• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Beauty in Naqab

New Member
31
66
18
Green-and-Pink-Illustration-Henna-Artist-Logo-20241106-212505-0000.png

Update #05

Delhi k Station pe es samay bahut bheed thi, aisa lag raha tha jaise puri Delhi ki janta ek sath kahi jane k liye apne apne gharon se nikal aayi ho

Kundan bhi dhoti aur kurte main apne dono hathon se thame hue saman ko leke bheed ko chirta hua aage bad raha tha

"Bhai hat na.. mere Gaon k liye yahi train hai, chhut gayi toh ek hafte tak phir intizar karna padega"

Kundan bheed ko apni taqat se chirta hua aage badta ja raha hai aur Jaldi hi wo apni seat pe virajman tha

Kundan bahut khus tha qki usne Monu aur jis jis ne jo bhi kaha tha sab kuch le liya tha.. ab use jaldi se jaldi apne Gaon pahuchna tha

Kundan- (Khidki se bahar dekhte hue) Pata nahi train kab chalegi ?

Phir apne laaye hue saman ki taraf dekhte hue khud se kehta hai
"Waise wo dukan waali ladki bhi sahi thi.. achi saree di hai"

Par bechare Kundan ko kiya pata un sales-girl ne uske sath konsa khel kar diya hai

Train chalti hai par apne samay se nahi aur ye dairi aage k aane wale har station pe hoti rehti hai.. jis karanwas ab ye Train raat k kareeb 10-11 baje Sundarpur pahunchegi

Kundan khidki k bahar cha rahe andhere ko dekh k pareshan hote hue soch main pad jata hai

'Station se ghar jane main aaj halat kharab hone wali hai.. uper se itna saara saman bhi hai'


Kundan abhi apne vicharon main vyast hi tha ki tabhi ek Station pe jab gadi rukti hai toh ek Buddha jisne sirf laal vastr dharan kiye hue thay.. wo aake Kundan k theek samne baith jata hai


images-7.jpg


Uski umar 80-90 saal rahi hogi aur wo sahi se khada bhi nahi ho pa raha tha, Kundan ek sarsari nazar us buddhe pe dalta hai aur wapas khidki k bahar dekhne lagta hai

Train apni gati se aage badne lagti hai aur ab train ka agla gantavya 'Sundarpur' gaon hi tha

Samay kaafi ho chuka tha, aur khidki k bahar andhera puri tarah cha chuka tha

jaldi hi Train ki raftaar kam hone lagti hai, Kundan apna saman sambhalne lagta hai.. par itne main uske samne baitha buddha kehta hai

"Beta jara mujh buddhe ki bhi madad kar do.."

Itna kehte hue wo buddha jaise hi uthne ki koshish karta hai wo ladkhada jata hai, agar Kundan ne use sahi samay pe pakad na liya hota toh wo kab ka neeche gir chuka hota

"Are Baba aap theek ho.. itni Umar main akele safar nahi karna chahiye.. kisi ko sath le lena chahiye tha na"

Buddha- Ab kahe ka sath Beta.. tum jara meri bhi madad karo do mujhe bhi yahi utarna hai

Kundan ne aaj se pehle sayad hi us buddhe ko kabhi dekha hoga

"Aap bhi Sundarpur main utarenge.. maine kabhi dekha nahi Gaon me"

Buddha- (Khada hone ki koshish karta hai par wapas ladkhada jata hai, ab uska pura wajan Kundan k uper tha) Main toh tumhare Paida hone se pehle ka nivashi hu beta

Kundan ab pareshan hone lagta hai.. qki train bus rukne waali thi aur pareshani ye thi ye uske Gaon main train jada dair k liye rukti bhi nahi hai

Kundan- (Thoda Gusse se) Sidha khade ho Baba.. aapke chakkar main mera station chala jayega

Par Buddha toh jaise apna pura wajan Kundan k uper daal chuka tha aur hairani ki baat ye bhi thi Kundan jaisa bheemkaay sarir ka malik bhi us buddhe ko apne aap se alag nahi kar pa raha tha

Kundan- (Train dhimi hone lagi thi aur Kundan ache se janta tha ki yaha train jada samay k liye rukengi bhi nahi) apne bal khade ho Baba.. station nikal jayega

Kundan ek baar phir se buddhe ko sahare deke khada karne ki koshish karta hai aur Buddha kuch kadam aage bhi badta hai ki phir se ruk k haafne lagta hai

"Are ruko.. ruko Beta, saans toh lene do"

Kundan ko bahut ghussa aa raha tha par wo apna kabu nahi chorta aur kehta hai
"Are ek kadam bhi nahi chale ho aur keh rahe ho saans lene do.. pata hai yaha Train jara samay k liye hi rukti hai"

Buddha wapas khud ko sambhalta hai aur es baar dono train k gate tak aa jate hai par Buddha itna dhire aage bad raha tha ki train Station pe pahuch k ruk chuki hai, Kundan ka man toh kar raha tha ki buddhe ko yahi chor de aur aage bade

Par es samay wo anjaan Buddha khud k bal khada bhi nahi ho pa raha tha aur Kundan ko use aisi halat main chorna sahi nahi lag raha tha

Buddha buri tarah haafne lagta hai maano uski saansen ukhad jayegi

Kundan apni kismat pe jhunjhalate hue
"Behenchod meri hi kismat kharab hai"

Kundan us buddhe ko ek baar phir se uthane ki koshish karta hai aur hairani ki baat thi Kundan use hila tak nahi pa raha tha aur antatah esi utha patak main train Sundarpur Gaon k station ko chor k aage bad chalti hai

Ab toh Kundan ka Ghussa phut hi padta hai
"Dekho kiya ho gaya.. jab khud se khada tak nahi hua ja raha toh ghar pe baitho na, dusron ko q pareshan karte ho"

Buddha- (Mand mand muskurate hue) Aisa ghussa na karo Beta.. ek din toh tum bhi buddhe honge na, hamesha jawan thodi rahoge

Kundan sochta hai ki ab aur kiya dimag khapau.. station toh nikal hi chuka hai esliye wo Baba k jaise taise sambhalte hue Train k gate tak le aata hai, taki agle station pe phir se wahi sab na ho

Buddha- (Kundan ko dekhte hue) Bade Ghusse main lag rahe ho.. lagta hai biwi bachon se milni ki Jaldi hai

Kundan- (Ghusse se buddhe ko dekhte hue) kaha se khus dikh raha hu, pehle hi itni raat ho chuki aur ab tumhare chakkar main..

Kundan aage nahi kehta bus daat peesh k reh jata hai, par Buddha waise hi Kundan ki ek baah padke uske sahare khade khade muskurata rehta hai

"Jeevan main jo bhi hota hai.. uska ek Karan hota hai, kiya pata aaj tumhara apne Gaon me na utar paana bhi jaruri ho"

Kundan ghusse se buddhe ko aise dekhta hai maano use kacha hi kha jayega

Buddha- Waise ho bade bhale manushya.. es lachar buddhe ko akele nahi chora, acha ghussa q hote hai naam toh bata do ?

"Kundan"

Ghusse se bahar agle station ka intizar karte hue Kundan apna naam bata deta hai

Kundan ki pareshani ab bad chuki thi, Qki wo ache se janta tha ki ye Train yaha sirf 2 Station pe hi rukti hai, pehla uska Gaon 'Sundarpur' or dusra 'Phulwa Gaon' me bane station pe

Yani ab use apne Gaon k liye ulta wapas aana padega


Jiske liye use pehle ek chote se Gaon 'Surajmukhi' k Beech se behne waali nadi 'Sarpa' paar karni padegi or uske liye nauka ka sahara lena padta hai

Par ab ye sab sochne ka koi fayda nahi tha.. qki jo hona tha wo ho hi chuka tha

Buddha- (Wapas apni Chirparichit muskaan k sath) waise tumne Mera naam nahi pucha ?

Kundan- (Chidte hue, uske aage dono hath jod leta hai) kon ho Baba.. ?

Buddha joro se has padta hai, phir haste haste achanak jaise wo sunya main kho sa jata hai
"Main kon hu.. kiya batau.. ab toh mujhe khud bhi yaad nahi, na mera ateet.. na vartman"

Kundan man hi man kehta hai
'Pagla gaya hai Buddha'

Phulwa Gaon ka station bhi jaldi se aa jata hai par hairani ki baat thi ki jo buddha khud se ab tak khada bhi nahi ho pa raha tha wo khud hi train se utarne lagta hai

Kundan toh ek pal k liye bus use dekhta hi reh jata hai

Buddha- (Train se utar se Kundan ko dekhta hai aur muskurate hue kehta hai) Chalna nahi hai.. dekho raat kitni kaali hai

Kundan apne sar ko jhatak k apni soch se bahar ata hai aur apna pura saman sambhalte hue us buddhe k sath Station k bahar nikal aata hai.. par hairani thi ki wo 80-90 saal ka budha ab khud se chal raha tha use kisi sahare ki jarurat nahi thi

Kundan- (Dur tak faile sannate ko dekhte hue) itni raat gaye konsa naav wala milega.. kaise jaunga apne Gaon

Phir buddhe ki taraf dekhte hue
"Uper se Buddha bhi ajeeb gale pad gaya hai"

Buddha jo Kundan se kuch kadam aage hi chal raha wo peeche mud k Kundan ko dekhta hai aur apne hi andaaz me muskurate hue kehta hai

"Are jaldi jaldi chalo.. Beta"

Kundan- (Ghusse k mare jaise phat hi padta hai) kaha chalu.. konsa chutiya es samay hamare liye naam leke nadi pe khada hoga ?

Buddha- (Muskurate hue) Q tumhe naav chalani nahi aati ?

Kundan- sathiya gaye ho kiya Baba.. mere pass kaha se naav aayegi ?

Buddha- Par mere pass toh hai na

Itna hi kehta hai aur wo buddha Muskurate hue aage chal padta hai.. ye sunte hi Kundan ka chehra khil utha hai

wo apna sara ghussa bhool jata hai aur jaldi se dono Sarpa nadi k kinare ek purane paid k pass khade thay jaha ek purani si naav lagi hui thi.. jo es samay usi paid se bandhi hui thi

Us naav ko dekhte hi Kundan ki jaan main jaan aati hai, wo lapak k naav ka muayana karta hai jo puri tarah se chalne ki estithi main thi

Kundan khushi Khushi peeche mud k kehta hai
"Baba.. ye toh badiya.. baba.. baba.."

Par waha koi tha hi nahi.. tabhi Kundan ko aisa lagta hai ki jis paid se wo naav bandhi thi us paid k uper ek pal k liye koi laal kapda lehraya ho, theek waisa hi jaise us buddhe ne dharan kiya hua tha

Kundan ko kuch bhi samajh nahi aata aur wo charo taraf dekhne lagta hai.. kaafi samay tak wo edhar udhar Jake 'Baba.. Baba' chillata rehta hai

Par koi uttar nahi milta.. aisa lagta hai jaise waha kabhi koi tha hi nahi

Kundan ko kuch bhi samajh nahi aa raha tha esliye ant main wo naav ko alag karta hai usmain apna sara saman rakhta hai aur Paani main utar deta hai

Naav pe chadke wo chappu sambhalta hai aur ek baar phir se 'Baba' kehkar chillata hai par es baar bhi wahi haal.. koi jawab nahi

Kundan tay karta hai ki abhi wo es naav se apne Gaon jayega.. phir kal din main aake ye naav wapas kar dega

Aur Jaldi hi Kundan us naav pe sawar hoke apne Gaon ki taraf chal padta hai.. Kundan ko aisa lagta hai jaise use naav chalane main koi mehnat hi nahi karni pad rahi

Maano wo naav khud hi uske Gaon ki disha main chali ja rahi ho

alone-middle-of-the-ocean.gif


Kundan apne Gaon k bahut kareeb aa gaya tha, ab wo 2 pahadiyo k beech se gujar raha tha ki tabhi use nadi k kinare ek paid k sahare kuch atka hua dikhta hai

Andhere ki wajah se use saaf saaf samajh nahi aata par uski naav khud hi us taraf chal padti hai.. aisa lagta hai jaise wo apni disha khud tay kar rahi ho

Jaise jaise naav usk cheez k kareeb pahuch rahi thi Kundan ki saansen jor pakadne lagi thi.. par jaise hi paani k bahar atki hui us cheez ko Kundan sahi se dekhta hai uski aankhon k aage maano andhera hi cha jata hai

Qki wo cheez uska Beta Monu tha jo nadi k kinare behosh halat me us paid ki tehni se atka hua tha.. es samay sirf uska chehra hi bahar tha baki ka pura sarir paani ki lehro k sath hilore kha raha tha

Monu ka pura chehra khoon se laal hua pada tha

Kundan ek pal ki bhi dairi nahi karta aur paani main kud padta hai

"Monu.. mera bacha"

Itne lambe safar ki wajah se Kundan buri tarah se thaka hua tha par es samay use na apni thakan ki parwa thi na apni jaan ki

Wo jaldi jaldi tarita hua Monu k kareeb pahuchta hai
"Monu.. uth.. Monu.. kiya hua mere bache ko... Uth na"

Kudan use paid ki tehni se alag karta hai aur wapas naav ki taraf leke chal padta hai.. par use aisa lagta hai jaise Monu ka sarir bahut bhari ho, maano koi neeche ki taraf use kheech raha ho..

Par Kundan haar nahi manta aur Jaldi hi wo Monu ko naav pe laane main kamyab rehta hai

Kundan, Monu k pait pe hath rakh k uspe dabav banata hai taaki paani ko bahar nikal sake

Par eske baad bhi koi prabhav nahi pad raha tha.. wo bhaukhla sa raha tha, wo Monu ko apni saanse deta hai

Par abhi bhi fark nahi pad raha tha.. Kundan ko kuch bhi samajh nahi aa raha wo apne Bete k dil ki dhadkan sunne ki koshish hai jo dhire dhire kam hoti ja rahi thi

Kundan Monu ko sahi se litata hai aur puri taqat se Naav ko sambhal leta hai.. qki uska gantavya sidha uska Gaon tha


"Mujhe us pal aisa lag raha tha jaise main apne Bete ko hamesha hamesha k liye kho dunga"

Kundan apni baat kehte hue bhavuk ho gaya tha.. par mardo ko rone ki ijajat kaha hai esliye Kundan bhi apna dard hasi main taal deta hai aur aage kehta hai

"Phir toh Bhabhi-J
aan aap sab janti hi hai"

Kundan apni baat puri karta hai aur sabhi ko aisa lagta hai jaise wo bhi Kundan k sath sath us raat main pahunch gaye ho.. Kundan ka kaha ek ek sabd waha use sunne waale har kisi k aankhon k samne kisi sajeev chitra ki taraf chal gaya tha

"waise us din hua kiya tha.. Monu tumhe mila kaise tha"

Khalid ki Ammi 'Nasreen' k puche gaye sawal ka jawab Kundan ne kisi sajeev chitran ki tarah de diya tha


Savita- (Apne Aansuon ko pouchte hue) itna sab tune aaj tak hum sab se pucha k rakha.. man karta hai ek jor ki lagau tujhe

Savita ki baat sunkar waha baitha har inshan has padta hai

Mahendra apne bache jaisa Bhatije aur us raat wo Kundan ko kaise nila ye sab jaan k use bhi dard ka ehsaas hota hai par wo mahole ko thoda halka karne ki niyat se kehta hai
"are aise kaise laga dongi mere chote Bhai ko.. abhi uska bada Bhai zinda hai"

Savita kuch kehne hi waali hoti hai ki Kundan bol padta hai
"Dekho Bhaiya.. mere aur Bhabhi k beech na aana, meri bhabhi ko datne aur marne ka pura haq hai"

Kundan ki baat pe waha baithe sabhi phir se has padte hai

Maalti bhi ek taraf baithi apne aansuo ko pouchte hue has padti hai.. par sath hi sath wo kuch uljhan main bhi lag rahi thi

Savita apne Pati Mahendra ko dekh k maharani jaisa munh banate hue kehti hai
"Bade aaye.. mere Chote Bhai waale, ab bolo.. bolo"

Jispe Mahendra aur waha sabhi log khil-khila k hasne lagte hai

Khalid ki Ammi Nasreen
"Chalo Bhai.. badi raat ho gayi nikalte hai hum sabhi"

Veeru- (Mazak karte hue) are Nasreen Bhabhi aaj hamare yaha hi ruk jao na

Nasreen- (Veeru ko usi andaj main jawab deti hui) Soch lo Veeru.. jhel paoge

Veeru bechara khisiyahat k mare edhar udhar dekhne lagta hai.. use Samajh hi nahi aata ki jawab kiya de

Jaldi hi sabhi apne apne gharon ki taraf chal diye, raat k khane k baad sone ka prabhand hone lagta hai

Kundan- (Mahendra k pass jaate hue) Bhaiya.. agar aapko aur bhabhi ko pareshani na ho toh peeche wala kamra hum

Jab pura pariwar ek sath hua karta tha tab ghar main peeche wala ek kamra Kundan ka hi hua karta tha

Kundan ki baat sunte hi.. Mahendra khushi se maano bhar utha hai, par uske kuch kehne se pehle se Savita bol padti hai

"Unse kiya puch raha hai.. tera kamra hai, kal subha hi saaf karwa deti hu"

Mahendra khushi Khushi apni Patni ko dekhta hai aur Kundan k kandhe pe hath rakhte hue
"Ye tera hi toh ghar hai.. esmain bhala puchna kiya hai"

Savita ache se janti thi ki pure pariwar ka phir se sath aana uske liye acha nahi hai.. qki agar aisa hua toh wo kabhi bhi es Gaon se nikalne ka apna sapna pura nahi kar payegi

Par es samay wo bhi in baaton ki parwa nahi kar rahi thi.. wo toh apne Pati ko saalon baad itna khus dekh k usi main khus thi

Par wahi khane k baad aangan main ek taraf baitha Satyam jarur ye sab sunkar kudta ja raha tha

'Behenchod ye bhi yahi rahenge.. aise toh esi Gaon main fasa rahunga, ab toh lagta hai Maa bhi kisi kaam ki nahi rahi'

Wahi ghar k pichle hisse main ek purane se kamre(Kothri) main jismain razai aur bistar rakhe jaate hai waha es samay Maalti aur uski choti Devrani 'Harshita' maujood thi

Maalti hathon main bistar padke hue kisi soch main dubi hui thi

Harshita- Kiya hua Bhabhi.. kaha kho gayi, chaliye sabhi ko neend aa rahi hai

Maalti jaise hosh aati hai
"Are.. wo kuch nahi"

Harshita piyar se Maalti k kandhe pe hath rakhte hue
"Main janti hu aap Monu ko leke pareshan hai.. par dekhna wo jaldi hi uth khada hoga

Aur aap mujhe rokna mat.. main toh khub datungi use, itna pareshan karta hai kiya koi bhala"

Harshita k sneh bhare Sabdo ne Maalti ko bahut himmat di, esliye uske adharon pe bhi hasi aa jati hai

Ghar toh waise kaafi bada hai par jab sabhi Bhai alag ho gaye toh ghar ka pichla hissa jadatar band kar diya gaya.. ya kuch kamro ka estimal anaj bharne k liye kiya jane laga

Par ab lagta hai ye ghar ki raunak wapas aane waali hai

Par abhi k liye estithi kuch aisi hai ki jise jaha jagah mil jaati hai wahi apna bistar laga leta hai

Par Mahendra k kahe anusar 2 logo ko Monu k kamre main jarur sona hoga

Jaise aaj Kundan aur uska Chota Bhai Virendra (Veeru) soyenge

Baki.. Satyam, Sattu aur Sonu aangan main charpai daal k sone waale hai


images-5.jpg


Baki Mahendra ghar k bahar darwaje k pass apni Charpai daale hue hai

Savita, Harshita aur Sheela.. 'Savita' waale kamre main soyenge

Bhanu ab bhi raat main apne ghar chala jata hai sone k liye.. par Mahendra ne usse bhi keh diya hai ki tum bhi yahi raha karo

Jisse sabse Jada Khushi Sheela ko hui thi qki uske aur Bhanu k prem vivah ki wajah se uska pura pariwar usse dur ho gaya tha par ab use lag raha tha jaise ye ek moka hai apne pariwar se wapas judne k

Baki hamari khubsurat Maalti aaj teeno bachon se thoda hi alag chappar k neeche apni Charpai bicha chuki thi

Jaldi hi sabhi log apne apne bistar pe ja chuke thay.. kuch toh padte hi sone lage thay toh kuch apni apni pareshani k bare main soch rahe thay

Har kisi ki Zindagi main uski apni ek ladai hoti hai

Par in sab se alag bistar pe laiti hui Maalti ek alag uljhan main fasi hui thi.. qki uske Pati Kundan ne aaj jo bataya usmain ek Buddhe k bare main bhi tha

Kuch kuch waisa hi buddha jaisa use us Shapit kahe jane Peepal k vriksh k pass mila tha aur achanak kahi gayab ho gaya tha

Maalti ko ye baat badi ajeeb lag rahi thi ki jaisa Buddha use mila theek waisa hi uske Pati ko.. aur wo bhi achanak kahi gayab hua jaisa uske samay hua tha

Maalti na cha k bhi kadiyon ko apas main jodne ki koshish kar rahi thi.. tabhi achanak se Maalti ko us phool ki yaad aati hai jo us Buddhe ne use diya tha

Maalti jaldi se apni jagah se uthti hai aur wapas usi kothri main jaati hai jaha sare bistar, Razai aur baki sab saman rakha hua tha

Maalti wahi ek purani aur tuti si ladki ki almari ko kholti hai jismain ek chota sa dibba jaisa tha.. use kholti hai toh use wahi phool nazar aata hai

Par hairani ki baat toh ye thi ki itni dino baad bhi wo phool murjhaya nahi tha.. balki ab bhi usmain se bheeni bheeni khushbu nikal rahi thi

Maalti dibbe ko wapas band kar deti hai aur khud se kehti hai

"Kiya eska ras Monu ko pilana chahiye"

Maalti ek lambi si saans leti hai, qki wo kisi nishkarsh pe nahi pahuch pa rahi thi

Esliye thak haar k wapas aapke apni chapri pe lait jaati hai.. jaha kab use neend aati hai use bhi hosh nahi rehta hai


Subha ki halki lalima failni suru ho jaati hai, Gaon ki mahilayen jo roz subha kheton ki sair pe jaati hai wo apne apne ghar se nikal chuki thi

Savita ko bhi kheton ki sair ka sauq tha.. esliye wo bhi roz subha esi samay uthti thi

Wo sabse pehle apne pass laiti Harshita aur Sheela se puchti hai par dono hi mana kar deti hai

"Laito tum dono.. tum dono subha subha kheton ka maza kiya jano"

Harshita dhire se aankhen kholte hue Savita ko dekhti hai aur muskurate hue kehti hai
"Aaj aap karke aao sair.. hum baad main jayenge"

Sheela bhi aankhein band kiye hue bus halka sa muskura deti hai

Savita dono ko waise hi sota chor k apni saree sahi karti hui aangan main aati hai jaha teeno bache gehri neend main so rahe thay

Savita chappar k neeche soti hui Maalti k pass aake use uthati hai

"Maalti.. are oh Maalti.. khet chalegi"

Maalti kunmunate hue apni aankhein dhire se kholti hai
"Nahi Bhabhi.. aap jao kal neend badi dair se aayi"

Savita- Chal theek hai.. par soti na reh Jana sabke liye nasta bhi banana hai.. aur jara un dono maharaniyo ko bhi jada lena

Maalti usi prakar apni aankhon ko band kiye hue dhire se muskura padti hai aur 'ha' main sar hila deti hai

Savita paani ka lota bharke kheton ki taraf chal padti hai

Sunriseata-Corn-Field-large.jpg


Savita k jane k baad Maalti wapas se so jaati hai.. subha ki neend kuch hoti hi aisi hai

Thodi dair main Maalti ki neend wapas se khulti hai aur wo angdai leti hu jaise hi bistar se apne pair neeche rakhti hai use kuch ajeeb lagta hai

Aur jaise hi wo apne pairon ki ungaliyon ko dekhti hai uski bachi khuchi neend ek pal main udh jaati hai..

Qki uske pairon ki khubsurat ungliyon pe kuch gaada chipchipa aur safed sa laga hua tha.. Maalti ki saansen jor pakadne lagti hai uska dil Dak Dak ka shor karne lagta hai


IMG-20241107-012348.jpg


Maalti darte hue apne pair ko uper uthati hai aur jab sahi se dekhti hai toh uski saansen hi atak jaati hai.. qki wo ache se jaan gayi thi ki uske pair aur unki ungliyon pe ye kiya hai

Par pakka karne k liye wo ek ungli se us chipchipi cheez ko chuti hai toh uska dar sach sabit hota hai.. qki wo kisi ka gaada virya ras tha

Maalti- ye.. yaha.. Matlab kisi ne..

Maalti ko kuch samajh nahi aata uski nazren sabse pehle aangan main sote hue Satyam, Sattu aur Sonu pe hi jaati hai

Jismain wo sote hue Satyam ko jada hi ghusse se dekhti hai
"Ye esi ka kaam hoga.. maine hi jada munh laga liya hai, himmat toh dekho eski"

Maalti ghusse se apna pallu khichti hai aur usse apne pair ki ungliyon pe lage us gaade ras ko pochne hi ja rahi thi ki na jane use kiya hota hai.. wo ek ungli ko us ras main bhigoti hai aur dhire se munh main rakh leti hai

Ek pal k liye Maalti ki aankhein band hoti chali jaati hai.. maano wo us swad ko ache se pehchan rahi ho.. par lagta nahi wo kisi nishkarsh pe pahuch payi ho


kate-kate-upton.gif


Uska dusra hath dhire dhire uski god main uski yoni ki taraf badne lagta hai.. par jaise hi wo apni yoni ko chuti hai maano uska antarman use jhinjhor deta hai

'Pagal ho gayi.. Monu ki aisi halat hai aur tu chiiiii'

Maalti wapas dharatal pe laut aati hai aur jaldi se apne munh se us ungli ko nikalti hai par ab wo ungli puri tarah saaf thi qki uspe lagi malai wo chaat gayi thi

Maalti charo taraf dekhte hue apne aap main apradh bodh ko mehsus kar rahi thi, wo jaldi se apne Pallu se apne pair ki ungaliyan saaf karti hai

Aur lagbhag bhagte hue ghar k peeche waale naam matr k bathroom ki taraf bhaag padti hai


images-9.jpg


Asal main Mahendra aur Kundan ne milkar hi es bathroom ko abhi k liye bana diya tha, taki sabhi mahilaon ko pareshani na ho.. baki baad main sab sahi se vyavastha ki jayegi

Edhar Maalti jaise hi Peeche waale bathroom ki taraf bhagti hai.. un teeno main se ek dhire se uthta hai aur darte hue dhire dhire usi taraf chal padta hai jaha Maalti gayi hui thi

IMG-20241106-005754.jpg
Aapka likha ek ek alfaaz Shandaar aur kahani k liye mayne rakhta hai, aap sidha kahani pe chalte hai koi faltu ki cheez nahi

Bus aise hi Maalti ko jada se jada dikhayen
 
2,991
7,237
144
Bhai update nhi aya abhi tak
Naya Update Post kar chuka hu Bhai

 
  • Like
Reactions: Napster
2,991
7,237
144
Next Post ka intizar hai
Already Posted

 
2,991
7,237
144
Waiting for next update
NXT Update ⬇️

 
  • Like
Reactions: Napster
Top