To, adaalat ki karyawaahi aage ki taraf badh chuki hai... Jayant Babu ne apne buddhi kaushal ka bakhubi pradrshan karte huye Pratibha Ji ko bhi sach ka aayena dikha diya... Unhe bhi ehsaas ho gaya ke jiss Vishwa ko wo lagaatar ek criminal ke nazariye se dekh rahi thi wo nirdosh hai... Ek apraadh bodh mein doob gayi thi Pratibha ji jismein unke patidev yaani Tapas mahodya ne unka bakhubi saath diya... In dono Pati – Patni ki aapsi nok – jhonk, Prem aur saath hi jiss tarah ye ek – doosre ko samajhte hai... Har maayne mein ek aadarsh jode ko darshaate hain Tapas aur Pratibha...
Idhar Vikram ke buddhi kaushal ne mujhe apna kaayal bana liya... Shubhra se huyi mulaakatein, usse prem ras mein bhi bhigo rahi hain jiska ehsaas shayad usse abhi hona baaki hai... Shubhra ki baaton mein jhalakti naadani, ek zindadilli aur Alhadpan bhi seedhe dil par dastak de gaya... Ye Flashback waali Shubhra aur Present time waali Shubhra ek hi hain ye baat pachana Asambhav saa hi hai... Itna badlaav swabhaav mein yunhi nahi aa jaata... Idhar Veer ek carefree youth hi laga... Jisse aesho aaram aur Mobile Games ke atirikt kuchh aur nazar nahi aata...
Baat karen Yash Chetty ki to uska nature mujhe thoda double personality waala laga, ek aur uski dark side jismein wo ladkiyon aur sharaab mein dooba rehta hai... To wahin doosri aur uski wo side jiska kaayal usne Bhairav jaise aadmi ko bhi bana liya... Yash ka role aage chalkar aur bhi dilchasp ho sakta hai jahana tak ki mujhe lagta hai... Vikram ke saath shayad iski ek badhiya jodi banti dikh sakti hai...
Wahin Bhairav pahunch gaya hai shehar mein apne kameenepan ka saafa odhe... Ab seedhi takkar Bhairav ke saath hogi Vishwa – Vaidaihi aur Jayant Babu ki... Jismein shayad pehli baazi Bhairav & Team ne maar li hai... Jayant ya koyi bhi imaandar insaan ho uske liye sabse keemti possession uski Public Image aur Saamajik Izzat hi hoti hai aur Media ki madad se ussi ki dhajjiyaan udaane ki koshish hai in sabki... Aur lagta hai ke Tapas Babu bhi ye baat samajh chuke hain...
Jayant, kuchh hi updates huye hain Inhe story mein aaye aur main inka fan ho chala hoon... Mujhe inke tark vitark padhkar “Adaalat” ke K.D. Pathak ki yaad aa jaati hai baar – baar... Kitni gehrayi se inhone case ke har pehlu par kaam kiya hai... Jiss tarah se inhone Court mein sabhi jhoothe gawaahon ka sach saamne laaya, especially wo Cheque waala scene... Jayant sachmein ek bahut hi kaabil vakeel hain... Vaidaihi aur Vishwa ko emotionally support bhi kar rahen hai ye bilkul ek pita ki tarah...
Bhairav Singh ho ya uske baashinde sabhi ka Vaidaihi ko kameenepan ke saath dekhna... Kya beet ti hogi uss bechaari par... Wahaan Rang Mahal mein uspar huye atyachaar... Aur ab jeewan bhar ke liye ek naam uske saath judd sa gaya hai, Rang Mahal ki Ran... Bolte huye bhi uss bechaari par taras aa jaata hai... Kitna kuchh saha hai uss ladki ne... Kahaan to wo apne Bhai Vishwa aur Pita ke satah khushi Khushi jeewan bita rahi thi aur fir Bhairav aur Kshetrapaal parivaar ne usse yahaan laakar khada kar diya... Jo kuchh uske saath hua hai, yahaan tak ki ab wo Maa bhi nahi ban sakti... Koyi bhi usse apni jeewan sangini ke roop mein apnaayega?? Jawaab hai nahi... Hridya ko nichod deti hai aesi cheezen... Jiss din Bhairav ke poore saamraajya ka naash hoga aur un sabka ant hoga jisne bhi uss ladki ki aabroo par daag lagaya... Ussi din Asli Insaaf hoga...
Ab dekhna ye hai ke Vishwa ye Case kaise haarta hai?? Of Course wo haara hi hoga tabhi wo Jail mein hai... Kya Jayant Babu ko iss sabmein apni jaan to nahi gawaani padegi... Bas Dua hai ke Vaidaihi ke bhaagya mein aur dukh naa likhen ho... Khair, Bhairav ki agli chaal aur uska jawaab jo Jayant hi denge, dekhna dilchasp rahega...
Kya hi bolun ab aapke lekhan ke baare mein... Sachmein aapki tareef ke pull baandhe jaane chahiye... Kahin se nahi lagta ke ye aapki pehli kahani hai... Courtroom Drama aur Pure Romance yaani U/A waala... Ye do cheezen mere khayaal mein ek writer ke liye sabse kathin kaarya hota hai lekhan kshetra mein... Readers ko in sabmein involve rakhna behadh mushkil hota hai... Main personally Court Room Drama ka bada fan raha hoon, Bollywood Movies mein aksar iss scene ke intezaar mein bhi rehta hoon... Par yakeen maaniye Bandhu jaisa sajeev chitran aapne Courtroom Scenes ka kiya hai waisa maine Chal Chitra mein bhi nahi dekha... Ab iske aage to shayad kuchh kehne ki zaroorat hi nahi...
Aur haan ek lekhak ki kaamyabi wahi hoti hai jab Readers Negative Kirdaaron ki taareef karne par bhi vivash ho jaayen... Vikram aur Yash ke sandarbh mein ye baat kahi hai maine... Exceptional Writing Skills brother, jitni bhi tareef ki jaaye utni hi kam... Har ek kirdaar (Bhairav, Pinaak aur wo jo Bhairav ka kutta bana hua tha, naam bhul gaya main) in teeno ko chhodkar apni jagah dil mein bana hi gaya... Har ek scene jaise jeevant ho gaya...
Outstanding Updates Bhai & Waiting For Next...
Sanju Bhai ki bhaasha mein Jagmag Jagmag Updates...