b
Thanks Monu bhai hamare comments aapko itne pasand aate hai. Aur aap itni mehnat aur smay nikal kar hamare manoranjan ke liye itni mehnat kar rahe hai iske liye aapko koi tankhwah to mil nahi rahi hai jo apko hum praise bhi na kare ek achhi kahani ki agar prashansha naa ki jay to padhna hi bekar hai pathko ka. Aur rahi bat mujhe chhoti se chhoti baat isliye yaad rahti hai kyoki mai is kahani ko sirf sardari taur par nahi padh raha hu balki ise doob kar padhta hu aur tasalli se aram se samay nikal kar padhta hu aur ek kahani ke characters ke sath yatra karne jaisa hai. Mujhe ye kahani by heartily bahut bahut pasand hai. Aap yakeen nahi karoge mai bhi any pathko ki tarah kahani ke anek patro ke bare me aage kya kya ho sakta hai kya kya hona chahiye ya kya kya hona chahiye iss par vichar karta hu. Aur mai jyda kahaniya nahi padhta hu bas break le le kar ek kahani ko intrest lekar padhta hu. Apka subject, characters, kahani kahane ki kala, character ko active karne ki timing aur timeline ka kayal hu. Keep writing Bhaai thanks a lot.