Click anywhere to continue browsing...
Click anywhere to continue browsing...
Thoda job k wajah se pareshan hun . Other city me job hai . Work load bhi hai . To dimag chal nahi raha yaar .
Click anywhere to continue browsing...
Position | Benifits |
---|---|
Winner | 4000 Rupees + ![]() |
1st Runner-Up | 1500 Rupees + ![]() |
2nd Runner-UP | 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) |
3rd Runner-UP | 750 Rupees + 1000 Likes |
Best Supporting Reader | 750 Rupees + ![]() |
Members reporting CnP Stories with Valid Proof | 200 Likes for each report |
Click anywhere to continue browsing...
Update likh raha hun . Aaj raat ya kal subah tak post karunga . Back to back 4 updates.
Click anywhere to continue browsing...
Koshish kar raha hun bas dostjabardast fantasy likh rahe ho dost.
Click anywhere to continue browsing...
बहुत ही शानदार और लाजवाब अपडेट है#update 45
" ab tumhara agla sawal ka samadhaan karte hai "
shivkesh baba je aisa kehte hi ajinkya aur aashi unki taraf dekhne lagte hai . Shivkesh baba muskuraate hai aur bolte hai
" tum yahi puchhna chah rahe ho na k brahmshira (ब्रह्मशिरा) kya hai ? "
Ajinkya chakit hote hue " ji baba mai yahi puchhna chah raha tha "
shiveksh aashi ki taraf dekh rahe the. Ashi muskura rahi hai " devi aapko to yah pata hi hoga k brahmshira kya hai "
ashi : haa shivkesh mujhe pata hai lekin tum hi batao abhi ye sab ,bas mujhe ye janna hai k ajinkya ka us astra se kya sambandh hai
Ajinkya ashcharya se ashi aur shivkesh ke taraf dekhta hai , shivkesh baba bolna shuru karte hai
" dekho ajinkya , tumko to Mahabharat aur ramayan ke baare me pata hi hoga "
ajinkya : ji baba pata hai
shivkesh : to phir tumko brahmastra (ब्रह्मास्त्र) ke baare me pata hoga
ajinkya : ji baba pata hai mujhe. Sabse khatarnak hathiyar tha ye . Iske upyog se hi dharti ka vinash sambhav tha . Brahm strot me iska varnan hai aur bhagwat geeta ,vishnu strot me bhi iski jankari milti hai . Aur iske karyashaily ko adhar maan kar parmaanu bomb banaya gaya tha .
shivkesh : hmmm to ab suno ! Brahmastra se bhi lakho guna khatarnak hathiyar tha brahmshira . Yah ek teera jaisa astra tha . Iske aagle ke nukile bhaag par bhrahm ji ka choutha kata hua sheesh hai . Aur ye brahmastra ko apne andar samaane ki kabiliyat rakhta hai . Iska upyog ashwatthama ne pandavo ke upar kiya tha aur uske jawab me arjun ne ashwatthama ke upar kiya tha lekin guru drionacharya ke kehna par ashwatthama ko chhod diya tha. Lekin astra to kamaan se nikal gaya tha to use kahin to sheetal karna hi tha . Tab arjun se us astra ko gomukh me sheetal hone ka adesh diya tha .
shivkesh baba ye kehte hue ruk gaye , table par rakhe glass ko utha kar paani pine lage . Lekin ajinkya ashcharya chakit tha aur ashi bas muskurate hue baba ki baatein sun rahi thi .
shivkesh : ab main tumhara isse sambandh batata hun . Jab brahmshira astra arjun ke dwara bataye gayi jagah me jaa kar shieetal hone laga lekin uski suraksha bhi to karni thi tab arjun ne shri krishna se madad maangi to shri krishna ne apne yog bal se ek pariwar ka nirmal kiya aur unhe aadesh diya ke tumhare is astra ki raksha karni hai . Aur yah kartavya ya jimmedari peedhiyonse chalti aa rahi hai . Aur ab is peedi ka vanshaj tum ho. Tumhare hi divya khoon se wah astra sakriy hoga . Isliye log tumhare pichhe pade hai .
ye sunte hi ajinkya ke sath sath aashi bhi chounk gayi . Ye jaankari uske liye ekdam nayi thi .
dusre taraf kahi door disre shehar me wo nakab wali aadmi ek bade se kamre me jaha sirf ek pili roshni wala bulb timtimaa raha tha waha yo yog mudra me aankhe band karke baitha hua tha bahut der se . Aisa lag raha tha jaise wah dhyan me rah kar kuch khojne ki koshish kar raha tha .
tabhi uska paaltu aadmi aaya
admi : boss ! Boss ! Aapko ek khabar deni hai
Nakab wala aadmi aankhe moonde hue hi halki se muskurahat leta hai aur bina pichhe mude bolta hai
" yahi na ke wo ladka wapas shehar aa gaya hai "
admi : ji boss yahi khabar thi . Ab humare liye kya aadesh hai
nakab wala aadmi utha aur aadmi ke saamne aaya aur bola
" bas uske upar nazar rakho ,wah kahan jata hai ,kisse milte hai ,kya karta hai . Uske har activities par nazar rakho "
Yah sunte hi wah aadmi sar jhukata hai aur chala jataa hai aur wah nakab wala aadmi apne aap se hi kehta hai
" ajinkya main wapas aa gaya hun teri jaan lene . Tere raktabse brahmshira ko jagaunga aur is duniya par raaj karunga hahahahahahah , dekh dekh upar wale dekh kaalnemi wapas aa gaya hai "
"
Click anywhere to continue browsing...