• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
principal me kuchh jyada hi attitude aur ego hai.....................students mein to aisa chalta rehta hai............. college admin unhein decipkine me rakhta hai......
lekin yahan pricipal biased hai..................... mr sharma ko chahiye tha principal ko request karne aur sameer ko darane ki bajay.........principal ko samjha dete ki agar unke college me aise hi administration ragging ko support karega to wo police mein FIR likhwakar college ko mushkilon me daal deinge...aur FIR ke baad media me college ka nam badnam hoga so alag....chahe case me kuchh bhi na ho....................isse principal resticate karne ki dhamki dena bhool jata

anyway........... ye ek story hai isme sabkuchh kisi wajah se kiya jata hai..............

keep it up
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Abb principal aage jyada pareshan nahi karega yaa fir kar paayega...Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 28


Karan Sameer ki baat sunkar bahut dar gaya...Sir ne bhi keh diya tha ki aage ki punishment principal karenge...Usse to aage kya hoga ye soch kar abhi se dar lag raha tha...Kahi principal usko college se nikaal to nahi denge ye dar bhi ab usko sataa raha tha...Apni iss harkat jab puri class ko pata chalega to kitna beizzati hoga ye sab dar ki vajah se uska chehre ki rang ek dam se badal gaya aur abb wo uss pal ko kosne laga jab usne Sameer ki bag me mobile rakhne ki murkhata kiya tha...Sameer ko fasane ki chakkar me khud hi fass gaya Karan.

Sir:- Ha ye thik rahega...CCTV ki help se pata chal jaayega kisne tumhaara mobile chori kiya tha.

Sir ne Karan ki taraf dekh kar kaha to Karan aur bhi dar gaya...Bas himmat jutaa kar itna hi bol paaya.

Karan:- Sir mujhe yaad aa gaya galti se maine apna mobile Sameer ke bag me rakh diya tha.

Karan himmat jutaa kar darte hue bas itna hi bol paaya...Abb sabhi students Karan ko ghurne lagte hai isse Karan aur bhi ghabra jaata hai.

Sir:- What? Ye kya keh rahe ho abb tum? Kuch der pehle tak to confirm ho kar bol rahe the ki kisi ne tumhaara mobile churaya hai...Lekin abb keh rahe ho ki tumne khud hi apna mobile Sameer ki bag me rakha hai...Tumhe itni si baat bhi yaad nahi? Aur tumne sara class ko disturb kar diya.

Sir ki gusse se bhari aawaj se Karan aur bhi jyada dar gaya...Shaayad jindagi me pehli baar itna dar raha tha wo...Bhagwan se bas ek hi dua kar raha tha ki iss baar bachaalo agli baar se aisa galti nahi karunga.

Karan:- Sir mera aur Sameer ka phone same model ka hai...Mujhe laga Sameer ka mobile class me chhut gaya iss liye maine uska mobile uski bag me rakh diya...Aur Sameer ki baat se yaad aaya ki wo to mera mobile hai...Thoda sa misunderstanding ho gaya...Sorry Sir.

Karan ne kuch soch kar ek idea nikaala bachne ka....Sameer ko uski baat thoda ajeeb lag raha tha lekin wo abhi kuch bolta nahi.

Sir:- Tumhaara ye chhota sa misunderstanding ki vajah se dekho kitna time loss ho gaya lectures ki...Dusro par ungli uthaane se pehle khud acche se confirm ho jaao ki galti dusre ne hi kiya hai...This must be your first and last mistake.

Sir ye baat keh kar fir se padhaane me busy ho gaye...Sabhi students dhire dhire lecture ki taraf focus karne lagte hai Karan, Sameer, Priya, Divya, Rajesh aur Shruti ko chhod kar...Karan ko apna beizzati mehsoos ho raha tha aur uss pal ko kose jaa raha tha aur baaki sabhi Karan ki iss harkat se shocked the...Kisi ne nahi socha tha ki karan aisa kar sakta hai.

Kuch der baad lecture khattam ho jaata hai aur Sameer utth kar Karan ke pass jaata hai aur kehta hai.

Sameer:- College chhuti hone ke baad parking me mujhse milna aur bhaag mat jaana...Tujhse kuch baat karni hai.

Itna keh kar Sameer bina Karan ki baat sunne waapas apni jagah par aakar baith jaata hai...Karan bhi khaamosh ho kar Sameer ki baat suna lekin koi jawaab nahi diya.

Aise hi college ki chhuti bhi ho jaata hai...Sameer, Shruti aur Rajesh parking me pahunch kar Karan ka wait karte hai...Kuch der baad Karan bhi sir jhuka kar aata hai...Saath me Priya aur Divya bhi thi.

Jab Karan Sameer ke saamne jaata hai tab Sameer jor jor se hasta hai aur kisi ko iski vajah samajh me nahi aata...Sab Sameer ko dekh rahe the...Kuch der hasne ke baad Sameer kehta hai.

Sameer:- Aise dekho mat...Mai to iss Karan ki aaj ki harkat par hass raha tha...Ye comedian laghbhag 2 months se shaant tha...Mujhe to pehle se hi laga tha ki ye kuch na kuch jaroor karega...Lekin ye nahi socha tha ki ye aisi baccho waali harkat karega...(Karan ki taraf dekhte huye)" Little knowledge is dangerous" ye to tune suna hoga na lekin samajh nahi paaya iska matlab...Jab tujhe dusro ko fasaane ka idea hi nahi hai to karta hi kyu hai ye sab...Pehle acche se sikh lena fir try karna.

Sameer suru me to thoda hass kar baat karta hai lekin jald hi uski hassi ki jagah gussa le leta hai...Karan kuch nahi bol paa raha tha...Galti khud ka tha to bolta bhi kya.

Kuch der ki khaamoshi ko tod kar Sameer fir se kehta hai.

Sameer:- Aur kameene tu Sir se bhi jhooth bol raha tha...Tera aur mera mobile ka same model hai.

Sameer ki iss baat par sabhi fir se hairaan ho jaate hai aur Karan ko ghurne lagte hai.

Sameer:- Chahta to tujhe wahi fasa sakta tha...Aur ye case Principal tak pahunch jaata to wo pakka tujhe college se nikaal dete...Unhe bahut shaukh hai rusticate karne ki...Waise mai apne dushmano par jyaada daya nahi dikhaata lekin tera career kharab ho jaayega ye soch kar last mauka diya hai.

Sameer itna keh kar apne dosto se waha se nikalne ke liye aage badhta hai tabhi kuch soch kar waapas Karan ki taraf jaaa kar kehta hai.

Sameer:- Dear comedian group...Ek baat kehna chahta hu...Abhi tak mai bas tum logo ki action ko defend kar raha hu...Kabhi maine panga ki suruwaat nahi kiya...Lekin har baar band tum logo ki hi bajti hai...Lekin abb tum log hadd paar kar rahe ho...Agar mai attack karu to bach nahi paaoge...Jeena mushkil kar dunga...Yaad rakhna.

Itna keh kar Sameer style se goggle pehan kar waaha se nikal jaata hai...Karan aur Priya usko bas ghurte reh jaate hai...Shruti apne car se nikalti hai...Karan aur Priya bhi gusse me nikal jaate hai...Divya kuch der ke liye wahi khadi rehti hai...Divya ko aisa akela khada dekh Rajesh ko lagta hai yahi sahi mauka hai Divya se baat karne ka...Aur wo Sameer se kehta hai.

Rajesh:- Sameer mai abhi aata hu.

Itna keh kar Rajesh Divya ki taraf jaata hai...Sameer uska bike me baith kar wait kar raha tha aur jab usne Rajesh ko Divya ki taraf jaate dekha tab mushkuraa kar khud se hi badbadata hai.

Sameer:- (badbadate huye) Ye Rajesh bhi na...Pyaar karne ke liye isko dushman gang ki ladki hi mili...Koi baat nahi Divya baaki ke dono se to acchi hi hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 29


Rajesh Divya ke pass pahunch jaata hai aur siddhe mudde ki baat kehta hai.

Rajesh:- Excuse me...Kya mai aap se ek sawaal pucch sakta hu?

Rajesh ki aawaj sun Divya picche mudd jaati hai...Rajesh ko yaha abhi dekhna aur uski baato se Divya ko hairaani ho raha tha.

Divya:- Ha pucchiye.

Hairaani me Divya ne bas itna hi kaha.

Rajesh:- Aapki group ko mai notice kar raha hu...Lekin aap to aapke do dosto se bilkul alag hai...Unki tarah ghamand nahi dikhaati unki tarah kisi se pange nahi leti...Mujhe to ye baat samajh me nahi aa raha ki aap unke dost kaise bani yaa fir wo aapke dost kaise bane?

Rajesh ne apna confusion apne sawaal ke jariye Divya se puch liya.

Divya:- Priya to meri bachpan ki dost hai...Aur aap jaisa soch rahe hai Priya ke baare me wo waisi nahi hai...Bahut hi acchi ladki hai...Aur saath me thoda ghamand aur ego...Koi uska majaak udaaye yaa fir koi usko gussa dilaaye wo uss baat ko ego ke roop me le leti hai...Aur tab tak nahi chhodti jab tak badla nahi le leti...Aapke dost Sameer baar baar uska majaak udaa raha hai...Aur ye baat usko bardaasht nahi ho raha...Abhi tak to usne kuch kiya nahi hai lekin wo chup baithne waalo me se nahi hai...Jab Sameer ko acche se beizzat na karde tab tak uska badla pura nahi hoga...Agar ego aur ghamand ko hataa de to wo bahut hi acchi ladki hai.

Aur Karan ka to mujhe nahi pata...Wo to mujhe bhi bahut ajeeb lagta hai...Aaj tak usse koi baat nahi kiya hai maine usse...Wo to Priya ka dost hai iss liye Priya ka saath rehti hu.

Rajesh:- Oh...To ye baat hai...Udhar Sameer ka gussa aur nafrat dono badhne laga hai Priya aur Karan ke liye...Sameer ke pass ghamand to nahi lekin ego bahut hai...Lagta hai inn dono ke ego ke chakkar me ek din bahut bada ladayi hone waala hai...Sameer to Priya aur Karan ko ignore kar raha hai...Usse ladne ka koi shauk nahi hai...
Ha agar Priya aur Karan kuch karte hai to palatwar jarur karta hai...Aap please Priya ko samjhaiye ki Sameer ko pareshaan na kare...To hi maamla shaant ho sakta hai warna bahut bigad jaayega...Sameer ko to mai bahut baar samjha chuka hu...Lekin wo maanta hi nahi...Agar koi usse bematlab pareshaan kare to wo kisi ka bhi nahi sunta.

Divya:- Same problem hai Priya ke saath...Jab wo koi baat thaan le to kisi ka bhi nahi sunti...Maine bhi usko samjhaaya ki Sameer se dur raho lekin nahi usse to badla chahiye...Isme Karan ka bhi haath hai...Jab pehli baar Sameer aur Priya ka fight hua to wo Karan hi tha jisne Priya ko support kiya aur uss chakkar me maar bhi khaaya...Aur Priya Karan ko ek saccha dost samajh baithi hai aur ussi ki badhaawe me aa kar wo Sameer se badla lena chahti hai.

Rajesh:- To bhagwaan hi bacha sakte hai dono ko...Koi picche nahi hat raha...Ek din baat bahut bigad jaayega iska mujhe abhi se pata chal raha hai...Priya picche hategi nahi aur Sameer bhi maanega nahi...Upar se Shruti bhi usko aur chaddha rahi hai.

Accha chalta hu...Bahut der ho gaya hai.

Itna keh kar Rajesh waapas Sameer ke pass aa gaya...Aur Sameer ki bike par baith gaya.

Sameer:- Itni der se kya kar raha tha?

Sameer ne majaak me puccha.

Rajesh:- Divya se baat karne gaya tha.

Sameer:- Aisa kya baat kar raha tha jo itna der lag gaya.

Sameer hasste huye bola.

Rajesh:- Koi khaas baat nahi yaar...Chal ghar chalte hai.

Rajesh ne chhidhte hue jawaab diya...Pehle hi wo Sameer aur Priya ki vajah se pareshaan tha aur Sameer ki hasskar baat karne se wo chhidh gaya.

Lekin Rajesh ki baat se Sameer par koi fark nahi padha...Wo apna majaak jaari rakhte hue bola.

Sameer:- Oh sorry...Maine bhi kya pucch liya...Abb lovers ke bichh bahut saari baate hoti hai...Abb har baat to bataai nahi jaa sakti...Lekin yaar tujhe dushman group ki hi ladki mili pyaar karne ke liye.

Sameer to majaak me ye sab keh raha tha lekin Rajesh Sameer ki baat se shocked aur gussa dono ho gaya.

Rajesh:- Kya? Mai aur Divya pyaar karte hai...Ye kya bakwaas kar raha hai...Aur ek baat samajh le wo tere dushman hai mere nahi...Abb bakwaas band kar aur ghar chal.

Rajesh ne iss baar bahut gusse me jawaab diya...Pehle hi wo bahut pareshaan tha aur Sameer ka majaak usse sehan nahi ho raha tha.

Sameer ko bhi ehsaas ho gaya ki usne kuch jyaada hi majaak kar diya hai...Rajesh ka gussa dekh usne shaant rehne me hi bhalaayi socha aur nikal gaya apne ghar ke liye.




Sameer aur Rajesh to ghar jaa rahe the lekin wo dono iss baat se puri tarah anjaan the ki koi unke khilaaf badle ki saazish rach rahe the.

Pratap Ramesh ke ghar me aaya tha aur baat karte karte dono Sameer ki baat par aa gaye.

Pratap:- Yaar uss Sameer ne to pura college ke saamne hamaare izzat kharaab kar diya...Abb to juniors bhi hame aankh dikhaane lage hai.

Ramesh:- Ha yaar...Pure college ke saamne ham par haath uthaaya...Aur principal ne bhi kuch nahi kiya...Aakhir hai kaun wo ladka.

Pratap:- Wo iss sahar ke sabse famous Doctor Sanjay Sharma ka beta hai...Uske paas paise ki koi kami nahi...Issi vajah se shaayad Principal unhe nahi nikaal paaya.

Ramesh:- Iss liye itna ucchal raha hai...Hame maarne ke baad to uska himmat aur bhi badh gaya hai...College me celebrity ki tarah behave kar raha hai...Jaldi hi uska ghamand todenge aur bataayenge ki senior se panga lena kitna bhaari padd sakta hai...Aur tabhi college me hamaara izzat waapas badhega.

Pratap:- Paise aut taakat se to ham uska kuch bigaad nahi sakte...Ek plan banana padega jisse ham apna badla le paayenge.

Ramesh:- Lekin kya plan banayenge yaar...Mujhe to kuch samajh me nahi aa raha hai.

Pratap:- Samajh me to mujhe bhi nahi aa raha ham kya karna hai....Kuch sochte hai shaayad kuch idea nikal jaaye.

Ramesh:- Mujhe nahi lagta ham dono koi idea nikaal paayenge uske khilaaf...Abb ek hi raasta najar aa raha hai jab wo koi galti karega yaa fir kamjor padega tab ham uske khilaaf kuch karenge.

Pratap:- Ha ye sahi rahega...Ham uski galti ka intejar karenge...Aur fir usko sabak sikhaayenge...Kabhi na kabhi to kuch galti karega hi wo...Hame ek sher ki tarah kaam karna chahiye...Jo shikaar karne se pehle ek dam shaant rehta hai aur jab mauka milta hai tab wo dahaad kar apne dushmano ka shikaar karte hai.

Pratap aur Ramesh ki aankho me Sameer ke liye gussa aur nafrat tha aur dil me badla lene ka iccha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 30


Aise hi fir se din bitne lage...Sab kuch fir se shaant ho gaya tha...Karan, Pratap aur Ramesh ka Sameer ka badla lene ka iccha chhod kar...Pratap aur Ramesh to ekdam shaant the...Wo kuch bolte to nahi the lekin sahi mauke ka intejaar kar rahe the...Lekin unhe aisa koi mauka nahi mila....Aur dusri taraf Karan to badle ki aag me har pal jal raha tha lekin usse to kuch samajh me hi nahi aa raha tha ki kya kare...Kaise badla le...Agar thodi si bhi galti ho gayi aur Sameer ko pata chal gaya to kya hoga ye baat usse acche se pata tha...Wo bhi ek accha sa plan ki intejaar me tha jo usse kabhi nahi milne wala hai...Aur Priya picchle kuch dino se ho rahi jhagde ko bhul kar sirf apne padhaayi par dhyaan de rahi thi...Sameer se badla lene ka khayaal usne apne dimaag se nikaal diya tha lekin usse kya pata tha ki aane waale dino me uski aur Sameer fir se dushman ban jaayenge...Lekin uski aur Karan ki dosti me koi kami nahi aaya tha...Wo dono abb bhi ek acche dost the.

Iss bich Rajesh aur Divya bhi acche friends ban gaye the...Kabhi kabhi dono college me baat kar lete the aur koshish karte the ki Priya aur Sameer ke bich koi ladaayi na ho...Priya ka Sameer se badla lene ka khayaal apne dimaag se nikaal lene ke baad ye dono kuch pal ke liye kaaamyaab to rahe...Lekin ye tufaan se pehle waale shaanti tha...Pata nahi aane waale tufaan me kitna kuch tabaah hone waala tha aur ye log uss tufaan se nikal bhi paayenge ya nahi.

Aise hi ek din Sameer, Rajesh aur Shruti canteen me baithe the...Tabhi Shruti kehti hai.

Shruti:- Rajesh tumse ek baat kehna tha mujhe?

Shruti ki baat par ek pal ke liye Sameer aur Rajesh dono hi shocked ho gaye...Ye first time tha jab Shruti ne directly Rajesh se baat kiya ho...Wo sirf Sameer se hi baat karti thi.

Rajesh:- Haa kaho.

Shruti:- Mujhe lagta hai tumhe Divya se dosti nahi karni chahiye.

Shruti ne sidha mudde ki baat kiya...Lekin Shruti ki iss baat se Rajesh shocked aur gussa dono ho gaya.

Rajesh:- Aur wo kis liye?

Rajesh ne bhi gusse me jawaab diya.

Shruti:- Simple baat hai...Wo hamaare dushman ki friend hai...Aur tum hamaare dushmano se friendship karo ye accha nahi hai...Kya pata wo tumhaara istemaal kar rahe ho...To samajh gaye na tum usse abb dosti nahi rakhoge..

Shruti ne hukum dete huye kaha jisse Rajesh ki gussa ki koi seema abb nahi raha...Wo bhi gusse me jawaab deta hai.

Rajesh:- Nahi....Mujhe kisi ki salah ki jarurat nahi hai...Aur tum bhi ye baat acche se sun lo mai kisi ke kehne par Divya se friendship nahi todunga...Agar tum dekh nahi sakti to aankhe band karlo, sun nahi sakti to kaan band karlo aur agar bardaast nahi kar sakti to hamse dur chali jaao.

Rajesh ki baat se hi pata chal raha tha ki wo kitna gussa me tha...Lekin ye gussa kaafi nahi tha Shruti ko rokne ke liye.

Shruti:- Agar tum uss ladki se dosti rakhoge hi to thik hai...Tum hamaara group chhod do...Ham nahi chahte ki hamaare group me koi gaddar rahe.

Shruti ki baat sun kar bahut der se shaant raha Sameer bhi chaunk gaya...Wo kuch bolne hi waala tha ki gusse me tilmilaaya Rajesh ne bol diya.

Rajesh:- Group kaun sa group...Mai iss koi group nahi maanta...Mai to bas Sameer ka dost hu naaki tujh jaise chipku ladki ka...Mujhe tujhse koi matlab nahi...Mai to bas Sameer se baat karta hu...Agar isse tujhe koi problem hai to mujse koi parwah nahi...Mujhe jo accha lagega wo karunga...Aur ek baat sunle mai Divya aur Sameer kisi se bhi apna dosti nahi todunga chaahe tu jitna bhi jor laga le.

Rajesh ki iss baat se Shruti ko bahut gussa aaya aur wo apna insult bhi mehsoos kar rahi thi...Abb wo Rajesh ko chhod Sameer se kehti hai.

Shruti:- Sameer tum chup kyu ho? Dekho ye kab se bakwaas kiye jaa raha hai aur tum ho ki sabkuch chup ho kar sun rahe ho.

Shruti ko laga ki Sameer uski baat sunega lekin Sameer ne usse jo kaha wo Shruti umeed nahi kar rahi thi.

Sameer:- Mai kuch nahi bolne waala...Tum dono ki problem hai...Khud solve kar lo...Mai kisi ki baato me dakhal andaazi nahi karta...Aur waise bhi Rajesh sahi hai...Wo Divya ka friend hai to kya problem hua...Karan aur Priya ka to nahi hai na...Aur maan lo Divya bhi hamaare dushman hai to bhi mujhe kuch problem nahi...Mai dushmano se darta nahi unka saamna karta hu...Tum aur Rajesh dono mera friend ho...Aur tum dono ke fight me mai nahi kisi ka saath dunga naa hi kisi ko kuch kahunga...Apna matter khud solve karo.

Sameer ki baat se Rajesh bahut khus hota hai to Shruti ko bahut gussa aata hai...Rajesh ko lag raha tha ki usse sach me ek saccha dost mil gaya hai to Shruti apne insult bardaast nahi kar paa rahi thi.

Kuch time ke liye koi kuch nahi bolta...Kisi ke pass bolne ke liye kuch bacha hi nahi tha...Issi tarah kuch der baad lunch break bhi khatam ho jaata hai...Sameer aur Rajesh utth kar class ki taraf chalte hai lekin Shruti bas gusse se usko picche se ghurti rahi...Uski aankhein gusse se ekdam laal ho gaye the...Bas vakt ko hi pata tha Shruti ka ye gussa kya tufaan laane waale hai jisse sabhi ki life me bahut asar padne waala hai aur yahi Sameer ko bhool karne par majboor kar dega.

Abb wo bhi utth kar class ki taraf jaane hi waali thi ki picche se ek ladki ki aawaj ne usse rok diya.

Ladki:- Shruti...Itna gussa kyu hai yaar?

Ladki ne Shruti ki laal aankhein aur uski chehre ko dekh kar puccha.

Shruti:- Kuch nahi Neha...Bas chhoti si baat hai.

(Note:- Ye wahi Neha hai jiske baare me Update 5 me likha tha...Neha Shruti ka dost hai.)
 

lone_hunterr

Titanus Ghidorah
3,848
5,456
159
Great updates bhai...:iambest:
Bhai ek suggestion h mere hisab se flash back jyada updates tak continue nhi rahna chaiye. 1-2 updates ke flash back ke baad ek chota sa portion present ka bhi hona chaiye iss se present ki storyline se connection nhi bigadta h.
It's just a suggestion about how I like. But this story has already been written so may be you can implement this suggestion in your future stories based on your wish.

This story is going superb and I am waiting for more updates...:yippi::yippi:
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,174
38,517
259
mujhe to ab shruti par bhi shak ho raha hai............. karan aur shruti.......... ye dono kisi ke bhi sath wafadar nahi.... sirf possesive hain.... apne benefit ke liye
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 31


Neha:- Ye koi chhoti baat nahi ho sakta...Jitna mai tujhe jaanti hu tu jaldi gussa nahi hoti lekin jab bhi tujhe gussa aata hai wo bahut hi khatarnaak hota hai...Aur abb tera chehra hi bata raha hai ki tu kitna gussa hai? Abb mujhse chupaana band kar aur jaldi bata baat kya hai?

Shruti:- Sach kaha tune...Bahut gussa aa raha hai mujhe...Abhi ye Rajesh ne mujhe kitna kuch sunaaya aur ye Sameer ussi ka side le raha tha...Rajesh par hi nahi mujhe ye Karan, Priya aur Divya sabhi par gussa aa raha hai...Dekhna ek din inn sab ko accha sabak sikhaaungi.

Neha:- Aur Sameer ko?

Shruti:- Sameer se mai kyu gussa karu...Wo to mera dost hai...Ye baaki ke log jo Sameer ke picche hai unse mai gussa hu...Sabse jyada Priya se.

Neha:- Sameer sirf tera dost hai.

Neha ne alag andaaz se kaha jisse sun kar Shruti ko thoda gussa aa gaya.

Shruti:- Kya matlab hai tera? Sameer sirf mera dost hai...Ha baaki ke dosto se accha lagta hai...Uske saath baat karna, time spend karna accha lagta hai...Koi usko pareshaan kare yaa fir koi Rajesh ke jaisa chamcha banta fire ye mujhe accha nahi lagta...Aur tu jo soch rahi hai na aisa bilkul bhi nahi hai...Aur ha aage se aisa bakwas mat karna.

Shruti ki baat par Neha thoda muskuraakar kehti hai.

Neha:- Shaayad tu apni feeling se anjaan hai...Tune abb iss baare me baat karne se mana kar diya hai to mai bhi nahi karungi...Lekin bahut jald tujhe ehsaas ho jaayega ki Sameer bas tera dost nahi usse bhi badhkar hai...Aur wo teri baato se, harkat se pata chal raha hai...Abb ye baatein chhod aur abb tu class me jaa...Time ho gaya hai.

Iske baad Shruti class me chali jaati hai aur Neha ke dimaag me ek idea aata hai Shruti ki help karne ka...Aur uska pehli target me Priya thi.


Issi tarah se din bitne lage...Sameer ka Karan, Priya aur Divya se koi baat nahi hota tha...Karan ki baat abb Divya se kabhi kabhi ho jaata tha...Rajesh aur Shruti ek dusre se baat karna band kar chuke the.



Aise hi ek din canteen se aane ke baad Sameer Rajesh aur Shruti ke saath college ke park me baitha tha...Wo dono kuch baat kar hi rahe the ki Sameer ke picche se Priya aati hai aur usko apni taraf ghuma kar ek jordaar thappad Sameer ki gaalon me laga deti hai.

Sameer ko ek pal ke liye to kuch bhi samajh me nahi aaya ki kya hua...Kuch pal baad usko hosh aaya aur pata chala ki Priya ne usse thappad maara hai...Sameer ki aankh gussa se ek dam laal ho gaya...Jindagi me pehli baar Sameer ko aisa gussa aaya tha...Koi Sameer ko maare ye Sameer se bardaasht nahi hota tha aur shaayad hi Sameer ne apne Maa aur Papa ko chhod kar kisi se maar khaaya ho...Aur aise me ek ladki jisse wo nafrat karta hai aur bina uski galti usse thappad maarti hai...Ye baat Sameer se bilkul bhi bardaasht nahi hua.

Jab Sameer ne apni aankhein utha kar Priya ki taraf dekha to usne dekha ki Priya ki aankho me aansu the...Ek pal ke liye to Sameer confused ho gaya ki kya maamla hai ye sab...Ek baar chaaro taraf Sameer ne apni najar daudaya to dekha ki park me maujood sabhi log usse hi ghoor rahe hai...Sameer ko aaj apna beizzati mehsoos ho raha tha...Usne socha ki khinch ke ek thappad maare Priya ko par isse pehle wo ek baar baat kya hai wo jaana chahta tha.

Sameer:- Kyu maara mujhe thappad?

Sameer gusse me bas itna hi keh paaya...Sameer ki aawaj aur uski aankho se hi uska gussa ka pata chal raha tha...Koi aur hota Priya ki jagah to wo dar jaata lekin Priya ki aankho me aansu tha...Usko thoda sa bhi dar nahi lag raha tha.

Priya ko jawaab na deta dekh Sameer ek baar fir gusse me wahi andaaz se bola.

Sameer:- Abb bataayegi bhi ki mujhe kyu maara?

Sameer ka gussa dekh koi bolne ka himmat nahi kar raha tha...Shruti aur Rajesh to bas Sameer ko hi dekh rahe the...Priya ka jawaab na milne se Sameer gussa me aur fraustrated ho gaya.

Wo fir se bolne ke liye munh kholne hi waala tha ki Priya ne kuch photos Sameer ki taraf badha diya.

Sameer ne jaise hi photo dekha wo ek dam se shocked ho gaya...Kuch pal ke liye shaant ho gaya...Sameer ko shaant dekh Shruti aur Rajesh bhi Sameer ke pass aa gaye aur uske haath se photo lekar dekhne lage...Photo dekh kar wo dono shocked ho gaye...Dono me se kisi ko bhi vishwaas nahi ho raha tha ki ye sach hai.

Photo me Sameer aur Priya dono ek smile ke saath ek dusre ki aankho me dekh rahe hai...Photos dekh kar to koi bhi ye bata sakta hai ki dono lovers hai yaa fir inn dono ka chakkar chal raha hai.

Abb Sameer ko samajh me aaya ki Priya ne Sameer ko kyu thappad maara...Rajesh aur Shruti Sameer aur Priya ko ghur kar dekh rahe the...Shruti ko to samajh me nahi aa raha tha ki kya bole...Wo to bas Sameer ko gusse se khaa jaane waali najar se dekh rahi thi.

Kuch der tak shaant rehne ke baad Sameer ne Priya se kaha.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Great updates bhai...:iambest:
Bhai ek suggestion h mere hisab se flash back jyada updates tak continue nhi rahna chaiye. 1-2 updates ke flash back ke baad ek chota sa portion present ka bhi hona chaiye iss se present ki storyline se connection nhi bigadta h.
It's just a suggestion about how I like. But this story has already been written so may be you can implement this suggestion in your future stories based on your wish.

This story is going superb and I am waiting for more updates...:yippi::yippi:
Thanks Lone Hunterr bhai for your support and suggestions...Iss story me to flashback ke bich present situation jyada nahi hai...Sirf 1 yaa 2 baar...Iske baad ki stories Kasam aur Khwahishein mein present aur flashback ko combine karke likha hai...Aur abhi ek update post kar diya hai...Ek raat mein post karunga...Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
mujhe to ab shruti par bhi shak ho raha hai............. karan aur shruti.......... ye dono kisi ke bhi sath wafadar nahi.... sirf possesive hain.... apne benefit ke liye
Thanks Kamdev bhai for your support and review...Shruti kaisi hai ye aage ki updates me pata chal jaayega...Abhi ek update post kar diya hai...Raat ko ek aur update post karunga...Saath bane rahiye bhai.
 
Last edited:
Top