• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,923
116,019
304

Iron Man

Try and fail. But never give up trying
43,923
116,019
304
Toh story padhiye...... Plz..
my favorite hain.... ek Sikh milti hai...
Main kafi busy hu Aajkal
Duty ke bad samay hi nahi milta ki koi new story padhu.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 6


Jab dusri taraf ki aawaj Sameer ne sunaa to usne phone ki screen ko dekha...Usko pata to chal gaya tha ki phone par kaun hai fir bhi usne confirm kar liya...Screen me Mahesh naam likha tha...Wo Mahesh se baat karne ki mood me bilkul nahi tha...Usne bas itna hi kaha.

Kal shaam 5:00 pm me bus stand ke pass waale park me aaja...Wahi par deta hu tujhe party.

Itna keh kar Sameer ne call kaat diya...Aur apne room me waapas chala gaya...Mahesh ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha ki Sameer ne uske saath iss tarah baat kyu kiya aur itna jaldi call kyu kaat diya...Usne socha ki kal wo Sameer se baat karke puchega.

(Mahesh Sameer ka best friend hai...Wo dono school time se friend hai aur saath me bachelor level tak padhe the...MBA padhte vakt dono alag alag college me chale gaye...Fir bhi unn dono ki doshti me koi asar nahi pada...Hamesha ek dusre ke contact me rehte thhe...Holidays par hamesha wo log saath me kahi ghumne jaate aur kuch time spend karte...Wo dono ek dusre se koi bhi baat nahi chupaate...Hamesha ek dusre ki madad karte hai...Yahi vajah tha ki Sameer itne bade tension me hote hue bhi Mahesh ko abhi kuch nahi kaha...Agar Mahesh ki jagah koi aur hota to usse bhagwaan hi bachha paate.)

Sameer apne room me chala gaya...Usne dekha ki Priya bed par baithi hai...Uski peeth Sameer ki taraf tha to usne Sameer ko aata hua nahi dekha...Sameer bhi bina kuch bole sofa par lait gaya aur sochne laga.

Sameer:- (In his mind) Abb kya karu...Abb to sabko pata chal gaya iss shaadi ke baare me...Socha nahi tha ki Ramesh aisi harkat karega...Galti bhi meri hi hai...Pehle iss problem se nikalta hu firr uss kameene ko dekhunga...Usne saari photos viral kar diya...Abb to Mahesh ko bhi pata chal gaya...Maine bhi usko keh diya ki kal mai usko party de dunga....Bas usse chhutkaara paane ke liye keh diya tha...Lekin abb samajh me nahi aa raha kya karu...Usko mera chehra dekh ke pata chal jaayega ki mai pareshaan hu...Kya usko sach bataana sahi hoga ki maine majboori me shaadi kiya tha.

Sameer issi topic par kuch der sochta raha aur fir uska jawaab mil gaya.

Sameer:- (In his mind):- Ha abhi usko bataana hi sahi hoga...Abhi sirf wahi hai jo meri baat samajh paayega...Maa aur Papa to mujhse bahut naaraj hai...Priya to pehle se hi gussa hai aur abb wo shaayad mujhse aur nafrat karne lagi hogi...Meri baat bhi nahi suna...Ha yahi thik rahega...Mai usko kal sab kuch sach bata dunga...Shaayad wo koi idea de mujhe jisse mai apni galti sudhaar bhi saku aur sab kuch thik ho jaaaye.

Sameer abhi yahi sab soch raha tha ki uske door par uski Maa aagayi...Unhone Sameer aur Priya dono se kaha.

Mrs. Sharma:- Dinner ready hai...Tum log aa jaao niche.

Mrs. Sharma itna keh kar chali gayi....Wo Sameer se kuch baat karna chahti thi lekin Priya ke saamne nahi kar paayi...Aur unhe ye bhi samajh me nahi aaya ki Priya se kaise baat kare.

Mrs. Sharma ke jaane ke baad Priya mud kar neeche chalne lagi tabhi wo Sameer ko sofa par laita hua dekh leti hai...Lekin wo kuch bhi react nahi karti aur niche chali jaati hai...Sameer bhi niche chala jaata hai...Wo dono hi bahut bhukhe the...Kal raat se kuch bhi nahi khaaya tha....Subah me bhi bahut saari haalaton se guzarna pada aur khaane ki baat unko yaad tak nahi raha...Abb dono niche pahunch jaate hai...Mrs. Sharma dono ko dinner serve karti hai...Sameer ke saamne Mr. Sharma baithe the aur wo dinner me busy the...Kabhi kabhi Sameer ko ek do baar gusse se dekh lete lekin kuch nahi bole...Wo abhi khaane ke time me koi bhi hangama nahi karna chahte the.

Khaate vakt Priya thoda uneasy feel kar rahi thi...Wo iss naye maahaul me adjust nahi ho paa rahi thi...Ye dekhte hue Mrs. Sharma Priya se kehti hai.

Mrs. Sharma:- Beti koi pareshaani hai kya?

Mrs. Sharma ne Priya ko behad apnatwa ke saath puccha tha...Mrs. Sharma ki moonh se apne liye beti shabd sunke Priya ko thoda aascharya laga...Fir bhi wo normal hokar bas itna hi boli.

Priya:- Nahi.

Mrs. Sharma:- Tumne kal raat se kuch nahi khaaya hai....Galti Sameer ki hai...Uski galti ki sazaa khaane ko mat do...Abhi tum sirf khaane pe dhyaan do...Baad me jo hoga uski tension mat lo...Abhi sirf khud pe dhyaan do.....Baad me koi na koi raashta nikal hi jaayega.

Mrs. Sharma ne Priya ko samjhaate hue kaha...Priya kuch nahi boli aur dinner complete karke apne room me waapas chali gayi...Sameer bhi kuch der me dinner complete karke apne room me chala jaata hai.

Room me baithne ke kucch der baad Priya Sameer se kehti hai...

Priya:- Tumhaare Maa aur Papa to bahut acche insaan hai...Unn logo ne tumhe jarur acche sanskaar diye honge...Unko bahut hi dukh ho raha hoga tumhaare jaise beta paakar...Tum bahut lucky ho jo tumhe aise Maa aur Papa mile jo tum deserve bhi nahi karte.

Priya ki iss baat ne Sameer ko bahut dard diya lekin wo kuch nahi bola...Sameer ka aisa chup rehna dekh Priya bhi kuch nahi boli bas usse gusse se ghoorti rahi.



Mrs. Sharma apni kitchen ke sabhi kaam khatam karke apne room me pahunchi aur bed par laite Mr. Sharma se kuch pucchti hai.

Mrs. Sharma:- Aisa kab tak chalega...Hame kuch na kuch to karna hi chahiye...Aakhir kab tak unhu aise dukhi hote hue dekhenge...Wo dono kuch nahi kar paa rahe hai...Aise me hamaara farz banta hai ki unki pareshaani dur kare...Aap kab tak aise Sameer se naraaj rahenge...Galti to har kisi se ho jaati hai.

Mr. Sharma:- Tumhe ye koi choti galti lagti hai jo itni jaldi sab kuch thik ho jaayega...Galti Sameer ki hai usse hi sab kuch theek karna hoga...Uski har chhoti chhoti galti ko najar andaaz karne ka natija hai ye jo aaj usne itni badi galti kiya hai...Priya ki jindagi se khilwaad kiya hai usne...Abb jo karna hai usse hi karna hoga tab jaake usko pata chalega ki kya galti kiya hai usne.

Mrs. Sharma:- Tab tak kya ham unn dono ko aise hi tadapte hue dekhenge....Maine dekha hai Sameer ko wo kaise pachhta raha hai...Maa hu mai uski...Mujhe bahut dukh hota hai usko aise dekhte hue...Uske saath baat bhi nahi kiya hai kabhi aapki naarajgi dekhte hue to kabhi Priya ki haalat dekhte hue...Mai acche se samajh sakti hu uss par kya beet raha hoga jab koi uska saath nahi de raha...Kahi aisa naa ho ki wo koi galat kadam uthaa le...Meri aapse bas ek hi request hai please iss baar iss samasya ko thik kar dijiye...Nahi dekh sakti mai unn dono ko aise tadapte huye.

Mrs. Sharma ne ye baat rote hue kaha...Unko bahut dukh ho raha tha Sameer aur Priya ki haalat dekhte huye...Mrs. Sharma ko aise rote dekh Mr. Sharma bhi pighal gaye...Abb unhone bhi halke aawaj me baat karna shuru kiya..

Mr. Sharma:- To tumhi bataao...Mai kya karu? Mai Sameer se issliye naaraj hu kyu ki usne Priya ki life ke saath khilwaad kiya hai...Abb mai kaise Sameer ki help kar sakta hu...Agar maine Sameer ka saath diya to mai bhi Priya ka gunehgaar ban jaaunga...Aur Priya ki bhi kaise help kar sakta hu....Nahi mai usko Sameer se divorce lene ki salaah de sakta hu aur naahi Sameer ke saath rehne ko keh sakta hu...Mai bhi majboor hu...Kisi ka paksh nahi le sakta...Issliye mai iss maamle me koi dakhal andaazi nahi kar sakta...Jo bhi karna hai abb unn dono ko hi karna hai

Itna keh kar Mr. Sharma chup ho jaati hai.....Mrs. Sharma bhi unki haalat samajh jaati hai aur kuch nahi kehti hai...Unko bas Sameer aur Priya ki bhavisya ko lekar chinta thi.



Udhar Priya aur Sameer chup chaap bina koi baat kiye so jaate hai...Abb jaake unn dono ko aaj ki tanaaw bhara din se chhutkaara mila aur waapas uthne ke baad fir se aise hi tanaaw bhare din se gujarna tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 7


Dono hi neend ki aagosh me chale gaye...Yahi wo pal tha jab dono thoda sukoon mehsoos kar rahe the...Iss vakt dono bahut thakaan ki kaaran gehre neend me soo rahe the.

Jab subah ke 7:00 am baja to Priya utth gayi...Usne idhar udhar dekha to Sameer sofe par gehri neend me so raha tha...Picchle raat bhi nahi sone ke kaaran abhi bhi uska neend pura nahi hua tha...Sameer ko aise sote dekh Priya gusse me badbadaati hai.

Priya:- Meri life barbaaad karke kaise chhain se so raha hai...Koi kaise itna gir sakta hai jo dusro ki life ke saath majaak karke apni khushi manaate hai.

Itna kehkar Priya apna mobile on karti hai...Gallery me jaake kuch photos dekhti hai...Apni Maa aur Papa ki photos ko dekhte hue usske chehre me nafrat ki bhaaw aane lagte hai...Jabki Karan aur uska photos dekhkar uski aankhon se aansu girne lagte hai...Usko abhi tak vishwaas nahi tha ki Karan usko iss tarah se chhod sakta hai...Wo to abhi tak yahi maan rahi thi ki Karan usse abhi naaraj hai aur jald hi wo maan jaayega...Mobile me dekhkar Karan ke saath bitaaye pal ko yaad karte hue uski aankhon se aansu aur jyaada girne lagta hai.

Subah ka 9:00 am baj raha tha...Tab jaake Sameer ki neend khulta hai...Wo apne aankhon ko malte hue utthta hai...Saamne jab Priya ko rote hue dekhta hai tab usko fir se apni galti ka ehsaas hota hai...Wo bas Priya se najar hatate hue ceiling ki taraf dekhne lagta hai...Unn dono ke bich koi baatcheet nahi hota hai...Priya ki aankho se aansu gir rahe the to Sameer ki aankho me apni galti ka paschatap najar aa raha tha.

Aise hi dono kuch der me Mrs. Sharma ki bulaane par lunch ke liye kitchen ki taraf nikal jaate hai...Lunch karte samay bhi kitchen me khaamoshi tha...Koi kisi se kuch nahi bol raha tha aur bolne ki himmat bhi nahi tha...Issi tarah Sameer aur Priya apne room me waapas aa jaate hai.

Priya table me pade Sameer ki books uthaakar padhne lagti hai (Sameer aur Priya dono hi MBA ke students the...Issliye subject bhi dono ki same tha)...Priya bas apne ghum ko bhulaane aur time pass ke liye book kholke baithi thi...Fir bhi wo apni aur Sameer ki shaadi waali baat ko yaad karne se nahi rok paati...Udhar Sameer ko bhi samajh me nahi aa raha tha ki kya karna chahiye...Wo bhi Priya ki najar se bachne ke liye youtube me se kuch movies search karke earphone laga kar movie me busy ho jaata hai...Uska bhi dhyaan movie par nahi tha...Baar baar ghadi me 4:00pm ka intejaar kar raha tha taaki wo Mahesh ke saath mile aur usko apni iss haalat ke baare me bataye.

Bahut mushkil ki intejaar ke baad jab 4:00 pm baja to Sameer bina der kiye nikal gaya Mahesh se milne apne bataaye huye jagah par...Traffic ke kuch rukaawat ki baawjood wo apne bataye hue time 5 : 00pm par Park me pahunch gaya...Usne waha dekha ki Mahesh pehle se hi uska intejaar kar raha tha...Mahesh bhi Sameer ko dekh kar jaldi se uske pass jaata hai aur kehta hai.

Mahesh:- Congratulations yaar...Shaadi ki bahut badhaiyan...Tera hi intejaar kar raha tha yaar...Intejaar hi nahi ho raha tha tujhse milne ke liye...Chal uss bench par baithte hai.

Itna keh kar dono bench tak chale jaate hai...Sameer khaamosh tha aur Mahesh uske saath baat kiye jaa raha tha.

Mahesh:- Itni bhi kya jaldi tha yaar...Shaadi ke liye...Jo mujhe bataaye bina shaadi kar liya...Kahi bhabhi ko bhaga ke to nahi laaya.

Mahesh itna kehkar jor jor se hasne lagta hai...Sameer usko gusse se dekhta hai tab wo chup hota hai...Mahesh ko samajh hi nahi aa raha tha ki Sameer itna khaamosh aur gussa kyu hai...Fir bhi wo apna majaak jaari rakhte hue kehta hai.

Mahesh:- Kya hua bhai....Itna gussa kyu ho raha hai....Kahi bhabhi se peet kar to nahi aaya...Yaar ye acchi baat nahi hai shaadi hue ek hi din me bhabhi se peet jaana...(Sameer ki haath ki plastic ko dekhte hue)...Ye plastic me kya hai.

Sameer ko Mahesh ki baat par gussa to bahut aata hai...Lekin wo kuch bolta nahi...Bas apni haath me jo plastic tha usko hataate hueek beer ki bottle nikaalta hai.

Sameer:- Tune kal mujhse party maanga tha na....Ye pakad beer ki bottle...Yahi hai tere liye party.

Sameer ne halke gusse me ye jawab diya...Mahesh ki iss tarah majaak karne se wo pak gaya tha.

Mahesh:- Abe ye kya majaak kar raha hai...Teri shaadi hui hai bhai koi majaak nahi...Party to tujhe mujhe 5 star hotel me dena padega.

Sameer:- Limited time offer hai...Baad me ye bhi nahi milega...Aur abb tu ye mat kehna ki tu beer nahi peeta.

Sameer ne iss tarah se kaha jaise usko baat karne ka man nahi hai.

Mahesh:- Are peeta hu yaar...Lekin sirf parties me yaa fir koi occasion me...Aise road par sharaabi ki tarah nahi.

Sameer:- Majaaak kar raha tha...Ye beer mai apne liye laaya hu.

Mahesh:- Lekin tu to kabhi nahi peeta hai.

Mahesh kuch samajh paata isse pehle hi Sameer ne beer ki bottle open karke paani ki tarah beer ko peena shuru kar diya.

Mahesh:- Kya kar raha hai Sameer tu?Paagal toh nahi ho gaya...Tujhe aadat nahi hai inn sab ki...Tujhe chadh jaayega yaar...Tu to kabhi nahi peeta tha....Fir aaj kyu bewdaa ki tarah pee raha hai.

Mahesh Sameer ko samjha raha tha...Lekin Sameer bina koi baat sune beer ko paani ki tarah pee raha tha...Mahesh samjhaate hue thak gaya aur ek thappad Sameer ke gaal par laga diya...Sameer ki haath se bottle gir jaata hai aur usko hosh aata hai aur rote hue kehta hai..

Sameer:- Mai beer pehle nahi peeta tha...Lekin mai pehle apni najaron mai giraa bhi toh nahi tha.

Mahesh:- Apni hi najaron me gir gaya...Kya keh raha hai...Jara khul ke bata...Aur tu ye paagalo jaisi harkat kyu kar raha hai?

Mahesh ko Sameer ki aisi haalat dekh kar bahut aascharya ho raha tha...Bahut saal ho gaya jab usne Sameer ko dukhi hote hue dekha tha...Usko samajh hi nahi aa raha tha ki kya vajah ho sakta hai hamesha khush rehne waale Sameer ko aise rona pad raha hai.


(Ab next update se flashback shuru hoga)



FLASHBACK AND PRESENT
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 8

Sameer:- Meri haalat aise ho gaya hai ki chhain se jee bhi nahi paa raha hu aur mar bhi nahi paa raha hu....Picchle 1 mahino se jindagi me bahut kuch sehna pad raha hai yaar.....Mujhe nahi pata tha meri ek bhool mujhe aisi din dikhaayega....Majburi me Priya se shaadi karna pada....Maine apne saath saath uski bhi jindagi barbaad kar diya....Priya to pehle se hi mujhse nafrat karti thi abb iss shaadi se to aur bhi nafrat karne lagi hai ..... Mai uska gussa sehan nahi kar paa raha hu.....Lekin majboori hai kuch kar bhi nahi paa raha hu.....Khud ki najaro me gir gaya hu....

Jab Maa aur Papa ko bataya to dono mujhse bahut naraaj ho gaye....Papa to itne jyaada naraaj ho gaye ki unhone mujhe bol diya ki jo maine kiya usse behtar mai mar jaata.....Aur Maa bhi itni naraaj hai ki unhone mujhse ek shabd tak nahi bola.....Bahut toot chuka hu mai yaar andar se....Abb mujhme taakat nahi bachi ki mai inn paristhitiyon ka saamna kar sakoo.....Ab aage kya hoga ye bhi nahi pata.....Sochne par bhi dar lag raha hai .....Ek do baar to socha ki suicide kar loo.....Aise ghut ghut kar jeene se to mar jaana hi behtar hai....Fir agle pal socha ki suicide to darpok log karte hai.....Aur mai apni galti se bachne ke liye apne Maa, Papa aur Priya ko iss haalat me nahi chhod sakta....Tu hi bata kya karu mai.....Naa jee paa raha hu aur na hi mar paa raha hu.... Kabhi kabhi to aankho me aansu aa jaate hai....Lekin sabhi ke saamne ro nahi paata....Khud hi musibat ki gaddha khod liya....

Sameer ne apne dil ki dard Mahesh ke saamne rakh diya.....Uski aankho me aansu aur dil me dard dekh kar Mahesh ko bahut buraa lag raha tha....Usko samajh me nahi aa raha tha ki kya jawab dena chahiye.....Wo to puri baat bhi nahi jaanta tha ki Sameer ki aakhir aisi kya majboori tha jiske liye usse Priya se shaadi karna pada.....Usne Sameer ko samjhaate hue kaha....

Mahesh:- Bhai.....Please aise udaas mat ho....Kuch na kuch raasta nikal hi jaayega.....Yahi vakt hai khud ko majboot bana kar rakhne ki aur mushibaton ki saamna karne ki.....Bhai abb galti tune kiya hai to usse sudhaarna bhi tujhe hi hai....Maine aaj tak jis Sameer ko dekha hai wo Sameer itna kamjor nahi hai yaar....Wo har mushibaton ka saamna kar sakta hai.....Bas yaar tu khud par vishwaas rakh aur jo bhi hua usko bhul jaa aur aage kya karna hai uss par dhyaan de.....

Mahesh ne Sameer ko samjha kar uske dil ko thoda halka kar diya.....Sameer ko bhi lagne laga ki koi hai jo uski baaton ko samajh sakta hai.....Wo abb rona band kar chuka tha lekin fir bhi soch raha tha ki aage kya karna hai.....Kaise khud ko aur Priya ko iss mussibat se nikaale.....

Sameer ki chehre me aayi kuch raahat ki lakeer ko dekh kar Mahesh bhi khush ho jaata hai.....Aur usne socha ki yahi sahi vakt hai Sameer se sach jaane ka....

Mahesh:- Mujhe samajh me nahi aa raha ki tujhse kya galti hua hai.....Jitna mai jaanta hu tu hamesha soch samajhkar faisla leta hai aur tu kisi ke saath galat bhi nahi karta.....To tu kaise koi majburi me fass gaya aur Priya ki jindagi barbaad karne ke liye khud ko jimmedaar maanta hai....Please Sameer mujhe sab kuch bata yaar....Mai sab jaana chahta hu ki tune aakhir itna bada kadam kyu uthaaya....

Mahesh ne Sameer se bataane ke liye request kiya....Sameer soch raha tha ki usko Mahesh ko bataana chahiye ya nahi....Sameer ko aisa shaant dekh Mahesh ne fir se usko request kiya....

Mahesh:- Please yaar bata de.....Mai jaanta hu tune koi galti nahi kiya hoga......Itna vishwaas hai mujhe tujh par....Jarur teri koi majburi rahi hogi....Please bata yaar....Ho sakta hai meai tera kuch help kar paau....

Mahesh ki baat sun kar Sameer ki hontho par ek halka sa muskaan aa gaya aur usne kaha...

Sameer:- Nahi yaar......Tu mera help karna chahta hai lekin nahi kar paayega yaar....Yaar bas tujhe hi nahi mujhe bhi apne upar vishwaas tha ki mai kuch galat kaam nahi kar paaunga.....Lekin aisi galti kar baitha jo mujhe jindagi bhar jhelna hoga....Ha kuch majboori bhi thi lekin mai apni galti ko chupa nahi sakta.....Tu jaana chahta hai na maine aisa kyu kiya....To chal mai tujhe kahaani bataata hu....

FLASHBACK

2 YEARS AGO


Tujhe yaad hai na jab hamne BBA complete karne ke baad maine alag college me admission liya tha.....Mere saath saath Rajesh bhi mera hi college me join kiya tha.....Bas wahi tha jisse mai college me jaanta tha.....Kisi se koi jaan pehchaan nahi tha.....Luckily ham dono same class me the.....Dhire dhire hamaare friends banne lage lekin mai aur Rajesh kuch jyaada hi close the....Ham log same time college aate, canteen me bhi same time jaate the aur ghar bhi saath hi jaate the....Itna jaan le ki teri kami ko Rajesh hi pura karta tha....Kabhi bore nahi hone diya kameene ne....

Aise hi ek din ham subah college saath aa rahe the......Maine jab bike park kiya to mera mobile me ek dost ka call aaya....Maine Rajesh ko bhej diya aur phone me baat karne laga....Phone uski Papa ka tha.....Mai Rajesh ko bulaane laga lekin wo chala gaya aur maine hi call uthaa liya....

Sameer:- Hello Uncle.....Aapne iss vakt call kiya.....Koi kaam hai kya???

Rajesh's Dad:- Ha beta...Darasal baat ye hai ki mujhe Rajesh se kuch baat karni hai....Uska mobile off aa raa raha hai....To tumhaare mobile par call kar liya....Beta kya tum Rajesh se mera baat kara sakte ho???

Sameer:- Ha Uncle.....Aap call ko hold me rakhiye....Mai phone Rajesh ko deta hu....

Iske baad mai daud kar Rajesh ko phone dene chala gaya....Jab parking se nikal kar class ki taraf gaya to dekha Rajesh gate par hi mera wait kar raha tha....Mai gate ke pass pahuncha hi tha ki mai apne speed par control nahi kar paaya aur ek ladki se takra gaya....Mai nichhe gir gaya aur wo ladki bhi mere side me gir gayi.....

Mai Rajesh ko mobile dene ki jaldi me tha iss liye uss ladki ka parwaah na karte huye uttha aur Rajesh ko kaha....

Sameer:- Ye le tera Papa ka phone hai....Baat kar le....

Rajesh ne phone le liya aur side me chala gaya baat karne....Tab tak wo ladki bhi utth chuki thi aur gusse me meri taraf aayi aur mujhe thappad maarne hi waali thi ki maine usska haath rok liya aur kaha.....

Sameer:- Sorry.....Mai jaldbaazi me thaa iss liye aapse takra gaya....Isske liye mai aapse maandi maangta hu.....Lekin mai ye bardaasht nahi kar paaunga ki koi mujhpar haath uthaaye.....

Maine suru ke lines politely kaha aur baaki ke line gusse me....Meri aisi harkat se wo ladki aur bhi gussa ho gayi aur boli....

Ladki:- Ye kya badtameezi hai....Haath chhodo mera....

Maine bhi uska haath chhod diya aur class ki taraf jaane laga.....Lekin uss ladki ki aawaj ne rok diya....

Ladki:- Tumhaare pass aankhe nahi hai kya.....Jo bina dekhe chalte ho aur kissi se bhi takra jaate ho.....

Ye baat uss ladki ne gusse me kaha tha .....Maine bhi thoda gussa me uski baato ka jawaab diya.....

Sameer:- Are yaaar....Tumhaara problem kya hai.....Mai sorry bol chuka hu naa...Abb tum apni bakwaas dialogue maarna chhodo aur mujhe class me jaane do....

Meri baato se uss ladki ka gussa aur bhi badh gaya aur fir wo boli....

Ladki:- Ek to khud galti karta hai aur upar se mujhse hi bahas kar raha hai....Ruk tujhe to mai abhi majaa chakhaati hu.....

Sameer:- Mai abhi padhne aaya hu koi majaa karne nahi.....Issliye majaa chakhaane ki jarurat nahi aur dusri baat mujhse jab baat karna hai to izzat se baat karo .....Iss tarike se koi mujhse baat kare ye mujhe pasand nahi.....Give respect and take respect....

Wo Ladki kuch kehti usse pehle picche se uski dost aa gayi aur uski dost ne usse kaha....

Ladki 2:- Kya kar rahi hai Priya....Aise ladko ke munhh nahi lagte.....Chal tu class me....

Itna keh kar wo dusri Ladki Priya ko class me le gayi....Mujhe uski baaton se gussa aa raha tha lein idhar udhar dekha to kuch students jamaa ho gaye the tamasha dekhne .....Issliye mai kuch nahi bola aur class ki taraf chala gaya.....Rajesh bhi mere pass aaya aur usne mujhse kaha....

Rajesh:- Mai sab kuch dekh chuka hu.....Aur mujhe yakin nahi ho raha Sameer tu kaise koi ladki se iss tarah baat kar sakta hai.....Galti bhi to teri hi thi.....

Sameer:- Maanta hu galti mera tha....Aur mai usko sorry bolne hi waala tha....Lekin wo mujh par haath uthaane lagi aur mujhe bhi gussa aa gaya aur uski baaton ko uske hi tarike se jawaab de diya...

Aur ham dono bhi class me chale gaye.....Issi tarah suruwaat huyi Mera aur Priya ki nafrat ki kahaani.
 
Top