• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Main Wapas Aawungi..............(A Suspense Thiller Story)

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Update- 09 (B) (Megha Update)

" bahadur...............ye 26 ka chaakar meri samajh mein nahin aa raha...................kuch to raaz chupa hua hain in numberion ke peechay................aakhir ye 26 number ho kya sakta hain...............yahan bhi laash ka number 26...............tumhare hisab se agar wahan koi rooh hain bhi to wo kyon logon ko alag alag tarike se maar rahi...................jahan tak maine suna hain ki rooh ek hi tarike se logon ko marti hain...............

dusara sawal...............kahin us 26 number se wo rooh humein is baat ka to ishara nahin kar rahi thi ki agla jo maut hua tha wo 26 number ke laash ne unhein mara hain......................ya unhi sab ki wajah se..............26 to kisi ki umra bhi ho sakti hain.............26 us jagah se kisi jagah ki doori bhi............26 koi bank ya locker ka number bhi........sala dimag ghoomakar rakh diya hain is case ne...............agar ye maut ka silsila yu hi chalta raha to police ki badnaami bahut jald honi shuru ho jayegi...............is liye humein jald se jald koi thosh kadam uthana padega............." aur vinod lumbi saans chodhta hua apni baat khatam karta hain wahin bahadur bhi apne soch mein doobta chala jata hain..........

bahadur issey pehle kuch kehta.................tabhi vinod ka mobile baj uthatha hain..................vinod fauran apne jeb se mobile phone nikalta hain aur samney usey us doctor brijnarayan ka number nazar aane lagta hain..................

" kya baat hain doctor saheb......................postmortem ki report aa gayi kya!!!!!" aur vinod cigar ke dhuwon ko fir chota hua dheere se bol padta hain wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain............

" haan aa to gayi hain.................magar main aapko is waqt koi bhi baat phone par nahin bata sakta...............aapko agar janana ho to aap fauran mere phorensic lab par chale aaiye.................main aapko sab kuch detail mein samjha bhi dunga aur........ dikha bhi doonga................" aur itna kehta hua brij fir apna phone cutt kar deta hain wahin vinod apni car leta hain aur fir fauran us doctor se milney uske lab ki taraf chal padta hain...........

*****************************************************************

kamrey mein is waqt gehri khamoshi chayi hui thi...........na hi vinod kuch bol raha tha aur na hi bahadur.......aur na hi samney baitha hua wo doctor.............haan samney bed par 4 laashein rakhi hui thi................jo kal ke hue us ghatna ko fir se ujagar kar rahi thi..................

" in laashon ko dekh rahe ho na inspector...................aab jo main tumhein batane jaa raha hoon usey sunakar tumhare hosh udd jayengey....................kyon ki jo inke saath hua hain wo kisi normal insaan ka kaam to ho hi nahin sakta.................." aur brij itna kehkar fir se chup ho jata hain wahin vinod taktaki lagaye brij ke chehrey ko dekhney lagta hain..............wahin bahadur bhi baitha hua chup chaap se us doctor ko dekhey jaa raha tha....

" kal hue jawed aur moin ki mautein ki wajah sirf ye dono hain.....................in dono ne hi inhein mara hain........aab tum chahe yakeen karo ya na karo..............magar ye sach Hain........." aur brij itna kehta hua fauran apni kursi se uth jata hain aur ek ek kar un laashon ke mooh aur haath par se us kafan ko hataney lagta hain.............wahin vinod aur bahadur bhi uske peechay peechay chal padte hain...................wahin vinod ka chehra is waqt dekhney layak tha...............wo fati hui aankhon se brij ke chehrey ko bade ajeeb dhang se ghoor raha tha...........

" what do you mean..........!!!! ye aap kya bak rahein hain doctor.................bhala kya kabhi koi laash kisi insaan ka katal kar sakti hain................its impossible.................kahin aisa bhi to ho sakta hain ki aapki ye report galat ho..........................." aur vinod ke chehrey par hairani ke badal fir se umad padte hain.............wo bade gaur se brij ke chehrey ko ghoorey jaa raha tha..............

" tumhara kehna sahi hain inspector......................aisa ho sakta hain ki meri banayi report galat ho................magar kya ek hi report ko baar baar test karney par kya same result nahin aayega...........ofcourse aayega.................agar sare tests sahi ho to.........................ismein fir shaq ki koi gunjayish nahin............" aur brij agey badhta hua un sare report ko vinod ke haathon mein fir thama deta hain wahin vinod bade gaur se un sare reports ko ek ek kar padhney lagta hain...........poorey reports ko dekhney ke baad uske chehrey ka rang jaise feeka padh jata hain...............

" ye dekh rahe ho in do laashon ke haathon ko.................aur is ladki ko bhi dhyaan se dekho...............is ladki par lage haathon ke nishan inhi dono ke hain.............ji ladki ko inke jism mein ghopa gaya...........aur fir unhein mara gaya..........................main janta hoon ki aisi baateion par vishwaas karna bahut muskhil hain magar ye sach hain.......jaise bhi ho magar kal raat wahan Jo kuch hua kuch waise hi tha...................." aur brij apne sare tarkh rakhta hua apni baat khatam karta hain wahin vinod ke chehrey ka rang uda hua sa nazar aata hain.................

" magar................aisa ho nahin sakta................." aur vinod ka maatha poori tarah se ghoom jata hain.......wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain..........

" ek cheez aur.................ye dekho inke pet aur peeth ke hisson ko..............jo poori tarah se kale padh gaye hain.................ander se.............aur bahar se bhi............aise kale nishan moin ke pet aur peeth par bhi hain jaise jawed ke hain.................yani ki inka dil bhi ander se jalaya gaya hain..................magar is case mein thodi asamaanta hain...............inke marney ke baad jaise inka dil jalaya gaya tha............balki abdul wale case mein uski maut dil ke jal jane se hui thi...............bus yehi difference hain....................aur inke blood ke sample se ye bhi pata chala hain ki inki maut ka dusara wajah zyada matra mein drugs lene se hui.............aur us waqt tum hi kaho ki inke paas itni aadhik matra mein drugs kahan se aayi.............

nahin jante naa....................main batata hoon tumhein.................in laashon ke zariye..................kyon aur kaise.................ye to bus upar wala hi janta hain..............sach kehta hoon aise cases ke postmortem report banakar to mera bhi dimag ander se hil gaya hain..................jin cheezon ko doctors nahin maantey aab mujhe bhi aisi cheezon par vishwaas karna padh raha hain....................." aur brij lumbi saans chodhta hua taktaki lagaye vinod ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain...............wahin vinod ke chehrey ka rang feeka padh chuka tha...................usey khud samajh mein nahin aa raha tha ki wo aab kya bole............

magar jo bhi tha................jaisa bhi tha................aab vinod apne badhaye hue kadam peechay nahin karna chahta tha.........anjaam chahe jo bhi ho..............jaisa bhi ho.........itne salon ki naukari mein aab tak usney apni poorey carrier mein na hi aisa case pehle kabhi suna tha..............aur na hi kabhi dekha tha....................usey to yakeen nahin ho raha tha ki wo is case ko kahan se fir chanbeen kare....................jo bhi wo idea laga raha tha sab uske iradon par jaise pani fir jata..............case jahan ka taha tha...................aab tak usey ek bhi safalta nahin mili thi.........mili thi to bus un lashon ke saudagar ke bare mein.................

raat ke 12baj rahe they........................aab un chaar laashon ko fir se paas ke ek chote se morgue room mein shift kar diya gaya tha aur..............mohanlal jis morgue ko chalata tha usey seal kar diya gaya tha..............aur uski chabi aab vinod ke paas thi....................us chote se kamrey mein sirf wahi 4 laashein rakhi hui thi...............is waqt wahan ghanghor andhera tha..............bahar ek choti si bulb jal rahi thi.................jissey bahut kum ujala nazar aa raha tha............

tabhi us morgue room mein ek hulchal hui....................moin jo is waqt laash ki tarah pada hua tha achanak se uski ek ungli dheere se hilney lagi............tabhi thode der baad jawed ke jism mein bhi hulchal hone lagi........................aur uski bhi ungli ek ek kar hilney lagi................achnak ek tezz gurhaahat ke saath pehle moin apni jagah se uthkaar us bed par baith gaya...................aur fir thode der baad jawed bhi usi andaaz mein uthkar baith gaya..................aur dono ek dusare ki taraf dekhtey hue fir dheere se muskura pade.....................................

Till Continued.................................................................
 
Last edited:

Ajaykumar82

Time & Tide Waits For None
2,753
9,227
159
Index updated..........................
 
Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,520
244
Update- 09 (A) (Megha Update)

aisa lagta hain mujhe is mohanlal se bahut jald mulakaat karni padegi.................usi se milney ke baad aur bhi sare raaz se paarda uthega................" aur vinod fir se apne soch mein doobata chala jata hain dekhna tha ki aane wale waqt ko aagey kya manzoor tha......................

Ab Aage............................................

Vinod bhale hi khamosh tha magar uski nazrein aabhi bhi ram singh par hi jami hui thi...................wo uske jawabon ka intezar kar raha tha magar ram singh shayad apna mooh nahin kholna chahta tha............aur kholta bhi kaise..................uske dil mein mohanlal ka durr jo baitha hua tha...................

" mujhe tumhara jawab chahiye ram singh..................wey log in laashon ko aakhir kahan le jate hain..................koi to aisi jagah hogi jahan ye sab gair kanooni kaam zor shor se chalta hoga.............." aur vinod gussey se fir ram singh ke chehrey ko ghoorney lagta hain wahin ram singh is baar vinod ke samney apne dono haathon ko jod leta hain................aur jawab mein apna sir naa mein hila deta hain...........

" main sach kehta hoon saheb..............main issey aagey aur kuch nahin janta..............jitna main janta tha utna main aapko bata chuka hoon..............aap mera vishwaas kijiye...............aur mujhe yahan se aab jane dijiye..............aagey se main kabhi aisa koi galat kaam nahin karunga............." aur ram singh vinod ke samney fir se faryaad karney lagta hain wahin vinod bade gaur se ram singh ke chehrey ko ek tuk ghoorey jaa raha tha...............kuch der tak vinod khamosh rehta hain fir wo bahadur ki taraf dekhta hua dheere se hans padta hain..........

" theek hain barkhurdaar...............tum agar kehtey ho to main tumhari in baateion ko sach maan leta hoon..................aab tum poori tarah se azaad ho.............tum chahe to yahan se aab jaa sakte ho..............magar tum aab yahan dubara dikhogey nahin.............." aur vinod ram singh ke kandhon par apne haath rakhta hua uski taraf dekhkar dheere se musukra padta hain wahin samney khada bahadur bade gaur se vinod ke chehrey ko dekhney lagta hain............usey bahut ajeeb sa lag raha tha vinod ke aise badle hue tewar ko dekhkar............

" saheb.....................aap aise kaise ram singh ko jane de sakte hain...........ye bhi utna hi gunehgar hain jitne wey log.............." aur bahadur ko jab raha nahin jata tab wo apne dil ki baat jubaan par laa deta hain wahin vinod uski taraf dekhta hua dheere se muskura padta hain..........

" tumhari baat sahi hain bahadur.................ye gunehgaar hain..............magar jab insaan sudharney ki koshish kare tab usey saza nahin balki uska hausla badhana chahiye ki wo aab dubara se kabhi galat raaste par na jaye................" aur vinod ram singh ki taraf dekhta hua dheere se hans padta hain wahin ram singh ke chehrey par aaye khauff aur durr pal bhar mein gayab ho jate hain............aur wo bhi jawab mein dheere se hans padta hain........

" thankyou sir ji........................main aapse vaada karta hoon ki main aagey se kabhi aisa koi kaam nahin karunga.................." aur ram singh itna kehta hua wahan se khushi khushi chala jata hain wahin bahadur ko aab vinod ke us rawaiye par gussa aane laga tha.............vinod bhale hi uska senior tha to kya hua magar aaj uske dil mein vinod ke prati wo izzat thodi kum zaroor ho gayi thi..............aur hoti bhi kyon na .........wo bhi aab gunehgaaron ka saath dene laga tha...........

" saheb.................ye aapne ram singh ko aise chodhkar theek nahin kiya................wo bhi barabur ka gunehgaar tha..............." aur bahadur dheere se apni baat khatam karta hain wahin vinod uski taraf dekhta hua fir se muskura deta hain...................

" lagta hain bahadur ki tumne mujhe aab tak theek se nahin pehchana..................wo kya hain na police wale agar kuch hutkar na sochey to wo katil ko kabhi pakad hi nahin sakte..............kyon ki kaatil humesha unse do kadam aagey ki sochta hain............agar humein unhein pakadna ho to humein unse char kadam aagey ki soch rakhkar chalna padega...................." aur vinod fir se apne mooh mein cigar rakhta hain aur usey jalatey hue bahadur ki taraf bade gaur se dekhney lagta hain..............wahin bahar ke chehrey par hairani aur sawalon ke badal saaf nazar aa rahe they..............

" matlab..............main kuch samjha nahin sir.............aap kehna kya chahtey hain................." aur bahadur apne sir par lage topi ko sahi karte hue fir dheere se bol padta hain..........

" tum nahin samjhogey barkhurdaar.........chalo main tumhein samjha deta hoon...............agar main ram singh ko is waqt giraftaar kar leta to wo bhale hi kitna bhi maar khata magar wo apne maalik ke saath kabhi gaddari nahin karta.............wo kyon.............pata hain..............kyon ki mohanlaal usey paise hi nahin deta............balki wo un paison se uske gharwalon ko bhi dekh rekh karta hain..............aur jahan ram singh apna mooh kholta..............mohanlal ram singh ke parivaar walon ko zaroor kuch na kuch karta.............jissey ram singh ander hi ander toot jata............aur uske dil mein mohanlal ke prati durr humesha bana rehta.......

ek baat aur..................hum dushman ko usi ke waar se maarengey................aur tum yehi soch rahe ho na ki maine ram singh ko aise kyon jane diya............chalo main tumhare sare sawalon ka jawab de deta hoon..............

pehli baat.............ki humne is morgue room ko seal kar diya..............jissey ram singh ke rozi roti par laat pad gayi...............do chaar dus dinon mein usey paison ki zaaroorat padhney hi wali hain.......................agar usey kahin se paise nahin mile to wo mohanlaal se contact zaroor karega.......chahe direct.............ya indirect.............

itna to tay hain ki wo aaj bhale hi chup baith jaye magar wo mohanlaal se contact karney ki kabhi na kabhi to koshish zaroor karega.................aur mujhe to lagta hain ki uske paas un doctors ke bhi numbers hongey jinhein wo laashein supply karwaya karta hain...........usi ke zariye hum un logon tak aasani se pahunch bhi jayengey..........maine tumse pehle hi kaha tha bahadur ki is ram singh par ek aadmi laga do.........uski nigrani ke liye..................aur fir iska phone tab karo...................wo kissey milta hain..............

kahan jata hain.......kya karta hain..............uski phone ki sari calls ki record mujhe chahiye..............aakhir main bhi dekhta hoon ki wo kab tak meri nazreion se bachta hain.......uske baad to ye sab log jail ke salakhon ke peechay hongey......................" aur viond jaise apne dil ki sari baat bahadur ko batata chala jata hain wahin bahadur ki aaankhon mein dubaraa se chamak aa jati hain..............

jitni galatfehmi aabhi wo kuch der pehle apne saheb ke bare mein usney pal rakhi thi aab sari galatfehmi uski door ho gayi thi..............ek baar fir se uske chehrey par muskaan thi............magar viond aab bhi apne khyalon mein khoya hua tha...............

" kya hua saheb........aab aap kis soch mein doob gaye.............." aur bahadur fir se bol padta hain wahin viond cigar ke dhuweyin chodhta hua aagey kehna shuu karta hain...........

Continue..................................................................
Awesome Updatee

Vinod ne bahot achha socha hai Mohanlal aur uske gairr kanooni dhandhe ko khatam karne ke liye. Dekhte hai yeh kitna successfully execute hota hai.
 
Jaguaar

Well-Known Member
17,679
61,520
244
Update- 09 (B) (Megha Update)

" bahadur...............ye 26 ka chaakar meri samajh mein nahin aa raha...................kuch to raaz chupa hua hain in numberion ke peechay................aakhir ye 26 number ho kya sakta hain...............yahan bhi laash ka number 26...............tumhare hisab se agar wahan koi rooh hain bhi to wo kyon logon ko alag alag tarike se maar rahi...................jahan tak maine suna hain ki rooh ek hi tarike se logon ko marti hain...............

dusara sawal...............kahin us 26 number se wo rooh humein is baat ka to ishara nahin kar rahi thi ki agla jo maut hua tha wo 26 number ke laash ne unhein mara hain......................ya unhi sab ki wajah se..............26 to kisi ki umra bhi ho sakti hain.............26 us jagah se kisi jagah ki doori bhi............26 koi bank ya locker ka number bhi........sala dimag ghoomakar rakh diya hain is case ne...............agar ye maut ka silsila yu hi chaala raha to police ki badnaaami bahut jald honi shuru ho jayegi...............is liye humein jlad se jald koi thosh kadam uthana padega............." aurvinod lumbi saans chodhta hua apni baat khatam karta hain wahin bahadur bhi apne soch mein doobta chala jata hain..........

bahadur issey pehle kuch kehta.................tabhi viond ka mobile baj uthatha hain..................vinod fauran apne jeb se mobile phone nikalta hain aur samney usey us doctor brijnarayan ka number nazar aane lagta hain..................

" kya baat hain doctor saheb......................postmortem ki report aa gayi kya!!!!!" aur vinod cigar ki dhuwon ko fir chota hua dheere se bol padta hain wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain............

" haan aa to gayi hain.................magar main aapko is waqt koi bhi baat phone par nahin bata sakta...............aapko agar janana ho to aap fauran mere phorensic lab par chale aaiye.................main aapko sab kuch detail mein samjha bhi dunga aur dikha bhi doonga................" aur itna kehta hua brij fir apn phone cutt kar deta hain wahin vinod apni car leta hain aur fir fauran us doctor se milney uske lab ki taraf chal padta hain...........

*****************************************************************

kamrey mein is waqt gehri khamoshi chayi hui thi...........na hi viond kuch bol raha tha aur na hi bahadur.......aur na hi samney baitha hua wo doctor.............haan samney bed par 4 laashein rakhi hui thi................jo kal ke hue us ghatna ko fir se zaahir kar rahi thi..................

" in laashon ko dekh rahe ho inspector...................aab jo main tumhein batane jaa raha hoon usey sunakar tumhare hosh udd jayengey....................kyon ki jo inke saath hua hain wo kisi normal insaan ka kaam ho hi nahin sakta.................." aur brij itna kehkar fir se chup ho jata hain wahin vinod taktaki lagaye brij ke chehrey ko dekhney lagta hain..............wahin bahadur bhi baitha hua chup chaap se us doctor ko dekhey jaa raha tha....

" kal hue jawed aur moin ki mautein ki wajah sirf ye dono hain.....................in dono ne hi inhein mara hain........aab tum chahe yakeen karo ya na karo................" aur brij itna kehta hua fauran apni kursi se uth jata hain aur ek ek kar un laashon ke mooh aur haath par se us kafan ko hataney lagta hain.............wahin vinod aur bahadur bhi uske peechay peechay chal padte hain...................wahin vinod ka chehra is waqt dekhney layak tha...............wo fati hui aankhon se vbrij ke chehreey ko bade ajeeb dhang se ghoor raha tha...........

" what do you mean..........!!!! ye aap kya bak rahein hain doctor.................bhala kya kabhi koi laash kisi insaan ka katal kar sakti hain................its impossible.................kahin aisa bhi to ho sakta hain ki aapki ye report galat ho..........................." aur vinod ke chehrey par hairani ke badal fir se umad padte hain.............wo bade ggaur se brij ke chehrey ko ghoorey jaa raha tha..............

" tumhara kehna sahi hain inspector......................aisa ho sakta hain ki meri banayi report galat ho................magar kya ek hi report ko baar baar test karney par kya same resultt nahin aayega...........ofcourse aayega.................agar sare tests sahi ho to.........................ismein fir shaq ki koi gunjayish nahin............" aur brij agey badhta hua un sare report ko vinod ke haathon mein fir thama deta hain wahin vinod bade gaur se un sare reports ko ek ek kar padhney lagta hain...........poorey reports ko dekhney ke baad uske chehrey ka rang jaise feeka padh jata hain...............

" ye dekh rahe ho in do laashon ke haathon ko.................aur is ladki ko bhi dhyaan se dekho...............is ladki par lage haathon ke nishan inhi dono ke hain.............ji ladki ko inke jism mein ghopa gaya...........aur fir unhein mara gaya..........................main janta hoon ki aisi baateion par vishwaaas karna bahut muskhil hain magar ye sach hain.......jaise bhi ho magar kal raat hua kuch waise hi tha...................." aur brij apne sare tarkh rakhta hua apni baat khatam karta hain wahin vinod ke chehrey ka rang uda hua sa nazar aata hain.................

" magar................aisa ho nahin sakta................." aur vinod ka maatha poori tarah se ghoom jata hain.......wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain..........

" ek cheez aur.................ye dekho inke pet aur peeth ke hisson ko..............jo poori tarah se kale padh gaye hain.................ander se.............aur bahar se bhi............aise kale nishan moin ke pet aur peeth par bhi hain jaise jawed ke hain.................yani ki inka dil bhi ander se jalaya gaya hain..................magar is case mein thodi asamaanta hain...............inke marney ke baad jaise inka dil jalaya gaya tha............balki abdul wale case mein uski maut dil ke jal jane se hui thi...............bus yehi difference hain....................aur inke blood ke sample se ye bhi pata chala hain ki inki maut ka dusara wajah zyada matra mein drugs lene se hui.............aur us waqt tum hi kaho ki inke paas itni aadhik matra mein drugs kahan se aya.............

nahin jante naa....................main batata hoon tumhein.................in laashon ke zariye..................kyon aur kaise.................ye to bus upar wala hi janta hain..............sach kehta hoon aise cases ke postmortem report banakar to mera bhi dimag ander se hil gaya hain..................jin cheezon ko doctors nahin maantey aab mujhe bhi aisi cheezon par vishwaas karna padh raha hain....................." aur brij lumbi saans chodhta hua taktaki lagaye viond ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain...............wahin vinod ke chehrey ka rang feeka padh chuka tha...................usey khud samajh mein nahin aa raha tha ki wo aab kya bole............

magar jo bhi tha................jaisa bhi tha................aab vinod apne badhaye hue kadam peechay nahin karna chahta tha.........anjaam chahe jo bhi ho..............jaisa bhi ho.........itne salon ki naukari mein aab tak usney apni poorey carrier mein na hi aisa case pehle kabhi suna tha..............aur na hi kabhi dekha tha....................usey to yakeen nahin ho raha tha ki wo is case ko kahan se fir chanbeen kare....................jo bhi wo idea laga raha tha sab uske iradon par jaise pani fir jata..............case jahan ka taha tha...................aab tak usey ek bhi safaalta nahin mili thi.........mili thi to bus un lashon ke saudar ke bare mein.................

*****************************************************************

raat ke 12baj rahe they........................aab un chaar laashon ko fir se paas ke ek chote se morgue room mein shift kar diya gaya tha aur..............mohanlal jis morgue ko chalata tha usey seal kar diya gaya tha..............aur uski chabi aab vinod ke paas thi....................us chote se kamrey mein sirf wahi 4 laashein rakhi hui thi...............is waqt wahan ghanghor andhera tha..............bahar ek choti si bulb jal rahi thi.................jissey bahut kum ujala nazar aa raha tha............

tabhi us morgue room mein ek hulchal hui....................moin jo is waqt laash ki tarah pada hua tha achanak se uski ek ungli dheere se hilney lagi............tabhi thode der baad jawed ke jism mein bhi hulchal hone lagi........................aur uski bhi ungli ek ek kar hilney lagi................achnak ek tezz gurhaahat ke saath pehle moin apni jagah se uthkaar us bed par baith gaya...................aur fir thode der baad jawed bhi usi andaaz mein uthkar baith gaya..................aur dono ek dusare ki taraf dekhtey hue fir dheere se muskura pade.....................................

Till Continued.................................................................
Superb Updateee

Ab kya woh rooh inki laasho ke saath kuch karegi. Dekhte hai aage kya hota hai Moin aur Jawed ki laasho ke saath
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
47,371
64,352
304
नौवाँ भाग (अ)
बहुत ही जबरदस्त और शानदार।।
लाख पूछने पर भी रामसिंह ने मोहनलाल के नाम के अलावा अपना मुँह नहीं खोला। रामसिंह को डर था कि उसके मुंह खोलने पर उसका या उसके परिवार को नुकसान पहुंचा सकता है।। ये बात सही भी है। जो भी गलत कामों में लगे होते हैं वो अपने गुर्गों के दम पर उछलते हैं और उनका परिवार हमेशा बॉस के निशाने पर रहता है। अगर पुलिस ने पकड़ भी लिया तो भी परिवार की जान की सलामती के लिए मुंह नहीं खोलते गुर्गे।।
विनोद के सामने रामसिंह ने हाथ जोड़ लिए। तो विनोद ने रामसिंह को जाने दिया। विनोद के ऐसा करने से बहादुर नाराज़ हो गया। लेकिन विनोद ने बहुत दूर की सोचकर ये कदम उठाया था। विनोद को पता था कि रामसिंह आज नहीं तो कल मोहन लाल और उन डॉक्टरों से जरूर सम्पर्क करेगा तब उन्हें वो पकड़ सकता है। जब अपनी मंशा विनोद ने बहादुर को बताई तो बाहर भी विनोद के दिमाग की दाद दिए बिना नहीं रह सका। लेकिन कुछ तो ऐसा जरूर है जो विनोद को सोचने पर मजबूर कर रहा है।।
 
Mahi Maurya

Dil Se Dil Tak
Supreme
47,371
64,352
304
नौवाँ भाग (ब)
बहुत ही जबरदस्त और लाजवाब।।
विनोद 26 के आंकड़े को लेकर परेशान है। उसे लगता है कि वो जो भी रूह है उसे कुछ संकेत दे रही है इस नम्बर के जरिये,लेकिन वो संकेत क्या था ये समझ से परे था विनोद के। उम्र, दूरी, मकान नम्बर या फिर महज एक अंक। विनोद इसी में उलझ कर रह गया था। तभी डॉक्टर ब्रिज ने विनोद के अपनी लैब में बुलाया।
डॉक्टर ब्रिज के मुताबिक मोइन और जावेद का कत्ल इन दो लाशों ने किया था,क्योंकि उनके शरीर पर घोपी गई लकड़ी के गुटके पर दोनों लाशों की उंगलियों के निशान थे। विनोद का चौकने स्वाभाविक था। क्योंकि बात चौकने वाली ही थी। अगर आप किसी से बोल दो की आपने लाश को चलते हुए देखा है तो कौन भरोसा करेगा। लोग पागल समझेंगे।। डॉक्टर भी रिपोर्ट बनाते बनाते पागल से हो गया। रात में एक नया धमाका हो गया कि मोइन और जावेद जो मर चुके थे और उनकी लाशें एक कमरे में बंद करके रखी गई थी वो दोनों उठकर बैठ गए।।
कहानी बहुत ही रोमांचक और बेहतरीन होती जा रही है। साथ में दिममग का दही बनना भी शुरू हो गया है।। देखते हैं आगे क्या होने वाला है।
 
Moon Light

Prime
29,931
28,165
304
Update 09 (A)

Vinod ne Ram singh se puchne ki koshish ki uske bare me aur kya janta h pr usne kuch bhi na janne ki bat khi... vinod bhi torture nhi krna chahta tha Ramsingh ko uski wajah bhi thi... isliye use chhod deta h...
.

Bahadur ka yu ascharyachakit hona bhi thik hi hai... aakhir kaise kisi mujrim ko ese hi chhod sakte hain... parantu jab vinod iske peeche ki wajah btata hai tb Bahadur ke chehre pr chamak aa jati hai...
 
Last edited:

Moon Light

Prime
29,931
28,165
304
Update 09 (B)

Ramsingh ke jane ke bad Vinod morgue room ko seal krke ho rhi hatyao ke bare me sochne lgta hai ki tbhi uske phone ki ghanti bajti hai.... wo phone ko uthata h jo ki dr. ka tha wo use lab me aane ko kahta hai...
.
lab jakar jo bat dr. btata hai usse vinod hi kya koi bhi aascharyachakit ho sakta hai... moin aur jawed ka katl unhi do dead bodies ne kiya.... aur iska prman tha lakdi... ( apne ladki likha hai me confuse ho gyi thi )
.
lakdi pr unhi lasho ke hatho ke nishan the.. ye bat un sbhi ko pret atmao me vishwas krne ke liye majbur kr deti hain...
.
Rat 12 bje lab me wahi 4 lashe rkhi hui thi... aur fir thodi der bad Moin air Jawed ki lashe uth kr baith jati hai...
.
Brilliant Update :yourock:

Ab jawed aur moin ko lekar mohanlal ke pas jayegi ye lash... aur fir usse maje lengi 😂😂
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update- 09 (A) (Megha Update)

aisa lagta hain mujhe is mohanlal se bahut jald mulakaat karni padegi.................usi se milney ke baad aur bhi sare raaz se paarda uthega................" aur vinod fir se apne soch mein doobata chala jata hain dekhna tha ki aane wale waqt ko aagey kya manzoor tha......................

Ab Aage............................................

Vinod bhale hi khamosh tha magar uski nazrein aabhi bhi ram singh par hi jami hui thi...................wo uske jawabon ka intezar kar raha tha magar ram singh shayad apna mooh nahin kholna chahta tha............aur kholta bhi kaise..................uske dil mein mohanlal ka durr jo baitha hua tha...................

" mujhe tumhara jawab chahiye ram singh..................wey log in laashon ko aakhir kahan le jate hain..................koi to aisi jagah hogi jahan ye sab gair kanooni kaam zor shor se chalta hoga.............." aur vinod gussey se fir ram singh ke chehrey ko ghoorney lagta hain wahin ram singh is baar vinod ke samney apne dono haathon ko jod leta hain................aur jawab mein apna sir naa mein hila deta hain...........

" main sach kehta hoon saheb..............main issey aagey aur kuch nahin janta..............jitna main janta tha utna main aapko bata chuka hoon..............aap mera vishwaas kijiye...............aur mujhe yahan se aab jane dijiye..............aagey se main kabhi aisa koi galat kaam nahin karunga............." aur ram singh vinod ke samney fir se faryaad karney lagta hain wahin vinod bade gaur se ram singh ke chehrey ko ek tuk ghoorey jaa raha tha...............kuch der tak vinod khamosh rehta hain fir wo bahadur ki taraf dekhta hua dheere se hans padta hain..........

" theek hain barkhurdaar...............tum agar kehtey ho to main tumhari in baateion ko sach maan leta hoon..................aab tum poori tarah se azaad ho.............tum chahe to yahan se aab jaa sakte ho..............magar tum aab yahan dubara dikhogey nahin.............." aur vinod ram singh ke kandhon par apne haath rakhta hua uski taraf dekhkar dheere se musukra padta hain wahin samney khada bahadur bade gaur se vinod ke chehrey ko dekhney lagta hain............usey bahut ajeeb sa lag raha tha vinod ke aise badle hue tewar ko dekhkar............

" saheb.....................aap aise kaise ram singh ko jane de sakte hain...........ye bhi utna hi gunehgar hain jitne wey log.............." aur bahadur ko jab raha nahin jata tab wo apne dil ki baat jubaan par laa deta hain wahin vinod uski taraf dekhta hua dheere se muskura padta hain..........

" tumhari baat sahi hain bahadur.................ye gunehgaar hain..............magar jab insaan sudharney ki koshish kare tab usey saza nahin balki uska hausla badhana chahiye ki wo aab dubara se kabhi galat raaste par na jaye................" aur vinod ram singh ki taraf dekhta hua dheere se hans padta hain wahin ram singh ke chehrey par aaye khauff aur durr pal bhar mein gayab ho jate hain............aur wo bhi jawab mein dheere se hans padta hain........

" thankyou sir ji........................main aapse vaada karta hoon ki main aagey se kabhi aisa koi kaam nahin karunga.................." aur ram singh itna kehta hua wahan se khushi khushi chala jata hain wahin bahadur ko aab vinod ke us rawaiye par gussa aane laga tha.............vinod bhale hi uska senior tha to kya hua magar aaj uske dil mein vinod ke prati wo izzat thodi kum zaroor ho gayi thi..............aur hoti bhi kyon na .........wo bhi aab gunehgaaron ka saath dene laga tha...........

" saheb.................ye aapne ram singh ko aise chodhkar theek nahin kiya................wo bhi barabur ka gunehgaar tha..............." aur bahadur dheere se apni baat khatam karta hain wahin vinod uski taraf dekhta hua fir se muskura deta hain...................

" lagta hain bahadur ki tumne mujhe aab tak theek se nahin pehchana..................wo kya hain na police wale agar kuch hutkar na sochey to wo katil ko kabhi pakad hi nahin sakte..............kyon ki kaatil humesha unse do kadam aagey ki sochta hain............agar humein unhein pakadna ho to humein unse char kadam aagey ki soch rakhkar chalna padega...................." aur vinod fir se apne mooh mein cigar rakhta hain aur usey jalatey hue bahadur ki taraf bade gaur se dekhney lagta hain..............wahin bahar ke chehrey par hairani aur sawalon ke badal saaf nazar aa rahe they..............

" matlab..............main kuch samjha nahin sir.............aap kehna kya chahtey hain................." aur bahadur apne sir par lage topi ko sahi karte hue fir dheere se bol padta hain..........

" tum nahin samjhogey barkhurdaar.........chalo main tumhein samjha deta hoon...............agar main ram singh ko is waqt giraftaar kar leta to wo bhale hi kitna bhi maar khata magar wo apne maalik ke saath kabhi gaddari nahin karta.............wo kyon.............pata hain..............kyon ki mohanlaal usey paise hi nahin deta............balki wo un paison se uske gharwalon ko bhi dekh rekh karta hain..............aur jahan ram singh apna mooh kholta..............mohanlal ram singh ke parivaar walon ko zaroor kuch na kuch karta.............jissey ram singh ander hi ander toot jata............aur uske dil mein mohanlal ke prati durr humesha bana rehta.......

ek baat aur..................hum dushman ko usi ke waar se maarengey................aur tum yehi soch rahe ho na ki maine ram singh ko aise kyon jane diya............chalo main tumhare sare sawalon ka jawab de deta hoon..............

pehli baat.............ki humne is morgue room ko seal kar diya..............jissey ram singh ke rozi roti par laat pad gayi...............do chaar dus dinon mein usey paison ki zaaroorat padhney hi wali hain.......................agar usey kahin se paise nahin mile to wo mohanlaal se contact zaroor karega.......chahe direct.............ya indirect.............

itna to tay hain ki wo aaj bhale hi chup baith jaye magar wo mohanlaal se contact karney ki kabhi na kabhi to koshish zaroor karega.................aur mujhe to lagta hain ki uske paas un doctors ke bhi numbers hongey jinhein wo laashein supply karwaya karta hain...........usi ke zariye hum un logon tak aasani se pahunch bhi jayengey..........maine tumse pehle hi kaha tha bahadur ki is ram singh par ek aadmi laga do.........uski nigrani ke liye..................aur fir iska phone tab karo...................wo kissey milta hain..............

kahan jata hain.......kya karta hain..............uski phone ki sari calls ki record mujhe chahiye..............aakhir main bhi dekhta hoon ki wo kab tak meri nazreion se bachta hain.......uske baad to ye sab log jail ke salakhon ke peechay hongey......................" aur viond jaise apne dil ki sari baat bahadur ko batata chala jata hain wahin bahadur ki aaankhon mein dubaraa se chamak aa jati hain..............

jitni galatfehmi aabhi wo kuch der pehle apne saheb ke bare mein usney pal rakhi thi aab sari galatfehmi uski door ho gayi thi..............ek baar fir se uske chehrey par muskaan thi............magar Vinod aab bhi apne khyalon mein khoya hua tha...............

" kya hua saheb........aab aap kis soch mein doob gaye.............." aur bahadur fir se bol padta hain wahin vinod cigar ke dhuweyin chodhta hua aagey kehna shuu karta hain...........

Continue..................................................................
Vinod sach mein kaafi tez dimag wala hai aur sath hi kaafi tajurbekar, talented aur sahi samay par sahi vichar karne ki kshamta bhi rakhta hai... wo ye baat bhali bhaanti samajh gaya tha ki ram singh muh nahi kholne wala... apne boss logo ke bare aur kuch nahi batana wala... isliye ek alag chaal chhal diya usne... dusman ke is ram signh naam ke mohre ke jariye dusmanon tak pahunchne ka raasta dhund liya... isliye shudharne ke bahane ram singh yun hi chhod diya taaki jab ye jaake apne boss mohan lal ya usse jude ki vyakti ko contact kare.... aur Vinod iske jariye evidence mile mohan lal ke khilaf..
Kaafi door ki soch ke chaal chhali hai..

Khair update kaafi dilchasp tha aur sath hi kirdaaro ki bhumika bhi...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,350
304
Update- 09 (B) (Megha Update)

" bahadur...............ye 26 ka chaakar meri samajh mein nahin aa raha...................kuch to raaz chupa hua hain in numberion ke peechay................aakhir ye 26 number ho kya sakta hain...............yahan bhi laash ka number 26...............tumhare hisab se agar wahan koi rooh hain bhi to wo kyon logon ko alag alag tarike se maar rahi...................jahan tak maine suna hain ki rooh ek hi tarike se logon ko marti hain...............

dusara sawal...............kahin us 26 number se wo rooh humein is baat ka to ishara nahin kar rahi thi ki agla jo maut hua tha wo 26 number ke laash ne unhein mara hain......................ya unhi sab ki wajah se..............26 to kisi ki umra bhi ho sakti hain.............26 us jagah se kisi jagah ki doori bhi............26 koi bank ya locker ka number bhi........sala dimag ghoomakar rakh diya hain is case ne...............agar ye maut ka silsila yu hi chalta raha to police ki badnaami bahut jald honi shuru ho jayegi...............is liye humein jald se jald koi thosh kadam uthana padega............." aur vinod lumbi saans chodhta hua apni baat khatam karta hain wahin bahadur bhi apne soch mein doobta chala jata hain..........

bahadur issey pehle kuch kehta.................tabhi vinod ka mobile baj uthatha hain..................vinod fauran apne jeb se mobile phone nikalta hain aur samney usey us doctor brijnarayan ka number nazar aane lagta hain..................

" kya baat hain doctor saheb......................postmortem ki report aa gayi kya!!!!!" aur vinod cigar ke dhuwon ko fir chota hua dheere se bol padta hain wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain............

" haan aa to gayi hain.................magar main aapko is waqt koi bhi baat phone par nahin bata sakta...............aapko agar janana ho to aap fauran mere phorensic lab par chale aaiye.................main aapko sab kuch detail mein samjha bhi dunga aur........ dikha bhi doonga................" aur itna kehta hua brij fir apna phone cutt kar deta hain wahin vinod apni car leta hain aur fir fauran us doctor se milney uske lab ki taraf chal padta hain...........

*****************************************************************

kamrey mein is waqt gehri khamoshi chayi hui thi...........na hi vinod kuch bol raha tha aur na hi bahadur.......aur na hi samney baitha hua wo doctor.............haan samney bed par 4 laashein rakhi hui thi................jo kal ke hue us ghatna ko fir se ujagar kar rahi thi..................

" in laashon ko dekh rahe ho na inspector...................aab jo main tumhein batane jaa raha hoon usey sunakar tumhare hosh udd jayengey....................kyon ki jo inke saath hua hain wo kisi normal insaan ka kaam to ho hi nahin sakta.................." aur brij itna kehkar fir se chup ho jata hain wahin vinod taktaki lagaye brij ke chehrey ko dekhney lagta hain..............wahin bahadur bhi baitha hua chup chaap se us doctor ko dekhey jaa raha tha....

" kal hue jawed aur moin ki mautein ki wajah sirf ye dono hain.....................in dono ne hi inhein mara hain........aab tum chahe yakeen karo ya na karo..............magar ye sach Hain........." aur brij itna kehta hua fauran apni kursi se uth jata hain aur ek ek kar un laashon ke mooh aur haath par se us kafan ko hataney lagta hain.............wahin vinod aur bahadur bhi uske peechay peechay chal padte hain...................wahin vinod ka chehra is waqt dekhney layak tha...............wo fati hui aankhon se brij ke chehrey ko bade ajeeb dhang se ghoor raha tha...........

" what do you mean..........!!!! ye aap kya bak rahein hain doctor.................bhala kya kabhi koi laash kisi insaan ka katal kar sakti hain................its impossible.................kahin aisa bhi to ho sakta hain ki aapki ye report galat ho..........................." aur vinod ke chehrey par hairani ke badal fir se umad padte hain.............wo bade gaur se brij ke chehrey ko ghoorey jaa raha tha..............

" tumhara kehna sahi hain inspector......................aisa ho sakta hain ki meri banayi report galat ho................magar kya ek hi report ko baar baar test karney par kya same result nahin aayega...........ofcourse aayega.................agar sare tests sahi ho to.........................ismein fir shaq ki koi gunjayish nahin............" aur brij agey badhta hua un sare report ko vinod ke haathon mein fir thama deta hain wahin vinod bade gaur se un sare reports ko ek ek kar padhney lagta hain...........poorey reports ko dekhney ke baad uske chehrey ka rang jaise feeka padh jata hain...............

" ye dekh rahe ho in do laashon ke haathon ko.................aur is ladki ko bhi dhyaan se dekho...............is ladki par lage haathon ke nishan inhi dono ke hain.............ji ladki ko inke jism mein ghopa gaya...........aur fir unhein mara gaya..........................main janta hoon ki aisi baateion par vishwaas karna bahut muskhil hain magar ye sach hain.......jaise bhi ho magar kal raat wahan Jo kuch hua kuch waise hi tha...................." aur brij apne sare tarkh rakhta hua apni baat khatam karta hain wahin vinod ke chehrey ka rang uda hua sa nazar aata hain.................

" magar................aisa ho nahin sakta................." aur vinod ka maatha poori tarah se ghoom jata hain.......wahin brij fir aagey kehna shuru karta hain..........

" ek cheez aur.................ye dekho inke pet aur peeth ke hisson ko..............jo poori tarah se kale padh gaye hain.................ander se.............aur bahar se bhi............aise kale nishan moin ke pet aur peeth par bhi hain jaise jawed ke hain.................yani ki inka dil bhi ander se jalaya gaya hain..................magar is case mein thodi asamaanta hain...............inke marney ke baad jaise inka dil jalaya gaya tha............balki abdul wale case mein uski maut dil ke jal jane se hui thi...............bus yehi difference hain....................aur inke blood ke sample se ye bhi pata chala hain ki inki maut ka dusara wajah zyada matra mein drugs lene se hui.............aur us waqt tum hi kaho ki inke paas itni aadhik matra mein drugs kahan se aayi.............

nahin jante naa....................main batata hoon tumhein.................in laashon ke zariye..................kyon aur kaise.................ye to bus upar wala hi janta hain..............sach kehta hoon aise cases ke postmortem report banakar to mera bhi dimag ander se hil gaya hain..................jin cheezon ko doctors nahin maantey aab mujhe bhi aisi cheezon par vishwaas karna padh raha hain....................." aur brij lumbi saans chodhta hua taktaki lagaye vinod ke chehrey ki taraf dekhney lagta hain...............wahin vinod ke chehrey ka rang feeka padh chuka tha...................usey khud samajh mein nahin aa raha tha ki wo aab kya bole............

magar jo bhi tha................jaisa bhi tha................aab vinod apne badhaye hue kadam peechay nahin karna chahta tha.........anjaam chahe jo bhi ho..............jaisa bhi ho.........itne salon ki naukari mein aab tak usney apni poorey carrier mein na hi aisa case pehle kabhi suna tha..............aur na hi kabhi dekha tha....................usey to yakeen nahin ho raha tha ki wo is case ko kahan se fir chanbeen kare....................jo bhi wo idea laga raha tha sab uske iradon par jaise pani fir jata..............case jahan ka taha tha...................aab tak usey ek bhi safalta nahin mili thi.........mili thi to bus un lashon ke saudagar ke bare mein.................

*****************************************************************

raat ke 12baj rahe they........................aab un chaar laashon ko fir se paas ke ek chote se morgue room mein shift kar diya gaya tha aur..............mohanlal jis morgue ko chalata tha usey seal kar diya gaya tha..............aur uski chabi aab vinod ke paas thi....................us chote se kamrey mein sirf wahi 4 laashein rakhi hui thi...............is waqt wahan ghanghor andhera tha..............bahar ek choti si bulb jal rahi thi.................jissey bahut kum ujala nazar aa raha tha............

tabhi us morgue room mein ek hulchal hui....................moin jo is waqt laash ki tarah pada hua tha achanak se uski ek ungli dheere se hilney lagi............tabhi thode der baad jawed ke jism mein bhi hulchal hone lagi........................aur uski bhi ungli ek ek kar hilney lagi................achnak ek tezz gurhaahat ke saath pehle moin apni jagah se uthkaar us bed par baith gaya...................aur fir thode der baad jawed bhi usi andaaz mein uthkar baith gaya..................aur dono ek dusare ki taraf dekhtey hue fir dheere se muskura pade.....................................

Till Continued.................................................................
Shayad sakshi ki hatya mein 26 log ke hath the....
Well... kabhi kabhi kuch cheejen, kuch ghatanaye, kuch baatein viswash ke pare hote hai... koi log in baaton viswash bhi nahi karte... jaise paranormal activities... kuch log yakin karte hai to kayi log nahi...
Vinod bhi in sab activities pe naa viswash karne walo mein se ek hai.... isliye doctor dwara diye details ke baad bhi, ab bhi ushe lag raha hi ki kuch aur hi mystery hai in sab ke ke piche... upor se moin aur jawed ki postmortem report padh aur sun hairan padesaan ki wo aage badhe to kaise badhe..
Shayad ho na ho wo doctor bhi un baaton pe viswash karne pe majbur ho gaya ho jo medical science ke opposite hai...
Khair... Jo bhi ho lekin Vinod haar nahi maan'ne wala... koi na koi raah dhund hi lega wo...
Wohi dusri taraf shayad wo ruh us jungle se bahar aa gayi hai .. pehle un do laasho dwara jawed aur moin ko maut di... ab jawed aur moin ki laasho dwara next targe ka shikar karne wali hai Shayad... Lekin kisko maarne wali hai ye to aane wala waqt hi batayega...
Kahani mein kayi interesting twist aa rahe hai...

Top