Raman college me thoda late pahucha. Uski class bhari hui thi. Usne class se maafi maangi aur apna lecture dena shuru kiya. Shahzaad ko usne waha use dekha.
Lecture khatam hone ke baad Shahzaad ghar me jo hua woh Raman ko bata raha tha ke tabhi Fawaad aaya.
Sir, woh aapne Amina ko samjhaya ke nahi. - Fawaad
Fawaad, ha maine use samjhaya hain. Woh bahut hi suljhi hui ladki hain. - Raman
To phir woh phone kyu nahi utha rahi. Kal se mere 32 missed call hain use. Par usne ek bhi answer nahi kiya. Woh ghar par bhi nahi thi. Maine uske abbu se poocha tha. - Fawaad
32 missed call. Tum itne pagal ho ye mujhe pata nahi tha. Aur ha woh kal kaha thi ye tumhe usse poochna chahiye. - Raman
Woh Sir, sorry mera matlab tha ke. Woh mujhe ignore kar rahi hain. Isliye, main.. - Fawaad
Par itna obsession. Dekho use jara waqt do. Sab theek ho jaayega. Aur woh kah rahi thi ke use jara aazadi do. Aur ha ab jao yaha se aur thoda Doctor se consult kar lo. Tum mujhe theek nahi lag rahe - Raman
Fawaad thoda maayus hua aur wohi ruk gaya. Aur Raman doosre class ke liye chal pada. Shahzaad sab samajh chuka tha. Sir bhi kal raat nahi the aur Amina bhi. Usne Raman ko peeche se aawaz di aur daudta hua gaya.
Mubarak ho Sirjee, aapne to college ka sabse khoobsurat maal uthaya hain. - Shahzaad
Ye kya bol rahe ho. Kaunsa maal? - Raman ne anjaan bante hue Naha
Are ab mujhse to mat chupaiye. Main to aapko sab sach batata hoo. Aur aap hain ke yuuu. Ab bol bhi di jiye. Amina ke saath the na aap? Woh aaj aai bhi nahi. Iska matlab hain aapne poori mehnat karwai hain bechaari se. Ha ha boliye. Boliye na. - Shahzaad haste hue bola
Dekh chote. Yaha ye mazaak nahi. Ghar baat karte hain. Main yaha kaam karta hoo aur reputed professor hoo. - Raman
Ha theek hain. Par aapko mujhe sab batana hain. Samjhe... ye hamaari deal hain. - Shahzaad
Hmm. - Raman
Dono apne apne raaste chal pade. Raman ne college me aur chaar lectures liye. Uski aankhen haseen ladkiya taadne me maahir thi. Woh class me ladkiya dekhta bhi aur kisi ko pata bhi nahi chalta.
College khatam hua aur Raman parking area me ja raha tha tabhi uske friend ka phone aaya aur usne bataya ki jo video Zoya ke naam se post hue hain woh asli hain aur koi morph nahi hain usme. Raman ke poochne pe usne IP address bhi de diya jis se ye post hue the. Raman ne uske baad Inspector Chaube ko phone lagaya aur use Murtaza Saeed ke bare me koi khabar mili hain kya ye poocha. Par Inspector Chaube chutti pe tha aur usne kaha ke woh kuch update mila to turant batayega.
Khair Raman Khan House pahoocha. Uske bike ki aawaz Saeeda ne suni aur woh baahar dekhne aai tabtak Raman apne kamre me ja chuka tha. Saeeda apne aap se hi chidhte hue kuch boli aur apna kaam karne lagi. Par Raman apne kamre me nahi gaya tha. Woh to Zoya ke kamre me tha. Use ye pata lagana tha ke Zoya ne hi upload kiy hain videos ya kisi aur ne.
Usne bed pe pade laptop ko open kiya aur uska laptop khul gaya. Raman ne dekha ke ye IP address to yahi hain. Usko laga ke kya sach me apni jawaani me Zoya poori bawli ho gai hain. Par phir Zoya ne na koi password rakha tha aur nahi kuch aur. Agar woh ye galat kaam karti to woh chupati par yaha to yeh khulkar zindagi jeeti hain. Uska dimaag kah raha tha ke ye Zoya nahi ho sakti.
Woh Zoya ke kamre se baahar nikal ke apne kamre me ja raha tha ke tabhi use Zarin ke kamre se rone ki aawaz aai. Zarin shayad foot foot kar ro rahi thi. Raman ne uske kamre ka darwaza khatkhataya. To rona band hua. Usne phir se darwaza khatkhataya. Tabhi darwaza Zarin ne khola uska gaal laal tha. Shayad kisi ne use thappad mara tha. Aur uski aankhe ro ro kar soojhi thi.
Jee kahiye Kya baat hain - Zarin
Mujhe tumse baat karni hain - Raman
Par mujhe aapse koi baat nahi karni. Aap ja sakte hain. Aap sirf Shahzaad ke Sir hain. Mere nahi... - Zarin gusse me boli
Par tum ro kyu rahi thi? - Raman
Main aapke kisi sawaal ka jawaab dena jaroori nahi samajhti. - Zarin
Theek hain. Jaisi tumhari marzi. To main bata deta hoo Rahim ji ko; ke aap meri nahi, Murtaza ki baat maanti hain. - Raman
Mutaza ka naam sunte hi Zarin thodi der soch me pad gai. Inhe ye sab kaise pata. Wo sochti tabtak Raman peeche ki taraf mood chuka tha.
Suniye. Aapko kuch baat karni thi. Boliye kya kahna tha. - Zarin
Raman ki gend sahi jagah gira thi. Woh jaanta tha garam aurat ko thandi kaise karte hain. Woh bina peeche moode aage chal raha tha. Zarin use aawaz deti rahi. Par ye zanaab bina kuch sune upar ki seedhi chadhte apne kamre me chala gaya. Yaha Zarin thandi pad gayi thi. Uske rone ki wajah gayab ho gai thi. Woh ye soch rahi thi ke ab kya kare. Kyuki abbu ko pata chal gaya to bahot bura hoga. Uska aana jaana bilkul band aur shayad se Africa jana pade. Isi soch me woh Raman se baat karne ke liye nikal padi. Usne uska darwaza knock kiya.
"Kaun hain" Raman ne poocha.
Main hoo Zarin - Zarin ne aawaz dete hue kaha
Raman ne koi jawaab nahi diya. Zarin ne phir se knock kiya. Par phir wahi. Aakhir me haar maankar Zarin andar daakhi hone ko thi tabhi darwaza khula aur Raman darwaze pe.
Jee kahiye Kya baat hain - Raman
Mujhe aapse baat karni hain - Zarin
Par mujhe aapse koi baat nahi karni. Aap ja sakte hain. Aap sirf Shahzaad ke bahen hain... - Raman ne uske saare dialogue dohraaye
Oho ye kya hain. Aap mere alfaaz kyu dohra rahe hain? - Zarin
Main aapke kisi sawaal ka jawaab dena jaroori nahi samajhta. - Raman
Are. Dekhiye ye sahi nahi hain. Abbu ne aap ko hamara rahnuma banaya hain. Main aapse muaafi chahti hoo. - Zarin
Theek hain. Andar aao. - Raman
Zarin andar kamre me aai aur waha sofe pe baithi uske saamne coach pe Raman baith gaya.
Baat shuru karne se pahle do aham niyam yaad rakhlo. Ek ke sirf sawaal main poochoonga aur dusra tum sirf sach kahogi. - Raman
Ye nainsaafi hain. Aap aisa nahi kar sakte - Zarin
Mujhe pata tha tum yehi kahogi. Par kya karu. Baat tabhi hogi. - Raman
Zarin ka kuch bas nahi tha. Woh yaha waha dekhte hue sochne lagi aur aakhir me usne haami bhari.
Good girl. Pahle to ye batao. Tum ro kyu rahi thi? - Raman
Kuch nahi. Aise hi mere dost ki yaad aai thi. - Zarin
Thappad kisne maara hain tumhe - Raman
Ye gaal pe woh main facepack lagaya tha uski allergy hain - Zarin
Murtaza kaha hain? - Raman
Mujhe nahi pata - Zarin
Jail dekha hain kabhi. Par shayad jald dekh logi. Kyuki tum aur tumhara Murtaza jail jaane wale hain - Raman
Jail? - Zarin
Are sawaal sirf main poochoonga. Tum bhool gai itni jaldi - Raman
Nahi. Par main kyu? Maine kuch nahi kiya hain. - Zarin
Raman ne phone uthaya aur number dial kiya. "Hello Inspector Chaube, suniye maine try kiya par ladki kuch nahi bol rahi hain. Aap aage ki karwai kar sakte hain".
Usne phone rakha, yaha waha ki baate aur bolkar.