Margaret ne sach kaha vo daksh se do baar haar gyi hai to kya hua in do kaudi ke gunde criminals se Thodi haregi vo, use daksh ka yha vapas aakr use bachane aana Margaret ko accha lga pr org. Valo ke aa jane se ab daksh ko daud kr hi Jana padega...
In gundo ghochuo ke pass dimag nhi hai sale udta teer pichhvade me le liya, org. Valo ke helicopter pr firing karne lage Jisse salo ka thikana bhi pta Chal gya tha or Lagta hai sare mare bhi gye...
Daksh ne in gundo ko Pahle khud control kiya or fir unhe apas me bhadka kr ladva diya, Dekhte hai daksh ko us gufao me kuchh uske kaam ki chije milti hai ya nhi...
Daksh ne shimuna se baat ki Vo kisi dukhiyari mahila ke sarir me hai or uske sath ka majak masti mujhe accha lga, pr ye bahar sor kaisa ho rha hai, kya ho gya ab vha...
Superb update bhai sandar jabarjast lajvab amazing with awesome writing skills bhai
Episode:24
jis pahad par daksh aur margaret maujud the...
woh abadi se milon door tha. door door tak koi basti tak nahi thi. par wo area most wanted criminals ke chhupne ke liye best tha. margaret toh by chance hi us pahad par land hui thi. woh nahi janti thi, jis pahad par woh land hui ha. jis pahad par DK ko apne under lena ha. usi pahad ki gufaon me khatarnak gangster bhi rehte han. woh gufaen unka thikana thee. 50+ chinese, nipali, indian gangsers the.
helicopters ke aane par woh gufaon se bahar nikal pade the. pahad chhodi badi chatano se bhara hua tha.. woh chhupte chhupate hue upar chadne lage. ek jaga ruk kar woh upar ka nazara karne lage.
daksh aur margaret ki fight dekh kar woh dang reh gaye the.
unka ek leader tha. usne sabko ishara se rok diya tha. koi bhi kisi kisam ki koi harkat na kare. sab khamoshi se tamasha dekho aur uske agle order ka intezar karo. sabhi gangsters ke paas bhayankar hathiyar the. woh chahte toh door se hi daksh aur margaret ko shoot kar sakte the. par leader ko laga, firing karke bhi woh dono ko maar nahi sakega. dono ki fight dekh kar wo bohut kuch samjh gaya tha. jaan gaya tha dono bohut khatarnaak han. khas kar daksh ki power aur furti dekh kar wo bada heran tha. kaise woh margaret se apna bachao kar raha tha. kaise woh margart ki hits ko easily sehn kar raha tha.
pilot ko chhod kar baki sab ko daksh pehle hi maar chuka tha. margaret aur daksh dono ek dusre se lad rahe the. fir jab tak daksh ne marfaret ko ghuma dia tha. tab leader bhi cheekhte cheekhte reh gaya tha. daksh ki power aur control dekh kar usay jhatka laga tha. aisa ek bhi mard usne aaj tak nahi dekha tha.
bad me jab daksh margaret ko wahin chhod kar jaane laga toh leader saala margaret ko dekh kar pagal hone laga. margaret ko dekh kar woh gande vicharo me girne laga.
margeret akeli thi aur woh kai. margaret ke paas koi gun bhi nahi thi. aur woh usi condition me bethi hui helicopter ko jaate hue dekh rahi thi.
bohut se vichar uske mann me hulchal machaye hue the. isse pehle woh uthti. leader ke ishare kar sabhi gangsters margaret ki or guns karte hue aage badhne lage.
margaret ki 6th sense bohut tez thi. woh jaan gayi, koi khatra uski or badh raha ha. sherni ki tarah palat kar usne dekha toh gangsters ko dekh kar woh uth khadi hui. sabke hathon me hathiyar dekh kar, ankhon me hawas dekh kar woh satark ho gayi. tirchi nazar se apne admiyon ke waepons ko dekhne lagi. jo 20 kadam ke fasle par pade the.
leader : main jan chuka hon, tum bohut badi top ho. moka milne par kuch bhi kar sakti ho. par mere saamne heroine banne ki koshish bhi kari toh bhoon di jaaogi. leader haramipan se smile karta hua, gun ko kisi filmi hero ke jaise apne kandhe par rakhte hue margaret se 6 kadam ke fasle par ruk gaya.
leader samet total gansters 17 the. aur bhi the jo niche gufa me hi the. 17 hi upar aaye the.
maegaret leader ko aur sabhi ko dekhne lagi.
margaret : kyun aaye ho tum sab yahan
margaret ki baat par leader chhichhore andaz me hasne laga.
leader : badhiya fighter ho tum. mere sath mil jaao. meri rani ban jaao. milkar---
hahaha...tumhare sath..hahahahaha... tumhare sath... tumhare sath mil jaaon.. hahaha..tumhari rani bann jaaon. tumme aisa kya hai jo main tumhare sath mil jaaon.
bandoq toh sahi se uthani nahi aati tumhe aur bolte ho main tumhare sath mil jaaon. tumhari rani ban jaaon. guttar me rehne wala mujhe rani banayega. hahaha
margaret leader ki baat par zor se haste hue uska mazak udane lagi. leader kaise sehn kar sakta tha. kisi filmi hero ke jaise kandhe par rakhi gun ko kandhe parse utar kar margaret ki or seedha kar dia.
par usay der ho chuki thi. jaise hi uski gun kandhe parse margaret ki or seedhi hone lagi. margaret ek pal me hi frontflip par uchhalti hui, uski gun chheen kar, gangsters par fire karti hui badi speed se us chattan ki or jaane lagi. jahan pehle daksh chhupa hua tha.
4 gangsters margaret ki goliyon ka nishana ban chuke the. gansgter bhi hadbada gaye the. woh toh samjh rahe the, woh itne zayada han, ladki koi bhi chalaki nahi kar paayegi.
par..
par woh margaret ko sahi se jaante nahi the.. daksh se zarur haar gai thi. in jaison ke liye toh woh khnkhar bala thi..
gangsters bhi margaret ko gun chheen kar kar, firings karte hue dekh kar firing karne lage the. but margaret badi furti se gymnastic dwara uchhalti hui sabse door ho gayi thi. golliyan chali toh ek goli margaret ke bhi lag gayi thi. pet me left side 2 inch andar wali side se ghus kar nikal gayi thi.
pehle toh margaret ko pata nahi chala. par jab woh chatan ki oot me hui toh woh apna khun dekh kar jaan gai. usay bohut zayada ghussa aane laga tha. in jaise chutiye se woh zakhmi ho gai thi.
leader bhi cheekh raha tha. margaret ko gherne ke liye apne admiyon se bol raha tha. satark na rehne par unpar ghussa ho raha tha.
margaret ne gun ka magazine nikal kar dekha.. uske andar ki bullets ko dekha. badi magazine wali gun thi. magazine me abhi bhi 16 galiyan thee.
margaret apne pet ke zakham ko bhol kar idahr udhar dekhne lagi. kuchh fasle par ek aur chhoti chatan thi. margaret ne dusri side se gun bahar nikal kar ek fire kiya.
ek ganster ko shoot kar dia. foran hi wapis palti aur daudti hui us chatan ki oot se nikal kar dusri chatan ki or bhaagne lagi.. is beech margaret ne 3 fire aur kar diye the. koi bhi fire khali nahi gaya. 3 gangsters aur dher ho gaye. margaret ne kuch hi samay me 8 gangsters ko dher kar dia tha.
wahan bhi margaret nahi ruki. wahan se 15 feet niche kood kar ek aur chatan ki aadh me ho gayi. is bar usay koi dekh nahi saka tha.
leader : sab ke sab nakara ho haramzado. ek ladki tumse kaabu nahi ho pa rahi ha.
leader bohut ghusse me tha.. margaret akeli hote hi usay tigni ka naach nachaye hue thi. palak jhapakte hue uske 8 admiyon ko maar gayi thi. margaret itni bhi khatarnak ho sakti ha. usay andaza nahi tha.
margaret aas paas dekhti hui kuchh fasle par maujud jhadiyon ki or reengne lagi. margaret reengti hui kuch der me ek aur side se upar jaane lagi. wahan aur chhoti chhoti chatane thee. unki aarh leke margaret upar pohnch gai.
door se helicopter aata hua dikhaai dia to margaret heran ho gai. woh soch bhi nahi sakti thi. dK wapis bhi laut sakta ha.
wahi leader bhi cheekh cheekh kar sabko margaret ko dhundne ke liye bol raha tha. kuch niche gaye toh kuch idhar udhar hokar margaret ko dhundne lage. margaret ne moka dekh kar firse fire karne shuru kar diye. har ek fire par ek ek gangster gir raha tha. uski cheekhen goonj rahi thi.
leader ab do taraf se fir gaya tha. ek aur margaret thi toh dusri aur se helicopter bhi aa raha tha. RPO agents ki ek gun utha kar woh bhi ek chattan ki aarh me ho chuka tha. woh bhi margaret ki or gun seedhi karke fire kar raha tha.
leader : saalo us helicopter ko hawa me hi uda do.
awaz aai : boss hamare sirf 3 admi bache han. baki sab maare ja chuke han.
leader : haramzado! namardo! doob maro. tum sab most wanted criminals ho. ek chokri tum sab ko maar rahi ha.
wo ganster man me bola : tu bhi toh hamara boss ha chutiye.. teri gun chheen kar woh bhaag nikli.. leader banta ha saala. apni gun bhi nahi sambhal sakta.
margaret ka khun harkat ke rehne ke kaaran bohut speed se beh raha tha. par woh fir bhi dati hui thi. jaga badal badal kar fire karne lagi. leader ko chhod kar ek aur gansgter ko shoot kar dia usne toh baki dono hadbad kar niche ki or bhagne lage. leader ghusse se margaret ki or gun karke fire karne laga.. kyunki margaret uski range me aa gayi thi. par gun fire na kar saki...
itni der me margaret bhaag rahe dono gangsters ko bhi shoot kar gayi thi.
leader ki or mudi toh woh apni gun ke trigger ko daba raha tha. bada heran tha woh.. trigger dab kyun nahi raha. abhi toh woh sahi work kar raha tha.
margaret uski aur badhne lagi. leader ne firse trigger dabane ki koshish kari toh margaret ne uske hath par fire kar dia.
margaret : kaha tha na tujhse guttar me rehne wale.. tujhse bandooq nahi chalegi. bandooq chalane tujh jaise namardo ka kaam nahi ha.
leader : saali bohut bol rahi ha tu.. tu bach ke nahi jaayegi. mere bakiya sathi bhi abhi aate honge.
margaret : ye baat karke tune sabat kar dia toh sach me hi namard ha.. mard hota toh khud ke dumm ki baat karta. kutton ka sahara woh lete han, jinke andar khud ka dumm nahi hota. tu bhi aisa hi ek kutta ha. jo sathi kutton ke sath milkar sher banne ki koshish me ha.
helicopter land ho chuka tha. main bhi helicopter se utar ka margaret aur leader ke paas ja pohncha tha.
daksh : chalo chalte han. bohut khun beh chuka ha tumhara.
leader mujhe dekhne laga. mujhe dekh kar wo darne laga tha. maine uske kandhe ko pakad kar dabaya toh wo cheekhne laga.
margaret : tum kyu aaye ho DK!
daksh : aaya toh tha, tumhari madad karne.. par
margaret : hahaha.. tumse nahi jeet saki toh iska ye matlab nahi hai DK, main sabse haarti hi jaongi. in jaise kutte toh main ek nazar me gira dun.
main mann me : leader ko control na karta toh to ek bullet aur tumhare sharir me ghus chuki hoti.
maine hi leader ke dimag ko control karte hue trigger ko dabane nahi dia tha. jise leader ya margaret samjh nahi sake the.
margaret ne leader ke dil wali jaga par gun ki naal laga di. leader ke kanpatiyon par pasina ki katre behte hue kaan ki aur aane lage.. woh ab thar thar kanpne laga tha. aiso ke paas jab tak power rehti ha. tab tak sher bane rehte han. jab power khatam ho jati ha, maut dikhne lagti ha toh mootne lagte han.
margaret : kya hua kanpne kyu lage tum. mujhe rani nahi banana ha. mera sath paa ke aur bhi powerfull nahi banna ha. aise kaanpo gy toh kese mujhe apne sath mila paaoge.
leader gidgidane laga : mmm.. mujhe maaf kar do. mujhse bohut badi galti ho gai. plz mujhe jaan se mat maaro..
margaret ; mujhe gandgi dekhne ki adat nahi ha. margaret ne aur baat nahi kari aur trigger daba dia. leader ke dil wali jaga par ek chhed ban gaya tha. khun ubal ubal kar bahar ko aane laga.
maine margaret ke hathu se gun leke phenk di.. uske hath ko pakad liya. chalo chalte han. kafi khun beh chuka ha tumhara.
margaret meri or dekhi ek smile kari fir boli : tumhara wapis aana mujhe pasand aaya DK! tum na bhi aate toh bhi mujhe zayada fark nahi padne wala tha. aisi hazaron situations se main already guzar chuki hon. ye pehli daba nahi tha. aise ghao mere liye koi ahmiyat nahi rakhte.
door se helicopters ke aane ki awaz sunai dene lagi.
margaret : ab jaao tum! RPO wale aa rahe han. tumhe fir kabhi apne under lene ki koshish karungi. bina mehnat ke mujhe tum nahi chahiye DK..
mere honto par muskan aa gayi.
daksh : dumm daba kar bhaag jaaon.
margaret apna dard bhuli hui thi. meri baat par hasne lagi. ise bhagna nahi kehte DK. bhagna peeth dikha kar bhagne ko kehte han aur tum ne peeth nahi dikhai ha. tum winner the aur winner ho.. jaao ab yahan se.
helicopters kuch doori par the. main margaret se hath mila kar helicopter me ja baitha. is beech main pilot ke dimag me nahi ja paya tha. ab helicopter me betha toh pehle pilot ke dimag me hi jaane ki sochi.
par ye kyaaaa...
jaise hi main uske dimag me ghusa.. main puri power se uchhal kar helicopter se bahar kood pada.. ek lamhe ki bhi deri hoti toh main helicopter ke andar hi kaid ho jata aur behosh bhi. pilot ne ek button press kar dia tha. jiske kaaran mere ird gird sheeshe ki ek diwar khadi ho jati aur main uske andar kaid ho jata. sath hi behosh kar di jaane wali gas bhi chhod di jaati. fir main khud ke liye kuch bhi nahi kar sakta tha.
mujhe pilot par bada ghussa aaya. par mujhe hosh se kaam lena tha. margaret bhi cheekh kar bhaag kar meri or aa gayi thi.
margaret : kya hua DK! tum aise kyun koode..
margaret ko jawab deta usse pehle hi mere wala helicopter hawa me buland hone laga. itne samay me RPO ke dusre aa rahe helicopters bhi paas pohnch chuke the. kuch der me woh mere sar par hote.
daksh : maine kaha tha na tumse margaret! RPO wale ya koi ORG wale kabhi kisi ke nahi hote. main helicopter se na koodna toh uske andar kaid hoke reh jata. akhri pal me mujhe meri 6th sense ne warn kar dia tha. warna main apne gird ban jane wale mirror cabin me behosh ho chuka hota..
margaret meri baat sunkar ghusse me aa gayi : ye nahi ho sakta. meri marzi ke bina koi bhi kaisa bhi faisla nahi le sakta.
daksh : sab tumhare saamne hi ha margaret. ab main yahan se by air toh ja nahi sakta. isliye chalta hon. ab mujhe sach me hi bhaag ke jaana padega. mere honto par muskan aa gai thi. helicopters land hote usse pehle hi main tezi ke sath us pahad se niche utarne laga. main jaan gaya tha, yahan bohut si gufaen bhi han. bohut se criminals bhi han. main tezi se pahaaad se utarte hue aisi hi ek gufa tak pohnchne ki koshish karne laga.
bhagte samay ek gun main utha chuka tha. ab maut ke khel khelne shuru kar hi diye the toh fir RPO ho ya jo bhi ORG.. mere hathun jaan se jaane wale the. jaisa maksad mujhe mila tha. uske liye mujhe khud ko safe rakhna bohut zaruri tha. aur ORG wale puri world ke sabse bade kutte hua karte han. ye baat main pehle se hi janta tha.
bachha nahi tha main aur na hi koi kamzor insan.. bohut strong tha main. bohut furti aa gai thi mere andar. bohut speed ke sath bade bade jump karte hue main niche utar raha tha.
abhi mujhe apni jan bachani thi isliye main margaret ke dimag me nahi ja raha tha. ek jaga ruk kr sukun se main margaret ke dimag me ja kar detail hasil kar sakta tha.
aane wale helicopters 4 the. jald hi do helicopters mere piche lag gaye. main jis disha se niche utar raha tha, us disha me aane lage.
ek helicopter mujhse kuch fasle par se guzar gaya. dusra bhi uske piche tha. uske andar bethe hue agents mujhe shoot karne lage. main jaan gaya, ab mujhe paralise nahi kiya jayega. ab mujhe behosh kiya jaayega. zarur woh sab jaan chuke the mere baare me. itna andaza toh main RPO walun ke baare me laga sakta tha. kuch hi der me woh margaret ki madad ke liye aan pohnche the. jaan gaye the, main margaret ke hath is baar bhi nahi aa saka hon. aur bhi jaan gaye honge. maine unke aur bhi kuch agents ko jaan se maar diya ha.
sukun se ye bhi jaanna tha mujhe kese. kyun jo bullets mujhe maari gayi thi. chattan par padte hi woh blast ho rahi thi. unhe dekh kar main bohut kuch samjh pa raha tha.
bullets se bachte hue ek chatan ki aarh me rehte hue maine bhi gun ko ek helicopter ki or karte hue fire kar dia. wahan khule door me betha hua agent seene me goli kha ke cheekhta hua niche girne laga. helicopter foran hi mujhse door ho gaya.
fir toh dono helicopter door rehte hue hi mujhpar fire karne lage. asan nahi tha mujhe shoot kar pana. ek toh helicopters ud rahe the. dusre main harkat me tha.
4 mint me hi niche 10 meter ki doosri se bohut si guns ka moh khul gaya. aur dono helicopters hit hone lage. main jaan gaya, niche ke gangsters helicopters ko shoot kar rahe han.. saale apni maut khud hi bula gaye the. khamosh rehte toh mere siva kisi aur ko pata bhi na chalta, wahan gansgters bhi han..
fir toh helicopters wale mujhe chhod kar helicopters me fit heavy machine guns se un gangsters par firing karne lage.
wo gufa me the, isliye bache hue the. mujhe unki cheekhen nahi sunaai di. mera fayda ho gaya tha. main niche utarta hua ek gufa ke paas ja pohncha tha. uske andar ghus kar main aage tezi se badhne laga. niche se gangsters guns ka shor sunaai de raha tha.
main speed se daudta hua aage badhne laga. aage mujhe wo gufa niche jaati hui dikhaai di.
niche jaane laga toh andar ka nazara dekh kar main dang reh gaya. andar ka nazara toh vip tha. ye gangsters ka ek khaas adda tha. apne rehne ke liye badi nafasat se rehne layak banaya gaya tha. ek jaga mujhe gaudam dikha. kuchh chhote chhote kamre bane hue bhi dikhe.. door kisi bhi kamre ka nahi tha.
jis disha se firing ho rahi thi. main usi disha me aage badhne laga. wahan pohncha toh mujhe ek admi ki ghusse se cheekhne ki awaz sunaai di..
main wapis palat pada. ab mujhe aage jane ki zarurat nahi rahi thi. main us admi ke dimag me rehte hue wapis jane laga.
woh cheekh raha tha : saalo kiske kehne par tumne helicopters par firing shuru kari ha. saalo firing na karte toh hum unki nazron me nahi aate.
dusra bola : dekh dany tu mujh mat samjha. boss mujhe yahan ka dhayan rakhne ko keh gaye han. mujhe jo sahi laga maine kar dia.
dany : tu janta bhi ha, tune kya kiya ha. boss pata nahi kahan chala gaya ha. helicopters aa rahe han. pata nahi kya maamla ha. pehle toh kabhi yahan par helicopters nahi aaye the.
pehle wala bola : in helicopters walun ko gira kar bahar nikalte han aur boss ko dhundte han.
main dany ke dimag me tha.. maine usay control me liya aur pehle wale ko thappad mar dia. saale tujhe boss ne hamara leader bana kar galti kari ha. tu is layak hi nahi ha..
wo ghuse me aa gaya : teri itni himmat tune mujhe thappad mara. dono ek dusre se ulajh pade. jo bahar firing kar rahe the. woh wapis aa kar unhe alag karne lage. aur main dono ke andar ghus kar dono ko aur bhi bhadkane laga. fir dusron ke dimag me ghus kar unhe bhi ladai me shamil karne laga. kuch der me sab ek dusre se lad rahe the. baat firing tak ja pohnchi. main ek kamre me betha ladai ke maze lene laga.
inki ladai dekh kar helicopters wale bhi gufa ke paas aa gaye. ab unpar firing nahi ho rahi thi. woh paas aa ke gufa ke andar machine guns se firing karne lage. dekhte hi dekhte sab ke sab maare jane lage. main margaret ke dimag me ja ghusa..
wahan pohncha toh dekha..
margaret ek helicopter me bethi hui red master se jhagad rahi thi.
margaret : aap RED MASTER han toh main kya karun. aap jante nahi han kya. main apne maamlat me kisi ki madakhlat pasand nahi karti.
red master : margaret tum apni had bhul rahi ho. main red master hon, tumse senior hon, tum mujhse aise andaz me baat nahi kar sakti.
margaret : nahi karungi, aap dono helicopters ko wapis lautne ka order den.
red master : dekho margaret DK hamare liye most wanted ha. humen woh kisi bhi haal me chahiye. tum do baar usay kho chuki ho. BRAIN MASTER ka order ha, main koi bhi action le sakta hon.
margaret : nahi.. brain master kyun aisa order jari karenge. margaret heran ho gai thi. brain master dwara hi toh margaret hamesha sabse aage rahi thi. margaret brain master ki chaheti bhi thi. usi ke dumm par woh RPO me most papular agent thi.
red master : aise hi orders jari hue han DK ke liye.
magaret : meri baat karwayen brain master se..
red master dudely andaz me : main iski zarurat nahi samjhta. tum zakhmi ho. helicopter par betho aur apna treatment karwao. ab se aaage ka sab main dekh lunga. red master ne rabta khatam kar dia.
margaret ghusse se moh phulane lagi. red master ko mann me galiyan dene lagi toh brain master ke faisle par woh heran bhi ho rahi thi. khun bohut beh chuka tha. usne helicopter ko fly karne ka order jari kar dia. mere liye woh dua karne lagi. mai kisi ke hath na aaon.. ab bhi woh mujhse jeet kar mujhe apne under lekar RPO ke saamne pesh karne ke baare me bhi soch rahi thi.
mere honto par muskan aa gai. main margaret ke brain se nikal kar red master ke brain me ja ghusa aur info collect karne laga.
badi herankun detail mujhe red master ke brain se prapt ho rahi thi.. RPO itni strong bhi ho sakti ha. main soch bhi nahi sakta tha. kitna hi-tech base bana rakha tha red master ne apne wala. dunya bhar se talented logon ko uthwa kar unka brain wash karna RPO wala ka sabse bada kaam tha. sabse ghattiya kaam tha.
apne baare me jo info mujhe red master ke brain se prapt hui woh thi. mujhe bhi apne kabze me karke mera bhi brain wash kar dena chahte the. unke hisab se main cirminal nahi tha.
ab tak ki meri performance unke liye khas thi. mujh jaiso ki hi toh talash me RPO wale raha karte the. ek toh mujhse shimuna baare, nimunica baare info prapt kari jati. dusra mujhe ghulam banana chahte the. unke hisab se main unke bohut se missions ke liye ek best agent sabat ho sakta tha.
ye jaan kar mere honto par muskan aa gayi. main dil hi dil me hasne laga. main utha aur kamre se nikal gaya. gansters mujhe kahin dikhaai nahi diye the. sabhi maare gaye honge, ye zaruri nahi tha. mera khayal tha, kuch wahan se jaan bacha kar gufaon me kahin gum ho gaye honge.
ab mere liye RPO is pure pahad ko, is pure ilake ko gherne wali thi. red master mere liye orders jari kar chuka tha. ghante do ghante me RPO ki force mujhe paane ke liye aane wali thi. aur mujhe itni der se yahan se nikal jana tha.
par abhi bhi teen helicopters yahan par maujud the aur 12 ke kareeb agents teeno helicopters me maujud the. main apni muthiyon ko bhenchta hua gufa ko andar se dekhne laga. ab jung bhi ladni thi mujhe toh fir mujhe mere matlab ke weapons ki bhi zarurat thi. aur gangsters ke paas toh weapons ki kami nahi hoti..
ghumta hua main ek khuli gufa me ja pohncha. wahan dheron boxes pade hue the. main boxes ko khol khol kar dekhne laga.
rocket launcher nahi dikhe mujhe. warna helicopters ko girana asan ho jata. mujhe rocket launcher chalane ka gyan to tha par experience nahi.
gyan to main dunya ki kisi bhi chij ka kisi ke bhi dimag me ghus kar prapt kar sakta tha.
do halki machine guns ko liye main wahan se nikal pada. chalta hua main shimuna ke dimag me ja ghusa.
woh ek dukhi maa ke dimag me thi. woh bechari bohut zayada depression me ja rahi thi. toh shimuna ne uske andar ghus ke uspar apna control bana liya tha. jisse us dukhiyari maa ke liye khatra kam ho gaya tha.
mujhe mehsus karte hi shimuna ne us maa par apna pura control banaya aur mujhse boli
shimuna : kitni der se tum mere dimag me nahi aaye..
daksh : hey meri bhuljhadi. tu meri lugai ha kya re. jo baar baar tere se rabta karta rahun main.
shimuna : Ehehehe.. lugai hi toh hon main tumhari daksh.. lugai wala sara kaam toh kar liya ha maine. apna sab kuch to de dia ha main tumhe.
daksh; kyun jhut bolti ho tum shimuna. sab kuch toh tumne mujhe nahi dia ha.
shimuna : bade matlabi ho tum daksh.. ek hi to keemti chij hoti ha har ladki ke pass. wo mai tumhe de chuki hon. ab kehte ho main jhut bol rahi hon.
daksh : uske ilawa bhi toh ek khaas chij ha tumhare paas.. main naughty hote hue bola toh shimuna has padi..
daksh : bhul jaao usay tum. samjhe woh to tumhe kabhi nahi milne wali. marna nahi chahti hon main daksh.
daksh : na mili toh main mar jaonga.
shimuna : Ehehehe! de di toh main mar jaaongi.
daksh : mera wada ha tumhe marne nahi dunga main.
shimuna ; huh! bada aata wada karne wala.
daksh : koi shak ha kya mere wade par.
shimuna : 100%
daksh : chalo jab samay aayega tab dekhi jaayegi.
shor ki awaz sunaai di
daksh : ye shor kaisa ha shimuna!
shimuna : pata ha. dekhti hon.
shimuna us aurat me samaai kamre se nikli. fir ghar se bhi nikal padi. piche ghar wale bhi shor ki awaz sunkar bahar nikalne lage.
.
.
.
.
.
.
Aaj Ke Liye Itna Hi Mitro! Milte Han Agle Episode Ke Sath Jald Hi..
::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::