Bahut hi awesome update Sandeep singh nirwan veere..
Thank you
Padhte wakt kabhi laga hi nhi ki itne time ke baad update aaya ho ekdm lay barkarar hai ..
Ha kosis ki yahi thi ki recap plus ek acha update ap sabko mil sake ...
Ghar me to ekdm matam faila hua hai
Kisi ko bhi raj ke baare nahi pata hai yata tak ki Sunil ko bhi aur dada ji ko bhi..wahi Sunil daily raj ko khojne jata hai per use koi surakh nahi mila raj ke baare me ...
Kyoki uski bahan richa he usai chipaye huve h aur jab chipane wala he apne ghar ko toh bahar kanha se milega wo...
manisha ne apne baap ranjan ko apne hatho se maar diya aur uski maa bhi duniya chhod ker chali gayi ,Abhay nahi Raha ab ,sonali ki maa bhi ab nahi rahi ,sherdil ka kuch pata nahi hai ,Shweta aur kavita ne Manisha se baat kerna band ker diya hai aur Poonam wo to puri bejaan se ho gayi hai ......
Kafi sare characters ko marna jaruri tha kyoki story mai unka role na ke barabar h aur agai ayega bhi nahi par ha in ghatnao ki wajah se sab bikhar sa gaya h...ek baar ke liye
Wahi Yogi baba ke anusaar Sunil ko Raj ke ansh ko bachane ke liye dehradun Jana hai aur waha per local gundo ki gang aur wo dono scorpion tribute ke log bhi waha honge ,aur Sunil ko waha per Rajeev bhi mil jayenge aur aur ye accha hua rinky ne bata diya ki uske pass madhu ka new number hai ..
Iske ilawa bhi bahut kuch hone wala h ..next updates mai ....jo kadiyo ko jodega....jiski umid kam he hogi ap sabko but agai ke updated mai ...action pura hone wala h
Aur wahi Utter pradesh me raj ke nana ke ghar me Raj jinda hai iske baare me sirf wo baba ji ,Richa aur Divya ko hi pata hai ,sabse isliye chupaya gaya hai kyuki raj per khatra abhi bhi hai aur yumdoot ne Richa ko bata diya ki Poonam ke papa Ravindra singh ko kisi island per kaid ker jail me rakha gaya hai aur jail bhi sayad scorpion tribute ki hi hai .......
Ye abhi clear nahi h ki wo jail wanha kuo h aur ravindar ki halat kya hogi is waqt par ....itna spam de sakta hu ki jab bhi ravindar ka role ayega toh power ka level increase ho jayega story mai ..
Khair abhi to dekhte hai Sunil kya kohraam machata hai dehradoon me
Hmmmm .....dekhte h.....par is baar samne bhi bahut powerfull enemy h
Aur wahi aapne bataya ki Rajeev ,mach aur mich teeno valentine rider banker sabko maut ke ghar utar rahe the kya wo teeno bhi aayenge ya sirf Sunil aur Rajeev ki rahenge aur waha per SP ko bhi pata chal gaya hai dekhte hai wo kya kerta hai gundo ka
SP ha ha ha ha ....hansoge...
Abhi spam nahi dunga kyoki agla update kafi acha hone wala h...
Thank you so much for your precious words.....