Update-18(B) (Megha Update)
**************************************************************************************************
taarikh 20 june................2021.....................
Sakshi ki padhayi poori ho chuki thi...........................waise wo padney mein kafi tezz thi................padhayi mein shuru se uski ruchi rahi thi...................bachpan se lekar jawani tak usey nature ke bare mein jananey ka bahut shauk tha............ghoomna firna hills , nadiyan, jungle, aur jeev jantunwon ko dekhna un sab ke bare mein janana...........unpar research karna usey shuru se bahut bhata tha....................saath mein usey jasoosi ka bhi bahut shauk tha................t.v serials par aksar wo zyadatar jasoosi serials hi dekha karti thi.................is wajah se uski avni se kum banti thi................jab bhi dono t.v dekhney baith jati remote ko lekar dono aapsa mein jhagad jati........................
jahan sakshi ko discovery channels pasand they wahin avni ko t.v serials...................waise sakshi thi to badi behan magar wo avni ka bahut khyaal bhi rakhti thi...........jab wo 10 saal ki thi tabhi uske pita guzar gaye they..................cancer ki wajah se....................waise baap dada ki croredon ki jajaat thi unke paas.........to kisi cheez ki kami nahin thi...............
alishan bunglow tha rehney ko..........................jameen bahut they jissey anaaj ki paidawaar bahut hoti thi jissey ghar ka kharcha bade aaram se chal jata tha................kul mila julakar sakshi aur uska parivaar bade aaram se apni zindagi guzar raha tha..................sakshi ki jab padhayi poori hui to usey usey nature se related job karna chaha magar uske liye usey out of state ya country bhi jana padh sakta tha jo kavita ko ye manzoor nahin tha..............wo nahin chahti thi ki uski jawan aur khoobsurat beti ke saath kahin koi haadsa ho jaye..............wo usey ek pal akela nahin chodhna chahti thi.................
sakshi shuru se natkhat aur khule vicharon wali ladki thi...........khoobsurati ke saath saath wo heplful nature ki bhi thi..................humesha wo kisi na kisi ki madad bhi kar diya karti.........kisi bhookhey ko khana khila deti.............uske isi nature ki wajah se usey kafi log behad pasand karte they.................kuch din baad uski press reporter mein as a assistant ki job lagi................halanki usey ye job pasand to nahin tha magar ismein usey ghoomney firney ki poori azadi thi is wajah se wo ye job shauk se join kar li...........................
taman duniya ki news ki khabar wo idher se udher ikaathey karti aur saath hi saath sabki pol bhi khol deti...............is wajah se wo logon ke beech charchit to rahi magar uske isi nature se kuch log uske dushman bhi bante chale gaye.......................
" beti...........................ye job mujhe aacha nahin lag raha..................tu kuch aur job kyon nahin kar leti..............din bhar tu ek ek khabar ke liye idher se udher bhatatki rehti hain................sara din tera bhaaga daudi mein hi nikal jata hain..............tu kabhi aaram bhi kar liya kar....................dekh apni ye halat...................din ba din patli hoti jaa rahi hain...................." aur kavita sakshi ko taaney marti hui dheere se bol padi wahin sakshi bura sa mooh banati hui api maa ko ghoorney lagi.................
" kya maa .............aap bhi..............koi ek kaam dhang ka mujhe karney hi nahin deti...................badi mushkil se to ye job mila hain aab ismein bhi aapko dikkat hone lagi................mere pasand ki job aapne mujhe nahin karne di to maine aapse kuch kaha.................nahin naa......................kum se kum khabar ke bahane mujhe ghoomney firney ko to mil hi jata hain...............mere liye yehi bahut hain................." aur sakshi apne baat par zor dete hue haule se bol padti hain wahin kavita fir se bolney lagti hain.............
" aacha...............aacha...........to ye sab tere ghoomney firney ke bahaney hain...........tu ruk jaa...............main tere liye koi aacha sa rishta dekhkar tere haath peelay kar deti hoon.........fir dekhti hoon ki tu kitna ghoomti firti hain...............jab sasural mein rahegi tab tere akal thikaney aa jayengey...................." aur kavita taaney marti hui dusare kamrey mein jane lagti hain wahin sashi peechay se daudti hui aati hain aur apni maa ko kaskar pakad leti hain jissey kavita girte girte bal bal bachti hain..............
" main kahin nahin jane wali..........na is ghar se.......aur na hi aapse door.....................main bhi dekhti hoon ki kaun meri shadi karata hain.............." aur sakshi apni aankhein gol gol nachati hui haule se bol padti hain wahin kavita na chahtey hue bhi dheere se muskura deti hain................
samay aise hi guzarta gaya aur sab log apne parivaar mein bahut khus they....................na kisi ko kisi baat ki kami thi aur na koi shikwa gila.............aise hi ek din....................
" maa....................ho sake to aaj mujhe ghar aane mein der ho jayegi.................mere saath ke kuch log aaj picnic jaa rahe hain to main bhi un sab ke saath wahan jaa rahi hoon.............aap khana time se kha lena............aur mera intezar mutt karna...............avni ko bhi bol dena ki wo time se khana kha legi.............." aur sakshi bina apni maa ki baat sune seedha ghar se bahar nikal jati hain wahin kavita apne sir par haath rakhti hui sakshi ki taraf dekhkar muskura deti hain..............
" ye ladki na....................kabhi nahin sudhregi......jab dekho humesha apne wali hi karti hain..............main to tang aa gayi hoon issey...................." aur kavita paas mein rakhe nashtey ke plate ko uthathi hui seeedha kitchen mein jati hui badbandey lagti hain wahin avni nahakar school jane ki taiyaari mein thi................
waise to sakshi ke paas scooty thi to wo har roz avni ko school drop kar deti thi magar aaj jaldibazi ki wajah se wo usey nahin lekar gayi thi is wajah se avni thoda sakshi par chid gayi thi............sakshi ke jaate hi wo bura sa mooh bana leti hain..................
"isey to humesha kaam ki jaldi padi rehti hain.........aane do shaam ko batati hoon usey..............." aur avni school ke dress pehanti hui badbadaney lagti hain wahin kavita usey dekhti hui dheere se bol padti hain.........
" aab bol ke kya faydaa..............jab wo tere samney rehti hain to tere mooh se awaaz nikalti nahin......aur uske jaate hi tu bhi shuru ho jati hain..............pata nahin tum dono ka ye jhagdaa kab khatam hoga.........." aur kavita apne kaam mein jutt jati hain...................dekhna tha ki un sab ki zindagi mein kaun sa mod aane wala tha......................................
To Be Continued.........................................................