Kya galat baat kahi maine..
First story pe gaur kijiye.... us ghar ko jo Vikas ne kajal sang chhota sa aasiyana banane ki koshish ki, kya sach mein wo aasiyana banane kamyaab raha ,?
Second story pe Dev ne apni behno ke sath Shahar aake jis ghar rehta tha, kya us ghar ko ghar kehne layak chhoda kali duniya ki khalnayika kajal 2 ne? bichari nisha ko hi vamp bana diya.. ..aur us masoom purvi ki to aisi ki taisi kar di
Abhi is story pe.... yahan to ghar kya, kirdaaro ka koi sthayi thikana hi nahi raha us kajal 3.0 ke chalte...
ghar pariwar ko bikhad kar rakh de aisi kirdaar hai wo kajal..
Kajal be like.. Hum to dube sanam tumhe bhi sath le dubenge..