• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 3

Sameer apne parents ke jaane ke baad kuch der tak khade khade rota raha...Kuch der rone ke baad wo wahi sofe par baith gaya...Uske pass itna himmat nahi bacha tha ki waapas room me jaaye.....Room me chala jaata to Priya ki baatein sunni padti...Pehle hi wo apne Papa ki kadwi baatein sun chuka tha...Abb himmat nahi tha kisi ki baat sunne ka...Bahut toot chuka tha wo andar se...Wo sofe par baithkar apne kiye gaye bhool ko kosh raha tha aur aane waali kal ko soch kar aur pareshaan hote jaa raha tha...Usne apne saath saath Priya ki jindagi ko bhi daaw par laga diya tha...Wo kuch der hi baitha tha sofa par tabhi ek ladki ki aawaj ne usko aur pareshaan kar diya.

Ladki:- Sameer...Kaha chale gaye thhe tum itne dino se? Ek baar to phone kar dete? Pata hai mai kitna intejaar kar rahi thi...Tumhe to meri koi parwaah hi nahi hai.

Sameer jaise hi iss aawaj ke taraf muda, Door se Shruti ko aate hue dekha...Shruti ke saath uske mom aur dad bhi the...Shruti Sameer ke ghar uske parents se uske baare me pucchne aayi thi lekin jaise hi usne Sameer ko dekha usne khushi se jaldbaazi me ye sab bol diya...Sameer Shruti aur uske parents ko aise aate dekh aur bhi ghabra gaya...Abb kya kehna hai, kya karna hai kuch samajh me nahi aa raha tha...Usse iss vakt Shruti ka yaha aane ki koi ummed nahi tha...Fir bhi darte darte ussne itna hi kaha.

Samer:- Shruti tum iss vakt yaha?

Ghabrahat ke kaaran Sameer ke munh se aur koi aawaj nahi nikla....

Shruti:- Tumhaare baare me hi puncchne aayi thi...Lekin tumne to ham sabko surprise de diya....Yaha aa gaye thhe to raat me phone kar sakte the naa? Aur ye bataao itne dino se kaha gaayab the...Ek baar bhi phone nahi kiya...Mujhe nahi kiya koi baat nahi lekin apne mom aur dad se to kar lete...Pata hai wo kitna ghabra gaye thhe?

Shruti Sameer se pyaar se ye sab baatein keh rahi thi...Wo itne dino ki judaai ke baad milne se Sameer se bahut saari baatein karna chahti thi....Wo toh bahut kuchh bolne waali thi...Lekin uski mom ne usko bicch me hi rok diya.

S.mom:- Abb bas bhi kar Shruti...Kitna sawaal pucchegi? Sameer ko bhi toh bolne ka mauka de...Kab se tu hi badbadaye jaa rahi hai.

Shruti ki mom aur dad ki baatein sun kar Mr. and Mrs. Sharma bhi baahar aa gaye...Unka room ground floor par hi tha to wo log sab baatein sun rahe thhe...Suru me to unhe bhi samajh nahi aaya ki abb kaise Shruti ki mom aur dad se najarein milaaye...Lekin iss tarah se darte huye andar baithne se baahar aakar baat karna hi thik samjhe aur aa gaye...Unke baahar aane se hall me maujood sabhi logon ki dhyaan unn par chala gaya...Shruti ki mom aur dad ki chehre me khushi tha to Sameer ki chehre me chinta aur pareshani.

Shruti ki dad kuch bolne hi waale the ki Mr. and Mrs. Sharma ki chehre ki pareshani ko dekh kar chup ho gaye aur Shruti ki mom ko bhi chup rehne ka ishaara kar diya...Kuch der baad Shruti ke dad bole....

S. Dad:- Kya hua bhai sahab? Sab thik to hai na...Aap ka beta ghar aaya hai...Aap khus hone ki jagah pareshan lag rahe hai?

Shruti ke dad ki iss sawaal ka Mr. Sharma ne koi jawaab nahi diya...Wo Shruti ke dad ko Sameer aur Priya ki shaadi waali baat kaise samjhaaye yahi soch rahe the...Kuch der chup rehne ke baad wo bole.

Mr. Sharma:- Hame maaf kar dijiye bhai saahab...Abb ye shaadi nahi ho sakta.

Mr. Sharma ne haath jodd kar maafi maanga...Unke chehre me sharmindgi saaf najar aa raha tha...Sameer ko uske Papa ki aisi haalat dekh khud par hi bahut gussa aa raha tha...Usne apni mutthi kaske bheench liya...Shruti ki mom dad to ye khabar sunke shocked reh gaye...Shruti ko toh jaise jhatka lag gaya ho...Wo bilkul chup ho gayi...Lekin uske dad ne fir se Mr. Sharma se pucha

S.Dad:- Kyu bhai saahab? Hamse koi galti ho gayi kya? Agar aisi baat hai to please bata dijiye...Ham sudhaar lenge...Lekin iss tarah shaadi mat todiye...Meri beti Sameer se bahut pyaar karti hai...Uske baaare me bhi toh sochiye.

Shruti ki dad ne ye baat bahut hi dukh bhari aawaj me kaha...Unko vishwaas hi nahi ho raha tha ki Mr. Sharma ne shaadi ko todne ki baat kahi hai...Unko thoda vishwaas thaa ki unki baat sunne ke baad Mr. Sharma apna shaadi ko todne waala faislaa waapas le lenge...Mr. Sharma kuch kehne hi waale the ki siddhi se Priya neeche aa gayi...Sabhi Priya ki taraf dekhne lage...Shruti Priya ko yaha aise achaanak dekh kar aur bhi shocked ho gayi...Sameer ki haalat aur kharaab ho gaya.

Mr. Sharma:- Nahi bhai saahab aapse koi galti nahi hua hai...Galti to iss naalayak(Sameer) ne kiya hai...Kal hi ye waapas aaya tha aur wo bhi shaadi karke...Hame bhi nahi bataya tha iss ne...Kal hi pata chala ki ye shaadi karke aaya hai...Mai to kahunga ki ye naalayak Shruti ko deserve hi nahi karta hai.

Itna keh kar Mr. Sharma chup ho gaye...Unki aawaj se sharmindgi aur Sameer ke liye gussa saaf najar aa raha tha...Sameer to har ek pal khud ko apni hi najar me giraa hua mehsoos kar raha tha...Shruti toh apne jagah par hi jamm gayi thi Sameer aur Priya ki shaadi ki baat sunkar...Wo apni jagah se hil bhi nahi paa rahi thi...Munh se koi aawaj bhi nahi nikal raha tha.

Kuch der tak mahaul me ek khaamoshi chaa jaati hai...Jisko todkar Shruti ki mom kehti hai.

S.Mom:- Bhai saahab...Jarur koi majboori rahi hogi Sameer ki...Warna wo aisa nahi karta...Jarur iss ladki ne fasaya hoga Sameer ko...Aise ladkiyon ko mai acche se jaanta hu...Paison ke liye bade ghar ke ladkon ko fasaa kar shaadi kar leti hai...Mai jaanti hu aisi ladkiyon se piccha chhudaane ki tarika.

Shruti ki mom itna keh kar chup ho gayi aur Priya ko gusse se ghurne lagi...Priya bhi unki baat sunkar bahut gussa ho gayi aur gusse se Sameer ko dekhne lagi...Priya kuch bolne hi waali thi ki Sameer ne haalat ko aur naa bigaadne ke liye Priya se pehle hi bol diya.

Sameer:- Aunty ...Please Priya ko kuch mat kahiye...Saari galti meri hai...Maine hi jabardasti shaadi kiya tha Priya se....Priya to mere hi kaaran fanss gayi thi iss shaadi ki lafdon me...Par yakin kijiye Aunty mai bahut majboor tha...Iss liye naa chahte hue bhi ye shaadi karna pada....

Shruti ki mom ne jab Sameer ki baat sua tab unhonne gusse me Sameer se kaha.

S.Mom:- Chahe jitni bhi majboori kyu na ho tumhe Shruti ko dhokha nahi dena chahiye tha...Tumne iss ladki ke liye Shruti ko dhokha diya...Jaante ho Shruti tumse kitna pyaar karti hai...Jab tum yaha nahi thhe to ye har vakt tumhaare liye dua karti thi ki tum jaha bhi ho sahi salamat raho...Har vakt tumhaara fikar karti thi...Lekin tumne kya kiya Shruti ko dhokha de diya...(Mr. Sharma ki taraf dekhte hue) Accha sanskaar diya hai bhai saahab aapne apne beta ko...Meri beti ki jindagi barbaad kar diya...Abb pata nahi Shruti ka kya hoga...Kitni khush thi Sameer se shaadi ki baat se lekin abb sab khatam ho gaya.

Shruti ki Mom itna keh kar chup ho gayi .....Mr. Sharma ne sharmindagi se gardan jhukaa liya....Sameer ko ye bardaasht nahi hua....Jab tak Shruti ki mom ne sirf uske baare me kaha tha tab tak wo chup tha lekin jab unhone Mr. Sharma ke baare me kaha usko bardaasht nahi hua aur gusse me usne bhi jawaab diya.

Sameer:- Bas Aunty bas....Bahut bol liya aapne...Maine kisi ko dhokha nahi diya hai....Pucchiye aap Shruti se...Maine kabhi usko pyaar karne ki baat kahi hai kya? Mai toh usko bas apna dost maanta hu...Jab usne mujhe propose kiya tha tabhi maine manaa kar diya tha aur kahaa tha ki mai ussko sirf apna dost maanta hu...Mere dil me uske liye pyaar jaisi koi baat nahi hai...Lekin ye apni jidd me addi rahi...Aur Papa aur Maa se shaadi ka rishta bhijwaya aap dono ke haatho...Maa aur Papa ko bhi koi problem nahi tha to unhone iss rishta ko accept kar liya...Maine bhi apni Papa ki baat maaan kar shaadi ke liye haa keh diya....Ek na ek din to shaadi karni hi thi...Mujhe laga Papa aur Maa ko Shruti pasand aa gayi hai to mere liye bhi yahi sahi rahega...Iss tarah se Shruti ka dil bhi nahi tootega.

Shruti ko ye baat pehle hi samajh jaani chahiye tha ki one sided love me kayi baar dil toot ta hai...Pyaar kiya hai to anjaam ka fikar nahi hona chahiye...Pyaar ka matlab sirf paana hi nahi hota hai...Agar Shruti mujhe sacch me pyaar karti hai to meri majboori jarur samjhegi...Mera har haal me saath degi.

Agar buraa laga ho to maaf kijiye...Mai apne Papa ke khilaaf koi baat nahi sun sakta...Unki koi galti nahi hai...Mera bhi iss maamle me koi dosh nahi.....Mai toh sirf Priya ka doshi hu.

Itna keh kar Sameer chhup ho gaya...Jaise hi wo chup hua khud usse bhi samajh me nahi aaya ki usne kaise gusse me itna kuch bol diya...Abb gusse me bol to diya abb aage kya hoga iss baat ka dar uske chehre pe dikhaayi dene laga...Sameer ki baat sunne ke kuch der baad Shruti ke dad bole.

S. Dad:- Shruti abb chalo yaha se...Abb ye rishta toot chuka hai...Koi matlab nahi yaha baith ke abb.

Itna keh kar Shruti ke dad waha se chalne lage lekin Shruti toh hill bhi nahi paa rahi thi...Usko Sameer aur Priya ki shaadi se sadma laga tha...Usko naa hilta dekh Shruti ki maa usko jabardasti apne saath khincch kar le kar gayi...Uske chehre me dukh aur Priya ke liye gussa aur nafrat tha.

Shruti aur uske mom dad ke jaane ke baad Sameer darte hue apne Papa ko dekhne laga...Jab usne Papa ko dekha to uske Papa gusse ke saath uski taraf hi baddh rahe the.
 
Last edited:

Mbindas

Active Member
1,957
4,154
158
Bhai is story ko jab bhi padhta hu to esa lagta hai jaise ki pehli bar padh raha hu hamesha hi nayapan lagta hai isme. Ye story to kya kamal ki likhi hai bhai. Wapas wo xp ke din yaad dila diye aapne.
 
Last edited:

Sona

Smiling can make u and others happy
13,403
20,577
228

Nice update
 
kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,157
38,475
259
ab shruti ke mom dad se bhi sab clear ho gaya.........

jaisa sameer ne bataya.......... shruti aur wo achchhe dost hain..... lekin shruti ko one sided love tha
mujhe ummeed hai ki shruti aage chalkar jab gussa shant ho jayega, shayad sameer ka sath degi
ya.... shayad sameer ki sabse badi dushman ban jaye....
kyonki jinhein hum chahte hain unse..... pyar aur nafrat dono hi inteha tak hoti hain

priya shayad halaato ke maddenazar samjhauta kar le...... apne liye na sahi.... apne maa-baap aur baad me sameer ke maa baap ke liye
kyonki ye shaadi priya ke maa baap ne khud ki hai
lekin sameer ke maa bap ka kya reaction rahega.... priya ke liye.... bete se khafa hain hi wo

dekhte hain aage

PS : ye completed kahani hai to iske update thoda jaldi aur jyada updates dein ,,,,, man nahi bharta :D ek update se
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Bhai is story ko jab bhi padhta hu to esa lagta hai jaise ki pehli bar padh raha hu hamesha hi nayapan lagta hai isme. Ye story to kya kamal ki likhi hai bhai. Wapas wo xp ke din yaad dila diye aapne.
Thanks Mbindas bhai for your support and review....Jaan kar bahut accha laga ki aap ko ye story itna pasand aaya...Aur yahi wo story hai jisse mujhe confidence mila tha ki mai bhi kuch likh sakta hu...Keep supporting bhai.
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
ab shruti ke mom dad se bhi sab clear ho gaya.........

jaisa sameer ne bataya.......... shruti aur wo achchhe dost hain..... lekin shruti ko one sided love tha
mujhe ummeed hai ki shruti aage chalkar jab gussa shant ho jayega, shayad sameer ka sath degi
ya.... shayad sameer ki sabse badi dushman ban jaye....
kyonki jinhein hum chahte hain unse..... pyar aur nafrat dono hi inteha tak hoti hain

priya shayad halaato ke maddenazar samjhauta kar le...... apne liye na sahi.... apne maa-baap aur baad me sameer ke maa baap ke liye
kyonki ye shaadi priya ke maa baap ne khud ki hai
lekin sameer ke maa bap ka kya reaction rahega.... priya ke liye.... bete se khafa hain hi wo

dekhte hain aage

PS : ye completed kahani hai to iske update thoda jaldi aur jyada updates dein ,,,,, man nahi bharta :D ek update se
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Shruti ka iss par kya asar padega aur Priya ke saath kya hoga wo dhire dhire pata chalta rahega...Aur aapke hi kehne par aaj shaam ko 2 updates :D...Keep supporting.
 
Top