If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Ab tak hamne jana ki rockey ko wo tillasmi jungle apni sachayi to nhi batata hai, par rockey ke man aur paap vichar ko lagbhag badal deta hai. Uske kukarm maafi layak to nhi hai, lekin kahte hai na ki dusra chance to bhagvaan bhi deta hai, aur wo tillasmi jungle to tha hi bhagvaan ka racha hua ek bharm jaal. To jab unki ichha thi rockey ko dusra chance dene ka to usme bhala koi bhi kya kar sakta hai. .
.
.
Ab aage...
.
Ek bhaag daud baali subah , aaj bijendra ji ke haveli me radhika subah 6 baje hi uth chuki thi, raghav abhi bhi radhika se kuchh naraz tha, lekin ab usse bhi ye baat samajh aa chuki thi ki radhika ne jo bhi kiya tha wo kisi aur ke chaal me aakar kiya, issiliye ab wo radhika se thoda thoda baat kar liya karta tha. Jaise khane ke samay khana mang lena. Yaa fir pinki se related kuchh baate kar lena... Pichhle raat Raghav dusre room ke bajay apne room me hi radhika ke sath soya tha. . . Jisse radhika ko bhi achha laga tha. ..
Hamesha ki tarah aaj bhi haveli me sabse pahle radhika hi jaagi thi. Waise to roz wo subah jaag kar apne nit kaam kar ke aaram se kitchen jaati thi, shirf nashta hi to banana hota tha usse, par aaj... Aaj to usse bahot saare kaam karne the... Darasal aaj sham tak kishan ko bhi apne shahar bhopal nikalna tha. Radhika ne kishan aur rajnish ke liye bahot saare pakvaan bana kar bhejne ko socha tha. Issiliye wo aaj subah se hi iski taiyaari me lagi huyi thi, waise to haveli me naukaro ki kami nahi thi. Lekin fir bhi radhika kitchen ka sara kaam wo khud hi dekha karti thi.
Ek kaaran aur tha aaj radhika ke itne vyast din hone ka...
Aaj kalpana aane baali thi, shadi ke baad aaj wo pahli baar apne pati ke sath wapas apne mayika aane baali thi, rachna bhi aa rhi thi uske sath... Aur ussi ke swagat ke liye radhika haveli ke baaki naukaro ke sath sabhi taiyari me lagi huyi thi. Aaj bahot kaam karne the usse.
Subah apne niyamit samay se raghav bhi jaga. Usne dekha ki radhika pahle hi uth chuki hai lekin pinki abhi bhi usse kas ke hug kar ke so rhi hai.
Raghav pinki ko achhe se lita kar. Pahle fresh ho jata hai. Aur uske baad wo apne kapde pagan kar jaise hi niche jata hai. Wo dang rah jata hai.
Abhi to mahaz sadhe aath hi baje the ghadi me aur radhika ne naukro se bol kar haveli ke angan me charo tafar genda ke fulo se sajva diya tha. Sabhi stambho me fulo se bane huye bade bade lariya lagayi ja chuki thi. Aur abhi aur bhi bahot saare lariya lagayi jaani thi.
Raghav ki nazar uske pita bijendra ji par gayi jo ki ek pathani coat pahne wahin angan me lage sofe pe baithe akhbaar padh kar mushkura rahe the.
"Are, bhala kyun nhi jaage ham... Aaj hamari beti aur zamayi pahli baar hamare ghar aa rhe hai. Mujhe to sabse pahle taiyaar hona hi tha. "
" Ji pita ji, waise achhi sajabat karvaye hai aap... Kalpana ko ye fool bahot pasand hai. Wo bahot khus ho jayegi isse dekh kar "
" Haa wo to hai, lekin maine nahi bola tha ye sajavat karne... Ye to bahu ne karbaayi hai. Aakhir kalpana uske liye nanad se jyada ek sakhi aur bahan jo hai. Issiliye to subah se yahi sab me lagi hai wo. "
Apne pita ki baat ko sun kar kuchh bolne ko aaya Raghav... Lekin uske lab wapas ruk gaye.. Jisse bijendra ju ne bhi mehsoos kar liya.
" Dekhi raghav beta, pati patni me to mat bhed, hote hi rahte hai. Iska ye matlab thode hai ki pati apne patni se rishta hi tod de. Yaa fir usse baat karna hi chhod de. Tumhe bhi pata hi hoga ki aisa karna se takleef dono taraf hoti hai. Aur uss takleef me sabse jyada jakhm un dono ke santan ko milti hai jinhe bas apne mata pita ke prem ko paane ki lalsa hoti hai.
Ek baat sadaib yaad rakhna... Galtiya maaf karne se hi inshan mahan banta hai . Ugrta sadaiv inshan ko galat rashte pe le jaati hai. Tumhe ek din uss jagah pe jana hai jahan abhi mai hun.. Aur mujhe achchi tarah se pata hai ki, Uss jagah pe agar hamsafar saath na ho to kitni pareshani hoti hai, beta... Tumhari maa se bhi meri bahot Sare mudde pe bahas ho jaya karti thi, lekin ham kabhi bhi unn ladayiyon ko apne vaivahik zeevan pe haavi hone nahi diye. Fir bhi tumhari maa ham sabhi ko samay se pahle chhod kar chhod kar chali gayi...
Mujhe pata hai bete, kai mai tum sab ko pala hun... Kalpana to uss waqt utni hi umra ki thi jitni aaj pinki hai... Mai nahi chahta ki pinki bhi wahi din dekhe jo ek samay par mere kalpi ne dekha hai. Apna gussa thook kar ek nayi suruaat karo beta... Ek nayi suruaat karo... "
Bijendra ji, thode bhavuk ho gaye the apne bete ko samjhate huye. Unhe lagne laga tha kj agar uske bete aur bahu ke rishte me agar aisa hi thehrav aa jayega to iska sabse bura parbhav uss maasum bachi pe padega jise uski maa bhi utni hi pyari hai jitna ki uske pita.
Aur bijendra ji ko ye bhi bhay tha ki radhika apne pashchatap ki agni me jalte jalte kahin khud ko kho baithi . Kahin apne aap ko har baat ka kasurbaar mante huye wo apne aap ko mitane ka soch baithi.
Tab uske parivaar ka kya hoga. Unki poti ka kya hoga. Inhi vicharo ne aaj bijendra ji ko Raghav se baat karne par mazboor kar diya tha.
Raghav ka man to pahle se hi radhika ko maaf karne ke prati, aage badhne lagi thi. Kishan ke samjhane ke baad se wo radhika se kuchh baat bhi karne laga tha. Lekin ab jab uske pita ji tathyo aur apne anubhavo ke madhyam se vaivahik zeevan ke niyami ko bataye, tab jakar raghav ne ye nirnay le liye hai ki wo ab sab kuchh bhool kar apni nayi suruaat karega.
" Ji pita ji, aap jaisa kahe, waise bhi mai ne radhika ko maaf kar diya hai. Kal kishan ne bhi mujhme se issi baare me baat kiya tha "
" Achhaaa,... Ha ha ha... Wo ladka bhi jija ji jaisa hi niklega. Har baat par sahi salah dene bala. Waise hai kahan wo "
" Aaaj usse bhi jana hai na pita ji, to shayad fresh ho kar taiyari kar raha hoga apni "
" Ooo, achha hai... Waise bhi uski padhayi bahot chhoot gayi hogi inn shadi vyaah ke chakkar me . Waise wo akele ja rha hai ya fir usse chhodne ja rhe ho tum "
" Bade jamayi ji se baat huyi hai pita ji, unhone ke kahan hai ki rachna aur kalpana ke sath wo bhi aa rhe hai apni gaadi se, aur shaam tak unhe vapas indore jana hai. To kishan aur rajnish ko unke ghar tak wo hi drop kar denge "
" Ye bhi achhi baat hai... Aahh... Chalo... Bhai.. Jara dekho... Nashta washta taiyaar hua ki nahi... Aur ye hamari dall kahan hai aaj... Pinki bitiya abhi tak so rhi hai kya "
" Haaa pita ji, wo so hi rhi thi.. Mai............ "
" Mai kya mai..... Dada ji... Apke bete aur mere appa ne mujhe jagaya hi nhi... Aur mamma ne bhi mujhe nhi jagaya . Mai raat ko mamma ko pahle hi bol di thi ki kal mere pyari buaa aarhi hai to mujhe subah jaldi se jaha dena aur mai jaldi se fresh ho kar taiyaar ho jaungi apni bua aur fuffa ji se milne ke liye. Par na to mamma ne mujhe jagaya aur na hi papa ne... Bad mamma aur bad papa... "
Abhi, bijendra ji aur unke suputra Raghav thakur apni baate kar hi rahi thi ki, sidhiyo se pinki bilkul fresh taaze kamal ke fool jaise... Neele frock me chalte huye neeche aati huyi.. Apne maa aur pita ka shikayat karne apne dada ke God me aa baithi. Jisse sun bijendra ji to thahake laga kar hasne lage. Aur apni poti se pyari pyari baate karne lage.
Wahin Raghav kitchen ke taraf badh chala....
Wahan pahonch jaise hi usne apni patni ko dekha, wo dang rah gya. Radhika paseene me poori bheegi huyi thi.
Uske paas teen ketali bhar ke alag alag pakmaan banate huye the, jise abhi abhi radhika tel me chhan kar nikali thi.
Gas teen chulhe baali thi, ek pe radhika nashta ke liye sabji chadha ke usme chholni chala rhi thi, to wahi dusre me pulav chadha hua tha . Aur teesre pe wo tarah tarah ke pakmaan ki chhan rahi thi.
Radhika saadi ko peechhe se ghuma kar apne aage kamar me khonshi huyi thi. Wo poore lagan se apne kaam ko kar rhi thi. Fir bhi uske chehre par tanik bhi thakavat nhi dikhayi de rahi thi.
Raghav, apna kadam kitchen ke andar badhata hai, aur Radhika ke nazdeek jakar khada ho jata hai.
Tabhi Radhika kuchh lene ke liye peechhe ki or anjhatke me mudti hai, aur Radhika poori ki poori raghav ke chaude seene me takra jaati hai... Ya fir ye kah sakte hai ki usme sama jaati hai....
.
.
.
.
.
"Bhrata sarnak, mujhe aisa kyun pratit ho rha hai ki hamare taraf kisi buri sakti ka aagaman ho rha hai, koi buri sakti, koi kaali sakti hamare taraf hi aane vala hai "
"Uchit kahe bhrata barnak, par mujhe apne aaradhya pe purna bharosha hai bhrata, unhone yahan ki rachna hi aise ki hai ki yahan bure ikshao ke saath koi bhi paapi pahinch nahi sakta hai. "
" Sahi kaha bhrata, tabhi to kal uss papi manushya ko yahan se ek achhi zindagi ki seekh dekar hamne usse bahar fikva diya "
"Ye zaruri tha barnak, ham to chahte to usse issi jungle me dafan kar dete, par uss inshan ke hatho se bahot mahatwapurna karya hone hai. Jiske liye usse zinda rahna anivarya tha. "
Ek ghane jungle ke beech bane ek bahut bade , vishal mandir ka drisya tha ye. Uss mandir ke darvaaje pe do bade bade naag ki murtiya bani huyi thi. Aur jinki ye murtiya thi. Wohi filhal ye baate kar rahe the. Jo ki filhaal uss mandir ke sabse upari shira pe baithe poore jungle pe nazar rakh rahe the.
In do naago ka naam sarnak aur barnak tha, jisse swayam ishvar ne yahan pe pahredaari karne ka karyabhar saupa tha.
Aur jiss mandir ki ye pahredaari kar rahe the ye wohi rudramandir tha jiski ghantiyo ki aawaz kishan ko theek se sone nhi de rhi thi.
Ye dono devnaag the. Inme devo jitni hi shaktiyan thi.
Sarnak - waise bhrata bharnak, jis tarah se hamne kal uss balak ka pariksha liya tha. Kya ussi prakar hame unka bhi pariksha lena hoga. Jinka intezaar hame karne ko hamare aradhya me bola tha.
Barnak - usse bhi kathin pariksha se unko guzarna hoga bhrata barnak. Lekin isssab se pahle. Unhe unki vashtavikta ke baare me to pata chale.
Sarnak - kya tumhe unki zaankari hai?
Barnak - juada to nahi bhrata, bas itna ki abhi wo albi shaktiyo ko pehchan nhi sake hai.
Sarnak - tab unhe inn ashtro ki jaankari kaise milegi jo ki unki hi amanat hai
Barnak - uski chinta mat karo tum bhrata. Unhe jaise bhi ye vishvaash hoga ki unke paas alaukik shaktiyan hai. Waise hi unki aatma un shaktiyo se judne lagegi. Aur uske baad se uske mstisk se mai bhi jud jaunga.
Sarnak - usse kya hoga bhrata.
Barnak - bhool gaye kya bhrata. Hame yahan ke darvaan ke sath ek updeshak bhi banaya gya hai. Hame hi unko kuchh kuchh jaankari batani hogi.
Sarnak - mai samajh gya bhrata .
.
.
.
Trumath pur me, aaj sunday hone ke karan sabhi ki chhutti thi. Subah subah hi ghar me aabhi bahne hangama machaye huye thi.
Darasal, neha se milne meera aayi huyi thi.
Aur wo dono wahin angan me hi baith kar baate kar rhe the tabhi chhat par se avnu khushi bhi aakar unhe join kar li.
Sinam aur poonam sabke kapde washing machine me daal rahe the, machine bhi wahin angan me rakhi thi. To wo dono bhi wahin akar kapde machine me dalne lage. Aur apni chhoti bahno ki mastiya dekh kar maze karne lage.
Sabhi ladkiya, kuchh na kuchh funny baate bol kar thahake laga kar hasne lag jaaya karti thi.
Aur sabse jyada to khushi aur avni chilla rahi thi.
Kitchen se shalini aur sunaina un sabhi ko baar baar mana kar rhi thi halla karne se aur bol rhi thi ki upar apne room me jakar gappe hankane ko.
.
Par wo bolte hai na ki laato ke bhoot baato se kaha maanege.. In sabki aadat thi. Jabtak dadi ki dant nhi sunege tab tak apni manmauzi hi karenge.
.
.
. Aaaj itna hi, abhi chhutti pe hun parivaar ke sath. Ummid hai ki agla update kuchh jaldi hi de dun. Parso subah ya fir raat tak. Baaki ke liye
jay trikal