• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,426 82.9%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 27 1.6%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 231 13.4%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 36 2.1%

  • Total voters
    1,720

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,278
109,937
259

Werewolf

ℌ𝔲𝔫𝔱𝔢𝔯
Supreme
16,278
109,937
259

Raj

Well-Known Member
4,577
15,493
158
Mega Update

Update - 136 ~ First Clash (1)

Ab tak...

Uss building se hospital me laiti uss patient ko dekha jaa sakta tha.


Woh dheere dheere aage chal ke khidki ke paas aaya.

Aur…!


'I have found you…! Grace Martin!!!'

Ab aage...


"Unn~!?" Bistar par laiti ek khubsoorat si ladki karvat lete hue jab haath aage badhaayi toh usse wo ehsaas nahi hua jo hona chaahiye tha.

Usne apne haath ko tatola. Par abhi bhi khaalipann hi uske haath laga. Maathe par lakeere chhaayi aur uski aankhein khul gayi.

Usne apne bagal se dekha. Uska pyaara chhota bhai waha nahi tha. Bistar ke dusre chhor par jo laiti thi woh thi uski sauteli badi behan, Bhumika.

Tej ne dekha kaise Bhumika bade se takiye se chipke hue thi.

Usse yaad aaya ki Veer toh Paris gaya tha. Ab woh unn sabke beech maujood nahi tha. Uske jaane ke baad se hi uska mood off ho chuka tha.

Woh akeli si pad gayi thi. Na hi ab khaana khaane me mann lagta tha, na hi kisi kaam me ya kisi se baat karne me.

‘Do din bhi nahi hue tumhe gaye. Aur mujhe tumhari yaad sataane lagi hai.’

Sochte hue woh uthi. Bistar ko punaah dekhi. Woh beech ki jagah pe khaalipann dekh usse andar se ek bechaini si hone lagi.

Iss waqt Veer ko call karna usne sahi nahi samjha. Aage badh usne kamre me rakhi chair par pade kuch kapdo ko idhar udhar kiya aur usse jo chahiye tha woh usse jald hi mil gaya.

Veer ki shirt jo woh jaane se pehle pehna hua tha, woh abhi bhi yahi rakhi hui thi. Usse komalta se utha ke Tej apne chehre ke paas laayi.

Aur ahista se usne shirt ko soongha. Aankhein moond woh uss sugandh me kho gayi. Abhi bhi usme Veer ke badan ki khushboo thi. Ye uski body fragrance thi. Khushboo bhale hi kamzor thi, par Tej ke mann ko shaant karne ke liye kaafi thi.

Agle hi shan Tej ne uss shirt ko apne seene se laga liya. Aur wapas bistar par aake woh uss shirt se chipak aankhein band kar lait gayi.

‘Come back soon little brother!’

***

Veer ke ghar me harr baar ki tarah chahal-pahal hua karti thi. Par aaj aisa lag raha tha jaise ghar me kisi ke saath koi anhoni ho gayi ho. Koi zyada baat nahi kar raha tha aapas me. Suman hi thi ek jo sabse baat kar thoda bohut conversation ko chala rahi thi. Warna toh sab hi Veer ke jaane se maayus hue baithe the.

Naashte ke baad Tej sofe par baithi hui thi jab Bhumika uske bagal se aake baith gayi.

Bhumika : Aise udaas rahogi toh kaam kaise hoyenge?

Tej (glances) : Aap apna kaam kariye. Mujhe samjhaane ki zaroorat nahi!

Bhumika (frowns) : Kya tum bhool gayi? Veer hum pe ek zimmedari saunp ke gaya hai. Hume toh lagan se uske liye kaamo me haath bataana chaahiye. Right?

Iss baar Bhumika ki baat sunte hi Tej apni peeth seedhe kar ke baith gayi. Woh ye kaise bhul gayi? Veer usse apna kaam saunp ke gaya tha. Uss par bharosa kar ke gaya tha. Iss se behtar mauka kya ho sakta tha apne bhai ke liye kuch kaam aane ke liye.

Jabse woh Veer se mili thi, tab se hi Veer uski dekh-bhaal kar raha tha. Jabki hona ulta chahiye tha. Ek badi behan hone ke naate usse laga tha woh Veer ko protect karegi, uska khayal rakhegi.

Par aisa na hua. Woh kisi bhi tarah apne bhai ke kaam nahi aa paa rahi thi. Aur ye baat andar hi andar usse khaaye jaa rahi thi.

Bhumika : Bhabhi?

Ragini : Huh?

Bhumika : Idhar aaiye na!

Ragini haami bharte hue uske bagal se aake baithi toh Bhumika ne ek chart khol ke saamne table par rakh diya.

Bhumika : Mene kal ye hotel me prepare kiya tha. Ye ek blueprint hai. Hume kaise kaam karna hai, kisko kya kaam karna mene yaha roughly likha hua hai.

Ragini : Ohh! Badhiya Bhumika!

Usne chehre par khushi jhalkaayi. Par andar se uska poora dhyaan Veer pe hi tha. Ye kehna galat nahi tha ki Ragini ab Veer ko apne naye navele pati ke roop me dekhne lagi thi.

Tej ki bauhe blueprint dekhte hi kass gayi. Uski ye sauteli behan uss se kaam me aage nikal rahi thi? Woh peeche kaise reh sakti thi?

Tej : Mujhe kya karna hai?

Bhumika : See! Food truck accha chal raha hai. Lekin kisi ek aur jann ki zaroorat hai. Mom?

Shweta : Hmm?

Bhumika : Kya aap truck me Sonali ki help karwa sakti hai?

Shweta : Truck me? Mujhe laga tha tum mujhe hotel sambhaalne ko kahogi.

Bhumika : Hotel ko mein manage kar lungi. Lekin mein aapki tarah khaana utna accha nahi bana paati. Mera khaana aap jaanti hai. Just so-so hi hota hai. Aap Sonali ki help mujhse better karwa payengi.

Sonali : Koi bhi ho! Mujhe toh bas madad se matlab hai.

Shweta (smiles) : Mere bete ka kaam hai. Mein kyu mana karungi? Tum chinta mat karo, mein madad karwa dungi.

Uske ye kehte hi pal bhar ke liye Bhavna ki nazre Shweta se bhidi. Dono ne ek dusre ki orr dekha. Nazro ki bhidant se aisa laga jaise chingari nikli ho. Aur apne bade-bade thano se bhara seena taane Shweta muskuraayi.

Jaise batlaana chaah rahi ho ki woh apne bete ki yaha madad karwa rahi hai. Baakiyo ki tarah nahi jo baithe-baithe bas khaa pee rahe hai.

Bhumika : Ok! That’s settled then.

Shweta : Mere paas ek aur upaay hai beta.

Bhumika : Kya mom?

Shweta : Mukta naam ki ek aurat hai. Rajasthani khaane me nipud hai woh. Usse mein hotel bhijwa sakti hu.

Bolte hue usne Suman ko dekha. Kyuki Suman, Bhavna aur Tej hi Parijaat ghar ki aurto se waaqif thi. Bhumika, Ragini ye sab nahi.

Suman ne haan me gardan hilaayi.

Par Tej aur Bhavna dono ke chehre par chinta ke bhaav the. Unka mann nahi ho raha tha Parijaat ghar ki aurto ko apne sampark me rakhne ke liye. Magar ye majboori thi. Veer apna nirnay suna chuka tha.

Bhumika : Ohh! Agar aisa hai Mom toh aap zaroor bhejiyega unhe.

Tej : Mene kuch pucha tha.

Bhumika : Ohh haan! Tej tumhe woh Varsha jii ke saath kisaano ka kaam sambhaalna hoga. Umm-

Bhumika ki chinta dekh wahi khadi Suman apne aap bol padi,

Suman : Varsha ki chinta mat kariye aap. Mein hu na! Mein le aaungi.

Bhumika : Ohh thank you Suman aunty.

Abhi woh aage kehti ki tabhi darwaaze par dastak hui. Aur dherr saare log waha jama ho gaye.

"Arre bhai! Ye mein kya dekh rahi hu? Itni bheed?" Ek awaaz baahar se aayi.

Jisse sunn, Bhavna turant uth ke khadi ho gayi.

Bhavna : Purvi!!!

Tej : Maasi!!!

Tej uth ke baahar ko aayi aur Purvi ke gale se lipat gayi.

Purvi : Ahn! Meri beti!!! *Muah* Kaisi ho?

Tej (smiles) : Acchi hu!

Purvi : Aur ye sab kaun hai? Bhavna?

Bhavna : Mein khud nahi jaanti. Ye abhi hi aaye hai.

Aaye hue log tabhi haath jod ke khade ho gaye.

Aadmi : Hum sab ko badke bhaiya Shyaam ne bheja hai didi.

Bhavna : Ohh! Kisaan bhailog hai aap sab.

Aadmi : Jii didi!

Bhavna : Suman?

Suman : Jii?

Bhavna (smiles) : Ye dur se aaye hai. Ye hamaare mehmaan hai aur ab se hamare saath kaam karenge. Inhe acche se khaana khilwao.

Aadmi : Dhanyavaad didi! Kripa aapki.

Bhavna : Tej! Tumhara kaam shuru hone wala hai.

Tej : I know Mom!

Bhavna : Apne bhai ko niraash mat karna.

Tej : Hmph! Woh meri tareef ke pul baandhega.

Kehte hue woh sabhi ke saath andar chali gayi. Ab usme ek naya josh dikhayi de raha tha.

Purvi : Kaha hai hamare Raja-sahab? Hmm?

Bhavna : Paris me!

Purvi : Ehh?

Bhavna (nods) : Business ke liye gaya hua hai.

Andar hi andar woh ye baat jaanti thi ki jhooth hai. Lekin, Purvi ko abhi batana usne theek na samjha.

Purvi : Kyaaaa?? Paris?? Paris me kyu? Itni dur? A-Aur aise achanak se? Yaha mein uske liye uska mann-pasand namkeen, mere haatho ka aam ka achaar aur ye gulaab-jamun special uske liye bana ke laayi hu.

Bhavna : Ab jab aayega, tab tum hi usse apne haatho se khila dena.

Ek feeki muskaan liye woh boli.

Purvi : Hmph! Aane do usko. Khud keh raha tha ki maasi aaya karo ghar aur ab maasi ghar aayi hai toh janab gaayab hai. Paris ki serr kar rahe hai.

Dono abhi yu hi porch me khade baatein kar rahi thi jab scooty ki awaaz unhe sunaayi di aur baahar dekha toh paaya ki do aur mehmaan aaye hue the.

Bhavna : Arre? Aao baccho!

"Hehehe~ Good Morning Tai jii!!!"

Scooty se utar Kavya daud ke Bhavna ke gale se lag gayi.

Purvi : Aur hamare gale nahi lagogi?

Kavya muskuraate hue Purvi ke seene se bhi lag gayi. Arohi apni scooty lock kar, muh par se stowl hata ke aur aankho par se chashma hata ke gaadi ki dickey me unhe rakh ke andar aayi.

Arohi : Umm- Wo…! Veer ne call kar bataya tha ki usse mujhse kaam hai toh mein ghar par aake sabhi se mil lu.

Bhavna (smiles) : Hmm! Tum andar jao, sab samajh aa jayega.

Arohi : Jii!

Kavya : Bhaiya bohut bekaar hai. Dekho! Fir se foreign chale gaye. Aur woh bhi Paris. Mujhe leke bhi nahi gaye. Agar mere liye gifts nahi laaye na toh dekhna fir-

Arohi : Woh kaam se gaya hai Kavya. Tumhe bas khaane aur gifts ke alawa aur kuch nahi soojhta kya?

Kavya : Ahhh! Khaane se yaad aaya. Tai jii! Naashte me kya bana hai?

Bhavna (smiles) : Tumhari dusri Tai jii ne aaj sandwiches banaaye hai.

Kavya : S-Sandwiches!!? Ahh! W-Wo bhi tai ji ke haath ke? Unke jaisa khaana koi nahi bana sakta.

Apni choti behan ki harqato ko dekhte hi bechari Arohi ke gaal sharm se laal ho gaye.

Arohi (blushes) : K-Kavya!! Humne abhi ghar par nashta kiya tha na?

Kavya : Haan toh? Mujhe Tai ji ke haath ka bhi khaana hai. Zyada se zyada kya hoga? Pait fulega? Usme kya? Mein fresh ho lungi. Hum abhi thodi hi jaane waale hai.

Arohi (blushes) : T-Tum~

Arohi ko itni zyada sharm aa rahi thi ki woh apna chehra chhupa ke yaha se bhaag jaana chaahti thi. Par Kavya ye toilet waali baat itni asaani se bol gayi kyuki woh sabhi ko apna maanti thi. Uske liye ye ghar bhi uska hi tha. Aur ye log bhi. Toh fir sharm kaisi?

Do qadam badhaate hue tabhi Kavya ko kuch dhyaan aaya aur woh peeche aate hue Bhavna ko dekhi,

Kavya : Arre ek minute! Tai jii! Aap bhi Tai jii ho. Aur Bhumika dii ki mamma bhi toh Tai jii hai mere liye. Arrrghhh! Aise me toh mujhe kitta confusion hoga. Mein aap dono ko tai jii kaise bula sakti hu?

Uske chul-bule andaaz ko dekh Bhavna muskuraayi.

Bhavna : Mein tumhe iska hal bataati hu. Theek hai?

Kavya (nods) : Yes! Please~

Bhavna (smiles) : Mein tumhari dusri Tai jii se ek-do saal choti hu. Toh tum mujhe choti Tai ji kehke bula sakti ho. Aur unhe badi Tai jii kehke. Theek hai na?

Kavya ki aankho me agle hi pal chamak aa gayi. Samasya choti si thi par woh bechari iss se kaafi samay se joojh rahi thi. Bhavna ka hal sunte hi woh itna prasann ho gayi ki khushi ke maare jhoom uthi.

Kavya : Arre waah Tai jii! M-Matlab choti Tai jii! Aapne meri problem hi solve kar di. Hehehehe~ Thank youuuuu~

Aur woh bhaag ke andar chali gayi. Uske jaate hi Arohi ne maafi maangi.

Arohi : W-Woh! Sorry! Hum naashta kar ke hi aaye hai. Lekin pata nahi kyu Kavya…! Woh aisa hi karti hai. Isliye-

Bhavna ne usse beech me hi kaat diya. Uske sarr par haath ferr woh muskuraayi.

Bhavna : Paagal ho kya? Ye tumhara hi ghar hai. Balki tumhe bhi uski tarah issi haq se pesh aana chahiye. Agar mere bete ko pata chalega toh kya sochega woh?

Purvi (smiles) : Arohi beta! Tum shaant swabhaav ki ho mein jaanti hu. Par apne logo se kyu reserved rehna? Khul ke raho haan? Mujhe iss maamle me tumhari chulbuli behan behad pasand hai. Fufu~

Arohi ne sharm ke chalte bas dheere se sarr haan me hilaaya aur andar chali gayi. Uske jaate hi Purvi ne Bhavna ki nangi kamar par ek chikoti kaati.

Bhavna : Ahhn! Kya kar rahi ho?

Purvi (smiles) : Hoooooo~ Tum toh badi chalaak nikli haan? Khud ko choti Tai jii? Aur unhe Badi Tai jii? Hmm? Soch ke hi mujhe excitement ho raha hai ki kya hoga jab Kavya andar jaa ke unhe Badi Tai jii kehke bulayegi? Fufufu~

Iss baar Bhavna ke gaalo par aaj itne dino baad laali chhaa gayi. Jaise aaj maano woh apni kisi sharaarat me pakdi gayi ho. Usne turant hi apna muh ferr apni haya ko chhipaaya.

Bhavna : Kuch galat kaha kya? Yahi satya hai! Bhumika se mene uski janm tithi puchi hai. Woh mujhse ek-do saal badi hi hai.

Purvi (smiles) : Tum kehti ho toh maan leti hu. Wese Bhavna!?

Bhavna : ??

Purvi : Kahi hamare ladke ka kahi chakkar toh nahi chala raha? Paris achanak kaise chala gaya? Hmm? Kahi vilaayti toh nahi hai koi? Haan?

Bhavna (smiles) : Tum khud hi puch lena uss se.

Purvi (sighs) : Sach me! Tumhara mann nahi karta kabhi jaan'ne ka?

Kehte kehte woh andar jaane lagi. Par Bhavna wahi khadi rahi aur ahista se boli taaki Purvi ko sunaayi na de,

"Mann toh bohut karta hai. Lekin jab uska mann chaahega…! Mujhe bata dega."

***


Luxembourg Gardens
Paris, France

Evening ~ 5:13 PM

Veer aur Ava dono iss park me ek dusre ke bagal se baithe hue the. Woh dono hi scenery ko enjoy kar rahe the. Ava ki security aur bodyguards ne public ko unn dono se dur rakha hua tha. Nahi toh Ava ke liye ye sab enjoy karna possible nahi tha.

dddc7337acd9a913e1bfe5e342abe1a1

Dono ke hi haatho me garma garam buns the, jo Ava ne hi raaste me ek bakery shop se khareede the.

Aur dono uska lutf utha rahe the.

Ava : How are they?

Veer : Pretty Good!

Ava : Jab mein yaha first day aayi thi, tab mene ye ussi shop se liye the. Mujhe kaafi pasand aaye the. Back then…! Mom bhi yahi mujhe dilwaya karti thi. Jab mein unke saath streets me shopping par nikla karti thi.

Veer : Ohh!

Aaj pehli baar Ava ne uss se kuch apne ateet ke baare me share kiya tha. Woh shaanti se sunn raha tha sab kuch.

Ava : Iss park me ye mera bhi pehli hi baar hai.

Veer : I see!

Ava : It's nice. Isn't it?

Veer : Hmm!

Woh kuch derr shaant rahi. Shayad kuch bolna chaah rahi thi par bol nahi paa rahi thi. Fir akhir me usne bol hi diya,

Ava : Thank you!

Veer : Huh?

Ava : Tum…! Tum mere liye aaye. Tumhare hone se mujhe safe feel ho raha hai.

Veer : Well! Mene aapko kaha hua hai. Jab tak aapke peeche pade uss insaan ka pata nahi laga leta, tab tak aapko protect karunga.

Ava (smiles) : Suddenly, it sounds romantic.

Veer : Ahem!

*Ding*

[Ava's favourability : 39]

Woh tabhi khadi hui aur boli,

Ava : Let's go!

Veer : Kaha?

Ava : Come na! Yaha malls mene explore nahi kiye. Kahi chalte hai?

Veer : Agar aap yahi chaahti hai toh-

Ava (smiles) : Drive mein karungi!

Veer ki baat adhuri hi reh gayi kyuki Ava daud ke car ki orr bhaag gayi. Aur driving seat par baithate hi usne Veer ki taraf firse apne komal haatho se gun bana ke ishaara kiya.


24fb2756-34d4-4dda-95e9-8ad32853480c

Uski sharaarto ko dekh Veer andar hi andar muskura baitha. Ava dheere-dheere uske saamne khul rahi thi. Ye acchi baat thi.

Car me baithate hi dono waha se chal diye. Aur security unke peeche peeche baaki cars me aane lagi.

Veer bagal se baithe Ava ke husn me khoya hua tha.

Soch raha tha ki kitna mushqil hota hoga ek celebrity hona. Na hi aap chenn se public me ghoom sakte the, aur na hi chenn se akele me kahi jaa sakte the.

Ek prakaar se khule aasmaan ke neeche rehte hue bhi Ava kahi na kahi pinjre me band hi thi. Uska haal Kaera ki tarah hi tha kuch hadd tak.

Veer ye sochte hi maayus ho gaya. Ye teeno ladkiya. Kitni hi pareshaniyo me thi apne aap me.

Woh jo abhi kar sakta tha woh tha Ava ko kam se kam uss insaan se chhutkara dilaana.

Jald hi woh ek bade hi famous spot ke saamne the.

***


Galeries Lafayette
Evening 7:18 PM


galeries-lafayette-paris-all-year

Paris ka ye mall sabse zyada popular aur alag hi prakaar ka shopping centre tha.

Beauty aur fashion se sambandhit samagriyo ke liye ye jaana jaata tha. Paris ka aadmi fashion ke maamle me aage bhi tha.

Log khaali odhne ke kapdo par hi bohut zyada paisa kharch kar diya karte the.

Veer andar iss mall ki khubsoorti ko nihaar raha tha. Aur Ava apne liye dresses pasand kar unhe try karne ke liye jaa rahi thi.


galeries-1

Usne baaki bodyguards ko shop me thehraaya hua tha toh koi dikkat nahi thi. Woh baahar aake logo ko check kar raha tha.

Filhaal koi gadbad nazar nahi aa rahi thi. Usne Basic Enemy Tracker ka bhi istemaal kiya. Par koi bhi enemy saamne nahi aayi. Yaani abhi ki sthiti acchi thi.

Ava kapde badal badal ke Veer ko dikhaati aur Veer se puchti ki kaun si zyada better lag rahi hai.

Aisa lag raha tha ek couple shopping pe nikla ho.

Veer se raay leke usne apne liye kuch kapde khareede. Aur Veer ko bhi usne jaan-boojh ke kharidwa diye.

Abhi Ava apne liye kuch jewelries pasand kar rahi thi jab Veer ne dekha ki waha ki ek kapdo ki dukaan se ek aadmi ne ek ladke ko dhakka deke baahar kar diya.

"Haan gaanduo! Dekh lena! Dekh lena ek din tum sab meri kala ke saamne nange ho jaoge. Mere peeche peeche bhaagoge. Fir mein ghaas tak nahi dalunga tumlogo ko…!"

Baahar pheka gaya ladka unn logo par french me badbada raha tha.

Curiosity ke chalte Veer uski orr badha aur,

'Check'

*Ding*

[Name : Louis
Age : 28
Status : Unemployed Fashion Designer.

Bio : Louis, ek bohut hi talented fashion designer hai. Lekin aksar uski fashion drawings ko log ignore kar dete hai. Jiske chalte woh ab tak unemployed hai. Usse employment ki sakht zaroorat hai. Apni craft ko lekar bohut serious hai. Paiso se zyada usse apni craft pasand hai. Ek mauke ki talaash me hai. Abhi tak woh kisi bade invester ki nazro me nahi aaya hai. Warna kisi badi brand ne usse hire kar liya hota ab tak. Focused rehta hai, extremely creative hai, aur baaki cultures ke pehnaave ko openly explore karta hai.

Favourability : 5
Relationship : Strangers]

Uska status padhte hi Veer ki aankhein hairat me fel gayi.

'Kahi ye wahi toh nahi-!?'

Usse yaad tha Profit Path ke Path-1 me ek jagah par question mark bana hua tha.

Ye aadmi fashion designer tha. Veer ko issi ki toh talaash thi. Kya ye wahi tha?

Veer : Hey there! My friend! Kya hua?

Veer ne uska kandha thaam bolna shuru kiya. Woh french me hi bol raha tha.

Uska translator upgraded tha toh Veer ke liye language barrier tha hi nahi. Woh kisi bhi bhaasha ko samajh sakta tha aur bol sakta tha.

System ke internal features me se ek tha ye.

Louis : Ah! My good friend. Ye log harami hai. Mujhe dhakke maar ke baahar nikaal diye. Mein apni fashion drawings inke paas laaya tha. Ye dekho!

Usne apni dherr saari drawings dikhaayi jinhe dekh Veer ko kuch khaas samajh toh nahi aayi par System ne kaha tha ki ye banda talented hai. Toh Veer ne apna natak shuru kar diya,

Veer : My friend! You are extremely talented. Adhbhut! Kamaal hai! Shandaar! Mene iss se pehle itni behatreen fashion drawings nahi dekhi.

[Ye kuch zyaada nahi ho gaya!? He definitely won't fall for this.]

Veer ki baat sunn, Louis chuppi saadhe usse taakta raha.

'Fuck! Did I mess up!?'

[Of course! Aisi baat pe bhala kaun yakeen-]

Pari apni baat poori karti ki tabhi Louis achanak se Veer ke gale lag gaya aur zorr se sisakne laga.

Louis : Huuuuuu~ Aaj tak meri itni tareef kisi ne nahi ki. T-Tumhari aankhein asli kala ki qadar karna jaanti hai my friend. Merci my friend…! Merci…!

French me thank you bol, woh Veer ke haath ko thaam zorr se hilaane laga.

[What the fuck…!? He believed that shit!!?]

Veer : Hahahaha! Yes my friend. Kya naam hai tumhara?

Louis : I am Louis dear. What's your good name?

Veer : Mein Veer! Mere paas tumhare liye ek offer hai.

Louis : Ohh?

Veer : Kya tum mere liye kaam karoge? India me?

Louis : I-India?

Veer : Yes! Ye mera card hai.

Veer ne apna card uski breast pocket me rakh diya,

Veer : Jab apna decision lo. Toh mujhe call karna. Mera India me food ka business hai. Lekin clothes ka bhi shuru kar raha hu. I need a designer. Agar tum haan kehte ho toh tumhare neeche baaki designers kaam karenge. I'll make you the head of them. Sochna zaroor iss baare me.

Louis (nods) : O-Okay my friend. Merci~

Woh thoda asmanjas me pad gaya. Haan kahe ya na kahe? Usne koi jawaab nahi diya. Aur samay ki maang kar woh waha se fauran hi nikal gaya.

Tab tak Ava ki shopping bhi poori ho chuki thi.

Aur mall se nikal woh dono abhi street par hi chal rahe the jab Ava ne dekha ki road ke uss paar ek alley me neon lights jal rahi thi.

Ava : Ohh? Waha kya hai?

Uske sawaal ka jawaab uske peeche chal rahe guard ne diya,

Guard : Miss! Woh area accha nahi. Waha locals slot machines me lottery khelte hai.

Ava : That's nice!!! Kya hum waha chal sakte hai?

Guard : No miss! Itne saare log waha jayenge toh log hum par aur shaq karenge. Koi bhi galat intentions rakh sakta hai. Aur aapko chot pohucha sakta hai.

Ava : But- I really wanted to explore.

Guard : No Miss!

Ava ka muh agle hi pal utar gaya. Woh jaanti thi guard uski safety ke liye hi usse mana kar raha tha. Par fir bhi woh jaana chaahti thi.

Veer : Let's go!

Ava : Huh?

Guard : Hey! Ye tum kya bakwas kar rahe ho? Meri kahi baat tumhare dimaag me nahi gayi kya?

Veer : Don't worry! Mein personally jaunga unke saath. Unhe kuch nahi hoga.

Guard : Mujhe tum par bharosa nahi hai. Agar aisa hi hai. Toh mein bhi chalunga.

Veer : Fine! Why not!? Aaiye Miss Nat!

Ava : Hey! You can call me just Nat. Miss Nat ki zaroorat nahi hai.

Veer : Ji nahi! You are my hirer. Aapke under kaam kar raha hu mein. It's better to use honorifics in a profession.

Veer ki baat Ava ko iss baar dil pe lagi. Pehle woh duri bana rahi thi uss se. Aur ab jab woh uske prati khulne lagi thi toh Veer uss se duri bana raha tha. Usse dhyaan aaya ki unka rishta bas ek bodyguard aur ek celebrity ka hi tha. Uss se zyada kuch nahi.

Par uske ye vichaar agle hi pal gaayab ho gaye jab usne alley ke andar ka nazaara dekha.

Ava mask lagayi hui thi isliye usse koi pehchaan na saka. Par uske kamuk badan par harr ek aadmi ki hawas bhari nigaahein ghoom rahi thi. Alley ke andar toh wese hi log nashe me dhutt rehte the. Ava unke liye bhediyo ke jhund me aayi ek khubsoorat billi ke samaan thi. Jisse bhogne ke liye unki aankhein hawas saaf bayaa kar rahi thi.

Aur unn gandi nazro ko bhaanpte hi uski bauhe chidhan me sikud gayi.

Woh teeno galiyo se hote hue aur andar jaane lage. Abhi woh aage badhte ki ek aadmi ne unhe rok liya.

Uski ek dukaan thi. Jisme woh alag alag prakaar ke phal rakhe hue tha.

Aadmi : Tum sab!!! Kaun ho tum sab? Kis liye aaye ho?

Guard : Tumse matlab? Hum kisi ke liye bhi aaye ho. Tum kaun hote ho ye puchne waale?

Aadmi : Shayad naye ho yaha. Seedhe seedhe puchta hu. Kis liye aaye ho? Khareed-dari karne ya fir-

Woh thoda aage jhuka aur dheere se bola,

Aadmi : Ya fir lottery khelne?

Veer (ahista se) : Lottery khelne.

Aadmi (smiles) : Toh fir pehle yaha se pass lena hoga.

Veer : Ohh! Aur woh kitne ka hai?

Aadmi ne unn teeno ko upar se neeche dekha. Unke acche kapde dekh wo muskuraaya.

Aadmi : Hehehe~ zyada nahi. Bas 100 euros.

Daam sunte hi Ava ka guard bhadak utha,

Guard : 100 euros? Ek jhapad dunga na! Bewakoof samjha hai kya? Abhi police me inform karu ki kya chal raha hai yaha? Baahar se phal ki dukaan lagaaye ho dikhaane aur andar ye kaam chal raha hai? Ek khabar lagte hi sab chaupat ho jayega yaha.

Aadmi thoda darra. Par fir khisiyaate hue bola,

Aadmi : Toh bata do. Par ek baar soch lena. Aisa karne ke baad tum yaha par maujood harr insaan ke coverage me aa jaoge. Soch lo!

Unn teeno ne waha nazre daudaayi toh paaya ki harr aadmi unhe hi ghoor ke dekh raha tha. Khaas kar Ava ke badan ko.

Guard : Tch! 100 euros zyada hai. Apna daam sahi se lagao. Hume bas kuch derr hi yaha khelna hai.

Ava : H-Hey it's okay! 100 euros is not that much-

Guard : Miss aapke liye zyada nahi hai. Par ye aadmi humaare kapde dekh ke hume loot raha hai.

Aadmi : Hehehe~ Toh ek kaam karo. Iss ladki ko yaha chorr jao. Aur 10 euros. 10 euros me jitna chaahe utna khel-

Uske muh se ye nikla hi tha aur Ava ka guard uski batteesi todne hi waala tha ki achanak se ek haath tezz gati me aage badha aur uss aadmi ki collor pakad usse ek jhatke me neeche kheech liya.

Aadmi ka phati ke maare chehre se rang udd gaya.

Usne apne saamne dekha, unn teen logo me se ye woh naujavan tha jo ab tak shaant khada hua tha.

Agle hi pal usne dekha ki uss ladke ki aankhein ekdum se poori gehri laal ho gayi. Ye drishya itne paas se dekhte hi uska moot nikalte nikalte reh gaya.

Ek sihran uske poore shareer me fel gayi. Aur tabhi uske kaano me ek bhayanak bhay paida karne waali awaaz padi,

"Zyada hoshiyaari peli, toh aaj raat ghar apne perro par chal kar nahi jaa paoge."

Kehte hue uss ladke ne usse chorra aur woh ghabra ke peeche ko jaa gira.

Uska poora badan kaanp raha tha. Veer agle hi pal muskuraaya aur uski aankho se laal rang gaayab ho gaya. Woh Ava ki taraf mudte hue bola,

Veer (smiles) : He agreed!

Ava : Ahn!!?

Ava ke guard ki bhi nazre aashcharya ke maare feli hui thi. Woh jaanta tha ki Veer ne kuch toh kiya tha. Par kya?

Guard : T-Tum-!!

Pehle woh Veer ko ek aam ladka hi samajh raha tha. Par Veer ke iss show ko dekh ab woh andar se jaan gaya tha ki ye ladka jitna simple dikhta tha utna tha nahi.

Idhar uss aadmi ki orr Veer ne 10 euros feke aur Ava aur guard ke sang pass leke woh andar chal diya.

Agal bagal harr jagah koi na koi dukaan lagi hui thi. Par unhi dukaano me log kuch na kuch juaa khel rahe the. Ya koi business ki baatein kar rahe the. Toh kahi koi drugs ki fer badli kar raha tha.

[Master! Ye woh area hai jaha log illegally kaam kar rahe hai.]

'I know Pari!'

[Ye sab dukaan inka nakli dhandha hai. Sirf dikhaawe ke liye. Taaki raid ke dauran ye bach sake.]

'Yeah!'

Guard : Dekha Miss! Isliye mein aapse keh raha tha ki ye area theek nahi.

Ava : Yes! I understand. It was my fault.

Usne chalte chalte sarr jhuka liya.

Veer : It's okay! As long as you're safe. Nothing else matters right now.

Ava ne sarr utha ke Veer ki peeth ko dekha. Uski aankho me chamak thi. Aur woh bud-budaate hue boli,

"Thank you~"

Woh teeno hi wahi lagi ek slot machine ke paas aaye.

Guard : Mein aas paas nazre ghuma ke aata hu. Tum yahi rehna Miss ke paas.

Veer : Don't worry!

Guard ko kahi na kahi ab Veer pe bharosa hone laga tha. Isliye woh agal bagal ki galiyo me nazar maarne chala gaya.

Par wo sabhi ye nahi jaante the ki yaha aur kaun kaun baitha hua tha.

"Terashima!!!"

Ek dukaan ke andar video cassettes khareedte hue aadmi ne apne bagal se khadi ladki se kaha.

Ye koi aur nahi, Chris hi tha.

Wahi kaala French aadmi. Aur uske bagal se behroopiya bane Terashima, wahi japani ladki khadi hui thi.

Terashima : Hmm! Yes! It's confirmed.

Chris : Andre!! Tum record kar rahe ho na?

Chris ne apne baayi orr khade aadmi se kaha. Woh bhi French hi tha.

Andre apne coat ki upar ki jeb ko sahi kar bola,

Andre : Sab record ho raha hai. Don't worry!

Terashima : Make sure uska chehra saaf saaf nazar aaye.

Andre : Chinta mat karo. Shaant raho bas.

Idhar slot machine ke nazdeek aate hi Veer ne Ava ko usse istemaal karne ke liye kaha.

Ava iss waqt aisi lag rahi thi jaise ek choti bacchi pehli baar kisi mall me ya circus me jaake cheezo ko dekhti hai.

Woh lever kheench ke jackpot nikaalne ki koshish kar rahi thi aur Veer mand hi mand muskura raha tha.

Veer : Aise jackpot nahi lagta madam. Ye class 3 machine hai. Randomly numbers generate hote hai. Isme jackpot lagne ki probability bohut hi slim hoti hai.

Ava (smiles) : Ohh achha? Tum dekhna fir abhi. Dekho mein kaise jeetati hu. Watch me!

Ava ne do teen baar aur try kiya par koi safalta haath nahi lagi. Par chauthi hi baar me.

*Kling* *Kling* *Kling*

Beech ka middle column poora ka poora same number se bhar gaya. Dekhte hi Veer achambhav me reh gaya. Aur Ava khushi se jhoom uthi.

Ava : See??? Hahahaha! I won!!! Mene kaha tha na?

Veer (smiles) : Yeah yeah! Dekha mene. You sure are lucky. Mein jaata hu iske owner se baat karne. Ab toh usse jackpot ka prize dena hi padega.

Jaate jaate woh jaise hi machine se peeche hua toh,

Ava ke kamuk badan ki jhalak usne li.

Aur Ava uski aankho me hi jhaank rahi thi.




Veer ko halka sa uska cleavage nazar aaya.

Veer : Ahem!

Ava (smiles) : Like what you see?

Veer (blushes) : M-Mein aata hu. Wait for me!

Ava bas ek cute si smile liye wahi khadi rahi. Usne firse apna muh mask se dhak liya. Woh bhul hi gayi thi usne mask beech me nikaal diya tha.

Aur Veer ko jaata dekh uske gaalo par cute se dimples aa gaye.

Veer idhar slot machine ke owner se baat kar raha tha jab usse kisi cheez ka andesha hua,

'Something is wrong.'

Aur fauran hi usne,

*Ding*

[Basic Enemy Tracker is in use.]

[2 enemies found nearby.]

Notification padhte hi Veer ka shareer thanda pad gaya.

Woh ek jhatke me peeche palta,

"Avaaaa!!!"

Par uske palatate hi,

*Fsssssssss*

Ek smoke bomb waha aake gira aur chaaro aur dhua dhua ho gaya.

'Shit!!!!'

[Master! Ava ke paas jaiye. Quick!!!]

Ek jhatke me uski aankhein laal hui aur wo waha se hawa ke jhoke ki tarah uss dhuye me ghusa.

Par Ava waha nahi thi.

'Shitttt!!!!'

Tabhi Veer ko bagal ki alley se ek awaaz sunaayi di,

*BANG*

Aur uska darr aur badh gaya. Ye gunshot ki awaaz thi.

'Fuck!! Fuck! Fuck!!! Enemies pehle nahi thi. Aise achanak se kaise-!? Ava! Be safe!!!'

Woh daudte bhaagte hue uss alley ki orr gaya. Gunshot ki wajah se alleys me afra tafri mach gayi.

"Aaaaaaaaaaa"

"Haaaahhh haaahhhhhhh"

Log cheekhte hue waha se apni jaan bachaane bhaagne lage.

Veer jaise hi uss alley ke andar gaya, uske haath ek buri khabar hi lagi.

'Shit!!!'

Ava ka guard neeche pada hua tha. Uski jaangh me goli lagi hui thi. Aur apni taang pakde woh dard sehen kar uthane ki koshish kar raha tha.

Veer ne aage badh usse apni peeth par uthaaya.

Veer : What the fuck just happened?

Guard : Arggh! K-Kuch samajh nahi aaya. W-Woh! Woh police ki uniform pehne the. M-Mujhe laga wo patrol par aaye hai. Par unhone achanak hi mujhe shoot kar diya.

Veer : Cops?? The fuck!??? Ava kaha hai??

Guard : M-Mere girte hi wo tumhari taraf bhaage. B-Baad me mene Miss ko unse bhaagte hue dekha hai. Miss road ke uss side buildings ki orr gayi hai. L-Lekin woh unke peeche pade hai. T-Tum mujhe chorro- Urrrghhh! A-Aur Miss ke paas jao jaldi.

Veer : Fuccckkkk!!!!

Veer alleys se jaise hi baahar nikla, uski saasein saamne ho rahe drishya ko dekh aur atak gayi.

*BANG* *BANG* *BANG*

Achanak hi aayi gang ne Ava ki baaki security jo road par pehle khadi hui thi unn par shootout shuru kar diya.

Aur pal bhar me waha hahakaar mach gaya. Log bhaybheet hoke cheekhte chillaate hue apni jaan bachaane cover lene lage. Toh kahi kuch bhaagne lage.

'Shit!!! Shit!!! This is bad!!!'

Veer ne car ke peeche cover leke ishaare se security me se ek aadmi ko bulaaya jo sabse paas tha.

Uske aate hi Veer ne Ava ke ussi guard ko security ko thamaaya.

Veer : Seedha hospital! Theek hai?

Woh aadmi haami bhara aur Guard ko peeth par laad waha se dur le jaane laga.

Shootout ab bhi chaalu tha aur dono hi paksh cover leke raaste par hi fights lene lage.

Ye main road thi. Aisi bhaari bheed me ye sab karna koi chota kaam nahi tha.

"Ava!!! Hang in there!"

Veer security waalo ki madad karna chaahta tha. Par uske liye abhi Ava sabse zyada zaroori thi.

Woh turant hi sabse saamne waali ek badi si building me ghus gaya.

Udhar alley ke andar hamla hote hi Andre, Chris aur Terashima alert uo gaye.

Apni kamar se ek ek gun handgun nikaal woh waha se nikalne lage.

Terashima : Tumne record kiya na?!

Andre : Everything! Yes!!

Chris : Lekin order toh usse zinda pakadne ka tha na? Ye firing kyu?

Terashima : I fucking don't know!!! LEAVE!! QUICK!!!

Andre : Contact karo aur saari info batao jaldi.

Terashima : Chrisss!!!

Chris : I'm on it!!!

Unke baahar aate hi,

*BANG* *BANG* *BANG*

Shootout fight jaari hi thi.

Terashima : What the hell?

Chris : Kitne goons hire kiye gaye hai?

Andre : There are many!!!! Search for him quick!!!

Tabhi Terashima ko ek voice message aaya. Jo uske ek kaan me lage single ear headset me sunaayi diya. Aur usse sunte hi,

Terashima : Damn it!! Quick!!! Building ke andar.

Woh teeno daud rahe the. Aur firing se bachte hue woh teeno hi uss building me ghus gaye.

Kisi sajjan purush ne police ko khabar kar di thi. Aur jald hi apna siren bajaate hue police waha aa dhamki.

Par unke aane se pehle hi woh gang waha se rafu chakkar ho gayi.

Bache the toh woh the Ava ke security waale. Kuch buri tarah ghaayal the toh kuch apni maut ki kagaar par the.

***

Idhar upar building me itne logo ko yu andar daudte bhaagte dekh sab sehem gaye. Baahar ki shootout ki awaazein kya kam thi jo ab suspicious se log building me aa dhamke?

Ye building ek IT tech company ki thi. Night shift waale employees ka kaam abhi shuru hi hua tha jab ye sab ghatit ho gaya.

Woh neeche jhuke apne aap ko safe rakhne ki koshish kar rahe the. Company ki security waale apna kaam kar rahe the par woh bechaare khud hi darre hue the.

Veer daudte hue upar ki orr stairs se jaane laga.

Neeche usse Ava kahi dikhaayi nahi di thi. Iska matlab woh unn sab se bhaag ke upar bhaagi hogi.

'Please!! Please!!! Just don't die…!'

[Masterrr!! If she's smart then woh bhaagte bhaagte upar hi gayi hogi. Kisi ek floor pe nahi ruki hogi.]

'Alright!'

Veer Pari ki baat samajh gaya aur woh seedhiyo ko laanghte hue sabse upar waali floor par pehle jaane laga.

Kahi ek ek floor me dhoondhne ke chalte derri na ho jaaye. Issi baat ka darr tha usse. Uska dil zorro se dhadak raha tha.

Bhale hi Ava se uski utni jaan-pehchaan nahi bann paayi thi. Par Veer bilkul bhi usko marrte hue dekhna nahi chaahta tha. Apne liye bhi aur…!

Sonia aur Kaera ke liye bhi.

'Mission kyu nahi mila mujhe abhi tak? Fuccckkkk thisss!!! At least unki location toh pata chal jaati.'

[That means abhi tak woh pakdi nahi gayi hai. Be quick! Hum unhe bacha sakte hai uske pehle hi.]

Sabse upar aate hi Veer daud ke poore corridor me ghoomne laga.

Lekin ab bhi Ava usse kahi nazar nahi aa rahi thi. Uski ghabrahat aur badhti jaa rahi thi.

"Ava!! Avaaaaa!!! Where are youu???"

Woh waapas iske neeche waale floor me jaane ke liye muda ki tabhi uske peeche se ek awaaz aayi,


"Oh! Are you looking for someone?"

Awaaz sunte hi Veer ka shareer kaanp gaya. Sirf Veer hi nahi. Pari ke andar bhi ek sihran daud gayi.

Woh dheere se peeche muda. Aur palatate hi,

Uski aankhein phati ki phati reh gayi.

"T-Tum!!???"

Agle hi shan,

*Ding*

[Mission : Get to Ava as fast as possible.

Rewards :
1) ??? Points.
2) 1 Random skill (any tier)

Mission failure penalty : 5000 points deduction.

Location : 3rd floor.]
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
I know update late hai. Meri condition kuch theek nahi thi. Isliye ye bada update. 6.1k words ka update hai ye. Toh apna apna kaam karne ka. Likes thokne ka aur revos rakhne ka guys.

Dhanyavaad! ✨
BAHUT HI SHAANDAAR LAJAWAAB EXCELLENT JABARDUST MIND BLOWING AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

Raj

Well-Known Member
4,577
15,493
158
Update - 137 ~ First Clash (2)

Ab tak...

Uski aankhein phati ki phati reh gayi.

"T-Tum!!???"

Agle hi shan,

*Ding*

[Mission : Get to Ava as fast
as possible.

Rewards :
1) ??? Points.
2) 1 Random skill (any tier)

Mission failure penalty : 5000 points deduction.

Location : 3rd floor.]


Ab aage...

“Itna hairaan kyu ho rahe ho? We are not seeing each other for the first time right?”

Veer ke saamne woh khada hua tha. Wahi jiska darr usse itne dino se sataa raha tha.


CRIMSON!

Veer : T-Tum!?

Crimson : Haan mein! Itna darr kyu rahe ho Veer?

Uske hontho par ek mazaakiya muskaan thi. Lag raha tha woh Veer ko ghabraaya hua dekh uske mazze le raha tha.

[Shit! Master! Ava is in trouble! Lekin ab ye-! How is he here?]

Veer chup chaap saamne khade vyakti ko ghoor raha tha. Ye aadmi uske liye ek buri khabar tha. Woh poora satark, apna dhyaan uss par hi lagaaye hue the.

[Agar isne humse fight li, toh Ava ko bachana mushqil ho jayega Master. Hamare paas waqt kam hai.]

Veer Pari ko jawaab nahi de raha tha Woh jaanta tha ki Pari sahi keh rahi thi. Ek taraf Ava thi jo musibat me na jaane kis haal me 3rd floor par unn aadmiyo se bach rahi hogi?

Toh dusri taraf ye saamne khada aadmi. Woh kare toh kya kare?

Veer : What do you want? Mujhe nahi lagta mene tumhara kuch bigaada hai. Toh fir kyu-!?

Crimson : Ohh! It’s simple!

Veer : ??

Crimson (smiles) : I simply want to kill you. That’s it!

[What??]

Veer (frowns) : Tumhe mere baare me kaise pata chala?

Crimson : Tumhe nahi lagta Veer ki jab ek sher kisi hiran ka shikaar karne wala ho toh hiran ko iss baat se koi matlab nahi hona chahiye ki sher ne uspe hamla kyu kiya. Hai na?

[Shit!!! He is prepared to fight! Master! This is bad news. Run!]

Mutthi kass Veer uski aankho me aankhein daal ke dekha.

Veer : Toh woh tum ho jo Ava ke peeche pade ho?

Crimson : Hmm? Why do you think so?

Veer : Tum Las Vegas me bhi the. House of the killers ke dauraan. Aur ab Ava mushqil me hai. Don’t tell me-!!

Crimson (smiles) : Ohh?

Veer : Las Vegas me Ava ki friend Charlotte maari gayi thi. Woh bhi celebrity thi. Aur Ava bhi celebrity hai. Charlotte maari gayi aur Ava bhi ab-!!! Lekin woh Nightwalker ka kaam tha. Kahi tum-!?

Crimson (smiles) : Hmm?

Veer (frowns) : Iska matlab tum House of the killers se related ho?

Crimson bas muskuraya.

Veer (screams) : TELL ME!!

Crimson : Awaaz neeche Veer!!

Veer : Agar mujhe maarna hi tumhara maqsad hai. Toh mujhe maara kyu nahi? Tumhare paas to Las Vegas me mauka tha.

Crimson (smiles) : Tum khud jald hi jaan jaoge.

[What? Master! I'm feeling strange. Y-Ye aadmi-!! He's doing something. Lekin mein samajh nahi paa rahi. Akhir ye chaahta kya hai.]

'Pari!'

[Yes Master!?]

'Don't worry! We will save Ava!'

[Yes Master! Lekin ye-]

Par Pari apni baat poori kehti uske pehle hi Crimson ke hontho par ek daraavni muskaan saji aur agle hi pal,

*Swoooooossshhhh*

'Huh?'

Woh apni jagah se gaayab ho gaya.

[Shit! Maste-]

Pari ko apne bol beech me hi rokne pade kyuki agle hi shan Crimson Veer ke saamne tha.

*BAAAAMMMMMMMMM*

Ek laat zorr se aake Veer ko padi, parantu samay par usne apne dono haatho se apna chehra block kar liya.

Uska shareer peeche ki orr hawa me ucchla aur usne back flip hawa me hi maari. Turant hi fir usne apne aap ko sambhaala aur zameen par apne perr wapas tikaate hue usne Crimson ko taajub me dekha.

Laat padte hi Veer ko Crimson ke force ka andaaza lag gaya tha. Uss kick ko block karne par hi uske haatho me dard hone laga tha.

[He's strong! That force-!]

Ek gehri saans lete hue Veer ne khud ko prepare kiya.

Aur fir shuru hui waha pe bhaiyankar ladaayi.

Crimson apni tezz gati se Veer ke saamne aaya,

*Whoooossshhhhh*

Uski laat zorr se ghoom kar hawa ko beech se cheerte hue Veer ke sarr par padne ko aayi.

Par tabhi,

*Duck*

Veer ne khud ko neeche jhuka liya. Crimson ki laat Veer ke sarr ke upar se usse cross karti ki uske pehle hi usne muskuraate hue apna perr neeche jhuke Veer ki orr mod diya.

'Fuck!!!'

*Baaaammmmmm*

Split second me Veer ne apne dono haatho se cross bana ke block kiya warna woh kick uske chehre ka huiya badal deti.

*Crack*

Kick ke force se neeche jadi tiles par daraare bichh gayi. Aur turant hi Veer ki aankhein laal ho gayi.

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been turned ON.]

Veer ne apna wazan apni baayi taang par tikaaya aur,

*Whooosh*

Daayi taang ko neeche se ghuma ke usne Crimson ki taang par vaar karna chaaha jo ek perr par khade hue tha.

Lekin jaise Crimson pehle se hi Veer ke move ko read kar chuka tha.

Usne tabhi khade hue perr se khud ko hawa me uchhaala aur Veer ke haatho ke beech maujood ek taang se woh hawa me roll kiya.

Crimson ke uchakte hi Veer ki kick yu hi barbaad chali gayi.

Par Crimson ke hawa me hone ke kaaran, Veer ko ek mauka mil gaya.

Woh jaanta tha uske roll hote hi ek zordaar kick uski orr aane waali thi.

Isliye,

"Haaaarrrrrghhhh!!!!"

Dahaad maarte hue usne apne haatho ke cross ko bhar taaqat se khol Crimson ko dur fek diya.

Jiska nateeja kuch nahi hua. Crimson dur jaate hi apne perro par araam se khada ho gaya. Par uske chehre par ek bohut badi muskaan feli hui thi.

Crimson (smiles) : I knew it!! Tumhe maarne me maza aayega Veer!!! Hahahahahaha!!!!

[Maaastttteeerrr Run!!!!]

*Whoooossshhhhh*

Veer mauka dekhte hue hawa ke jhoke ki tarah waha se bhaaga. Ladaayi se bhaagna uski apni style nahi thi.

Lekin uski priority abhi Ava thi. Ye ladaayi nahi.

Corridor ke chhor par hi stairs thi. Isliye lambe corridor me apni poori gati se woh bhaaga.

"Bhaag kaha rahe ho Veeeeerr!!!? Hahahaha!!!"

Usse apne peeche se Crimson ki bhayanak awaaz sunaayi di. Mud ke dekha toh Veer ke badan me ek sihran daud gayi.

Crimson bhaiyankar tez raftaar se uski orr bhaagte hue aa raha tha. Uske qadam itne bhaari bharkam the lekin raftaar fir bhi khoob tez.

[Shit!! Shit!!! Shitttt!!! Runnn! Maaasterrr!!! Runnn!!!! Remember 3rd floor! Quick!!!]

Peeche se khaufnaak chehra liye Crimson utsaah me Veer ko maarne ke liye dauda.

Beech corridor me hi ek fire extinguisher ko usne deewaar par lage hook se ukhaad ke nikaala.

"Here's a gift for you Veeeeerrrr!!!!"

Aur uss bhaari bharkam fire extinguisher ko usne khilaune ki tarah dur bhaag rahe Veer ki taraf phek diya.

*Zoosh zoosh zoosh*

Teevr gati me woh laal rang ka lohe ka cylinder udte hue Veer ke sarr ko phodne ke liye aaya.

[Maaaasttterrrrr!!!!!!]

Veer palta.

Fire extinguisher ke aate hi usne apne baaye haath se usse pakda aur,

"Haaaarrrrrghhhh!!!!!!"

Khud ko 360° turn me ghumaate hue usne force ka istemaal kar fire extinguisher ko Crimson ki orr hi aim kar phek diya.

*Ding*

[Hawkeye]

Extinguisher zorr se udta hua Crimson ke muh ki orr aaya ki tabhi,

Achanak hi slippery floor ke chalte uska perr fisla, woh peecha ko jhuka aur,

*Whooosh*

Extinguisher uske sarr ke upar se nikal gaya.

Aur peeche jaake zorr se andar rakhi office table se bhid tezz awaaz ke saath gira.

Crimson ki aankhein iss baar feli hui thi.

Usne rukte hue Veer ko dekha. Aur fir agle hi shan uski daraavni muskaan aur zyaada badh gayi.

"Nice Aim!"

[Whaaaatttttt!!!??]

Idhar Pari ke saath saath Veer ke bhi hosh udd gaye.

'P-Pari!!??'

Hawkeye miss ho gayi?

Aaj tak Hawkeye se kiya gaya vaar miss nahi hua tha. Lekin aaj Crimson ne uski Hawkeye ko chakma de diya.

[This is bad!!! Master! Ya toh usne koi skill use ki hai, ya fir fast reflexes ke chalte wo dodge kar paaya. Ya fir simply luck ki vajah se uska perr fisla aur bach gaya.]

'That's…!'

[Oh no! Usse hamari Hawkeye ke baare me andaaza lag gaya hai. Master jaldi!! Runnn!!!]

Veer corridor ke antim chhorr par hi khada tha. Usne na aav dekha na taav.

Seedha seedhiyo ki railing pakad chhalaang maar di.

Parantu, Crimson bhi daud ke aake uske peeche peeche kood gaya.

Veer hawa me neeche gir raha tha. 6th floor, 5th floor, 4th floor.

4th floor ke saamne aate hi usne ek jhatke me railings ko dobaara pakda aur latke hue apne shareer ko fling kar woh uss floor ki seedhiyo pe aa gaya.

[Master? Ye 4th floor hai. 3rd nahi!]

'Agar 3rd pe jaunga, toh Ava waha hogi. Mein musibat ko aur leke waha nahi jaa sakta. I'll have to deal with him here!'

[Ah! Right! Yes!]

Uske achanak se upar chadhne ke kaaran Crimson ek floor neeche ko chala gaya.

3rd floor ki railings usne pakdi aur kood ke seedhiyo pe aaya. Veer ka peecha karte karte woh 4th pe chadha.

Waha aate hi Veer uske saamne khada tha. Na hi woh bhaag raha tha aur na hi kuch keh raha tha. Uski aankhein poori laal hoke focused thi.

Crimson (smiles) : Tumhara peecha karte hue jo adrenaline rush mein mehsoos kar raha hu. Woh extraordinary hai Veeeeerrr!!!!

Veer ke dil ki dhadkane tezz ho rakhi thi. Aaj tak usne logo ko chase kiya tha. Ye pehli baar tha jab koi usse chase kar raha tha aur woh bhaag raha tha.

Ek bhayanak darr baitha hua tha uske andar. Darr yaha haarne ka aur Ava ko khone ka.

'Kuch bhi ho jaaye…! I cannot lose here! Miss Ava ko yu hi nahi kho sakta mein…! I promised her!'

[K-Kaash hum alley me na gaye hote.]

'Galti meri hai Pari! Mein hi unhe leke gaya tha. I'm the one who is responsible.'

[N-No master! Please! Khud ko blame mat dijiye. Hume kya pata tha ki waha aisa kuch achanak se ho jayega.]

'It's my mistake Pari!'

[N-No! Subah se hi sab kuch smoothly ho raha tha. Kahi koi dikkat nahi gayi thi. Koi enemy show nahi hui thi. Aur hum confident the apni skills par isliye Ava ki khushi ke liye aap usse leke gaye the. But suddenly-]

Veer mann hi mann muskuraaya.

'Isliye toh kaha mene ki ye meri galti hai Pari!'

[No! That's-]

'And I accept it. Isliye…! Ab uss galti ko fix karne ki zaroorat hai.'

Mutthi kas usne agle hi pal ek martial art stance liya.

Crimson (smiles) : Ohhh!

Veer : Come then!

***

Udhar Veer aur Crimson apni pehli bhidant me lage hue the toh yaha Vegas me Suhana idhar se udhar tension me tehel rahi thi.

Uske saamne hi do aur aurte sofe par baithi hui thi.

Ashita aur Divya.

Divya : Kab tak tehelti rahogi aise haan?

Ashita : Right! Doctor ne tumhe rest karne kaha hai na? Ye faaltu me kyu chal rahi ho?

Divya : Aur baat kya hai? Aisa kya bata diya Prakash uncle ne jisse sunn tum itni tension me aa gayi?



cbb7de523becbff952eddb817fe2b77e

Apni bauhe sikode Suhana kisi soch me doobi hui thi.


15a5a6c4394719d76323b34773cbacb3

Kuch din pehle Prakash Uncle ne uske kaan me ek khabar di thi. Jisse sunn woh thoda taajub zaroor hui thi lekin utna nahi ki chinta me aa jaaye.

Par aaj fir unhone ek khabar usse sunaayi thi. Aur isse sunn, uska chinta me jaana swabhaavik tha.

Divya : Kuch kaho bhi! Kya hua? Business loss hua kya?

Suhana ne naa me gardan hilaayi.

Divya : Toh fir? Periods? Agar aisa hai toh mein kuch tumhare liye accha sa khaana order karwati hu ruko-

Suhana : No! You idiot!

Divya : Ehh!? Toh fir kya hua?

Ashita : Husband se jhagda?

Suhana : Nahi!

Divya : Toh?

Suhana (sighs) : Mene tumhe uss din kuch bataya tha. Yaad hai?

Divya : Kya?

Suhana : Ava ke baare me.

Divya : Oh! You mean uske Paris jaane ki baat? Haan! Mujhe yaad hai.

Suhana : Mujhe Prakash Uncle ne hi bataya tha. Aur mein bas thoda surprised thi. Lekin aaj-

Divya : Hmm?

Suhana : Mujhe khabar mili hai ki Veer bhi Paris gaya hua hai.

Divya : Ohhh! I see! Toh ye baat hai!

Suhana : Huh?

Divya : Ye toh hona hi tha.

Suhana : What do you mean?

Divya : Ava ka call mere paas aaya tha Suhana. She wanted my help. Lekin mein yaha busy thi. Toh aise me uske paas Veer hi ek option bacha. Isme koi taajub ki baat nahi ki Ava ne usse bulaaya hoga.

Suhana : T-Tum jaanti thi?

Divya : Nahi! Mein ye nahi jaanti thi ki woh fir Veer ko bulayegi.

Suhana : Lekin aisi kya zaroorat pad gayi usse Veer ki?

Divya : Uska kehna tha ki woh khatre me hai. Shayad isliye Veer ko hire kiya hai usne. She knows Veer is capable.

Suhana : That…! That stupid Veer. Woh chala bhi gaya? Akele!! Bewakoof hai kya?

Ashita : H-Hey ek minute! Yaha kiski baat ho rahi hai? Kaun Veer?

Divya (smiles) : Suhana ka pyaara lover.

Suhana (blushes) : Shut the fuck up!!! K-Koi lover nahi hai woh mera. For fuck sake I'm married. Don't talk rubbish.

Ashita : W-Wait! Why are you blushing?

Suhana (blushes) : Wh-Who's blushing? Shut up!!!

Ashita : Nahi nahi! I can see it. You are blushing. Tum baakiyo ko bewakoof bana sakti ho mujhe nahi. Hmm! Veer huh? Toh hubby ke alawa bhi koi hai. I knew it!!! Tum kisi se mili ho. Kahi ye wahi toh nahi?

Suhana : Y-You-!!! Stop it!

Divya : Pfft~ Hahahahaha!!! C'mon Suhana! Tumhare chehre pe likha hua hai. You are tensed about him.

Suhana iss baat se anjaan thi ki woh kitni parvaah karne lagi thi Veer ki. Divya ke kehte hi usse abhaas hua.

Suhana : I…! I was just-

Divya (smiles) : Hey! It's okay! Mein to abhi apni investigation chhor ke nahi jaa sakti kahi. But-

Suhana : I see!

Woh kehte hue baahar ko nikal gayi. Aur usne turant hi Prakash Uncle ko phone lagaya.

Prakash : Ji kahiye Miss! Kya baat hai?

Suhana : Paris me humare paas kitne resources hai?

Prakash : Hein?

Suhana : Mera matlab waha par kya kya hai hamara?

Prakash : Ohh! Kaafi kuch hai Miss. Ek ghar available hai. Usme caretaker bhi maujood hai. Transport ke liye 1 car, 2 bikes aur ek personal chopper bhi available hai. Agar aap samudri safar karna chaahti hai toh uska bhi band-o-bast ho jayega.

Suhana : Ohh!

Prakash : Iske alawa hamari 3 badi business partnership bhi hai waha. Kuch kaam tha kya?

Suhana (gehri saans lekar) : H-Haan! Uncle! Ghar se leke transport sab Veer ko available karwa dijiye. Woh wahi par hai.

Uski baat se Prakash hairat me reh gaya.

Prakash : Umm…! V-Veer? Woh ladka?

Suhana : Haan!

Prakash : Ji theek hai. Bura na maane toh ek baat puch sakta hu?

Suhana : Yahi na ki mein usse ye sab kyu de rahi hu?

Prakash (nods) : Jii!

Suhana (smiles) : Mein khud bhi sure nahi hu.

Prakash : Huh?

Suhana : Aap jaldi se ye karwaiye. Rakhti hu!

*Call ends*

Call cut karke usne ek raahat ki saans li.

'Mujhe laga hi tha ki mein phir kisi kaam me fass jaungi. Accha hua Sonu ko mene jaldi aane ka promise nahi diya. Looks like mujhe yaha se nikalna hoga jald hi!!!'

***

Veer iss baat se pare ki uske liye koi soch bhi raha hai aur madad bhi karna chaah raha hai, yaha Crimson se ladne me laga hua tha.

Powerful punches aur Swift kicks ko jhel jhel ke, toh kahi unhe deflect kar woh jaise taise apne perro par ab tak sthir khada hua tha.

Lekin uski haalat kuch theek nahi thi. Jagah jagah choto ke nishaan jhalak rahe the. Toh wahi Crimson apni tip top condition me tha. Bas uske kapde kuch dheele se pad gaye the.

[What the hell is this? Abhi tak mein ek bhi skill trace nahi kar paayi hu. He's fighting just based on his stats?]

Veer haafte hue firse khud ko prepare kiya. Aur,

*Whhhoooosssshhhhhhh*

Dono apne sthaan se gaayab hue aur takraar karte hue dono ke punch ek dusre ki mutthi se jaa bhide.

*BAAAAMMMMMMMMM*

Crimson 2 qadam peeche hua toh wahi Veer uss impact se 6-7 qadam peeche ki orr chala gaya.

Crimson chillaate hue bhayanak speed me aage aaya aur punches aue kicks ki barsaat usne shuru kar di.

Veer acrobats ke chalte kuch vaaro se bacha toh kuch usne wahi rakhi cheezo ko utha ke khud ko defend kiya par kuch uske shareer pe aake pade.

*Powwwwwww*

Ek aake seedha uski chaathi par pada.

"Urrrghhhhh!!!!"

Usne Crimson ko dekha. Woh apne chehre par haivaano waali muskaan liye hue tha.

Achanak hi Veer ke sthir perro ka balance dagamagaya aur,

Iss se pehle ki woh ubhar paata, ek laat uske pait par aake padi aur Veer,

*Craaaaaaassssshhhhhhhhh*

[Noooooooooo!!!!!]

Veer building ke chhor par lage kaanch ko todta hua baahar gira. Hawa me glass ke tukde bikhar gaye.

Force itna tezz tha ki woh neeche girte hue next building ki 3rd floor ke kaanch ko todta hua andar crash ho gaya.

Ek building se dusri building me Crimson ne usse ek laat se pohucha diya.

*Bwuah*

Muh se achanak hi uske khoon nikla.

[Internal bleeding??? N-Nooo!!!]

*Cough Cough*

Sahi samay par usne turant hi Beowulf's Blessings ko switch kar Bone Reaper laga liya tha. Warna uska ribcage andar hi toot ke bikhar gaya hota.

Woh haafte hue khud ko sambhaala aur uthne ki koshish karne laga, jab peeche se fir ek awaaz aayi.

"Time to say goodbye Veeeeerrr!!!!"

Aur fir,

*Booooooooooooooommmmm*


giphy-6

Zorr se ek dhamaka hua.

Building se building ko tehes nehes karte hue ek missile nikli.

Buildings ki lights dhamaake se apne aap toot foot ke band ho gayi.

Jo bhi log andar maujood the. Woh ya toh turant hi dhamake me dardnaak maut maare gaye ya ghaayal ho gaye.

Aur agle hi shan poore ilaake me hahakaar mach gaya. Cheekhe goonjne lagi, log idhar se udhar afra-tafri me bhaagne lage.

Police jo ab tak neeche sadak par gangs se deal kar rahi thi unhe samajh aaya ki ye kitni badi aapda thi.

Toh wahi second floor par maujood Chris, Terashima aur Andre zordaar hue dhamaake se apna balance kho ke zameen par gir pade.

Teeno hi bhayankar ghabraahat me the. Woh ground floor aur first floor ko explore kar ke abhi second floor par aaye hi the jab ye ho gaya.

Unhe saamne ka nazaara saaf saaf dikhayi de raha tha.

Chris (shivers) : This-!!!!

Terashima ne kaanpte hue turant hi apne ear piece par haath rakha aur contact kiya.

Terashima : Reinforcements!!!! Nowwwww!!!

Andre : R-Rocket Launcher? W-Woh ek rocket launcher tha hai na?

Chris : H-He fucking killed them. M-Mein isse nahi chhorunga.

Terashima : Quick!!! Discussion ka time nahi hai hamaare paas. Move faaastttt!!!

***

Dhamake ki bhanak aas paas ke chhetro me bhi lag gayi. Media reporters ke saath saath baaki log bhi turant hi apni apni coverage ke liye recording shuru kar diye.


giphy-7

Toh wahi police aur adhik maatra me apni cars me siren bajaate hue ghatna sthal par pohuchne lagi.

Kisi ne fire fighters ko bhi inform kar diya tha. Lagi hui aag ko bujhaane ke liye wo bhi nikal pade the.

Aur yahi kuch kilometres ki duri par DGSI (The General Directorate for internal security) me ek alag vartalaap chal raha tha.

France ki security agency me se ek thi ye agency jo country ke internal activities se deal karti thi.

DGSI ke head Xavier saari details ko sunn' ne ke baad bhaiyankar gusse me khade hue the.

Head Xavier : Bheji gayi footage se ek arrest warrant jaari karo.

"Yessss Sirrr!!!!" Wahi se awaaz aayi aur kuch log kaam me lag gaye.

Head Xavier : Terrorism ka case ghoshit karo isse. High alert ki warning de do sabhi agencies aur police ko.

"Yessss Sirrr!!!"

Head Xavier : Jo jo agents puraane cases me lage hue unhe issi waqt inform karo aur kaho ki sab kuch chhor ke iss case par focus kare. Baaki sab abhi ke liye halt kiya jaa sakta hai.

"Okayyy Sirrr!!!"

Head Xavier : Dead or Alive ka warrant hona chahiye. Kisi bhi keemat par woh bach ke nikalne na paaye. Warrant ko harr police station, agencies aur news media me bhej do.

"Right away Sirrr!!!"

Head Xavier : Media se contact karo aur ye bhi kaho ki janta high alert me rahe aur ghar se baahar na nikle. Blast waale area ko jald se jald khaali karwao. Ask the police for help.

"Yessss Sirrr!!!"

Head Xavier : Agent Chris, Terashima aur Andre ko satark rehne ke liye kaho. Bina reinforcements ke wo akele aage na badhe.

"We got it Sir!!!"

Tabhi waha Police ka ek senior officer aaya aur Xavier uske saath andar cabin me chale gaye.

***

Idhar dhamaake ke baad Veer ne khud ko uthaaya.

Uske upar ceiling ke kuch bade tukde gir chuke the.

Unhe alag kar woh khaaste hue utha.

[Maaastteeerrr!!! Aap theek ho na?]

'I'm fine Pari!'

[Ye aadmi paagal hai Master. Usne ek baar bhi nahi socha rocket launcher fire karne se pehle. H-He killed people.]

Veer ko ab abhaas ho gaya tha ki woh ek bohut bade potential khatre me tha.

[Also Master!!! I have discovered one of his skills.]

'Huh?'

[Punch maarne ke baad jaise hi aapne uski aankho me dekha tha. Aapka balance dagamaya tha. Right?]

'That's right!'

[He's using Vertigo Master.]

'Vertigo?'

*Ding*

[Skill : Vertigo

Description : Induces confusion, disorientation and loss of balance when looked into the bearer's eyes.]

'So that's what happened. Good job Pari.'

[Look for Ava Master!!!]

Veer utha. Usse neeche se logo ki cheenkhe aur shor-sharaba sunaayi de raha tha.

Usne waapas se building ki orr dekha jaha se woh gir ke iss nayi building me aaya tha.

Crimson chup chaap wahi haatho me rocket launcher liye khada tha.

[I hate him so much!]

'Rocket launcher? Kahi issi ne Slogan ko toh nahi supply kiye the weapons?'

[Ho sakta hai Master.]

Crimson kood ke Veer ki building me jaata ki iske pehle hi,

*BANG*

Ek bullet kahi se shot hui aur uske sarr ke chithde udaane ko aayi. Lekin tabhi usne fraction of second me apna sarr hata liya.

Uski aankhein achambhav me fel gayi aur usne alag disha me dur dekha.

Veer aur Pari bhi hairaan the. Koi dur se Crimson ko maarne ki koshish kar raha tha.

Par Pari aur zyada hairaan Crimson se thi.

[H-He dodged a bullet!!?? Aur wo bhi blind spot me fire ki hui bullet? Aapki Hawkeye ko bhi-!!! Akhir wo istemaal kya kar raha hai?]

'I don't know!'

Crimson ne Veer ko dobaara dekha aur unchi awaaz me bola,

"You are lucky Veeeeer!!! Kuch pal aur jee lo apni zindagi ke."

Itna bol woh waha se turant hi nikal gaya.

Veer fatafat waha se neeche jaane ke liye hua tabhi,

*Ding*

[Mission location upgraded.]

[Location : Red car at parking.]

'Fuuuccckkkkk!!!'

Ava pakdi jaa chuki thi.

Veer apni tezz dhadkane liye waha se neeche aaya.

"Avaaaaaa!!!!"

Woh usse pukaarte hue parkinge dekhne laga. Par tabhi sadak par usse laal gaadi tezz raftaar me jaati hui dikhaayi di.

'N-Noooo!!! Damn it!!!!'

[Master!!! Jaldi!!! Koi car ya bike!!! We need it. Quick!!!]

Veer ne wahi khadi ek bike uthaayi jo kisi gang member ki thi. ON-OFF Switch ko khol usne jhat-se power socket ko hataaya. Aur turant hi 4 wires socket ko remove kar diya.

Uske remove hote hi Bike apne aap start ho gayi.

Acceleration dete hue usne speed me uss laal car ki disha me bike dauda di.

Lekin usse bhaagte hue Chris aur anya ne building se neeche aate waqt dekh liya.

Andre : He's escaping. Quick!!

Terashima : Jaldi!! Chris!! Car lao!!

Chris bhaagte hue Car ko laaya aur woh dono baithate hue Veer ke peeche chal diye.

Idhar Terashima ne turant hi kuch police force ko follow karne ko bhi keh diya.

Kul milaake, Veer ke peeche Chris, Terashima aur Andre toh the hi par Police force bhi peeche pad gayi thi.

Aur udhar Media ne jab Ava ko car me zabardasti logo dwara andar ghuswaate hue dekha. Turant ek sansani bhari khabar news me fel gayi.

"Famous Celebrity Natalia Martin was kidnapped by an unknown group of people."

Headline bann ke poore news channels me ye Breaking News bann gayi.

Ava ke fans chinta me aa gaye. Toh wahi glamour ki duniya me ek sansani mach gayi. Ava jaisi celebrity ka kidnap hona bohut bada matter tha.

Usse bachaane ki ek Chase shuru ho gayi.

Veer na jaane kitni baato se anjaan tha.

***

Aur idhar Vegas ke investigation department me tabhi France ki DGSI ki taraf se ek message aaya.

Investigation Department ke Head Nolan ne jaise hi woh sab padha. Woh apni kursi se uth khade hue. Aur turant ke turant hi unhone Divya ko apne cabin me bulaaya.

Jaha waha Paris me raat ho rakhi thi. Yaha Vegas me din ka samay tha.

Divya jaldbaazi me Suhana aur Ashita ko apne ghar par chhor ke department me aayi.


c2c1558923eb480b3fc67e7e96541b97

Divya : D-Did something happen!?

Nolan ne bina kuch kahe hi ek printout Divya ke haatho me thama diya.

Jab Divya ne uss print out par apni nazre dudaayi aur usme likhe hue content ko padha. Uski haalat kharab ho gayi.

Uske haanth kaanp uthe aur woh printout uske haath se chhutak ke table par gir pada.

'It can't be-!!!'
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 4.3k words. Apna apna kaam kar ke jaane ka bhai log. Like thokne ka aur revos rakhne ka. Tab tak ke liye,

Dhanyavaad! ✨
SUPERB FANTASTIC MARVELOUS AMAZING JABARDUST MIND BLOWING AND INTERESTING UPDATE BHAI
 

pp37

New Member
32
51
18
Mega Update

Update - 139 ~ Caught in the crossfire (2)

Ab tak...

Prakash : Bilkul!

Suhana apne anguthe ko daato tale dabaayi rahi aur fir kuch soch ke boli,

Suhana : Uncle!!!

Prakash : Hmm?

Suhana : Hum Paris chal rahe hai. Abhi!!!

Prakash : Ehhh!??


Ab aage...

Shaam dhal chuki thi aur raatri ka samay ho raha tha. Veer ke ghar sab apne apne kaamo me lage hue the.

Hall ka darwaza tabhi khula aur Tej andar aayi. Uski haalat dekhte hi sabhi usse aashcharya chakit nazro se dekhe.

Hall me Kavya aur Arohi bhi thi. Woh dono hi tab se yahi ruk gayi thi aur yahi haal Purvi ka bhi tha. Tej aur Kavya ki zidd ke chalte usse bhi ghaseet liya gaya aur ghar par hi rok liya gaya.

Purvi : Arre baap re! Kis se kushti ladd ke aa rahi ho madam jii?

Apni maasi ka mazaak bhara prashn sunn Tej ke gaal sharm se laal ho gaye.

Tej (blushes) : B-Bas aise hi!

Bhavna : Maasi ko jawaab do Tej. Ye dhool-mitti kapdo par kaise lag gayi?

Tej (sighs) : Zameen par unn sab kisaan logo ke saath mitti ko parakh rahi thi. Fir unhone list di samaan ki.

Bhavna (smiles) : Samajh gayi!

Tej : List se kuch samaan leke aayi. Khaad se leke beej yahi sab. Wahi Mom…! Fertilizers, insecticides, pesticides jo hote hai. Abhi toh bas shuruaat hui hai. Toh wahi sab unke saath rakhwate-rakhwate kapde kab gande ho gaye mujhe pata hi nahi chala.

Purvi (smiles) : Ladki mehnat kar rahi hai.

Bhavna (smiles) : Toh ye toh achhi baat hai na!?

Purvi (smile and nods) : Mmm-Hmm!

Bhavna : Beta? Ragini nahi aayi? Tum dono saath me gaye the na?

Tej (nods) : Hmm! Unhe eyebrows banwani thi. Toh mene unhe parlour me drop kar diya. Woh boli ki ‘Mein cab kar ke aa jaungi, tum nikal jao.’ Toh mein aa gayi.

Bhavna : Theek hai! Tum haath-muh dho ke change kar lo.

Tej apni maa ki baat maan washroom me chali gayi.

Purvi : Arre bhai, ab hume bhi jaane do ghar koi.

Kavya : Bilkul nahi! Aap bhi hamari tarah yahi rukogi.

Purvi : Beta tumhare mausa jii se mere bagerr kuch na hoga. Mann hi mann mujhe khari-khoti suna rahe honge. Ki kuch ghante ke liye gayi thi aur wahi ruk ke reh gayi. Khaana-peena kaise manage karenge woh?

Kavya : Zomato zindabaad!!!! Hehehe~

Purvi (sighs) : Tum bacche bhi na~

Inki baatein yaha chaalu thi toh wahi Sonali aur Bhumika ab tak ghar nahi lauti thi. Woh food truck aur hotel me hi thi. Parantu, unki kami ki poorti ke liye Arohi aur Kavya zaroor maujood thi.

Arohi pehle se hi college ke placements campus me teen companies me placed ho chuki thi. Par ek ko bhi usne accept nahi kiya tha. Veer ne usse apne saath kaam karne ki request ki thi.

Uski ek request par Arohi ne khushi khushi hi ye saare offers reject kar diye the.

Apne bhai ke liye kaam karne se behtar aur kya ho sakta tha uske liye? Woh khush thi.

Tej jab haath-muh dho ke aayi toh dining table par baith woh araam farmaane lagi. Par usse ek chinta khaaye jaa rahi thi jo uski Maa ki nazro se bach ke na jaa saki.

Bhavna : Kya soch rahi ho?

Tej (glances) : Veer ka phone band aa raha hai.

Bhavna : Battery khatam ho gayi hogi. Ya kisi kaam me hoga toh band kar liya hoga.

Tej : Jab se woh gaya hai tab se meri baat nahi hui hai.

Bhavna : Meri baat kal din me hui thi uss se.

Tej achanak hi peeth seedhe kar ke baith gayi.

Tej : Kyaaaaa?? Aapki baat ho gayi? Kya kaha usne? Kab aa raha hai?

Bhavna : Tab woh kisi mall me tha. Keh raha tha ki ‘Aap sab logo ke liye kuch gifts dekh raha hu.’

Tej : Aapko kehna tha na toh ki gifts ki koi zaroorat nahi hai. Bas jaldi se laut aao aur kya.

Kavya : Nahi didi! Gifts toh bhaiya se lungi mein. Ek toh bina bataaye ekdum se jaate hai aur fir gifts bhi na laaye? Mein toh-

Arohi : Kavyaaa! Shhhh!!!

Kavya : Par dii?

Arohi : Shhhh!!!

Kavya muh phula ke chup ho gayi par Bhavna muskura uthi.

Bhavna : Mene usse yahi kaha tha ki ‘Beta jaldi aana!’

Tabhi itne me andar se Shweta haatho me chaaval se bhari thaal leke aayi aur baith ke unhe beente hue boli,

Shweta : Mein acche se jaanti hu apne bete ko. Woh jab bhi kahi jaata hai toh laut ke sab ke liye kuch na kuch laata hi hai. Akhiri baar jab woh Las Vegas gaya tha tab bhi laaya tha.

Usne bade hi garv se apni chaathi chaudi kar bola. Jaise dikhana chaah rahi ho ki woh Veer ko aur behtar dhang se jaanti hai.

Shweta ke muh se ‘Mera beta’ sunte hi pal bhar ke liye Bhavna ke honth upar uthe par waapas se fir sthir ho gaye.

Kintu, mann me ek khayaal bhi aaya.

‘Las Vegas? Uske aane ke baad uske muh se hi sunn’na behtar hoga shayad.’

Kavya jo sofe par baithi thi woh Shweta ki thaali me chaaval dekhte hi chehek uthi.

Kavya : Arre waah! Dinner me aaj Veg pulaav bann raha hai Badi Tai ji??

Shweta ka haath ‘Badi Tai jii’ sunte hi ruk gaya. Maathe par jaise gusse ki nass bhi thanki. Uske bas me hota toh abhi chaaval ka haatho se hi buraada bana deti. Par gusse ko peete hue farzi muskaan liye woh boli,

Shweta : Ahaha! Haan beta! Veg Pulaav hi bann raha hai. Aur Badi Tai jii kehne ki zaroorat nahi beta. Sirf Tai ji hi bohut hai. Haan?

Kavya : Hmm?

Shweta ne nazre Bhavna par ferri. Dono ki hi nigaahein aapas me fir takraayi. Bhavna ke honth punaah uthe aur ek halki si muskaan unn par aayi, jisse dekh Shweta ne apne daant pees liye. Jab se Kavya ne Badi Tai ji bulana shuru kiya tha tab se dono ke beech ye nigaaho ki takraar aksar jaari thi.

Waha se uthate hue Bhavna fir Tej ke qareeb pohuchi jo abhi bhi apne khayalaato me kahi ghum thi.

Bhavna : Kya baat hai?

Tej : M-Mom!?

Bhavna : Bolo!

Tej : Agar aap bura na maano toh ek sawaal puchu?

Bhavna : Hmm!

Tej : Ho sakta hai aapko ajeeb lage lekin please, if possible then iska jawaab dijiyega.

Bhavna : Pucho beta!

Tej (ahista se) : I’m struggling to express myself Mom. Veer jab bhi aas-paas hota hai, mein tension me aa jaati hu. I want to show him ki uski badi behan uske kitna kaam aa sakti hai. Lekin uske saamne darr lagta hai. Kahi kuch galat bol gayi toh? Kahi meri koi baat usse buri lag gayi toh? Kahi kuch gadbad kar di mene toh?

Bhavna : …!

Tej : Uske saamne sharam bhi bohut aati hai mujhe. Pata nahi kyu. Mein apni sharm chhipa ke uss se conversation karti hu par andar se meri kya haalat hoti hai ye mein hi jaanti hu. Darr lagta hai ki kahi woh mujhe ek clingy, irritating behan ke roop me na dekh le.

Bhavna : …

Tej : Kya karu? Hamare beech ye invisible awkwardness kyu hai? Ya sirf mujhe hi aisa lag raha hai? Meri kuch samajh nahi aa raha! Meri baatein koi sense bhi bana rahi hai ya nahi? A-Aap ko ye stupidity lagega sab. I-I…! I just want ki hamare beech sab kuch smooth rahe. Jaise Arohi aur uske beech hota hai. Jaise baaki behno se woh easily baatein kar leta hai.

Bhavna muskuraayi aur usne pyaar se Tej ke sarr pe haath fera.

Bhavna : Tumhe banaavti bann’ne ki koi zaroorat hi nahi meri bacchi.

Tej : Huh?

Bhavna (smiles) : Just be yourself! Jaise tum mujhse pesh aati ho. Jaise tum sabhi se pesh aati ho. Be yourself! Uss se aise hi baat karo jaise tum usse saalo se jaanti ho. And give him what he needs the most.

Tej : …wh-what he needs the most!? B-But what?

Bhavna agle hi pal haami bharte hue Tej ke kaan ki orr jhuki aur haule se boli,

“A Sibling’s love!”

Usne fir Tej se aur kuch na kaha. Kitchen ki dehleez par khadi Aabha ko dekha aur puchi,

Bhavna : Aabha? Suman akeli hai kitchen me?

Aabha : J-Jii!

Bhavna : Tum baahar baitho, mein madad karwa deti hu.

Aabha (nods) : Mmm~

Wo andar ko chali gayi. Aur idhar Tej ek baar fir apne khayalo me doob gayi. Iss baar apni Maa ki kahi gayi baat uske mann me mandra rahi thi.

***


France
Night ~ 11:36 PM


*Tocotocotocotoco*

D790-7-505-0004-600

Hawa me chopper apni udaan bhara hua tha. Andar baitha Veer uchhaayi se France ki khubsoorti ko dekh paa raha tha.

Hawa se uske baal zorro se lehra rahe the. Jald hi Eric aur woh Ushant Islands par pohuchne waale the.

Beech me unhe kayi baar fuel tank ko bharwana pada tha. Eric khud France ka nagrik tha isliye apne dosto ki sahayta se usne jaise-tese fuel ka jugaad karwa liya tha.

Par safar kaafi lamba tha. 20 ghante ke upar guzar gaye the unhe travel karte hue. Pichli raat ko nikle the woh aur ab firse derr raat ho chuki thi.

Raat me Veer ne stats badhaaye the jo ab ek raat guzarne ke baad badh chuke the. Ab woh Crimson se bhidne ke liye thoda aur taiyaar tha.

‘Hang in there, Ava!’

Par woh akela nahi tha. Iss hawayi yaatra me kuch aur log bhi shaamil the. Chris, Terashima aur Andre teeno Senior Police Officer aur unki team ke saath plane me baith nikal chuke the.

Chris : Ab woh bachne wala nahi. Airport ka plane use kar ke usne galti kar di hai.

Andre : Right! Par hume pehle celebrity Natalia ko rescue karwana hai.

Chris : Meri samajh me nahi aata ki airport ki security kar kya rahi thi jab Natalia ko gang waha par leke pohuchi toh!?

Andre : Airport par security zakhmi paayi gayi hai. Gun shots fire kiye gaye hai.

Ye sunte hi Chris ka gussa aur badh gaya.

Chris : That bastard…!

Police officers se leke sabhi apni apni seat par baithe hue the. Woh bhi josh se bharpoor, Island par criminal ko pakadne ke liye taiyaar the.

Terashima apni seat se uthi aur airplane ke cockpit me gayi jaha 2 pilots plane udaane me lage hue the.


view

Terashima : Location kya hai?

Pilot 1 : Don’t worry ma’am! Tracing team ne trace kar liya hai unka route. Mein lagatar unke touch me hu. Unka plane Ushant Islands par land hua hai.

Pilot 2 : Right! Hum kuch hi derr me waha pohuch jayenge.

Terashima ye sunn cockpit se baahar aayi,

Terashima : Destination Ushant Island hai!

Chris : Ushant huh!

Andre : Bhaagne ki ab koi jagah nahi uske paas. Satarkta se hume aage badhna hoga.

Terashima : Right! Hume dhyaan dena hai ki Natalia uski hostage hai. Kaise bhi kar ke pehle Natalia ko waha se safely rescue karwana hai.

Andre (nods) : Hmm!

Chris : Hum teen teams me divide honge. Team A, Team B aur Team C. Kisi ko koi dikkat?

Andre : Nope!

Chris : Team A rescue operation ko anjaam degi. Singer Natalia kaha par hai aur kaise bachana hai ye Team A hi dekhegi. Team A me mein rahunga aur mere saath kuch police officers.

Senior Officer : Theek hai! Mere saath yaha 30 inspectors hai. Tum 10 ko le jaa sakte ho.

Chris : Right! Team C ka kaam rahega criminal aur gang ke liye trap bichhaana. Location dekh ke Team C iss kaam ko turant anjaam degi. Officer! Isme aap ke saath Andre rahega aur 10 inspectors.

Senior Officer : Theek hai!

Chris : Terashima?

Terashima : Yahi na ki mein Team B ko lead karungi? Aur mera kaam hai criminal ko trap tak laana jo Team C bichha ke rakhegi. Hai na?

Chris (smiles) : Exactly!

Senior Officer : Hmph! Mene seeking helicopter ke liye bhi keh diya hai. Ushant Island ghane ped paudho se ghira hua hai. Agar woh chhipta bhi hai, toh raat ke andhere me helicopter hamara hathiyaar banega. Bach ke jaane waala nahi hai ab woh.

Chris : Alright then! ‘Operation Save Natalia’ starts now.

***


French department for Lighthouses and Lightships~

Ushant Island ek kaafi khubsoorat aur bade islands me se ek raha hai France ke liye.

Ushant par ek lighthouse bhi sthit tha, jo apni khubsoorti aur samudri tat se lage hone ke kaaran jaana jaata tha.



full-wolf-moon-split-rock-shane-mossman

France ke iss Department me cabin ke andar ek aadmi apni kursi par pasre apne phone par baat karne me laga hua tha.

"Haan baby! Arre aaj jaldi aaunga na. Tum taiyaar rehna. Hehe!"

"Haan bas kuch derr me nikal jaunga baby!"

"Baby aaj jam ke karenge. Hehehe~"

Woh apni maashuqa se batiyaane me laga tha jab achanak se uske cabin ka darwaza zorr se khula aur ek dahaad bhari awaaz uske kaano me padi,

"Tu phir phone pe laga hai? Complaint aayi hai mujhe sailors se ki Ushant ka Lighthouse band pada hua hai. Check kiya kya bey tune ki nahi??? 10 minute ke andar mere paas details honi chahiye saari meri table pe."

Zorr se apne senior ki awaaz sunte hi woh aadmi hadbada ke utha,

"B-Baby mein jald hi aata hu. A-Abhi kaam hai thoda sa. Bye!"

Woh seedhe baith turant hi apne computer par lag gaya. Uska senior usse lataad ke gaya tha. Uski mashuqa ne bhi daant sunn lii thi. Bechare ka dimaag kharab ho gaya.

'Ye madarchod sailor log. Saala istemaal inko GPS, radar reflector hi karna hota hai. Par Lighthouse band pada dekh ke bas chugli karni hai. Ungli karni hai betichodo ko.'

'Madarchod GPS istemal karte ho toh lighthouse band hai ya chalu, tumhari gaand me keeda kyu kaat'ta hai? Gaand me ghusedoge kya lighthouse? Complaint rakh di betichodo ne. Saalo ki naav hi doob jaaye agli baar hmph!'

Woh kheejte hue apne system par lag gaya. Usne lighthouse se communicate karni ki koshish ki toh usse ek jhatka laga.

Lighthouse se pichle 3 din se koi communication nahi hua tha aur na hi koi signal aaya tha.

France me kayi Lighthouse the. Jinse sampark ka kaam yahi department kiya karta tha. Inka kaam zyada kuch rehta nahi tha. Cabin me baithe baithe ye bas tankha khaate the apni. Isliye dhyaan bhi kam hi dete the.

Aadmi ne jab ye dekha ki pichle teen din se communication zero ho rakha hai. Uske badan me sihran daud gayi. Apne senior se woh bohut hi buri tarah daant khaane wala tha aaj.

'Baby!! Aaj lagta hai time ho jayega aane me.'

Sochte hue woh ek paper par details note down karne laga.

Harr lighthouse par ek Lighthouse keeper maujood hota tha.

Lighthouse keeper ka kaam rehta tha ki woh lighthouse ki dekh-bhaal kare. Lights se leke uske lens, clockwork mechanism, maintanence se leke uski saaf-safayi tak. Aur department ko samay samay par signals bhejte hue waha ka haal chaal batana. Sab ek lighthouse keeper hi karta tha.

Parantu, department ke logo ko kya pata tha ki Ushant ke lighthouse ka keeper...!

Crimson Festival me sharks ka pehla ahaar bann chuka tha.

Ab toh na hi woh milne waala tha. Aur na hi uski laash.

***


Ushant Islands.

Idhar Veer aur Eric Island par pohuch chuke the.

Eric : Hum pohuch gaye. Woh dekho neeche. Airstrip bhi hai Island par. Aur wo raha airplane. Zaroor ussi me Singer Natalia ko pakad ke laaye honge wo log.

Veer chopper me baithe-baithe neeche dikh rahi cheezon ko scan kar raha tha. Raat ka andhera hone ki wajah se usse kuch khaas nazar nahi aaya.

Parantu, kaafi cheezein jaise ki airplane aur sadak usse dikhaayi de rahi thi. Usne airplane ko check kiya toh pata chala ki ye airplane Paris ke airport ka tha.

Veer : Landing aisi jagah karna jaha chopper ko nazro se chhipaya jaa sake.

Eric : Alright! Thoda aage le leta hu. Aur wo dekho-

Eric ne ishaara kar Island ki sabse pramukh cheez dikhaayi.

Ushant ka Lighthouse.

Eric : Lighthouse dekh rahe ho?

Veer : Hmm!

Eric : Uske theek peeche ek building hai. Jisme Lighthouse ke liye supplies ko rakha jaata hai aur rehne, odhne, khaane, peene ki saamagri bhi rehti hai waha.

Veer : That means wo sabhi zaroor building me honge.

Eric : Yes! Absolutely! Lekin hamaare chopper ki awaaz se woh satark ho gaye ho shayad. Wese toh hum kaafi dur hai unse. Lekin phir bhi-

Veer : Don’t worry! Mein satark rahunga!

Eric : Haan~ Mein wahi kehna chaah raha tha.

Eric ko chopper ke liye tabhi ghane ped paudho ke beech ek khaali sapaat jagah nazar aayi.

Eric : Accha hua chopper me raat ke liye spotlight lagi hai haha! Warna ye jagah hamari nazro se chooth ke nikal jaati.

Aur usne fauran hi savdhani se chopper ko dheere dheere waha land karwa diya.

Chopper ki pankhi band hote hi Veer uss se baahar aaya. Usne dekha ki peeche ke seat ki neeche kaafi samaan rakha hua tha.

Veer : Gun?

Eric (smiles) : Safety ke liye.

Veer : Aur ye!? Blade? Itni badi?

Eric : Ye reciprocating blade hai. Metals kaatne me madad karti hai. Mujhe helicopters ka poora A to Z gyaan hai haha! Repairing bhi mein hi karta hu. Kabhi kabhi ye blade kaam aati hai.

Veer (nods) : I see!

Veer ne haath aage badhate hue wo badi si blade utha li aur apne kandhe par rakh li.

Eric : Y-Ye tum-!?

Veer (smiles) : Safety ke liye.

Usne uska hi dialogue uss par de maara.

Eric (sighs) : Fine! Tumhare saath mein bhi chalta hu. Gun hai mere paas. Lekin mein logo ko jaan se nahi maarunga. Bas darrane ke liye air fire kar sakta hu ya fir non-lethal shots maar sakta hu unpe. Magar, mein baahar hi rahunga.

Veer : That's okay!

Eric : Aur tum bhi khoon-kharaabe se bachna. Sirf Singer Natalia ko churrana hai. Logo ko maarna nahi hai.

Veer : I know!

Dono waha se nikle. Eric ne apne muh par ek kaala kapda baandh liya. Veer ne uski harqato ko dekha toh Eric bol pada,

Eric : What? Public enemy tum bane ho. Mein nahi! Mujhe toh apna chehra dhakna hi padega na.

Veer : Right! Right!

Lighthouse se guzarte waqt Veer Lighthouse ke saamne ruka.

Eric : Kya hua?

Aur bina Eric ko jawaab diye, Veer ne Lighthouse ki entrance ka darwaaza ek laat maarte hue tod ke bikher diya.

Uski tabadtod laat ki shakti dekhte hi Eric ki aankhein phati ki phati reh gayi.

Eric : Wh-Whatttt????

Veer ahista se Lighthouse ke andar ghusa, toh usne dekha ki lambe-oonche tower ki tarah tha woh. Sarr upar kar usne dekha ki kaise ghumaav-daar seedhiya gol ghoomte-ghoomte upar ki orr gayi hui thi.

Usne fir neeche apne aas paas dekha. Aur apne kandhe se blade hataate hue woh ghumaav-daar seedhiyo ki madad se blade ko beecho-beech set karne laga.

Eric : Y-Ye kya kar rahe ho tum?

Veer : Safety measure!

Eric : Huh?

Eric ki kuch samajh nahi aa raha tha ki akhir Veer karna kya chaah raha tha. Blade ko aise beech me lagaane ka kya matlab tha?

Usne dekha ki Veer ne blade ki dhaar ko upar ki disha ki orr kiya hua tha.

Eric bhale hi na samajh paaye lekin Pari sab kuch samajh gayi thi.

[Master- This...!]

'Haan Pari! Mujhe lagta hai woh yahi hai.'

[System wala vyakti!!]

'Right!'

Pari aage kuch na boli. Usse apne Master par bharosa tha. Baahar nikalte hi Veer ne dekha ki Lighthouse ke theek saamne ek sakra rasta gaya hua tha jo aage jaake kisi badi jagah par khula hua tha. Raste ke agal-bagal vishaal puraane pathharo se bani deewaar thi.

Eric : Ye raasta aage jaa ke band hai. Tum waha jaoge na toh samudra ka bohut hi khubsoorat nazara dekhne ko milega. Sunset ke samay waha se prakrati ki khubsoorti dekhne ka maza hi alag hota hai.

Veer : I see! Par filhaal hamare paas uske liye samay nahi.

Eric : Hmm! Agar aaj hum baahar nikle toh mein yaha pe tumhe baad me laa sakta hu sunset ke liye haha! Let's go now!

Dono waha se nikle aur Lighthouse ke peeche ki building ke sameep pohuche.

Veer : Tum yahi ruko! Mein andar jaata hu.

Eric (nods) : Hmm! S-Sambhal ke jaana! Wese to mujhe tumhe yaha lana hi nahi chahiye tha. Prakash Sir mujhe chhorne waale nahi hai. Lekin fir bhi-

Veer : Tum meri chinta mat karo. Tum bas apne aap ko safe rakhna. Kuch hi derr me Natalia hamare saath hogi.

Eric : Aisa bhi ho sakta hai ki unhone hume aate hue sunn liya ho. Aur ambush bana ke rakhe ho. Don't fall for that...!

Veer (nods) : Hmm! Aur suno! Jab mein tumhe dekh ek ungli se ishara karu toh iska matlab hai mein tumhe chopper ko yaha laane ke liye keh raha hu.

Eric : Ohh!

Veer : Aur jab do ungli se ishara karu toh samajh jana ki fire karne ke liye keh raha hu.

Eric (nods) : Theek hai!

Veer ke expressions agle hi pal serious ho gaye. Aur woh building me ghus gaya.

Peeche khada Eric apne aap se hi sawaal kiye jaa raha tha. Wo yaha Veer ko laaya hi kyu? Koi bhi bata sakta tha ki ye maut ke muh me ghusne ke barabar tha. Fir kyu?

Woh bechara ye nahi janta tha ki isme uski koi galti nahi thi. Kamaal tha toh woh tha Intimidating Presence ka.

Jisse Veer equip kiye baithe hue tha.

Veer ke aas-paas hone maatr se Eric ko usse dekh ek Raja ke hone ka ehsaas ho raha tha. Chaahte hue bhi woh Veer ki ek bhi request ko mana na kar saka.

Idhar Veer Eric ko baahar chhodh building ke andar pravesh kiya.

Safed rang ki ye building kaafi badi thi. Ek ground floor, first floor aur second floor tak kul level the building me.

'Ye toh kaafi badi hai.'

[Right Master! Basically, ye pehle ke samay ke hisaab se banayi gayi hai.]

'What do you mean?'

[Pehle GPS wagarah kaha hote the. Ships ko sahi disha dikhaane ka kaam Lighthouse hi kiya karta tha.]

'I know that!'

[Toh pehle Lighthouses bohut zyada istemaal kiye jaate the. Lighthouse keeper ka parivaar bhi uske saath hi rehta tha. Shipwrecks ke dauran aksar ghayal sailors ko thehrane ke liye jagah ki zaroorat toh hoti hi thi.]

'Hmm!'

[Ye building tab unn baato ko dhyaan me rakh ke banayi gayi thi.]

'Isliye itni badi hai.'

[Yes Master.]

'I'm sure Ava ko woh sab upar hi le gaye honge.'

[Master! Be careful! Dono floors ko savdhani se explore karna. Hum galti se bhi nazar me aaye toh kaam bigad jayega.]

'Don't worry! Just leave that to me!'

Aur Veer apni badhi hui Agility ke chalte pehle se bhi tezz cover lete hue ek jagah se dusri jagah jaa jaa kar upar seedhiyo me chadhne laga.

First floor par aate hi Veer ne daaye-baaye pehle sab kuch bhaanpa. Ekdum shaanti si chhaayi hui thi.

Kahi koi dikhayi nahi de raha tha. Upar se raat ka ghapp andhera. Corridor me line se kuch kamre bhi bane hue the.

'Ye kisi chote school building ki tarah lag raha hai.'

[Well! Ye kamre emergency me sailors ke rukne ke liye banaye gaye the.]

'Just where is she?'

Woh aage badh hi raha tha jab Mission fir upgrade hua aur,

*Ding*

[Mission location upgraded.]

[Location : Second floor.]

Aur Veer ko uska jawaab mil gaya.

'Second floor huh!'

[Now be careful. Wo gang members honge upar. Stealth ka istemaal karna hoga. Jitna hum nazro se bach ke andar jayenge utna behtar hoga.]

'Right!'

Veer pehle maale se dusre maale ki orr badha. Aur seedhi pe hi usse ek aadmi gun liye khada hua dikhayi diya.

Deewar ki aadh liye Veer khud ko chhipaaye hue tha. Woh aadmi harr 5-6 minute me upar ki orr jaata tha. Kuch derr waha rukta aur fir neeche aa jaata. Fir kuch derr yaha rukta.

Veer sahi samay ka intezaar kar raha tha. Iss baar jaise hi woh aadmi palat ke upar jaane ke liye hua toh-

*Whoosh*

Tezz raftaar me uss par koi peeche se aake lapka. Uske muh ko haatho se dhaka. Bhay ke maare aadmi ki aankhein fel gayi.

Chillaane se pehle ya koi harqat karne se pehle hi,

*Ding*

LIMBO!!!

*Crack*

Aur uss aadmi ka haath achanak hi ajeeb disha me mud gaya.

Dard ki karaah nikaalne se pehle hi uski gardan par ek vaar hua aur uski aankhon ke saamne andhera chha gaya.

'One down!'

Veer ne turant hi uss gang member ko seedhiyo se kheecha aur neeche pehle maale par laate hue ek kamre ke andar usse lita diya.

Usne dekha ki kaise gang member apne chehre par bandana scarf baandhe hue tha aur sarr par cap lagaaye hue tha. Apna huiya chhipaane ke liye.

Veer ne apne mehnge kapde utaar ke feke aur uss aadmi ke kapde apne upar daal liye. Kuch tight se the par kaam bann gaya.

Usne bhi chehre par bandana scarf baandha, cap lagaayi aur uski gun thaamte hue woh upar second maale par chadh gaya.

Upar aate hi Veer ne baaye se daaye nazre ghumaayi. Woh muda aur waapas neeche aa gaya.

Upar kayi gang members tainaat the. Na hi kisi ne uss par dhyaan diya aur na kisi ne usse dekha.

Par ek nazar maarte hi Veer ko upar ka andaaza lag gaya tha. Gang members ke subconscious mind ko yahi laga ki Veer unka hi saathi tha. Isliye uss par dhyaan nahi gaya kisi ka.

Upar se ghapp andhere me bas 2 hi bulb the jo jal rahe the. Veer ke liye andhera aaj uski madad karne wala tha.

'Kareeb 8 log the. Right?'

[That's right! Ye sirf baahar ke corridor me hai. Zaroor andar jis kamre me woh Ava ko rakhe hue hai waha bhi kayi log honge.]

'Of course!'

[Terrace par bhi ho sakte hai. Aur ye bhi possible hai ki unhone hamare chopper ko dekh liya ho. Eric ki baat sahi hai. Ambush ho sakti hai hamare liye.]

'Hmm! Mujhe Ava ka room dhundhna hoga.'

Yaha Veer savdhani barat'te hue aage badh raha tha aur udhar baahar airstrip par ek aur plane land kar chuka tha.

"C'mon quick!!! Be fast!!! Officers!!! Charge!!!"

Senior officer aur Andre 10 officers ke saath nikal gaye. Chris aur Terashima ne ek dusre ko dekha, haami bhari aur building ki orr badhe. Baaki bache 20 officers bhi unke peeche chal diye.

Yaha Veer andhere ka fayda uthaate hue harr qadam phook-phook ke rakh raha tha.

[Master! Ab agar inme se ek-do bhi gaayab hue toh unhe shaq ho jayega.]

Veer corridor me aage jaata aur wapas mud neeche ki orr chala jaata. Taaki gang members ko lage ki unka aadmi unki hi tarah pehra de raha hai.

Iss baar upar aate hi usne gang member se li hui gun uthaayi, dur ki ceiling par aim kiya aur,

*Ding*

HAWKEYE!

*Bang*

Achanak hi bulb kayi tukdo me phoot gaya. Gang members tab tak react karte ki tabhi,

*Bang*

Akhiri bacha bulb bhi phoot gaya. Aur dusra maala poora andhere me doob gaya.

Aur fir shuru hua, Veer ka tandav!

Neeche khade Eric ne jab gunshot ki awaaz suni toh woh ghabra gaya. Par fir andar se jab aadmiyo ki awaazein usse sunaayi di toh usse yakeen ho gaya ki Veer sahi salamat tha abhi ke liye.

Bechaare Eric ko wese hi zyada kuch nazar nahi aa raha tha. Wo bas Veer ke ishaare ke liye ruka hua tha.

"Aaaarggghhh!! K-Kaun hai?? Fire!!! Fire!!! Koi lights on karo! Jaldi!!"

"Urrrghhh!!"

*Bang* *Bang* *Bang*

Gang members andha-dhundh firing karne lage.

Unki khud ki goliyaan unhe aapas me lagne lagi. Toh ye dekh unme se ek chillaaya aur firing rokne ke liye bola.

Baahar hue achanak shor se kamre ke andar maujood gang members turant hi daud ke baahar aaye. Kamre ka darwaza khulte hi andar ki roshni baahar corridor me thodi feli toh woh sabhi darwaaze ke paas ikhatta ho gaye.

Toh wahi terrace par khade log bhi afra-tafri me neeche aaye. Unhe pata tha ki koi aa raha hai par unhe ye nahi pata tha ki achanak se iss tarah koi aayega jisse woh dekh hi na paaye.

"Tum!!! Jao andar aur waha rakhe bulbs me se do utha ke lao aur bulb change karo. Jaldi!"

Unke leader ne ek se bola. Member bhaagte hue andar gaya. Ava bechaari haath perr me rassiyo se bandhi wahi ek kone me stabdh nigaaho se shor ko sunn rahi thi.

Koi usse bachaane aaya tha?

Member light bulbs ka dibba uthaate hue baahar ko aaya. Wo sabhi apne mobile ki flash lights se dekhne me lage hue the.

Unhone dekha ki toota hua bulb jo wire se latak raha tha woh daaye baaye hil raha tha. Matlab waha se koi hoke nikla tha.

"Huhhh!! K-Kaun hai? Saamne aao!! Warna accha nahi hoga."

Jo banda bulb replace karne aaya uske saath 2 aur bande the. Lekin jagah tak aate hi,

*Bang* *Bang* *Bang*

"Aaaaaarggghhhhh!!!"

Teeno ke hi perro par goli aake lagi aur teeno wahi pasar gaye. Gang members dikkat me aa gaye.

Toh wahi neeche se Chris apni team ko leke dabe paav haatho me gun liye upar chadh raha tha.

Chris : Aate jao! Aate jao! Shhh!! Upar fight ho rahi hai. Ye log aapas me kyu lad rahe hai?

Inspector : Kahi humse pehle toh koi nahi aa gaya?

Chris : Pata nahi! Cover leke aage badho. Aur cover me hi rehna.

Woh sabhi upar aaye toh unke aane ki awaaz bhale hi gang members ko sunayi na di parantu Veer ke kaan awaaz sunte hi khade ho gaye.

'Police?'

[They are here for Ava! Master! Aap pe label laga hai. Aap inki nazro me nahi aa sakte.]

'Tch! This is bad Pari!'

[Ye accha bhi hai. Ab gang members aur Police force aapas me bhid jayegi. Aur hum apna kaam mauka dekh ke kar sakte hai.]

Veer ne haami bhari. Usse pata tha Ava ussi khule darwaze waale kamre me hi thi.

Uski aankhein turant hi laal hui. Woh aage badhne hi wala tha jab achanak se hawa me usse theek apne peeche se ek gandh aati maalum padi.

*Sniff*

Usse soonghte hi Veer ki aankhein alert ke maare fel gayi.

'Blood!?'

*Whoosh*

Woh saamne ki orr uchka aur roll kiya. Aur tabhi,

*BAMMMMMMMM*

Jaha woh khada hua tha waha ki zameen par bichhe kuch tiles toot kar ukhad ke hawa me ucchal gaye.

Veer (frowns) : I knew it!!!

Uske saamne firse wahi tha...!

Crimson!

Apne haath se chaaku par laga khoon pochhte hue Crimson ne ungli se usse jhatkaara.

Crimson (smiles) : Maan'na padega. Tumhare senses sharp hai.

Chaaku usne apne hi haath par jaan boojh ke chalaayi thi. Woh Veer ki smelling sense ko check kar raha tha. Dekhna chaah raha tha ki kya blood ko soongh Veer react karne me kitna samay leta hai.

Veer (growls) : Tum...!

Crimson : Hahahaha! Harr bar ye 'tum' kehna kab band karoge Veer?

Woh hassa. Par uske chehre se agle hi pal mazaakiya bhaav gaayab ho gaye.

Crimson : I'm Crimson!!

Veer : !!!??

Crimson : Yes! Tum sahi soch rahe ho. Crimson Festival mere hi naam par hai.

Veer (frowns) : So, it's clear you are behind this.

Crimson : Hahahaha! Of course! Of course!

Veer : Why are you doing this? Agar mujhe maarna hai toh Natalia ke peeche kyu pade ho?

Crimson : Hahahaha! Tumhe bataane ka koi matlab nahi. Tum wese bhi kuch derr me marrne waale ho. Lekin tumhe abhi kuch derr zinda rakhna hoga. Warna mera purpose kaise poora hoga? *smiles*

Veer : What!? *frowns* You are again planning something!!!

Crimson : Haan lekin iska matlab ye nahi ki mein tumhaare saath kuch derr mazze nahi kar sakta. Right? Hahahaha!

Woh hassa aur agle hi shan,

*Swoosh*

Tezz hawa ki tarah woh aage aaya. Uski ek laat seedhe Veer ke kaan par padne ko aayi.

Veer ne ek jhatke me apna haath upar utha ke apna kaan block kiya aur,

* BAAAAMMMMMM*

Impact se woh terrace ki orr jaati seedhiyo par ucchalte hue girne ko hua. Uska shareer upside down tha.

Girne se pehle hi usne apna ek haath stairs par tikaaya aur back-hand spring maar woh khada ho gaya.

Crimson : Hoo~ Not bad! Tumhare acrobatics toh kamaal ke hai.

Veer ki aankhein laal thi.

'Pari! Akhir woh mere peeche kaise aa gaya? Mujhe uske aane ka pata tak nahi laga.'

[He must be using some kind of stealth skill. Ye uski koi dusri skill hogi Master.]

'Uski skill ko dhoondhne ka kaam mein tum par chhorrta hu.'

[I'm on it!]

Veer seedhe upar ki orr gaya aur terrace par aaya. Waha rukna theek nahi tha. Gang members aur Police ki ladaayi shuru ho chuki thi.

Unse dur rehna hi sahi tha.

Crimson ahista se chalte hue aaya aur usne terrace ka darwaza band kar diya.

Crimson (smiles) : Let's start the show.

Aur dono aapas me bhid gaye.

Unke punches ki speed aam aadmi comprehend hi nahi kar sakta tha.

*Whoosh* *Whoosh* *Bam*

Dono hi vaar karte, defend bhi karte aur dodge bhi karte.

Veer ko abhi bhi utna hi dard ho raha tha jitna pehli fight me usse hua tha. Ye endurance na badhaane ka nateeja tha.

Lekin ab woh hamlo ko aur clearly dekh paa raha tha. Aur Crimson ko apne punches block karne par majboor kar raha tha.

'He's a little stronger than me!'

[Don't worry! Just hold on!]

Fir bhi, Veer utna strong nahi tha ki Crimson ko overpower kar sake.

Ek laat aayi jisse woh samay pe defend na kar saka.

Peeche hawa me shareer uska uda aur terrace ki boundary waali deewaar se Veer jaa bhida.

"Urggghhh!!"

Veer ne mud ke neeche dekha toh paaya ki Eric wahi chhupa hua tha.

Apne haath se Veer ne ishaara kiya. Par neeche baithe Eric ko ghanta kuch dikhaayi de raha tha.

Aankhein meeste hue usne dekhna chaaha.

Eric : Ohh Fuckkk! Behanchod! Kuch dikh nahi raha. Abey ek ungli hai ki do?

Idhar Veer usse mann hi mann kossne me laga hua tha.

Eric ne bas mundi haan me hilaayi aur waha se bhaaga.

"Fuck!! Mein chopper laa raha hu. Hope usne ek ungli ka hi ishaara kiya tha."

Upar Veer jaise hi palta firse destruction shuru ho gaya. Crimson aur uske hamlo se deewaro se eete aise toot ke nikal rahi thi jaise maano putthe ke cardboards se bani hui ho.

Mauka dekhta hi Veer ne do vaar apne upar liye, woh Crimson ke peeche aaya aur uski kamar par apne haath baandhte hi,

"Haaaarrrrrgggghhhhh!!!"

Hawa me usse utha ke peeche ki orr le gaya aur,

*Boooooommmmm*

Zordaar awaaz waha goonj gayi. Crimson apne sarr ke bal floor par gira tha.

"Y-You! You bastard!!! Haaaaaarrrghhhhh!!!"

Uski rage bhadak uthi. Veer pe woh aise barsa jaise bhooka sher memne ko dekh uspe hamla karta hai.

[Master! He's using a card. Beowulf ki tarah ye card bhi usse buff deta hai. Beowulf band mat karna warna aap maare jaoge.]

Crimson ka aura badal chuka tha. Uski aankhein aag baboola thi.

Idhar neeche Terashima building ke baahar se sab kuch sunn paa rahi thi.

Terashima : Andar ke halaat theek nahi lag rahe. Aap sab log andar jaiye. Bas aap me se koi 2 inspectors mere saath rukiye.

Uski baat maan bache 8 inspectors upar chale gaye.

Aur waha se tab tak Eric apna chopper leke building ki disha me badh chuka tha.

Andre aur senior officer jo trap biccha ke baithe hue the unhone jab chopper ko udte jaate dekha toh woh tension me aa gaye.

Senior Officer : Ye toh wahi helicopter hai na jisme baith ke woh ladka bhaag nikla tha?

Andre : Shayad wahi hai!

Senior Officer : Toh hum yaha kya kar rahe hai? Chalo! Kahi woh bhaag ke na nikal jaaye.

Andre : Nahi! Abhi koi signal nahi aaya hai. Matlab situation hamare control me hai. Also, aapne dekha nahi? Woh ek chopper hai. Helicopter nahi. Matlab usme koi artillery nahi lagi hai.

Senior Officer : Ohh!

Andre (nods) : Hume apni ambush par dhyaan dena chahiye.

Senior Officer : Theek hai!

***

Building ke upar tabahi machi hui thi. Crimson Veer ko pakad pakad ke deewaaro se bhed raha tha. Terrace ke darwaaze par woh Veer ko fek usse bhi tod chuka tha.

Veer ki body bloodied ho chuki thi. Haafte hue Beowulf ke chalte woh bas tika hua tha.

Agar Beowulf na hota toh Veer ka ab tak bharta bann gaya hota.

Jagah jagah se usse khoon nikalne laga tha. Jab jab woh bhidne ke liye hota, toh Beowulf se turant hi Bone Reaper ko switch kar leta.

Aur issi ki wajah se uski haddiya abhi tak bachi hui thi. Warna unka choorma bann jaana tha.

Saath hi baar baar switch karne se Beowulf's Blessings ki timing bhi uski bachi hui thi.

Lekin zyaada nahi.

[Master!! This is bad!! Beowulf's Blessings ki time limit khatam hone waali hai. Sirf 1:30 minutes hi bache hue hai.]

Ye sunte hi Veer ghabraaya. Woh boundary par aadha latka hua tha. Toote hue pillar ki rod tak toot chuki thi. Usne rod haath me li toh usse ehsaas hua ki ye tooti hui thi.

Crimson uss par vaar karne aa raha tha. Usne jaise hi apna punch launch kiya,

*Swoooossshhhhh*

*Ding*

HAWKEYE!!!

Veer ne haath me pakdi rod seedhe uski aankhon par nishana laga ke maarni chaahi.

Parantu,

*Dodge*

[Whaaaatttttt?????]

Pari ke hosh udd gaye. Crimson ne itni paas se Hawkeye se kiya vaar bhi dodge kar liya tha.

[J-Just what is he using????]

Crimson ne Veer ko uske gale se pakda aur,

*Booooommmmmmmmm*

Itni zorr se usse zameen pe patka ki zameen dhass gayi.

Ek aur vaar aur Veer terrace se gir ke seedha dusre maale par pohuch jaata.

*Puaaakkkkk*

Muh se dherr saara uske khoon nikla.

[Maaaastttteerrrrr!!!!]

*Cough* *Cough*

Crimson : Mujhe maarega tu? Haan? Mujhe??

Uska sarr pakad Crimson zameen par usse zorr se bhidaane laga.

*Baaaaammmmm*

*Baaaaammmmm*

*Baaaaammmmm*

[Noooooooooo!!!!]

Crimson : Tujhme utni aukaat nahi Veer ki tu mera muqaabla kar sake. Samjha na?

Veer ke sarr ke peeche se khoon behna shuru ho chuka tha. Haddi Bone Reaper se bhale hi protected ho. Par chamdi nahi thi.

Saath hi concussion hone ka bhi darr tha.

Adhkhuli aankho se Veer usse dekh raha tha. Usne agle hi pal apne peeche se gang member ki wahi gun nikaali aur-

*BAAAANNNGGGG*

Magar,

*Dodge*

[It can't be-!!!!!]

Crimson (smiles) : You think your puny trick will work on me huh?

Udhar hawa me Eric apna chopper liye jaise hi building ke nazdeek pohucha, saamne ka haal dekh uske hosh udd gaye.

Chopper ki light ki madad se woh dekh paa raha tha ki kaise ek aadmi Veer ke upar baithe usse kootne me laga hua tha.

Chopper ko building ke ekdum bagal se udaate hue Eric ne control ek haath se sambhaala.

Eric : Shit shit shit!

Apni gun nikaali aur-

*BANNNNGGGGGG*

Crimson ke sarr ki orr fire kar di. Parantu ek baar fir-

*Dodge*

Usne bullet dodge kar li thi. Pari ke saath saath Eric bhi hairaan tha.

Agle hi pal Crimson ka gussa aur matthe chadh gaya,

Crimson : You little fucker-

Veer ko khoon se sane chorr woh utha. Palat ke usne Eric ko dekha aur fir-

Eric ki aankhein bhay ke maare fel gayi jab usne uss aadmi ko seedha apni orr daudte hue aate dekha.

Woh react kar paata ki tabhi uss aadmi ne terrace se aisi chhalaang lagaayi ki agle hi pal woh chopper ke andar tha.

Eric ki bolti band ho gayi.

Agle hi shan ek mazboot pakad ne uske gale ko pakda.

Eric : *Gwaakhhh*

Crimson : Bohut maza aata hai peeche se vaar karte hue haan?

Eric : Y-You...! You are-!!

Crimson : Don't worry! I'll give you a nice death.

Uska gala pakad usse hawa me uthaate hue Crimson chopper ki entrance tak aaya. Chopper ab bhi hawa me hi tha.

Eric ke baal chopper ke upar lagi tezz ghoomti blades ke chalte idhar se udhar hone lage.

Jeevan me pehli baar aaj usse maut ka ehsaas hua.

Crimson (smiles) : Don't panic. Bas tumhe thoda sa upar karunga. Aur game over.

Uski baat sunte hi Eric ke badan se uski aatma nikal gayi jaise.

Dheere dheere Crimson haivaano wali muskaan liye Eric ko ek haath se pakde upar uthaane laga.

Eric ka badan aise chhatpata raha tha jaise bin paani ke macchli chhatpatati hai.

Teen inch!

Do inch!

Ek inch tak le jaate hi abhi Crimson usse upar kar uska ant karne hi wala tha jab,

*BAAAAAMMMMMMMM*

Ek tezz laat aisi aake padi usse ki woh darwaze ke baahar gir latak gaya aur Eric bhi gira parantu,

Ek haath ne usse upar kheench liya. Chopper ka stable control tabhi bigad gaya.

'Shitt!!!'

[Masterrrr!!!]

Eric : V-Veeeer!!?

Veer ne Eric ko darwaaze ke paas laaya aur,

*BAAAAMMMMMMM*

Usse zorr se ek laat di, jiske chalte Eric chopper se nikal building ki terrace par jaa gira.

Woh roll karte hue deewaar se jaa bhida aur turant hi behosh ho gaya.

'Sorry mate!'

Chopper apna balance kho chuka tha. Veer se chopper udaana nahi aata tha.

Crimson tab tak upar chadh raha tha. Neeche khadi building ke baahar Terashima aur 2 officer hairaani me hawa me ho rahe iss kaand ko dekh rahe the.

Chopper gol gol ghoomne laga aur tabhi,

*BAAAAAMMMMMM*


heli9

Chopper ka pichla hissa uss sakre raaste ke agal bagal bani pattharo wali deewaar se takraaya aur agla hissa aage udte hue seedha Lighthouse ke sarr se jaa bhida.

Crimson : Bastard-!!!

Crimson upar chadha hi tha ki,

"Haaaaaarrrghhhhh!!!!"

Veer uss leke kood gaya.

*BOOOOOOOOOOOOMMMM*

Lighthouse ka chhajja tod woh dono andar gire.



2165459310-c286e0cf4b-b

Dono ke shareer hawa me the aur dono hi tezz raftaar se itni uchhaayi se neeche gir rahe the.

Veer ka badan neeche the aur Crimson ka uske upar. Woh hawa me bhi punches par punches uss par barsaaye jaa raha tha. Aur Veer unn punches ko sehen karta jaa raha tha.

Toh wahi Terashima aur inspectors ki aankhein darr ke maare phat gayi jab unhone dekha ki upar se chopper seedha unke upar hi aake gir raha tha.

Terashima (screams) : GET AWAAAAYYYYYY!!!

Aur,

*BOOOOOOOMMMMMM*

Ek bhaari blast ho gaya.

Aur yaha Lighthouse me gir rahe Veer aur Crimson aapas me jhapte hue the.

[Maaaastttteerrrrr ~]

Jab agle hi shan,

Veer ne Crimson ki collor pakdi aur,

*Whoosh*

Usse palta ke neeche kar diya.

Crimson ki aankhein pehli baar darr ke maare badi ho chali,

Kyuki neeche,

*Khhhhhaaaaaccccchhhhhhhh*

"Aaaaaaaaaaaaaarrrrrrggghhh!"

Ek dard bhari cheenkh Lighthouse ke andar goonj gayi.

Crimson ki baah aadhe se zyaada chir chuki thi.

Ye wahi blade thi. Jisse Veer ne building me ghusne se pehle set ki thi.

Aur Veer apna wazan liye uski collor pakad ussi pe latka hua tha.

[Master! Isse yahi chhoriye. Woh phass chuka hai. Let's go to Ava!]

Apne qadam zameen par tikaate hue Veer waha se baahar aaya.

Toh wahi Andre aur Senior Officer dur se sab dekh chuke the.

Senior Officer : Good god!! That blast!

Andre : Shayad hamari force ne chopper ko uda diya hai. Woh ab trap ki taraf Terashima dwara aata hi hoga.

Terashima blast ke kaaran dur jaa ke udd gayi thi. Toh wahi do inspectors impact se behosh ho chuke the.

*Cough* *Cough*

Veer ko achanak hi building se bhaagte hue uski orr koi aata nazar aaya.

Veer : Avaaaaa!!!!!

Ava : Ahhhnn!??

Ava uske paas aate hi uske haath pakad khadi ho gayi.

Veer : You!???

Ava (haafte hue) : Police saved me!! Chris helped me get out!!! Lekin woh hurt ho chuka hai. P-Par tum yaha-!?? Whyyyy??

Veer : I came to save you!!!

Ava (stabdh hote hue) : Y-Youuuu!!!

Veer : ...

Ava : Whyyyyyyyy!!??

Veer : Why? I promised you! I'll be your bodyguard. Didn't I-!?

Ava : Y-Youuu!!! Y-Ye khoon!? Ye kya haal bana rakha hai apna? Wh-What happened??? You are hurt! Quick! Police! Police ke paas-!!!

Veer : Nahi Ava! Police mere peeche hai. Ye lambi kahani hai. For now you just go~

Ava ne dhyaan bhi nahi diya Veer usse 'Ava' keh ke sambodhit kar raha tha.

Woh uske chehre me hi kho gayi. Par Crimson ki karaahti awaaz ne Veer ka dhyaan kheencha.

Veer : There's no time! G-Get away from here. Situation critical hai. Goooo!!!

Ava : Whaaaattt??? Nooooo!!! Tumhe akele chhorr ke-!!?? No waaayyy!

Veer : I'll explain later! J-Just goooo!!!

Na chaahte hue bhi Ava ko waha se nikalna pada.

Crimson jab Lighthouse ke baahar aaya toh uska chehra gusse se laal tha. Par Veer uski haalat dekh dang reh gaya.

Crimson ka ek haath...! ... gaayab tha!!

[H-He...! He fucking cut his own hand!]

Woh hamla kar paata tabhi ek bullet aayi aur uske seene ko cheerte hue nikal gayi.

Uski aankhein hairaani me phati ki phati reh gayi. Kisi ne fir se Crimson par peeche kahi dur se vaar kiya tha.

"YOUUUU FUCCCKKKKKEEERRR!"

Woh garja aur Veer ko antim baar dekh dusri disha ki orr bhaaga.

Veer mauka dekh khud bhaagta ki tabhi,

"Hands up!!"

Ek awaaz ne uske qadam rok diye.

Peeche palat ke dekha toh-

Terashima apne haatho me gun liye khadi hui thi.

Terashima : I knew it was you all along!

Veer ne apne haath khade kar diye.

Veer : W-Wait!!! Wait!! Mein koi criminal nahi! Trust me!

Terashima : Shut the fuck up!!!! Harr criminal pakde jaane par yahi kehta hai. Now tell me!!! Kaun kaun shaamil hai iss khel me?

Veer : Wh-What!!? N-Noo! Trust me! Hey listen! DGSI ko koi galat fehmi hui hai.

Terashima : Hmph~ Hume pukhta khabar mili thi. It was you who took the pass.

Veer : ???

Terashima : Woh tum hi the jisne Natalia ko kidnap kiya.

Veer : N-Nahi!!

Terashima : Woh tumhi the jo usse yaha par leke aaye.

Veer : N-Nooo! Don't you see? Mein Natalia ka bodyguard hu. Y-You can check and ask her.

Terashima : Hmph! Kahaniya banaane se kuch nahi hoga. Surrender! NOW!!!

Veer : Tch!

[Woh yakeen karne waale nahi hai.]

Terashima ne kuch derr intezaar karte hi apne earpiece me message bhej diya.

"I have him. But he's not cooperating!"

Message milte hi Andre ne uska message DGSI ko forward kiya.

Aur udhar DGSI aur anya agency ke members jo sab saath me baithe hue the unhone waha se faisla suna diya.

"Change the arrest warrant to Dead or Alive."

Aur Andre ko message jaise hi mila aur Terashima ko woh forward kar diya.

"Agar co-operate nahi kar raha hai toh taango pe goli maar do."

Terashima : Woh pehle se hi bohut ghaayal hai. Mujhe nahi lagta ki ek bullet perr pe woh-

Woh abhi bol rahi thi jab achanak hi uske upar ki pattharo ki wahi deewaar achanak se giri.

Ye wahi deewaar thi jis se chopper peeche se takra gaya tha.

'Ohhh shitttt!!'

Veer : Move away!!

Veer ne jaise hi woh dekha. Woh Terashima ki orr lapka-

Terashima : Y-Youuuuu-!!!

*BAAAANGGGGGG*

Aur usne goli chala di.

*Splurt*

Bullet Veer ke kandhe par aayi aur chamdi ko cheerte hue andar ghus gayi.

Par samay par Terashima ko pakad usne turant hi usse waha se dur phek diya.

Aur upar ki deewaaro se kuch patthar lagataar Veer ke upar girte chale gaye.

[Maaaaaasssstttttttttteeeerrrr!!!!]

Terashima ki body jaa ke thos deewar se jab bhidi toh sarr par impact hone ki wajah se uske hosh jaane lage.

Akhiri drishya jo usne dekha woh ye tha ki jaha woh khadi hui thi, waha dherr saare bade bade patthar girte jaa rahe the.

Usse realize hua,

'Wh-Why did you-!!? S-Sav...e... m..e...!?'

Par uski aankhein agle hi shan band ho gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Phew! Update likhte likhte meri haalat kharab ho gayi. Yeah! Screen ko overtime de diya toh meri aankhein jal rahi hai. Ye update 8.1k words ka hai. Mene sab kuch dikhaya hai isme. Jitna dikha sakta tha. Aur bohut mehnat ki hai iske liye. Toh bhulne ka nahi guys. Apna apna kaam karke jaane ka. Like ko daba ke thokne ka revos rakhne ka. Agle 2 update bhi bohut bhaiyankar hone waale hai.

Dhanyavaad! ✨
Amazing Update
 
Top