktiyan hai, jaise ki bijli, acid rain ya fir anya vayumandaliya urja, in sab ke sath ladenge... Nischal aur Serin ne mil'kar taiyari bhi ussi hisab se ki thi...
Lakin jaise-jaise yudhh aage badh raha tha, inke ladne ke tarike bhi badal rahe the... Pahle vayumandaliya energy se lad rahe the, tab to Nischal and team ke liye mano bewakoof se sainik bhid lagaye khade the jo ek hi tarah ke yudhh karte aa rahe hain aur iss vajah se Nischal kahar ban'kar toota...
Fir pahle veg parivartak ne chaunkaya. Uske baad jaise hi Nischal ki poori team maindan me aayi, fir inki ran'niti ka pahla hissa dikha, jisme wakai Nischal ki team ko bahut bada nukshan ho jata yadi Hyber metal na hota…
400-500 fit wale giants Nischal ki gati se daud rahe the aur daudte huye humla kar rahe the... Yah itni gati se daur rahe the ki Nischal aur Serin ko chhod'kar koi bhi inhe dekh nahi sakta tha... Naubat yahan tak aa gayi ki yuddh ke maidan se sabki jaan bachani pari...
Nischal ne jaise hi naag-dansh ka prayog kiya ek baar fir sabhi sipahi bhumigat ho gaye... Haan iss baar thode surprise moves Nilbhut ne diye the jamin ke ander. Nilbhut ki bhumigat humla ka inke lakhon ki tadat par ek sath asar para... Par jab iss baar bahar aaye...
Poori fauj ladai ke formation me thi... 3 ke tikone formation ki poori katar bani thi. Gajab ki ye formation thi, jise Nischal aur Serin pahli baar dekh rahe the. Iss formation me 1 sipahi ke dayen aur bayen 2 sipahi khade the… Jo bich wala sipahi tha wah bilkul sidha khada tha... Uske dayen aur bayen khade sipahi, uske ek kadam aage khade the, jiska angel halka apne sidhe khade sipahi ke ore tha... Mano teeno mil'kar ek dusre ko support denge... Aur aise hi trikon ran'niti ki poori line thi, aur iss prakar ki 1000 line lagi thi...
Har kisi ke paun me wo ring bandhi thi, jinse inhe bhumigat nahi kiya ja sakta tha... Sabhi ke hath me dhal thi jo humla hone ki soorat me ek left se angel deta dhal ko, dusra right se aur bich wala samne se dhal laga'kar aage ke humle ko sealed kar deta, jiske pichhe in teeno ka poora sarir cover rahta...
Surakha intazamat ke baad inke hathiyar bhi kuchh alag dikh rahe the... Badan par bomb ki tarah kayi gole latke the, lekin ye bomb nahi ho sakta tha, kyonki yahan ka atmosphere bomb ke rashayan ko hawa me ghol dega...
Bich wale sainik ke hath me bhala tha aur dono kinare wale sainik ke hath me talvar, pichhe pith par ek bag tanga tha jiske ander na jane kaun sa rahasya chhipa hua tha...
Koi bhi unka sainik aage nahi badh raha tha aur apne jagah par hi khade ho'kar dhal par talwar patak rahe the, mano Nischal ko hi aage badhne ke liye kah rahe ho... Aur kahna chah rahe ho, "hume Naag-dansh ke prabhavit ilake ka gyan hai, ladai to uske bahar hi hogi"...
Nischal iss formation ka aaklan kar hi raha tha tabhi uski najar upar hawa me gayi... Serin apne chain me lohe ka pahad arthat hathoda dur se chala chuki thi... Wah hathoda kafi uncha udta hua unke upar gir raha tha, tabhi jaise Serin aur Nischal ne apni aankhen mij lee ho...
Lohe ke uss 100 tan vajni hathode par anginat hawa ke jhonke, ek sath aur itne laybadh tarike se takra rahe the, mano wo log air soccer khel rahe ho... Jisme ball ko goal tak nahi balki out of the stadium pahunchana tha...
Serin lagatar 8-10 kosis ki. Nischal poora observation karta raha... Lakh Milo lambi line me, bich se yah hawai hamla ho raha tha fir chahe wo hathoda sabse aage ke line par hi kyon na par raha ho...
Hathoda fail hua, tab Nischal ke ishare par chain try kiya gaya... Nischal ke muh se nikal gaya... "Kamina Surpmarich ka mukhauta, sab sikha gaya"… Ye chain Astak ke vansajon me se ek ki thi, jise Nischal ne Desert Planet par jita tha aur wahan Astak vansaj Dreda ke marte hi yah chain Nischal ke pass khud aayi thi, jiska ek hissa Serin ke pass bhi gaya tha... Ab jiski uttapti pata ho, uska tod kyon nahi bana sakte.…
Nischal aur Serin jis niti ke sath yudhh ke maidan me utre the.… "Dushman ke humla karne ki har badi takat ke tod ke sath"…. thik waise hi inke sath hua tha. Nischal aur Serin ke istamal karne wale har hathiyar ke sath, humla karne ke har jaani hui niti ka tod tha. Serin, Nischal ke kandhe par hath rakhti.… "Ye inki taiyari"…
Nischal:- "Ye Hella ke sardaron ki vansaj tukdi hai. Inhi ke sath Hella aur Messa tarah-tarah ke formation me ladte the... Jahan Messa ke yudhh niti ko Hella se kargar mani gayi thi aur Messa ko kamjor sena (vansajon ke mukable, gulaam sena) ka sena-nayak bana'kar bheja gaya tha"...
"Hella aur uske sardar jab bore hote the tab Messa ke pass ja'kar uski yudhh niti ko dekhte the.… Messa yahan se jane se pahle apne ek sardar ko har sambhavna par kaam karne ke liye deput kiya hoga"...
Serin:- Hmmm !!! Ab kya karen humare pass force hi nahi hai yudhh ke liye... Ye to dono front se ladne ko taiyar hain... Bich me ghuse to poori line hi chipak jayegi.. aur hum bus inke dhal ke upar taal banayenge…. Inke dimag me ghus'kar yadi lado to...
Nischal:- Mere khyal se ye teeno baton ke liye taiyar honge... Humari daur, shayad ussi ke liye koi jaivik hathiyar ya kisi natural source ko uss bomb me bandhe hai... Yahan se daur lagate hi wo bina soche bomb se humla karenge aur samne ke raste par bomb hi bomb hoga...
Serin:- Pahle isse hi try karte hain. Yadi teri baat sach hui ki ye humare daur ke liye taiyari kar'ke aaye hain, fir aage baat karenge un dono par... Tu daur aur main chain se tujhe khinch lungi...
Nischal haami bharte huye daura. Wah na dikhne wali hi gati thi, aur Nischal ke daur shuru hote hi, bina der kiye poori line aise chipki, jaise ek bartan ke pichhe dusra bartan ghusa dete hai aur charo ore se dhaal ka cover bana liya...
Matr fraction second me Nischal unse aadhe km ki doori par tha aur utni hi ekagrta se Serin apna dhyan lagaye hui thi. Nischal ke gati me chhanik parivartan hua aur agle hi pal Nischal chain se khincha hua Serin ke pass...
Serin:- Un logon ne apna bomb istamal nahi kiya...
Nischal:- Charo ore jarvattam buti ki bu aa rahi hai…
Serin, hairani se.… "Jarvattam buti"…
Nischal:- Haan Jarvattam buti... Dard to deti hai lekin nuksan nahi... Shayad hume dard de'kar dhyan bhatkane ki kosis kar rahe ho...
Serin:- Aur uske bomb ka kya, jiski aasanka jatayi thi...
Nischal:- Jarvattam buti se kisi ko maar nahi sakte, kisi ko kharoch nahi de sakte... Siway dard ke wo kuchh nahi de sakta... Matlab saaf tha ki wo chal rahe yuddh me hume dard de taki dhyan bhatke.... Tange huye bomb ko hath nahi lagaye, matlab hathiyaro ke prayog ko bhi sikhaya gaya hai... Koi ghabraya nahi, balki apne tej gati se kewal wo poori line sealed kiye the. Poori katar apne upar, tej daur ke sath dhakka lene ko taiyar thi....
Serin:- Iska matlab yadi tu inke dimag me ghusta hai to ho sakta hai kosika me tootne wala koi vansaj tumhare achet sharir ke ander ghus jaye...
Nischal:- Nah ye log taiyari naag-dansh ko dhyan me rakh'kar kiye hain... Yadi naag dansh ke prabhavi kshetr se main apne kalpnik sharir ko bahar nikala, aisi soorat me kya karenge, ye uski taiyari kar'ke aaye honge...
Serin:- Kaisi taiyari...
Nischal:- Mere achet hote hi shayad naag-dansh ke prabhav ko khatm kar dena...
Serin:- Hahaha... Ye hui na baat... Aise bekar ke sainikon se lad'kar kuchh bore si ho gayi thi... Chunauti ye hoti hai... iss poori tukdi par hum "sanyukt niti (joint attack plan)" se humla karenge...
Nischal:- Soch le copy master dikhti hai ye sena. Inke pass mere jaisi gati bhi hai... Formation change karte der na lagegi.… Sharir par tanga bomb dekh, ho na ho kuchh to khatarnak natural chij uske ander pack hogi... Gati copy, regular ladne wale hathiyar aur taknik ki jaankari, vayumandaliya aavran ka bhi tod nischit taur par hoga hi...
Serin:- Kewal iss talvar ko chhod'kar, humare hathiyar ke bare me kise nahi pata... Aur kisi ke pass talvar hai, to
uss hathiyar ke bare me pata kya karna mera bhai, katenge hi uss se.. kaun sa jamin khod'kar kheti karenge??… Haan humare regular moves unhe pata hai jo humare hathiyar ko khatarnak banate hain... To kya wakai hume unhi chand moves se ladna aata hai kya???
"Kitni formation copy karenge… hum random formation lenge... Pahle 1 se 8 ke koi bhi. Dobara samjha rahi hun, kewal 1 se 8 formation hi istamal hoga. Bich me koi aur istamal kiya to main uske liye taiyar na rahungi.. 1 se 8 formation, straight aur reverse, dono policy... Speed, accurecy aur body language, jo bachpan se sikhte aur karte aa rahe hain..
Bhai Mai na dene ka revo Apan ke Bs ki na hai jb 2-3 bar acche se padhunga tb jo samajh me aayega de dunga abhi to aisa dimag ka ghumaya hai mere ko chakkar aa gya Apan abhi apna hath khade kr rha hai
Aise aise idea aapko aate kaha se hai meri fat ke 4 ho gyi hai
Bs itna hi kahunga I am speechless...