• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

xforum

Welcome to xforum

Click anywhere to continue browsing...

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Sir, aaj update aayega kya??
Please make them long like starting updates....
Waiting....
Haan bhai....Aaj update aayega...3 updates post karne ka soch raha hun.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
Really amazing story its superb yar
Thank you champ bhai for this
Continue reading
Welcome The Survivor bhai on the story...Pehla update aapko pasand aaya ye jaan kar bahut accha laga...Ummeed hai aage ki story bhi aapko pasand aayega....Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
All updates are superb really amazing story maine sabhi par li.
Feelings ko apne bahut ache se dikhaya hai aur sabse achi Baat hero ka character bahut damodar hai
Really great story
Pls flashback jaldi khatm kare
Thank you so much champ bhi for welcome
Thanks Survivor bhai for your support and review...Flashback abhi thoda chalega...Story pehle hi completed hai iss vajah se edit nahi kar sakta...Lekin story ka jyadatar portion flashback ke baad ka hai...Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 33


Principal ye sunn kar bahut buri tarah se chaunk gaye...Unhe vishwash hi nahi ho raha tha ki Neha aisa kar sakti hai...Ek najar chaunkte hue unhone Neha par daala to dekha Neha bhi bahut buri tarah se dar gayi thi...Neha ka ye dar dekh Principal ko yakin ho gaya ki Sameer sach keh raha hai...Aas paas me sabhi students shaant to the lekin Principal aur Neha ko ghur rahe the...Principal ko shaayad itni jyada sharmindagi jindagi me kabhi mehsoos nahi hua tha...Kuch der yunhi sir jhukaane ke baad wo gusse me bole.

Principal:- Neha...Kya Sameer sach keh raha hai? Tumne hi kiya hai aisi ghatiya harkat?

Principal ki gusse se bhari aawaj sunn kar Neha buri tarah se dar gayi...Abb wo kuch bolne ki haalat me nahi thi aur wo ye bhi jaanti thi ki abb wo jhutth bhi nahi bol sakti thi...Bas haan me darte huye sir hilaa diya.

Ye dekh Principal ka gussa saatwe aasmaan me pahunch gaya...Lekin wo kuch nahi bole...Kuch pal ke liye park me ek khaamoshi chaa gaya...Aur iss khaamoshi ko todte hue Sameer bola.

Sameer:- Sir to kya socha aapne punishment ke baare me...Kya aap isse Miss Nisha ko pehli galti samajh kar maaf kar denge yaa fir koi punishment denge.

Sameer ki aawaj me thoda vyang tha aur sabhi students ki najar ek baar fir Principal par tik gaya...
Sabhi utsukh the ye jaane ke liye ki Principal koi punishment dete hai ya nahi Neha ko...Neha bas sir jhukaye khadi thi...Abb usse ehsaas ho raha tha ki usne kya galti kiya hai...Wo apne Dad se najar tak nahi mila paa rahi thi aur usse dar lag raha tha ki abb Principal kya kahenge.

Sameer ki baat sun kar Principal ko laga ki kisi ne garam pighalta hua seesha unke kaan me daal diya ho...Wo ek baar Neha ko gussa se ghur kar kehte hai.

Principal:- Mai tumhe isse tumhari pehli aur aakhiri galti samajh kar tumhe 1 week ke liye suspend karta hu aur agar dusri baar tumhaara complaint aaya to college se rusticate kar dunga.

Neha to kuch bol nahi paa rahi thi...Wo bas apna aur apne Papa ki insult par ro rahi thi...Principal apne baat kehne ke baad ghur kar ek najar Sameer par daalte hai aur jaane lagte hai.

Lekin picche se aa rahi Sameer ki aawaj unhe rok deta hai.

Sameer:- Excuse me Sir...Aap mujhe aise ghur kyu rahe hai jaise saari galti mera ho...Aapki beti ne jo kiya mere saath uske baad itna to hak hai mera sir shaayad isse bhi jyada hai ki aapko complaint karu...Bas mujhe pata hai ki Neha aapki beti hai...Naa hi isse kabhi baat kiya, dosti kiya yaa fir koi lafda kiya...Lekin bewajah issne mera izzat ke saath khilwaad karne ki koshish kiya...Mera aur Priya ka photo sab ko baanta hai isne...Mai pucch sakta hu issne aisa kyu kiya....

(Neha ki taraf dekhte hue) To Miss Neha kya mai aapse pucch sakta hu ki aapko mujhse kya problem hai jo aapne aisa kiya...Kya laga aapko ki aap apne iss ghatiya plan me success ho jaayengi? Lekin aapko nahi pata aapne Sameer se panga liya hai...Aur Sameer aisa insaan hai jisko fasana aap jaisi brain less insaan ki bas ki baat nahi hai...Koi accha sa plan karti...Ye baccho jaisa plan se mera kuch nahi hone waala...Aur ek baat sunn lijiye aaj se mere saath kabhi ulajhne ki koshish mat karna warna aapke Papa bhi aapko nahi baccha paayenge...Mai aapko ye nahi pucchunga ki aapne ye kyu kiya...Lekin mai bas yahi chaahta hu ki aap dobaara ye galti naa kare.....Agar karengi to dekh lena Sameer counter attack me kya karta hai.

(Priya ki taraf dekhte huye) Tum to bahut darpok ladki ho...Itna kuch ho gaya tumhaare saath lekin ek shabd nahi bol rahi ho...Agar iska plan success hota to pakka tumhaari izzat ka waat lag jaata...Mai to jaise taise sambhal kar pata laga hi leta ki kisne ye kiya hai aur acche se sabak sikhaata...Tumhaare saath isne ye sab kiya aur tum chup ho...Apne hak ke liye ek aawaj bhi nahi nikaala...Agar tumhaari jagah mai hota naa to Principal sir ko majboor kar deta aisi giri hui ladki ko rusticate karne ke liye.

(Neha ki taraf fir se) Aise ghur kya rahi hai? Tu sach me giri hui ladki hi hai...Ek ladki ho kar dusri ladki ke izzat ke saath khelti hai...Abhi teri jo beizzat ho raha hai na wo to Priya ki izzat ke saamne bahut kam hai...Agli baar galti se bhi mujhse uljhi na to tera Baap bhi nahi bacha sakta tujhe.


Itna keh kar Sameer chup ho gaya....Aakhiri ke kuch lines bahut hi gusse me bola tha Sameer ne...Sabhi students shocked ho gaye the Sameer ka aisa roop dekh kar aur Principal ke saamne aisa himmat karke bolta dekh...Principal bhi ye sab bardaasht nahi kar paaye aur gusse se cheekh kar bole.

Principal:- Sameer.

Principal aur bhi bolna chaahte the lekin Sameer uski baat ko bich me hi kaat kar bola.

Sameer:- Sir aap itna chilla kyu rahe hai? Maine kya galat bola please ye bataane ki koshish karenge.

Principal kuch nahi bol paaye...Aakhir kya galti dikhaate Sameer ki.

Sameer:- Sir aapko apne Papa ki dost aur Principal samajh ke respect kiya lekin aap usse digest nahi kar paaye...Har baar meri galti nikaalne ki koshish karte rahe iss baar ki tarah...Taaki aap mujhe college se nikaal sake...Jaanta hu aaj aapki bahut beizzati hua hai aur maine ye jaanbujh kar kiya...Uski vajah aap jaante hai...Jab mai aapke office se nikla tha tab akele me aapne Papa ki kitna insult kiya hai...Ye baat mai nahi bhula hu...Aap to dost ke naam pe kalank ho jo dusro ki baat ko apna ego ke roop me lekar apne dost ko bhi nahi chhoda...Aap to mujhse itna gussa ho gaye ki mujhse badla lene ke liye kisi bhi hadd tak girr sakte hai...Hamesha aapne dusro ki kami nikaalne ki koshish kiya hai na to ek baar aap apni beti ko hi dekh lijiye...Aur Sir aap se request hai ki meri galti dekhne se pehle aap apni beti me ek baar jhaank kar dekhiye.

Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Principal kuch bol nahi paa rahe the...Principal ko kuch na bolta dekh Sameer fir se bola.

Sameer:- Sir abb baat karne se koi matlab nahi...Umeed hai aapko meri baat samajh me aa gaya hoga...Abb aap jaa sakte hai...Maine apne Papa ka badla le liya aur aapka ego tod diya...Ummeed hai abb aap mujhe be vajah pareshaan nahi karenge aur jab meri galti hoga tab hi mujhe college se nikalenge.

Sameer ki baat sunne ke baad Principal waha par ek pal ke liye bhi nahi ruke...Waha se sidha apne office nikal gaye.

Neha bhi aankh ponchte hue apni class ki taraf nikal gayi.

Baaki ke students bhi free ka entertainment dekhne ke baaad dhire dhire waha se nikal gaye.

Abb park me Sameer, Shruti, Rajesh, Karan, Priya aur Divya hi baaki the...Shruti Sameer se kuch kehne hi wali thi ki Sameer utth kar Priya ki taraf gaya aur gusse se Priya ko bola.

Sameer:- Mam mai aapko bhi last warning deta hu....Bina koi proof mujh par koi ilzaam mat lagaana aur haath toh uthaana hi mat...Aaj jo bhi hua usse aaram se baat kar sakti thi na to tamasha karne ki kya jaroorat tha? Maine bahut baar kaha hai ki mujhe tum logo se koi matlab nahi hai...Tum log apna kaam karo aur mujhe apna karne do...Lagta hai tum dono ko mujh se ladayi kiye bina chhain nahi milta...To mai tumhe bata du tum log aag se khel rahe ho aur kisi din ye aag bhadak gaya to tum dono ko jala dega...Mai to ye sochta tha ki tum dono ko ignore karne me hi bhalayi hai lekin abb lagta hai mujhe tum dono ka saamna karna chahiye...Agli baar kuch saazish kiya mere khilaaf to dekh lena mai kya karta hu.

(Karan ki taraf dekh kar) Tu mujh par haath utha raha tha...Luck accha tha tera ki mujhe touch nahi kiya warna tera dono hi haath tod kar tujhe de deta...Aur ek baat bata naa hi tum dono ke paas taakat hai aur naa hi dimaag jisse mujhse panga le sako...Kya sochte ho tum dono tum dono galti karte rahoge aur mai tumhe chhod dunga...Agli baar karke dikhaana koi galti tab tumhe pata chalega Sameer se panga lene kitni badi murkhata hai...Abb jaao tum dono yaha se.

Karan aur Priya bhi Sameer ka gussa dekh kar dar gaye the aur bina kuch bole dono chale gaye apni class ki taraf...Divya bhi ek najar Rajesh ko dekh chali gayi.

Abb park mai sirf Sameer, Rajesh aur Shruti thhe...Sameer dono se kehta hai.

Sameer:- Saala aaj kitna manhoos din hai...Dimaag kharaaab ho gaya aaj mera...Har koi mujhse panga le raha hai.

Sameer frustrated ho kar bola.

Rajesh:- Ha yaar...Aaj ka din accha nahi tha...Lekin yaar Principal se tune acche se baat nahi kiya.

Rajesh ki baat ko kaat kar Sameer bola.

Sameer:- Nahi...Maine jo bhi kiya sahi kiya...Life me pehli baar Papa ka itna insult hota dekha hai...Wo bhi uss Principal ki vajah se...Abb uska akal thikaane par aa jaayega aur hame pareshaan nahi karega.

Sameer ne bas itna hi kaha tha ki lunch khatam hone ka bell baj jaata hai.

Sameer:- Chalo abb class me.....Abb baat karne ka bilkul bhi mood nahi hai.

Iske baad teeno class ki taraf jaate hai...Shruti kuch bol nahi rahi thi...Uske dimaag me bas yahi sawaal aa raha tha ki "Aakhir Neha ne aisa kiya kyu?"

PRESENT

Priya:- Sameer abhi mujhe bahut neend aa rahi hai...Please baaki ki baat mujhe kal bataana...Abhi sone do.

Sameer:- Ok thik hai.

Sameer itna keh kar apne room me aa kar soo gaya...Lekin usse kya pata tha ki kal usse fir se Principal aur Neha ka saamna karna padega aur fir se apni bhool ki usko ehsaas hone waala hai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 34


Agli subah Sameer utth kar jab niche hall me gaya to hall me aaye mehmano ko dekh shocked ho gaya.

Niche Principal aur unki beti Neha aaye thhe...Sameer ko dekhte hi Principal ki chehre pe ek muskaan aa gaya...Sameer unko ignore karta hua aas paas dekhne laga...Principal ke saath Sameer ki Maa aur Papa baithe hue the...Wo ek dam se khaamosh thhe...Kuch nahi bol rahe thhe...Apni bete ki galti me bolte bhi kya...
Thoda sharminda mehsoos kar rahe thhe...Priya bhi thodi dur par chup baithi thi.

Sameer ne khud ko mentally prepare kiya Principal ki sawaalo ka jawaab dene ka...Jab Sameer sabhi ke paas aa gaya tab Principal usse muskuraate hue pucchte hai.

Principal:- Aao Sameer...(Sofa ki taraf ishaara karte hue) Baitho yaha par...(Sameer bhi baith jaata hai) Aur bataao kya haal hai tumhaara?

Sameer:- Thik hu sir...Aur aap bayaaiye kaise hai aap aur kaise aana hua?

Sameer ki baato se hi pata chal raha tha ki wo baat karne ki mood me nahi tha...Na chaahte hue bhi wo baat kar raha tha.

Principal:- Mai to bahut jyaada thik hu...Kuch din pehle jab tumhaari shaadi ki breaking news mila tab se bahut hi jyaada khus hu...Aur hona bhi chahiye aakhir hamaare college ki batch topper ki shaadi jo hai...Tumne to shaadi me bulaaya bhi nahi...Any way Congratulations!!!

Principal ki baato se pata chal raha tha ki wo kitna khus tha...Sameer se baat karne me aaj unhe kitna majaa aa raha hai.

Sameer:- Sir haalat hi kuch aisa ho gaya tha ki shaadi achanak se ho gaya...Warna aap ko kaise bhul sakta tha...Aap ko khaas mehmaan ki tarah bulaata...Khair chhodiye inn baato ko...Jo beet gaya abb usse baat karne se kya faaidaa...And thanks for your wishes.

Sameer ki har ek shabd me uska gussa tha...Sabhi Sameer ko aise baat karte dekh shocked the...Ab Principal ko bhi gussa aa raha tha Sameer ka iss tarah se baat karne se.

Principal:- Lagta hai abhi tak tumhaara ghamand nahi gaya...Tumhaari hi iss ghamand ki vajah se aaj tumhaara ye haal hai aur tumne iss bechaari Priya ki jindagi bhi barbaad kar diya...Abb sharminda ho kar maafi maangne ki jagah abhi bhi tum apna attitude nahi badal rahe ho...Aur to aur bado se baat karne ki tameej nahi hai...Sanjay (Sameer ke Papa) tune ye kaisa sanskaar.

Principal ne bas itna hi kaha tha ki Sameer unki baat ko bich me kaaat kar kehta hai.

Sameer:- Sir please aap Papa se sanskaar ki baat mat kijiye...Pehle khud dekh lijiye aapne kya sanskaar diya hai apni beti ko...Aur sir aap tameej ki baat kar rahe thhe na...Sir mai sabko respect karta hu chaahe ho bade ho ya chhote lekin wo mera respect ke laayak ho...Aur sir aap jo mera attitude aur ghamand bol rahe hai na wo bas aapko aisa lagta hai...Aur aap ko kuch bhi lage isse mujhe koi fark nahi padta...Aapko jo sochna hai sochiye.

Aur Sir maanta hu maine galti kiya hai Priya ki jindagi se khilwaad karke...But I am proud of myself...Mujhe khud par garv hai ki maine aur barbaadi hone se bacha liya...Agar maine Priya se usse shaadi nahi kiya hota to Priya ki life aur barbaad ho sakta tha...Aakhiri ki kuch pal me khud ki ghamand aur ego ko side me rakh kar khud ko sharminda karke ye decision liya aur badi galti hone se bacha liya.

Aapki tarah nahi hu Sir jo aaj tak apne ego ki vajah se mere chhote galti ka bhi maja le rahe hai...Lekin bahut jald aapka ye majaa nirasha me badalne wala hai.....Mai bahut jald apni galti sudhar lunga aur baat pehle ki tarah normal ho jaayega.

Sameer ne iss baar kaafi gusse me bola tha...Mr. and Mrs. Sharma ko bhi samajh me nahi aa raha tha Sameer ki iss gusse par kya react kare...Wo log chup hi rahe...Principal ke pass abb kuch bolne ke liye bacha hi nahi tha...Wo to soch kar aaye thhe ki Sameer ko aaj wo bahut insult karenge...Lekin Sameer itna bhi toota nahi tha ki kisi ko khud ke upar haawi hone de.

Neha:- Tum khud ko samajhte kya ho Sameer? Itna bada galti karne ke baad bhi tum apna galti nahi maan rahe ho...Upar se Papa par bhi chilla rahe ho...Besharmi ki bhi kuch hadd hota hai..

Sameer:- To abb tu bhi bol rahi hai...Besharmi ki baat tu mujh se na kare to hi accha hai...Bhul gayi jab tune besharmi ki hadd paar karte hue mera aur Priya ka photo edit kiya tha...Chal chhod jaane de uss baat ko.

Aur ha mai sirf unke saamne tej aawaj me nahi bolta jiska mai gunehgaar hu...Priya aur apne Maa aur Papa se unchi aawaj me nahi bolta...Aur koi bich me aa kar mujhe chillaye to mai bhi same reaction deta hu...Mere saath jaisa treat karoge mai bhi tumhaare saath waisa hi treat karunga...Tit for tat.

Principal aur Neha to gusse me paagal ho rahe the Sameer ka aisa beizzati karne se...Abb Neha ke paas aakhiri hathiyar baaki tha aur usne Sameer ke saamne uska bhi istemaal kar liya.

Neha:- To tum Shruti ki gunehgaar nahi ho? Uska pyaar todne ka gunaah kiya hai tumne...Aakhiri mauke me aa kar uske saath shaadi na karna kya ye gunaah nahi hai...Dhokha diya hai Shruti ko tumne...Hai kya tumhaara jawaab iss sawaal par.

Neha ki iss sawaal me uska confidence tha ki usne Sameer ko uska galti ka ehsaas dila diya hai...Sameer bhi iss baat me soch me padd gaya...Lekin kuch pal baad Sameer ne bhi Neha ka sawaal ka jawaab diya.

Sameer:- Lekin maine Shruti se pyaar nahi kiya hai...Mai to usse bas iss liye shaadi kar raha tha kyuki sabhi chaahte the ki ye shaadi ho...Mujhe bhi jyada problem nahi tha...Lekin agar ye shaadi ho jaata to mai galti kar deta Priya ki life barbaad karne ka...Badi galti hone se rokne ke liye choti galti ka sahara liya...Aur bahut jald hamara divorce hone wala hai...Uske baad Shruti ki marji.

Lekin mujhe aisa kyu lagta hai ki mera galti ke picche tera bhi koi haath hai...Agar mera shak sahi nikla to samajh jaana.

Sameer ne shak bhari najar se Neha ko dekha to Neha andar se bahut dar gayi lekin baahar se kuch nahi dikhaa rahi thi.

Sameer ka aaj itne din ka gussa Principal aur Neha par futaa.....Wo chahta to nahi tha aise bolne ka...Lekin Principal aur Neha ne usse majbur kar diya aisa bolne par...Koi Sameer ki self respect par baar kare ye Sameer ko manjur nahi tha...Wo apne parents ke saamne ye bolna nahi chaahta tha lekin bahut din se daba hua gussa nikal hi gaya...Abb iss baat par afsos karne se kuch faaidaa nahi tha.

Abb Sameer ko yaha rehna accha nahi lag raha tha...Wo apne Maa aur Papa se kehta hai.

Sameer:- Inki acche se khaatirdaari kijiye...(Principal ko dekhte hue)...Athithi devo bhawa.

Sameer ki iss baat par Mr. and Mrs. Sharma fir kuch nahi bolte hai...Mr. Sharma to soch rahe the ki Principal ke jaane ke baad acche se Sameer ki khabar lene ki...Filhaal chup rehna hi accha tha.

Sameer ek najar Priya ki taraf dekhte hue.

Sameer:- Chalo Priya...Aage ki baat batata hu.

Iske baad Sameer aur Priya dono upar room ki taraf jaate hai...Mr. Sharma, Mrs. Sharma aur Principal Sameer ko ghur rahe the to Neha Priya ko.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,166
189
UPDATE 35


Sameer Priya ko lekar apne room me gaya...Kuch der tak to koi bhi baat nahi hua dono me...Sameer gussa shaant karne ke liye ek bottle paani ek hi baar me pee gaya...Aur kuch der chup baithne ke baad Sameer ka gussa shaant hua....Priya abb tak Sameer se kuch nahi boli thi...Wo jaanti thi ki Sameer ko gusse me bulaane ki natija kya hota hai...Jab Priya ko laga ki abb Sameer normal hua hai tab wo Sameer se kehti hai.

Priya:- Aaj Sir se iss tarah baat karna jaruri tha kya? Wo tumhaare Sir hone ke saath saath tumhaare ghar ke mehmaan bhi the...Lekin tum to gusse me aakar bina kuch samjhe kuch bhi bolte chale gaye...Ghar aaye mehmaan ki koi iss tarah se beizzati karta hai kya? Aur wo bhi apne hi parents ke saamne.

Sameer:- Wo mere mehmaan se pehle mere guru hai...Aur mai apne har guru ko bahut izzat karta hu...Kya tumne kabhi mujhe college me kisi teacher se badtameezi se baat karte hue dekha hai? Khanna sir aur Principal sir ko chhod kar...Khanna sir se to mai maafi maang chuka hu aur unn se college ki suruwaati dino me hi bahas hua hai...Baad me maine unse maafi maang liya aur unse kabhi badtameezi se baat nahi kiya.

Principal sir ki baat kare to mujhe shak hota hai ki sach me wo guru hone ke laayak hai...Guru to apne shisyon ki badi se badi galti maaf kar dete hai...Lekin unhone kya kiya jab meri galti hi nahi tha tab bhi mujhe nahi samjha...Bina galti ke mujhe apne office me bulaa kar mera galti dikhaane ki koshish kiya...
Bahut badtameezi se baat karte rahe....Kisi bhi insaan ka sehne ki ek hadd hota hai aur jab wo hadd se jyada bol gaye to maine thoda sa virodh kiya...Usse unka ego hurt hogaya...Aur uske baad to wo mere picche haath dho kar padd gaye...Jab bhi mauka milta meri izzat utarne ki ek mauka nahi chhodte...Iss chakkar me ek din Papa ko bhi apne office me bulaa kar insult kiya...Wo baat mujhse bardasht nahi hua...Koi kaise apne Papa ke saath aisi harkat bardaasht kar sakta hai? T
abhi se soch liya mai unko ek din bata ke rahunga sahi insult kise kehte hai...Jyaada mehnat bhi nahi karna pada...Mauka apne aap mere haath aa gaya...Neha ki uss harkat ki vajah se.

Mujhe laga Sir ko abb sabak mil gaya hoga...Aur wo apni beti ko kuch samjhayenge aur apni galti samjhenge lekin nahi wo mere iss baat ko nahi bhule aur badle ka intejaar kiya...Aur wahi mauka aaj fir mila unhe...Maine sunaa to nahi lekin yakin ke saath keh sakta hu jarur unhone Papa ka fir se insult kiya hoga yaha aa kar...Tum kehti ho ki ghar me aaye mehmaan se aise pesh nahi aana chaahiye to kya koi bhi ghar me aake hame jo man me aaya wo suna de to ham bardaasht kar lenge?

Unhe laga hoga yahi sahi mauka hai mujhe insult karne ka...Lekin wo nahi jaante ki aaj bhi mai wo Sameer hu jo pehle hua karta tha...Bas tumhaare saamne jyada nahi bolta aur iss ka matlab ye nahi ki mai sabhi ke saamne chup rahunga...Aaj bhi iit (brick) ka jawaab patthar se dena aata hai mujhe.

Aur yakin hai mujhe ki unko jara sa bhi apni izzat ka khayal hai to aaj ke baad wo mujh se nahi uljhenge...Bas issi baat ka ehsaas dilaana tha mujhe unhe..

Sameer ne itna keh kar ek lamba saans liya...Priya bas Sameer ko dekh rahi thi...Wo kuch bol nahi rahi thi...Shaayad wo bhi Sameer ki iss baat se sehmat thi...Iss baare me abb wo baat karke apna mood aur kharaab nahi karna chaahti thi...
Kuch pal shaant rehne ke baaad usske dimaag me kuch aaya aur wo boli.

Priya:- Sameer tumhe nahi lagta ki tumhe apne gussa par control karna chahiye...Aaj gusse me tumne Principal sir se iss tarah se baa
t kiya aur tumhari gusse ki vajah se hi mera ye haal ho gaya hai.

Sameer:- Bilkul nahi karna chahiye...Gussa par control bilkul bhi nahi karunga...Aur maine ye sab tumse hi to sikha hai...Tumse milne se pehle kabhi kisi pe gussa, nafrat aur badla wali feelings nahi aaya...Aur tumhaara jo ye haal hai manta hu ki sabse badi galti meri hai....Lekin tumhari bhi galti hai jo tum nahi maanogi.

Priya:- Maine kya galti kiya hai? Jo bhi kiya tumne kiya aur abb mujh par ilzam
laga rahe ho.

Priya thoda shocked aur thoda gussa ho kar boli.

Sameer:- Kaha tha na nahi maa
nogi? Shaadi ke time sab galti mera hai ye mai maanta hu...Lekin usse pehle tumhaari galti thi...Kitni baar warn kiya tha maine tumhe ki meri life me dakhal andaazi mat karo...Lekin tumhe aur Karan ko iska parwaah hi kaha tha...Tumhe laga ki mai koi comedian hu aur joke kar raha hu...Meri baat ko nahi maana tum logo ne...Aur issi vajah se mai ye sab karne par majboor ho gaya...Agar ek baar maan leti aur mujhse dur rehti to shaayad aaj hame ye din na dekhna padta.

Sameer ki iss baat par Priya ne koi jawaab nahi diya...Priya abhi bhi Sameer ki uss galti ki vajah se naraaj thi aur bahut samay tak uska narajgi khatm nahi hone wala tha.

Sameer:- Abb ye baatein chhodo...Abb aage ki baat batata hu.


FLASHBACK



Neha ki uss harkat ke baad sabhi ka mood kharab ho gaya tha...College chhuti hone ke baad bina ek pal gawaaye sabhi apne ghar laut gaye.


Iss ghatna ki vajah se agar kisi pe jyada asar pada tha to wo Priya, Sameer aur Shruti the.

Sameer aur Priya Neha ka iss tarah se unn dono ka naam uchaalne ki vajah se wo dono Neha par gussa ho gaye the.

Wahi dusri taraf Shruti shocked thi Neha ki iss harkat ki vajah se...Neha ne to kaha tha ki Neha uska help karegi lekin iss tarah se help karegi ye usne socha nahi tha...Shruti ko Neha par bahut gussa aa raha tha....Wo soch rahi thi ki Neha ne aakhir aisa kiya kyu? Kuch pal yunhi pareshaan rehne ke baad wo Neha ko phone lagaati hai.

Dusri taraf se Neha bhi phone utha kar dheemi aawaj me kehti hai.

Neha:- Hello.

Shruti:- Hello ki bacchi...Abb itna dhire se kyu bol rahi hai itna hangama karne ke baad...Tu pura paagal hai...Kisne kaha tha tujhe ye sab karne ke liye?

Shruti ne bahut gusse ke saath kaha.

Neha:- Tune hi to kaha tha...Priya, Rajesh, Karan aur Divya ko majaa chakhana hai.

Neha ne Shruti ko uski baat yaad dilaate hue kaha.

Shruti:- Kaha tha ki unse mai niptungi...Tujhe nahi kaha tha ye paagalpan karne ke liye?

Shruti ka gussa kam hone ka naam nahi le raha tha.

Neha:- Yaar tu to aise gusse se baat mat kar...Ghar aane ke baad Papa bhi naraaj hai aur unhone mujhse baat tak nahi kiya hai.

Shruti:- To tune kaunsa aisa kaam kar diya hai ki tere Papa ko tujh par garv ho...Wo to tera kismat achha hai jo tujhe aise baap mila warna koi aur hota to tera khair nahi tha...Aur tu ye bata ki tujhe ye bakwas idea mila kaha se...Baccho wali idea se Sameer ka saamna karne chali thi...Abb bhugat.

Neha:- Plan to accha tha...Face ko cover karke gayi thi Priya ko photo dene...Lekin galti ho gayi ki class se baahar nikalte hi cover hata liya aur usne dekh liya.

Neha ne pachtaate hue Shruti se kaha...Iske baad kuch der tak Shruti Neha ko daantti hai...Aur dobara se aisi koi kaam na karne ki warning deti hai.

Kuch der baad.

Shruti:- Waise concept tera buraa nahi hai...Istemaal acche se karna hoga...Aur wo mai karungi...Sameer ko Priya aur Karan ke khilaaf bhadkaa kar galatfehmi paidaa kar dungi aur Priya aur Karan ko bhi...Iss tarah se unn me ladaayi ho jaayega...Aur mujhe puraa yakin hai Priya aur Karan Sameer ke saamne tik nahi paayenge...Aur last me Sameer aur Rajesh ke bich bhi...Maine tujhe bata to diya lekin tu try mat karna...Warna fir banaya hua khel bigad jaayega...And thanks for this concept.

Itna keh kar Shruti call rakh deti hai aur uske chehre par apne hone wali jeet ka mushkaan tha...Shruti khud anjaan thi ki uski iss idea se baad me kitna bada tufaaan aane waala hai Sameer aur Priya ki life me aur saath hi saath usko bhi afsos hoga ki usne aisa kyu kiya.
 

kamdev99008

FoX - Federation of Xossipians
10,159
38,475
259
bahut badhia ............... updates

principal wastav me ek no. ka kameena hai...... lekin ye sanjay sharma ka samajh nahi aya ki us kameene ki dosti ke samne self respect bhool kyon jate hain...........

to past me neha ke flop idea se hi shruti ne ye game plan banaya tha..... jo aj priya se bhi jyada shruti ke liye nuksan denewala sabit hua.... shruti ki khud ki shadi toot gayi.........

dekhte hain shruti ke chehre se naqab kab hatega

keep posting dear
 
Top