- 589
- 1,292
- 124
pahle karan thelma ke mann ki nahi samjh paya tha. ab thelma nahi samjh paai.बढ़िया अपडेट, अब कहानी आगे अभी है कुछ, थेल्मा ने खुद ही सवा शेर पाल लिया लगता है अपने घर में।
next posted update me bohut kuch ha bhai. bohut se changes aur happy moments with twists hanपर मेरा अभी भी यही कहना है कि थेल्मा को जल्दी मरना नहीं। उसका किरदार बहुत जोरदार है, जिंदा रख कर कहानी में आगे बहुत सारे रोमांचक मोड़ आ सकते हैं।
Update:-21
A Few Sentences From The 20th Update.....
qile pohnche to main kamre me band ho gaya aur izora ke baare me sochne laga. wo masum ladki. uffffffff kya kuch nahi tha uski ankhon me... mere liye thelma ke liye... itni nafrat kyu uski ankhon me... itni aag, itna gusa, itni jalan..
fir mujhe izora ki ankhon me dard dikha... aahhh mera mann bechain hone laga. kisi masum ya kisi apne ka dard mujhe mere dil par mahsus hota tha. izora ka dard bhi mujhe mere dil par mahsus hua to main bechain ho utha. izora se, baba se milne ke liye mera mann machane laga. qile ke piche ke jungle me maine transmitter chhupa rakha tha. mann hua, ya to baba se mil aaon. ya fir transmitter se baba se baat kar loon. izora se kaise baat kar paaunga main abb. kis haal me usne mujhe dekh liya tha..
ufffff.. aisa to maine sapne me bhi nahi socha tha.. izora mujhe is roop me kabhi dekhegi. wo bhi thelma ke sath khule me..
Now Farward.....
Update:-21
main izora se milne ke liye bechain hone laga. izora ke liye itni bechaini kyu ?. izora na to meri patni ha aur na hi meri lover. fir uske liye itni bechaini.?. wo to bas meri ek achhi dost ha..
kya waaki me izora keval meri ek achhi dost ha. mere sath lipat kar sone wali izora keval meri achi dost hi to nahi thi. kuch aur bhi thi. kya thi.. shayad dost se kuch badhkar.. kaisi feelings aaya karti thi, jab wo mujhse lipat kar soya karti thi. kitna sukhad ahsas hone lagta tha uske paas hone se. mann chahta tha, wo har samay aise hi mujhse lipat kar soti rahe.
wahan se aate samay jo izora ke expression the, wo mujhe yaad aane laga. izora ko mera firse thelma ki orr laut kar aana pasand nahi aaya tha. thelma se jung kisi aur andaz se bhi ladi ja sakti thi. uske liye thelma ke paas jana zaruri nahi tha.
ohhh thelma se jung... haan main to thelma ko, uski gang ko khatam karne aaya tha. yahan firse uski chikni chupdi baaton ke jaal me ulajhne laga tha. kya waaki me thelma ki baaten is baar bhi fareb thi. mujhe thelma ki baaten, uska andaz, uski ankhon ki chamak, sab kuch yaad aane laga. main jhatke se uth khada hua aur kamre me tahalne laga.
doodh ka jala, chhaachh bhi phook phook kar peeta ha.. par main jala doodh hi nahi zahreela doodh bina jaanch kiye piye ja raha tha. ek bar firse thelma ke pyar me padne ja raha tha. ek bar firse uski baaton par yakin karne ja raha tha. izora ko sochta main firse thelma ko sochne laga. bechaini meri nas nas me bharne lagi. thelma kisi bhi surat aitbar karne layak nahi ha. zarur is baar bhi wo mere sath chhal kar rahi ha. zarur jo bhi baaten usne mujhe batai han, wo mere jaise junglee ko ullu banane ke liye boli gai han. thelma mastermind ha aur mai ullu.. kya mai sach me ullu hon. pyar ka phooka hon, iska matlab ye to nahi ha ki main maha moorkh ban jaun. koi aise hi nahi mujhe moorkh bana sakta. pyar ke chakkar me main apni sudh budh kho baithta tha.
is dunya me rahne wale sabhi ek jaisa brain ya experience nahi rakhte. kuch ke brain ki power zayada to kuch ki kam hoti ha. jaise ki thelma. bahar ki padhi likhi, dhokebazo ke beech parwan chadne wali, trainned, mujhse kahin badhkar thi. kya waaki me thelma mujse badhkar thi, ya main khud ko kamtar banane me laga hua hon..bohut kuch soch raha tha main. bohut se faisle khud se kar raha tha main. izora se milne ki bechaini to thi hi. lekin thelma ko sochna bhi kam zaruri nai tha.
agle 3 din tak main qile ke andar hi raha. ek ek ko bade dhayan se dekhne samjhne laga. thelma se milta to pahle jaisa normal bankar milta. par mere andar bohut kuch chal raha tha. baba ne meri ankhon me jaane kya bhar dia tha, thelma ya koi bhi meri ankhon se mere dil ka haal nahi jaan sakta tha. yahi kuch to thelma aur sabki ankhon me tha.
mera dhayan sabse zayada thelma ke sathiyon par tha, jo surat se hi maha criminals dikhai dete the. thelma ka mission sacha tha to fir in logo ka kya kaam. thelma kam ke liye to achhe log sath rakhe jate han, na ki ghatiya log. aise hi meri khoj jari rahi. ek baar thelma kisi aur kamre me bethi laptop par kuch kam kar rahi thi. jab wo uth kar gai to mai laptop utha kar dekhne laga. laptop ka mujhe kuch aata jata nahi tha. thelma wapis aai, mujhe laptop me ghusa dekh ghabra gai. aur jhat se laptop mere hath se le lia.
yahan generator se bijli ki zarurat ko pura kia ja raha tha.
karan:- main dekh raha tha, isme koi game shame bhi ha khelne ko. suna ha laptop me games bohut badhiya badhiya hoti han.
thelma pahle to meri ankhon me ghoor kar dekhti rahi. fir hasne lagi. mujhe shak to uspar shuru se hi tha. ab yakin hone laga. thelma mujhse bohut kuch ab bhi chhupaye hue ha.
thelma:- game khelni thi to mujhse kah dete
karan:- chalo ab kah deta hon, lagao koi badhia si game.
thelma mujhse laptop ke use baare puchne lagi. aur main to is baare kuch janta hi nahi tha. thelma ko kya batata. thelma hasti hui mujhe laptop bare kuch kuch batane lagi. fir mujhe ek dusre laptop dia game khelne ko.
aise hi wo din bhi beeta.. sham ke baad
karan:- main jungle me jaa raha hon thelma
thelma heran hui:- jungle me kyu
karan:- tum to janti ho na mai junglee hon. jab tak jungle me na rahunga. chain nai milta. kitne dino se yahi hon. lagta ha, jaise kaid ho gaya hon.
thelma ne mujhe bahar jane se rok dia. par mai nahi ruka aur wahan se nikal gaya. mere liye raat ka andhera ab andhera nahi raha tha. isliye main ek bada khanjar liye jungle ki or nikal pada. main janta tha, jungle ke paas tak thelma ke guards night vision cameras se mujhe notice kar rahe honge. main aise hi jungle boy ke jaise jungle me ghumne laga. jab laga main thelma ke cameras ki hadh se nikal aaya hon to maine bhagna shuru kar dia. raat ke samay junglee janwar apne apne thikano par aram farma rahe the. main daudta hua baba ke paas jane laga. daldali khatarnak raste paatta main 2 ghanto me baba ke paas ja pohncha.
baba mujhe dekh bohut khush hue.
baba:- mai to samjha tha, tum transmitter par mujhse rabta karoge.
karan:- transmitter par bhi baat kar sakta tha baba. par main aapse izora se milne ko bechain ho utha tha.
baba:- izora to tumhe yahan nahi milegi. wo kai din se yahan par ha hi nahi.
main kuch udas ho gaya tha izora ke na mil pane ke kaaran
baba mujhe dhayan se dekhte hue:- kya baat ha karan. tum kuch udas se dikh rahe ho
karan:- han baba! main udas to hon
baba:- kya baat ha karan beta?
ab mai baba ko kya batata. mai khamosh hi raha.. baba ne fir pucha tab bhi main baba ko wo sach nahi bata saka, jo mere dil me tha. mai kuch aur bola
karan:- baba! pyar kya ha
baba muskura diye:- pyar sansar ha karan beta.
karan:- kaise?
baba mujhe pyar ka ek lamba lecture dene lage. jo kuch wo samjhte the, uspar apne vichar pesh karne lage. lagbhag wahi sab kuch tha baba ki zuban par jo mere dil me the, mere dimag me tha.
karan:- baba to fir thelma ke liye mera pyar bhi sacha ha.
baba serious ho gaye:- jahan chhal ho wahan pyar nahi hota karan beta. jahan nafrat a jaye, wahan pyar nahi rahta. thelma ne apne matlab ke liye tumse pyar ka dhong rachaya. jab uski haqiqat tumhare saamne khuli to wahi pyar nafrat me badal gaya. fir tumse jo hua wo tumne kiya. jo thelma se hua wo usne kiya. tum dono ek dusre ki jaan lene par utar aaye. aise me tum dono me pyar kahan ha. pyar to wo ha karan beta, premi ki ek nahi hazaron galtiyan maaf kar di jaati ha. premi jahan bhi, jis haal me bhi rahe, khush rahe. bass yahi aarzu hoti ha prem karne wale ki.
mere ek sawal par baba ne kaha..
baba:- aise to tum sadaiv cutputli bane firte rahoge. jiska jaise man chahega tumhe nachata firega. tum kisi ka bhi pyaar pane ke liye machalne lagte ho. aise me jo bhi matlabi insan ye jaan jaye, ki tum pyar ke bhooke ho, wo tumhara istemal karne ki sochega. tum bar bar dhoke par dhoke khate jaaoge, aur fir ek din aisa aayega. tum pyar ke naam par bidakne lagoge. pyar shabd sunte hi aape se bahar ho jaoge. karan beta, pyar is dunya ka sabse payara ahsas ha. jise har koi prapt karna chahta ha. main bhi usi ahsas ko paana chahta hon aur pa bhi raha hon.
karan:- baba sacha pyar kaisa jancha jata ha. sach kahun to main ek baar firse thelma ki ankhon me kho kar thelma ke jhute pyar ko sacha pyar samjhne laga hon. mujhe kahin se lagta hi nahi ha, is baar bhi wo mere sath chhal kar rahi ha.
fir main baba ko thelma ki wo baaten batane laga, jo usne mujhe bahar batai thi. baba sunkar chintit hue.
baba:- karan beta, thelma bohut khatarnak ladki ha. aate hi vibharu ko sath mila kar hinaru ko kaid me daal dia. tiku ke log sarkashi par na utarte to kabka sardar aur uske beton ko marwa chuki hoti. beta aurat ke kai roop hote han, sabse khatarnak roop uska naagin wala roop ha. jab jab aurat nagin roop dharti ha to kuch aisi bankar saamne aati ha, jise koi samjh nahi sakta. uska kam dasna to hota hi ha, par chhal kapat me koi uski barabari bhi nahi kar sakta. thelma bhi ek naagin ha karan beta. wo hum sab ko dasne aai ha aur dasegi bhi. dhire dhire tumhare sharir me itna zeher bhar degi, tum apne hi desh ke mausmu ke khilaf ho jaaoge. pyar andha bhi hota ha. jab hadh se badh jaaye to devta ka roop dhaar leta ha. ya fir deewangi ban jaya karta ha. pyar pavitr ho to devta, apavitr ho to insan ko moorkh bhi bana deta ha aur uski akal par parda bhi pad jata ha. jaise ab firse tumhari akal par parda padne ja raha ha. tum ek baar firse thelma ke pyaar me pad kar khud ki jaan lene par utar aaye ho. kya tum kabhi laut kar nahi jana chahte.
karan:- kyu nahi baba! main to ghar jaane ke liye bohut bechain hon.
baba:- thelma ne kya kaha tha jab tumne ghar jaane ki baat kari thi tab?
main baba ko batane laga
baba:- tum ab bhi nahi samjhe ho karan. wo tumhe tab tak ghar nahi jane degi, jab tak tumhe andarse puri tarah jakad nahi legi. fir tum bahar gaye bhi to usi ke paas laut kar ane ke liye bekarar rahoge.
baba ki baat sahi ha.. thelma ne bhi mujhe jaldi ghar laut jane ka koi ishara nahi dia tha.
karan:- baba mai akala yahan se nahi nikal sakta kyaa.
baba:- jis raste se thelma apni gang ke sath aai ha, wahan par vibharu aur thelma ke admi ek sath pahdedari kar rahe han. wahan se ek akela ka nikal pana asambhav ha karan beta. hinaru sardar ban gaya to wo rasta khul jayega. fir tum laut kar ja sakte ho.
baba se aur bhi bohut si baten hoti rahi. ek samay par maine baba se kaha
karan:- baba! jaise aapne meri ankhon ka rang badla ha, aise hi mere dil ke bhi badlav laaye ja sakte han
baba hasne lage:- dil ke rog ka ilaj jaise pure sansar me nahi hota ha, aise hi tumhare dil ka koi bhi ilaj nahi ha mere paas.. haan par tum dunya ko puri trah se samjh jaaoge to tumhara dil tumhare bass me aa jayega.
kaise aayega?
baba mujhe vistar me samjhane lage.
wo raat maine baba se baaton me bita di. agli subah maine baba se pucha izora se mai kaha mil sakta hon.
baba:- isi jungle ki poorvi disha me ek talab ha, us talab se kuch aage ek gufa ha, wo gufa bohut badi bhi ha aur pavitr bhi.
karan:- baba mai chalta hon.. izora se milke mujhe wapis bhi jana ha.
baba ne mujhe duaen deen aur main wahan se nikal pada.
dedh ghante me main gufa ke andar tha. gufa me guste hi mujhe izora ke dono sher dikhai diye. pahle to wo mujhe dekh mujhpar jhapat padne ke liye tyar hue. fir jaise mujhe pahchana, shant ho gaye.. main pahle to dar gaya tha, fir hosla karte hue dono ke sar par hath ferta aage badhne laga.
gufa kya thi, aisa lag raha tha, jaise ise hathu se tarash kar khaas tuar par rahne ke liye banaya gaya hon. raste khule the kai jaga gufa ko kaat kar kamron jaise shape tayar ki gai thi.
ek hi ek kamre me mujhe izora pathar ki slat par leti dikhai di. yahan andhera bohut kam tha, roshni jaane kahan se aa kar is area ko roshan kar rahi thi..
izora ko dekhne par pata chala, izora lambe lambe patto ka bistar banaye leti hui chhat ko ghoore ja rahi thi.
main izorz ko dekhne laga. kitni verani thi in ankhon me. kitna dard, kitna akelapan dikha mujhe in ankhon me. pathrai ankhen jo chhat par jane kya talash kar rahi thi. main kuch der usay dekhta raha. fir izora ke bandar ne cheekh kar izora se kuch kaha. izora hosh me aai aur apne bandar ko dekhne lagi. sath hi jaise usay andaza ho gaya, wahan koi aur bhi ha, wo sar ghuma kar mujhe dekhne lagi. mujhpar nazar padi to uski veran ankhon me jugnu chamakne lage. wo jhat se us pathar jaise bed se utri aur speed se mere paas aane lagi. kushi hi itni uski ankhon se phoot rahi thi.
mere paas pohnchti, jaise usay kuch yaad aaya. jitni speed se meri orr wo badhi thi, utni hi speed se wo ruk bhi gai. udasi firse uski ankhon me utar aai. dono hathu ki ungliyon ko ek dusre me phasaye uljhane lagi.
karan:- izora
karan aage badha aur izora ke karib ja pohncha. izora sar jhukaye khadi thi
karan:- izora tumhara ye ghar bohut sundr ha.
izora ke chahre par mujhe kuch chamak dikhai di. izora kanpti palkon se mujhe dekhne lagi.
karan:- mujhe bethne ko nahi kahogi izora
izora:- aao
izora usi pathar ki orr ishara karti hui boli..
ek baat thi, wo ye ki main jab se yahan aaya tha, mujhe aisa mahsus ho raha tha, jaise ye gufa is dharti ka shanti pradan sthan ha. itna anand prapt ho raha tha mujhe. main bata nahi sakta. aise jaise ye koi pavitr sthan ho.
mai beth gaya izora khadi rahi...
karan:- izora tum bhi betho na.
izora khud ko sambhalti hui mere sath beth gai
izora:- karan tum yahan tak kaise aaye. tumhe kisne bataya, main tumhe yahan milungi.
karan:- baba ne bataya mujhe. tumhe acha laga mera yahan aana.
izora meri ankhon me dekhti khushi se boli:- mai bata nahi sakti, tumhe yahan dekh kar main kitni khush hui hon. mujhe yakin hi nahi aa raha, tum is gufa me mere saamne ho.
maine izora ka hath thaam liya:- izora main us din ke liye tumse sharminda hon. maine socha nahi tha ki tum mujhe kabhi us halat me dekhogi.
izora ka chahre rang laal padne laga. wo sar jhuka gai. uska ang ang jaise kanp utha tha sharam ke kaaran.
izora:- mai abhi aai
izora uthi to maine uska hath thaam lia
karan:- kaha ja rahi ho
izor lajati hui:- karan mai abhi aai, tum mere ghar aaye ho, mai tumhare liye kuch laati hon.
maine izora ka hath chhod dia. bandar ab mujhe tukar tukar dekh raha tha. mai izora ke is roop par heran tha. mai to samjha tha, wo mujhse khafa hogi. mujhse ladegi, mujhe sunayegi, thelma ke sath maine wo sab kyu kiya, is baat par wo mujhse ladegi.. par aisa kuch nahi hua tha. fir socha shayad wapis aane ke baad woh ladegi.
main jis ghaas par betha tha. wo bohut hi lacheekli thi, na thandi na garm, uspar bethne ka bhi ek alag hi maza tha. main ghaas par hath ferne laga. mujhe aisa karne me bhi maza aa raha tha.
fir mere kaano me kisi ke rone se ubharne wali siskiyan padi to main chaunk gaya. yahan sivaye izora ke koi aur nahi tha. matlab bahar deewar ke sath kar khadi izora ro rahi thi. par kyu? main bada heran hua. izora jaisi ladki rona bhi janti thi. main izora ke paas jane ke liye utha. jaisa hi main khada hua meri nazar saamne deewar par ja chipki..
wahan mujhe meri zindagi ka sabse heran kar dene wala drshy dikhai diya. deewar par keval do ankhen dikhai de rahi thi. un do ankhon ke siva deewar par kuch aur nahi tha. na koi chahra tha, na hi sharir ka koi aur ang dikhai de raha tha. kuch dikhai de raha tha to keval dunya ki haseen tareen ankhen dikhai de rahi thi. kitni kashish thi in ankhon me. main un ankhon me doobne laga. main khud ko bhulne laga. un dono ankhon se bah rahe ansu mere tip tip neeche gir rahe the. un ansuon ko dekh mera dil tadap utha. main mantramudgh chalta hua un ankhon ke karib ja pohncha. paas se dekhne par aisa laga, jaise main in ankhon ko pahle bhi kahin dekh chuka hon. kahan??.. ye mujhe samjh nahi aa raha tha. main shayad un ankhon me khoya sammohit ho chuka tha. mujhe kuch aur dikhai dena band ho chuka tha. wo ankhen bhi meri ankhon me ghusi jaise mere dil me utar rahi thi. jaise un ankhon se ansu bah rahe the. waise hi jaane kyu mere dil me inteha ka dard uthne laga. mera dil bhi rone laga. kitna dard tha in ankhon me, aahh ye kiski ankhen thee. kyu ye ro rahi thi. kyu inka dard main apne dil me mahsus kar raha tha.
kya ye koi sapna ha.? mere mann me sawal ubhra.
"nahi! ye koi sapna nahi ha mere preetam. main haqiqat hon mere preetam"
sisakti dard bhari awaz mere andar goonji to main heran rah gaya. main mantramudgh tha, sammohit tha, warna jhatka khaa kar gir jata. is sab ke bawajud awaz ki mithas is kadar thi, mera andar tak mahak utha. dard itna tha, mera dil tukde tukde hokar bikharne laga.
ye kaisa maya jaal ha.? kon ho tum.? ye sab kya ha.? tumhari ankhen hi kyu dikhai de rahi han.? tum khud kyu nahi dikhai de rahi.?
aise kai prashn mere mann me aane lage.. ab tak main jin ankhon me khoya hua tha, ab aisa lag raha tha, mere saamne maujud do ankhen mere wajood me utar aai hon.
ye maya jaal nahi ha mere preetam! main kon hon, nahi bata sakti mere preetam! sadiyon se tumhe paane ke liye tapasya me leen hon mere preetam! dikhai isliye nahi de rahi, itna adhikar mujhe prapt nahi ha mere preetam! MAA BHAVANI ki agya milne par main yahan is pavitr gufa me tumhe dekhne, tumse milne aa gayi mere preetam! sadiyon se ye ankhen tumhe dekhne ke liye taras rahi thee mere preetam! tum yahan khud se nahi aaye, tum yahan laaye gaye ho mere preetam!
ek ek shabd me mere liye aseem mithas, pyar, tadap sab kuch tha. mai jahan andar se jhoom utha tha, wahin dard se tadapne bhi laga tha. mera in ankhon wali se kya rishta tha, main jaan nahi paya tha. par itna samjh gaya tha, mera isse koi bohut hi gahra aur purana nata ha. shayad sadiyon purana nata.
"haan preetam hamara nata sadiyon purana ha!. preetam mere ansu hatheli me bhar kar apni ankhon me utaar lo"
"aisa kyu"
"maan lo preetam! mere jaane ka samay bhi ho chuka ha preetam! alvida mere preetam! MAA BHAVANI jald hi humen milayegi! jaisa kaha ha, vaisa hi karo preetam! der na karo preetam!"
mujhse door hone wali baat par kitna dard utar aaya tha uske svar me.. firse milne ki umid par kaise uska awaz gunguna uthi thi.
maine der nahi kari aur un ankhon se tapak rahe ansu apni hathiyon me lekar apni ankhon me utar diye.. ye sab main automatic system dawara kar raha tha. mera khud par akhtiar nahi tha.
jaise hi ansu meri ankhon me utre. aisa laga, jaise velly ke bahar ki thandak meri ankhon me utar aai ho. thandak bhi aisi jo meri ankhon me aseem rahat utaar rahi thi. aisa ahsas tha, jise shabdo me paroya nahi ja sakta tha.
dono roti sisakti ankhen gayab ho gai..
meri ankhen band hoti chali gayi. mujhe nind aane lagi. main khade khade khud ko bhulta hua nind ki dunya me ja pohncha. aisa mujhe laga tha.
"karan! kya hua karan! tum so gaye kya karan! itni jaldi nind bhi a gayi tumhe karan!"
mujhe izora ki awaz sunaai di to main ankhen khol uth betha. dekha to mai izora wale pathar ke palang par tha. jispar lambi lambi lachkeeli ghaas maujud thi...
karan:- ohhh! pata hi nahi chala, kab main betha betha so gaya. kitni sukun bhari nind aai mujhe. aisi nind mujhe aaj tak nahi aai izora..
izora:- karan! ye is tiku ki sabse pavitr jaga ha karan. is jaga ke jaisa sukun pure tiku par kahin nahi ha. mai bhi yahan aa kar sab bhul jati hon. yahan aane ke baad mann me koi mel nahi rahta. kisi ke liye mann me kuch galat nahi aata. yahan kabhi koi galat na soch sakta ha, na kisi ke sath kuch galat kar sakta ha.
fir izora chaunkti hui boli:- arre! ye tumhari ankhen ekdum se gahri sabz kaise ho gai..
main ab tak un do ankhon ke baare me sab kuch bhool chuka tha. bhool chuka tha, un do ankhon ne mujhse baaten ki thi. un do ankhon ne mujhe apne ansu meri ankhon me utarne ko bol dia tha.
karan:- hahaha.. kaisi baat karti ho tum izora. bhala meri ankhen ekdum se kaise change ho sakti han.
izora:- main sach kah rahi hon karan. tumhari ankhen pahle halki sabz thi, ab gahri sabz ho chuki han. aur ye gahra sabz rang tumhari ankhon ko aur bhi sundr bana raha ha.
main bhi is baar heran hua:- kya sach me meri ankhon ka rang gahra ho chuka ha.
izora:- mai jhut kyu bolongi tumse karan!
maine izora ki maan li. par mai heran tha, asia ekdum se kaise change aa gaya tha meri ankhon me. fir izora ne apne sath laaye kuch phal mujhe diye. bade hi meethe aur swadisht the phal. main aur izora milkar khane lage. bandar moh dekhta raha. main usay chhedte hue phal uske moh ke paas leja kar piche khench gaya.. izora zor se has padi.. bandar kalkari maarta hua mere sar par aaya aur mere sar ke baal pakad kar khenchne laga.
hum hasne lage. kuch der tak baaten bhi hoti rahi aur pet puja bhi. fir main aur izora bahar nikal pade...
bahar nikle to maine ekdum se izora ko kamar se pakad kar khencha aur apne seene se laga liya.. bandar meri is harkat par khi khi karke hasne laga. izora meri ankhon me dekhne lagi. fir nazren jhuka gai.
maine dhayan nahi dia tha, par main andar se bhi badal chuka tha. jaise hi gufa se bahar nikla, mere andar ka aaya badlav zahir hone laga. maine izora ko apne seene se lagaya to mujhe andaza hua, mere mann me ab pahle jaisi jhijhak nahi rahi ha.
karan:- izora meri taraf dekho na
izora sharam se laal hui mere seene par nazren jamaye rahi.
karan:- izora us din tumhe dukh mila tha na mujhe thelma ke sath dekh kar
izora dhime svar me:- mujhe kyu dukh hone laga. main tumhari lagti hi kya hon.
karan:- kuch nahi lagti ho tum meri.
izora:- main kyu kuch lagne lagi tumhari. tumhari sab kuch to wo kutiya ha na.
izora thelma ke liye zeher ugalti hui boli to main zor se has pada.
izora is bar meri ankhon me dehkne lagi. uski ankhon me narazgi thi. dono sher door khade humen hi dekh rahe the. main izora ko na dekh kar apne kandhe par aa bethe bandar se ko dekh bola
karan:- kyu minni! tumhari maalikan meri kuch nahi lagti.. bandar ajib se andaz me khi khi karta hua mere kandhe se izora ke kandhe par aaya aur meri ankhon me dekhne laga.
karan:- izora lagta ha, minni ko tumhara meri bahun me aana pasand nahi aaya.
maine izora ko chhod dia. izora ajib si nazron se mujhe dekhne lagi. mai firse hasne laga
karan:- hahaha. mujhe lagta ha, minni lasha, kasha humen ek nahi hone denge.
izora ekdum se bol padi:- tumse kisne kaha, ye humen ek nahi hone denge.
main izora ko niharne laga. izora jhepne lagi. maine minni ko pakda aur sheron ki orr phenk dia. firse izora ko gale se laga liya.. minni cheekhne laga to dono sher mujhe ghoor kar dekhne lage.
karan:- matlab tum dilo jaan se meri ho jana chahti ho.. kyu yahi baat ha na
izora kaanpti hui:- nn..nahi.. maine aisa kab kaha. main to.. wo to.. mai wo.. mai wo..
maine izora ka chahra pakda aur utha kar uski ankhon me dekhne laga.
karan:- izora kya tum mujhse pyar karne lagi ho.
izora nazren churane lagi
karan:- izora.. meri ankhon me dekho.. main manta ho, pyar ke maamle me main dusron se alag hon. kyu hon, ye bhi tum janti hon. bachpan se pyar ke liye tarasya aaya hon. aise me thelma ka pyar pakar main sab kuch bhul gaya tha. par ab main pahle jaisa nahi raha, mai badal gaya hon izora. sacha pyar kya hota ha, mai jaan gaya hon. thelma ka pyar mere liye fareb ha aur tumhara pyar mere liye ek sach.. haan izora main bhi tumse pyar karne laga hon. jaise tum mujhse pyar karne lagi ho..
izora buri tarah lajja rahi thi..
karan:- izora tum karti ho na mujhse pyar.
izora kuch nahi boli.. bas garam saanse mere seene par chhod rahi thi.
karan:- bolo izora tum mujhse pyar karti ho na
izora fir bhi khamosh rahi.
karan;- theek ha fir, mai thelma se hi pyar leta hon, tum to mujhse pyar karogi nahi.. maine izora ko chhoda aur usse alag hone laga. par izora ne meri shirt ko kas ke pakad liya tha. meri ankhon me dekhti gusa dikhai dene lagi.
karan:- kya hua, aise kyu dekh rahi hon.
izora:- mai us kutiya ko zinda nahi chhodongi. meri jaga lene ki koshish karegi to jaan se maar dungi main usay. cheer phaad kar rakh dungi, agar wo firse mujhe tumhare sath dikhi to... tum sirf mere ho, mere hi rahoge karan...
izora boli to fir khul kar bolne lagi.. main usay dekh smile karne laga.. wo firse sharmane lagi..
maine apni baahen uske gird kass leen..
karan:- chalo baba ke paas chalte han izora
hum sab baba ke paas jane lage. bandar kabhi mere kandhe par to kabhi izora ke kandhe par chadh jata. is bar hum dhimi chaal chalte hue ja rahe the. is baar der lagi..
baba mere sath izora ko dekh khush ho gaye..
baba:- karan beta, tumhari ye ankhen.. inka rang itna gahra kyu ho gaya
karan:- pata nahi baba. mujhe bhi izora ne hi bataya ha.
izora:- baba karan mere us khaas kamre me pathar ke bade palang par lette hi so gaya. maine uthaya to dekha karan ki ankhen gahri sabz ho chuki han.
sunkar baba jaise vicharon me kho gaye. main baba ko aur izora ko dekhne laga.. hum kuch nahi bole.. baba ne kuch der me mujhe dekha aur kaha
baba:- karan beta wo gufa devtaon ki khaas gufa ha. wahan sukun ka bhandar ha to pavitrta me bhi us ke jaisa koi sthan aur kahin nahi ha. wahan zarur kuch to hua ha tumhare sath. mujhe batao, kya kya mahsus kiya kar rahe ho tum khud me..
baba ki baat par izora bhi mujhe dekhne lagi. uske chahre ki masumiyat me adhik izafa ho chuka tha. kabhi wo bulbul dikhti thi to kabhi khunkhar billi..
karan:- baba main khud me kuch to badlav mahsus kar pa raha hon. par samjh nahi pa raha..
baba: fir bhi.. kuch to tum samjh hi gaye hoge.. jo bhi tum samjhe ho mujhe batav..
karan:- baba ek baat mann me aa rahi ha..
baba:- kyaa?
karan:- aisa lagta ha, jaise ab koi mujhe dhoka nahi de sakega. agar koi mere sath chhal karne ki koshish karega to main wo jan lunga.
baba khush ho gaye:- yahi tumhari sabse badi kamzori bhi thi karan beta. zarur devta ne tumhari in ankhon ka rang badal kar tumhe koi shakti daan kar di ha. mai pahle bohut chintit tha karan beta. pyar ko tarse hue tum, pyar paane ke liye bar bar dhoke par dhoka khaate aaoge. main samjh raha tha, shayad tumme ye badlav jald na aa sake.. ya shayad kabhi aa hi na sake. par devta ne tumhe shakti daan kar di... mujhe yakin ha karan beta, ab thelma ya koi bhi tumhare dil se khel kar tumhe dhoka nahi de sakegi..
karan:- baba maine ek kaam aur bhi kiya ha.
baba:- kyaaa.?
main thelma ko dekhta hua:- baba main aur izora ek dusre se pyar karte han. maine izora se apne pyar ka izhaar bhi kar dia ha. mujhe izora ki ankhon me apne liye sacha pyar dikha to maine bol dia. kuch der ki na nakur ke baad izora ne bhi haan kah dia.
baba khush bhi dikhe aur chintit bhi.. izora mujhse kuch hati sharam se dohri hone lagi. uske chahre ka rang ek baar firse laal padne laga tha.
baba kuch der khamosh rahe.. fir bole:- ye sahi nahi hua karan beta.
mai heran hua:- kyu baba. maine koi paap nahi kiya ha. pyar kiya ha. aur aapne hi to kaha tha, pyar sansar ha. pyar se badhkar is dharti par kuch nahi. aur sache pyar ko paaye bina mai rah bhi to nahi sakta. izora mujhse sacha pyar karti ha baba.
baba dukhi hote hue:- karan beta tumne sahi kaha.. par tumhe wapis laut kar bhi to jana ha na.. ya umar bhar yahi rahoge..
ye baat mere dimag se nikal gai thi.. main bhi chinta me aaye sochne laga. yahan rah bhi nahi sakta tha. aur izora jaisi sacha pyar karne wali ko main chhod bhi nahi sakta tha..
karan:- baba jab mai yahan se jaaunga to izora ko apne sath le jaaunga.
baba ko dekh main izora ko dekhne laga. uske chahre par hazaron diye roshan ho gaye the meri is baat par.
baba:- fir.. fir mera kya hoga. main to izora ko dekh dekh kar jita aaya hon.
izora baba ki baat par sad ho gai
karan:- aap bhi mere sath chalna baba. wahan hum sab sath rahenge.. kyu izora tum mere jana chahogi na. hum baba ko bhi sath le jayenge.. bolo na izora..
izora hont kaatti khamoshi se baba ko dekhne lagi.
baba:- wo sab baad me dekhenge karan beta. pahle tiku se dushmano ka safaya karo.
karan:- wo to main karunga hi baba.. ab mera hosla adhik badh chuka ha baba. thelma ka pyar mere liye chhal ha.. mai jan gaya hon. jald hi main sabka safaya kar dunga. mere andar se jaise koi mujhe kah raha ha, main jald hi apne maksad me kamyab ho jaunga..
baba:- devta tumhare sath ha karan beta! aur meri duaen bhi..
shaam tak main thelma ke paas laut aaya tha. wo bhi meri ankhon ka badla rang dekh heran hui thi. usne pucha to maine kandhe uchka diye. "main is baare kuch nahi janta tha"
din guzarne lage..4 mahine aur beet gaye.. thelma ka pura sach khul kar mere saamne aa gaya. baba ne kaha tha, thelma ki gang ek criminal gang ha, jo dunya par raaj karne ka khawab dekh rahi thi. pata nahi baba ye sach pahle kaise jaan gaye the.. mujhe 2 mahine lag gaye the sara sach jaanne me.
in 4 mahino me thelma se kah kar maine har tarah ki shooting, fiting seekh li thi. wahan kaiyon ki trainning di jati thi. badi speed se gangsters trainned kiye ja rahe the. unhi gangters ke sath milkar maine bhi apni trainning puri kar li. main dhoka dene wale ko hi nahi pakadne lage, kuch bhi seekhne ki kshamta mujhme kai guna badh gai thi.
4 mahino me thelma gang ki sankhya velly me 1000 tak ja pohnchi thi. wahin main baba aur izora ke sath milkar sardar hinaru ke chahne walun ko sath mila kar ek gang banane lage. ye sab itne khufiya tarike se ho raha tha. kisi ko kaano kaan khabar bhi nahi ho saki.
main chahta to dusre hi jung chhed chuka hota. par mujhe uchit samay ka intezar tha. aur ye uchit samay mujhe mila 4 mahino baad. organization ke 3 bade velly me land hue.. qile me ek shandar party rakhi gai.. kuch guards ke siva baaki sare ke sare qile ke andar hi the.. din ke samay transmitter par main baba, izora ke sath plan bana chuka tha. izora apne paltu janwaron aur velly ke kuch logo ke sath velly ke main entrance par ja pohchi.. wahan ke sabhi gaurds ka khatima izora ne apne zimme le liya tha.. wahin wo tiku ke mardon ko aage na karke janwaron ke zariye pahle hamla karwati. koi jaan hi nahi pata. hamla plnned ha, jab tak wo sab smajhte, izora ke paltu sabka keema bana chuke hote. aur wo sthan itni door tha, unchai par tha, qile tak na to unka shor sunai de sakta tha, aur na hi wahan lagi aag niche se dekhi ja sakti thi..
kuch kaam maine apne udner liye to kuch baba aur dusron ko liye chhod diye. party apne urooj par thi. main thelma aur party ke bado ke sath party enjoy kar raha tha. thelma mere baare apne badon ko bata chuki thi. wo sab mujhse bohut achhe se pesh aa rahe the. jab unho ne jana main unki organization ke liye ek bada hathiyar ban chuka hon to wo aur bhi achhe se mujhse mile. mujhe respect dene lage.
jab mujhe andaza hua, izora apna kaam anjam dene hi wali ha. maine izora ke bandar minni jo qile me hi tha, usay ishara kar dia. wo bada hi samjhdar bandar tha. mera ishara pate hi wo qile ke secret area tak ja pohcha. jahan bahri dunya se rabta karne ke liye control system banaya gaya tha.
kuch aur mere bharose ke kuch velly wale bhi qile ke andar maujud the.. mere ishare par unme se ek ne chhupe rah kar sardar vibharu ka nishana lekar teer chhod dia. teer seedha vibharu ke seene me aar paar ho gaya.
ab tak thelma gang ke liye kahin se koi khatra saamne nahi aaya tha. isliye security par zayada dhayan nahi dia gaya tha. kuch hi log the, jo guns liye qile me alag alag khade hue the..
jaise hi vibharu ke seene me teer ghusa.. hadbadi mach gai.. paas khade sabhi cheekh pade. jab tak koi samjhta, qile me maujud sardar hinaru ke janisaro ne qile ke andar maujud jitni bhi lights thee. sabko phod daala.
andhera hua aur sath hi firing aur cheekhon ki awazen bhi aane lagi. plan itna perfect tha, kisi ko sambhalne ya kuch sochne ka asvar hi nahi mil saka. dekhte hi dekhte lashon ke dher latne lage. main, thelma aur teeno bado ke sath tha. thelma ghabra kar mera hath pakad gai..
thelma:- kk. karan ye kya hua
thelma ko maine life me pahli baar ghabrate hue dekha.. sab andhere me the par meri ankhon roshan din ke jaise dekh rahi thi.
karan:- lagta ha velly walun ne baghawat kar di ha. chalo pahle khud ki suraksha karte han.. main apne sath thelma aur teeno bado ko sath liye qile ke andar ki or bhaagne laga.. jitni der me qile ke dusre guards hathiyar utha kar velly walun se ladte, tab tak qile ki bahri deewaron par junglee oil chhidak kar aag laga di gai. wo aag itni bhayankar thi, lagne laga, jaise hum sab ko is aag me jala dia jaayega.. qile ke andar ke guard ladna bhul kar apni jan bachane ki fikr me pad gaye. par aaj kisi ki jaan nahi bachne wali thi.
thelma:- kisi ko bhi zinda nahi chhodongi. sabko jaan se maar dungi. jaise sabse humen jalane ki koshish ki ha, aise hi is velly ko bhi jala kar raakh me badal dungi.
karan:- thelma pagalpana mat karo. pahle humen khud ko surakshit karna hoga. chhat par helicopter maujud ha. yahan se pahle nikalne ki karo. door kahin ruk kar pahle halat ko samjhte han, fir inse bhi nipat lenge.
ek leader bola:- thelma karan sahi kah raha ha. pahle apni safety zaruri ha. aag dekhi ha tumne. kuch der aur ruke rahe to ye pura qile aag ki lapet me hoga.
dusra bola:- usse bhi pahle zaruri ha, boss ko khabar kar di jaye. agar hamare liye khatra badha to wo humen yahan se surakshit nikal sakte han.
baat me point tha, sabhi agree hone lage.
thelma guse se kaanp rahi thi. thelma ko maine aaj se pahle kabhi itne guse me nahi dekha tha. main dil hi dil has bhi raha tha. aur thelma se sorry bhi bol raha tha. pahle control system ki or jaane ka socha gaya, par alan bhagta hua humse aa mila.. jab usne ye bataya ki control system bhi destroy ho chuka ha to sahi maano me sab dahshat me aa gaye... sab qile ki chhat ki orr bhagne lage. upar pohchte usse pahle hi chhat par ek zordar dhamaka hua. ye bhi mera hi kaam tha. main pahle hi helicopter me time bomb laga chuka tha..
dhamaka hua to sab bokhla gaye.. ab sabko sahi maano me jaan ke laale pad gaye.
thelma cheekhi:- niche chalo.. niche chalo.. humen khufiya raste se nikalna hoga..
karan:- khufiya rasta?
thelma;- haan aise hi kisi moke ke liye maine aate hi pahle qile me khufiya rasta banwa liya tha..
sab thelma ke sath khufiya raste hi or bhagne lage. nahi jante the, kal ka seedha thkaur karan singh aaj ek super agent me dhal chuka tha. jo keval ladna hi nahi janta tha. master plan bhi banana seekh gaya tha.
Nice updateUpdate:-21

Update:-22
A Few Sentences From The 21th Update.....

aag lagne se andhera chhat gaya tha. sabne guns hasil ki aur basement me bane khufiya raste ki or nikal pade. maine ek guns aur silencer lage pistols kuch magazines le liye. thelma ki baton se maine jan liya tha, thelma velly se jaane ke mood me nahi hai. wo bahar nikal kar velly ke logo ko bandi bana kar sabko ghutne tekne par majbur karne ka plan banaye hue thi. bade khaufnak irade the thelma ke. sath hi thelma ne dusre bache sathiyon ko bhi khufiya raste se nikalne ke liye order jari kar diye the.
par sab ke liye ek sath nikal pana asambhav tha.
ye baat mere plan ke against thi. aise to main thelma ko uske maksad me kamyab nahi hone de sakta tha. jitni speed se aag phel rahi thi. gang wale ladna bhul kar apni apni jaan bachane ki fikr me pad gaye the. main, themla kuch bade aur william, shephered aur kuch dusre sabse aage the. kaiyon ke hathu me torch thee. aur sab bhaagte hue qile se door hote ja rahe the.
jab us khufiya raste se nikle to koi soch bhi nahi sakta tha, aage bhi unko velly ke log milenge. sabke paas hathiyar the to velly wale bhi gaye guzre nahi the. khatarnak jung hui aur thelma gang ka safaya hone laga. kuch velly ke log bhi maare gaye. par achanak hamla hone se thelma gang ka tezi se safaya bhi hone laga.
chhupe rahkar silencer lage pistol se maine thelma gang ke kaiyon ko bhoon kar rakh diya. koi jaan hi nahi saka, wo kaise mare.. dekhte hi dekhte thelma gang ka naam o nishan mitkar rah gaya. ek moke par ek teer thelma ki jan lene wala tha. main kood kar thelma ke saamne aa gaya tha. jo teer thelma ke seene me paar hone wala tha wo mere daayen baazo me ja ghuma. main thelma ko liye ludakta hua door ja gira. thelma mujhe teer lage dekh kar cheekh padi. jaise hi main thelma ko liye door hatne laga. kuch hi der me baki ke bhi sare maare gaye.
thelma:- karan! tumne mere liye apni jan khatre me daal di.
karan:- pyar jo bohut karta hon tumse. kaise tumhari jaan khatre me dekh sakta tha. thelma ab yahan kuch nahi bacha. humen yahan se jana hoga.
thelma guse aur dukh se:- haan karan humen jaana hi hoga. hum fir laut kar aayenge karan. aur in kutton ko chun chun kar maar denge. fir kabhi koi bagawat janam nahi le sakegi.
maine thelma ki haan me haan milayi aur sarakate hue wahan se door hone lage. teer maine apne bazo se kheench nikala tha. hum zayada door nahi ja sake. bhagte hue kadam humen ghera daal kar khade ho gaye. mai aur thelma ek dusre ka hath pakde khade ho gaye.
thelma:- karan! kuch karo, hamare liye, organization ke liye yahan se nikalne bohut zaruri ha.
karan:- mai bhi wahi soch raha hon. par itno se lad pana hum dono ke liye mumkin nahi ha. hum khud ko inke hawale kar dete han. nahi to kai teer hamare jismo ke paar honge.
thelma ghabra kar:- nahi karan, ye velly wale ladkiyon ko apni dasi bana lete han. main mar to sakti hon, par kisi ko khud ko hath nahi lagane de sakti. karan mai sirf tumhari banke rahna chahti hon.
thelma ki awaz me mere liye pyar bohut tha. aur yahi pyar mujhe thelma ki jaan lene se rok raha tha. warna sab ke jaise thelma bhi maari ja chuki hoti..
hum aur baaten na kar saken. hum rassiyon me jakad diya gaya. fir humen wahan se lejakar kaidkhane me alag alag daal dia gaya. main aur thelma bohut cheekhe chillaye, humen ek sath kaid kar dia jaaye. par kisi ne hamari nahi suni aur chale gaye.. hum dono unchi unchi awaz me ek dusre ko pukarne lage. bohut door thelma ko band kar dia gaya tha. jahan hamari awaz to ek dusre tak pohnch sakti thi. par shabdo ki samjh nahi aa sakti thi.
yahi plan banaya gaya tha. thelma ko koi bhi zinda velly se jane nahi dena chahta tha. mere zor dene par meri baat maan li gai thi. izora ne sabse zayada bahas ki thi. wo to apne hathu se thelma ke tukde tukde kar dena chahti thi.
vibharu ke marte hi sardar hinaru wale kaidkhane par halla bol dia gaya tha. hinaru aur uske bete azad hue to jo velly wale vibharu ke sath ja mile the, wo hinaru ke azad hone aur vibharu ke marne par firse sardar hinaru ke sath ja mile..
puri raat search opetaion jari raha. qile me lagi aag ke chalte thelma gang wale kuch jal mare the, kuch qile se bhaag nikle the. jaise hi qila khali hua, aag par kabu pa liya gaya. barf se dhaki velly me aag khatarnak sabat ho sakti thi. ye baat pahle se soch li gai thi.. aag lagani kaise ha aur bujhani kaise ha.
agle 10 dino me kuch pakde gaye, kuch junglee janwaron ka shikar ban gaye. kuch ki akdi hui lashen mili to kuch muqabla karte hue maare gaye.. sunne me aaya tha velly ke 400+ log bhi maare gaye the. jo ek dukh bhari baat thi. bade maksad ko hasil karne ke liye jaanen to deni hi padti han.
thelma ko jis kaid khane me dala gaya tha, us kaid khane se nikalne ke liye thelma ke liye asani bana di gai thi. 2 din to thelma chinta aur guse me rahi. teesre din usay paya ki kaidkhane ki ek side ki deewar kuch tooti phooti ha. thelma ke andar utsukta jaagi to wo kam par lag gai. thelma jaan kar khush hui ki deewar me chhed bana kar wahan se bhaga ja sakta ha. thelma fir koshish me lag gai aur ek din ek raat ki mahnat se wo itna bada chhed banane me safal ho gai ki us kaid khane se nikal sake. aur thelma nikal gai. thelma ke liye raste pahle se hi khali rakhe gaye the. thelma wahan se nikli to usay meri fikr hui. wo wapis aai aur mujhe awazen dene lagi. mujhe khabar mil chuki thi, thelma azad hone me safal ho chuki ha. isliye maine thelma ko apni awaz na suna kar aisa show karwaya, jaise mera kaidkhana firse badal dia gaya ha. aur mujhe door kahin kaid kar dia gaya ha. yaki hum ek dusre se baat na kar saken.
mera abhi laut kar jana mumkin nahi tha. thelma wahan se nikli aur velly me kahin chhup gai. par wo nazar me rahi. jahan bhi jati, koi na koi uspar halla bol deta, aise me agle kai dino tak ye ankh macholi jaari rahi. aur fir thelma ne force ke sath wapis aa kar mujhe azad karwane aur velly par firse kabze karne ka mann mann bana lia aur wahan se nikal padi. main janta tha, thelma koi aam ladki nahi ha, maut ki ankhon me ankhen kar jeena jaanti thi. wo velly se nikal kar surakshit bahar ki dunya me laut jayegi. aur fir thelma ke liye raste me zarooriyat zindagi ka kuch saman bhi bikhra hua usay mil jata. jo pahle se hi planned tha.
jab mujhe khabar mili thelma ja chuki ha to mai bhi kaid khane se bahar nikal aaya. sardar hinaru aur sab mujhse milne ke liye bohut bechain the. mujhe bade samman ke sath kaidkhane se nikala gaya. velly jinki thi unko wapis mil chuki thi. sab khush the bohut khush..
kai din tak mere honor me jashan manaya jata raha.
vibharu ke sathi kuch maar diye gaye the, kuch kaid kar diye gaye the. wahan maujud meri dunya ke kaidiyon aur dasiyon ke liye maine sarar hinaru ko kuch alag se kaha to sardar ne pahle to meri mukhalifat ki. fir meri baat maan li gai. maine sabhi kaidiyon aur ghulamo ke liye normal zindagi ki darkhasht ki thi. sardar ko dar tha kahin ye bagawat na kar den. par maine sab kaidiyon aur ghulamo se baat karke unko mana liya. wo kabhi bahar ki dunya me wapis to nahi ja sakte, aise me kya wo yahin umar bhar ke liye ek shanti bhari zindagi jeena chahte han.
bohut thode the, jo har surat apni dunya me laut kar jana chahte the. baki sab ne velly ki zindagi par khushi ka izhaar kia.. jo sarkash the, unke sar kaat diye gaye. baki ke dilon me dar banaye rakhne ke liye..
mere liye velly se wapsi mumkin nahi ho pa rahi thi. mai jana to chahta tha. par inke liye kuch aisa karna chahta tha, firse kabhi koi velly me ghusne ki himmat na kar sake.. aur is ke liye mujhe 7 mahine aur lag gaye..
is 7 mahino me velly ki suraksha ke liye main badhiya sa plan banaya. thelma gang bepanah weapons bhi chhod gaye the. velly me parvesh karne wale raste par chaukiyan bana di gai. wahan kai kai hathiyarband 24 hrs maujud rahte the.
jaisa maine andaza lagaya tha, thelma aam laki nahi thi. wo zinda bach kar apni dunya me laut jaane me safal ho gai thi. wahi hua tha... 6 mahino baad wo to nahi par andaza ke mutabik uski gang ke 200 plus agents firse velly me parvesh karne ke liye aaye. par is bar wo velly me nahi ghus paaye. adhe se zayada maare gaye. jo bache wo wapis bhaag nikle..
jab ye khabar niche velly me sabko mili to khub hungama macha. sab bohut khush hue.. mujhe kandhon par utha liya gaya. izora aur baba ke sath sath sardar aur uske parivar wale mujhe dekh hasne lage.
ab tak main aur izora khul kar ek dusre se izhare mohabbat kar chuke the. par shadi nahi ki thi maine abhi izora se. main velly ko secure karne me laga hua tha. ab jab velly puri tarah surakshit ho chuki thi maine jaane ki baat chhed di.mere jane ki baat par sab dukhi ho gaye. par mujhe jana to tha hi..
izora baba ko dekhne lagi. main bhi baba ko dekhne laga.
baba:- karan beta! main apni zindagi guzar chuka hon, ab to mera devta ke paas jaane ka samay bhi ho chala ha. main nahi ja sakunga tumhare sath. haan tum izora ko apne sath le ja sakte ho.
izora tadap kar baba ke dono hath thaam gai.. bade hi jazbati andaz me boli
izora:- nahi baba, mai aap ko chhod kar nahi jaaungi. baba ya to main bhi yahi aapke paas rahungi ya fir aap bhi mere sath chalen.
izora ki ankhon me pani utar aaya tha. sab jo khush dikhai de rahe the, wo
dukhi ho gaye the.
baba:- mai janta hon izora beti tum karan se door nahi rah sakogi. isliye tum jaao karan bete ke sath. devta ka hath sada tumhare sar par rahe..
kuch dino bad meri aur izora ki shadi velly ke rivajo ke mutabik kar di gayi. mujhe to jaisa dunya ka anmol khazana hath lag gaya tha. meri khushi ka koi thikana nahi tha. izora ka chahra khushi se damak raha tha.
maine aur izora ne ek dusre se salah mashwara kiya aur humne suhagerat bahri dunya me manane ka faisla kar liya. wo isliye ki agar izora pet se ho jati to velly se uske liye nikal pana khatre se khali nahi tha. bahar ka sard mausam uske liye khatarnak sabat hota..
shadi ke baad main izora aur baba wapis se gufa me ja ponche the. aur wahin rahne lage the.. jis din humne wapis jana tha, us din baba ne mujhe apne saamne bethe ko kaha. main baba ke saamne ja betha.
baba:- har baap apni beti ko koi na koi tohfa deta ha, wo apne ghar me sada rani bankar rahe, yahi uski ichha hoti ha. karan beta, tumhari dunya me ek chiz aisi ha, jise pane ke liye dunya bhar ke log pahadon junglon me maare maare firte rahte han.
karan:- baba mai kuch samjha nahi?
baba:- mai samjhaunga nahi, dikhaunga!
baba ne apni jeb se lohe ka ek tukda nikala aur apni dusri jeb me maujud ek chhota sa kaale rang ka pathar nikal lia.. mai pathar ko dekhne laga. par mai kuch smajh nahi pa raha tha.
baba ne wo pathar us lohe ke tukde par ragadna shuru kar dia. main baba ko herani se dekhne laga. mai samjh nahi saka tha, baba ye kya kar rahe han. par kuch hi lamho me meri ankhen jaise phatne wali ho gayi. mera moh khul gaya. itna bada hairat ka jhatka mujhe zindagi me kabhi nahi laga tha. baba ke hath me maujud lohe ke tukde ne rang badalna shuru kar dia tha. jo dekhte hi dekhte sunahre rang me badal gaya.. aur badle rang ko dekh kar mai kah sakta tha, baba ke hath me maujud loha ab gold me convert ho chuka tha. main pagalpan ki hadh ko pohncha baba ke hath se gold bane lohe ke tukde ko jhapat kar apne hath me liye dekhne laga. baba aur izora muskurati ankhon se mujhe dekhne lage.
karan:- baba..ye..ye..baba ye aapne kaise kiya..
baba has pade:- karan beta, paras pathar ka naam suna ha kabhi tumne.
karan:- pp..paa..ras..
main haklane laga.
izora khilkhila kar has padi..
baba:- karan beta hum is pathar ko shapasha kahte han. tumhari dunya me is pathar ko paras pathar ka naam dia jata ha. jaante ho na paras lohe ko sona bana sakta ha.
main bolne layak nahi raha tha. khule moh ke sath haan me sar hila kar rah gaya.
baba:- karan beta, mai ye paras pathar tumhe bhent karta hon. meri beti ko wo khushiyan dena, jo mai bhi nahi de saka. maine meri beti ko kabhi dukh nahi aane dia, tum bhi kabhi meri beti ko dukh mat dena. warna meri aatma bechain rahegi.
baba ekdum se dukhi ho gaye. main gold side rakhta baba ke hath thaam gaya
karan:- baba is dunya me koi chiz anmol ha to wo ha paras pathar. aisa dunya wale sochte han. par baba mere liye sacha pyar anmol ha. izora par aise hazar paras kurban baba. izora meri jaan ha. aur apni jaan sabhi ko dunya ki har chiz se badhkar pyari hoti ha.
baba:- mujhe yakin ha karan beta. na hota to apne jigar ke tukde ko khud se kabhi door nahi karta.
karan:- baba main izora ke sath yahan aata jata raha karunga.
baba:- nahi karan beta, tum yahan mat aana. yahan pohnch pana khatre se khali nahi ha. jan jane ka khatra bohut zayada ha.
karan:- baba ab karan pahle jaisa nahi raha. aapne mujhe paras pathar dia ha baba. baba main is pathar se na keval ameer insan banuga. dukhi aur gareeb logo ki madad bhi karunga aur ek helicopter bhi le loonga. usay khud se udana seekhonga, fir mai aur izora uspar beth kar aapse milne aaya karenge.
izora khushi se aise uchhli.. baba ki parwa kiye bina hi mujhe chumna shuru kar dia.
baba hase bhi aur khush bhi hue
izora:- kochi dhi dhi masha lee lee leeshi ee ee eeshi
isbar hasne ki bari meri thi. izora bepanah khushi ke chalte apni asli bhasha bolne lagi thi. baba bhi sara dukh bhool kar hasne lage. izora kuch sharmai fir wo bhi hasne lagi..
47 din ke safar ke baad main apne kabile ke paas tha. sakht mausam ke chalte izora apne sath apne kisi paltu ko lekar nahi aa saki thi. jispar usay bohut dukh tha. mere liye izora ne baba ko, velly ko jo uski janam bhumi thi, aur sabko chhod dia tha. izora ka pyar pa kar main khud par garv mahsus kar raha tha. zindagi ne mujhse bohut kuch chheena tha. par izora ki surat mujhe dunya ka besh keemat khazana bhi bakhsh dia tha. izora mere liye anmol thi. anmol to mere liye paras pathar bhi tha. main bada heran tha, jis paras pathar ke liye har tarah ki soch rakhne wala vyakti pagal tha. jo pathar sabki nazron me ek kalpanik chiz thi, wo meri property ban chuka tha.
izora ko mai mil gaya tha. wo khushi se phooli nahi sama rahi thi. par usay junglee janwaron bina rahne ki adat bhi nahi thi. isliye wo badi bechain thi. jahan kabila tha, wahan se kuch door bhi kuch junglee janwar paaye jate the. jab maine izora ko ye bataya to wo khush se uchhal padi.
izora:- karan pahle wahin chalte han na
izora ke chahre par bachhu jaisa shok dekh kar main usay inkar nai kar saka. aur hum kabile me pahle na ja kar udhar nikal pade the.
ab hum firse kabile ke pass the to hamare sath ek sher, ek sherni aur do bandar the.. izora ne kuch hi ghanton me unhe apna deewana bana liya tha. hum do aur hamare chaar, kul mila kar 6 sadaso ka bana ek parivar kabile ke bilkul karib pohnch chuka tha. jaise hi sabse pahle junglee ki nazar humpar padi wo cheekhta hua bhaag nikla.
wo chilla raha tha:- sher aa gaye.. sher aa gaye..
dekhte hi dekhte kai kabile wale talvaren kulhade liye daudte hue nazar aaye. sher aur sherni dahadne lage aur izora ne mera bazo pakad liya.
izora:- karan mera doston ko maar denge
karan:- chinta na karo izora.. ye mera kabila ha. sab mujhe dekh pahchan jayenge.. tum bas apne dosto ko shaant karo..
izora apne doston ko shant karne lagi. kabile wale bhaagne bhaagte heran nazar aaye.
2 sher, do bandar ek mard ek ladki.. jaise hi wo paas pohnche wo cheekh pade.. wo mujhe pahchan gaye the
"karrraaaaannnnnnnnnnnnnn"
fir to jaise ek halla mach gaya. sher sherni aur bandar bhi jald samjh gaye, wo apnu me han. wo side khade tamsha dekhne lage.. dedh saal baad mujhe sab dekh rahe the. as expected manzar tha. kai ro rahe the. kai meri jai jai kaar kar rahe the. bindu ne mujhe kai thappad maar diye. fir mere gale me baahen daal kar rone lagi. bindu ko mere gale lagi dekh izora bindu ko khuni ankhon se dekhne lagi
main dar gaya, kahin izora kuch galat na kar bethe
mai bindu ko khud se alag karta hua izora se bola:- izora isse milo ye ha meri bahan bindu. bindu ke baare me maine tumhe bataya tha na.
shukar ha bindu ka naam jaan kar izora ke chahre ke bhav badalne lage. fir dono mili aur main amar se milne laga. amar ne puri jaan laga kar meri pasliyan todni shuru kar di.. sath wo sisak bhi raha tha
amar:- mere yaar.. tune to hum sab ko maar hi dia tha. kahan chala gaya tha.
karan:- tum jaise dosto ki dauen aur pyar mere sath tha, to kaise mai marta.
amar:- par tu tha kaha mere yaar
karan:- bata dunga, sab bata dunga. pahle sabse mil lene do.
amar ankhen saaf karta side aur main ek ek karke sabse milne laga. jogi ji maharaj bhi ankhon me ansu liye ek side khade mujhe dekh rahe thi. meri fikr me wo kitne duble ho gaye the. maine baba ke chran chhue. baba ne mujhe thaam mujhe gale se laga liya. aur sisakne lage. baba ko pahli bar mai rote hue dekh raha tha
baba:- mujhe vishwas tha mera karan zarur laut kar aayega. ab tak na maine ya hi kisi aur ne tere marne par vishwas kiya tha. dekh amar aur bindu ne ab tak shadi bhi nahi ki.. wo jante the, tum ek din zarur laut kar aaoge. dekh pura kabila kaise tujhe dekh kar khush ho gaya ha.
amar aur bindu ke chahre bhi khil uthe. sab mujhe dekh jitne khush the, utne hi izora aur uske dosto ko dekh heran the. izora sundra me aisi thi, pure kabile me kya shayad is puri dharti par izora jaisi koi dusri nahi thi.
ek ek karke main sab se mila.. apne dosto se, sugandha chachi se.. sabse mila.. sab bohut the mujhe wapis se apne beech pa kar..
khurpa singh meri kamar par chukti kaatta hua:- kasam se karan! tu maal bohut badhiya laya ha.
paas khade sab hasne lage
karan:- tu chahta ha tujhe bhi aisi hi koi mil jaaye to main tujhe ek jaga bata deta hon, wahan ja, agar bach kar 2-4 saal me wapis aa gaya to tere sath bhi ek aisi hi item hogi.
khurpa singh dil khol kar hasa.. aur sab pet pet kar hasne lage..
kuch der me hum sab kabile ke andar the. main aur izora baba ke saamne bethe the. dono bandar andar the to dono sher bahar.. jinke aage maas daal dia gaya tha. wo aram se apna pet bhar rahe the.
baba mujhe mere ghar ke halaar batane lage. jitna wo jante the, wo bata rahe the. izora herani se hum dono ke moh tak rahi thi. baba mujhse junglee bhasha me baat kar rahe the, jo izora ke palle nahi pad rahi thi. ek baar izora ne meri kamar par chukti kaat li.
maine usay dekha to:- ye tum dono kis bhasha me baat kar rahe ho. hindi me baat karo na.
mai aur baba muskura pade.. fir baba hindi me bole:- mai bhul gaya tha beti, tu hamare kabile ki nahi ha. bohut samay ke bad karan bete se mila hon to apni bhasha me ise iske ghar ke halaat batane laga.
fir hum hindi me baat karne lage. mere bare me sunkar izora ko maza bhi aa raha tha aur gusa bhi. wo heran bhi thi aur mere liye dukhi bhi..
baba se baaten hoti rahi, fir bindu ke paas ja pohnche. bindu izora ko chhedne lagi. tooti phooti hindi bindu bhi jaanti thi. baaton baaton me bindu ne izora se jaan liya, abhi tak humne suhagrat nahi manai ha.
bindu ne kabile ki ladkiyon aur aurton ko bata dia. sabne firse hamari kabile ke rivako ke anusar shadi ki baat kar di. bohut samay ke bad koi shubh ghadi aai thi. kaise koi peecha rahta. sabne meri aur izora ki firse shadi ki tayari shuru kar di
sugandha chachi se bhi mai mil chuka tha. wo mujhe dekh ek bar firse ji uthi thi. aur main soch raha tha, izora ke rahte main chachi ko uski khoi khushiyan kaise de sakunga. thelma ko hi izora ne badi mushkill se sahn kiya tha. wahan mera rahna zaruri tha, velly ka bhi sawal tha, isliye izora maan gai thi.
sugandha chachi ne bindu aur amar ke mata pita se kah dia. lage hath in dono ki bhi shadi kar di jaaye. jise sunkar wo bhi khush hue. aur kaible me do do shadiyon ki tayari shuru kar di gai.
izora jo kahti aai thi, uski velly ki shadi dekhne layak hoti ha. par yahan kabile ke rivaj dekh izora dang rah gayi. itni khush hui thi wo mashalon ki roshni bhi uske chahre ki chamak damak ke aage madham pad gai.
izora ek baar firse meri ho gai thi. aur is baar main aur izora puri tarah ek ho jana chahte the. ab aur doori sahn kar pana hum dono ke liye mumkin nahi tha.
Nice update...Update:-21