हा हा हा हा"Dr wo nahi Maan raha" sister ne Dr mani se bola
"Arey kuch bhi karke usko bhagao" Dr mani bheek mangne lage
"Arey itna kya ho gaya Dr??" sister ne fir poocha
"theek hai bhej do" Dr mani haar gaye, sister ko history sunane se behtar us chokre ko bulana sahi laga
Dr mani shahar ke naami psychiatrist me se ek the aur Dr ramya ke suggestion par hi kingshuk wahan gaya tha
"bolo" Dr mani ne hot bag apne sar par rakha hua tha
"a Arey sir??? Aapki tabiyat to theek hai??" kingshuk ne poocha
Ullu ka pathha, gadhe ki dum. Agar senior Dr ramya ka reference nahi hota to.....
Dr mani ko gussa aane laga lekin wo dikhana nahi chahte the
"Dr wo...." kingshuk ne bolna shuru kiya
"kingshuk tum kitna dete ho fees ek visit ke liye??" Dr mani ne poocha
"1000 sir" kingshuk bola
"aur mai 1500 deta hoon doosre psychiatrist ko tumhare jaane ke baad" Dr mani bole
"lekin kyun sir??" maasomiyat se poocha kingshuk ne
"subah shaam wahi sawal karoge ki tumhara dimag tumse baat karta hai, dil ki dhadkane badhne ke baad tumhe kuch yaad nahi rehta aur teen logo ko tumne maar bhagaya" Dr mani bolte gaye
"poora sach hai sir" khush ho gaya kingshuk
"tumhara poora test kiya maine kingshuk, kuch bhi problem nahi hai tum me" Dr mani bole
"lekin.." kingshuk bolte bolte ruk gaya
Dr mani uske pair pakad kar baithe the
"please kingshuk please, itna torture bardasht nahi kar sakta, please yahan aana band karo" Dr mani bole
"Arey kya kar rahe hai doctor??" kingshuk chair par Chad gaya lekin Dr mani fir bhi uska pair pakde rahe
"nahi mai nahi chodunga, jab tak tum yahan aana band nahi kar dete mai tumhara pair nahi chodunga" Dr mani bole
"theek hai lekin pair to chodiye" kingshuk bola
Dr mani ne pair chod diya kingshuk ka, ek lambi Saans li kingshuk ne aur udaas hokar jaane laga
"are you sure ki Dr ki mera reports theek hai??" kingshuk ne poocha to Dr mani fir se pair pakadne ke liye daud aaye aur kingshuk bhaag gaya cabin se
किंगसुक हाथ धो कर डॉक्टर के पीछे पड़ा था पर बेचारा करे भी तो क्या डॉक्टर ने अपना हाथ खड़ा कर दिया
यह भी ग़ज़ब हैNahi, kingshuk chup to Filhal nahi baith sakta use police ko batana hi hoga ki galti uski thi aur usne teen logo ko mara tha,
POLICE STATION NOIDA
"ye sab kya hai inspector santosh??? Teen logo ko kisi ne aise maara ki hospitalized karna pada" ACP jayant ne poocha
"Kamaal hai sir?? Jab wo teeno ne pareshan kar rakha tha poore police department ko tab to kisi ne unki khair nahi poochi, aur aaj jab unka kisi ne band baja diya tab sabko lag rahi hai" inspector santosh haste hue bola
"please santosh, kanoon ka kaam agar har koi karne lage to go gaya, kanoon bhi koi cheez hai, court hai, hearing hai, justice hai" jayant bola
"sir aapko sab pata hai, kitne court kitne justice aur kitne hearing me criminals ko saza mili??khair mai dekh lunga aage, jai hind" salute karke chala gaya inspector santosh lekin jayant ko uski baat chalni kar gayi
Ips karke kya kar liya jayant ne?? Uska Sapna tha ki criminals ko jail bhijwayega aur shahar ko crime free karega.
Isliye ias na karke Ips liya usne, lekin jabse join kiya tha usne tab se usne bas yahi dekha ki criminals kaise kanoon se khilwad karte hai kuch honest log hai department me jaise santosh jo apne vardi ke mar tak sakta hai aur hai kuch rishwat khor jo kanoon ko itna neeche girate hai ki....
Lekin aajtak jin ladko ko koi thappad tak nahi maar paaya un ladko ko koun itni be rehmi se maar sakta hai???
पोलिस परेशान है
और किंगसुक को चूल मची है अपना पिछवाड़ा सुजाने
किंगसुक के अंदर दोहरा जीवन उसे भ्रमित भी कर रहा है
लो सूज गया थोबड़ाGYM
"MUJHE AUR STRONG BANNA HAI" kingshuk bola trainer ko
Aur trainer dekhta raha
"itna stress bhara exercise kyun??" trainer ne poocha
Kyunki un sab se nipatne ke liye kaafi nahi hai,dhadakte hue dil ke saath kingshuk ne socha
"DOST IN SABKE BINA TUM DUNIYA SE NAHI JEET PAOGE" fir se wahi awaz kingshuk ne ab sochna band kar diya, ye baat sach hai ki heart transplant ke baad uska pair theek ho gya aur wo strong ho gaya
Lekin ye karna zaroori hai kya???
"lekin s studies??" kingshuk ne shayad pehli baar baat kiya us awaz se
"WO BHI SAHI HO JAYEGA, BAS TUM AAGE CHALTE JAO" awaz boli
"ready??" trainer ne poocha aur kingshuk ne Haan me sar hilaya
Aur kamar tod session hone laga
TADDD
"wah finally Vaar kar hi liya" John boxing karte hue bola
"aaj without head gear ke karna hai" bol kingshuk ne headgear utaar diya
DHAMMMM
TADDDDDDD
THAKKKKKKK
Ek ghante baad
"wah?? Teen Vaar kar diye aaj" John bol kar chala gaya
"aah..." kingshuk bola, poora chehra sooj gaya tha
"Baap re head gear kyun utara" trainer ne poocha
Kingshuk kya Bolta, us kambakht Awaaz ne kaha tha aisa karne ko??
Lekin maa se kya kahega wo???
-------------------------------------------------------------------
करवा लिया अपनी कुटाई
ओह ओ तो बात कुछ ऐसा हैTOKYO
"today yank kon is no more, please pay your respect"
Baarish tez ho rahi thi aur sab kaale coat pehen kar khade ho gaye the
"russia, South America, Mexico, Africa, India, Middle East...." bole ja raha tha shaks ki use rok diya ek buddhe ne jo wheelchair par tha
"i know you have killed him Charles, you want to take up his position and now you are doing bad things drugs, porn, animal poaching and child abuse"
CHATAKKKKK
sabko chaukante hue ek thappad laga us buddhe ko aur maarne wala tha...
"Charles hate too much blabbering" Charles bola
"after yank kon only I am eligible to take the post of global gangster" Charles bola aur Saare black coat waale jhuk gaye
"ha ha ha ha ha ha, I'm the king" Charles bola aur pagalon ki tarah hasne laga
आगे बहुत मज़ा आने वाला है