• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 21


Sameer ki iss baat par sabhi shocked ho gaye...Lekin Mr. Sharma kuch pal ke liye chup rahe...Wo kuch soch rahe the...Mr. Sharma ki iss khaamoshi se Sameer ko dar lag raha tha...Har pal uska bechaini aur dar badh hi raha tha ki Mr. Sharma kya jawaab denge...Kuch pal baad Mr. Sharma Priya ko kuch kehte hai.

Mr. Sharma:- Ye decision tum dono ne milkar liya hai yaa fir ye akele Sameer ka faisla hai...Isne mujhe bataya tha ki ye tumhe pasand nahi karta...Aur aise me ho sakta hai abb tumse piccha chudane ke liye isne ye decision liya ho...Agar aisa hai to mujhe bataao aaj Sameer ko mujhse koi nahi bacha sakta.

Mr. Sharma kaafi halke se Priya se baat kar rahe the...Lekin last line unhone Sameer ko gusse se dekh kar kahe the...Sameer Mr. Sharma ka gussa aur naraajgi dekh dar raha tha...Priya kuch bolti isse pehle hi Sameer kehne laga.

Sameer:- Papa...

Sameer ki baat ko bich me hi rok kar Mr. Sharma fir se apni raubdaar awaaj me kehte hai.

Mr. Sharma:- Maine tujhse kuch nahi poocha hai...Maine Priya se sawaal poocha hai to jawaab tu kyu de raha hai.

Mr. Sharma ki aawaj me jo gussa tha usko mehsoos karke Sameer ke pass abb koi himmat nahi bacha tha Mr. Sharma ko jawaab dene ka...Wo chup hi raha.

Mr. Sharma:- (Priya se) Ha abb bataao Sameer ne force to nahi kiya divorce ke liye yaa tum dono ke sehmati se ye divorce ho raha hai.

Mr. Sharma ki aawaj fir halka ho gaya tha...Unke pass to koi bhi kaaran nahi tha Priya se gussa hone ka...Jo bhi galti tha wo Sameer ka tha.

Kuch der ki khaamoshi ke baad Priya kehti hai.

Priya:- Ye divorce ham dono ki marzi se ho raha hai...Maine hi Sameer se ki thi divorce ki baat...Mai Sameer ke saath nahi reh sakti.

Priya ne bhi dheere se kaha lekin uski aawaj me koi dar nahi tha...Wo apna hak ke saath baat kar rahi thi.

Mr. Sharma fir se chup rahe...Ye khaamoshi bahut lambe time tak chalta hai...Sameer ki bechaini aur dar fir se badh raha tha ki Mr. Sharma kya jawaab denge...Kuch pal ki khaamoshi ke baad fir se Sameer himmat jutaa kar kehta hai.

Sameer:- Papa...Aapka kya faislaa hai?

Sameer dar ki vajah se sirf itna hi keh paaya.

Mr. Sharma:- Abb isme mai kya faisla lu...Ye tum dono ki problem hai...Khud solve karo...Aur ye galti karte vakt mujhse pucch ke kiya tha jo abb mai iss me apni baat tujhse kahu.

Mr. Sharma ek baar fir se Sameer ko gusse se ghurte huye apni baat kahte hai...Sameer abb unse najre nahi milaa raha tha...Neeche table me rakha plate ki taraf dekhe jaa raha tha.

Kuch der baad Mr. Sharma apne room me chale jaate hai aur picche picche Mrs. Sharma bhi...Sameer baahar jaata hai to Priya apne kamre me.



Mr. Sharma apne room me aakar bed par lait jaate hai aur kuch sochne lagte hai...Kuch der baad Mrs. Sharma bhi apne room me aa jaati hai...Unke chehre ke picche chupa dard ko Mr. Sharma pehchaan lete hai aur kehte hai.

Mr. Sharma:- Tumhe yahi lag raha hoga na ki mai apne beta ke saath itna rookhapan aur gusse se kyu baat kar raha hu?

Mr. Sharma ki aawaj me kuch der pehle tak gussa aur naarajgi tha ab achanak se dard me badal gaya.

Mrs. Sharma:- Nahi...Mujhe aapki koi bhi baat buraa nahi laga...Aap apni jagah bilkul sahi hai...Mai to ye soch kar pareshaan ho rahi hu ki kaisi musibat aa gayi hai hamaari pariwaar me...2 mahine pehle tak koi problem nahi tha...Ham sabhi khushi khushi reh rahe the...Achanak Sameer ka gaayab hona aur uski galti se puri pariwaar me sirf tension aur pareshaani ka maahaul ban gaya hai...Sameer ki vajah se Priya ki life bhi kharaab ho gayi...Pata nahi kiski najar lag gayi ham sabko...Ek Maa ho kar bhi apne beta ka pareshaani dur nahi kar paa rahi hu...Andar se bahut roti hu lekin usse baat tak nahi kar paa rahi hu.

Mr. Sharma:- Beta hai wo mera bhi...Mujhe bhi uske saath iss tarah baat karna accha nahi lagta...Aaj se pehle kabhi uske saath aise baat nahi kiya...Usko apne beta se badhkar dost jaisa behave karta tha...Kabhi usse koi sikaayat nahi raha...Lekin usne iss baar kya galti kiya hai usko iss baat ka ehsaas hona chahiye...Aur acchi baat ye hai ki wo apne galti ko mehsoos kar raha hai...Usko sudhaarne ki koshish kar raha hai...Dono ne accha kiya jo aapsi sehmati se alag ho rahe hai...Ye decision unko hi lena tha aur unhone le bhi liya...Baat aur bigadne se pehle hi rok rahe hai...Lekin Priya ke liye bura bhi lag raha hai...Bina uski koi galti usko itni badi sazaa mil gaya...Bas uske liye dua hi kar sakta hu ki jaha bhi rahe khus rahe...Isse jyaada kuch kar bhi to nahi sakte...Bas iss baat se khus hu ki ye dono apni galti ko sudhaar kar jindagi mai aage badh rahe hai.

Lekin iss khushi ko abhi Sameer ko dikhaa bhi nahi sakta...Agar abhi usse pyaar se baat karna suru kar du jo galti ka ehsaas usse ho raha hai shaayad wo na ho...Jindagi bhar hamesha uske saath friendly raha abb vakt aa gaya hai thoda strict hone ka...Aur agar Sameer ko abhi maaf kar diya to Priya ki najaro me mai bhi gunehgaar ban jaaunga kyuki Sameer Priya ki sabse bada gunehgaar hai aur aise me mai uska saath dunga to mai bhi gunehgaar ban jaaunga.

Mrs. Sharma:- Baat to thik hai aapka...Lekin samajh nahi aa raha kab ye saari problems solve hoga...Aur kab tak hamaare baccho ko aise ghut ghut kar jeena padega...Thoda dar bhi lag raha hai kahi aapki rookhapan ki vajah se wo kuch galat kadam na uthaa le.

Mr. Sharma:- Bachpann se lekar abb tak ki uska har harkat se vaakif hu...Wo mujhe bahut respect karta hai...Kisi se bhi naaraj ho sakta hai lekin mujhse nahi...Aaj bhi maine uska chehra padh liya tha lunch time me...Wo mujhse naraaj bilkul nahi tha ...Usko apni galti ka ehsaas ho raha tha aur thoda bahut dar bhi raha tha...Mera beta itna kamjor nahi ki wo mujhse itni si baat par naaraj ho jaaye aur pareshaan hokar koi galat kadam uthaaye...Tumse bas itna hi kahunga ki hame iss maamle me kuch nahi karna chahiye...Thoda vakt do baccho ko...Khud problem solve ho jaayegi.

Mr. Sharma ki baaton se Mrs. Sharma ko thoda raahat milta hai...Wo kuch nahi kehti...Thodi der ki iss khaamoshi ko todte hue Mr. Sharma kehte hai.

Mr. Sharma:- Tum please Priya se kabhi kabhi baat kar liya karo jab tak wo yaha rahti hai...Wo bhi akeli pareshaan rehti hogi aur Sameer ne jo kiya uske saath usse to tum andaaza laga hi sakti ho ki kya beet raha hoga Priya par...Shaayad aisa karne se usko thoda accha lage...Itna to ham kar hi sakte hai na.

Mr. Sharma ki iss baat par Mrs. Sharma ha me sar hilaati hai.

Evening at Sameer's Room

Sameer shaam me apne room me pahunch jaata hai...Usne tay kar liya tha ki wo aaj Priya ko saari baatein batayega...Jaise hi usne room me enter kiya...Priya Sameer ko gusse se dekhne lagi....Sameer ko samajh me nahi aa raha tha ki Priya usse aise kyu dekh rahi hai...Wo sochne laga kahi iski vajah lunch time me hui baat to nahi...Wo ye soch hi raha tha ki Priya ne aage badhkar usko jo kaha usse Sameer puri tarah se chaunk gaya.

Priya:- Tumne aaj bhi daaru piya hai naa?
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,157
38,475
259
Priya Sameer ko gusse se dekhne lagi....Sameer ko samajh me nahi aa raha tha ki Priya usse aise kyu dekh rahi hai...Wo sochne laga kahi iski vajah lunch time me hui baat to nahi...Wo ye soch hi raha tha ki Priya ne aage badhkar usko jo kaha usse Sameer puri tarah se chaunk gaya.

Priya:- Tumne aaj bhi daaru piya hai naa?
हा हा हा हा ............इतना कुछ संजीदा होकर सोचने पर भी समीर प्रिया के गुस्से की वजह नहीं जान पाया
और प्रिया टिपिकल बीवी की तरह सवाल करने लगी
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 22


Sameer Priya ki iss sawaal se chaunk gaya...Usne Priya ko jawaab diya.

Sameer:- Kya mai tumhe koi bewada lag raha hu? Jo har vakt bas daaru hi peeta rahega...Maine kal hi pehli aur aakhri baar piya hai.

Priya:- Agar tumne nahi piya to tumhaari aankhein laal kyu hai?

Priya ko Sameer ki baat par abhi bhi yakin nahi ho raha tha...Sameer ki jawaab ke baad hi usne agla sawaal pooch liya.

Sameer:- To tumhaara hisaab se bas daaru pine ke baad aankhein laal hota hai...Waise bhi mai tumse koi bakwass nahi karna chahta...Lunch ke baad bike ride par gaya tha...Speed kareeb 70kmph ka tha...Aur abhi abhi lauta hu to shaayad abb tum ko pata chal gaya hoga ki meri aankh kyu laal ho gaya hai...Ya tumhe aur explanations du.

Sameer ki aawaj se uska frustration ka pata chal raha tha...Ek to wo thak kar aaya tha aur upar se Priya ki sawaal se aur jyaada chhidh gaya tha.

Uske baad dono me koi baat nahi hota...Sameer kuch der sofa par lait ta hai aur utth kar apna kuch jaruri samaan nikaal leta hai room se...Aur sabhi ko pack kar ke room se nikalne hi waala tha ki fir se Priya ki aawaj usko rok deta hai.

Priya:- Kaha jaa rahe ho ye sab lekar?

Priya ko hairaani ho raha tha ki Sameer ye kya kar raha hai.

Sameer:- Dusra room me jaa raha hu...Divorce hone tak wahi rahunga.

Itna keh kar Sameer dusre room me chala jaata hai...Aur room ko manage karke aaram kar hi raha tha ki nicche se dinner ka bulaawa aa jaata hai.

Sabhi dinner karke waapas apne room me aa jaate hai.

Priya apne room me bechain ho gayi thi Sameer se sach jaane ki...Subah se wo bas issi pal ka intejaar kar rahi thi...Lekin abb usko samajh me nahi aa raha tha ki Sameer se kaise pucche...Wo to dusra room me shift ho gaya hai..."Kya Sameer ke room me jaa kar pucchna sahi hoga?" Bas yahi sawaal uske dimaag me aa raha tha...Lekin uska dimaag bhi baar baar yahi jawaab de raha tha ki "Nahi mai nahi jaaungi usse baat karne...Aur uske picche mai kyu jaau...Mera bhi kuch ego hai...Aur jab shaam me aaya tha to kaise rookhepan se baat kar raha tha mujhse...Kuch bhi ho jaaye mai uske pass nahi jaaungi...Agar wo nahi bataayega to kya hua kal Divya se puch lungi." Lekin usko pata nahi chal raha tha ki aaj usko ye sawaal ka jawaab jaane ki itna bechaini kyu ho raha hai...Wo jald se jald saara baat jaan lena chahti thi...Wo issi tarah khud se sawaal karti aur khud hi jawaab deti.

Wo yahi sab soch rahi thi ki uske door par kisi ne knock kiya...Wo soch rahi thi ki iss vakt kaun aa gaya...Lekin jyaada na sochte hue wo jaa kar door kholti hai...Door par Sameer tha... Sameer ka iss vakt room me aana Priya ko thoda ajeeb lagta hai...Priya kuch bolti usse pehle Sameer hi bol deta hai.

Sameer:- Tumhe subah kaha tha na ki raat ko dinner ke baad sab sach bataaunga...To wahi bataane aa gaya.

Priya:- Sab sach hi bataaoge na.

Priya ki iss baat par Sameer ko thoda gussa aata hai aur wo bhi chhidh kar jawaab deta hai.

Sameer:- Mujhe yaad nahi aa raha ki kab maine tumse jhooth bola hai...Waise bhi mujhe koi fark nahi padta ki tumhe meri baat par yakin hoga ya nahi...Mai bas tumse apni majboori aur iss shaadi ki vajah bataane aaya hu...Baaki tumhaari marzi tum yakin karo ya naa karo.

Priya:- Accha thik hai...Abb itna bhi bhaaw mat khaao aur jaldi se bataana suru karo.

Priya ne bhi ussi andaaz me boli jis andaaz me Sameer ne usse baat kiya tha aur saath me uski aawaj me uski bechaini bhi thi puri baat jaane ki.

Iske baad Sameer ek lamba saans leta hai aur bolna suru karta hai.


Ye baatein Sameer Priya ko bataa raha hai...Lekin saari baatein Sameer ko bhi nahi pata...Kuch baatein uski gair maujudgi me bhi hota hai...Iss liye as a third person mai (writer) ye saari baatein batata hu.


FLASHBACK


Sameer Principal sir ki office se nikalne ke baad sidha apne ghar chala jaata hai...Wo aaj jo bhi hua unn sabhi baaton ko fir se yaad kar raha tha...Kaise Priya se uska mulaakat hua... Khanna Sir se bahas, Priya aur Karan se jhagada aur last me Principal sir ki office me lafada...Sameer ko Priya par Karan ke upar bahut gussa aa raha tha...Wo kuch der tak unn dono ke baare me soch raha tha...Apni life me pehli baar kisi par itna gussa aaya tha Sameer ko...Kuch der aise hi unn dono ke baare me sochne ke baad wo ek aur baat sochta hai.

Sameer:- (In his mind) Mai kyu inn dono ke baare me soch raha hu...Aise faltu log ke baare me soch kar mai apna hi time waste kar raha hu...Mujhe inn logo ko ignore karna hoga aur inke baare me kuch nahi sochna chahiye."

Itna sochne ke baad Sameer books aur mobile me busy ho jaata hai...Raat ko dinner ke vakt Sameer Mr. Sharma ko principal office waali saari baat batata hai.

Mr. Sharma:- Koi baat nahi...Tujhe koi tension lene ki jarurat nahi hai...Mai kal tere Principal se baat kar lunga iss baare me...Aur ha tune jo kiya galat nahi kiya...Insaan ko sabse pehle apna self respect ka dhyaan rakhna chahiye uske baad kuch aur.

Sameer:- Thanks Papa...Mujhe yakin tha ki aap meri baat ko samjhenge.

Mr. Sharma:- Aur mujhe bhi yakin hai tujh par ki tu kuch bhi galat nahi kar sakta...Aakhir beta hai tu mera.

Iske baad Sameer aur Mr. Sharma dono ki face me muskaan aata hai aur tabhi dinner serve kar rahi Mrs. Sharma kehti hai.

Mrs. Sharma:- Aapne to isko sar pe chaddha rakha hai...Abb to ye manmaani bhi karne lag gaya hai...Kya jarutrat thi isko apne se bado ke saath iss tarah se baat karne ki...(Sameer se) Mai kuch nahi sunna chahti tu kal principal sir ki office jaayega aur unse maafi maangega.

Mr. Sharma:- Ek hi to beta hai apna...Abb isko sar pe nahi chadhaunga to kisko chadhaaunga...Abhi time hai masti karne ka to karne do...Aur isne keh to diya ki isne Principal sir se iss tarah baat karne ke liye maafi maang chuka hai lekin apni baat galat nahi hai ye bhi kaha...Mai Sameer se sehmat hu.

Sameer:- Thanks again Papa...Fir se mera saath dene ke liye aur Maa se bachaane ke liye...Bas aap hi hai jo hamesha mera saath dete hai.

Sameer ne ye baat majaak me kaha tha...Mrs. Sharma bhi suru me usko jhutta gussa dikhaa kar ghoorti hai aur fir baad me Sameer ki iss harkat par muskuraa deti hai.

Iske baad maahaul ek dam khushi ka maahaul chaa jaata hai aur sabhi khushi ke saath dinner karke apne room me chale jaate hai.

Sameer ka mood badal gaya tha...Jaha college se aane se usko gussa aa raha tha wahi abb Maa aur Papa ki baato se wo ek dam khush ho gaya tha aur sochne lagta hai.

Sameer:- (In his mind) Thank God...Mujhe aisa pyaar karne waale Maa aur Papa dene ke liye...Hamesha meri baato ko samajhte hai aur har baat par saath dete hai...Khud se jyaada bharosha karte hai...Bas bhagwan ek hi request hai aapse mai bhi iss laayak ban jaau ki baad me mai bhi apne Maa aur Papa ka har sapna pura kar saku...Hamesha unko khush rakhu aur hamaaara ye pyaar hamesha badhta hi jaaye kabhi koi problem nahi aaye...I am very lucky and proud to have such a great father and mother."

Sameer yahi sab sochte hue ek chhain ki neend sotaa hai iss baat se anjaan ki kal college me hone waala hangama uska besabri se intejaar kar raha hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
हा हा हा हा ............इतना कुछ संजीदा होकर सोचने पर भी समीर प्रिया के गुस्से की वजह नहीं जान पाया
और प्रिया टिपिकल बीवी की तरह सवाल करने लगी
Thanks Kamdev bhai...Abhi aur bhi updates post kar raha hoon.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 23

Next day


Sameer ready ho kar college ke liye nikal pada bike par...Raaste se wo Rajesh ko bhi pick kar leta hai...Aur dono dost nikal padte hai college ki aur...Jab dono college pahunche aur class ki taraf jaane lage tab ground me wo log jo dekhte hai usko dekh dono ko bahut hairaani hota hai.

Rajesh:- Ye Karan, Priya aur Divya yaha kya kar rahe hai...Aur ye log kaun hai jinse Karan aise gidgidaa raha hai.

Sameer:- Ye log seniors hai aur shaayad ye Karan aur team ka ragging le rahe hai...Chal dekhte hai kya punishment mila hai Karan ko jo ye iss tarah se gidgidaa raha hai.

Rajesh:- Nahi...Seniors se dur rehne me hi bhalayi hai nahi to ye hamaara bhi ragging le sakte hai.

Sameer:- Tu itna darta kyu hai? Mai hu na tere saath...Chal kuch nahi hoga.

Iske baad Sameer Rajesh ki koi baat sune bina hi chala jaata hai Karan ki ragging waali jagah par...Rajesh bhi bina marzi ke Sameer ke picche picche chal deta hai.

Sameer ko dekh kar Karan, Priya aur Divya ko thoda hairaani hota hai ki ye yaha kya kar raha hai...Lekin koi bhi kuch nahi kehta....Sameer sidha seniors se pucchta hai.

Sameer:- Kya punishment mil raha hai iss ladke ko aur ye itna kyu gidgidaa raha hai?

Sameer ekdam bekhauf hokar bola...Uska baat karne ka andaaz dekh seniors ko bhi doubt nahi hota ki wo junior hai...Wo log sochte hai ki Sameer bhi unke hi year ka hai.

Waha ground par 3 seniors maujood the...2 ladka aur 1 ladki...Unn me se 1 Senior jo Karan ka ragging le raha tha wo Sameer ko reply deta hai.

Senior:- Iss ko bola tha ki 5 baar uthak baithak kar...Lekin ye nahi maana, keh raha tha ki sabke saamne beizzati hoga...Ye seniors ki baat nahi maan raha tha aur abb iski punishment ko badha diya 5 se 50 baar tak...Abb ye gidgida raha hai...(Karan ki taraf dekhte hue) Ae ladke sun last time keh raha hu 50 baar uthak baithak kar le warna 100 baar karna padega.

Senior ko na maanta dekh Karan bhi majboor hokar uthak baithak karna shuru kar deta hai...Sameer Karan ko dekh muskuraa raha tha ...Karan to apna kaam me busy ho gaya tha Sameer ki taraf usne dekha hi nahi tha...Lekin Priya sab kuch dekh rahi thi...Karan ki aisi haalat aur Sameer ka muskuraana dekh Priya ko bahut gussa aata hai aur wo kehti hai.

Priya:- Bas...Bahut hua...Utho Karan...Abb koi ragging nahi hoga ...Mai bhi dekhti hu kaise ye ragging lete hai.

Itna keh kar Priya Karan ko uthaa deti hai...Sameer ko to kuch fark nahi pada lekin Seniors ko ye baat hazam nahi hua aur wo gusse me kehte hai.

Senior 1:- Tune accha nahi kiya iss ladke ka task adhura chhudwa kar...Aur tu ragging hone nahi degi...Chal abb tera hi ragging lete hai...(Dusra senior ki taraf dekhte hue) Yaar tu hi bataa isko kya punishment diya jaaye.

Senior 2:- (Kuch der sochne ke baad) Soch raha hu kyu na aaj interesting kiya jaaye...Jo bhi ladka abb iss ground me aayega usko ye ladki kiss karegi.

Senior 2 ki baat se sabhi seniors hasne lagte hai...Lekin uski iss baat se abb Sameer ko bhi gussa aa raha tha...Karan, Priya aur Divya teeno hi shocked the senior ki baat sun kar...Wo kuch bolte usse pehle Sameer kehta hai.

Sameer:- Tameej se baat kar...Tujhe ladki se baat kaise karni chahiye ye baat pata nahi hai kya...Ye tum logo ka kis tarah ka ragging hai...Apni hadd paar mat karo.

Sameer ne bahut gusse me ye baat kaha tha...Isse Seniors ko bhi gussa aa jaata hai aur wo bhi gusse me bolta hai.

Sameer pehle to Priya aur Karan ki haalat ka majaa le raha tha...Lekin jab Seniors ne bardaasht se baahar ki baat kiya tab uska bhi khoon khaul utha...Sameer Priya se gussa to tha lekin kisi ke izzat ke saamne wo apna gussa ko bada nahi maanta tha..

Senior 2:- Tu hai kaun be...Tujhe to aaj tak nahi dekha...Aur tu hamaari maamlo me dakhal andaazi kyu kar raha hai.

Sameer:- Iss saal hi admission liya hai to kaise dekhega...Aur agar mujhe acche se jaana hai to yaa to mujhse dosti kar le yaa fir mujhse panga le...Tab jindagi bhar yaad rakhega mujhe...Aur tera teesra sawaal ka jawaab tu inn logo ke saath dakhal andaazi kar raha hai to maine tere maamlo me bhi dakhal andaazi kiya.

Sameer ki baat sunn kar Seniors shocked aur gussa ho jaate hai...Shocked iss baat ka ki unn logo ne Sameer ko nahi pehchaana ki wo junior hai aur gussa iss baat ka ki wo junior hokar bhi unnse iss tarah se baat kar raha hai.

Senior1:- To tu hamaara junior hai...Himmat aur ghamand bahut hai tujhme jo hamse aisi baatein kar raha hai...Lekin abb teri iss ghamand ko ham tod kar hi rahenge...Tujhe bhi punishment milega tujhe hamaare jutto me naak ragad kar maafi maangna hoga.

Sameer aur seniors ki beech ka maahaul dekh sabhi ko hairaani aur dar lag raha tha...Gusse me seniors unko aur kya kya punishments denge yahi soch kar sab dar rahe the.

Rajesh bhi apne man me soch raha tha.

Rajesh:- Ye Sameer ek din marwaa kar rahega...Hamesha kisi na kisi se panga lete rehta hai...Kal Karan se aur aaj seniors se...Bhagwaan mujhe iss Sameer aur Seniors se please iss baar bacha lo.

Seniors ki baat par Sameer par kuch asar nahi pada wo aur gusse me bola.

Sameer:- Himmat, Ghamand aur gussa to mujhme thus thus kar bhara hai...Aur tera jutta me naak ragadna to dur agar jyaada bola to tujhe mai apne jutto se maarna suru kar dunga.

Abb ye hangamaa dekh bheed bhi jama hone laga tha...Sameer ka baat karne ka andaaj dekh sabhi aascharya me pad gaye the...Seniors apna iss beizzati ko bardaasht nahi kar paate aur aage kehte hai..

Senior 1:- Tune galat insaan se panga liya hai...Mujhse panga lene se pehle ek baar mere baare me jaan liya hota.

Senior 1 bahut gusse me bola aur uska jawaab Sameer ne hanste hue diya.

Sameer:- Sab jaanta hu tumhaare baare me...Jab college join kiya tha tabhi maine intelligent seniors aur gunda type seniors ka sara information nikaal liya tha...Tum log gunda type senior ke category ke ho...Tera naam Pratap hai, tere saath waala ka Ramesh aur tumhaare saath jo madam ji hai inka naam Meera.

Pratap:- Seniors se bolne ka tameej yahi hai tera...Ruk abhi sikhaata hu tujhe...Ye bolkar Pratap aage badhkar Sameer ko thappad maarne ke liye haath uthaata hai lekin Sameer uska haath bich me rok kar kehta hai.

Sameer:- Maine pehle hi kaha tha maine tumhaara saara bio data nikaal liya hai...Tum sab ki age mujh se kam hai kuch months se...Bas 1 class jyaada ho...Aur tujhe respect chahiye...Bol kis baat ke liye respect karu...Naa tu padhne me accha hai naa tu kisi se accha behave karta hai...To kya tu gunda hai aur bigda hua hai iss liye mujhe respect karna chahiye.

Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Pratap dusre haath se Sameer ko ek jordaar thappad laga deta hai.....Waha maahaul me shaanti chhaa jaati hai...Jo log tamasha dekh rahe the unhe abb dar lag raha tha ki aage kya hoga...Sabko bahut badi fighting hone ka aashanka tha.

Sameer Pratap ki taraf gusse se dekhta hai jo Sameer ki taraf dekh kar hass raha tha...Sameer ne bhi achaanak ek jordaar punch Pratap ke face me maar diya...Pal bhar me Pratap ke naak aur hoth se khoon behna suru hota hai aur wo karhaate hue jameen par gir jaata hai...Ye dekh Ramesh Sameer ke saamne aata hai.

Sameer:- Aaja tu bhi maar khaa kar jaana....Abb ye tum gunda log ki formality hai ki jab tak maar nahi khaate tab tak ladna band nahi karoge.

Iske baad Sameer Ramesh ko bhi buri tarah se maarne lagta hai...Kuch pal me Pratap aur Ramesh dono hi jameen me lait kar karhaa rahe the...Waha maujood sabhi log chaunk gaye the iss fighting se...Kisi ne ye expect nahi kiya tha ki ek junior iss tarah se 2 seniors ko maar sakta hai...Tabhi se tamasha dekh rahi Meera kehti hai.

Mira:- Tera ye himmat ki apne seniors ke upar haath uthaaye...Abhi principal ko bolkar tujhe iss college se rusticate karwaati hu.

Itna keh kar Mira principal office chali jaati hai aur Sameer shaant Pratap aur Ramesh ko dekh raha tha...Students ka saara bheed Sameer ko ghur raha tha jaise Sameer ne koi crime kar diya ho.

Kuch der baad Principal aate hai aur Sameer ko dekh shocked ho jaate hai aur kehte hai.

Principal:- Sameer...Ye kya hai...Abb to roj tumhaara complaint aa raha hai...Chhuti ke baad apne dad ke saath mere office me milna.

Itna keh kar Principal chale jaate hai...Lekin unki baat ka Sameer par koi asar nahi padta...Wo kuch bhi parwaah na karte hue class ki taraf jaane lagta hai...Aur picche picche Rajesh, Karan, Priya aur Divya aa rahe the jo Sameer ko aise dekh buri tarah shocked ho rahe the aur sabhi ke dimaag me alag alag khayaal aa raha tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 24


Class me pahunch kar Sameer aur Rajesh apne seats par baith jaate hai...Kuch students jo Sameer ka fight dekh chuke the wo Sameer ko ghure jaa rahe the...Sameer isse bahut irritate ho chuka tha...Wo kuch kehne hi waala tha ki Khanna sir aa gaye...Sir padha rahe the, Sameer padhne par focus kar raha tha aur kuch students padh rahe the baaki ke students Sameer ko ghurne par busy ho gaye the...Sir ko bhi thoda ajeeb lagta hai kuch students ka Sameer ko ghurna lekin wo ignore karke padhaane me busy ho jaate hai.

Jab lecture khatam hota hai aur Sir chale jaate hai tab Sameer utth kar class ke front me aa jaata hai aur kehta hai.

Sameer:- (In irritated voice) I would like to ask some questions to those stupids who are continiously starring at me...Tum logo ka problem kya hai? Aise kyu ghoor rahe ho jaise khaa jaaoge...Ek normal baat ke liye aise kyu react kar rahe ho jaise maine kisi ka murder kar diya hai...2 logo ko hi to maara tha jo wo log deserve karte the iss me kaunsa badi baat ho gayi...Thodi na film mai hero ki tarah 10 logo ko maara hai...Bas 2 ko hi to maara tha...Aur tum log bas mujhe ghoore hi jaa rahe ho...Tum log apne kaam se matlab rakho...Fir se meri taraf ghoorne lage to accha nahi hoga.

Sameer ne bahut hi gusse me ye baat kaha...Sameer ki baat se kuch students ko gussa to aaya lekin koi kuch nahi keh rahe the aur tab jaakar un logo ne Sameer se apna dhyaan hataya...Sameer bhi apne seat par baithne ke liye waapas aa hi raha tha ki Karan ki baat ne usko fir se rok diya.

Karan:- Tujhe ye badi baat nahi lag raha...Tujhe pata bhi hai tune kya kiya hai Seniors ke upar haath uthaaya...Aur wo bhi itni chhoti si baat ke liye...Abb to bhagwaan hi tujhe bachaye seniors aur college administration se?

Karan ka ye baat sunne ke baad Sameer gusse me uske pass gaya aur hanste huye kaha.

Sameer:- Tu na jindagi bhar darpok hi rahega...Tu saala andar se darpok hai ye baat to mai jaan chuka hu lekin baahar se dikha raha hai ki tere pass himmat bahut hai.

(Abb serious hote hue) Chal abb teri baat ka jawaab deta hu...Wo seniors huye to kya hua jo man me aaye wo karenge kya...Tum log bhi jaante ho ragging banned hai lekin ye aaj bhi chal raha hai...Iske jimmedar kaun hai...Tu aur tere jaise darpok students...Tum logo ka dar hi unko badhaawa deta hai ragging ke liye aur tum logo ka unke jaise ghatiya logo ko sir bulaana...Mujhe bhi to bata tu unko Sir kyu bulaa raha tha ...Unhone aisa kaun sa accha aur respectable kaam kiya hai jisse unko Sir kahe...Mai aisa keh raha hu iska ye matlab nahi ki mai seniors ka respect nahi karta....Mai bhi respect karta hu lekin sirf unko jo respect deserve karte hai...Naaki Pratap aur Ramesh jaise ko...Pratap aur Ramesh ko mera laat aur ghusa respect karega...Jo seniors acche hai , jo padhne me acche hai, jinke behavior acche hai, jinse hame kuch sikhna chhiye unn sabki mai bahut respect karta hu aur sirf unhe hi Sir yaa fir respectable naam se bulaata hu.

Aur tera aakhri sawaal ka jawaab ye koi chhoti baat nahi thi mere liye uske haath se thappad khaana...Mujhe apne self respect se bahut pyaar hai...Aur mera self-respect unn kamino ke liye kam ho jaaye ye mai bilkul bardaasht nahi karunga...Tujh jaisa darpok hi kisi se bina koi vajah maar khaane par bhi chhup baithta hai...Agar mere galti ke bina mujhe kisi ne maara to uska khair nahi.

Shaayad sab kuch tu samajh gaya hoga...Aur ha jaate jaate ek baat keh deta hu mujh se kabhi ulajhne ki koshish kabhi mat karna.

Itna kehne ke baad Sameer ek najar gusse se Karan aur Priya par daalta hai aur apni seat ki taraf chal deta hai...Picche se sabhi students taali baja rahe the...Iss baat se Karan aur Priya ka gussa bahut badh jaata hai lekin kuch nahi kar paate.

Sameer apna saara gussa nikaalne ke baad shaant ho gaya...Abb koi usko ghur nahi raha tha...Baaki ke lectures bhi issi tarah aaram se kat jaata hai.

Jab college chhuti hota hai tab Sameer ghar jaa raha tha ki wo apne Papa ko dekh kar chaunk jaata hai aur kehta hai....

Sameer:- Papa...Aap yaha? Koi kaam tha kya?

Mr. Sharma:- Pata nahi...Lekin issi vakt tere principal ne bulaaya hai?Issi liye aa gaya college...Shaayad kal waali baat ke liye bulaaye honge?

Mr. Sharma ki baat sunne ke baad Sameer saari baat samajh jaata hai aur apne Papa se kehta hai.

Sameer:- Ha aur kuch extra baat bhi.

Mr. Sharma:- Extra baat se tera kya matlab...Kya aaj bhi kisi se ladayi kiya hai kya?

Mr. Sharma ne thoda sa hairaani me Sameer se sawaal pucchte hai.

Sameer:- Chaliye abhi principal sir ki office me...Wahi pe aapko sabhi sawaalo ka jawaab mil jaayega.

Mr. Sharma bhi kuch nahi kehte...Wo bhi Sameer ke saath chalte hai Principal office me.

Principal office me pahunchne ke baad Sameer gate par aakar kehta hai.

Sameer:- May we come in Sir?

Principal bhi bahut der se Sameer ka hi intejaar kar rahe tha.

Sameer:- Yes Sameer...Come in...Tumhaare saath tumhaare Papa bhi aaye hai na.

Sameer:- Yes Sir.

Itna keh kar Sameer aur uske Papa andar jaate hai...Mr. Sharma Principal ko dekhne ke baad chaunk jaate hai aur kehte hai.

Mr. Sharma:- Rakesh tu...Aur yahan?

Mr. Sharma ki chaunkne se Principal thoda muskuraakar kehte hai.

Principal:- Ha Sanjay...Mai yaha iss college me principle hu...Bahut time ho gaya tujh se mile huye...Mujhe to laga tha ki kahi tu mujhe bhul to nahi gaya...Lekin tujhe mai yaad hu.

(Mr. Sharma ka pura naam Dr. Sanjay Sharma hai.)

Mr. Sharma:- Kya baat kar raha hai tu...Mai tujhe nahi bhula aur naa hi kisi dost ko...Ulta tu hi out of contact ho gaya tha aur aaj iss roop me yaha mil raha hai.

Principle:- Kuch problems aa gaya jisse mujhe ye town chhodna pada...Mobile bhi chori ho gayi jisme tum logo ka contact tha...Baad me jab yaha aaya to tum log apni life me settle ho gaye the...Tu to bada doctor ban gaya yaar...Socha tum logo ko mai yaad hu bhi yaa nahi...Lekin aaj iss tarah se milenge ye socha nahi tha.

Mr. Sharma:- Tu bhi na...Kabhi nahi badla yaar...Kaise soch liya ki mai apne kisi dost ko bhul sakta hu...(Kuch sochte huye) Chal chhod ye sab baatein baad me karenge...Abhi jis kaam ke liye aaya hu wo kar lete hai...So Mr. Rakesh Mujhe yaha aapke college me kyu bulaaya gaya hai???

Mr. Sharma ne muskuraate huye puccha lekin Principal thoda serious hokar jawaab dete hai.

Principal:- Socha nahi tha yaar...Itne dino baad iss tarah se milenge...Maine tujhe tere beta ki kartut ke baare me bataane ke liye bulaaya hai?

Sameer jo thoda dur khada hokar inki baato ko khus hokar sun raha tha abb Principal ki baato se uska chehre ki rang badalne laga...Usko Principal ki baatein accha nahi laga...Wo kuch bolta isse pehle hi Mr. Sharma kehte hai.

Mr. Sharma:- Kaisa kartut...Kal isne mujhe jo bhi bataya usse to mujhe isse koi problem nahi.

Mr. Sharma bhi abb serious ho gaye aur mudde ki baat karne lage.

Principal:- Pata nahi kal isne kya bataya tujhe lekin baat kal aur aaj dono ki hai...Khaas kar aaj ki...Bas tujhe itna kehna chahta hu ki tera beta galat raaste me jaa raha hai...Apne seniors par haath uthaa liya aur kisi ki baat nahi sunta...Yaha tak ki isne apna teacher aur mera bhi disrespect kiya...Agar aisa hi chalta raha to ye ek din puri tarah se bigad jaayega...Iss liye tujhe abhi vakt rehte iske baare me bata raha hu...Sambhaal le isko...Abhi to ek dost ki haisiyat se ye keh raha hu lekin agar ye fir bhi na maana to Principal ke naate isko rusticate karna padega...College aisi agressive students ko bardaasht nahi kar sakta.

Principal ki baat sunne ke baad Mr. Sharma Sameer ki taraf ghurne lagte hai aur aankho se pucch rahe the ki kya ye sach hai?

Sameer ko iss baar Principal ki baaton se bahut gussa aata hai aur wo bhi gusse me jawaab deta hai.

Sameer:- Mujhe bhi nahi padhna aisi college me...Sir aapko kya ghamand hai apni college ke baare me...Aapko to pata hai ragging banned hai college me...Lekin wo senior ragging le raha hai...Tab kaha jaati hai aapki third class administration jo inn seniors ko punish nahi kar sakta...Maine ladayi ka suruwat nahi kiya unn logo ne hi kiya...Iss liye maine bhi acche se maara aur maine jo kiya bilkul sahi kiya...Self respect hi mere liye sab kuch hai...Aur unn kameeno ki vajah se mai apne self respect kabhi girne nahi dunga...Aur sir aap ne to mere Papa ko bula liya...Kya aapne unke parents ko bulaa kar unhe punish karne ka socha hai...Nahi aur aap kar bhi nahi paayenge...Yaa to aap khud nahi karna chaahte yaa aap nahi kar sakte...Bas new admissions ko hi apne ghatiya rule bana kar pareshaan karo aur seniors ko bilkul free chhod do...Sir rule me transparency hona chahiye jo juniors ke liye hai wo seniors ke liye bhi hona chahiye...Aur himmat hai to ragging rok kar dikhaiye...Tab kisi ko apne college ki rules samjhaaana.

Sir behtar yahi hoga ki aap mujhe college se nikaal dijiye agar aap apne rule ko acche se regulate nahi kar sakte to...Agar mai raha aur kisi senior ne mera ragging lene ki koshish kiya to usko aapke hi office me ghasit kar maarunga.

Mai jyaada baat nahi karna chahta...Mai jaa raha hu...Apna faisla bata dijiye Papa ko mai ghar jaakar pucch lunga ki mujhe iss college me padhna hai yaa nahi.

Itna kehne ke baad Sameer gusse se Principal office se nikal jaata hai aur ghar ki aur bike se chal deta hai...Lekin raaste bhar picchle do dino se uske saath jo ho raha tha bas ussi ke baare me soch raha tha.

Sameer:- (In his mind) Ye do dino se mere saath kya ho raha hai...Pehle to naa hi mera kisi ke saath ladayi hua tha aur naa hi mai kabhi gussa hota tha...Lekin do din se to har kisi ke saath jhagada ho raha hai...Pehle uss Karan, se aur fir seniors se aur abb to Principal se wo bhi papa ke saamne...(Thoda darte hue) Pata nahi Papa shaam ko kya kahenge...Ye jo bhi ho raha hai uss Priya ki vajah se...Ussi ki vajah se aur uske liye mera gussa ki vajah se ye sab ho raha hai...Meri life me manhoos hai wo...Uski entry se life me bahut gadbad hone laga hai.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,157
38,475
259
sameer ka tareeka mujhe pasand aya..... actually mein bhi apne academic time mein aisa hi tha.......... direct admin ko complaint aur agar us par koi karyavahi nahi hui ya santusht nahi to law order enforcement authorities ko complaint............ school college chale ya band ho jaye...... padhna tha mujhe..... certificate ki bheekh ke liye gidgidana nahi..........aur mere father hi nahi 4 chacha bhi aise hi mr sharma ki tarah meri sahi bat par full support karte the

bahut sahi ja rahi hai kahani...............keep it up..............
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
sameer ka tareeka mujhe pasand aya..... actually mein bhi apne academic time mein aisa hi tha.......... direct admin ko complaint aur agar us par koi karyavahi nahi hui ya santusht nahi to law order enforcement authorities ko complaint............ school college chale ya band ho jaye...... padhna tha mujhe..... certificate ki bheekh ke liye gidgidana nahi..........aur mere father hi nahi 4 chacha bhi aise hi mr sharma ki tarah meri sahi bat par full support karte the

bahut sahi ja rahi hai kahani...............keep it up..............
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 
Top