Abhi se shaadi karke salma ko to fayada he hua hai isse nakara nahi ja sakta, saath salma aisi khush bhi nahi thi abdul ke saath. Salma jaroor chahegi ki wo Abhi ki patni banke rahe, to uske liye use Abhi ke bacche ki maa banne ka fayada he milega. Isse use Abhi ka pyaar aur ghar ka waaris dene se Abhi ki daadi ke dil mein bhi soft corner ban jaayega salma ke liye.
Sunita ka Baccha girne se kisi ko fayada nahi hoga, khaas kar sangeeta abhi ki chachi to bilkul nahi chahegi ki sunita wapas ghar
Mein Laut aaye, wo to ulta kosish he karegi ki sunita kaise na kaise karke aslam ke saath he chipki rahe, waise bhi abhi to kul 6-7 mahine he gujre hai to abhi filhaal 3 saal tak sunita ko aslam ke saath he samay gujarna padega.
Sunita ke jo baccha aslam se hoga usko Abhi ka baap to accept nahi karega, beshak Abhi aur uski daadi sunita ko support kar rahi ho.
Sunita jabse aslam se pregnant hui hai to uski wajah se sunita bhi kahi na kahi thoda jhukaav aslam ke liye bhi rakhne lagi hai, pet mein palne waale bacche ke baap ke prati automatic thodi sahanubhuti to aurat ke mann mein jaagti he hai. Aur waise bhi aslam jawan ladka hai aur naye jamane ka bhi hai aur tharki bhi, to wo kuch na kuch experiment karke sunita ke liye thoda excitement bana karke he rakhega aur maza to sunita ko bhi aa he raha hai aslam ke saath sex karne mein jo apne pehle pati ke saath nahi aaya hoga, beshak wo pyaar aur izzat karti ho Abhi ke baap ki.
Sabse main baat Sunita jabse aslam se pregnant hui hai uske liye, Abhi ke baap ke mann mein sunita ke liye thodi nafrat to jaagi he hogi na, ki sunita ko 3 saal ke liye aslam ke saath time he bitana tha na ki uske bacche bhi paida kare, jealousy aur nafrat to Abhi ke baap ke mann mein aayegi he sunita ke liye beshak wo mooh se na bole, aur iss kaam mein sangeeta jaroor aag mein ghee daalne ka kaam karti rahegi ki naukar aur jawan ladke ka baccha paida karke sunita ka character ko nicha giraane ka kaam karegi Abhi ki daadi aur uske baap ke mann mein.
Waise bhi sunita ke ghar se nikalne ke kaaran sangeeta ki jaroor ghar mein chalne lagi hai, aur Abhi to usko maa ke barabar he darja deta hai aur sangeeta ki saari baatein bhi maanta hai, ye to sangeeta keliye win win situation hai.
Abdul bhi beshak majhab ka pakka ho magar ek driver ko itni tawazzo milni badi baat hai, indirectly usko bhi kahi na kahi is baat ka ghamand hoga ki uska beta ek crorepati aurat ka pati hai aur ab to uski biwi bhi itne bade ghar ki malkin bann gayi hai. Iska direct fayada abdul ko na mile magar uski family to maje mein hai pehle ke mukable, aur salma bhi malkin hone ke naate apne pariwaar ka kucch to bhala karegi he shayad beti ki help kare paiso se. Abdul ki behen naaz to pehle se he laalchi hai, wo to chahti hai ki usko bhi malaai chaatne ko mil jaaye, khaas kar ab salma jab Abhi ki biwi ban chuki hai.
Waise is saari property ke maalik to Abhi aur sunita he hai jo 1000 hazaar crore ki sampatti sunita aur Abhi ko milegi, yaani ki sunita ka kanoon pati Aslam aur Abhi ki biwi salma bhi us jaayedaad ke indirectly maalik bann chuke hai, beshak shaadi se pehle unhone kitne bhi contract sign kiye ho.
Muslims mein to waise bhi jab tak talaaq nahi hota jab tak marad nahi deta, yaani ki sunita apni marzi se aslam se alag nahi ho sakti, agar aslam ne talaaq nahi diya to, waise wo to baad ki baat hai aur aslam pakka dost hai Abhi ka to wo aisa kucch nahi karega, mayebe sunita ya aslam ki feelings aage chalkar change ho jaaye wo alag baat hai.
Kahani ka subject unique aur interesting hai par lekhak kya karte hai kahani mein wo alag baat hai hum to andaaza he laga sakte hai