• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,174
38,516
259
प्यार तो था ही नहीं............और नफरत एक भूल से शुरू हुई
लेकिन ये वो भूल नहीं हो सकती.....जिसने इनकी ज़िंदगी बादल दी...............
देखते हैं आगे क्या होता है
अभी मन मे सबसे बड़ा सवाल है की 2 महीने से समीर गायब क्यों था, कहाँ था

बाकी तो वक़्त बताएगा की इनकी ज़िंदगी मे अभी और क्या होना बाकी है
ऐसे ही अपडेट देते रहें
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 9


Uske baad ham dono class me gaye.

Class me mai aur Rajesh saath hi baithe the...Mera mood off ho gaya tha Priya se uss ladayi ke baad...Bahut dino baad kaha suni hua tha mera kisi se...Mood off hone ke baad mai lecture par dhyaan nahi de paa raha tha...Iss baat ko teacher Mr. Khanna ne notice kar liya tha aur apna lecture dena band karke mere pass aa gaye aur kehne lage.

Mr. Khanna:- Hey you! Stand up.

Mr. Khanna ne thoda gussa ke saath kahe the...Mujhe kuch bhi samajh me nahi aaya ki sir ki aise kehne ki picche kya vajah thi.

Sameer:- Yes Sir...Aapne mujhe kyu uthaya...Koi galti huyi kya mujhse?

Mr. Khanna:- Tumhaara dhyaan kaha hai? Mai tabse tum logo ko lecture de raha hu aur tum to kisi aur hi duniya me khoye ho...Padhne ka man nahi hai kya.

Sameer:- Nahi sir aisi baat nahi hai...Actuallly aaj mera mood off ho gaya tha...Issliye concentrate nahi kar paa raha tha.

Mr. Khanna:- Bas tum jaise students ko koi bahana chahiye lecture se bachne ka...Mujhe to ye baat samajh me nahi aa raha ki tum jaise students college aate hi kyu hai jab padhne ka man hi nahi hai...Apne parents ki mehnat ko barbaad karne ke liye tum log college aate ho masti karne ke liye...Kam se kam unki mehnat ki to izzat karo jo tumpar ummeed laga kar baithe hai ki tum padh likh ke bada insaan banoge.

Mr. Khanna to non stop bole jaa rahe the...Aage bhi bahut kuch bolne waale the...Lekin mujhe unki baaton par bahut gussa aaya aur maine unki baat ko rokte hue kaha.

Sameer:- Sir...Please kuch der ke liye chup ho jaayiye aur meri baat bhi suniye...Aap mere baare me galat samajh rahe hai...Mai padhne me accha student hu aur aaj mood thoda off hai issliye concentrate nahi kar paa raha hu.

Mai Sir ko samjhaane ki bahut koshish kar raha tha lekin unhone apne mind me mere liye negative image bana chuke the aur meri baato ko rokte hue kaha.

Mr. Khanna:- Oh...Tum accha student ho...Jara apna BBA ka percentage to bataao...Isse pata chal jaayega ki tum kaisa students ho.

Sir itna keh kar chup ho gaye...Mai kuch bolne hi waala tha ki picche se ek ladki ki aawaj aayi.

Just pass hua hoga aur abb badi badi baat kar raha hai.

Jaise hi maine ye suna mujhe bahut gussa aaya aur jab picche mudke dekha to gussa aur badh gaya...Wo Priya thi...Mai shocked ho gaya usko apne hi class me dekh ke...Wo mere saamne se hi class me gayi thi lekin mai gusse me usse nahi dekh paaya aur uss vakt kuch sochne ki haalat me nahi tha.

Ek to mera mood aaj uski vajah se bigda tha aur sir se bhi bahut baat sun liya tha upar se ye mujhe aur chiddha rahi thi...Gussa to itna aaya ki mai ye bhi bhul gaya ki mai classroom me hu aur bina parwah kiye Priya se gusse se kahaa.

Sameer:- Tumhaara problem kya hai? Mera marks kitna hai isse tumhe kya lena dena? Mai accha hu ya fir bigda hua hu ye tumhaari business nahi hai...Tum apne kaam pe dhyaan do samjhi...Agli baar fir se mere baare me kuch kaha to accha nahi hoga....Aur tum hamaare baaton me apna naak kyu ghused rahi ho...Agar kuch der pehle ki galti ke liye ye sab kar rahi ho to please maaf kardo maine uss vakt galti kiya tha...Abb khush.

Gusse me pata nahi kya kya bol diya maine...Mai to aur kehna chahta tha lekin Sir ki gusse bhari aawaj ne mujhe rok diya.

Mr. Khanna:- Bas...Bahut hua...Tumhe ladki se baat karne ki tameej bhi nahi hai...Kya yahi sanskaar mila hai tumhe ghar se?

Abb tak to mai Sir se politely baat kar raha tha lekin jab sanskaar ki baat inhone kaha to mujhe bhi gussa aa gaya..
.Fir bhi gusse ko dabaate huye bola.

Sameer:- Sir please ye ghar se kaisi sanskaar milli hai iss baat pe mat jaaiye...Fir bhi agar aap jaana hi chahte hai to bata deta hu ki mujhe acche sanskaar mile hai...Issi acchi sanskaar ki vajah se mai abb tak politely aap se baat kar raha hu...Issi acchi sanskaar ki vajah se itna gussa me hone ke baawjood uss ladki se acche se baat kar raha hu...Agar meri jagah koi aur hota to uske moonh se pakka do chaar gaaliyan nikal gaya hota...Sir mai abhi jyaada baat karna nahi chahta...Mood off hai...Kahi mera sabra ka baandh na toot jaaye aur aapko mera baat accha naa lage.

Fir waha par kuch der ke liye sab chup ho jaate hai...Sir aur Priya dono meri harkat ki vajah se gussa the...Iss khaamoshi ko todte hue maine kaha.

Sameer:- Sir aap mera BBA ka percentage jaana chahte the na ...Agar mai aapko bata du to aapko vishwaas nahi hoga issliye please meri admission form me check kijiye aapko pata chal jaayega...Sorry Sir naam bataana to bhul gaya...My name is Sameer Sharma...Iss name ka form dhund lijiyega aapko mera marks pata chal jaayega...Aur Sir mai study me weak nahi hu...Mere Papa mujhe unki hi tarah ek successful doctor banana chahte the aur maine MBBS me free scholarship me apna naam bhi nikaala tha lekin mujhe medical line me koi interest nahi tha iss liye dosto ke saath BBA join kar liya.

Meri baato ne Sir ko aur gussa dilaa diya...Unhone gusse me kaha.

Mr. Khanna:- Teacher se kaise baat karte hai ye tumhe nahi pataa...Aaj college band hone ke baad mujhe office me milna.....Bahut bol rahe ho na abb office me principle sir ke saamne bhi aise hi bolna.

Sameer:- Sir mujhe koi parwaah nahi...Maine jo bhi kiya sahi kiya hai...Sir mai aapse izzat se hi baat kar raha hu...Bas apni aur se kuch safaayi bhi de raha hu...Waise to mai sabhi ka respect karta hu...But self respect bhi koi cheej hoti hai...Aur jab meri galti nahi hota hai aur koi mujhe kuch bolta hai to mai control nahi karta...Abhi bilkul aisa hi condition hai.

Pata nahi mujh me uss vakt itna josh kaha se aa gaya tha...Mujhe to ye bhi nahi pata tha ki mai kaha hu aur kisse baat kar raha hu...Mujhe laga ki mai kisi ko jawaab de raha hu jisne mera insult kiya hai...Agar uss vakt gusse me na hota to shaayad Sir ke saath aise baat nahi karta...Sir to mere aisi agression dekh kar shocked the aur saath me bahut gussa bhi...Wo kuch bolte isse pehle lecture off ho gaya...Wo mujhe ghoorte huye class se nikal gaye.

Jab sir class se nikal gaye to maine chaaro taraf dekha...Sabhi mujhe hi shocked ho kar ghoor rahe the...Jab maine sabhi ki aankho me aankhe daali to unhone apni najare hata li siwa Priya aur ek Ladke ko chhod kar...Priya ka to samajh me aa raha tha ki wo gussa hai...Lekin wo Ladka bhi mujhe gussa se dekh raha tha...Maine ek do baar to ignore kiya lekin fir bhi wo mujhe gusse se ghoore jaa raha tha...Jab mujhe control nahi hua to mai bhi usse gusse se ghoorne laga...Fir bhi wo apni najre nahi hata raha tha...Kuch der me next lecture shuru ho gayi...Maine socha ki iss ladke ko baad me dekh lunga.

Issi tarah lunch break ho gaya...Mr. Khanna ke baad kisi bhi teacher ne mujhse kuch nahi pooncha...Jab Lunch hua to sabhi students lunch ke liye nikal gye Priya uski dost aur uss ladke ko chhod kar...Wo log meri hi taraf aa rahe the.

Priya mere pass aa gayi aur gusse me boli.

Priya:- Tumne sabke saamne mera insult kiya...Mai tumhe nahi chhodungi.

Gussa to mujhe bhi aa raha tha ...Maine bhi uske hi tarike se jawaab diya.

Sameer:- Pehle pakdogi tab chhodogi na...Aur mai tumhe pakadne hi nahi dunga.

Meri baat sun kar Rajesh hasne laga....Mai to gusse me baat kar raha tha lekin usko comedy lag raha tha...Priya to aur bhi jyada gussa ho gayi aur wo kuch kehne hi waali thi ki uski dost ne usko bola.

Ladki:- Chal Priya...Aise ladko se baat karke kuch faaidaa nahi...Kicchad pe patthar fenkegi to wo ham par hi lagegi.

Priya:- Aise kaise chhod du Divya isko...Isne pure class me meri insult kiya hai.

Mujhe Divya ki baaton par pehle se hi gussa aa raha tha...Jaise hi Priya ka bolna khattam ho gaya maine Divya se kaha.

Sameer:- Agar kicchad tum par padega to bhi koi fark nahi padega...Kyuki tum pehle se hi kicchad jaisi ho.

Aaj pata nahi kya ho gaya tha mujhe...Lagatar bahas kiye jaa raha tha...Shaayad jindagi me pehli baar itna gussa aaya tha...Warna aaj tak kisi bhi ladki ke saath koi ladayi nahi kiya tha...Aaj to Priya aur Divya dono ko jawaab de raha tha...Abhi mai yahi soch raha tha ki wo Ladka bhi maidaan par aa gaya aur mujhse kaha.

Ladka:- Tu Ladkiyon ko jawab dekar khud ko kya samajh raha hai...Dam hai to mujhse baat kar.

Wo bhi bahut gusse me tha...Lekin mujhe samajh me nahi aa raha tha ki wo aise overreact kyu kar raha hai...Uska to iss maamle me koi lena dena nahi tha.

Sameer:- To mai kaha picche hat raha hu...Aur tujhse baat karne me koi dam nahi chahiye...Tu to comedian jaisa dikh raha hai aur teri dialogue bhi comedy hi lag raha hai...Saala copy paste.

Maine uska majaak udaate hue kaha...Rajesh hamaari baaton ko majaa lekar hanss raha tha...Udhar Priya aur Divya gusse me mujhe ghoore jaa rahi thi...Ladka ko pata nahi kya hua wo gusse me aage badhkar mujhe thappad maarne laga...Maine uski haath pakad liya.

Ladka:- Mujhe comedian bol raha hai.....Dikhaata hu mai tujhe mai kya cheej hu...Tu karan ko comedian bol raha hai...Mujhe.

Usski baato par mujhe gussa hone ke baawjood hanssi aa gaya aur mai hanste hue bola.

Sameer:- Abe pehle haath to chhuda le aur baad me dikhaana tu kya cheej hai.

Iske baad maine Karan ki haanth ko ulta ghuma diya aur wo dard me chillane laga.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 10


Karan:- Haath chhod mera...Dard ho raha hai.

Lekin mujhe uss par daya nahi aa raha tha....Maine uske haath ko aur ghuma kar aur kaha.

Sameer:- Abb kya hua...Tabhi to bahut badi badi baatein kar raha tha ki tu kya cheej hai...Tu ek darpok aur comedian hai jo baate bahut karta hai lekin kar kuch nahi sakta...Abb teri comedy aur himmat khattam ho gaya ho to hame jaane de...Bahut jor ki bhukh lagi hai aur gusse me mera bhookh aur bhi badh jaata hai.

Itna keh kar mai aur Rajesh canteen ki taraf jaane lage...Lekin wo Karan fir tapak pada...Wo daud kar gate ki taraf aaya aur hamaara raasta rok liya...Mujhe to aascharya ho raha tha ki abb aur kitna maar khaana chahta hai ye ladka.

Sameer:- Dekh aaj mera mood accha nahi hai...Kahi aisa naa ho ki aaj tu mere haatho se acche se peet jaaye...Abhi warning de raha hu.

Lekin Karan ko to meri baat samajh me hi nahi aa raha tha...Mai jaise hi chup hua wo meri taraf badhke fir se thappad maarne laga...Fir maine uski haath pakad liya aur kaha.

Sameer:- Abhi tak to mai kuch nahi kar raha tha...Lekin abb bardasht ke baahar ho raha hai...Tu mujhe kya samajh raha hai ki tu mujhe maarega aur mai tujhe aise hi chhod dunga...Dekh bacche mujhe meri self respect se bahut pyaar hai aur tujh jaisa kutta mujh par haath uthaaye aur mai chup rahu...Aisa soch raha hai...Saaale tujhe tera aukaat dikhaana padega.

Itna keh kar maine uske chehre pe ek thappad laga diya...Sabhi log shocked ho gaye aur mujhe ghoor rahe the...Thappad maarne ke baad maine kaha.

Sameer:- Pehle hi warning diya tha...Aur mai jo bolta hu wo karke dikhaata hu samjha comedian...Abb aur maar khaane ka man hai to aaja...Aaj hi tujhe peet kar tera pet bhar deta hu aur tujhe kabhi maar khaane ka man nahi hoga.

Itna keh kar mai Karan ko gusse se dekhne laga....Wo abb kuch bolne ki haalat me nahi tha...Wo gusse se gaal par haath rakh kar nicche dekh raha tha...Usko kuch na bolta dekh maine gusse se Priya aur Divya ko dekha...Wo dono chup thi aur shaayad thoda dar bhi gayi thi.

Iske baad mai aur Rajesh canteen me chale gaye...Hamare jaane ke baad Priya ne picche se Karan ki kandho par haath rakh kar kaha.

Priya:- Thanks Karan...Tumne mera saath diya lekin kya jarurat tha tumhe aise ladko ke saath fight karne ki...Aise ladko ke moonh nahi lagna chahiye.

Karan ka saara gussa Priya ki baaton se gaayab ho gaya...Aur wo bhi muskuraane ki koshish karte huye bola.

Karan:- Are isme thanks ki kya jarurat hai...Ye to mera farz tha...Mai iss Sameer ko acche se jaanta hu...Paise ki ghamand me apna manmaani karta rehta hai...Dekha naa tumne Sir se kaise baat kar raha tha aur tumse bhi kitna badtameezi kar raha tha...Mai isko nahi chhodunga...Isko sabak sikhaa kar rahunga aur isko iski aukaat bataunga...Dekhna ek din ye khud tumhe aakar sorry bolega...So please dont say thank you.....Ye ek accha insaan hone ka farz hai ki jab koi galat kar raha hai to uska virodh karu.

Karan ne mauke ka faaidaa uthaate hue Priya ko Sameer ke khilaaf bhadka diya aur uski najaro me khud ko accha saabit kar liya.

Priya:- Sach me tum bahut acche ho Karan...Sirf tumne hi mera saath diya...Ye Sameer sacch me badtameez ladka hai isko to sabak sikhaana hi chahiye...And sorry Karan tumhe meri vajah se maar khaani padi.

Karan ko Priya ki maar khaane waali baat bilkul bhi pasand nahi aaya aur usko apna apmaan mehsoos ho raha tha...Fir bhi khud ko sambhaalte hue usne kaha.

Karan:- Maine aapse kaha na ki please mujhe thanks aur sorry mat kahiye...Ye to mera farz tha...Aap iss baat ki tension mat lijiye dekhna ek din mai Sameer ko sabak sikhaa kar hi rahunga.

Priya:- Ok Karan...Abb hum jaate hai lunch ke liye...Bahut time lost ho gaya hai uss Sameer ki vajah se...Baad me fir baat karenge.

Itna keh kar Priya muskuraati huyi canteen ki taraf jaane lagi...Karan usko aisa hansta dekh khush ho gaya aur apna seat par jaakar baith gaya...Khushi me usne aaj lunch bhi nahi kiya.



Canteen me pahunchne ke baad bhi mera gussa kam nahi hua tha....Puri life me pehli baar itna gussa aa raha tha wo bhi uss Karan par....Rajesh ne ham dono ke liye naashta order kar diya...Nashta karte vakt mai utth kar do pepsi ki bottle le aaya....Rajesh ne mujhe jab pepsi laate hue dekha to mujhse bola.

Rajesh:- Tujhe pata hai na mai cold drinks nahi peeta...To fir kyu laaya???

Sameer:- Abe tere liye nahi laaya hu...Dono bottle mere liye hi hai.....Aaj dimaag kharaab kar diya iss Priya aur Karan ne...Thoda refresh hona chahta hu issliye do bottle le aaya...Acche se chill hona hai...Fir baad me Principle sir ke saath interview bhi to hai. :D

Rajesh:- Ek baat pucchu tujhse...Gussa to nahi hoga naa.

Sameer:- Dekh yaar abhi mai bahut gusse me hu...Tu baaton me suspence rakh kar mujhe aur gussa mat dila...Jo bhi punchna hai jaldi se puchh.

Rajesh:- Yaar jab se tere saath dosti kiya hai pehli baar tujhe gussa hote hue dekha hai...Hamesha tu kitna khush rehta hai aur aaj tu itni chhoti baaton ke liye itna gussa ho gaya...Ye baat mujhe samajh me nahi aaya yaar.

Gusse me hone ke baad bhi maine Rajesh ki baat ko thoda mushkuraa kar jawaab diya.

Sameer:- Dekh bhai...Mai badi se badi baat ko bhi ignore kar sakta hu lekin jab baat self respect par aata hai to mai bardaasht nahi kar sakta...Jab Sir mere baare me ulta sidha bol rahe the to bhi mai unse acche se baat kar raha tha...Lekin apni taraf se safaayi bhi de raha tha...Mai unka izzat bhi kar raha tha aur apna self respect ka bhi khayaal rakh raha tha...Abb mai chup chaap unki har baat to nahi sun sakta...Issliye jarurat padne par jawaab bhi de raha tha.

Aur wo Priya mujhe class me sabhi ke saamne beizzat kar rahi thi...Ham dono me hui chhoti si ladaayi ko pure class ke saamne dikhaane ki kya jarurat thi? Aur agar mai chup reh jaata to sabhi mere baare me galat hi sochte...Iss liye usko uske hi tarike se jawaab de diya...Abb wo kabhi bhi aisa karne se pehle dus baar jarur sochegi.

Aur wo Karan usspar to itna gussa aa raha hai ki agar mai abhi college me nahi hota to usko maar maar ke buraa haal kar deta...College me thaa issliye hungama nahi kiya aur upar se aaj principal sir ke pass bhi jaana hai...Mujhe ek baat samajh me nahi aaya ki wo apna naak hamaare bich kyu ghusaa raha tha...Aur mujh par haath bhi uthaa raha tha...Uss ko aaj ek baat to samajh me aa gaya hoga ki mujhse panga lene ka anjaam kya hota hai...Agar aage bhi ye mujhe aise hi pareshaan karta raha to dikha dunga ki Sameer ka gussa kya cheej hai.
..Kutte ko dikha dunga ki mai jaldi gussa to nahi hota lekin agar gussa ho gaya to kya kya kar sakta hu.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,174
38,516
259
full dhamaal macha diya hero ne.......... lecturer se lekar priya ke ummeedwar ashiq tak........sabki respect dho di....apni self respect ke liye ......... vaise sach batau............ me bhi aisa hi hu.................. izzat har kisi ko deta hu............lekin warning bhi.... ki izzat deta hi utarne ke liye hu............... isliye agar izzat na utarwani ho to.......aukaat me rehna :D

ab dekhte hain principal ke sath interview :lol:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
full dhamaal macha diya hero ne.......... lecturer se lekar priya ke ummeedwar ashiq tak........sabki respect dho di....apni self respect ke liye ......... vaise sach batau............ me bhi aisa hi hu.................. izzat har kisi ko deta hu............lekin warning bhi.... ki izzat deta hi utarne ke liye hu............... isliye agar izzat na utarwani ho to.......aukaat me rehna :D

ab dekhte hain principal ke sath interview :lol:
Thanks Kamdev bhai for your support support and review...Uska bhi alag majaa hai :D... Principal ke saath bhi wahi hoga jo abb tak sabhi ke saath hota aaya hai...Update kuch hi der me...Saath bane rahiye bhai.
 
Top