- 16,375
- 110,357
- 259
Last edited:
Thanks a lot man! Yes! The details must be given if you are writing an action scene. They shouldn't be too much but they shouldn't be too less either.Great update. Hats off to the detailing you have given. Also interlinked the threads but still kept a lot of suspense for the future.
We'll see family updates in the business arc which is right after hhis Crimson arc.I positively liked the home and family interplay. Arohi and Kavya as usual play their role as the serious and chulbuli siblings. Nice to see the silent battle between Bhavna and Shweta.Most.of.us.can relate to it. The dilemma and confusion.inside.Taj is very sweet. Wish we see more interplay of Sonali and Veer in future episodes as also between Arohi/ Veer and Taj/ Veer even more.
That's true. We'll come to jnow about the hidden plan in the update 141.The lighthouse detailing of fight was vivid and realistic. I find Crimson very revolting but a total badass. He has made Veer realise that he is not invincible even with Pari.But it is intriguing as to who is feeding the French cops..both information as well as misinformation.about.Veer.
Thanks a lot man! Keep supporting as usual.Great update and superbly crafted. Kudos to you my friend. Can't wait for the next update in 3.days time.
Ye to story ke end tak rahega.That's what is great about this....
Even after knowing so much in this update. There are still so many doubts left. Suspense just keeps coming in...
Brainstorming babyAnd our writer sir has been doing this since the update 1. More than an year has passed and he's still giving us goosebumps. Hits after hits. Total banger episodes.![]()
And he hasn't even shown the main villian. Just thinking about it gives me goosebumps. How will be the main villain? Who will be the archenemy of Veer? Too much suspense.
Bhai ye to jabardast hai perfect fit for the character
Full Characters Guide (spoilers) Arcs
Akhir kyu? se ek puraane aur khaas reader ne mujhe message kiya (after a very long time.) Aur usne kuch artworks banaaye hai out of love jisme se ek ye Kaera ka digital artwork hai.
So all the credit goes to Diplomatic GladiatorDherr saare Kaera ke aise artworks hai jinhe banaane me usse 1 and the half year lag gaye (in his free time of course.) Mein unme se kuch future updates me show karte jaunga. Kaera ke alag se artworks ki gallery ki link upar hi hai. Jaise jaise artworks upload honge unhe mein gallery me add karte jaunga. Thanks a lot man for these artworks.
![]()
![]()
Kaira is lob
Aela! Aisa kya!?Wolfi yaaarrr jorrdaaaarrr update faaad diya meri jindgi main kabhi itna Thriller update nahi dekha bhai laa javab superb
Hein? Eric ne sirf gun uthaayi thi aur Veer ne uski blade uthayi thi. Bas. Itna kuch bhi nahi tha.Eric ne to veer ke samne pura hathiyaro ka walt hi rakh diya or bhai veer ne kya hi sahi wala uljhaya hai police or gang members ko bhai maza hi aagya
Bas dekhte jao bhai.Or bhai veer or Crimson ki har ladai pichli wali se khatarnak hoti jaa rahi hai but bhai ye Crimson ko thoonda kyu kardiya ab kya ek hath wale Crimson se khaak maza aayega Well koi na aapne kuch to socha hi hoga mujhe nahi lagta ki ye Crimson thoonda hoke bhi manega
Crimson zyada powerful hai toh obviously woh dhoyega hi Veer ko.Bhai crimson kya hi veer ko dhoo raha tha par apne veer bhai bhi kaha kam the kya hi jorrdaaaarrr takker dii hai Crimson ko
Uska full status nahi dikhaya jayega.Bhai wese ye Crimson ka system kab dikhaoge or uske pass kon kon si skill hai or kon konse card hai ye kab dikhaoge
Beowulf bhayanak strong card hai man. Kyuki uski power veer ke stats ke hisaab se badhti jaati hai. Dekhte hai Veer ko agla card kab milta hai.Or bhai mere khayal se yaha veer ko ek bahut jyada power full legendary card ki jarurat hai pata nahi milega bhi ya nahi main to bolta hu beowolf ka koi upgrade version wala card nikal jaye to maza aajaye agar wolfi ne iske bare main socha to
Ju ko maza aaya aur Rihanna ki saasein atak rahi thi Veer ko pitata dekh.Wese bhai sach main veer ko hi har baar badi asani se dusmano ko dhota dekhne ke baad aaj wala update padhne main ek alag hi maza aaya aisa gaand faad update tha yee
Arre man thanks a lot.Bhai main 100 % daave ke sath keh sakta hu ki is fouram par tumse accha writer koi nahi ho sakta ye baat sidhe dill se bol raha hu wolfi I am big fan of you
Kuch bhi...!?Wese wolfi yaar kaha tum ye job wob ke chakkar main pad gye yaar agar bollywood main gaye hote writer banne to kasam se tumhare takkar to salman khan ka baap salim khan bhi nahi hota
Apun ne book ke baare me socha tha. Volumes nikaalne me. Par fir socha saala kaun hi khareedega. Upar se book banwaane kaun jayega ab.Main to bolta hu is wali story par ek webseries banao wolfi sach keh raha hu arbo kamaoge dekho Thriller to hai hi ye story suspense bhi koot koot hai isme arcs ko as aa season bana do Jese first season aatish arc second slogan Wese
Waah! Kuch bhi...!?Sach main wolfi yaar agar ye story ne moneyheist ko nahi pachada na to main apna yaha se accounts delete kardunga
Ab kuch jyada hi bakchodi pel di mene ab or kuch nahi
Laajavab update waiting for next bhayanker one
LAJAWAAB JABARDAST EXCELLENT MIND BLOWING MARVELOUS AND INTERESTING UPDATE BHAIUpdate - 138 ~ Caught in the crossfire (1)
Ab tak...
Divya : D-Did something happen!?
Nolan ne bina kuch kahe hi ek printout Divya ke haatho me thama diya.
Jab Divya ne uss print out apr apni nazre dudaayi aur usme likhe hue content ko padha. Uski haalat kharab ho gayi.
Uske haanth kaanp uthe aur woh printout uske haath se chhutak ke table par gir pada.
'It can't be-!!!'
Ab aage...
*Vrooooooooooooommmmm*
Paris ki smooth sadko par Veer ki bike saaye saaye bhaag rahi thi. Jis car ka woh peecha kar raha tha woh kaafi aage nikal chuki thi.
Itna bada haadsa hua tha. Aam janta me se kuch abhi bhi uss ghatna se anibhigya the toh kuch ko khabar news ya anya sutro se mil chuki thi.
Paris ki police force ko bhi kayi teams me baant diya gaya tha. Koi team haadse waali jagah ko khaali karwaane me lagi hui thi, toh koi gang members ke baare me jankaari jutaane me lag chuki thi.
Koi dhamaake me maare gaye logo ki bodies ki jaanch kar rahi thi toh koi Terashima dwaara diye gaye nirdesh anusaar, DGSI agency ke sang mil ke Veer ka peecha karne lagi hui thi.
Wahi fire fighters ke sang Medical team bhi assist karne pohuch chuki thi. Ghayal logo ko aspataal ki orr le jaaya jaa raha tha.
Sadko par afra-tafri mach gayi thi. Police ki sahaayta se logo ko safe jagah pohuchaya jaa raha tha. Pal bhar me chaos fel chuka tha harr taraf.
DGSI ke head Xavier ne baaki agents ko bhi sab kaam ko chhor iss case ko deal karne ke liye kaha toh sabhi vardaat par pohuch rahe the.
Wahi Las Vegas ke investigation department me Nolan aur Divya aamne saamne khade the. Dono ke hi chehro par ghabrahat saaf jhalak rahi thi. Khaas kar Divya ke.
Divya : Y-Ye nahi ho sakta! Ye kya hai!?
Nolan : Mujhe jaise hi report mili hai mene sabse pehle tumhe hi bulaaya hai.
Divya ke haath kaanp rahe the. Kyuki report me likha content koi mazaak nahi tha.
Saaf saaf bade bade aksharo me likha hua tha.
WANTED!!!
Aur tasveer me jo bana hua tha woh koi aur nahi…! Woh tha~
Veer!!!
Ye tasveer ussi footage me se li gayi thi jo Andre slot machines waali alley me ghus ke Chris aur Terashima ke saath huiya badal ke record kar raha tha.
Alag alag angle se Veer ki alag alag tasveere report me bani hui thi. DGSI ke head, Xavier ne pehle hi ye arrest warrant banwaane keh diya tha.
Woh chehra Divya bhali bhaati pehchanti thi. Kaise bhul sakti thi usse? Kuch khatti, kuch meethi yaadein judi thi uski iss naujavan se.
Saalo se woh aise anginat warrants dekhti aayi par kabhi kisi warrant ko dekh itna bhay usse mehsoos nahi hua tha.
Divya : Y-Ye mazaak hai! Hai na? Kyuki ye possible hi nahi hai!
Nolan : He’s in big trouble Divya! Big trouble! Mein waha ke logo se communicate karne ki koshish karta hu. You do what you can.
Kehte hue woh turant hi aage badha toh Divya bhadak uthi,
Divya : This is pure nonsense! Kya bakwaas hai ye?? Andhe hai kya woh? Why are they arresting him?
Nolan : Read the content carefully.
Jab Divya ne content poora padha toh usse apni aankho pe vishvaas nahi hua. Kya woh jo dekh rahi thi wahi likha hua tha ya uski aankhon ka dhoka tha ye?
Panne paltaate hue uske dil ki dhadkane atyant hi tezz ho gayi.
Divya (shivers) : Th-This…!
Nolan (nods) : It's going to be tough!
Divya (screams) : Par ye sab jhooth hai. Aap jaante hai woh nirdosh hai. Hum sab jaante hai. Usne hamaari kitni madad ki hai. House of the Killers jaisi badi saazisho ko usne hi expose kiya tha. Agar wo nahi hota toh shayad hum itni asaani se HOK se kabhi deal nahi kar paate.
Nolan : Mein jaanta hu!
Divya : Toh phir? Phir kya? Jaante hai toh karte kyu nahi kuch? Kuch kijiye! Woh nirdosh hai…!
Pal bhar ke liye Nolan ke maathe par thodi shaq ki lakeere aayi,
Nolan : K-Kya!? Kya waqai woh nirdosh hai? K-Kahi woh sach me-!?
Divya : Y-You-!!!
Divya stadbh hoke Nolan ko dekhi. Usse vishvaas nahi ho raha tha ki Veer ke itna sab karne ke baad bhi ye aadmi abhi bhi 100% convince nahi tha.
Divya : Y-You are still doubting him? Usne apni jaan khatre me daal ke cases solve kiye hai. And you are doubting him?
Nolan : Par ye reports-!
Divya : Bhaad me gayi reports. These are fake!!! We know him! Woh aisa kabhi kar hi nahi sakta.
Usne ek gehri saans li aur apne gusse ko qaabu kiya.
Divya : We have to save him!!
“Hum usse zaroor bachayenge!”
Peeche se tabhi ek awaaz aayi. Divya aur Nolan ne palat ke dekha toh paaya ki Mike khada hua tha.
Divya : Mike?
Mike : Veer na hota toh mein uss Nightwalker ke mansion me maara gaya hota. Uski wajah se hi woh case sulajh paaya. Iske pehle kya investigation department aise high-level cases ko suljha paaya hai itni asaani se?
Nolan : That’s-
Nolan ki bolti band ho gayi.
Mike : Sab Veer ki wajah se hi possible ho paaya. Aur ab jab usse hamari help ki sakht zaroorat hai toh hum peeche hatt jaaye? Kabhi nahi! Hum sab kuch karenge usse nirdosh saabit karne ke liye.
Divya ki aankho me ek chamak aayi. Usne abhaar vyakt karte hue apna sarr haan me hilaaya. Mike ne bhi ek nod deke usse aasvashan diya ki woh Veer ko bachaane ke liye uske saath hai.
Nolan (sighs) : Right! Mein ye nahi bhul sakta. Jab hum sabse tough times me the toh usne sab kuch asaan kar diya tha hamare liye. It is time to repay him back. Mein baat karta hu DGSI ke logo se.
Bolte hue woh baahar nikal gaya. Aur idhar Divya ki mazboot pakad me warrant ka paper sikud utha.
Usse tabhi yaad aaya ki Veer toh Paris me hi tha. Subah hi Suhana ne bataya tha usse.
‘Oh God!!!’
Yaani abhi uske peeche poori police force lagi hogi. Na jaane kis haal me hoga woh. Kahi usse beech raaste me hi execute na kar diya jaaye.
Sochte hi Divya ka badan kaanp utha. Ghabraate hue usne apna phone nikaala aur Veer ko call bhidaaya,
*Ring Ring*
Ghanti jaa rahi thi par Veer call nahi utha raha tha. Divya ki dhadkane aur tezz ho gayi.
‘Just pick up the damn call Veer!!!’
*Ring Ring*
Magar siwae ghanti ke aur koi jawaab na aaya.
Kheejte hue usne call kaata.
‘Damnnn ittt!! I-I have to tell Suhana!!’
Usne Suhana ko batana zaroori samjha aur usse call laga diya.
***
Paris me yaha uss laal car ka peecha kar Veer inn sab baato se anjaan tha. Usse pata hi nahi tha ki behind the scenes kya kya chal raha tha aur woh public ki enemy number 1 bann chuka hai usse koi khabar hi nahi thi.
Woh ghabraya bhi hua tha.
Iss level ka destruction usne pehli baar apni aankho ke saamne dekha tha. Usse samajh aa gaya tha ki Crimson koi aera-gerra banda nahi tha.
Jo aadmi bina kisi ki fiqr kiye yu sare-aam hamla kar de aur logo ko maut ke ghaat utaar de, usse koi halke me kaise le sakta tha?
Uska dil zorro se dhadak raha tha. Chinta thi toh bas ek shaks ki aur woh thi Ava!
[Just what is he planning?]
‘Pari! I don’t have time to think about that…! I’m leaving it to you!!’
[Yes Master!!]
Tabhi itne me,
*Ring RIng*
Uska phone baja. Woh uthaana toh chaahta tha magar ye sahi waqt nahi tha phone par baatein karne ka. Isliye ye soch usne dekha bhi nahi ki call kiska tha.
Car bohut aage nikal chuki thi. Veer ki nazar me ab nahi aa rahi thi. Woh bas mission se mil rahi location ko follow karta jaa raha tha.
Idhar news me halla macha hua tha. Ava hamesha se apne aap ko police ke maamlo se dur rakhna chaahti thi. Par ab woh khud hi breaking news bann ke headlines par chhaayi hui thi.
Saari celebrities tak ye khabar pohuch chuki thi. Kuch Ava ki kidnapping se khush the ki akhir unka ek competitor chala gaya. Toh kuch uski safety ki duaa kar rahe the.
Ava ka kidnap hona bohut huge matter tha. France ki government tak sachet ho gayi rahi iss haadse se. Ab DGSI ko bhi higher orders aa rahe the. Bade se bade logo ka involvement ho chuka tha.
Veer ko firse call aaya. Usne iss baar ek haath se phone jeb se nikaala toh usse ek unknown number dikhaayi diya.
Usko ye bhi dikhaayi diya ki Divya ke kayi missed calls pade hue the.
‘Divya ke missed calls? Woh kyu call kar rahi hai mujhe?’
Samay na gawaate hue usne phone uthaaya,
“Hello?”
Toh waha se ek aadmi ki awaaz aayi,
“Mister Veer?”
Veer : Hmm! Mein hi hu! Tum kaun?
Aadmi : Aap bohut badi musibat me hai.
Veer : Well! Ye mujhe pata hai! Kuch aur-!?
Aadmi : Nahi! Aap samjhe nahi! Aapke khilaaf ek arrest warrant jaari hua hai Paris ke DGSI dwaara.
Iss baar ye sunte hi Veer ki aankhein hairaani me fel gayi. Pari ko bhi sab kuch sunaayi de raha tha. Usne turant hi DGSI ke baare me search kiya toh woh aashcharya me reh gayi.
[M-Master!?? DGSI!!! DGSI toh France ki internal security agency hai. What is really happening?]
Veer : Whaaaattttt?
Aadmi : Aapko nahi pata? Matlab abhi tak police aap tak nahi pohuchi? Hmm! Agar aisa hai toh ye acchi baat hai! Dhyaan se suniye!
Veer : …
Aadmi : Kaise bhi kar ke autonomous port par pohuchiye. Samudri port hai woh ships ke liye. Dhyaan rahe police ki pakad me nahi aana hai. Warna yaha kaam aur mushqil ho jayega.
Veer : Autonomous port?
Aadmi : Hmm! Mere paas bhi samay kam hai aur aapke paas bhi. Port par Miss Suhana ka ek chopper intezaar kar raha hai aapka. Jald se jald waha pohuchiye. Pilot aapko safe jagah par pohucha dega. Mein uska number aapko text kar raha hu.
‘Suhana?? Usse kaise-!?’
Veer : W-Wait! Tumne Suhana kaha?
Aadmi : Hmm! Par woh sab samjhane ka abhi samay nahi hai. Jald se jald port pohuchiye! Dhyaan rahe police ki pakad me bilkul nahi aana hai.
*Call ends*
Veer uss se aur sawaal kar paata ki uss se pehle hi aadmi ne phone cut kar diya.
‘Damn it!!!’
[This is absurd!! I hope ye genuine call tha! I think you are being framed.]
‘Police force mere peeche? Toh kya Divya ne isliye mujhe-?’
[Yes! I think isliye uska call aaya tha. Baat ki sachhaayi jaan’ne ke liye port pohuchna hi sahi hoga. Agar chopper waha maujood hai, iska matlab call genuine tha Master.]
Veer ne haami bharti hue acceleration deke gaadi tezz kar di.
*Vrrrrrrooooooooommmmm*
Aur udhar peecha kar rahi Chris ki gaadi ye dekh aur tezz gayi.
Terashima : Woh bhaag raha hai! Quick Chris!! Quick!
Chris : Nahi! Usse nahi pata ki hum uske peeche hai!
Terashima : What the hell? Usse pata chal gaya hai! Tabhi toh usne speed badha dii hai!
Chris : What??? P-Par kaise? Mein toh uss se distance bana kar chal raha hu.
Andre : Ye time iss par behas karne ka nahi guys.
Terashima : Mujhe nahi pata usse kaise pata chala, lekin usse pata lag gaya hai ki hum uske peeche hai. Hume aage traffic signals aur pay tolls ko inform karwana hoga.
Usne apne kaano me lage single piece headset par haath lagaaya aur boli,
Terashima : Hello? Hello? Agent Terashima here! Is anyone on call?
Toh waha se awaaz aayi,
“Yes agent! We can hear you!”
Terashima : Track my location! Aur aage ke saare possible routes me jitne bhi traffic signals aur pay tolls hai, unhe alert kar do. Ek black bike par sawaar ladke ko dekhte hi usse pakad le.
“We are on it!”
*Beep*
Connection cut hua aur Chris ne gaadi chauthe gear par laga di.
Veer poori raftaar se uss aadmi ki batayi gayi location par pohuchne ki koshish kar raha tha, jab usse ek aur buri khabar haath me lagi.
*Ding*
[Mission location updated.]
[Location : From Airport to Ushant islands.]
‘Shittttt!!!’
[Oh no! Ye kya ho gaya? Autonomous port toh alag direction me hai aur Ava ko alag direction me le jaaya jaa raha hai. Master? What now?]
Veer gusse me tha. Usne kuch socha aur bike autonomous port ki disha me badha di.
Pari ne uske iss faisle par koi aapatti nahi jatayi aur na hi Veer ke mann me jhaank ke dekha. Woh umeed kar rahi thi ki uske master ke paas koi accha plan hoga.
Veer jaise hi traffic signals ke paas pohucha, traffic police ne speed me aati gaadi ko dekhte hi rokna chaaha aur unhe samajh aa gaya ki ye wahi ladka tha jisko pakadne ke liye orders aaye the.
Red signal me bhi Veer ne full speed me waha se gaadi bhaga di. Waha rukna khud ke perr me kulhadi maarne jaisa tha.
Traffic police ne Veer ke aage nikalte hi aage ke signal par inform kar diya. Par Veer ruka nahi.
Ab usse yakeen ho chuka tha ki waqai uske peeche police force lagi hui thi.
*Buzz*
Uska phone vibrate hua. Uss aadmi dwara pilot ka phone number bhej diya gaya tha.
Veer ne turant uss number par call kiya toh pilot ne waha ki apni location bata di.
Autonomous Port par aate hi usse chopper ke andar baithe ek aadmi nazar aaya.
Gaadi ko yu hi gira ke Veer daud ke uske paas aaya.
Aadmi : Jaldi!!! Jaldi!!! Time nahi hai. Upar chadh jao.
Veer haami bhar chopper par baith gaya. Sab kuch sahi tha. Usne pehle hi check kar liya tha. Chopper Suhana ka hi tha.
'Akhir Police mere peeche kyu pad gayi hai? Ava toh kisi aur ke kaaran kidnap hui hai. What is going on?'
[Hume isse sort out karna hi hoga. Warna hum trap me phasste jayenge Master.]
'Koi hai jo peeth peeche hume fassaata jaa raha hai.'
[Wahi aadmi? System waala?]
'Maybe!'
Pilot ki awaaz ne usse hosh me laaya.
Aadmi : Yaha se nikal rahe hai hum. By the way mein Eric.
Veer : Ohh!
Chopper ne udaan bhari, aur kuch hi palo me Veer aur Eric hawa me the.
Chris ki gaadi jab tak Veer ki location par aayi, tab tak Veer waha se nikal chuka tha.
Chris : Damnnn itttt!!!! Bhaag gaya saala!
Usne gusse me apni gun nikaal ke udd kar jaa rahe chopper ki orr aim ki.
Terashima : Save that one for later.
Andre : Ab kya?
Terashima (frowns) : Ohh no!
Chris : Kya hua?
Terashima : Hume chakma diya gaya hai.
Andre : Whattttt???
Terashima : Mujhe laga hum iss ladke ka peeche karke celebrity Natalia tak pohuchenge. Lekin woh toh-
Chris : Matlab usse kahi aur pe le gaye hai?
Terashima (nods) : H-Haan!!
Andre : Fuuuckkk this shittt!!!
Chris : Iska matlab iss ladke ne beech se raasta badal liya? Hume chakma dene ke liye? Aur waha iske aadmi Natalia ko kahi aur le gaye?
Terashima : Y-Yesss!
Chris : Damnnn ittt!!! Saala haath lag jaaye ek baar ye. Mein isse chorrunga nahi!
Andre : Par abhi kya?
Tabhi Terashima ko apne headset par message aaya aur Andre ke sawaal ka jawaab usse mil gaya.
Terashima : Ab airport!
Andre : Kya matlab?
Terashima : Message aaya mujhe. Airport ki unused air strip se ek airplane take off kiya hai abhi abhi. Mujhe bataane ki zaroorat nahi ki usme kaun hoga.
Chris : Celebrity Natalia Martin!?
Terashima (nods) : That's right!!!
Unke peeche peeche police force bhi tab tak aake ruki aur ek senior officer usme se baahar nikal ke aaya. Woh bhaiyankar gusse me lag raha tha.
Senior Officer : Kaha hai woh?? Kaha hai???
Terashima : He escaped. Hume nahi pata tha ki uske liye yaha chopper khada hoga.
Senior Officer : Ye kya mazaak hai?
Terashima : Celebrity Natalia ko bachana humari first priority hai. Aur second priority uss ladke ko zinda pakadna.
Senior Officer : Toh koi lead mili hai ya nahi?
Terashima (nods) : Aap inspectors ko instruction dijiye. Hume airport par pohuchna hoga.
Senior Officer : Uske baad?
Chris : Terashima! Agar unused air strip se airplane ko take off karwaya gaya hai matlab-!! Tum wahi soch rahi ho na jo mein soch raha hu?
Terashima ki aankhon me ek chamak aayi.
Terashima : Arre haan!! Agar airplane wahi ka hai. Toh usse hum trace kar payenge. Lekin agar personal aircraft hua. Toh mushqil hoga.
Chris : Mujhe nahi lagta airport ke andar koi personal aircraft bina kisi ki aankhon me aaye laaya jaa sakta hai.
Terashima : That's right! Umeed karo ki woh airplane airport ka hi nikle. C'mon! Off to airport!!
Police force ke saath Chris, Terashima aur Andre sabhi airport ke liye prasthaan kar diye.
***
Chopper me Veer apme chintan me dooba hua tha jab usse kuch dhyaan aaya aur bola,
Veer : Hum kaha chal rahe hai?
Eric : Tumhe safe jagah le jaa raha hu. Shukr manao ki abhi tak government ne seeking helicopter ko tumhari search me nahi lagaya hai. Agar woh bhi aa gaya toh ye chota sa chopper uska muqaabla nahi kar paayega. Aur na hi fir mein kuch kar paunga.
Veer : I see! Thanks for helping me out!
Eric : Thanks? Fucking thanks? Thanks se kuch nahi hone wala. Tumhe andaza bhi hai mein kya kaam kar raha hu? Mein ek criminal ko panaah de raha hu. Usse police se churra ke bhaga ke le jaa raha hu.
Veer (frowns) : Mein koi criminal nahi!
Eric : I know! Isliye ye risk utha raha hu. Prakash Sir ne heavily pay kiya hai mujhe. Tumhare upar se accusations hatt'te hi mujhe tumse bhi ek hefty amount chahiye. Aur haan! Intercontinental Le Grand Hotel me mujhe ek party chahiye.
Veer (smiles) : Alright! Agar sab kuch sahi jaata hai. Toh tumhe sab mil jayega.
Eric : Of course! Of course!
'Suhana…!'
Dur reh ke bhi musibat me aaj firse woh kaam aa rahi thi uske. Kab se nahi mile the dono. Veer ne akhiri message usse 'Thank you' ka bheja tha jab Suhana ne usse Rolls Royce bheji thi.
'I'm so indebted to you! Suhana!'
[Aap usse baad me thanks keh sakte ho. Abhi decision lena hoga.]
'Hmm!'
Veer : Eric!!
Eric : Hmm?
Veer : Chopper ko Ushant Islands ki orr mod do.
Eric : What the fuck?
Veer : Ushant Islands!
Eric : Tumhe pata bhi hai tum kya keh rahe ho? Hum Paris me hai abhi. Ushant pohuchne me lagbhag 20 ghante lag jayenge. Aur ye chopper hai. Airplane nahi. Fuel Tank khatam ho jayega beech me.
Veer : Tumhe chalna hi hoga. I don't have any other option. Miss Natalia ko bachana hai toh mujhe udhar jana hi hoga. Siwae chopper ke mere paas aur koi choice nahi hai. Fuel tank ko refill bhi toh karwa sakte hai na hum?
Eric : Y-You-!!
Veer : Please Eric!! Agar mein na gaya toh Miss Natalia ke saath woh log kuch bhi kar sakte hai.
Eric : Pehli baar dekh raha hu jiske khud ke peeche police padi hai woh aur maut ke muh me girne ki maang kar raha hai. Tch!!! Sirf isliye kyuki mujhe Natalia ke gaane pasand hai aur wo hamare France ki guest hai, mein tumhe waha leke chal raha hu.
Veer (smiles) : Thanks! Don't worry! Tumhara amount mein double kar dunga.
Eric : Ohh! Ye hui na kuch baat hahaha! Wese meri samajh me nahi aa raha ki tum akele bande kya hi kar loge waha? Police wesi hi waha aa jayegi. Toh tum marrne ki khwahish kyu rakh rahe ho? Huh?
Veer : Kyuki mein unke bodyguard ke roop me yaha aaya tha. Unhe protect karne ka promise diya hai. Agar mein apni zimmedari se peeche hatt jau toh kaise chalega?
Eric (sighs) : P-Par-! Prakash Sir ne mujhe tumhe baahar nikaalne ke liye kaha hai aur mein-
Veer : Tum chinta mat karo. Mein unhe aur Miss Suhana ko acche se jaanta hu. Tumhe bas mujhe drop karna hai aur ek safe location pe waha land karna hai. Natalia ko chudhaate hi hum waha se wapas chal denge.
Eric : Tum apni jaan isme kho sakte ho. Aur mein bhi-!! Man!! What the fuck!!? Mein tumhe le ke hi kyu jaa raha hu? Fuck this-!! Okay! Fine! Hum chal rahe hai. No more discussions.
Veer ne ek raahat ki saans li. Pari situation ko analyze karne me lagi hui thi.
Aur tabhi Suhana ka call aa dhamka.
Veer ne jaise hi phone uthaya waha se ek zorr se awaaz aayi,
"Veeeeeeeerrrrrrrr!!!!!"
Veer : H-Haan! Mein yahi hu. Araam se! Miss Suhana!
Suhana : Y-You-!! Tumhe zara bhi khabar hai ki kya chal raha hai? Waha kya kar rahe ho tum Paris me?
Veer : I-
Suhana : You idiot!! Divya ne mujhe bataya ki tumhare naam ka arrest warrant jaari hua hai. Tum wanted poster par ho!!! Department me Nolan ko waha ki koi DGSI agency ke through ek report bheji gayi hai. Tum kya kar rahe ho waha? Kuch hosh bhi hai tumhe? Kaha par ho abhi? Aas paas kaun hai? Theek toh ho na? Mene chopper bhjiwaya hai Prakash Uncle se bol ke, woh mila ki nahi? Waha se nikle ki nahi? Arre bolo kuch…!!
Veer : Woah woah! Calm down! Mein chopper me hi hu. Suniye!
Veer ne phone hata ke chopper ki tezz ghumti pankhi ki awaaz jab sunaayi toh Suhana ko yakeen ho gaya.
Suhana : I- I see! That's good!
Veer : Kya aap uss report ke baare me kuch bata sakti hai?
Suhana : Haan! Listen carefully-! It's a huge matter. Tumhe jald se jald waha se nikalna hoga. Tumhe fassaya gaya hai aur bohut hi cleverly fassaya hai. M-Mein kaise samjhau! T-Tum bas waha se kaise bhi karke niklo pehle. E-Ek safe jagah pohucho. Aur yaha se mein aur Divya hum sab apni poori koshish kar rahe hai.
Veer : I see!
Suhana : H-Haan! Aur report me ye likha hai ki-
*Call ends*
'Huh!!??'
Veer ne apna phone dekha. Phone out of battery ho chuka tha.
'Shit!!! Abhi hi isse band hona tha?'
[Anyways ye toh clear hai ki koi fassa raha hai. I'll look into it further. Master! Take a rest. Ushant pohuchne me abhi samay hai. Formulate a strategy till then.]
'Pari mere paas kitne points bache hai?'
[You are left with 3692 Points.]
'Meri strength 140 hai na?'
[Yes!]
'Usse 20 points se badha do.'
*Ding*
[1000 points have been used.]
['Strength' has been upgraded to 160.]
[Anything else?]
'Agility ko bhi 20 points se badha do.'
[Are you sure Master? Endurance nahi badhana? Aap half half divide kar sakte ho. 10 Endurance me aur 10 Agility me. Uss insaan se ladne me apako kaafi chot aayi hai. I know aapke badan me kayi jagah abhi dard faila hua hai. I can sense everything.]
'Haan Pari! Agility hi badhao. He's faster than me. Mein dard seh lunga. Lekin agar uske vaar se khud ko na bacha paaya toh mein uss se ladd nahi paunga. Isliye Agility hi-'
[Alright!]
*Ding*
[1000 points have been used.]
['Agility' has been upgraded to 160.]
[You are now left with 1692 points.]
Bache hue Points dekh Veer ne ek aah bhari. Kitni mehnat se usne ye sab ikhatta kiye the.
[Master! Don't worry! Ava ka mission complete hote hi hume aur points mil jayenge. So worry not! Ek random skill bhi toh milegi. Rest lijiye. Waha kuch bhi ho sakta hai.]
Baat maan ke usne apni aankhein band kar li aur tik ke wahi baith gaya.
Bagal me baitha Eric usse dekh bas mann hi mann duaa kar raha tha. Kaash sab kuch sahi se ho jaaye. Koi durghatna na ho.
***
Airport par Chris aur baaki sab jab pohuche toh waha pehle se hi shor macha hua tha.
Pooch-taach me pata laga ki Natalia ko leke woh gang ke log yahi aaye the aur unused air strip ki orr le gaye. Waha se plane take off kiya aur logo ki aankho ke saamne pal bhar me hi woh aasmaan me gaayab ho gaye.
Terashima, Chris mil ke jab airport ke tracking room me pohuche toh unhe pata laga ki plane airport ka hi tha. Koi personal aircraft nahi.
Ye jaante hi unki jaan me jaan aayi.
Chris : Good! Matlab hum trace kar sakte hai right?
Terashima : That's right!! Team aa rahi hai. Kuch police force ke saath hume plane me nikalna hoga. Senior officer aap bhi chal rahe hai na?
Senior officer : Of course!
Terashima : Fine! Hamare pilot ko tracking team instructions deti jayegi. Toh usse pata rahega ki kaha woh log jaa rahe hai. Let's go!!!
***
Udhar Suhana Veer ke call cut hote hi bechain ho gayi. Achanak se call band ho jaana ek chinta ka vishay tha.
Lekin khud ko ye tasalli deti rahi ki shayad Veer ka phone band hua hoga.
Woh yaha se waha tehelne me lagi hui thi. Itni bechain thi ki woh apna saara kaam kaaj chhor di thi abhi ke liye.
Prakash ke waha aate hi uski chinta aur jhalakne lagi.
Suhana : Achanak se- Achanak se call cut ho gaya Uncle! Na jaane woh kis haal me hoga? Musibat me na fass jaaye kahi. Agar firing wagarah ho gayi toh? Hey bhagwaan!
Prakash : Aapko itna pareshan mene bohut hi kam dekha hai.
Prakash Uncle ki baat sunte hi Suhana sachet ho gayi.
Suhana : N-Nahi toh!? Ek jaan khatre me hai. M-Mein bas chinta me hu. Aur hona bhi chahiye mujhe hai na? Woh familiar hai humse. Koi anjaan nahi hai.
Prakash : Bilkul!
Suhana apne anguthe ko daato tale dabaayi rahi aur fir kuch soch ke boli,
Suhana : Uncle!!!
Prakash : Hmm?
Suhana : Hum Paris chal rahe hai. Abhi!!!
Prakash : Ehhh!??
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Wese mein mega update deke ye part niptaane wala tha lekin nahi. Shayad woh rushed ho jaata kaafi. Isliye normal 2 update me hi likhna theek samjha mene. Aur zyada mega update deke ju logo ko bigaadna nahi chaahta mein.Toh likes thok ke jaane ka bilkul
bohut mehnat kar ke research kar ke likh raha hu updates. Aur revos pelne ka. Keep supporting!
Dhanyavaad!![]()
DhanyavaadJabardast update bhai kya sence tha maza aa gaya chopper blast crimson ka hath katna aur bhi kafi kuch hai maza aa gaya
Shukriyaअदभूत अंक प्रस्तुति भाई
Thanks manStory getting interesting day by day, love your writing skills bro. Best story ever![]()
ThanksBo
Bohot hi zabardast update tha bhai....
ThanksMaza aa gya bhai.no words to express my feelings it was Mind blowing Awesome
Ussi baat ka to suspense hai.Phir bc chaliy kisne.
Suhaana or mike toh abhi paris pochne nhi hai right? Kahi ava toh nhi lekin vo bhi baag nikli vah se phir bc bacha kon
ShukriyaExcellent outstanding fabulous fantastic update bhai
Saari females me se sabse zyada mehnat karne ki shamta rakhti hai woh. Chuki wo karate fighter bhi hai. Toh stamina bohut hai usme. (Wese ek aur hai jo Tej se bhi adhik stamina rakhti hai. But that's a spoiler.)Waise to Tej ek mehenti ladki hai, per aaj kuch jyada hi apne ko Veer ke liye prove kerna chahti hai. Sunder tareeke se dikhaya
ExactlyArohi to Veer ke liye puri samarpit hai. Ye aur Tej dimag ki bahut tej hain, Veer ke liye asset hain.
Situation ke hisaab se ekdum sahi sujhaav.Kya sujhav diya hai Bhavna ne, yeh to har situation ke liye theek hai, real life me bhi.
Oh..., to ye tha pehla shikar. Badi planning ki hai Crimson ne.
Crimson pe use nahi ho payegi Limbo.Bahut dno baad dekhne ko mila. Maza aa gya. kaash ye Crimson per use hota.
MaybeShayad ab inko Veer ki sachaayi per vishvash hoga.
Chalo, Veer ko apne dushman ka naam to pata chala.
Update 141 me pata chalega.Ye kya suspense hai. Isse flag ker liya hai. Baad me pata chalega.
Murkhata nahi thi.Iski murkhata se Suhana ka chopper barbaad ho gaya.
Yupwaah... pehli baar Veer ne Crimson ko patki di hai.
Usko ye darr laga ki ek kamzor system waale ke haatho wo marrne waala tha.Isko bhi pata chale darr kya hota hai.
Bechari Ava ko thodi pata ki Veer tab se uske liye baahar lad raha tha.So sad, yahan Veer ne Ava ke liye itna sab kiya, aur weh samajh rahi hai ki police ne use bachaya. Ab pata nahi system uske kitne points kaat le. Legendary card mile bhi ya nahi.
He cut his own hand to get out of the blade since he was stuck there.Ufff... padte hi pure sharir me pasina aa gaya.
Ye kaun hai jo dur se hi Crimson pe hamla ker raha hai.
Goli seene me lagi hai. Dil me nahi. Ek goli se kaise marr jayega woh.Ab dono ghayal hain, agli fight kaisi hogi. Aur Crimson seene pe goli lagne ke baad bhi kaise bach gaya.
Thanks a lot man!Ab sochne ki baat yeh hai ki abhi tak Veer ko Crimson ko maarne ka system se task nahi mila hai. Shayad Crimson ko bhi Veer ko maarne ka, isi liye weh Veer ko nahi maar raha hai.
Overall, excellent update.
ShukriyaBro jabardast dhamekdar update bro weting for next update bro
Crimson is alive. Ek bullet se thodi marrne waala wo.Awesome update, let’s see if crimson is dead or alive
Thanks manFck man, kya hi update tha ye.. Full on banger bro...action hi action...one of the best update this was...marvelous
![]()
Ab to pattharo ke neeche hai manbs bechare veer ke lie bura lag ra hai, bhot Maar kha li bhai ne..
i think ab crimson ki Maa ch*dne ka time aa gya hai... Bhen ka taka peeche hi pad gya h chutiya..
Werewolf ki spelling theek se likhne ka.bs sb kuch shi ho or I hope veer wha se safe Nikal paye...which seems like very difficult.. But we can hope for the best...abi bhot zada eagerly waiting for the next update...lub ju warewolf bhai![]()
DhanyavaadExcellent update Bhai![]()
ThanksSuper update
Dekhte jao bas. Jo hoga dhamakedaar hi hoga. Dhanyavaad. Saath bane rehne ka.गजब का सीन
आज तो छा गए।
ये कुछ नई बात हुई है।
अब बेस्ट होगा
ओर आने वाले उपडते ओर भी खास होंगे।
आख़िर ये सेव तो हो गयी है। लेकिन हीरो जख्मी हो गया है।
ओर अब लगता है बहुत खास होगा।
Master pic.........koi sabd e nehi hy.....
ThanksSuper awesome
ThanksSo awesome![]()
faadu update bro
Excellent update bhai..
Nice updates![]()
Beautiful update bhai
Bohot hi zabardast update tha bhai..![]()
Superb
Thanks guysBohat hi zabrdast update tha janabb
Dekhte hai kya hota hai aage. Thanks btwek dum masst update, maza agyaa. veer safe hy abhi, Hero hi zero ho jaye tu story stop ho jati hy. lets see k Veer is sab sy kesy niklta hay
Shukriya man. Keep supporting!Gajab ... jitna bolo Kam hi hoga.... Family part action part sb tagda tha ..aur action to Aisa ki sala Hollywood Walo ke bhi bhaouchake nikal jaye.
ThanksMind-blowing amazing update
TonightAva safe veer's mission complete
Waiting for 140 th update
Haha
Veer be like ye crimson kahe khatam nahi hota hai be
Raatri meAgla update kab tak![]()
Rihanna par punaah fida hote hue hamare Sanju bhauइस अपडेट के तारीफ के लिए कोई शब्द नही मिल रहे है। अर्थात नि:शब्द हो गया हूं मै। बहुत बहुत उम्दा अपडेट था यह।
रिहाना मैडम ने जिस तरह से इस अपडेट का विश्लेषण किया है , अद्भुत है। इस विश्लेषण के सामने हमारे विचार फीकें ही लगेंगे।
Bilkul sahi kaha aapne. Veer arohi aur kavya ke sang lambe samay se hai toh usse ab unke beech rehne se koi problem nahi hoti. Par tej ke sang ek naya anubhav jiske chalte dono hi ek dusre se kabhi kabhi kuch kehne me katra jaate hai. Aur fir awkwardness janm leti hai.इस अनुभाग की शुरुआत तेजल की चिंता से हुई थी कि वो वीर के साथ सहज नही हो पा रही है। अपने छोटे भाई के साथ कम्फर्ट नही हो पा रही है।
ऐसा होना ही था। वीर को वो पहली बार तब देखी जब वीर एक जवान मर्द बन चुका था। उसे कुछ दिन पहले तक तो यह भी नही पता था कि उसका एक भाई भी है।
भाई बहन का प्रेम बचपन से और साथ साथ रहने से परवान चढ़ता है। साथ साथ लम्बे अरसे तक रहने से वो एक दूसरे की अच्छाई और बुराई से अच्छी तरह वाकिफ होते है। काव्या और आरोही के साथ वीर ने एक लम्बा वक्त बिताया है इसलिए वो आपस मे खुले हुए है और एक दूसरे को समझते है। जबकि तेजल के ऐसा नही हुआ था।
जब दोनो साथ साथ अधिक वक्त बिताएंगे तब धीरे धीरे उनके अंदर भी भाई बहन की भावना पनपने लगेगी।
और इसमे कुछ समय भी लग सकता है।
Shukriya bhaayaइसके बाद शुरू हुआ फ्रांस के अंदर " मिशन क्रिम्पसन " और " मिशन सेफ एवा " अनुभाग।
क्या ही बेहतरीन अनुभाग था यह ! चाॅपर से वीर और एरिक का आइलैंड तक जाना , फ्रांसिस पुलिस का अन्य हेलीकॉप्टर से उनका पीछा करना , लाइट हाउस का विवरण , लाइट हाउस मे पारस्परिक ब्लेड को एडजस्ट करना , हाउस के पीछे का दो - मंजिला इमारत, जहां एवा को कैद रखा गया था , वहां गैंगस्टर के साथ वीर का फाइटिंग होना सबकुछ बेहतरीन था। आउटस्टैंडिंग था।
Veer ki kismat ajeeb hai. Kabhi usse sona haath lag jaaye toh kaho kabhi kundli me shani galat jagah baith jaaye. Aisa hai uska.सबसे महत्वपूर्ण था वीर और क्रिम्पसन का अद्भुत फाइटिंग। इस बार भी क्रिम्पसन उस पर भारी पड़ा। हवा मे चाॅपर के अंदर का सीन्स के तो कहना ही क्या ! परफेक्ट फिल्मी अंदाज मे लगा।
सबकुछ चलचित्र की तरह दृष्टिगोचर था। रोमांचक , एडवेंचर्स और हैरतअंगेज। रोंगटे खड़ा कर देने वाला। और मंत्रमुग्ध कर देने वाला।
कहते हैं किस्मत भी बहादुर का ही साथ देती है। शायद इसीलिए किस्मत ने वीर को एरिक से मिलाया। एरिक के थ्रू उसे ब्लेड हासिल हुआ । और उस ब्लेड की वजह से क्रिम्पसन का एक हाथ कट गया।
Aur isliye pari uss se kehti hai ki uska dil behad saaf hai. Koi mel nahi hai.वीर ने अत्यंत ही घायल अवस्था मे न सिर्फ एवा को ही सुरक्षित किया वरन उसे अपराधी समझने वाली टेरासीमा को भी मरने से बचा लिया।
वीर न सिर्फ नाम का वीर है बल्कि कर्म का भी वीर है। ऐसे इंसान को ही वीर कहा जाता है।
Aap bas dekhte jaiyeक्रिम्पसन एक बार फिर वीर को चकमा दे रफूचक्कर हो गया। उसे गोली लगी थी पर उसे गोली किसने मारी , पता नही चला। एक हाथ खोने के बावजूद भी , मुझे नही लगता उसके ताकत मे कोई खास कमी होगी। इस बार यह शख्स और भी खुंखार बनकर वीर के समक्ष आएगा।
Bohut bohut dhanyavaad bhaaya iss khubsoorat sameeksha ke liye. Yu hi bane rahiyega saath me. Keep supporting!बहुत बहुत खुबसूरत अपडेट वोल्फी भाई।
काफी लम्बा अपडेट था यह। आपके इस मेहनत और खुबसूरत अपडेट के लिए साधुवाद।
यह अपडेट नो डाऊट , सुपर से भी ऊपर था और जगमग जगमग भी।![]()