Luffy
Well-Known Member
- 7,017
- 29,197
- 218
Fantastic updateUPDATE:- 21
Harsh or manya hotel phochte hai pure raste dono ek dusre ka haath thame hue the
ridhi unka hi wait kar rhi thi or lovish so gya tha
ridhi(thoda naraz hote hue):- kitna time laga diya aap logo ne
Harsh:- acha baba sorry or ye lo
harsh uske liye chocolate leke aaya tha
ridhi:- aap bhi na bhai naraz bhi nhi rehene dete or chocolate le leti hai
harsh:- acha ab ye drama band karo or chalo so jaao kal hum log beach par ghumne jaaye
fir sab apne apne kamre mai aa jayege par manya kisi soch mai gum thi harsh usse piche se hug karte hue bolta hai
Harsh:- ab meri rajkumari kis soch mai pad gayi an toh unka rajkumar bhi unko mil gaya hai
manya:- aisa kuch ni tum mujhe ye batao ki tumne ridhi ko kya bola
Harsh:- maine kya bola usse
Manya:- jhuth mat bolo mujhse usne itni asani se sab baate maan kaise li
mujhe toh laga tha gusse se aag babula hogi wo
harsh:- acha.. maine usse jayada kuch nhi bola bas ye bataya diya ki mai uske liye bhabhi lene jaa rha hu
Manya bhabhi sunkar fir sarma jaati hai lekin fir harsh ko ghur kar dekhti hai
Harsh:- aare baba mazak kar rha hu maine usse bas itna bola ki tum mujhse naraz ho isliye tumhe manane ke liye le jaa rha hu or wo maan gyi
Manya:- ohh acha...
Manya fir kisi soch mai gum ho jaati hai
harsh:- ab kya sochne lagi
manya:- bas ye yehi kaash baki sab bhi ishi tarah samjh jaaye
harsh manya ko palta kar apni or karta hai
harsh:- tumhe mujh par Bharosa hai na
Manya haa mai gardan hilati hai
harsh:- bas fir tum or kisi cheez ki chinta mat karo sirf meri chitna karo
ye bol kar harsh uske hotho ki taraf badne lagta hai or unke hoth milne phele hi manya harsh ko jhatake se alag kar deti hai or hasti hui bathroom mai chali jaati hai
harsh bas uski iss harkat par muskura deta hai
tabhi usse yash ka phone aata hai
Yash:- or bhai kaisa rha tune manya ko apni dil ki baat batayi ki nhi
Harsh(udasi se ):- yaar batayi toh thi lekin ......
yash ko lagta hai manya ne mana kar diya isliye bolta hai
yash:- tu tension na le bhai sab koi nhi abhi mana kar diya toh kya hua yaha wapas aane ke baad hum koi or plan banayege dekhna maan hi jaayegi wo
harsh:- yaar mere wapas aane ke baad toh ab bas ek hi plan banayege ki...
yash:- ki...
harsh:- yehi ki shadi kaha karni hai
Bhai wo maan gyi (harsh khushi se chilate hue kheta hai )
yash bhi ye sunkar bhot khush jo jaata hai
yash:- wahh bhai maine bola tha na ki wo maan jayegi dekha na , mai tere liye bhot khush hu yaar
harsh:- haa yaar tu sahi kheta tha yaar or terko jitna thanks bolu kam hai tu nhi hota toh kaise ye sab hota
YAsh:- chal chal ab jayada mat bann
abhi baad mai baat karta hu
Ab tak manya bhi change karke aa chuki thi
Manya:- kisika call tha harsh or tum abhi thodi der phele chilaye kyu
harsh:- aare wo yash ka phone aaya tha toh mai usse bhi ye khush khabri dedi
manya:- whatt... Tum ne usse kya bola
harsh:- yehi ki ab manya ko bhabhi bolne ki aadat daal le
Manya(tension mai ):- harsh tumne usse sach mak bata diya kya
Harsh:- aare tum tension kyu le rhi ho usko ye sab phele se pata tha or aaj ke plan ke baare mai bhi
Manya shock rhe jaati hai
Manya:- acha toh unhone kya bola
harsh (mazak mai ):- bola ki bhai ki tu Goa mai or sath mai manya bhi hai toh manya ko bhabhi bana kar le kar aaiyo
manya jab harsh ki baat sunti hai toh sharama jaati hai or uske kandhe par marte hue kheti hai :- hatt gande kahi ke beshram hote jaa rhe ho bilkul
harsh:- acha ji ab hum gande ho gye chalo koi ni hume apni hit girlfriend sab baate manzoor hai
Manya:- acha jiii.. chalo ab jayada baate mat bano soo jao khafi late ho gya hai
harsh:- tumhare sath hu yaar toh neend kaise aayegi
MAnya harsh ko aankhe dikhate hue
harsh:- acha baba thik hai soo rha hu lekin ek shart hai meri
manya:- kya...
Harsh:- mai tumhare sath hu souga
Manya apne haath apni kamar par rakhte hue badi ada se bolti hai
manya:- nahi jii... Agar aapko sath sula liya toh aap koi na koi badmashi jarur karoge isliye aap sofe par or mai bed par
harsh:- acha toh aisi baat hai
harsh ye bolkar jaldi se bed par let jaata hai
harsh:- chalo fir tum sofe par soo jao or mai bed par soo jata hu
manya ko ek taraf thaka deti hai or apne liye bed par jagah banati hai
harsh usko aise dekh kar mazak mai darte hue bolta hai
harsh:- nhi aisa mat karo mujhe jaane do
Manya:- nhii jii ... Aaj toh mai tumhe kahi nhi jaane dungi
or itna bolkar wo harsh se lipat jaati hai or apne sir uske seene par rakh deti hai harsh bhi usse apne se lipata leta hai or uske baalon mai haath fairne lagta hai
Dono ko iss waqt ek alag hi sukoon mil rha tha manya harsh ki bahon mai khud ko kafi mehfuz Mehsus kar rhi thi or yehi harsh manya ko apni bahon mai pakar khud ko bhot khushkismat maan rha tha or manya ko har khushi dene ka khud se wada kar chuka tha
TO BE CONTINUED
STAY TUNED!!
AND GIVE YOUR REVIEWS
Short update ke liye sorry guys try karuga ki ek update aaj shyam ko nhi post karu![]()


For completed 50k views on your story thread...




