Update 25
Dekhte dekhte samay beet raha tha aur board exams ab kareeb aa chuke the, exam ka timetale aa chukka tha aur apni puri gang ekdum se neend se jag gayi thi, kyuki bhale hi aap saal bhar kitni bhi masti kar le par jab exam aati hai to kitabo ki hi yaad aati hai, avinash aniket aur komal ki ye khas baat thi, teeno bhale hi saal bhar kuch na padhe par exam ke pehle ka ek mahina man maar ke hi sahi padhte jaroor the, aur padhai bhi sab sath karte the aur is waqt bhi sab sath baith ke padh rahe the..
Sab sath padh rahe the aur sab matloab inke sath shravni bhi thi to charo sath the aur padhte padhte achanak avinash ko hasi aa gayi aur wo has diya jisse aniket komal aur shravni ka concentration tut gaya aur komal boli
Komal-teko kya hua aise achanak daat kyu nikal raha?
Avinash- kuch nahi bas aise hi 
Komal-hasa to hasa ab batane me bhi bhav kha raha hai, abe bata na aisa kya ho gaya jo tu hasa?
Avinash-arey kuch nahi meko wo suman aur aniket ka kissa yaad aa gaya
Suman aur aniket ka naam sunte hi shravni ke kaan khade ho gaye…aur idhar avinash haste huye bata raha tha
Avinash-main wo scene imagne kar raha tha jab suman ne ise gale lagaya tha.. tab iski kya halat huyi hogi 
Itna bol ke avinash komal ko tali deke jor se hasne laga aur aniket ne apna matha pit liya aur idhar avinash ki baat sunkar shravni ko charso challis volt ka jhatka laga..
Shravni-kyaaa..? suman ne aniket k hug kiya tha….?
Ab avinash ke dhyan me aa gaya tha ke jo nahi bolna chahiye tha wo wo bol gaya tha aura b bol hi diya hai to avinash baat sambhalte huye bola
Avinash-hug matlab… aise hi… bas paas aayi ti wo aur kuch nahi..
Par shravni bhadak gayi thi
Shravni-ye sab kya hai aniket..?
Aniket ne baithe baithe hi avinash ko lath mari.. aur bola
Aniket-abey haramkhor aadmi.. muh khola ki baas marega
hajar baar bola hai thjobda band rakha kar par sun liya to tere baap ki estate chali jayegi na sale narad muni laga di na aag
Aur idhar shravni aur bhadak gayi
Shravni-unhhe kuch kyu keh rahe hai aap aniket, unka bola hua dikh gaya par khud ke gun nahi dikhe aapko
Aniket-arey tum samajh rahi ho waisa kuch nahi hai
Par shravni kuch samajhne ke liye tayar hi nahi thi..
Shravni-mujhe kuch nahi sunna bas aap itna batao ki aapne hug kiya ya nahi?
Aniket-meri baat suno shravni faltu me dimag me gussa mat lao
Shravni-ha ya na?
Aur ab jab aniket ko koi dusra rasta nahi mila to wo bola
Aniket-ha..
Aniket ke muh se haa sunkar mano waha jwalamukhi ka visfot hua ho shravni itna bhadak gayi aur gussa itna jyada tha ke usne sikha aniket ke kaan ne niche rakh di ek aur boli
Shravni- jara bhi sharam nahi aati na ha bolte huye
Avinet ne kuch kehne ki koshish ki par shravni kuch sunne ke mood me hi nahi thi
Shravni-aap manmauji ho theek hai maskhare ko masti majak karte ho theek hai par aisa charitraheen vartan main bilkul bardasht nahi karngi..
Itna bol ke shravni ne apni kitabe bag me bhari aur waha se jane lagi.. aniket uske piche piche use samjhate huye jane laga aur jate jate avinash ko do char galiya bhi deta gaya ( ye ladke ladki kea ate hi itne chutiya kyu ho jate hai
)
Idhar aniket ke jane ke baad do minute tak shanti rahi, avinash aur komal ko jo hua uspar yakin hi nahi ho raha tha, thode samay baad avinash wapis hasa aur use dekh ke komal bhi hasne lagi
Komal-ek number ka halkat hai tu avi..
Tab avinash ekdum masum chehra karte huye bola
Avinash-maine kya kiya
Komal-kya kiya.! Kya jarurat thi ye baat abhi chhedne ki wo bhi shravni ke saamne..
Avinash-arey maine to aise hi bola tha par kya solid padi na anya ko
Dono fir se hasne lage fir komal boli
Komal-jaanbujh ke bola na tu?
Jispar avinash ne sidha sidha hao bol diya
Komal-kyu jhagda karwana chahta hai dono ka?
Avinash-main kaha jhagda laga raha hu main to ye bata raha hu ke wo chiran anya ke liye sahi nahi hai 
Komal-kyu uska pyaar usse chin raha hai?
Avinash-apna pyaar sambhalna sabka apna kaam hai..
Komal-isiliye to tu jhagda karwa raha hai
Avinash-sidha bolunga to anya sunega?
Komal-ti tumhe nahi lagta ki tum un dono ke beech galat fehmi tayar kar rahe ho
Avinash-prem ka aadhar saundrya nahi vishwas hai main bas ye sabit kar raha hu, aur jaha vishwas hai waha mere jaise dus log bhi kuch bol de na to kuch fark nahi panda chahiye
Komal-ye sab mere liye kar raha hai na?
Avinash-bilkul nahi, anya ko uska saccha pyaar mile isliye..
Komal-shravni ka bhi to pyaar hai
Avinash-vishwas nahi hai aur ye bagair viashwas ka nata kab tak tikega? Upper se gussa bahut hai aur gusse me humk sabse pehle unhe khote hai jo hamare sabse karib hote hai..pyaar karna aasan hai nibhana mushkil..
Komal-to tune kiya hai kisi se pyaar
Avinash-shadi nahi huyi meri par barate bahut dekhi hai, abhi tak koi aisi aayi nahi jindagi me, aayi to tumhe jarur bataunga
Komal-bahut lucky hogi wo
Avinash-wo samay batayega
Komal-kaisi ladki chahiye?
Avinash-aisi jo mere ghar ko swarg banaye gharwalo ko swargwasi nahi
Komal-par please unke beech jhagda mat karwa
Avinash-fir tumhe tumhara pyaar kaise milega
Komal-dusre ki kabar pe main apna ghar kaise banau?
Komal ke is sawal ka avinash ke paas jawab nahi tha isiliye wo baat badalte huye bola
Avinash-shravni sach me ani se pyaar karti haiis mamle me mujhe thoda doubt hai, mujhe lagta hai jis tarah se ani ne use propose kiya wo na nahi keh saki aur ise pyaar samajh baithi
Komal-par sach to ye hai ke ani bhi use pasand karta hai
Avinash-aur sach to ye bhi hai ke tum bhi ani ko chahti ho, kitna difference hai na, unke swabhav alag hai vishwas bilkul nahi hai aur yaha tum, koi bandhan nahi fir bhi purn vishwas
Komal-avi please mere liye aisa kuch mat karo jisse tumme aur aniket ke duriya aaye…
Avinash-agar mere dur hone se tum dono paas aane wale ho to main jara bhi nahi sochunga komal..
Komal-aur tumhe lagta hai main itni swarthi hu?
Avinash-kyu nahi?
Komal-jane do chhodo ye bate aur avi tu na jaisa dikha hai waisa nahi hai
Jispar avi avi daat nikalne laga
Aur idhar aniket shravni ko samjha raha tha
Aniket-shravni ruko to meri baat to suno
Aur shravni aur bhi chidhte huye boli
Shravni-jitna sun liya hai kafi hai aur sunne ki meri bilkul icha nahi hai
Aniket shravni ka rasta rokte huye bola
Aniket-shravni main sirf aur sirf tumse pyaar karta hu..wo halkat ne tumhe bas adhi adhuri baat batayi hai aur tum bhi kamal ho yaar sidhe thappad laga diya, mujhe bas do minute do uske baad jo tum bologi wahi hoga
Shravni kuch boli nahi par ruk gayi, uske baad aniket ne use pura kissa bataya
Aniket-agar ab bhi yakin na ho to tumhari kasam kha ke bolta hu ke main jo bataya wo pura sach hai..
Ab shravni ka gussa thoda shant hua
Shravni-wo hamesha aisa karti hai pehle bhi canteen me usne tumhe dear kaha tha mujhe ye sab bilkul pasan nahi hai wada karo aap suman se kabhi nahi miloge aur agar mile to dur rahoge
Aniket-theek hai baba dur rahunga, khush?
Shravni-nahi
Aniket-to ek dairy milk de deta hu fir khush?
Shravni-nahi
Aniket-to ab kya gana gau?
Shravni- kuch keh nahi sakte
Fir aniket ne shravni ka hath pakad ke use apne karib liya aur gana gane laga (ek aur chutiya karkat
)
Aniket-
Ruth na jana tumse kahu to
Main in aankhon me jo rahu to
Tum ye jano, ya na jano
Tum ye mano, ya na mano
Mere jaisa deewana tum paoge nahi
Yaad karoge main jo nah u to
Ruth na jana tumse kahu to…
Aniket ka gana sunkar sravni muskura di
Aniket-arey ladki hasi to fasi…