Bas teen din pahle padhna suru kiya tha iss kahani ko aur aaj ab tak ki likhi kahani padhli hai. Bahot hi zabardast kahani hai.
Aur ab yeh Maine padhi huyi sabse achhi kahaniyon me se ek hai.
Yun to bahut si padhi hai kahaniyan
Magar kuchh alag si hai yeh kahani vishwroop.
Kabhi lagta hai kisi ke daman ki hai
Kabhi kisike utthan ki lagti hai yeh kahani vishwroop.
Yan to mulazim Yan Ghulam hai sab yahan uski nazar mai,
Kisi ke aise ahankar ki hai yeh kahani vishwroop.
Rishton se nahi auhdo se milti hai pehchan yahan,
Bematlab ke rition,riwayaton ki yeh kahani hai
Vishwroop.
Jisko toda gaya, nocha gaya, jakhm rooh par bhi diya gaya,
Aise hi kisi ke intqaam ki yeh kahani hai vishwroop.
Kilkariyon se nahi masoomon ki chinkho se gunzti hai yeh imarat.
Haiwano ke rangmahal ki yeh kahani hai vishwroop.
Marzi se nahi gunahon mai majboori mai shamil hai,
Kisi ke Waadon se bandhe hathon ki yeh kahani hai vishwroop
Jaise sone ke pinjare mai band kisi chidiya ke,
Kuchale huye armaano ki yeh kahani hai vishwroop.
Khud ke kiye karmo par, ghin aati hai ab khud par,
Kisi ke pachhtave ki yeh kahani hai vishwroop.
Jo sheitan ko bhi insaan banne par majboor karde,
Kisike aise hi sachhe pyaar ki yeh kahani hai vishwroop.
Kisi ke gunahon ki sazaa milti hai begunah ko,
Shadyantra aur sazishon ki yeh kahani hai vishwroop.
Jo kamzor tha pahle Aaj wo har baat mai kabil hai.
Badle huye waqt aur haalat ki yeh kahani hai vishwroop.
Kabhi lagata hai bas ek hi kahani hai yeh vishwroop.
Kabhi lagta hai har ek kiradaar ki ek alag kahani hai vishwroop.
Eagerly waiting for next