aapki dwara likhe gaye har shabd hawaon mein bhi ek nasha bikhed de ki thoda sa jo ye nasha yun readers pe bhi chaane laga....Haan yahi to hai wo wajah jo har update padhne mein aaye readers ko maza...Aap jis tarah likhte hai... readers ko baithe bithaye jannat dikha de.... Update ka har ek shadb jaise pehli barish ki bunde ki tarah hai..... padhte waqt lage ki kirdaar jaise ankhon ke samne bhumika nibha rahe ho.... Sach mein jis tarah se erotic roop mein bhumika nibha rahe hai kirdaar, readers ko majboor kar de unke sath judne ke liye... yahin to aapki lekhni ka jaadu hai.... naye post kiye sabhi Update bahot hi dilchasp aur dilkash the...
Lekhak ki soch aur kalpna ko manna padega ki jis tarike se apne Kalpana jariye aise shabdo ka roop deke kahani mein darshaya hai... sach mein saraahaneeya aur prashansaniya hai..
kahani mein ek romance, erotica ke sath sath ek manmahok mahol banane mein aap mahir hai... jishe padhte waqt kahani ki prati dilchaspi badhti jaye...
aur jo scenes create ki hai kahani ke har ek point pe wo sach mein adbhut aur kabile tarif hai... jagah, paristhiti, waqt aur kirdaar... kaise, kaha, kis tarah se, kis karm mein rahenge kahani mein bhumika nibhate huye iska sathik mulyankan karke update ko jis tarah pesh ki hai hum readers ke samaks wo apne apme bemisaal hai..
Kahani shadharan si dincharya ho ya sadharan si ghatana (erotic scenes) lekin writer sahab usko apni kalam ke jaadu se jaan daal dete hai... itna manoram aur manoranjanmay kar dete hai ki sadharan baatein bhi apne apme aasadhaaran ho jaati hai... ...
Erotica ko ek alag hi level pe le gaye hai write sahab ne...
Lekhak fantasy ho ya erotica ho ya phir romantic topic ko kayi baar soch vichar kar lete hai ki kis tarah se pesh ki jaye taaki readers us topic ko padhte waqt unko real si lage... wo acceptable ho... aur padhne mein maza bhi aaye... aur entertaining bhi ho...
The story is turning according to the need, due to which the story is becoming more interesting & erotic ..
The story has quite a enthralling twist..
The qualities and passion of a writer is that through the character of story , make story's name meaningful. In which you were completely successful..
In truth, story is becoming even more interesting with the increasing updates.
kam shabdon mein kaise kayi chaare interesteing erotic mod aur pehlu add ki jaaye is mamle mein writer sahab mahir hai.. isliye to update sarvashresth hote hai Har baar ....mujhe koi wajah najar nahin aayi ki main is update se koi kami nikalu..
Lekin, lekin.. lekin.....
jism ki bhukh ke chalte sare rishte tod diya...
Hawas ki aag mein jalte log kaise har riste ko tod dete hain. kaise maryada ko tod madod ke potli mein bandhke bahti vasna ki dariya mein baha dete hai, in baaton ko kahani ke ne kahani mein prove Kar diya hai ... jisme woh Sabhi sampoorn roop se kamyab bhi rahe...
Khair.... mujhe kya......
jiski jo marji aaye wo kare
tulsi is sanshar mein bhaanti bhaanti ke story characters : popcorn:
chalo thodi bahot aur prashansa ki jaaye ....
shayad ye ek kahanikar ki sabase badi vijay hoti hai ki jab unke readers is had tak kahani kaar ki lekhni mein kho jaate hai ki ushe kahanikaar ki kalpana ko sach lagane lagate hai...
bahut hi dilchasp update taiyar kiye gaye hai.. na koi extra material cheejen baat add huyi hai aur na hi koi mann ubaoo masaala..... Lead kirdaaro ki activities aur sath side kirdaaro ki activities ko bilkul perfect way mein dikhaya gaya hai....
kamyab to is mamle mein rahe aap ki chahe kirdaar koi bhi ho lekin kahaani ke liye taamam wo kirdaar utna hi jaruri hai jitna lead characters
Kuch baatein bhale bahut jyada nayi na ho...lekin kahani suruwat se ant tak pesh karne ka tarika aur likhane ke tarike se ek freshness bani rahi.. Shabdo ke khubsoorat jaal bune hain aapne, jiski wajah se padhane ka maja badh jata hai..
Well... Kanchan hi mahanayaika rahi kahani mein adi se ant tak..... lekin puri kahani padh ke lage ki writer sahab sirf kanchan hi nahi balki baaki ke kirdaaro bhi ek saman importance de Rahe hai..
.. specially the way you have written it.
Btw har situation ko pesh karne ka tarika aur prastutikaran nirala tha... lage ki update aur zyada bada hota to..... like mega update.... flow badhiya hai....
Well Let's see what happens next
Brilliant story line with awesome writing skills
Dungeon Master