• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest LAFDE

Kaisi lagi

  • Amazing

  • बहुत बढ़िया

  • खूपच छान

  • আশ্চর্যজনক

  • Filmy

  • Sexy

  • Dramatic

Results are only viewable after voting.
Status
Not open for further replies.

hemya

Enchanted Chronicles✨
658
4,715
124
Excellent update
Shayad Smita vali story thodi flashback ke taur pe hoti to maja aata , vo story dekhne ko main thoda utsuk hu , vo aur behtar lagti flashback form me lekin aapko kaisa Lage us hisab se ve story ko pesh kijiye ga . Lekin achhi update thi .
Dhanyawad Bhai,
haa agar aur logo ko lage to main vo story ko flashback me likhunga , abhi kuch socha nahi hai .kyuki bahut se log flashback ko jaldi jad khatam chahte hai . Vo behad jyada lamba bhi ho jayega kya pata ek update usme hi chali jaye baaki aap logo par nirbhar karta hai .
 
taamrambha

Sab kuch lover
287
1,369
124
Dhanyawad Bhai,
haa agar aur logo ko lage to main vo story ko flashback me likhunga , abhi kuch socha nahi hai .kyuki bahut se log flashback ko jaldi jad khatam chahte hai . Vo behad jyada lamba bhi ho jayega kya pata ek update usme hi chali jaye baaki aap logo par nirbhar karta hai .
Jaisa aapko Lage. Vaise story behtar chal rahi hai
 
  • Like
Reactions: parkas and hemya

Riky007

उड़ते पंछी का ठिकाना, मेरा न कोई जहां...
22,449
45,425
259
Vaise vo वस्ताद hai , lekin aapko jaisa thik Lage Lage . Dhanyawad 🙏
Sorry 🙏🏽
Dhanyawad Bhai,
haa agar aur logo ko lage to main vo story ko flashback me likhunga , abhi kuch socha nahi hai .kyuki bahut se log flashback ko jaldi jad khatam chahte hai . Vo behad jyada lamba bhi ho jayega kya pata ek update usme hi chali jaye baaki aap logo par nirbhar karta hai .
वैसे उसे डिटेल में लिखना बनता है, क्योंकि स्मिता अपने बाप से ज्यादा तो कर्ताक से डर रही है लगता है, क्योंकि जब आदित्य को उसके नाना (रिश्ते में नाना ही हुआ) की वरदहस्त मिली है, तो भी वो उसे मारने क्यों गया भला? अगर जो दादा ही असली गैंग लीडर है तो।
 
  • Like
Reactions: parkas and hemya

hemya

Enchanted Chronicles✨
658
4,715
124
Sorry 🙏🏽

वैसे उसे डिटेल में लिखना बनता है, क्योंकि स्मिता अपने बाप से ज्यादा तो कर्ताक से डर रही है लगता है, क्योंकि जब आदित्य को उसके नाना (रिश्ते में नाना ही हुआ) की वरदहस्त मिली है, तो भी वो उसे मारने क्यों गया भला? अगर जो दादा ही असली गैंग लीडर है तो।
Dekhenge , ho sake to main in baato ko bina flashback ke hi explain karunga.aur vaise bhi flash back likhna to kartak ke liye padega hi , bass vo kuch update usme chali jaye to aap ko hi problem naa ho isiliye .
 
Riky007

उड़ते पंछी का ठिकाना, मेरा न कोई जहां...
22,449
45,425
259
Dekhenge , ho sake to main in baato ko bina flashback ke hi explain karunga.aur vaise bhi flash back likhna to kartak ke liye padega hi , bass vo kuch update usme chali jaye to aap ko hi problem naa ho isiliye .
Flash back कहानी का ही हिस्सा होता है भाई, उससे किसी को क्या प्राब्लम होगी?
 
hemya

Enchanted Chronicles✨
658
4,715
124
Flash back कहानी का ही हिस्सा होता है भाई, उससे किसी को क्या प्राब्लम होगी?
Main to likhna hi chahta hu . Vaise mera man to pahle se hi tha . Bass vo lambi ho jayegi to usase kisi ko problem naa ho .
 
dhparikh

Well-Known Member
12,981
15,013
228
UPDATE 19

"Rukhmini tum vaha kya kar rahi thi "
Kaushik Apne kamre me Rukhmini samne khada tha,vahi Rukhmini apna sar niche jhukaye beti hui thi .

"Vo ghar, darsal " Rukhmini aage kuch bol nahi paa Rahi thi .

" Batao , vo ghar hamara hi to hai ye tumhe kaise pata chala "

" Mujhe nahi pata tha "

Kaushik Rukhmini ke pass baith gaya , "batao mujhe, kya baat hai "

" Vo ghar mere papa kharidne vaale the " Rukhmini ka gala itna kahte hi bhari ho gaya .

Kaushik ka dimag achanak se tej daudne laga .
" Kya ,tumne mujhe bataya kyu nahi pahle ,main janata hu ki tumhare liye tumhare pita kitne mayne rakhte hai "

Rukhmini chup chap baithi rahi . kaushik ne Rukhmini ke kandho par hath rakha .

" Dekho rukhmini mujhe nahi pata tha ki vo jagah tumhare liye mayne rakhti hai , lekin ek baat tumhe bhi pata hone chahiye ki vo jagah mere pitaji ke naam hai main usi liye use dekhne Gaya tha "

Rukhmini ko ye baat pata thi lekin kaushik jarur vaha par kisi karan vash hi gaya hoga ye usne socha bhi nahi tha.

" Darsal hamare naam par jyada tr property nahi hai yaani ki main is ghar ko chhod kar ghar ki kisi bhi property me hissedar nahi hu isiliye me dekhene gaya tha ki baaki konsi property aur hai hamari family ke naam par "

Rukhmini kaushik ki puri tarah se dhyan lagakar sun rahi thi.

" To mujhe pata chala ki sari property me varasdar Aaditya hai "

" Lekin kyu , main samjhi nahi tumhara bhi to utna hi hak hai na "

Rukhmini ko ye baat pata thi ki Aaditya ke naam par hai sari property par use bhi reason nahi pata tha .

" Pata nahi puri tarike se lekin hamare naam par property tabhi hogi jab hame bachha hoga tab tak ke liye nahi "

Rukhmini ka to jaise ek dum se sar chakarane laga tha . Vo bachha khud hi nahi chahti thi kyuki vo family jab tak uska badla pura na ho tab tak nahi chahti thi . Lekin use ye nahi pata tha ki uske vajah se use ye bhi nuksan jhelna pad raha hai . Kyuki vo khud hi pills leti thi har mahine ki bachha naa ho isliye.

" Matlab Aisa kyu phir bhi lekin "

" Mujhe nahi pata meri maa bata rahi thi , ki dadaji mere pita ka varis mujhe tabhi manenge jab me unhe vansh dunga , kyuki chote mama ko bhi vaise beta nahi hai main hi hu "

"Par phir bhi Aaditya kyu bana hai varis ?"

" Vo sab Dadaji hi jante hai ,shayad unhone use apni maa aur parivar se bachpan me alag kar diya iska pachtava ho "

" Kya matlab unhone alag kiya aur Aisa kyu karega bhala koi " Rukhmini ko ab Dadaji par behad gussa aa raha tha . Uske papa ka ghar bhi usine Aaditya ke naam karva Diya jaise koi uske baap ki jaagir hai .

" Haa aisa hi kiya tha jitna maine suna hai maa se Vo apni beti ko saja dena chahte the isiliye , shayad ab unhe is baat ka pachtava ho raha hai papa bhi kah rahe the ki Dadaji ko unki galtiyon ka pachtava ho raha hai isi liye vo kuch saalo se behad bimar hai"

" Kya fayda par aisi kya galti kar di thi unki beti ne ki ye saja de di thi unhone "

" Mujhe nahi malum par Ham us ghar par apna hak tab hi jama sakte hai jab hamara parivar hoga "

Rukhmini ka man is baat ko sunkar tutata chala Jaa Raha tha par use yakin nhi jo raha tha ki aisi maang kyu rakhi .

" Lekin hame ek ab do saal ho rahe hai phir bhi bachha nahi hai , Lekin Agar tum thoda sath do aur kuch checkup karavaye to ham shayad kuch kar sake "

Rukhmini ko ab thoda jyada hi bura lag raha tha , usne kisi se uske bete ki khwahish chhin li aisa lag raha tha .kyuki kaushik uske pichhe bete ke liye behad pahle se laga hua tha .lekin use kaha pata tha ki Kaushik ka uddeshya kya tha naa hi kaushik ko ki Rukhmini ne ab tak beta na ho uske liye kya kiya .

___________

" Maa aapne jatak kathaye padhi hai " Aditi apni maa ki god me sar rakh ke puchh ne lagi .

" Kyu , nahi main tumhari tarah itni kitabo me uljhi nhi hu , vaise hai kya ye kathaye "

" Darasal ye bauddha dharm ki kathaye hai"

" To uska kya ?"

" Usme ek katha hai 'shramanadadimukha jataka ' karke story hai "

" Kis baare me hai " Aditi ke sar par hath phirate hue sumita boli .

" Ek kabutar maa ki aur do bachho ki jo jangal ki aag me fas jate hai lekin maa sirf ek hi bachhe ko bachhe ko apne sath le sakti thi , to vo apna man markar ek bachhe ko le jaati hai "

" Tum kahna kya chahti ho "

"Yahi ki ab usme ham uski koi galti nahi nikal sakte vo jitna kar payi utna usne Kiya lekin uska ek maa ka ek dharm hota hai jab vo bachhe ko ek jagah pahucha deti hai to dusre ko lene vo phir se us jangal me chali jaati hai dusre bachhe ko le jaane "

Smita aage bina sune Aditi ka chehra apni taraf karti hai .

" Tum kahna kya chahti ki main ek buri maa hu "

Apne maa ke chehre ka bhav dekhkar Aditi samajh gayi thi ki uski baat se thes pahunchi hai .

" Nahi main ye nahi kahna chahti "

" Phir kya kahna chahti ho ki yahi ki main apne bete ko phirse dekhne bhi nahi ki use kya hua hai , main ek maa ke naam pe lanchhan hu "

" Nahi ye bhi nahi lekin main bhaiyya ko aise nhi dekh sakti main chahti hu ki vo bhi hamare parivaar ka ek hissa ho "

"Kya main ye nahi chahti , lekin tumhe pata nahi hai ke main kya bhugat rahi hu "

Aditi ne apna sar niche jhuka diya .

" Aditi tum mujhe galat kaise samajh sakti ho , main jitna kar sakti thi vo kiya maine "

" To maa aap bata kyu nahi deti mujhe ki aap ki kya kamjori hai ki aur thi ki aapne apne hi bete ko khudse dur kiya "

" To thik hai tum yahi janana chahti ho Naa ki maine ye sab kyu Kiya , main nahi chahti ki mere bachhe mujhse jindagi bhar nafrat kare "

" Haa"

" Ye sab tumhare dadaji ke jhute ahankar ki vajah se hua , tumhare dadaji ko meri aur tumhare pita ki shadi bilkul manjur nahi thi , isiliye mujhe saja ke taur par apne bachhe se alag kiya "

" Kaise lekin unka kya hak Banta hai "

" Tum apne dada ke bare me nahi janti vo
Politically bahot strong hai unki pahuch gundo aur criminals me bahut hai "

" Ye baat phir Aaditya ko to pata honi chahiye thi Naa "

" Nahi , ye baat mujhe bhi pata nahi thi jab tak main tumhare pita ke sath shadi karke nahi bhagi , 4-5 saal Tak ham bass kaise to karke unse chhupaye rahe lekin jab pakde gaye to unhone tum bachho ko jaan se marne ki koshish ki ''

" Lekin vo to aapke pita hai vo Aisa kyu karenge ''

" Mere pita hai aur mujhse pyar bhi karte the lekin unka pyar tab tak hi tha jab tak main unki agya manti gayi lekin jab maine apne man se kisise pyar karne ka socha to unhe unki pratishtha yaad aa gayi "

" Lekin phir bhaiyya ko kyu koi itni badi saja kyu Dena chahega apni beti ko "

"Main college me thi aur aadarsh lawyer tha , vo hamare gao me kisi kaam se shahar aaya jaya karta tha , aur me padhne shahar isi bich ham dono ki mulakat hui aur baat itni aage badhi ki main tum dono ke sath pregnant thi , baat jab mere pitaji ko pata chali to unhone aadarsh ki jaan lene ki koshish ki aur sath hi mujhe abortion karvane ke liye jabardasti karvane lage , isi vajah se mujhe tumhare pita ke sath bhagna pada"

" Phir aap vapas kyu aayi , bhaiyya ko unke pass kyu de diya "

" Main vapas nahi aayi mujhe aana pada kyuki ham tab pakde gaye , isi bich meri maa ki bhi jaan chali gayi uska doshivar mujhe hi thahraya gaya , aur ye saja mili "

" To phir aap itne din kaise Bach paye unse aur papa bhaiyya ko phir kaise hamare sath laa sakte hai "

" Isme tumhare pita ko unke dosto ne behad madat ki us vakt ham nandkishor ji se bhi madat nahi maang sakte the , tab tumhari bua bhi behad najuk daur se gujar rahi thi , tumhare pita ki bhi is tarah ke logo me pahchan hai jisase kuch saalo tak bachh paye unse "

" To ab iska matlab ham bhaiya ko hamare parivaar ka hissa kabhi nahi bana sakte "

" Nahi aisa nahi hai Aadarsh puri koshish kar raha hai jisase mere pita ke saare kaale karname khatam ho jaye aur usase vo kamjor ho jaye tab vo hampar koi jor nahi daal sakte , lekin ab jab chahe tab kisi ki bhi jaan le sakte hai , shayad vo mujhe sabak sikhane ke liye mere bete ki bhi jaan le le itni nafrat karte hai vo mujhse "

Smita ye baat karte hue tut gayi , use yaad tha ki uske pita usase kitna pyar karte the ab vo nafrat ban chuki thi . Use apni hi maa ki jaan ka doshi samajte the .

Vahi samantha Aaditya se milne uske Ghar aaye , vo bhi apne hi vicharo me vyast thi .
Aaditya ke kamre baithi hui thi pass hu me sandhya bhi baithi hui thi.

" Aaditya Tumhe college ki chinta karne ki jarurat nahi hai , tumhe jo bhi madat chahiye hogi vo main kar dungi aur maine deshmukh ma'am se bhi baat kar Li hai aur samjha diya hai "

" Thanks "

" Tumhe thanks kahne ki koi jarurat nahi hai , shayad tum suresh ke baare me sahi the use me aajse tum sab ke aas pass bhi nahi aane dungi "

Kyu ye suresh kon hai , Aaditya tumhare pass bhi aane naa dene ka matlab tumhe pareshan karta hai kya "

" Nahi sandhya didi vo bass Aditi jo mujhse milne aati thi Naa use satata tha maine inhe bataya to ye meri baat Maan hi nahi Rahi thi "

" Achha , lekin Tumhe bhi kuch karna chahiye tha na tum itne bade ho gaye ho aur ek ladki se madat lete ho "

" Didi aap bhi naa abhi aap ko meri fikar thi aur abhi kah rahi ho mene kuch kyi nahi kiya "

Aaditya ki baat par Samantha aur Aaditya dono hasne lage .

" Kyu nahi main tumhari chinta kar ti hu iska matlab ye thodi hai ki tum kisi ke sath bura ho raha ho tum kuch Naa Karo "

" Haa vahi to ye unki dost hai jo ladka Aditi ko sata raha tha maine inhe samjhane ko kaha tha "

Samantha ko thodi glani mahsus hui aaditya ki baat par lekin baat sach thi.

" Achha lekin phir bhi usne aditi ko satana band nhi Kiya to main tumhare principal se baat karungi "

" Didi actually principal uske mama hai "

Aaditya is baat par thoda shock ho gaya , kavya ne abhi tak ye nahi bataya , vaise to behad dost dost karti rahti hai .

" To kya hua "

" Nahi bass bata rahi thi aur mujhe pata hai ki mere bolne ke baad vo nahi karega "

Tabhi Aaditya ko yaad aaya ki us din Aditi suresh ke sath behad hi jyada vakt bita rahi thi . Aane do un dono ko kavya aur Aditi ko phir batata hu . Main to bhul hi gaya tha .

" Vaise Aaditya ab tumhe kaisa lag raha hai " Samantha ne baat badalte hue .

" Thoda thik lag raha hai , chal phir sakta hu bass thodi takleef hoti hai baaki heaal hota jaunga "

" Haa bass dawayi aur khana achhe se Lena hoga "samantha bol padi

" Usi liye to main aur bhabhi hai Bhai sahab vaise kiski sunte nahi hai mere ilava " sandhya ne kaha .

" Vaise didi aap ka behad man hai lagta hai Aaditya me bilkul sagi maa ki tarah " samantha ki baat sunkar sandhya muskura di .

" Maa aur ye , mujhe bachapan me paid se latka diya tha main to Raha tha to "

" Main tab 12 saal ki hi thi aur main utha bhi nahi sakti thi is 4 saal ke bandar ko "

" To kya ba latka dete hai kya "

" Main jhula bana rahi thi aur ye baat to tumhe yaad bhi nahi hai "

" Lekin mami ne to bataya aur aisa konsa jhula hai jisme latkaya jaata hai "

"Main chhoti thi mujhe thodi pata tha ki jhula kaise banate hai mujhase to rassi ke jhule me chadar lapatne aayi vaise lapeti tum us me latak gaye to meri kya galti "

" Achha aap chhoti thi aur me behad bada tha"

" Achha mujhe tumhe sambhalna nahi aata naa to ab se didi-didi karna band kar dena thik hai " sandhya gusse me boli.

" Didi aap bhi naa , main to majak kar raha tha "
Nice update....
 
  • Like
Reactions: hemya

parkas

Well-Known Member
32,495
69,652
303

Bahut hi shaandar update diya hai hemya bhai.....
Nice and awesome update....
 
  • Like
Reactions: hemya
Status
Not open for further replies.
Top