• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
Last edited:

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
nice update ..ek baat achchi lagi ki ajay ne saare paise maa ke haath me de diye apni pehli kamai ke😍..
aajkal aise ladke bahut kam hi milenge jo maa baap se darte ho aur unki ijjat bhi karte ho .
halwai ne 5 min bolke ghante bhar rok liya aur baadme ghar bhej diya jaha pe nisha se mulakat ho gayi ,nisha bhi bahut chalu ladki nikli jisme 10th ke baad hi bhagkar shadi kar li 😁..
aur ab ajay se aisa kya kaam pada ki number le liya aur mithai ke paise bhi lene se mana kar rahi thi 🤔..

didi ko saari khabar hai ajay ki ,aur soniya ke baare me bhi pata hai .
papa ne aur didi ne padhai ko lekar sahi salaah di ajay ko .
Thanks for big words :hug: keep motivating me to write better :writing:
 

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
majedar update ..chacha to mashahur hai bank me bhi jisse manager ne ajay ke batane par jhatse cheque ko cash kara diya .
aur ye rajan ke dukan par bra aur panty kiske liye kharid raha tha ajay 🤣..
rajan ke baap ko aise ghumaya ki rajan ko bhi classes join karne ko keh diya uske baap ne .
pehli class hi boaring aur class se out kara diya ajay ko par bahar ek nayi dost bhi mil gayi renu ,renu ke behaviour se wo ek khush mijaj ladki hai aisa lagta hai ,bullet chalana ,ajay ke liye ghadi bhi kharidi .aur aakhri me number bhi le liya .

ye rajan ka vikas ke saath kya lafda hua tha jisse in dono ka saal kharab ho gaya 🤔..

diskha se notes lene pahucha par diksha kuch aur hi maje kar rahi thi apne ghar me aisa lagta hai aur ajay ko rishwat me ek kiss bhi de di gaal pe jisse wo didi ko kuch na bataye .
Ajay dukan me bas maje le raha tha salesgirl ke :listen: Vikas ke sath lafda aage wale chapter me ayega.
 

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
brilliant story bas iss story Mey hero randiyon Kay sath zayada involve hojaye aur hero ko chuddakar kism ki auratian aur larkiyan hi Pasand hon
Mushkil he ye par dekhenge :( hero nahi to aur sahi ,kisi ka to scene banega ,akele hero ke paas he thodi lund he :D
 

Thakur

असला हम भी रखते है पहलवान 😼
Prime
3,422
6,932
159
Update 5



Me : thik se baith na tu

Ashwini : tu gaadi chala late kar raha he tu .



Mene bhi socha iske muh na lago to he behtar he fir gaadi halwai ke dukaan ki taraf mod di .



To be continued …



Ab aage

Dukaan me gaye to waha galle pe (counter pe) Nisha khadi thi aur ek nokar mithai box me bhar ke laga raha tha.

Me : Nisha seth ji kidhar he ?

Nisha : Wo aaj ghar me he ruke he ,tabiyat kharab he unki ,tum batao kya khaoge tum aur Ashwini tuze kya chahiye ?

Ashwini tapak se boli : 7000rs chahiye

Mene use ghura to wo smile dene lagi ,udhar nisha confuse khadi thi….

Mene baat sambhalte hue kaha : wo 7000 rs lene the Shambhu chacha ke seth ji se ,uske liye aaye the

Nisha : ohh ,me bata deti hu fir unko ..

Usne nikar ko awaj di aur ghar bheja paise laane ke liye,uske jaate he boli ,

Nisha : Tu wasuli bhi karne laga ab hehehe

Uske sath Ashwini bhi hasne lagi muz pe

(hum 3no ek he school ke ek he class wale the isliye wo dono achhi dost thi ,mera kya me to apne nalle dosto ki toli wala tha :D)

Me : uda le majak tu bhi Nisha din tere he iske sath he , aur tera wo pati kidhar gaya tuze idhar chhod ke ?

Nisha ka muh meri bat sun ke utar gaya to Ashwini ne muze chapat mari sir pe …

Ashwini : tu ye samosa kha aur chup ,tum ladko ko ghanta kuchh malum nahi hota aur bol ke nikal jate ho fir samne wale bhavnao ko thes lage ya jale ,kyu ?

Nisha : Ashwini chup na tu ,use kyu bol rahi he uski thodi na koi galti he .

Ashwini : Ajay tu ja udhar Hiraman gende ke pas aur baki paisa leke aa ,muze nisha se akele me baat karni he .

Me : thik he.

Me waha se nikala aur dusre halwai ke dukaan chala gaya .

Hiraman halwai ka yaha pe naya tha ,uski dukaan baju ke gaon me thi to usne kuchh kaarano ke chalte pichhle saal he wo yaha shift kar di aur ghar pariwar samet yaha rehne aa gaya. Naya hone ke karan iska yaha dhanda abhi thik se jama nahi he isliye shayad paise liye honge . Shop naya naya he aur Chandimal seth ke mukable posh he par fir bhi customers kam he .

Me : Namaste seth ji kaisa chal raha dhanda aapka ?

H Seth : Are aao beta ,tum Harish babu ke ladke ho na ?

Me : Han ji par Pehelwan chacha ke kaam se aaya hu ,aapki 10,000 rupaye ki udhari lene .

H seth : Unhone tumhe kyu bheja ? (Wo shak se dekhne laga jo lajmi tha .)

Me : Malum tha aap puchhoge ,lijiye phone laga raha hu chacha ko baat kijiye .

Mene chacha se phone lagaya aur speaker par rakha .

Chacha : hello Ajay ,kya hua waha ? sab thik he na ke firse paisa nahi de rahe he ye halwai ?

Me : Are nahi chacha ,bas wo Hiraman seth se bat karani thi to phone kiya , seth ji lijiye baat kijiye .

Seth ne apna pasina pochhte hue phone hath me liya ,

H seth : Ha nahi wo me use dene he wala tha paise bas aapki tabiyat bhi puchhni thi,ji bas deta hu abhi .

Fir usne call cut kar ke mobile muze deke kaha,

H Seth : Ye lo paise ,pure das hajaar he ,aur beta maaf karna muze laga koi aise he aaya hoga chutiya banane to bas confirm kiya ,sorry ha beta.

Me : Koi na seth ji,chalta hu me .



Ab seth ko chacha ne kya bola ye to wahi jaane isliye me bhi bike leke petrol pump ki side gaya ,tanki bhar ke pump ke bahar he nikla tha ke ek car muze cut maar ke andar gayi , maine jaise taise balance banaya ,sala nayi car he to kya uda he daloge BC :angry:

Car thoda aage jake ruki to pichhe ki seat se ek aadmi aur aurat meri taraf aaye. Wo aadmi kahi jaana pehchana sa lag raha tha .

Aadmi : Sorry beta lagi to nahi na tum ko..

Fir mere pas aaya aur muze gaur se dekhne laga .

Aadmi : Tum Harish ke bete ho na ? sorry beta ,Nilu abhi abhi gaadi chalana sikh rahi he to lag gayi .

Me : Aap kon he uncle ? mene dekha sa lag raha he par yaad nahi aa raha kaha dekha he.

Aurat : 4 saal dikhe he to yaad kaise hoga . Kher papa se kehna Vijay singh aur Namrata bhabhi ne yaad kiya he aur Haweli bulaya he,hum bhi ayenge aapke ghar abhi.



( Quick intro :-

Hardayal singh : Age 70, Local party ke district president he ,pehle kai baar MLA reh chuke he par ab yah kingmaker ka kaam karte he party ke liye, Gaon me chaudhary ne kai saal tak sarpanch post ke panga kiya aur Chaudhary kai baar sarpanch bhi raha par ab nahi he . Hamare gaon ke sabse raees aur ameer wyakti he ye ,gaon ke bahar he inki pushtaini purani haweli he aur usi ke aaspas ki 70 acre ke aaspas jameen bhi he. Inki patni ka kai saal pehle swargwaas ho chuka he . 2 bete he inke .

Vijayraj Singh : Bada beta ,age 45 . Ye apne pita ki tarah politics wala he par sath me industrial minded bhi he ,isi ke chalte arabo rupaye kamata he jo ye jaha chahe jaise chahe laga sakta he (lagata hai). Politics me posts se jyada power ki value badi hoti he yahi soch rakh kar yah sirf shuruat me ek baar MLA bana ,fir baki logo ko chance de kar bhi khud upar uthata gaya. Nature se kaisa he kehna mushkil he ,kuchh logo ki maane to ye thande khun wala janwar he .

Namrata singh : Vijayraj ki patni,44. Housewife he par party related kaam bhi karti he,specially party workers ke bacho ke liye.

Nilam : Badi beti,Age 20 , Bsc. Kar rahi he Sheher2 me.

Mayur : Chhota beta,Age xx,10th standard me he ,boarding school me padhta he .



Dr. Ruturaj Singh : Hardayal ka Chhota beta, age 39 , Ye doctor he aur Sheher2 me he iska khud ka hospital he,wahi pe rehta he aur normally tyohar ke liye he aata he, politics se dur rehta he .

Dr. Falguni Singh : age 39 , Ruturaj ke sath usi hospital me kaam karti he . Ruturaj ke pita se jyada nahi jamti kyonki inhone love marrige ki par sabke samne se .

Ananya : Age xx, 11th standard me he.

)

Me : Ji sorry aunty me aapko nahi pehchana . OK me abhi chalta hu ,me babu ji se keh dunga.

Namrata : Arre ruko to jara ,Nilam bahar aao abhi isi waqt .

Fir driver wali side se ek ladki bahar aayi ,dikhne me almost meri he umar ki ,khubsurat sa lamba chehra ,ankho me goggle lagaya tha to ankhe nahi dikh rahi thi, figure model jaisa nahi par thik thak he lagi, Usne creamy white color ka top aur faint blue jeans pehni thi . Par is samay wo bohot me gusse me lagi.

Namrata : Nilam Sorry bolo Ajay ko abhi isi waqt .

Nilam: Par kyu ? Meri thodi na koi galti he ? wohi meri car ke samne aaya tha ,I’m not saying sorry to him.

Nilam bohot he gusse me thi.

Vijayraj : Tumhari car ? abhi aap chalana sikh rahi shehejadi saheba aur pehele he din ye haal he . Maafi mango inse ,ye mere dost ka beta he aur galti bhi tumhari he hai.

Nilam : No means no.

Fir wo aise he jake car ke backseat pe jake baith gayi.

Vijayraj : Sorry Ajay ,wo aaj gusse me he ,tum mind mat karna ,ok ?

Me : Koi nahi uncle ,chalo me bhi chalta hu class ke liye jana he,bye .

Vijayraj : Bye .



Me waha se aage badh gaya,pichhe Vijay aur Namrata reh gaye.



Namrata : Bohot bada ho gaya he Ajay ,kal he to dekha tha tab muzse bhi chhota tha aur aaj dekho aapke barabar ho gaya he .kyu ?

Vijay : Hmm badalaav he prakriti ka niyam he Namu ,chal Nilu ko manate he ,bechari bewajah bhadak gayi .

……



Mene bike Chandumal halwai ke dukan ke samne lagayi aur andar gaya.

Andar Nisha aur Ashwini abhi bhi baato me lage the ,Nisha ka mood ab sahi lag raha tha.

Ashwini : Mil gaye paise ya aise he aaye ?

Me : Ha ye le ,aur gappe laga liye ho to chal ,abhi tuze ghar chhodunga fir muze sheher1 bhi jana he.

Ashwini : Sheher1 me kyu ja raha tu ?

Me : Classes join kiye he aur ek kaam bhi he .

A : Achha sun ek kaam kar Nisha ko bhi sath leta ja ,use bhi kaam he udhar .

Ispar nisha ne uski chutki kaati.

A : Are ja na tu,aise he rahegi to fir baad me badh jayega .

Nisha : Me bus se chali jaungi ,use kyu pareshan kar rahi he .

Itne me ek ladka dukan me aaya aur sidha counter ki taraf gaya ,usko kahi pe dekha hua lag raha tha.

Ladka : 2000 rupaye de chal.

N : Abhi abhi to dukan khola he abhi kaha se paise ayenge.

Ladka : Dimag mat kha mc ,mene suraj ko dekha tha ghar se paise le jate time ,chal ab natak mat kar paise de jana he muze .

Itne me bahar se horn bajane ki awaj aayi ,bahar 2 bike wale baar-2 horn baja rahe the .

Ladka : Kyu naak katwa rahi he mere dosto ke samne saali ,ghar se paisa laane ka bola to wo bhi nahi laati ,idhar mere baap ka paisa manga to usme bhi kichkich.

Itne me Ashwini bich me boli,

A : Vinod Wo paisa hamare liye mangaye the usne ,udhari thi jo li he tumne .

(Vinod : Age 22 ,school me hamara senior tha,nisha ke sath bhag ke shadi ki ,Abhi koi kaam dhanda nahi karta ye)

Vinod : Ha to la idhar wo paisa .

Me : Udhar he khada reh be ,agar paisa he chahiye to kaam kar aur khud kama .

Vinod : Tuze to….

Uska ek dost andar aaya aur usko kuchh kaan me bol ke apne sath leke chala gaya, idhar Nisha wahi foot foot ke rone lagi ,Ashwini ne gale lagaya aur shant karne lagi.

A : sab thik ho jayega tu bass himmat rakh.

Me aise he dono ko dekh ke wahi khada raha ,aise bhi me kya karta is sab me.

A : tu kya dekh raha ,bike start kar me aati hu.

Me : Ha me bahar hu …

5 minute baad wo bahar aayi plain face ke sath aur mere pichhe baith gayi dono pair ek or kar ke.

A : Sun Ajay

Me : Ha bol,kya hua andar ?

A : andar ka nahi me jo bol rahi hu wo sun,Nisha ko ladies doctor he Sheher1 me jo Gynac he unke le jana aaj. Bohot jyada problem me he wo aur uske ghar me koi he bhi nahi jo ye samze .

Me : thik he ,par muze Tehsil bhi jana he ,fir classes me,muze sham ho jayegi aise to .

A : Uska checkup pehle kar,fir use gaon ke liye bus me bitha de, waise to udhar he uski Didi bhi rehti he to shayad wo waha bhi ruk jaye tere classes khatam hone tak. Thik he ?

Me : Ha thik he .

Hum tabtak uske ghar pohoch gaye.

Ashwini : Yahi ruko patidev ,me abhi aayi

Aur wo bhag ke andar gayi aur wapas aayi,

A : Muh band rakh be chirkut, din me sapne mat dekh aur ye paise rakhna ,Nisha ke pas kam honge ya nahi bhi honge to lagenge tuze.

Me : Paise rakh tu he ,aur plz ye majak karna band kar nahi to …

A (mera collar pakad ke ): Nahi to kya karega ? bol ?

Me : kuchh nahi meri maa chhod muze abhi jana he .

Uske collar chhodte he mene kick mar ke gaadi bhaga di …



To be continued…
 
Last edited:
Top