• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy इच्छाधारी देव

Tiger 786

Well-Known Member
6,241
22,638
173
UPDATE 25



Fir dusre din taiyar ho kar dev poonam aur shalaka ghumne nikal jate hae bholenath ke mandir jaha unhe rudra aur nilam milte hae.

Rudra – rajkumari ji ye hae meri nilam aur nilam ye hae tilism nagri ki rajkumari poonam aur shalaka.

Teeno gale milti hae.tab nilam

……. Rajkumari ji aapka intjar to sabse jayada dev bhaiya ne kiya hae aapko dekha to ab samajh aaya ke ye itne bechain kyu the, aap sach me bahot sundar hae aur hamare dev bhaiya ki jeevan saathi banne ke poore gun hae aap me.

Poonam – pahli baat to ye ke tum hame poonam hi kahogi rajkumari nahi aur rahi baat intjar ki to humne bhi utna hi intjar kiya hae nilam. Ek ladki ho ke tum ye asani se samajh sakti ho. Ke jise chaho yadi wo hi najro se door ho to kaesa mahsus hota hae.

Nilam - to poonam der kis baat ki aap ke mata pita bhi yahi hae aur tum bhi yaha aayi ho to yahi rah jao shahnai bhi bajwa hi dete hae. Rudra ko waese bhi bahot jaldi hae. jalebi khane ki.

Ye baat sun kar poonam shalaka aur neelam hasne lagti hae.

Rudra - jalebi? Kaun si jalebi? Kaha ki jalebi?

Neelam - aap chup hi raho. Mere kahne ka matlab hae aapko badi jaldi hae shadi ka laddu khane ki.

Poonam muskra ke – chahte to hum bhi yahi hae lekin nilam ye itna aasan nahi hoga. Kyu ki ab tak hamare bado ke beech ye baat hui nahi hae. to fir kaese ho sakta hae. shayad usme samay lagega abhi. Par ha agar dev chahege to mae aaugi jarorr yahi.

Shalaka – dev kyu nahi chahege ab ?kya wo likh kar de us ki to aankhe hi bata rahi hae ki unka bas chale to abhi fere kar le tumhare saath. unhe bhi jalebi khane ka bada man kar raha hae.kyu dev?

Sab log hasne lagte hae.

Ab Rudra aur dev bhi samajh gaye the ke ye kis JALEBI ki baat kar rahi hae teeno.

Rudra - achcha aaj ke karyakram shuru hone wale hae. to chaliye sab log mahal chalte hae.

Fir pancho mahal aa jate hae jaha sab unka hi intjar kar rahe the. Us ke baad kha pee ke sab log nikal jate hae khel mahotsav ke liye jaha aaj kai tarah ke naach gaane ka karyakram tha. Waha in ke pahuchte hi karyakram shuru hota hae jo ke kareeb 4-5 hjante chalta hae aur surya ke dhalne par karyakram smapte hota hae.

Fir sab log wapas mahal aa jate hae. aur bato ka daur shuru ho jata hae

BS – sumant dev ji wo us mantrik ka pata chala kya jisne aap par hamla kiya tha?

SD – ha hamne pata kiya tha. Lekin use pakad nahi paye kyu ke us mantrik ke paas bhi kai sari shaktiya hae. jo uski raksha kar rahi hae. filhal wo kahi gayab hae. par wo palat kar war jaroor karega. Aese log shant nahi baethte.

Dev – maharaj kya aap use pakadne ka koi rasta bata sakte hae?

SD - nahi dev use pakadne ka filhal koi rasta nahi hae. use tabhi pakad payege jab wo samne ho.

Rudra – kshama chahuga maharaj lekin ye to khatre ki baat hae yadi usne achanak hamla kiya ya kabhi aap apne rajya me na ho tab usne hamla kiya to pareshani ho jayegi.

SD - hame bhi yahi chinta hae.

BS – chinta mat kijiyie maharaj ishwar ki krapa rahi to aesa kuch nahi hoga. Baki kal hum swayam kulguru se baat kar ke is samasya ka koi samadhan bhi nikalte hae. kyu ki ab wo aap ke saath saath hamara bhi dushman hae. aur usne dev ko bhi dhamki di thi to hal to mil kar nikalna hi padega.

SD – thik hae bhairav singh ji kal hi KG se baat kijiye dekhiye yadi wo koi hal bata sake to bahot behtar hoga.

Fir sab sone chale jaate hae.

Dusra din muqable ka din tha. Jisme talwar baji ka mukabla hone wala tha. Roj ki tarah sab waha pahuchte hae. pahle to kai yodhdha aate hae aur ladne lagte hae. kareeb do ghante baad un me ek shresht yoddha ka joda nikalta hae. jo puri tarah naqab ke peeche the. Un dono ka chehra dikhayi nahi de raha tha.

BS – adbhut aap dono ne kamal kar diya hum aapko vijeta ghoshit karte hae Aur uphar denge.

Yoddha - aese nahi maharaj pahle mae yaha baethe sekdo logo se poochna chahta hu ki hae koi jo hum dono ka muqabla kar sake? Yadi koi nahi to hi hum dono aap ke pass aa kar puruskar sweekar karege.

BS – tum vijayi hue ho hum bhi chahege tum puraskar le kar jao yu lalkar ke to tum haar bhi sakte ho.

Yodhdha - koi baat nahi maharaj yadi hum haar bhi jaye to mujhe gum nahi hoga lekin is tarah mae inam nahi le sakta mujhe kshama kare.

Tabhi dev upar se neeche chalang lagata hae. uski peeth pe do talware fasi hui thi.

Yoddha - aap to rajkumar hae. kahi aap mujhse haar na jaye

Dev – uski chinta tum mat karo.

Y – lekin hum jode me hae

Dev – to mera mitra rudra bhi mere saath hae

Dev ne itna hi kaha tha ke upar se rudra kood padta hae

Y – kya tumhara mitra ek stri se ladega?

Dev dekhta hae ke us ke saath Jodi me stri thi.

Dev – koi baat nahi mera mitra nahi ladega aur na hi mae in pe war karuga. Ha ye chahe to mujh par war kar sakti hae. mae sirf inhe rokuga aur war sirf tum par karuga tumhare harte hi ye bhi haar jayegi.

Y – kya yaha itni badi sabha me koi aesi yuvti nahi jo maidan me talwar chala sake? kya yaha ki striya sirf chudiya hi pahnna janti hae? payal ki jhankar hi sunti hae? kya unme itna sahas nahi ke wo talwar le kar maidan me utar sake? Kya yaha sab yuvtiya aur striya khel dekhne aayi hae? agar aesa hae dev singh to mujhe tumahri baat manjur hae. aa maidan me……………

Tabhi bijli ki teji se dev ke baju me kud ke aa jati hae poonam is waqt uski peeth pe bhi talware lagi hui thi. Aur dono jangho pe khanjar.

Poonam – yodha tumne ek galti ki maharaj ki baat na maan ke, dusri galti ki dev singh ki baat na maan ke aur teesri sabse badi galti ki yaha ki striyo ko lalkar ke. Ab kisi galti ke liye tum nahi bachoge. Kyu ke mae dev ke saath hu aur is baar hum dono pe tum dono waar karoge koi bhi kisi pe bhi war kar sakta hae. koi stri purush ka bhed bhav nahi.

Tabhi bigul bajta hae aur charo ki talware aapas me takrati hae. charo bahot hi furti se lad rahe the. Yodha 1 ne dev pe hamla kiya jise dev badi hi khubsurti se bacha gaya lekin jaha dev ghum ke pahucha to peeche se yodha 2 ne dev ki peeth pe talwar se war kar diya dev samne hi dekh raha tha lekin poonam ne apni talwa dev ki peeth pe rakh di jisse Y2 ka war ruk gaya itne me poonam ne Y2 ko ek laat mari aur uske sir ka nishana bana ke war kiya jise usne apni ek talwar se roka aur dusri talwar poonam ke pet me ghusani chahi lekin poonam karwat le kar ghum gayi aur apni kohni ka bharpoor war uske sir pe kiya to wo ladkhadati hui neeche girne lagi par apni talwar jameen se laga ke khud ko girne se rok liya

Idhar dev ke upar Y1 teji se hamle kar raha tha aur dev sirf hamle rok raha tha.abhi dev ne ek bhi war nahi kiya tha.

Is samay dev aur poonam ladte ladte ek duje se peeth chipka ke khade apne apne samne ke yodhao se lad rahe the achanak dev aur poonam ne kalabaji khai aur un dono se door ho gaye dev ne baeth kar apne hath milaye jis pe poonam chadi aur dev ne use uchhal diya jisse poonam udti hui Y 2 ke sir pe ek kick dekar jameen pe khadi ho gayi Y 2 bhar bhara ke neeche giri aur tilmila ke apni dono talwar ek poonam ki taraf aur ek dev ki taraf fenk di poonam abhi sambhal nahi payi thi lekin dev ne dekh liya

Dev ne apni ek talwar poonm ki taraf khinch mari aur apni taraf aati hui talwar ko ek tej war se kata to wo talwar do tukde ho gayi aur deva ki fenki hui talwar seedhi jakar poonam ke pet ke pas pahuchi usi samay Y2 ki fenki talwar bhi waha tak pahuchi lekin dev ki talwar ki wajah se tootkar neeche gir padi idhar Y2 ne poonam ki taraf daud lagayi to poonam ne wahi se high jump lekar apni dono tange failai aur Y2 ki garden pe sawar ho kar halka sa mod diya jisse Y2 apne hosh kho baethi aur jameen pe gir padi to poonam uske sir pe talwr rakh kar shan se khadi ho gayi

Udhar y1 ne dev pe dono talwaro se hamle shuru kiye dev apni ek talwar se uska jawabi hamla de raha tha Y1 ne dev pe fir se hamla kiya dev ne poori taqat se uske war ko roka aur jawabi hamla kiya jisse Y1 ki ek talwar toot gayi idhra poonam ka dhyan dev par tha ke achanak se neeche leti hui Y2 ne poonam ko ek dhakka mara aur poonam ke neeche girte hi us ki taraf chalang laga di wo apni talwar poonam ke pet me ghusa dena chahti thi idhar dev bhi Y 1 ke hamle se neeche jameen pe tha to Y1 ne bhi dev pe talwar se hamla kiya dono hi Yodha ne dev aur poonam ko jameen pe lita diya tha aur un par talwar ka war kar diya tha lekin poonam aur dev ne apni apni talwar se wo war roke hue the ke tabhi dono ne apne pratidwandi ke pet pe laat rakh kar apne sir ke upar se uchal diya jisse dono yodha ke hatho se talwar nikalgayi aur wo door ja gire idhar poonam aur dev furti se jump kar ke uthe aur ek unchi chalang laga kar apni apni talwar unki garden pe laga di. To dono hi yodhao ne hath upar kar diye aur atmasamarpan kiya.

Tabhi maharaj BS ne rukne ka ishra kiya.

Charo uth kar khade hue.

BS – is muqable me yuraj dev singh aur rajkumari poonam ki Jodi vijayi hui.

Aur yodha kyu ki tum pahle din bhar ki ladayi me jeete hue the isliye aaj ka puruskar tum dono ko diya jata hae. rajkumar aur rajkumari ka puraskar inhe baad me mil jayega. Khel samapti ki ghoshna ho jati hae.

Isi trah din par din nikalne lage or roj pratiyogitaye hoti kabhi khel kood hoti. Kareeb ek hafta isme nikal gaya. Aur khel samapt ho gaya.

Rat ke samay bhojan ke baad jab sab log ekattha hue to.

SD – bhairav singh ji hum sab ka to man lag gaya hae yaha aapne bahot achcha kiya jo hame yaha bulwa liya bahot anand aaya. Ab to khel bhi samapt ho chuke hae to krapya ab hame jane ki ijajat dijiyie jisse ki kal subah hum yaha se apni nagri taraf prasthan kare.

BS - maharaj aapne hamara aatithya sweekar kar ke hamara maan badaya hae. aur in bachchiyo ke saath rahte hue to hame hamara pariwar poora lagne laga. Aapse ek vinti hae.

SD – aesa na kahe maharaj aap aadesh de skate hae.

BS – nahi sumant dev ji aadesh ka to prashna hi nahi uthta. Balki hum to aapse aaj ek daan ke abhilashi hae.

SD – ye kaesi baate kar rahe hae mitra bhala mae aur aapko daan me kuch du ye to sambhav hi nahi hae.

BS – sambhav hae mitra kyu ke mangne wale se hamesha dene wala hi bada kahlata hae. aaj hum aapse aapke jivan ki sabse anmol dharohar daan me mangte hae. kya aap apne jigar ka tukda apni beti poonam ka haath dev ke hatho me denge? Kya aap hame apni kanya daan karenge hamare dev ke liye.

SD – mitra aapne to hamare mooh ki baat chhin li. Dev jaesa damad paakar to mae khud sansar ka sabse bhagyawan vyakti ban jauga. Aapne meri beti ko is layak samjha ye aap logo ka badappan hi hae. aaj se poonam aap hi ki beti hui. dev ki hui maharaj.

BS – nahi mitra badappan hamara nahi balki aapne hame ye phool si bachchi dekar hame dhanya kar diya badappan to aapka hae. aap log taiyariya kijiye hum aaj se do din baad hi inka rishta pakka karne ke liye aapki nagri me aayege.

SD – jaroor mitra hame aapka intjar rahega.

BS – to dev aur beti poonam us din jo aap logo ne dono nagro ki shan banaye rakhi aur talwarbaji ke muqable me jeet hasil ki thi us. Ke inam swaroop hum aap dono ko aapka rishta tohfe me dete hae. aap log yu hi sada ek duje ka saath nibhana har kathinai me. Aur dono kulo ka maan bhi banaye rakhna. Hamara aashirwad aap dono ke saath hae.

Poonam aur dev aage badh kar pahle bhairav singh ke pair chhute hae, fir sumant dev ke.

BS - sada saoubhagyavati raho beti., khush raho beta

Fir poonam aur dev rani neelmani ke paer chhune lagti hae to rani dono ko pakad ke seene se laga leti hae.– nahi mere bchcho tum dono ki jagah hamare dil me hae. aur poonam beti tune to mujhe aaj sampoorna kar diya mere pas beti ki hi kami thi aaj tere aane se wo kami bhi poori ho gayi.

Fir dono rani kaushalya ke bhi paer chhu kar aashirwad lete hae.

Fir sab log mooh mitha karte hae aur thodi der baato ke baad sone chale jate hae.

Dusre din subah poonam aur dev jitney khush the utne hi door jane ki wajah se udas bhi the. Maharaj bhairav singh aur rani nilmani khoob sare tohfe de kar poonam ko vida karte hae Fir sumant dev apne pariwar ke saath tilism nagri ki or chale jate hae.

Rudra ko bhi ye pata chal chuka tha ke dev ka rishta bhi pakka ho gaya hae. to apne gharwalo ke saath jakar nilam se rishta pakka kar ke aata hae . aur unhe bata deta hae. uski shadi aur dev ki shadi ek saath hogi.

Mahal me Rudra nilam ke saath aata hae aur rani nilmani se nilam ko milwata hae

MN– are wah rudra meri ye bahu bhi behad khubsurat hae mae aaj bahot khush hu aaj mujhe meri do bahue mil gayi

Rudra – abhi kaha mili hae rani maa

MN – tu chupo kar nahi mili to mil jayegi aakhir mere samne to aa gayi na dono mae bahot khush hu beta tum dono ke liye.

Rudra - dev maene apne sasural walo se kah diya hae ke meri shadi usi din hogi jis din dev ki hogi to ab tu jyada der mat karna yaar.

MN. – tu chinta mat kar rudra mae apni dono bahuo ko saath hi laugi aesa ho sakta hae ke mera ek beta baetha rahe aur dusra shadi kar le. Ye to tujhe nilam mil gayi nahi mili hoti to mae dev ki bhi shadi nahi karwati jab tak tere liye dulhan na dhundh leti. Tum dono to meri ankho ke tare ho.

Achha kal chalna hae. rudra ka rishta pakka karne tilism nagri. To time se aajana tum dono bhi.

Rudra – kya kal? Lekin kal to mujhe nilam ke mata pita ke saath shiv ji ke bade wale mandir jana hae. unhe bol chuka hu mae. Chalo achcha hua aapne bata diya unhe mana kar deta hu bad me jayege mandir.

MN – bilkul nahi bado ko mana nahi karte tu ja aur mandir ho kar aa. Waese bhi ye to yu hi opcharikta hae beta. Sab kuch to tere samne tay ho hi gaya hae. aur shadi ki tareekh bhi hum unhe baad me batayege. Tu rahne de kal hum log ho kar aate hae.

Rudra – lekin rani maa dev akela mere bina?

Dev – abe pagal hae kya mae koi yuddh pe nahi ja raha tu chinta mat kar.

Rudra - thik hae dev lekin jaldi milna bhai tere bina mera dil nahi lagega. Pata nahi kyu mera dil nahi maan raha hae.

Dev – aaj tu aesa kyu bol raha hae. tere bina mera bhi dil nahi lagega mae jaldi hi aauga aur jaroor auga.

Dev aur rudra gale milte hae par anjane hi rudra aur dev dono ki aankhe bhar aati hae.

Fir rudra chala jata hae nilam ko lekar aur dev bhi sone chala jata hae kal ke haseen sapne dekhte hue.

Dusre din dev aur us ke mata pita apne kuch sevako, dasiyo aur kuch sainiko ke saath nikal padte hae tilism nagri ki or. Rasta to kuch hi ghanto ka tha lekin dev ke liye mano sadiyo ka lag raha tha us ke man me is waqt poonam ki hi yade thi aur ankho me uska muskrat sharmata chehra. Jaese tease kar ke wo safar bhi khatam hota hae. aur sab log raja sumant dev ke raj mahal me pahuchte hae jaha un sab ka bhavya swagat kiya jata hae .

SD – maharaj aaj aap ke aur maharani ji ke kadam is nagri me pahli baar pade hae. ye tilism nagri to dhanya ho gayi.

BS – aesi koi baat nahi sumant dev ji. Ye to hamara soubhagya hae ke hum yaha aaye aur aapke mehman hone ka gaurav hame mila.

Dono raniya bhi ek duje se gale milti hae. aur maharani kaushalya rani nilmani ko apne kaksh me le jati hae. jaha unki aapsi bate chlau ho jati hae.

idhar dev raja sumant dev aur bhairav singh ke paas hi baetha tha aaj use rudra ka na hona akhar raha tha. Par wo khush bhi tha us ke liye kyu ki ek tarah se dono dosto ka rishta ek hi din tay hone ja raha tha.

Lekin dev ko abhi poonam bhi nahi dikh rahi thi isliye wo kafi akelapan mahsus kar raha tha.
Awesome lazwaab update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,241
22,638
173
UPDATE – 26

Ab tak...........
................Lekin dev ko abhi poonam bhi nahi dikh rahi thi isliye wo kafi akelapan mahsus kar raha tha.........................................................

Idhar mantrik tilmilaya hua ghum raha tha apni gufa me, jaha pashupatinath bhi moujud tha.

PN – kya hua mantrik bahot bechain najar aa rahe ho

Mantrik - PN tu to janta hae ke haar mujhse bardasht nahi hoti. Us raja sumant dev ko to maene maar hi diya tha. Ke achanak aakhri mouke par pata nahi kaha se wo dono ladke aa gaye aur meri ichcha adhuri rah gayi.

PN – lekin tum do mamuli ladko se haar kaese gaye mantrik?

Mantrik - wo dono ladke koi sadharan nahi the , mujhe apni shaktiyo se gyat hua hae ke wo dono hi naag lok ke wasi hae Jinme se ek hae dev singh jo nag lok ka rajkumar hae aur dusra uska abhinna mitra Rudra.

……….dev singh kai divvya shaktiyo ka malik hae uski sadhna bahot uchch star ki hae. aur wo bahot jald hi apni sadhna ke dam pe ichchadhari banne wala hae. jab bhi wo lagatar lambi sadhna me baethega to wah ichchadhari ban jayega. Kyu ke us ke pas aesi aesi shaktiya hae. jo use is kaam me madad karegi. isiliye usne meri abhimantrit talwar ka bhi samna kar liya jo kisi ke bas ki baat nahi. Mae un dono ko maaf nahi kar sakta. Is baar mae unhe bhi maar daluga. Bas sahi waqt ka intjar hae.

PN – aesi baat hae to wo waqt tumhare samne hi hae jaha hamare sare dushman ek saath hoge aur tum asani se unhe maar sakte ho. Lekin tilism nagri ka singhasan mujhe chahiye ye bhulna mat.

Mantrik - kya baat kar rahe ho aesa waqt mere samne hae ? magar kaese?

PN – tumahri wo haar dev singh ki jeet thi. Aur usi jeet ke badle me raja sumant dev apni beti dev singh ko de rahe hae.

Mantrik – mae samjha nahi.

PN - to suno raja sumant dev ki do betiya bhi hae ye to tum jante hi ho. jinme se wo apni badi beti ka vivah dev singh se kal tay karne wala hae. aur usi prayojan se aaj tilism nagri me dev singh apne maa baap ke saath aaya hua hae . kal unka rishta pakka ho jayega.

…………..matlab ab hamare samne sirf sumant dev hi nahi balki dev singh jaesi majbut deewar bhi khadi hone wali hae. kal tak to dev singh sumant dev ka kuch nahi lagta tha. Lekin ab ye rishta ho jane ke baad tum khud socho kya dev singh ke sasur ban chuke us sumant dev ka bal bhi banka kar paoge?

Wo dev singh aakash patal ek kar ke bhi tumhe khoj nikalega aur tumhe maar dalega.

Mantrik ko dev singh ka wo roop yaad aa jata hae. to wo bhi kaanp jata hae.

Mantrik - tum seedhe seedhe batao kahna kya chahte ho?

PN – kahna ye chahta hu ke kal ka din agar un ke rishte ke liye chubh hae to fir unki mout ke liye bhi shubh hae. jab unhe marna hi hae to kal hi kyu nahi?

………….kal wo log ladne ki mansik sthiti me nahi hoge sab apni khushiya manane me lage hue honge aese me un par aakraman yadi hua to wo sambhal nahi payege.aur jaesa ki tumhara vichar bhi hae ke tumhe sabko maarna hae to sab ikatthe bhi hoge.

………tum apni poori shakti se un par hamla kar do nishchit hi jeet tumahri hogi.

Mantrik - Tumhe poora yakeen hae ki sab log waha milege?

PN – bilkul. Sumnat dev ka pariwar to yaha hae hi. Dev singh ka rishta hone ja raha hae to dev singh , uske mata pita bhi nagri me hae, aur Rudra apne khas mitra ki is khas ghadi me saath nahi hae ye to sochna hi murkhta hogi na? wo bhi awashya saath hoga.

……….muqabla to hoga lekin kyu ki tum taiyar hoge kintu wo nahi. Isliye jeet tumhari hi hogi.

Mantrik - sahi kaha tumne PN kal sach me sabhi moujud hoge raja sumnat dev to marega hi lekin……..

………. Mae un dono ko (dev aur rudra )chhoduga nahi unhe jaan se maar duga. Tumhe to sirf tilism nagri chahiye thi na mae naag lok ka vansh hi mita duga kal, fir naag lok bhi tumhara ho jayega.

PN – tumne to dil khush kar diya mantrik ab to mujhe bhi kal ka besabri se intjar rahgea.

Pashupati nath apne ghar pahuchta hae aur apni sadhna me leen ho jata hae. wo tha to ek sadhak hi. Use bhi apni shaktiya badani hi thi. Wo usi me laga hua tha. Poori raat nikal jati hae subah jab wo uthta hae to samne us ke guru prakat hote hae.

Guru – pashupatinath kaese ho?

PN – sab aapki krapa hae guruwar

Guru – kintu maene to tumhe hamesha logo ki bhalai hi sikhai thi tum logo ko marne ka karya kab se karne lage?

PN – mae kuch samjha nahi guruvar

G – tum jo aaj karne ja rahe ho use ho sake to rok lo. kyu ki usse kisi ka bhala nahi hone wala.

PN – guruvar maene aapki har baat aaj tak mani hae. kintu bachpan se hi mujhe raja banne ka shouk tha. Aaj mera wo sapna poora hone wala hae.aur aap mujhe rok rahe hae?

G – ha rok raha hu kyu ki ruk jane me hi bhalai hae.

PN – mujhe kshama kare guruvar kintu maene mantrik ko sab bataya hae. aur wo apni poori taqat ikatthi kar chukka hae ab use rokna mere bas me nahi.

G -krodhit hote hue – yadi rokna tumhare bas me nahi tha to use shuru kyu kiya?

PN – lekin guruvar ………

G – chup raho murkh tu nahi janta ke aaj jo hone wala hae uska anjam kya hoga. Kis kis ko bhugatna padega. Us tabhai se koi nahi bachega sirf tu hi use rok sakta hae ho sake to rok le varna us tabahi ki aandhi tujhe bhi le dubegi. Mae ja raha hu. Tere paas antim chetawni dene aaya tha. Ab apna aur sabka bhavishya sudharna chahta hae ya bigadna ye tere haath me hae.

Itna kah kar PN ke guru gayab ho jate hae.

PN man me – ye guru ji ko bhi pata nahi kya ho gaya hae. bhala mere upar kya vipatti aayegi. Dono raja marege aur dev marega mera kya nuksan hae isme. Mae to raj hi karuga na. jane do baad me guru ji se miluga pahle aaj ka kaam ho jaye.

Idhar subha hote hi sab log taiyar ho kar ek jagah ikatthe hote hae jaha par aaj dev aur poonam ka rishta hone ja raha tha. Kuch der ke baad rajkumari poonam bhi sone aur hero se ladi hui waha pahuchti hae shalaka ke saath jise dekh kar dev to apni sudh budh hi kho deta hae.

Poonam bhi dev ko dekh kar behad khush hoti hae kyu ki dev bhi bahot sundar lag raha tha. Dono ki aankhe ek duje se milti hae aur ankho hi ankho me baate bhi hoti hae.

Fir waha pooja shuru hoti hae jaha par vedi pe dev aur poonam ko bithaya jata hae. aur baki sab log bhi pooja me saath hi baethe the. Kareeb 2 ghante ki pooja ke baad samapan hota hae. aur pandit ji ka ishara paate hi dev aur poonam uthkar khade ho jate hae fir dev poonam ka hath tham kar use ek sone ki hire jadit anguthi pahna deta hae aur fir poonam bhi dev ko hire ki anguthi pahna deti hae.

Fir sab log un par phoolo ki barsat karte hue taliya baja kar badhai dete hae. us ke baad raja sumant dev ki taraf se amantrit mehman aa kar poonam aur dev ko badahi ke saath tohfe dene lagte hae. aur us ke baad dopahar ke bhojan shuru ho jata hae.

Idhar rudra subah savere apne maa baap ke saath nilam ke ghar pahuchta hae , jaha par nilam aur us ke mata pita unka hi intjar kar rahe the. Waha se sab log shiv ji ke bade wale mandir jate hae jo ke nag lok se thoda duri pe tha waha pahuch kar wo log pooja me baethte hae. un ki pooja bhi kafi samay tak chali jis ke baad nilam aur rudra ne bhi ek dusre ko anguthi pahna di aur fir apne bado ka ashirvad liya.

……….. abhi wo log waha khade baate hi kar rahe the ki tabhi rudra ko kuch bechaini hone lagi.

Nilam - kya hua rudra?

Rudra – nilam aaj mujhe bahot ghabrahat ho rahi hae. mujhe samajh nahi aa raha hae aesa kyu ho raha hae.

Nilam - aapki tabiyat to thik hae na vaid ji ke paas chale?

Rudra - nahi nilam mae bilkul thik hu tum chinta mat karo, bas ji ghabra raha hae. aur pata nahi kyu meri aankho me aansu baar baar aa rahe hae aesa lag raha hae ki mae bahot jor se rone lagu.

Nilam - kya rudra aap aaj bhi majak karne lage bhala apne rishte ke din koi rone ka sochta hae? mae kya itni buri hu?

Rudra - nahi nilam tu to mera dil meri saans ki dor hae lekin aaj dev jo ki meri jaan hae wo mere saath nahi hae aur mujhe kuch achcha nahi lag raha hae.

Idhar tilism nagri me achanak tej shor hone lagta hae. ise sun kar sab chonk jate hae. tabhi sumnat dev

SD – sevak dekho bahar ye shor kaesa hae

Sevak daud kar bahar jata hae aur ulte pair hi wapas aata hae.

Sevak – maharj ksi ne aakraman kar diya hae. jo ke door se hi najar aa rahe hae. kafi bhayanak sena hae

Itna sunte hi dev apni talwar khinch kar bahar nikalta hae peeche peeche bhairav singh aur sumant dev bhi talware lekar nikalte hae.

Samne ka najara dekh kar kuch der ko to sumant dev bhi ghabra jate hae tabhi unki najar dev ko dhundhne lagti hae jo ke unke paas najar nahi aa raha tha.

Sumant dev – are ye dev kaha gaye

Bhairav singh samne ki taraf ishara kar deta hae. jaha dev samne ke ped pe bahot teji se chad chukka tha aur ped ki sabse unchi daal par khada hokar apne haath aage badata hae to uske haath se neeli roshni nikalti hae aur samne najar aa rahe sainiko pe bijli ban ke girti hae bahot se sainik udte hue door ja girte hae.

Lekin sainiko ki matra jyada thi jo ki nagar me ghus chuke the sumant dev ke sainik unse ladne me lagte hae idhar sumant dev, bhairav singh aur Nagarjun bhi maidan me aa jate hae. aur apni apni shaktiyo ke prahar karne lagte hae.

udhar dev waha se chalang laga kar udta hua un sainiko ke beech kud padta hae.apni ankhe band kar dono haath faila deta hae.jis se rang birangi chingariya nikalne lagti hae wo teji se gol chakr ke jaese ghumta hae aur uske aas pas ke sainik rakh ke dher me badalne lagte hae. dev itni tej ghum raha tha ki bas ek bawandar sa najar aa raha tha aur us ke aas pas raakh hote sainik , dev to najar hi nahi raha tha.

Door se ye sab mantrik dekh raha tha use ashcharya hone lagta hae dev ki shaktiyo se. use samajh me aa jata hae ki is tarah dev kuch hi der me uski saari sena ka khatma kar dega.

Ye sab koi aur bhi chhup kar dekh raha tha. Aur wo tha pashupatinath. Jo is waqt aarm se ek jagah chhupkar baetha tha lekin is sari tabahi ki jad sirf wahi tha.

Udhar SB , BS , aur Nagarjun bhi mantrik ki mayavi sena par mout ban kar toot pade the aur apni apni shaktiyo ka bharpoor istemal kar ke teji se mantrik ki sena ko mitti me mila rahe the. Tilismi shaktiyo ki badaulat maharaj SD bhi akele ek taraf mantrik ki sena ko jad se ukhadne me lage the. Aur dusri tarfa nagarjun aur bs bhi kuch aesa hi kar rahe the. Kintu nagarjun maharaj BS ke aas pas hi rahne ki koshish kar raha tha. Kyu ki wo janta tha ke maharaj ki suraksha yaha uska pahla kaam hae. uski khas wajah ye thi is waqt dev aur rudra dono hi maharaj ke aas pas nahi the.

Idhar mantrik apna aakar bada kar dev ke samne ja pahuchta hae.

Dev bhi apni ankhe band kar ke mantrik ke barabar aakar kar leta hae. mantrik kya hua dev singh aaj tu akela hi khada hae? tera wo dost bhag gaya kya doom daba ke?

Dev – shukar mana ke wo yaha nahi hae. varna is baar jo tune aakrman kar ke galti ki hae is galti ke baad wo tujhe itne tukdo me kaat deta ke pata nahi chalta tera mooh kidhar hae aur sir kidhar hae. use yaad bhi mat kar kyu ki uska koi bharosa nahi us tak teri soch bhi pahuchi na to wo khud isi pal yaha aa jayega.

Itna sab sun kar mantrik ki aanke lal ho jati hae gusse se wo apne dono hatho se dev ka gala pakad leta hae to dev dono hato ki muthhiya band kar ke mantrik ke pet me bahot teji se marta hae

Mantrik ke hatho se dev ka gala chhut jata hae aur wo kuch foot door ja kar girta hae lekin us ke vishal aakar ke karna us ke neeche usi ke sainik dab jate hae jab tak wo uthe uske sainik dam tod chuke the.

Par mantrik in sab ki parwah nahi karta. Aur fir se uth kar dev ke samne ja khada hota hae.

Dev – mantrik tujhe kya chahiye.kyu hamla kiya hae tilism nagri par.

Mantrik - bato me samay nasht mat kar murkh balak mujhe teri mout chahiye kyu ki tune mere raste me aane ki galti ki hae.

Dev – ja yaha se varna tera anjam bahot bura hoga.

Mantrik dev par apni shakti ka vaar karta hae to dev sirf apna haath aage kar deta hae jisse mantrik ki shakti beech me hi ek dhamake ke saath nasht ho jati hae. tabhi

SD – mantrik chala ja mere rajya se dev pe hamla kiya to accha nahi hoga tere liye mantrik ghum kar sumant dev ke samne ja khada hota hae aur us par bhi apni shakti fenkta hae jise sumant dev rokta hae. lekin wo us shakti ke dabav se kafi door jakar girta hae. mantrik ankhe band kar ke apna haath aage kar deta hae to sumant dev aur bhairav singh ek sath bandh jate hae.

Tabhi ek tej roshni ki kiran aa kar sumnt dev aur bhairav singh ke bandhano se takrati hae. aur wo log aazad ho jate hae ye koi aur nahi balki poonam thi jo is waqt ek yodha ke roop me aa kar maidan me khadi ho chuki thi. Aur usi ke saath shalaka bhi thi ye dono bahne is waqt rajsi vastro me na ho kar ek yodha ke rup me aa chuki thi.

Shalaka teji se dusri taraf daud laga deti hae aur apni talwar se dushman sainiko ko katti chali jati hae uski talwar is samay bijli ki tarah nach rahi thi. Dekhte hi dekhte wo apne mahal ke aaspas jitney dushman sainik the unhe saaf kar deti hae aur dusri taraf badh jati hae jaha unke sainiko par dushman bhari pad raha tha. Lekin waha bhi shalaka ke pahuchne se hadkamp mach jata hae. shalaka ka chehra is samay khoon se ranga hua bada bhayanak lag raha tha.

Udhar jaese hi poonam dev ke paas pahuchti hae...............

Dev – poonam aapko nahi aana chahiye tha. Jaiye aap mae hu na sab sambhal luga.

Poonam - nahi dev tum akele nahi ho mae tumahre saath hi rahugi.

Poonam bhi appna aakar dev ke barabar kar leti hae dev hath aage badata hae aur poonam ka hath tham kar dono ek saath chalang lagate hae mantrik par. Dono ki ek saath kick manrik par padti hae jisse jameen pe ghisatta hua kafi door ja kar girta hae. saath hi apne sekdo sainiko ko bhi apne neeche pista chala jata hae. mantrik behad gusse me aa jata hae aur apni muthhi band kar ke poonam ki taraf kar deta hae fir achanak se use khol kar foonk maar deta hae.

Poonam bhi samajh jati hae aur apni talwar samne kar ke teji se gol ghumane lagti hae jisse waha ek bawandar sa ban jata hae aur mantrik ki fenki hui shakti poonam tak aane se pahle hi us bawandar me ghus ke gayab hi jati hae. mantrik ko samajh me nahi aa raha tha to apna hath aage badata hae paani ka anjul bhar ke mantra padta hae aur poonam par fenkta hae tabhi dev aage bad ke poonam ko apni baho me bhar ke chhupa leta hae. aur wo pani ke chheete tejab ki tarah dev pe padne se pahle hi dev ki powers se wo dev ki peeth pe pahuchne se pahle hi sookh jate hae.

Mantrik se bhi ab bardasht nahi hota

Mantrik – dev singh mae nahi chahta tha ke tujh par apni sari shakti laga du ye maene kai varsho ke tapasya se ekatrit ki hae lekin tu mujhe majboor kar raha hae. aur haarna mera swabhav nahi isliye tumhe aakhri baar mouka de raha hu ab bhi waqt hae laut ja tilism nagri chhod kar mae tujhe aur tere naag lok ko baksh duga. Varna tum sab ko maar daluga.

Dev – tune kam se kam mujhe wapas jane ka mouka to diya lekin tune do galtiya ki hae ek yaha hamla kar ke dura mujhe dushmani mol lekar ye to shukra mana ke mae akela hu agar mera rudra yaha hota to ab tak tujhe sirf patak patak kar hi samapt kar deta. Waese jinda to tujhe mae bhi nahi chhoduga varna wo sala mujhe chhodega nahi. Ab uski narajgi door karni hae to tujhe mout to deni hi padegi.

Mantrik – achcha hua tera dost nahi aaya varna wo bhi abhi marta par us ke naseeb me kuchh saanse baki hae. tujhe marne ke baad mae use bhi maar daluga wo kahi bhi ho mujhse bach nahi paayega.

Dev – ye tune teesri galti kar di mere samne mere dost ki jaan lene ki baat kah kar, ab to tu gaya mantrik

Mantrik jaldi se apne dono haath upar kar ke apni shaktiya ikaththi karta hae. jise dekh kar poonam ghabra jati hae.

Poonam - dev ye vajra shakti ka istemal karne wala hae kuch karo. Dev poonam ko dhakka dekar khud se kafi door kar deta hae aur wah bhi apne dono haath utha ke sari sahkti ikathi karta hae .

idhar mantrik hamla kar deta hae dev par tabhi dev aankhe kholta hae mantrik ki shakti dev se takrane hi wali thi ke poonam beech me aa kar poora war apne upar le leti hae aur dev ko door kar deti hae. mantrik ki shakti se poonam ka aakar teji se ghatne lagta hae aur wo teji se jameen pe aa kar girti hae. us ki sanse ukhadne lagi thi. Uska poora shareer is waqt neela padta jar aha tha.

………….ye dekh kar Dev ka krodh bad jata hae wo mantrik ki taraf badta hae to mantrik fir se ek war kar deta hae kintu tab tak dev bhi us par war kar chuka tha dono ke seene pe ek duje ki shakti ka waar hota hae to jaha dev jameen ki taraf girne lagta hae wahi mantrik ko jhatka itna jabardast lagta hae ke wo aakash ki uchaiyo me udta hua anant akash me gayab ho jata hae. us ke gayab hote hi uski mayavi sena ke bache hue sainik bhi jadui tareeke se gayab ho jate hae.

Idhar dev ki halat bhi najuk thi . wo aur poonam ek saath lagbhag marne ki sthiti me pahuch jate hae.

Poonam - dev hamara Milan adhura rah gaya dev.

Dev – poonam mujhe chhod ke akeli mat jao mae tumahre saath chaaluga bas kuch kshan ki mohlat de do. Mae aata hu. ………Jaese tease dev uthkar khada hota hae aur aasman ki taraf dono haath kar ke ankhe band kar deta hae aur mantra padne lagta hae. thodi der ke baad ek tej hare rang ki roshni dev ke hatho se nikalti hae aur poore tilism nagar ke upar fail kar gayab ho jati hae. dev ki halat is shakti ke istemal se aur bigad jati hae.

wo dhadam se poonam ke paas gir jata hae. un dono ko gher ke sab log khade the. Rani nilmani aur kaushalya to ro ro kar behal ho chuki thi sumant dev aur bhairav singh bhi ro rahe the. Aur shalaka bhi bahan se lipat ke roye ja rahi thi.

Dev – pita ji, maene yaha aane se pahle nag lok ko surakhit ghere (shiled cover ) me bandh diya tha. Aur ……….. aur……….. abhi maene tilism nagri ko bhi ……….. surakhit ……….. surakshit ghere me bandh diyia hae………….

…….. maaaaaa mae ja raha hu. Aap roiye mat h h h hhum……. Dono jaroor wapas aayege aap logo ke paas.

Sumant dev – dev, poonam tum dono mujhe maaf kar dena meri wajah se ye sab hua hae.

Dev – nahi maharaj isme aapka koi dosh nahi hae. aap dubara ye mat kahiyega. Aur ab jab tak hum dono wapas nahi aate tab tak aap logo ki ankho me aansu nahi aane chahiye.

Nag lok aur tilism nagri ab surakshit hae koi bahri taqat mere is sraksha ghere ko tod kar nahi aa payegi aur na hi kisi dusre vyakti ki koi bhi buri shakti yaha kam karegi.

…………. Yadi koi aaya bhi to wo yaha apni shakti ka istemal is nagri ke virudhh nahi kar payega.

Dev – pita ji rudra jab meri mout ki khabar sunega to use sahan nahi hoga. Us pagle ko sambhal lena use kahna mujhe maaf kar de mae dosti ka rishta tod kar ja……ja… raha hu lekin mae jald hi wapas aauga tab use mujhse jitna ladna ho lad sakta hae.

BS – dev beta aesa mat bol tum log thik ho jaoge.

Dev – nahi pita ji bahot der ho chuki hae aur ab hamara antim samay aa gaya hae aap rudra ka khayal rakhna.

BS - mae use kaese sambhaluga dev

Dev – pita ji use aap ye kada de dena (dev apne hath me pahna hua kada utar ke apne pita ko deta hae)

Dev – pita ji hum ja rahe hae hame aagyaaaa……..aaaaaaa…….

Poonam………

Poonam- dev…………..

Dono haath me haath pakde hue hi shant ho jate hae. dono ki hi aknhe ek duje ke chehre pe thi hatho me hath tha. Lekin dono ke hi jismo me jaan nahi thi. Ek sannata waha chha jata hae.............
Bohot hi ummdha update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,241
22,638
173
UPDATE – 27


Wahi PN ki ankho me bhi aasu the aur wo bhi in do pyar karne walo ki mout ko sah nahi paya . aur turant waha se uthkar apne ghar aa gaya.

Tabhi joro ki bijli kadkadane ki awaz aati hae aur tej barish hone lagti hae.

Udhar mandir me rudra ko ek jhatka lagta hae aur use bahot tej chakkar aa jata hae

Rudra – deeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeevvv

Sab log chonk kar use dekhne lagte hae unhe kuch samajh me nahi aata ke kya hua. Rudra bahot tej rone lagta hae.

Nilam – kya hua rudra ?

Rudra – nilam mujhe abhi tilism nagri jana hae isi waqt. Mujhe kuch bahot bure ki ashanka ho rahi hae mera dev khatre me hae nilam mere bhai ko meri jarurat hae. mae ja raha hu tum yaha sab ka khayal rakhna .

Nilam – nahi rudra nahi jo galti tumne ki dev ko akele jane de kar. Wahi galti mae nahi dohraugi. Tum pachhta rahe ho na dev ko akele jane diya

Rudra – ha nilam mujhe us ke saath jana chahiye tha.

Nilam – mae pachtana nahi chahti rudra isiliye mae bhi tumhare saath jaugi.

Dono apne maa bap ke paas aate hae

Rudra – maa babu ji mujhe jana hae abhi tilism nagri. Mujhe bahot ghabrahat ho rahi hae mere dev ko meri jarurat hae wo khatre me hae .

Rudra ke pita – aesi baat hae to jao bachcho hum tumhe nahi rokege apna khayal rakhna

Fir dono un sab se vida le kar ghode pe nikal padte hae. aaj unki rafter hawa se bhi tej thi. Jaha wo din bhar ka safar tha rudra aur nilam ne us safar ko matra 3 ghante me poora kiya aur tilism nagri pahuche. Waha ki halat data rahi thi ke ek bhayanak toofan is nagri se kuch hi samay pahle gujra hae. jisme sab kuch tabah ho chukka hae .

Rudra aur nilam teji se raj mahal pahuchte hae to wha samne safed kapde me lipti hui dev aur poonam ki lashe samne padi thi. Aur unhe le jane ki taiyari chal rahi thi.

Rudra – deeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeevvvvvvvv mere bhaiiiiiiiiii nahii ye nahi ho sakta uth ja dev ye kaese so raha hae tu

Uski halat is samay paglo jaesi ho gayi thi. Wo jor jor se dev ko pakad ke hilane lagta hae wahi nilam bhi dev aur poonam ke pas aa jati hae aur poonam se lipat ke rone lagti hae.

Kisi tarah badi mushkil se maharaj bhairav singh rudra ko sambhalte hae

Rudra – maharaj kis ki itni himmat hui ki mere dev ko mujhse chhen liya. Kaun ho wo neech

BS – rudra beta, wo jo koi bhi tha dev ne use khatam kar diya hae. aur dev ke aakhri shabd yahi the ke tu pareshan mat hona maene badla le liya hae. use pata tha tu poori duniya ko aag laga dega. Is liye usne tujhe shant rahne ke liye hi kaha hae aur tere liye apna ye hath ka kada diya hae.

Rudra wo kada le kar chum leta hae aur use apne hath me pahan leta hae. use pahante hi rudra aankhe band akrta hae to use shuru se lekar aakhri tak sab najar aa jata hae. aur wo foot foot ke rone lagta hae.

Idhar pashupatinath apne ghar me bhari dil ke saath baetha tha. Use to khush hona chahiye tha. Lekin uski aankho se aansu band hi nahi ho rahe the wo bas roye ja raha tha. Tabhi uske guru waha aate hae

G – badhai ho pashupatinath tum kamyab hue. Jao aur jakar singhasan le le.

PN – nahi guruvar aap to mujhe yu taane mat dijiye mae pachta raha hu

G – pachta rahe ho? Hame ulta path pada rahe ho Pashupatinath

PN – nahi guruvar mae to bas singhasan chahta tha ha us ke liye sumant dev mara jaata to mujhe abhi itna bura nahi lagta par sirf sumant dev .lekin yaha to lasho ke ambar lag gaye guruvar bhala itni lasho se bane singhasan par mae kaese baeth sakta hu………….

…………..aur sabse bhayanak baat dev aur poonam ka bichchadna do pyar karne wale meri wajah se mout ki nind so gaye. Ye kya ho gaya guruvar

……….. aap to saksham hae rok sakte the na fir aapne kyu aesa ho jane diya?boliye guruvar

G – ha mae rok sakta tha isiliye maene roka bhi lekin kya tumne meri baat mani ? nahi tum us waqt taqat ke nashe me choor ho chuke the. Tumne meri bat ko ansuna kar diya aur ye sab hua tumahri wajah se. mae tumhe shrap deta hu pashupatinath ke tumahri wajah se do premiyo ki mout hui hae aur unki aatmaye bhatak rahi hae waese hi tum bhi bhatkate rahoge sadiya beet jaayegi lekin na to tumhe shanti milegi na hi mout. Ab tum is shareer ka bojh uthakar akele bhatakte rahoge. Anantkaal tak.

Itna kah kar uska guru waha se chala gaya.

PN – nahi guru dev mujhe kshama kar dijiye . mae ye sab nahi chahta tha maene unki mout ki kamna nahi ki thi

Gurudev mujhe baksh de mujhe aesa shrap ne de mae aapke hi sahare hu. Mujhe kshama kar de guruvar

Pashupatinath rota raha bahot der tak apne guru se maafi mangta raha. Aakhir uske guru ko wapas aana pada.


G – PN tumhara apradh kshama yogya nahi hae.

PN – gurvar mae manta hu mujhse ghor paap hua hae kintu aap to antaryami hae. aap hi sochiye kya meri aesi mansha thi?

Kya maene dev aur poonam ki mout chahi thi?

Kya maene itne logo ki mout chahi thi?

Nahi gurudev mae ye sab nahi chahta tha. Mae pachta raha hu. Jo maene singhasan ka lalch kiya aur ab jaan bhi gaya hu ke ishwar jise jo deta hae use utne me hi khush rahna chahiye. Jyada ka lalch burai ko janam deta hae paap ko janam deta hae. aap mujhe kshama nahi karna chahte to mat kijiye lekin ab ye paap se bhara jeevan mae nahi jee pauga mujhe bhi mout hi de dijiye.

G- pashupatinath tum ache se jante ho ke mae siddh yogi hu. mera diya hua shrap khali nahi ja sakta ab tumhe mujhse mout to nahi mil sakti. Ha lekin mae tumahri saja ko kam jaroor kar sakta hu. Lekin us ke liye tumhe kathor tap karna hoga apne tapobal se tumhe dev aur poonam ki bhatakti hui aatmao ko khojna hoga wo jaha bhi hae saath hi hae. unhe khojne ke baad tumhe dev ki aatma ko shaktiya ekatrit karne ke liye sadhna me baethana hoga poonam ki aatma bhi saathi hi rahegi jisse wo majboot ban sake. Sahi waqt aane par unhe naya janam milega aur jab unka punarjanam ho to dono ke balig hone tak tumhe intjar karna hoga aur fir tumhe pahle dev ko taiyar karna hoga ke wo apni shaktiya jagaye jab wo taiyar ho jaye to usi ke dwara poonam ko sab yad dilana hoga aur fir yaha tilism nagri me unhe wapas lakar sabse mila dena jo tumhari wajah se bichhade hae un he ek kar do ishwar tum par krapa karege.ho sakta hae usme ek sadi lage ya usse bhi adhik par tumhe apna tap tab tak karna hoga.

Itna sab kah kar guru ji gayab ho jate hae……

……….pashupatinath - dhanyawad guruvar aapne mujh jaese papi par daya ki hae . mae intjar karuga mae intjar karuga dev aur poonam ke wapas aane ka unhe mila ke rahuga mae gurudev.……………………

………………itna kah kar fakeer baba chup ho jate hae aur sab ke chehre dekhne lagte hae.

FB - dev ab ye batane ki jarurat nahi ke wo neech paapi jis ki wajah se ye sab hua wo pashupatinath koi aur nahi balki mae hi hu.

Waha moujud sab unhe dekhne lagte hae. unki ankho me aasu the.

FB – dev poonam mujhe maaf kar do bachcho mae swarth me andha ho gaya tha.

Dev – nahi baba ye to niyati thi jo aapke dwara poori hui aap to maatr ek saadhan the. Lekin ye bhi sach hae ki aaj agar hum sab ek hae to us ke peeche aapki sadiyo ki mehnat hae. usi ki vajah se aaj hum sab ek ho chuke hae. aapne apna prayshchit poora kiya baba. Lekin abhi aapko hame saath dena hae. mae aapko jaane nahi duga.

FB – jaesa tum kaho dev

Dev – baba mera wo pagal dost kaha hae rudra. Wo kahi najar nahi aa raha hae.

FB - dev rudra yaha nahi hae. wo…..wo……..
Fantastic update
 

Tiger 786

Well-Known Member
6,241
22,638
173
UPDATE - 28



Dev – baba aapki jaban kyu ladkhada rahi hae wo thik to hea na? aap bolte kyu nahi kaha hae mera bhai?

FB– dev wo bilkul thik hae. lekin ……………….

Dev – lekin kya baba agar wo thik hae to kaha hae?

FB – prithvi lok me

Dev – kya prithvi pe? Lekin kyu ? Kaha?

FB - jis din wo hadsa hua tha us din use sambhalna sab ke liye behad mushkil ho gaya tha, kintu tumahre diye hue kangan ki wajah se use sab pata chala aur wo shant ho gaya, lekin samasya to waha bhi ho gayi. Kyuki wo khud hi nahi balki us ke saath nilam bhi shant ho gayi. tumahre antim sanskar ke baad rudra aur nilam ek dam gumsum ho gaye. Yaha tak ki wo ek duje se bhi baat nahi karte the na hi milte the.

……. Ye baat mujhe mere guru se pata chali aur unhi ki aagya se mae ek raat nilam ke paas pahucha us waqt bhi wo bas khoi khoi najro se shoonya me dekh rahi thi aur uski aankho se aansu bahe ja rahe the.

FB – nilam………..nilam…………..

Achanak nilam ki tandra tooti aur usne samne dekha

Nilam – aap kaun hae baba?

FB - sab bata duga nilam lekin pahle mere saath aao hame abhi rudra ke pas jana hae.

Fir FB aur nilam rudra ke paas aate hae. is beech na nilam ne kuch kaha na fakeer baba ne

Dono jab Rudra ke ghar pahuche to wo apne ghar ke bahar hi baetha hua tha ek dam udas aur gum sum

Nilam ne jakar rudra ko kandhe se pakad ke hilaya to rudra hosh me aaya

Rudra - are nilam tum yaha is waqt ? kya hua?

Nilam ne Pashupatinath ki taraf ishara kar diya

Rudra - pranam baba

PN - ayushman raho vats

Rudra – aapka is samay aane ka kya karan hae baba

PN – rudra mae jo kahne wala hu use poore dhyan se sunna. ye jo kuch bhi hua us sab ke peeche mera hi swarth tha dekha jaye to is sab ka karan mae hi hu.

Rudra - ye aap kya kah rahe hae?

PN - mae sach kah raha hu.

Rudra – nahi krapya apne shabd wapas le lijiye varna kahi aesa na ho ke mae apna sanyam kho kar koi galti kar baethu mujh par kisi siddh purush ki hatya ka kalank na lag jaye.

PN – ye sambhav hae hi nahi rudra. Isiliye maene kaha ke pahle meri poori baat ko sun lo. fir jo chaho kar lena kintu usse pahle nahi.

Rudra – thik hae baba aap kahiye mae sunuga.

PN – ye sab bahot pahle shuru hua mere man ki lalch ki wajah se tilism nagri ke singhasan ki lalach kintu mujhe apna sapna poora karne ka koi jariya nahi mil raha tha fir ek din mujhe ek mantrik mila aur mae ja kar use mila…………………………………..

PN use poori baat bata deta hae. jise sun kar rudra ek baar fir jor jor se rone lagta hae.

Rudra - ab aap mujhse kya chahte hae?

PN - mujhe mere guru ka aadesh hae bas wahi tumhe batane aaya hu. Lekin usse pahle mae tum dono se kuch janna chahta hu.

Rudra - poochiye

PN – tumne kaha tha ke tum dono apna grahasth jivan tabhi shuru karoge jab dev aur poonam ka shuru hoga. To ab wo is sansar me hae hi nahi kya ab tum apna grahasth jeevan shuru karna chahoge?

Rudra – babaaaaaaaaaaaaaa…………..

……………ye baat yadi kisi aur ne kahi hoti to wo dusri saans lene ke liye jeevit nahi rahta. Mera dev mara nahi hae. wo laut ke aayega. Wo khud bhi kah kar gaya hae. aur abhi aapne hi kaha ke aap use dhundhkar apne pas rakhege aur sahi waqt par use yaha layege to wo mara kaese hae? ha wo hum sab se door jaroor chala gaya hae. isliye ye to sambhav hi nahi ke bina us ke mae sirf apne Vishay me ya apni khushiyo ke Vishay me soch bhi loo. mae apni pratigya jaroor poori karuga. Us ke bina mae vivah nahi karuga . aur agar is intjar me mae mar bhi jau to mujhe parwah nahi.

PN – nilam tumahra kya vichar hae. rudra to vivah dev ke bina karega nahi. To kya tum kisi aur se vivah kar ke apna jeevan bitana chahti ho?

Nilam ek feeki si muskan de kar - baba mera vivah to rudra se usi din ho gaya tha jis din mae pahli baar isse bholenath ke mandir me mili. hamara rishta bholenath ke mandir me tay hua tha. Ab kisi aur se vivah ka sochna bhi mere liye sambhav nahi . mae hamesha rudra ki hi rahugi chahe hamara tan mile ya na mile mujhe bhi koi parwah nahi chahe mujhe kitna bhi intjar karna pade mae karugi.

PN – jeete raho mere bachcho. Mujhe tum dono se yahi ummid thi.

………. Ab suno rudra. Jab dev yaha aayega. Tab tak yu to wo khud behad shaktishali ho chuka hoga. Lekin fir bhi ek cheez hae jo use tum dono hi de sakte ho kyu ki yadi dev wo cheez pana chahe to use dugna samay lag jayega .

Rudra – nahi baba hum nahi chahege ke dev ko samay jyada lage pahle hi aapne kaha ke use bahot samay lagne wala hae. fir kisi aur cheez ko pane ke liye utna hi samay aur lagega to ye uchit nahi. Mujhe bataiye mae use jaldi lane ke liye kya kar sakta hu.

PN – wahi jo ab tak tum dono dost karte aaye ek duje ki sahayta. Jaese dushman adhik hone pe tum dono aadhe aadhe baat lete the aur unhe nipta dete the. Thik waese hi is samay chakr ko bhi tum us ke saath baat sakte ho yadi us ke hisse ka aadha kam tum kar do to use samay aadha lagega. Ho sakta hae jab tum us cheez tak pahucho tab tak dev bhi aa jaye aur fir tumhe wahi aa kar madad karega use pane me.

Rudra – baba khul kar bataiye aap kahna kya chahte hae?

PN – tumhe aur nilam ko bhi wahi tapasya karni hogi jo mae karuga , jo dev aur poonam karege. Meri tapasya se mae tum sab ki madad karuga, dev apne tap se shaktiya hasil karega, poonam apne tap se khud ko tilismi shaktiya aur dev ki shaktiya sambhalne ke liye majbut karegi, tum aur nilam apne tap se ICHCHADHARI banoge aur fir sahi waqt aane par dev aur poonam ke saath mil kar us swarn mani ko hasil karoge. Jiski sahayta se tum bhavishya me aane wale apne dushmano ka naash bhi kar paoge aur us mantrik se badla bhi le paoge kyu ki wo ab tak jinda hae aur is waqt wo bhi apni shaktiya hasil karne ke liye tapasya kar raha hae. yadi wo safal hua to us mani ko hasil kar ke na sirf wo amar ho jayega balki is baar wo dev ko hamesha hamesha ke liye samapt kar dega.

Rudra – us mantrik ko to mae maruga baba use kuchal ke rakh duga jisne is baar mere dev ki jaan li mujhe mere dev se juda kiya. Mae taiyar hu baba.

PN – lekin ek baat ka dhyan rakhna rudra tumhe aur nilam ko hamesha saath rahna hae tum dono hi ichchadhari nag nagin ban jaoge tab tum kahi bhi ja sakoge kisi ka bhi roop le sakoge, tum se bada shaktishali naag ya nagin poore sansar me koi nahi hoga, tum jo ichcha karoge wo poori hogi. Lekin jab tak tum dono ka vivah na ho jaye tum dono ka Milan nahi ho payega . aur yadi tumhara Milan ho gaya. To tumhare SAMBHOG karte hi. Tum dono fir se sadharan nag nagin ban jaoge aur is nag lok me wapas aa jaoge. Tum dono ki sari mehnat vifal ho jayegi. Ha kintu yadi tum chaho to kisi anya strri ke saath sambhog kar sakte ho. Nilam ke alava.

Rudra – aesa nahi hoga baba. Mera vivah dev ke bina nahi hoga aur vivah se pahle nilam ke saath ya kisi anya ke saath mera sambandh bhi nahi hoga.

PN thik hae ab tum dono kisi gupt sthan pe chale jao aur apni tapasya isi waqt se shuru kar do. Ishwar tumhe safal banaye.

Presen time………………

Us ke baaad rudra aur nilam bhi apni tapasya me leen ho gaye. Sab koi apni apni jagah pe jam gaya tha. Aur kamoshi se sab bhavishya me hone wale mahasangram ki taiyariyo me jut gaye the. Wo waqt aur jagah kaun si hogi koi nahi janta tha par sab apni apni taraf se taiyariyo me jut gaye the. Us yuddh ke liye jo abhi kshitij ke us paar tha.

Dev – baba itni der me aapne ye pahli achhi khabar sunai hae. bas itna aur bata de ke mera dost mera bhai kaha hae . aankhe taras gayi hae use dekhne ke liye.

PN – jaese ke maeen bataya ke nilam aur rudra bhi tapasya me leen ho gaye the. To ab unki bhi tapasya poori ho chuki hae aur wo dono h ichhadhari naag nagin ban chuke hae. unhone sach me apna vada nibhaya hae dev, itne varsho tak apni mangetar ke saath akele bitane ke bavjood rudra ne kabhi apni seema paar nahi ki. Usi wajah se aaj na sirf rudra balki nilam bhi sono hi behad shaktishali ban chuke hae. wo tumare gaanv ke bahot najdeek pahuch chuke hae. lekin tum use abhi mat milna kyu ki us mantrik jo ab ek aghori ban chuka hae. us ki najar swarn mani ko hasil karne ke liye hi Nilam pe lagi hui hae. wo rudra ko pakad kar marna chahta hae aur nilam ke saath sambhog kar ke swarn mani hasil karna chahta hae. kyu ki yadi us aghori ne nilam ke saath pratham sambhog kar liya to use bina kisi mehnat ke rudra se bhi badi shaktiya hasil hop jayegi jo ke is waqt nilam ki hae.

Dev krodh me – kaha hae wo aghori baba?

FB – aavesh me mat aao putra ab har kadam soch samajh ke rakhna hae tumhe. Jab tak rudra tumhare gaanv nahi pahuch jata tab tak tumhe bhi uske paas nahi jana hae varna us aghori ko pata chal jayega ke tum aa gaye ho. …………

Dev – to usse kya farak pad jayega baba

FB - use ye pata chalte hi wo rudra aur nilam ko khatam kar dega aur tumhe bhi fir swarn mani hasil nahi hogi. jiski sahayta se us dusht aghori ka nash sambhav hae.

Deva – lekin baba kahi wo rudra ko kuch kar na de.

FB – rudra to pahle se ek mahan yodha hae aur ab to sekdo salo ki tapasya se aur bhi shaktishali ho chuka hae. aur ye mat bhulo ki us ke saath nilam bhi hae. uska ahit itna asan nahi, use marna itna aasan nahi hoga aghori ke liye isse wo swarn mani kho sakta hae. isiliye wo bhi isi intjar me hae jab rudra tumahre gaanv ke jungle ke kareeb aaye to wo use khatam kar sake.

Dev – aesa nahi hoga baba ab to aesa bilkul nahi hoga. “Because I am back bahanchod.”

Sabhi ek saath - kya?????????

Dev – k..k..k..kuch nahi mae ye kah raha tha mae aesa hone nahi duga.

Man me … abe kya bol diya sala ye English kaha se nikal gayi mere mooh se wo bhi tilism lok me.

Idhar rudra aur nilam apni masti me aaram se chale ja rahe the unhe jaldi pahuchna bhi nahi tha kyu ke jis samay unhe us jungle me jana tha wo samay abhi door tha.

Rudra – kya nilam thak to nahi gayi ho?

Nilam – nahi rudra hum thake nahi hae. lekin hame yaha jana hae ye tumhe kaese pata chala?

Rudra – nilam jab hum log tapasya me leen the tab PN mere pas aaye the aur ……………

PN - rudra …………… utho putra tumahri sadhna aaj poori hui

Rudra dheere se aankh khol kar dekhta hae.

Rudra – pranam baba

PN – ayushman bhav putra. Aaj mae fir tumhare paas apne guru ki aagya se aaya hu vats

Rudra - baba kshama chahta hu kintu aap pahle meri utsukta ko shant kijiye.

PN muskrate hue – achcha thik hae pooch?

Rudra - baba mera dev kaha hae, poonam kaha hae?

PN – wo bhi apni tapasya poori kar chuke hae aur unhone to kai saal pahle punarjanam bhi le liya hae.

Rudra – sach baba abhi kaha hae wo? kya wo nag lok me hae ? kya mae unse mil sakta hu?

PN – nahi putra abhi wo waqt nahi aaya kintu jald hi wo wqt aayega jab tum aur dev fir se mil jaoge kintu……

Rudra – kintu kya baba?

Usse pahle tumhe ek karya karna hae

Rudra – aadesh de baba

PN – tumhari aur nilam ki tapasya ka samay poora ho chuka hae aur tum dono poori tarah se ichchadhari ban chuke ho. Aur tum dono ke andar itni shaktiya aa chuki hae ke tum har buri taqat ka samne kar sakte ho.

Rudra – ye sab aapki krapa hae baba

PN - mae tum dono ke sanyam se bhi prasann hu saath rahte hue bhi tum dono ne adbhut sanyam ka parichay diya hae. par ab jyada waqt nahi bacha hae. tum dono turant hi prathvi lok me chandan pur namak jagah jao waha se paedal hi tumhe SURYAGARH ke jungle me jana hae aur wahi jakar tumhe aage ka marg milega aur sambhavtah tumhari mukat dev aur poonam se bhi hogi. Fir tum sab ko ek saath tilism lok aana hoga. Pahle itna rasta paar kar lo fir aage ki baate hum tilism nagri me karege. Kintu isme bahot khatra hae. sawdhani behad jaroori hae. isliye tumhe aur nilam ko jungle me pahuchne tak sawdhan rahna hoga, tum dono apni kisi bhi shakti ka upyog jungle pahuchne se pahle nahi karoge na apni suvidha ke liye na hi kisi ladai jhagde ke liye aur dhyan rahe tumhe us jungle me us din pahuchna hae jis din poonam ki raat ho usse pahle nahi jab tum jungle tak pahuchoge to aage ka marg swayam hi milta chala jayega.

Rudra – baba mae dev se kab miluga?

PN – isshwar behtar jante hae putra kya pata isi safar me tumhe dev mil jaye. Ya ye bhi ho sakta hae ke safar ki samapti pe hi mile. Us ishwar ki maya kisi ko nahi pata hoti. Ab tum dono prasthan karo.

Present time

Rudra - bas fir maene tumhe bhi sadhna se jagaya aur hum yaha ke liye nikal pade lekin. Baba ne pahuchne ka samay bhi nishchit bataya hae varna hum turant waha pahuch jate aur ye bhi kaha ke paedal jana hae apni kisi shakti ka bhi upyog nahi karna hae raste me, na apni suvidha ke liye na hi kisi ladai jhagde ke liye.

Nilam - to chinta kyu karte hae aap? Hum bina koi divya shakti istemal kiye bhi sab pe bhari padege . lekin bhagwan na kare ki koi aesa mouka abhi aaye.

Rudra – ha sahi kaha chalo dekhte hae aage kya hota hae.
Behtreen lazwaab
 

Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159
Thanks Tiger 786 bhai, aapke dher sare reviews ke liye, aur mere un sabhi pathko ka bhi bahot bahot dhanyavaad jinhone is kahani me mujhe yaha tak sath diya aur apna keemti samay diya. ummid ahe is kahani ke ant tak aap sab apna sahyog yu hi dete rahege. abhi to ye sirf 500 page ka ek padav maatr hae aage kahani bahot chalni hae. aap sab ka sath hi ise aur bulandiyo tak le jayega. ek bar fir dhanyavaad aap sabhi logo ka

ab samay hae naye update ka jo bas thodi hi der me aap sab logo ke samne hoga.
 

Boby

Well-Known Member
2,801
13,184
159
UPDATE - 165



Trikal – poonam tum abhi kuchh mat socho. Kyu ki jo mae kahne aaya hu wo sunna jyada jaruri hae………………..



Ab Aage……



…………….tum jo chahte ho, jo lene tum log yaha tak aaye ho itni mushkilo ka samna kar ke, wo yahi isi mahal me hae. Bas use dhundhna tumhare hath me hae. Aur use jitni jaldi dhundho utna hum sab ke liye achha hoga. Kyu ki ye tilism dev aur poonam ke nam bandha hua hae isiliye use kholna to tumhe hi hoga. Lekin dev use dhundhne me tumhare dost bhi tumhari sahayta karege. Mae janta hu ke tum sab ke dilo dimag me bahot se sawal hae lekin un sab ke liye abhi na to ye uchit samay hae na hi mouka aur halaki abhi mae tumhe kuchh bata nahi sakta lekin itna jan lo dev ke tumhare pas samay bahot kam hae tumhe jald hi kahi pe pahuchna chahiye. kaha ye mae nahi batauga abhi. Kyu ke ye mere adhikar chhetra me nahi aata. Par yadi tumne swarn mani dhundh li to shayad tum waha pahuch sako jaha tumhe abhi hona chahiye. Isiliye samay barbad mat karo aur jaldi se wo aakhri tilismi tala dhundho aur fir use kholo. ab hum tabhi milege jab tum wo tilismi tala khol loge jo tumhare nam se hae dhundho use isi mahal me .



Itna kah kar Trikal ya wo roshni ka bindu gayab ho jata hae.



Rudra - bhai ye to hame hamari manjil tak hi le aaye. Lekin kyu? Trikal ne to hame rokne ki koshish ki hame marwane ki koshish ki na.



Rajni - aesa kuchh nahi hae. Trikal ki bato se to lagta hae ke wo hi hame yaha laya aur ab usi ne hame ye bataya ki swarn mani yaha hae. Chalo dhundhte hae.



Dev ka chehra gambheer hota ja raha tha kyu ki use kuchh bure ki ashanka hone lagi thi uska man bechain hota ja raha tha. Usne dhyan laga ka gaanv ke bare me janne ki koshish ki lekin wo safal na ho saka. Jisse uski bechaini aur badh gayi. Usne nagri ki taraf dhyan lagaya lekin use sirf ek dhundh li mahsus hui jisse dev pareshan ho gaya. Tabhi use apne kandhe pe kisi ka hath mahsus hua usne palat kar dekha to samne poonam thi uski bhi ankho me chinta thi.



Poonam – maene bhi koshish ki dev lekin kisi se koi sampark nahi ho pa raha hae trikal ki bato ne jaha hame bechain kiya hae wahi ek halki si ummid bhi to dikhai hae na ke jald se jald swarn mani ko dhundh kar ham yaha se nikal sakte hae to samay barbad mat karo ab to wo swarn mani bhi isi mahal me hae chalo use dhundhte hae fir shayad hamari is nayi samasya ka hal bhi mil jaye pata nahi koun koun khatre me hae dev unhe hamari madad ki jarurat hae. jaldi karo trikal ne kaha hae hamare pas samay kam hae matlab abhi tak to sab thik hae na. bas ye thik halat jyada der nahi rahne wale. To kyu na isi samay me hum yaha se nikal kar un tak pahuch jaye. Chalo dev is tarah himmat harne se kuchh nahi hoga meri jan utho ab chinta chhodo bholenath hae na wo sab sambhal lege. Utho.



Fir sabhi mahal me fail gaye aur koi rasta dhundhne lage. Jaha mani hone ka jara sa bhi andesha hota waha dekhne lage inshort unhone poora din aur rat laga di aur mahal ka kona kona dekh liya lekin unhe koi aesi jagah nahi mili. To wapas wo hall me aa gaye. Koi baetha tha to koi leta tha. Thakawat sab pe hawi ho rahi thi. aur sabke chehro se jahir thi.



rudra bhi ankhe band kar ke soch raha tha kuchh.



Dev – tujhe kya hua bhai?



Rudra - kuchh nahi dev yar is tilism ka koi hal nahi mil raha hae aur ab jab jarurat hae to sala khatera bhi najar nahi aa raha hae. na hi wo shankra aaya hae. udhar Trikal ne bhi kaha hae ke jitna jaldi ho sake tilismi tale ko kholna hae.





Tabhi rudra ki najar Nilam ki taraf jati hae jo apni hi soch me baethi thi gumsum wo bhi shayad is tilismi tale ke bare me hi soch rahi thi aur apni hatho me pahni heere ki anguthi ko ungli me ghum rahi thi gurum ek bar ko to najar hata leta hae lekin tabhi uske dimag me ek dhamaka hota hae wo bar bar Nilam ko uski anguthi ko ghumate hue dekhne lagta hae aur khushi se uchhal padta hae



Rudra - yahooooooooooooooooooo……..



Dev – abe kya hua pet me marod uth rahi hae kya koodne kyu laga?



Rudra teji se uthkar nilam ke pas jata hae aur use utha ke gol gol ghumnae lagta hae. aur sab ke samne hi uske hotho ko jor se chum leta hae



Dev – abe boura gaya hae kya ye kar kya raha hae tu? Agar bolo to hum sab bahar nikal jaye?



Poonam, Rajni yaha tak ki nilam bhi rudra ki aesi harkat se uljhan me thi aur nilam to sharam se gadi ja rahi thi rudra ki harkato se.



Nilam kya hua ji aapko ? ye kar kya rahe ho utaro mujhe neeche dev bhaiya aur poonam didi ke samne aap ye kya kar rahe hae?



Rudra – are meri jan tu nahi jant tune kya kiya hae are teri wajah se mere dimag ka bulb jala hae isiliye tujhe utha ke jhum raha hu mae.



Aur dev mere yar na to mae pagal hua hu na hi bouraya hu. mae isiliye khush ho raha hu kyu ki mujhe 99.9% lagta hae ke maene ye tilismi tala khol diya hae.



Dev, poonam, rajni aur nilam charo khushi aur ascharya se rudra ka chahakta hua chehra dekh rahe the.



Dev – 99.9% nahi mere yar tune 100% sahi socha hoga jo bhi socha hoga kyu ki Fakeer Baba ne kaha tha ke tere aur nilam ke bina yadi hum swarn mani tak pahuch bhi gaye to asani se wo mani nahi la payege lekin yadi tum dono hoge sath me to hame jyada dikkate nahi hogi. Isiliye wo tala to tere aur nilam ki wajah se hi Khulna tha ab bata kaha hae rasta.



Rudra aese nahi batauga balki wo tala khol ke dikhauga.



Ek kam karo Dev wo hira de jara jo tujhe raja ne diya tha. Us nagri se jab hum log nikal rahe the



Dev ne turant apni jeb se wo hira nikal ke rudra ko diya.



Rudra – bhabhi aap bhi wo hira mujhe dijiye



Poonam ne bhi turan apni bra me hath dal ka hira nikala aur rudra ko diya. Rudra daudta hua usi sone ke hiran ke pas gaya aur hirna ki khali ankho ko dekhte hue bhagwan ko yad kiya aur dheere se ek ek hira hiran ki suni lekin jalti hui ankho me fit kar diya. Hire asani se baeth gaye.



Rudra – yahooooooooooo mil gaya rasta devvvvvvvvvvvv…………

…………wo raja ne jo hire diye the wo hire nahi hae is sone ke hiran ki ankhe hae ye dekho wahi hire is hiran ki ankh wali jagah pe kaese fit baeth gaye hae.



Sabhi waha aa kar dekhte hae. Sach me hire aese lag rahe the jaese hiran ki ankhe ho.



Nilam - lekin agar ye koi raz hota ya tilism hota to aankhe lagate hi kuchh hota na yaha to kuchh hua hi nahi.



Poonam - hoga bhi nahi. Kyu ki tilism dev aur mere nam se bandha hae. Rudra wo hire nikal ke hame do



Rudra ne hiran ki ankh se hire wapas nikal ke ek ek hira dev aur poonam ko de diya. Aur peeche hat gaya. Ab hiran ki ankh me dev ne hira fit kiya aur dusri ankh me poonam ne. fir bhi kuchh nahi hua. Wo log dhayn se hiran ko hi dekh rahe the ke tabhi us plate farm me halchal hone lagi…………



…………. Sabhi log jhatke se plate farm se neeche kood gaye aur plate farm dheere dheere apni jagah se sarakne laga. Koi 5-7 minut tak wo sarakta raha aur akhir me wo ruk gaya. Sabhi aage badhe aur us khali jagah ko dekhne lage jaha seedhiya thi lekin andhera bhi tha. Dev ne poonam ka hath tham ke apna kadam aage badaya aur fir poonam bhi aage badhi jaese hi dono ke kadam pahli seedhi pe pade waha bharpoor jagmagahat ho gayi har cheez saaf najar aane lagi. To dev aur poonam neeche utarte chale gaye peeche peeche rudra nilam aur rajni bhi aane lage. Jab wo neeche pahuche to waha ek shaks khada muskra raha tha. Uske baal bahot lambe the kala labada type ka kuchh pahne wo apni ghani dadhi mooch me khada tha. Use Dekhte hi aam insane dar jaye itna bhayanak lag raha tha.



…… aao dev poonam mae tumhara hi intjar kar raha tha. Aaj Trikal ke samne aakar tumne usi ka tilism toda hae mae tumse behad khush hu



Dev – Trikal…………. kya ye aap ho?



Trikal – ha mae hi hu. Trikal…………………
 

Luffy

Well-Known Member
7,017
29,129
218
UPDATE - 165



Trikal – poonam tum abhi kuchh mat socho. Kyu ki jo mae kahne aaya hu wo sunna jyada jaruri hae………………..



Ab Aage……



…………….tum jo chahte ho, jo lene tum log yaha tak aaye ho itni mushkilo ka samna kar ke, wo yahi isi mahal me hae. Bas use dhundhna tumhare hath me hae. Aur use jitni jaldi dhundho utna hum sab ke liye achha hoga. Kyu ki ye tilism dev aur poonam ke nam bandha hua hae isiliye use kholna to tumhe hi hoga. Lekin dev use dhundhne me tumhare dost bhi tumhari sahayta karege. Mae janta hu ke tum sab ke dilo dimag me bahot se sawal hae lekin un sab ke liye abhi na to ye uchit samay hae na hi mouka aur halaki abhi mae tumhe kuchh bata nahi sakta lekin itna jan lo dev ke tumhare pas samay bahot kam hae tumhe jald hi kahi pe pahuchna chahiye. kaha ye mae nahi batauga abhi. Kyu ke ye mere adhikar chhetra me nahi aata. Par yadi tumne swarn mani dhundh li to shayad tum waha pahuch sako jaha tumhe abhi hona chahiye. Isiliye samay barbad mat karo aur jaldi se wo aakhri tilismi tala dhundho aur fir use kholo. ab hum tabhi milege jab tum wo tilismi tala khol loge jo tumhare nam se hae dhundho use isi mahal me .



Itna kah kar Trikal ya wo roshni ka bindu gayab ho jata hae.



Rudra - bhai ye to hame hamari manjil tak hi le aaye. Lekin kyu? Trikal ne to hame rokne ki koshish ki hame marwane ki koshish ki na.



Rajni - aesa kuchh nahi hae. Trikal ki bato se to lagta hae ke wo hi hame yaha laya aur ab usi ne hame ye bataya ki swarn mani yaha hae. Chalo dhundhte hae.



Dev ka chehra gambheer hota ja raha tha kyu ki use kuchh bure ki ashanka hone lagi thi uska man bechain hota ja raha tha. Usne dhyan laga ka gaanv ke bare me janne ki koshish ki lekin wo safal na ho saka. Jisse uski bechaini aur badh gayi. Usne nagri ki taraf dhyan lagaya lekin use sirf ek dhundh li mahsus hui jisse dev pareshan ho gaya. Tabhi use apne kandhe pe kisi ka hath mahsus hua usne palat kar dekha to samne poonam thi uski bhi ankho me chinta thi.



Poonam – maene bhi koshish ki dev lekin kisi se koi sampark nahi ho pa raha hae trikal ki bato ne jaha hame bechain kiya hae wahi ek halki si ummid bhi to dikhai hae na ke jald se jald swarn mani ko dhundh kar ham yaha se nikal sakte hae to samay barbad mat karo ab to wo swarn mani bhi isi mahal me hae chalo use dhundhte hae fir shayad hamari is nayi samasya ka hal bhi mil jaye pata nahi koun koun khatre me hae dev unhe hamari madad ki jarurat hae. jaldi karo trikal ne kaha hae hamare pas samay kam hae matlab abhi tak to sab thik hae na. bas ye thik halat jyada der nahi rahne wale. To kyu na isi samay me hum yaha se nikal kar un tak pahuch jaye. Chalo dev is tarah himmat harne se kuchh nahi hoga meri jan utho ab chinta chhodo bholenath hae na wo sab sambhal lege. Utho.



Fir sabhi mahal me fail gaye aur koi rasta dhundhne lage. Jaha mani hone ka jara sa bhi andesha hota waha dekhne lage inshort unhone poora din aur rat laga di aur mahal ka kona kona dekh liya lekin unhe koi aesi jagah nahi mili. To wapas wo hall me aa gaye. Koi baetha tha to koi leta tha. Thakawat sab pe hawi ho rahi thi. aur sabke chehro se jahir thi.



rudra bhi ankhe band kar ke soch raha tha kuchh.



Dev – tujhe kya hua bhai?



Rudra - kuchh nahi dev yar is tilism ka koi hal nahi mil raha hae aur ab jab jarurat hae to sala khatera bhi najar nahi aa raha hae. na hi wo shankra aaya hae. udhar Trikal ne bhi kaha hae ke jitna jaldi ho sake tilismi tale ko kholna hae.





Tabhi rudra ki najar Nilam ki taraf jati hae jo apni hi soch me baethi thi gumsum wo bhi shayad is tilismi tale ke bare me hi soch rahi thi aur apni hatho me pahni heere ki anguthi ko ungli me ghum rahi thi gurum ek bar ko to najar hata leta hae lekin tabhi uske dimag me ek dhamaka hota hae wo bar bar Nilam ko uski anguthi ko ghumate hue dekhne lagta hae aur khushi se uchhal padta hae



Rudra - yahooooooooooooooooooo……..



Dev – abe kya hua pet me marod uth rahi hae kya koodne kyu laga?



Rudra teji se uthkar nilam ke pas jata hae aur use utha ke gol gol ghumnae lagta hae. aur sab ke samne hi uske hotho ko jor se chum leta hae



Dev – abe boura gaya hae kya ye kar kya raha hae tu? Agar bolo to hum sab bahar nikal jaye?



Poonam, Rajni yaha tak ki nilam bhi rudra ki aesi harkat se uljhan me thi aur nilam to sharam se gadi ja rahi thi rudra ki harkato se.



Nilam kya hua ji aapko ? ye kar kya rahe ho utaro mujhe neeche dev bhaiya aur poonam didi ke samne aap ye kya kar rahe hae?



Rudra – are meri jan tu nahi jant tune kya kiya hae are teri wajah se mere dimag ka bulb jala hae isiliye tujhe utha ke jhum raha hu mae.



Aur dev mere yar na to mae pagal hua hu na hi bouraya hu. mae isiliye khush ho raha hu kyu ki mujhe 99.9% lagta hae ke maene ye tilismi tala khol diya hae.



Dev, poonam, rajni aur nilam charo khushi aur ascharya se rudra ka chahakta hua chehra dekh rahe the.



Dev – 99.9% nahi mere yar tune 100% sahi socha hoga jo bhi socha hoga kyu ki Fakeer Baba ne kaha tha ke tere aur nilam ke bina yadi hum swarn mani tak pahuch bhi gaye to asani se wo mani nahi la payege lekin yadi tum dono hoge sath me to hame jyada dikkate nahi hogi. Isiliye wo tala to tere aur nilam ki wajah se hi Khulna tha ab bata kaha hae rasta.



Rudra aese nahi batauga balki wo tala khol ke dikhauga.



Ek kam karo Dev wo hira de jara jo tujhe raja ne diya tha. Us nagri se jab hum log nikal rahe the



Dev ne turant apni jeb se wo hira nikal ke rudra ko diya.



Rudra – bhabhi aap bhi wo hira mujhe dijiye



Poonam ne bhi turan apni bra me hath dal ka hira nikala aur rudra ko diya. Rudra daudta hua usi sone ke hiran ke pas gaya aur hirna ki khali ankho ko dekhte hue bhagwan ko yad kiya aur dheere se ek ek hira hiran ki suni lekin jalti hui ankho me fit kar diya. Hire asani se baeth gaye.



Rudra – yahooooooooooo mil gaya rasta devvvvvvvvvvvv…………

…………wo raja ne jo hire diye the wo hire nahi hae is sone ke hiran ki ankhe hae ye dekho wahi hire is hiran ki ankh wali jagah pe kaese fit baeth gaye hae.



Sabhi waha aa kar dekhte hae. Sach me hire aese lag rahe the jaese hiran ki ankhe ho.



Nilam - lekin agar ye koi raz hota ya tilism hota to aankhe lagate hi kuchh hota na yaha to kuchh hua hi nahi.



Poonam - hoga bhi nahi. Kyu ki tilism dev aur mere nam se bandha hae. Rudra wo hire nikal ke hame do



Rudra ne hiran ki ankh se hire wapas nikal ke ek ek hira dev aur poonam ko de diya. Aur peeche hat gaya. Ab hiran ki ankh me dev ne hira fit kiya aur dusri ankh me poonam ne. fir bhi kuchh nahi hua. Wo log dhayn se hiran ko hi dekh rahe the ke tabhi us plate farm me halchal hone lagi…………



…………. Sabhi log jhatke se plate farm se neeche kood gaye aur plate farm dheere dheere apni jagah se sarakne laga. Koi 5-7 minut tak wo sarakta raha aur akhir me wo ruk gaya. Sabhi aage badhe aur us khali jagah ko dekhne lage jaha seedhiya thi lekin andhera bhi tha. Dev ne poonam ka hath tham ke apna kadam aage badaya aur fir poonam bhi aage badhi jaese hi dono ke kadam pahli seedhi pe pade waha bharpoor jagmagahat ho gayi har cheez saaf najar aane lagi. To dev aur poonam neeche utarte chale gaye peeche peeche rudra nilam aur rajni bhi aane lage. Jab wo neeche pahuche to waha ek shaks khada muskra raha tha. Uske baal bahot lambe the kala labada type ka kuchh pahne wo apni ghani dadhi mooch me khada tha. Use Dekhte hi aam insane dar jaye itna bhayanak lag raha tha.



…… aao dev poonam mae tumhara hi intjar kar raha tha. Aaj Trikal ke samne aakar tumne usi ka tilism toda hae mae tumse behad khush hu



Dev – Trikal…………. kya ye aap ho?



Trikal – ha mae hi hu. Trikal…………………
Superb update
 
Top