• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,426 82.7%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 235 13.6%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,724

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,449
110,701
259

monster@23

I'm a devil of my word👿
65
190
33
I need a little help guys. :help:

Agar koi ye kar sakta hai toh kar dena, mere liye asaani hogi. Pari ki personality harr baar level up hone ke baad change hoti hai. Toh kis kis update me woh level up hui hai aur uski personality change hui hai? Ye koi bata sakta hai? Mujhe shuru se nahi dekhna padega. So agar koi kar sakta hai toh bata dena.
Bhaaya mene check kiya he,
Pari level 2, update 11
Pari level 3, update 24
Pari level 4, update 33
Pari level 5, update 49
Pari level 6, update 76
Pari level 7, update 90
And last but not the least,
Pari level 8, update 116.
 

Death Kiñg

Active Member
1,405
7,080
144
yeh story baadshah a tale of debauchery 2013 me maine padhi nahi balki mujhse padhwaai gai thi
iske saath-sasth aur bhi story ke baare mataaya gaya jo adult thi (jisme se mai to nafarat karne wasli thi, bahut hi gandi, ghinouni, etc politician 2003-2004 Tak duniya ja sabse taskatwar insaan (powerfull) ban chukaa tha, aur saal 2012 aate aate duniya ke sabse powerfull insaan se kam se kam paanch (5x) guna aur powerfull ban chukaa tha usne apni taraf film-kasr sports person, politician party ke vibhinn desho ke president prime minister's ko, apne aur mere rishtedaar ko , aam samanye logo ko addi ityaadi ko apni taraf kar liya tha jaise movie captain America me hydra ke liye kaam karte the usi tareh weh saare log politician ke liye kaam karte rahe. Politician kisi-kisi maamle me lucifier rahaa hai ek tareh se logo manipulate karne me logo se negative kaam karvaane me, kisi-kisi mamle me Batman ki comic ka character joker rahaa hai), aur yeh is stories pe , in saari adult( ashleel) stories ko sach karne ke liye politician ne woh saare kaam kardiye, aur yeh bhi bataaya gaya yeh saari stories mere dwara likhwayi gayi thi duniya ke samaye anusaar saal 2000 ke samay jab meri age 15.5 year thi yaani 15 saal kuchh mahine aur saari adult stories meri marji ke khilaaf chhal kapat , dhoke se sex ki galat information bataa ke banwaayi , taaki us par sach karne ke liye politician (gandi ghinouni khelne waala politician) is par woh saare gande ghinoune, boore ashleel kaam karaa sake, politician ashleel kaam 1992 ke samay se karaata aa rahaa hai (matlab woh pehle se hi logo jaisi marji positive- negetive-porn(ashleel) kaam karwane ke liye jaana jata hai)
saal 2012-2013 Tak lagbhag poori duniya 90% jaan (known) chuki thi mere baare me, politician ke baare me, aur laakho logo ke baare ,

Dus saal pehle 2013 me yeh story baadshah a tale of debauchery mere se padvaai , uske ek din ke baad mere dimaag se (memory ) bhoola Diya Gaya , ab is baat ko gujre huye 10 saal (2013 se ab tak) ho gaye, dus saal ho gaye hai itni puraani baat Puri kahaa yaad rahegi. Jab meine yeh story ka do-teen update padhe, tabhi meri dimaag me yaad aaya yeh story pehle bhi padh chukaa hoon isme veer naam se pranjal naam se pranjal naam toh kabhi kisi ka hota hi nahi yeh mere dwara fake ( asi hi ulta sidha naam banaa diya) is story mujhe Jo-jo laga
Ki yeh hoga woh 60%70% hua ab tak kuch ko chhor kar, isme writer ne kuchh pherbadal kiye ho shaayad, pushkar crimson nahi hai theek hai, isse pehle mujhe lagaa tha slogan (Sanjeev) crimson hai jab tak veer slogan (Sanjeev) ka past nahi jaan paaya tha tab tak, magar us kiarra ke emotion kaise jagaata hai, woh toh theek tha na. Isme balhaar (character Jo underworld mafia slogan ka aadmi tha kucch samaye pehle ) jise veer ne head banaaya hai woh is story me aage chalkar veer ka ghulaam ban jaata hai , veer balhaar ki aur uske aadmiyon ki jaan Jaan bachaata hai aur uske do number ke dhandhe ko ek number ke dhandhe me tabdeel (convert) kar deta hai ( yahaa uske gair kanooni dhandhe band karwaa ke legali kaam khulwaa kar) . veer apne nek-dili se balhaar aur uske dil me apne liye khaas jageh banaa leta hai,
At least apni real id se aa jaate mere bhai. Alias se kaahe bakchodi pel rahe men? :lol:
 

Death Kiñg

Active Member
1,405
7,080
144

Rihanna

Don't get too close dear, you may burn yourself up
746
3,641
123
Man! Arohi ke itne kam screen time me bhi uske fans badhte jaa rahe hai. Rihanna Arohi sabko pasand aa reli hai. :hinthint:
Arohi bestest h... :toohappy:
Aela!!! :what1: Ye kya ho raha hai? Rihanna Arohi ki fan following toh badhti hi jaa rahi hai. :shocked2:
Sab log Arohi ko pasand karenge to wo common ho jaegi na fir.... :mad:
Arohi ki fan following limited hi honi chahiye. :mad1:
 

Rihanna

Don't get too close dear, you may burn yourself up
746
3,641
123
Update - 137 ~ First Clash (2)

Ab tak...

Uski aankhein phati ki phati reh gayi.

"T-Tum!!???"

Agle hi shan,

*Ding*

[Mission : Get to Ava as fast
as possible.

Rewards :
1) ??? Points.
2) 1 Random skill (any tier)

Mission failure penalty : 5000 points deduction.

Location : 3rd floor.]


Ab aage...

“Itna hairaan kyu ho rahe ho? We are not seeing each other for the first time right?”

Veer ke saamne woh khada hua tha. Wahi jiska darr usse itne dino se sataa raha tha.


CRIMSON!

Veer : T-Tum!?

Crimson : Haan mein! Itna darr kyu rahe ho Veer?

Uske hontho par ek mazaakiya muskaan thi. Lag raha tha woh Veer ko ghabraaya hua dekh uske mazze le raha tha.

[Shit! Master! Ava is in trouble! Lekin ab ye-! How is he here?]

Veer chup chaap saamne khade vyakti ko ghoor raha tha. Ye aadmi uske liye ek buri khabar tha. Woh poora satark, apna dhyaan uss par hi lagaaye hue the.

[Agar isne humse fight li, toh Ava ko bachana mushqil ho jayega Master. Hamare paas waqt kam hai.]

Veer Pari ko jawaab nahi de raha tha Woh jaanta tha ki Pari sahi keh rahi thi. Ek taraf Ava thi jo musibat me na jaane kis haal me 3rd floor par unn aadmiyo se bach rahi hogi?

Toh dusri taraf ye saamne khada aadmi. Woh kare toh kya kare?

Veer : What do you want? Mujhe nahi lagta mene tumhara kuch bigaada hai. Toh fir kyu-!?

Crimson : Ohh! It’s simple!

Veer : ??

Crimson (smiles) : I simply want to kill you. That’s it!

[What??]

Veer (frowns) : Tumhe mere baare me kaise pata chala?

Crimson : Tumhe nahi lagta Veer ki jab ek sher kisi hiran ka shikaar karne wala ho toh hiran ko iss baat se koi matlab nahi hona chahiye ki sher ne uspe hamla kyu kiya. Hai na?

[Shit!!! He is prepared to fight! Master! This is bad news. Run!]

Mutthi kass Veer uski aankho me aankhein daal ke dekha.

Veer : Toh woh tum ho jo Ava ke peeche pade ho?

Crimson : Hmm? Why do you think so?

Veer : Tum Las Vegas me bhi the. House of the killers ke dauraan. Aur ab Ava mushqil me hai. Don’t tell me-!!

Crimson (smiles) : Ohh?

Veer : Las Vegas me Ava ki friend Charlotte maari gayi thi. Woh bhi celebrity thi. Aur Ava bhi celebrity hai. Charlotte maari gayi aur Ava bhi ab-!!! Lekin woh Nightwalker ka kaam tha. Kahi tum-!?

Crimson (smiles) : Hmm?

Veer (frowns) : Iska matlab tum House of the killers se related ho?

Crimson bas muskuraya.

Veer (screams) : TELL ME!!

Crimson : Awaaz neeche Veer!!

Veer : Agar mujhe maarna hi tumhara maqsad hai. Toh mujhe maara kyu nahi? Tumhare paas to Las Vegas me mauka tha.

Crimson (smiles) : Tum khud jald hi jaan jaoge.

[What? Master! I'm feeling strange. Y-Ye aadmi-!! He's doing something. Lekin mein samajh nahi paa rahi. Akhir ye chaahta kya hai.]

'Pari!'

[Yes Master!?]

'Don't worry! We will save Ava!'

[Yes Master! Lekin ye-]

Par Pari apni baat poori kehti uske pehle hi Crimson ke hontho par ek daraavni muskaan saji aur agle hi pal,

*Swoooooossshhhh*

'Huh?'

Woh apni jagah se gaayab ho gaya.

[Shit! Maste-]

Pari ko apne bol beech me hi rokne pade kyuki agle hi shan Crimson Veer ke saamne tha.

*BAAAAMMMMMMMMM*

Ek laat zorr se aake Veer ko padi, parantu samay par usne apne dono haatho se apna chehra block kar liya.

Uska shareer peeche ki orr hawa me ucchla aur usne back flip hawa me hi maari. Turant hi fir usne apne aap ko sambhaala aur zameen par apne perr wapas tikaate hue usne Crimson ko taajub me dekha.

Laat padte hi Veer ko Crimson ke force ka andaaza lag gaya tha. Uss kick ko block karne par hi uske haatho me dard hone laga tha.

[He's strong! That force-!]

Ek gehri saans lete hue Veer ne khud ko prepare kiya.

Aur fir shuru hui waha pe bhaiyankar ladaayi.

Crimson apni tezz gati se Veer ke saamne aaya,

*Whoooossshhhhh*

Uski laat zorr se ghoom kar hawa ko beech se cheerte hue Veer ke sarr par padne ko aayi.

Par tabhi,

*Duck*

Veer ne khud ko neeche jhuka liya. Crimson ki laat Veer ke sarr ke upar se usse cross karti ki uske pehle hi usne muskuraate hue apna perr neeche jhuke Veer ki orr mod diya.

'Fuck!!!'

*Baaaammmmmm*

Split second me Veer ne apne dono haatho se cross bana ke block kiya warna woh kick uske chehre ka huiya badal deti.

*Crack*

Kick ke force se neeche jadi tiles par daraare bichh gayi. Aur turant hi Veer ki aankhein laal ho gayi.

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned ON.]

Veer ne apna wazan apni baayi taang par tikaaya aur,

*Whooosh*

Daayi taang ko neeche se ghuma ke usne Crimson ki taang par vaar karna chaaha jo ek perr par khade hue tha.

Lekin jaise Crimson pehle se hi Veer ke move ko read kar chuka tha.

Usne tabhi khade hue perr se khud ko hawa me uchhaala aur Veer ke haatho ke beech maujood ek taang se woh hawa me roll kiya.

Crimson ke uchakte hi Veer ki kick yu hi barbaad chali gayi.

Par Crimson ke hawa me hone ke kaaran, Veer ko ek mauka mil gaya.

Woh jaanta tha uske roll hote hi ek zordaar kick uski orr aane waali thi.

Isliye,

"Haaaarrrrrghhhh!!!!"

Dahaad maarte hue usne apne haatho ke cross ko bhar taaqat se khol Crimson ko dur fek diya.

Jiska nateeja kuch nahi hua. Crimson dur jaate hi apne perro par araam se khada ho gaya. Par uske chehre par ek bohut badi muskaan feli hui thi.

Crimson (smiles) : I knew it!! Tumhe maarne me maza aayega Veer!!! Hahahahahaha!!!!

[Maaastttteeerrr Run!!!!]

*Whoooossshhhhh*

Veer mauka dekhte hue hawa ke jhoke ki tarah waha se bhaaga. Ladaayi se bhaagna uski apni style nahi thi.

Lekin uski priority abhi Ava thi. Ye ladaayi nahi.

Corridor ke chhor par hi stairs thi. Isliye lambe corridor me apni poori gati se woh bhaaga.

"Bhaag kaha rahe ho Veeeeerr!!!? Hahahaha!!!"

Usse apne peeche se Crimson ki bhayanak awaaz sunaayi di. Mud ke dekha toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Crimson bhaiyankar tez raftaar se uski orr bhaagte hue aa raha tha. Uske qadam itne bhaari bharkam the lekin raftaar fir bhi khoob tez.

[Shit!! Shit!!! Shitttt!!! Runnn! Maaasterrr!!! Runnn!!!! Remember 3rd floor! Quick!!!]

Peeche se khaufnaak chehra liye Crimson utsaah me Veer ko maarne ke liye dauda.

Beech corridor me hi ek fire extinguisher ko usne deewaar par lage hook se ukhaad ke nikaala.

"Here's a gift for you Veeeeerrrr!!!!"

Aur uss bhaari bharkam fire extinguisher ko usne khilaune ki tarah dur bhaag rahe Veer ki taraf phek diya.

*Zoosh zoosh zoosh*

Teevr gati me woh laal rang ka lohe ka cylinder udte hue Veer ke sarr ko phodne ke liye aaya.

[Maaaasttterrrrr!!!!!!]

Veer palta.

Fire extinguisher ke aate hi usne apne baaye haath se usse pakda aur,

"Haaaarrrrrghhhh!!!!!!"

Khud ko 360° turn me ghumaate hue usne force ka istemaal kar fire extinguisher ko Crimson ki orr hi aim kar phek diya.

*Ding*

[Hawkeye]

Extinguisher zorr se udta hua Crimson ke muh ki orr aaya ki tabhi,

Achanak hi slippery floor ke chalte uska perr fisla, woh peecha ko jhuka aur,

*Whooosh*

Extinguisher uske sarr ke upar se nikal gaya.

Aur peeche jaake zorr se andar rakhi office table se bhid tezz awaaz ke saath gira.

Crimson ki aankhein iss baar feli hui thi.

Usne rukte hue Veer ko dekha. Aur fir agle hi shan uski daraavni muskaan aur zyaada badh gayi.

"Nice Aim!"

[Whaaaatttttt!!!??]

Idhar Pari ke saath saath Veer ke bhi hosh udd gaye.

'P-Pari!!??'

Hawkeye miss ho gayi?

Aaj tak Hawkeye se kiya gaya vaar miss nahi hua tha. Lekin aaj Crimson ne uski Hawkeye ko chakma de diya.

[This is bad!!! Master! Ya toh usne koi skill use ki hai, ya fir fast reflexes ke chalte wo dodge kar paaya. Ya fir simply luck ki vajah se uska perr fisla aur bach gaya.]

'That's…!'

[Oh no! Usse hamari Hawkeye ke baare me andaaza lag gaya hai. Master jaldi!! Runnn!!!]

Veer corridor ke antim chhorr par hi khada tha. Usne na aav dekha na taav.

Seedha seedhiyo ki railing pakad chhalaang maar di.

Parantu, Crimson bhi daud ke aake uske peeche peeche kood gaya.

Veer hawa me neeche gir raha tha. 6th floor, 5th floor, 4th floor.

4th floor ke saamne aate hi usne ek jhatke me railings ko dobaara pakda aur latke hue apne shareer ko fling kar woh uss floor ki seedhiyo pe aa gaya.

[Master? Ye 4th floor hai. 3rd nahi!]

'Agar 3rd pe jaunga, toh Ava waha hogi. Mein musibat ko aur leke waha nahi jaa sakta. I'll have to deal with him here!'

[Ah! Right! Yes!]

Uske achanak se upar chadhne ke kaaran Crimson ek floor neeche ko chala gaya.

3rd floor ki railings usne pakdi aur kood ke seedhiyo pe aaya. Veer ka peecha karte karte woh 4th pe chadha.

Waha aate hi Veer uske saamne khada tha. Na hi woh bhaag raha tha aur na hi kuch keh raha tha. Uski aankhein poori laal hoke focused thi.

Crimson (smiles) : Tumhara peecha karte hue jo adrenaline rush mein mehsoos kar raha hu. Woh extraordinary hai Veeeeerrr!!!!

Veer ke dil ki dhadkane tezz ho rakhi thi. Aaj tak usne logo ko chase kiya tha. Ye pehli baar tha jab koi usse chase kar raha tha aur woh bhaag raha tha.

Ek bhayanak darr baitha hua tha uske andar. Darr yaha haarne ka aur Ava ko khone ka.

'Kuch bhi ho jaaye…! I cannot lose here! Miss Ava ko yu hi nahi kho sakta mein…! I promised her!'

[K-Kaash hum alley me na gaye hote.]

'Galti meri hai Pari! Mein hi unhe leke gaya tha. I'm the one who is responsible.'

[N-No master! Please! Khud ko blame mat dijiye. Hume kya pata tha ki waha aisa kuch achanak se ho jayega.]

'It's my mistake Pari!'

[N-No! Subah se hi sab kuch smoothly ho raha tha. Kahi koi dikkat nahi gayi thi. Koi enemy show nahi hui thi. Aur hum confident the apni skills par isliye Ava ki khushi ke liye aap usse leke gaye the. But suddenly-]

Veer mann hi mann muskuraaya.

'Isliye toh kaha mene ki ye meri galti hai Pari!'

[No! That's-]

'And I accept it. Isliye…! Ab uss galti ko fix karne ki zaroorat hai.'

Mutthi kas usne agle hi pal ek martial art stance liya.

Crimson (smiles) : Ohhh!

Veer : Come then!

***

Udhar Veer aur Crimson apni pehli bhidant me lage hue the toh yaha Vegas me Suhana idhar se udhar tension me tehel rahi thi.

Uske saamne hi do aur aurte sofe par baithi hui thi.

Ashita aur Divya.

Divya : Kab tak tehelti rahogi aise haan?

Ashita : Right! Doctor ne tumhe rest karne kaha hai na? Ye faaltu me kyu chal rahi ho?

Divya : Aur baat kya hai? Aisa kya bata diya Prakash uncle ne jisse sunn tum itni tension me aa gayi?



cbb7de523becbff952eddb817fe2b77e

Apni bauhe sikode Suhana kisi soch me doobi hui thi.


15a5a6c4394719d76323b34773cbacb3

Kuch din pehle Prakash Uncle ne uske kaan me ek khabar di thi. Jisse sunn woh thoda taajub zaroor hui thi lekin utna nahi ki chinta me aa jaaye.

Par aaj fir unhone ek khabar usse sunaayi thi. Aur isse sunn, uska chinta me jaana swabhaavik tha.

Divya : Kuch kaho bhi! Kya hua? Business loss hua kya?

Suhana ne naa me gardan hilaayi.

Divya : Toh fir? Periods? Agar aisa hai toh mein kuch tumhare liye accha sa khaana order karwati hu ruko-

Suhana : No! You idiot!

Divya : Ehh!? Toh fir kya hua?

Ashita : Husband se jhagda?

Suhana : Nahi!

Divya : Toh?

Suhana (sighs) : Mene tumhe uss din kuch bataya tha. Yaad hai?

Divya : Kya?

Suhana : Ava ke baare me.

Divya : Oh! You mean uske Paris jaane ki baat? Haan! Mujhe yaad hai.

Suhana : Mujhe Prakash Uncle ne hi bataya tha. Aur mein bas thoda surprised thi. Lekin aaj-

Divya : Hmm?

Suhana : Mujhe khabar mili hai ki Veer bhi Paris gaya hua hai.

Divya : Ohhh! I see! Toh ye baat hai!

Suhana : Huh?

Divya : Ye toh hona hi tha.

Suhana : What do you mean?

Divya : Ava ka call mere paas aaya tha Suhana. She wanted my help. Lekin mein yaha busy thi. Toh aise me uske paas Veer hi ek option bacha. Isme koi taajub ki baat nahi ki Ava ne usse bulaaya hoga.

Suhana : T-Tum jaanti thi?

Divya : Nahi! Mein ye nahi jaanti thi ki woh fir Veer ko bulayegi.

Suhana : Lekin aisi kya zaroorat pad gayi usse Veer ki?

Divya : Uska kehna tha ki woh khatre me hai. Shayad isliye Veer ko hire kiya hai usne. She knows Veer is capable.

Suhana : That…! That stupid Veer. Woh chala bhi gaya? Akele!! Bewakoof hai kya?

Ashita : H-Hey ek minute! Yaha kiski baat ho rahi hai? Kaun Veer?

Divya (smiles) : Suhana ka pyaara lover.

Suhana (blushes) : Shut the fuck up!!! K-Koi lover nahi hai woh mera. For fuck sake I'm married. Don't talk rubbish.

Ashita : W-Wait! Why are you blushing?

Suhana (blushes) : Wh-Who's blushing? Shut up!!!

Ashita : Nahi nahi! I can see it. You are blushing. Tum baakiyo ko bewakoof bana sakti ho mujhe nahi. Hmm! Veer huh? Toh hubby ke alawa bhi koi hai. I knew it!!! Tum kisi se mili ho. Kahi ye wahi toh nahi?

Suhana : Y-You-!!! Stop it!

Divya : Pfft~ Hahahahaha!!! C'mon Suhana! Tumhare chehre pe likha hua hai. You are tensed about him.

Suhana iss baat se anjaan thi ki woh kitni parvaah karne lagi thi Veer ki. Divya ke kehte hi usse abhaas hua.

Suhana : I…! I was just-

Divya (smiles) : Hey! It's okay! Mein to abhi apni investigation chhor ke nahi jaa sakti kahi. But-

Suhana : I see!

Woh kehte hue baahar ko nikal gayi. Aur usne turant hi Prakash Uncle ko phone lagaya.

Prakash : Ji kahiye Miss! Kya baat hai?

Suhana : Paris me humare paas kitne resources hai?

Prakash : Hein?

Suhana : Mera matlab waha par kya kya hai hamara?

Prakash : Ohh! Kaafi kuch hai Miss. Ek ghar available hai. Usme caretaker bhi maujood hai. Transport ke liye 1 car, 2 bikes aur ek personal chopper bhi available hai. Agar aap samudri safar karna chaahti hai toh uska bhi band-o-bast ho jayega.

Suhana : Ohh!

Prakash : Iske alawa hamari 3 badi business partnership bhi hai waha. Kuch kaam tha kya?

Suhana (gehri saans lekar) : H-Haan! Uncle! Ghar se leke transport sab Veer ko available karwa dijiye. Woh wahi par hai.

Uski baat se Prakash hairat me reh gaya.

Prakash : Umm…! V-Veer? Woh ladka?

Suhana : Haan!

Prakash : Ji theek hai. Bura na maane toh ek baat puch sakta hu?

Suhana : Yahi na ki mein usse ye sab kyu de rahi hu?

Prakash (nods) : Jii!

Suhana (smiles) : Mein khud bhi sure nahi hu.

Prakash : Huh?

Suhana : Aap jaldi se ye karwaiye. Rakhti hu!

*Call ends*

Call cut karke usne ek raahat ki saans li.

'Mujhe laga hi tha ki mein phir kisi kaam me fass jaungi. Accha hua Sonu ko mene jaldi aane ka promise nahi diya. Looks like mujhe yaha se nikalna hoga jald hi!!!'

***

Veer iss baat se pare ki uske liye koi soch bhi raha hai aur madad bhi karna chaah raha hai, yaha Crimson se ladne me laga hua tha.

Powerful punches aur Swift kicks ko jhel jhel ke, toh kahi unhe deflect kar woh jaise taise apne perro par ab tak sthir khada hua tha.

Lekin uski haalat kuch theek nahi thi. Jagah jagah choto ke nishaan jhalak rahe the. Toh wahi Crimson apni tip top condition me tha. Bas uske kapde kuch dheele se pad gaye the.

[What the hell is this? Abhi tak mein ek bhi skill trace nahi kar paayi hu. He's fighting just based on his stats?]

Veer haafte hue firse khud ko prepare kiya. Aur,

*Whhhoooosssshhhhhhh*

Dono apne sthaan se gaayab hue aur takraar karte hue dono ke punch ek dusre ki mutthi se jaa bhide.

*BAAAAMMMMMMMMM*

Crimson 2 qadam peeche hua toh wahi Veer uss impact se 6-7 qadam peeche ki orr chala gaya.

Crimson chillaate hue bhayanak speed me aage aaya aur punches aue kicks ki barsaat usne shuru kar di.

Veer acrobats ke chalte kuch vaaro se bacha toh kuch usne wahi rakhi cheezo ko utha ke khud ko defend kiya par kuch uske shareer pe aake pade.

*Powwwwwww*

Ek aake seedha uski chaathi par pada.

"Urrrghhhhh!!!!"

Usne Crimson ko dekha. Woh apne chehre par haivaano waali muskaan liye hue tha.

Achanak hi Veer ke sthir perro ka balance dagamagaya aur,

Iss se pehle ki woh ubhar paata, ek laat uske pait par aake padi aur Veer,

*Craaaaaaassssshhhhhhhhh*

[Noooooooooo!!!!!]

Veer building ke chhor par lage kaanch ko todta hua baahar gira. Hawa me glass ke tukde bikhar gaye.

Force itna tezz tha ki woh neeche girte hue next building ki 3rd floor ke kaanch ko todta hua andar crash ho gaya.

Ek building se dusri building me Crimson ne usse ek laat se pohucha diya.

*Bwuah*

Muh se achanak hi uske khoon nikla.

[Internal bleeding??? N-Nooo!!!]

*Cough Cough*

Sahi samay par usne turant hi Beowulf's Blessings ko switch kar Bone Reaper laga liya tha. Warna uska ribcage andar hi toot ke bikhar gaya hota.

Woh haafte hue khud ko sambhaala aur uthne ki koshish karne laga, jab peeche se fir ek awaaz aayi.

"Time to say goodbye Veeeeerrr!!!!"

Aur fir,

*Booooooooooooooommmmm*


giphy-6

Zorr se ek dhamaka hua.

Building se building ko tehes nehes karte hue ek missile nikli.

Buildings ki lights dhamaake se apne aap toot foot ke band ho gayi.

Jo bhi log andar maujood the. Woh ya toh turant hi dhamake me dardnaak maut maare gaye ya ghaayal ho gaye.

Aur agle hi shan poore ilaake me hahakaar mach gaya. Cheekhe goonjne lagi, log idhar se udhar afra-tafri me bhaagne lage.

Police jo ab tak neeche sadak par gangs se deal kar rahi thi unhe samajh aaya ki ye kitni badi aapda thi.

Toh wahi second floor par maujood Chris, Terashima aur Andre zordaar hue dhamaake se apna balance kho ke zameen par gir pade.

Teeno hi bhayankar ghabraahat me the. Woh ground floor aur first floor ko explore kar ke abhi second floor par aaye hi the jab ye ho gaya.

Unhe saamne ka nazaara saaf saaf dikhayi de raha tha.

Chris (shivers) : This-!!!!

Terashima ne kaanpte hue turant hi apne ear piece par haath rakha aur contact kiya.

Terashima : Reinforcements!!!! Nowwwww!!!

Andre : R-Rocket Launcher? W-Woh ek rocket launcher tha hai na?

Chris : H-He fucking killed them. M-Mein isse nahi chhorunga.

Terashima : Quick!!! Discussion ka time nahi hai hamaare paas. Move faaastttt!!!

***

Dhamake ki bhanak aas paas ke chhetro me bhi lag gayi. Media reporters ke saath saath baaki log bhi turant hi apni apni coverage ke liye recording shuru kar diye.


giphy-7

Toh wahi police aur adhik maatra me apni cars me siren bajaate hue ghatna sthal par pohuchne lagi.

Kisi ne fire fighters ko bhi inform kar diya tha. Lagi hui aag ko bujhaane ke liye wo bhi nikal pade the.

Aur yahi kuch kilometres ki duri par DGSI (The General Directorate for internal security) me ek alag vartalaap chal raha tha.

France ki security agency me se ek thi ye agency jo country ke internal activities se deal karti thi.

DGSI ke head Xavier saari details ko sunn' ne ke baad bhaiyankar gusse me khade hue the.

Head Xavier : Bheji gayi footage se ek arrest warrant jaari karo.

"Yessss Sirrr!!!!" Wahi se awaaz aayi aur kuch log kaam me lag gaye.

Head Xavier : Terrorism ka case ghoshit karo isse. High alert ki warning de do sabhi agencies aur police ko.

"Yessss Sirrr!!!"

Head Xavier : Jo jo agents puraane cases me lage hue unhe issi waqt inform karo aur kaho ki sab kuch chhor ke iss case par focus kare. Baaki sab abhi ke liye halt kiya jaa sakta hai.

"Okayyy Sirrr!!!"

Head Xavier : Dead or Alive ka warrant hona chahiye. Kisi bhi keemat par woh bach ke nikalne na paaye. Warrant ko harr police station, agencies aur news media me bhej do.

"Right away Sirrr!!!"

Head Xavier : Media se contact karo aur ye bhi kaho ki janta high alert me rahe aur ghar se baahar na nikle. Blast waale area ko jald se jald khaali karwao. Ask the police for help.

"Yessss Sirrr!!!"

Head Xavier : Agent Chris, Terashima aur Andre ko satark rehne ke liye kaho. Bina reinforcements ke wo akele aage na badhe.

"We got it Sir!!!"

Tabhi waha Police ka ek senior officer aaya aur Xavier uske saath andar cabin me chale gaye.

***

Idhar dhamaake ke baad Veer ne khud ko uthaaya.

Uske upar ceiling ke kuch bade tukde gir chuke the.

Unhe alag kar woh khaaste hue utha.

[Maaastteeerrr!!! Aap theek ho na?]

'I'm fine Pari!'

[Ye aadmi paagal hai Master. Usne ek baar bhi nahi socha rocket launcher fire karne se pehle. H-He killed people.]

Veer ko ab abhaas ho gaya tha ki woh ek bohut bade potential khatre me tha.

[Also Master!!! I have discovered one of his skills.]

'Huh?'

[Punch maarne ke baad jaise hi aapne uski aankho me dekha tha. Aapka balance dagamaya tha. Right?]

'That's right!'

[He's using Vertigo Master.]

'Vertigo?'

*Ding*

[Skill : Vertigo

Description : Induces confusion, disorientation and loss of balance when looked into the bearer's eyes.]

'So that's what happened. Good job Pari.'

[Look for Ava Master!!!]

Veer utha. Usse neeche se logo ki cheenkhe aur shor-sharaba sunaayi de raha tha.

Usne waapas se building ki orr dekha jaha se woh gir ke iss nayi building me aaya tha.

Crimson chup chaap wahi haatho me rocket launcher liye khada tha.

[I hate him so much!]

'Rocket launcher? Kahi issi ne Slogan ko toh nahi supply kiye the weapons?'

[Ho sakta hai Master.]

Crimson kood ke Veer ki building me jaata ki iske pehle hi,

*BANG*

Ek bullet kahi se shot hui aur uske sarr ke chithde udaane ko aayi. Lekin tabhi usne fraction of second me apna sarr hata liya.

Uski aankhein achambhav me fel gayi aur usne alag disha me dur dekha.

Veer aur Pari bhi hairaan the. Koi dur se Crimson ko maarne ki koshish kar raha tha.

Par Pari aur zyada hairaan Crimson se thi.

[H-He dodged a bullet!!?? Aur wo bhi blind spot me fire ki hui bullet? Aapki Hawkeye ko bhi-!!! Akhir wo istemaal kya kar raha hai?]

'I don't know!'

Crimson ne Veer ko dobaara dekha aur unchi awaaz me bola,

"You are lucky Veeeeer!!! Kuch pal aur jee lo apni zindagi ke."

Itna bol woh waha se turant hi nikal gaya.

Veer fatafat waha se neeche jaane ke liye hua tabhi,

*Ding*

[Mission location upgraded.]

[Location : Red car at parking.]

'Fuuuccckkkkk!!!'

Ava pakdi jaa chuki thi.

Veer apni tezz dhadkane liye waha se neeche aaya.

"Avaaaaaa!!!!"

Woh usse pukaarte hue parkinge dekhne laga. Par tabhi sadak par usse laal gaadi tezz raftaar me jaati hui dikhaayi di.

'N-Noooo!!! Damn it!!!!'

[Master!!! Jaldi!!! Koi car ya bike!!! We need it. Quick!!!]

Veer ne wahi khadi ek bike uthaayi jo kisi gang member ki thi. ON-OFF Switch ko khol usne jhat-se power socket ko hataaya. Aur turant hi 4 wires socket ko remove kar diya.

Uske remove hote hi Bike apne aap start ho gayi.

Acceleration dete hue usne speed me uss laal car ki disha me bike dauda di.

Lekin usse bhaagte hue Chris aur anya ne building se neeche aate waqt dekh liya.

Andre : He's escaping. Quick!!

Terashima : Jaldi!! Chris!! Car lao!!

Chris bhaagte hue Car ko laaya aur woh dono baithate hue Veer ke peeche chal diye.

Idhar Terashima ne turant hi kuch police force ko follow karne ko bhi keh diya.

Kul milaake, Veer ke peeche Chris, Terashima aur Andre toh the hi par Police force bhi peeche pad gayi thi.

Aur udhar Media ne jab Ava ko car me zabardasti logo dwara andar ghuswaate hue dekha. Turant ek sansani bhari khabar news me fel gayi.

"Famous Celebrity Ava was kidnapped by an unknown group of people."

Headline bann ke poore news channels me ye Breaking News bann gayi.

Ava ke fans chinta me aa gaye. Toh wahi glamour ki duniya me ek sansani mach gayi. Ava jaisi celebrity ka kidnap hona bohut bada matter tha.

Usse bachaane ki ek Chase shuru ho gayi.

Veer na jaane kitni baato se anjaan tha.

***

Aur idhar Vegas ke investigation department me tabhi France ki DGSI ki taraf se ek message aaya.

Investigation Department ke Head Nolan ne jaise hi woh sab padha. Woh apni kursi se uth khade hue. Aur turant ke turant hi unhone Divya ko apne cabin me bulaaya.

Jaha waha Paris me raat ho rakhi thi. Yaha Vegas me din ka samay tha.

Divya jaldbaazi me Suhana aur Ashita ko apne ghar par chhor ke department me aayi.


c2c1558923eb480b3fc67e7e96541b97

Divya : D-Did something happen!?

Nolan ne bina kuch kahe hi ek printout Divya ke haatho me thama diya.

Jab Divya ne uss print out par apni nazre dudaayi aur usme likhe hue content ko padha. Uski haalat kharab ho gayi.

Uske haanth kaanp uthe aur woh printout uske haath se chhutak ke table par gir pada.

'It can't be-!!!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 4.3k words. Apna apna kaam kar ke jaane ka bhai log. Like thokne ka aur revos rakhne ka. Tab tak ke liye,

Dhanyavaad! ✨
Mne 136 pe review ni diya tha... To usko bhul jana okay? :eyes2:

Ye update to mind blowing tha ekdum...
I Knew fight will happen. But at this scale? I was flabbergasted. Wo building destroy wala gif jo aapne use kia... That blew my mind. Tab ehsas hua ki fights ka level ab kya hone wala h... Aapne ye pehle bhi kaha tha ki samay k saath fights intense hoti jaengi... Now I see what you meant by that.

But crimson is scaring me. :mad2: What is his purpose? Leave Veer and Ava. Go fuck yourself somewhere else. :mad1:

Pari bhi tension me h... Ava kidnap ho gyi h... Veer ko publicly Terrorism ka apradhi bana dia h Paris walo ne... Veer kaise niklega in sab se? Use to pata bhi nhi h ki kya kya ho gya h... :sad:

Please someone help him :pray:
wo kon tha jisne crimson ko dur se fire kia? :monkahmm: Kya wo hamara ally h? Who else can help Veer right now?

Waiting for the new update. Keep writing sir as always. :love:
 

monster@23

I'm a devil of my word👿
65
190
33
yeh story baadshah a tale of debauchery 2013 me maine padhi nahi balki mujhse padhwaai gai thi
iske saath-sasth aur bhi story ke baare mataaya gaya jo adult thi (jisme se mai to nafarat karne wasli thi, bahut hi gandi, ghinouni, etc politician 2003-2004 Tak duniya ja sabse taskatwar insaan (powerfull) ban chukaa tha, aur saal 2012 aate aate duniya ke sabse powerfull insaan se kam se kam paanch (5x) guna aur powerfull ban chukaa tha usne apni taraf film-kasr sports person, politician party ke vibhinn desho ke president prime minister's ko, apne aur mere rishtedaar ko , aam samanye logo ko addi ityaadi ko apni taraf kar liya tha jaise movie captain America me hydra ke liye kaam karte the usi tareh weh saare log politician ke liye kaam karte rahe. Politician kisi-kisi maamle me lucifier rahaa hai ek tareh se logo manipulate karne me logo se negative kaam karvaane me, kisi-kisi mamle me Batman ki comic ka character joker rahaa hai), aur yeh is stories pe , in saari adult( ashleel) stories ko sach karne ke liye politician ne woh saare kaam kardiye, aur yeh bhi bataaya gaya yeh saari stories mere dwara likhwayi gayi thi duniya ke samaye anusaar saal 2000 ke samay jab meri age 15.5 year thi yaani 15 saal kuchh mahine aur saari adult stories meri marji ke khilaaf chhal kapat , dhoke se sex ki galat information bataa ke banwaayi , taaki us par sach karne ke liye politician (gandi ghinouni khelne waala politician) is par woh saare gande ghinoune, boore ashleel kaam karaa sake, politician ashleel kaam 1992 ke samay se karaata aa rahaa hai (matlab woh pehle se hi logo jaisi marji positive- negetive-porn(ashleel) kaam karwane ke liye jaana jata hai)
saal 2012-2013 Tak lagbhag poori duniya 90% jaan (known) chuki thi mere baare me, politician ke baare me, aur laakho logo ke baare ,

Dus saal pehle 2013 me yeh story baadshah a tale of debauchery mere se padvaai , uske ek din ke baad mere dimaag se (memory ) bhoola Diya Gaya , ab is baat ko gujre huye 10 saal (2013 se ab tak) ho gaye, dus saal ho gaye hai itni puraani baat Puri kahaa yaad rahegi. Jab meine yeh story ka do-teen update padhe, tabhi meri dimaag me yaad aaya yeh story pehle bhi padh chukaa hoon isme veer naam se pranjal naam se pranjal naam toh kabhi kisi ka hota hi nahi yeh mere dwara fake ( asi hi ulta sidha naam banaa diya) is story mujhe Jo-jo laga
Ki yeh hoga woh 60%70% hua ab tak kuch ko chhor kar, isme writer ne kuchh pherbadal kiye ho shaayad, pushkar crimson nahi hai theek hai, isse pehle mujhe lagaa tha slogan (Sanjeev) crimson hai jab tak veer slogan (Sanjeev) ka past nahi jaan paaya tha tab tak, magar us kiarra ke emotion kaise jagaata hai, woh toh theek tha na. Isme balhaar (character Jo underworld mafia slogan ka aadmi tha kucch samaye pehle ) jise veer ne head banaaya hai woh is story me aage chalkar veer ka ghulaam ban jaata hai , veer balhaar ki aur uske aadmiyon ki jaan Jaan bachaata hai aur uske do number ke dhandhe ko ek number ke dhandhe me tabdeel (convert) kar deta hai ( yahaa uske gair kanooni dhandhe band karwaa ke legali kaam khulwaa kar) . veer apne nek-dili se balhaar aur uske dil me apne liye khaas jageh banaa leta hai,


Is story me veer apne skill , stats badhata hai, Jo ki ab tak ke samaye science-technology dwara kaafi had tak achive(praapt) Kiya jaa sakta hai balki atleast 95% yeh saari qualities skill, stats haansil kiye ja sakte hai,

Wolf-blessing skill me jo wolf ki furti (agility) us ko chhorkar baaki saare achive kiye ja sakte hai, kisi ke marne ke baad uska saara past jaanna yeh impossible (ashmbhav) hai, kyunki marne (dead) ke baad to dil-dimaag sab kuchh band ho jaata hai. isme ab tak veer ki intelligence ke sath 150 Tak pahoonchi hai jabki ise jabki ise 10000 points Tak balki ise 20000 points Tak bhi pahoochaya ja sakta ha

Master-chef skill, martial arts skill, path tracker, general knowledge of internet, foreign language yeh sab prapt (achieve) kiye ja sakte hai,
dimaag me fit chip ke dwara ,
Is story me veer ka endurance 150 Tak hai jabki real world Kai logo 200 Tak Balki kisi-jidi ka usse bhi jyada Tak Hai jisme Mera bhi rahaa tha.

Sci-technology Aaj ki date me kaafi had bahut aage pahuch chuki hai duniya ke bahut se aam log isse anjaan hai.
Abe bhai jb tmne pehle parh li he to yaha kiya kar rahe ho nhi parho bhai koi aur story parh lo lakin yaha bakchodi nhi pelo humara suspense aur mood khrb mt karo
 
Top