- 5,758
- 13,166
- 189
UPDATE 19
Isske baad Sameer aur Priya me koi baat nahi hota hai...Sameer ko to aaj Priya ki baato se bahut khushi mil raha tha...Usne jo galti kiya tha uske baad to Priya ko alag hone ki baat to kar hi nahi sakta tha...Lekin wahi baat Priya ne usse keh diya...Lekin iss khushi me bhi usko thoda dukh ho raha tha...Priya ki life se khelne ka dukh...Chahe Sameer Priya se jitna bhi nafrat kyu na kare lekin usko ye baat accha nahi lag raha tha ki uski vajah se Priya ki life itna badal gaya hai...Wo apna galti sudhaar bhi nahi sakta tha...Priya ne usko saaf mana kar diya tha Sameer ko abb kuch bhi karne se.
Udhar Priya ko divorce waali faisle se thoda raahat to mila ki abb usko Sameer ke saath nahi rehna padega...Lekin usko abhi bhi bahut dukh ho raha tha apni life ki beete hue pal ko yaad karke...Usko apni Papa se kabhi pyar to mila nahi lekin Maa aur Karan ke pyaar ko yaad karke uski aankhon se aansu gir rahe the...Divya ki baato se usko pata chala ki uski Maa ki koi majboori thi fir bhi Priya apni Maa se naraaj thi...Agar itni hi majboor ho gayi thi to ek baar bata to deti...Lekin bina kuch bataaye apni kasam dedi aur shaadi bina uski marzi ke karwa diya...Iss vajah se wo apni Maa ko maaf nahi kar paa rahi thi.
Karan se mila dhokha uski dil ko bahut chot pahuncha raha tha...Pehle pyaar me mila bewafai bahut dardnaak hota hai...Ye abhi Priya mehsoos kar rahi thi...Na jaane kya kya sapna dekha tha Priya ne Karan ke saath lekin Karan ne uske saare sapno ko pal bhar me tod diya aur usse apna moonh mod liya...Pyaar me andhi ho kar Priya ne jo andha vishwaas kiya tha Karan par abb usse soch kar usko mehsoos ho raha tha ki kya sach me Karan ne uske saath pyaar kiya tha? Lekin jo bhi ho pyaar ek tarfa ho ya do tarfa pyaar na milne par dil ko jo chot milta hai ye to sacche dil se pyaar karne waalo ko hi iska andaaza hota hai...Apne saccha pyaar me mila bewafai ko yaad karte hue Priya andar se bahut ro rahi thi...Aur sabse badi baat wo abb bilkul akeli padd gayi thi...Na hi kisi ko apni dil ka haal bataa sakti thi aur naa hi koi tha jo usko sambhaal sake...Wo rona chahti thi lekin roo bhi nahi paa rahi thi...Sameer ke saamne ro bhi kaise sakti thi...Usse to bas kuch hi dino me do rishte toot gaye the ek rishta maa aur papa se aur ek pyaar ka rishta...Wo bhi bina koi galti kiye.
Kuch der tak to Priya bas dukhi ho kar ye hi sab soch rahi thi...Lekin kuch pal baad usne apne dil ko majboot kar liya aur sochne lagi.
Priya:- (In her mind) Nahi mai inn khokhle rishte ko yaad kar ke roo nahi sakti...Agar aisa karti rahi to mai khud se hi haar jaaungi...Unn logo ne mujhe apne life se nikaal kar fenka hai naa...Abb mujhe apne life me aage badhna hi hoga...Ek din mera kaamyaabi dekh inn logo ko pacchtaawa jarur hoga...Abb shaayad yahi raasta hai mere pass aage badhne ka...Sameer se divorce lene ke baad abroad chali jaaungi aur apne life me aage badhungi...Socha nahi tha ki mujhe mere apne hi mera saath iss tarah chhod denge...Jab apno ne hi saath chhod diya to dusro se kya umeed rakhna...(Ye sochte hue Priya Sameer ki taraf dekhti hai)...Bas ek hi to hai Divya jisko abb mai apna keh sakti hu...Bas wahi hai jisko abhi bhi meri fikar hai...Bas dukh iss baat ka hai ki jab mujhe uski sabse jyaada jarurat tha tab usne bhi mera saath nahi diya...(After some time) Usne mujhe kaha tha ki Sameer ka bhi koi majboori tha mujhse shaadi karne ke liya...Aakhir kya majboori ho sakti hai usko jisse usko mujhse shaadi karna pada...Ek baar usse baat karke dekhti hu...Aakhir kya vajah ho sakti hai.
Ye sab sochne ke baad Priya Sameer ki taraf jaati hai...Sameer abhi khidki ko khol kar baahar ki taraf dekh raha tha...Uske chehre me kabhi khushi ke bhaaw tha to kabhi thoda sa dukhi hone ka...Priya Sameer ke pass pahunch kar kehti hai.
Priya:- Sameer...Mujhe tumse kuch baat karni hai.
Sameer:- Hmm...Bolo...Jo bhi kehna chahti ho.
Priya:- Ek baat poonchna chahti thi ki tum iss divorce ke baad kya karne ki soch rahe ho?
Priya sidha mudde waali baat nahi karna chahti thi...Usse lag raha tha ki kahi Sameer uski baat na taal de.
Sameer:- Abhi uske baare me jyaada socha nahi hai...Pata nahi tab tak kya mood hoga...Lekin itna to soch rakha hai ki pehle apni iss galti ke liye Maa aur Papa se maafi maangunga...Ek job karunga...Aur Shruti se bhi maafi maang kar usko shaadi ke liye propose karunga.
Shruti ki naam sunkar Priya ko bilkul bhi accha nahi laga...Lekin wo iss baat ko ignore karti hai aur aage pucchti hai.
Priya:- Tumne to kaha tha ki tum usse pyaar nahi karte...To fir abb shaadi kyu?
Iss baar Priya ki aawaj me rookhapann ke saath gussa bhi tha.
Sameer:- Wo iss liye kyu ki mai bhale usse pyaar nahi karta lekin wo to mujhse karti hai...Aur mai usska dil bhi nahi todna chahta...Aakhir ek din kisi se shaadi to karna hi hai to usse hi kyu na karlu...Uska dil bhi nahi tootega aur sab kuch accha ho jaayega...Kisi ne kaha hai ki shaadi uss ladki se shaadi karna chahiye jo hamse pyaar karte hai.
Sameer ki iss baat par Priya ko gussa aa jaata hai.
Priya:- Tum me sach me koi feelings hai hi nahi...Aakhir itne din saath rehne ke baad bhi tumhe kaise Shruti se pyaar nahi hua jabki tum jaante ho ki wo tumse bahut pyaar karti hai...Tumhaare pass dil hai bhi yaa nahi...Tumhe to dusro ki feelings ki koi parwaah hi nahi...Jabardasti mujhse shaadi kar liya aur abb Shruti ki bhi feelings ki koi parwaah nahi.
Priya ne Sameer ko gusse me jawaab diya...Sameer ko bhi Priya ki iss baat par gussa aa gaya aur wo bhi bola.
Sameer:- Tum please mere baare me kuch mat bolo...Mai jaisa bhi hu apne aap se bahut khush hu...Haa ye maanta hu ki maine accha nahi kiya tumhaare saath shaadi kar ke...Bas yahi ek galti ko mai galti maanta hu aur bas issi vajah se mai khud hi sharminda mehsoos kar raha hu...Warna mai aapne aapse bahut khush hu aur koi mere baare me jo bhi soche mujhe koi fark nahi padta...Maine tumhe kaha bhi hai ki mai apne galti ko sudhaarne ki kosish jarur karunga...Lekin tumne hi mana kar diya.
Abb point par aata hu...Tum kehte ho ki mujhe dusro ki feelings ki koi parwaah nahi...Mai poochta hu ki dusron ne meri feelings ka kya parwaah kiya hai...Mera age abhi 25 years hai...Iss age tak shaayad sabhi logon ko kisi na kisi se pyaar ho jaata hai...Lekin aaj tak mujhe kisi se pyaar nahi hua...Ye nahi hai ki maine kisi se pyaar karna chaha hi nahi...Jab 19 ya 20 saal ka tha tab mai bhi chahta tha ki mai bhi kisi se pyaar karu ya koi mujhse pyaar kare...Jab bhi kisi ladki ke saath baat karta tha to wo log apna attitude dikhaane lagti thi...Jab koi help chahiye hoti thi tab kuch pyaari pyaari baatein kar ke apna kaam karwa leti thi...Aur kaam ho jaane ke baad mera koi jarurat hi nahi...Tabse soch liya ki mai kisi se pyaar nahi karunga...Mai kisi ka attituse nahi sahunga...Bhaad me jaaye aisa pyaar jisme mujhe ladkiyon ka chakkar lagana pade aur wo mujhe bhaaw tak nahi de...Aakhir meri bhi koi izzat hai...Tab se soch liya ki mai kisi ko pyaar nahi karunga...Jab kisi ko mera parwaah hi nahi to mai kyu kisi ka karu...Tab se kisi bhi ladki ke picche padna chhod diya...Mai chahta tha ki koi mujhse pyaar kare...Meri feelings ko samjhe aur bahut kuch...Lekin aisa koi bhi ladki nahi mili.
Jab MBA ke liye college join kiya to Shruti mili...Usne to mujhe propose kar diya aur kaha ki wo mujhse pyaar karti hai...Lekin mujhe uska pyar bilkul bhi pasand nahi aaya...Usko bhi meri feelings ka koi parwaah nahi...Jis cheej se mujhe nafrat hai bas wahi karti hai...Mujhe disco aur parties bilkul bhi pasand nahi aur wo chahti hai ki mai uske saath weekends par uske saath wahaa jaakar enjoy karu...Wo chahti hai ki mai uske saath date par jaata rahu aur uske saath time spend karta rahu...Mujhe to uski dress selection bhi pasand nahi...Jab bhi uske saath inn problems ke baare me baat karu tab wo ulta mujhse hi jhagada karti hai aur apni hi manmaani...Kabhi bhi meri feelings ko samajhne ki koshish kiya hi nahi usne.
Aakhir mai usse pyaar kyu karu? Jab mujhe ussme kuch pasand hi nahi...Agar wo mujhse pyaar karti hai to iska matlab ye nahi ki mai bhi usse pyaar karu...Mujhe to ye bhi nahi pata ki wo mujhse pyaar karti bhi hai yaa nahi...Lekin hamesha pyaar karne ki dawaa karke pareshaan karti hai...Bas usse dosti todna nahi chahta iss liye usko bardaasht kar raha hu...Aur baat ye bhi hai ki mai kisi aur se pyaar bhi nahi karta...Issliye uska dil bhi nahi todna chahta...Bas ek hi umeed hai ki ek din wo jarur badal jaayegi aur usko bhi mera feelings ka ehsaas hoga...Bas ussi din ka intejaar hai...Jab wo bhi meri feelings samjhegi tab shaayad mujhe bhi usse pyaar hoga...Mai to uske saath shaadi karne ke liye iss liye taiyaar ho gaya tha kyu ki Mere Maa aur Papa chahte the aur mai uska dil bhi nahi todna chahta tha...Aur socha ki jab mai kisi se pyaar nahi karta hu to Shruti se shaadi karne me kya problem hai? Bas sabki khushi ke liye mai shaadi karne ko ready ho gaya.
Abb tumhi bataao mai kaha galat hu...Jab mere dil me uske liye feelings hai hi nahi to kaise uske saath pyaar kar sakta hu...Jabardasti to nahi maan sakta ki mai usse pyaar karta hu...Aur rahi baat tumse shaadi karne ki to ek majboori ki vajah se ye sab karna pada...Mai tumhe ye baat pehle bhi bata chuka hu...Aur ye bhi keh raha hu ki jo bhi tumhaara decision hai mai wahi karunga kyu ki meri vajah se tumhaara life spoil hua hai.
Sameer ne Priya ki sawaalo ka jawab de diya...Priya ko bhi Sameer ki baat sahi laga lekin usko iss baat se koi fark nahi pada...Wo Sameer aur uski feelings ko jaane me interested nahi thi...Abb usko maukaa mil gaya tha Sameer ko uska majboori jaane ka.
Priya:- Tum baar baar apni majboori ki baat keh rahe ho bacchne ke liye...Chalo bata hi do...Kya majboori tha tumhaara?
Priya ki iss baat pe Sameer ko hairaani ho raha tha...Wo soch raha tha ki aaj Priya ko achaanak kya ho gaya jo aaj wo ye baat kar rahi hai...Jab bhi Sameer pehle usko bataana chahta tha tab wo taal deti thi.
Sameer:- Agar tum sunna hi chahti ho to thik hai...Mai tumhe saari baat bataaunga...Lekin abhi nahi raat ko dinner karne ke baad...Abhi bich me koi kaam aa sakta hai aur mai tumhe puri baat nahi bata paaunga...Raat ko aaram se bataaunga.
Sameer itna keh kar chup ho gaya...Priya ke pass bhi abb kehne ke liye koi baat nahi tha...Iss liye wo waapas apni bed par jaati hai...Aur dono ke bicch ek gehri khaamoshi chaa jaati hai...Ye dono kuch nahi bol rahe the...Tabhi room ka door par kisi ka knock hota hai...Sameer door kholta hai to dekhta hai ki Mrs. Sharma khadi thi.
Sameer to kuch bol nahi paa raha tha...Wo kuch bolta usse pehle Mrs. Sharma kehti hai.
Mrs. Sharma:- Sameer tumse milne Shruti aayi hai.
Maa ki moonh se apna naam bahut dino baad sun kar Sameer bahut khush ho jaata hai...Lekin abbhi wo kuch bol nahi paa raha tha...Bas sir jhuka kar itna hi bola.
Sameer:- Thik hai Maa...Abhi jaata hu.
Sameer ki aawaj se uska guilt saaf pata chal raha tha...Aur wo apni Maa se najar churaa kar ground floor par Shruti se milne chala jaata hai...Jab Shruti Sameer ko dekhti hai to bahut khush ho jaati hai aur kehti hai.
Shruti:- Kya abhi bhi tum mujhse naraaj ho?
Shruti ne ye baat bahut dheemi aawaj me poocha jaise sach me usne koi galti kiya ho.
Sameer:- Nahi nahi...Tumne kya kiya hai jo mai tumse naraaj ho jaaunga.
Shruti:- Mujhe laga ki uss din meri aur Meri maa ki vajah se tum kahi naraaj to nahi ho gaye...Aur tumne ek baar bhi mujhse baat nahi kiya.
Sameer:- Nahi...Uss din tum apni jagah bilkul sahi thi...Tumhaari jagah koi aur hota to shaayad wo bhi aisa hi react karta...Aur tum to mujhse pyaar karti ho aur meri dost bhi ho...Achanak shaadi tootne ki vajah se tumhe dukh hua hai ye baat mai samajh sakta hu...Yakin maano mai aisa nahi karna chahta tha lekin kuch majboori ki vajah se aisa karna pada...Aur tumse issliye baat nahi ho paayi kyu ki mai kuch jyaada hi pareshaan ho gaya tha.
Shruti:- Kaisi pareshaani?
Shruti ne achanak se ye pooch diya...Usko bhi lag raha tha ki Sameer aur Priya ki rishta abhi acche se nahi chal raha tha aur uski umeed bhi badh raha tha ki wo Sameer ko abhi bhi paa sakti hai.
Sameer:- Kuch khaas nahi...Baad mai bata dunga tumhe.
Sameer abhi kuch bhi bataane ki haalat me nahi tha...Iss liye usne abhi baat taalne ka socha.
Shruti:- Sameer...Kya mai Priya se baat kar sakti hu? Kuch baat karni hai usse.
Sameer ko Shruti ki baat par hairaani ho raha tha...Wo acche se jaanta tha Priya aur Shruti ka dushmani...Aise me Shruti Priya se kya baat chahti thi yahi soch kar Sameer ko hairaani ho raha tha...Lekin fir bhi wo kehta hai.
Sameer:- Ha thik hai...Wo mere room me hai...Jaakar baat kar lo.
Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Shruti jaldi se chali jaati hai Priya ke pass...Wo jaldi se room me ghus jaati hai...(Door locked nahi tha)...Priya Shruti ko yaha dekh hairaan ho jaati hai aur bas itna hi kehti hai....
Priya:- Tum!!!
Shruti:- Ha...Tujhe kya laga tu mujhse mera Sameer ko cheen legi aur mai chup rahungi...Bas yahi warning dene aayi hu ki Sameer ki jindagi se dur chali jaa warna tera wo haal karungi ki jindagi bhar mujhe yaad rakhegi.