Story ka plot unique hai.... Updates bhi regular aate hai.... Storyline bhi badhiya thi par jab se flashback chalu hua hai badi boring ho gayi hai.... Present ko pahle padh lene se past ka andaja readers pahle hi laga lete hai usse phir se lagatar itna detail mein padhna bore kar deta hai .... Aur iss baat ka andaja aise laga sakte hai ki pure flashback ke updates mein kuch baate hata do jaise ki
1) Pratibha ne kaise saza dilai vishwa ko (vaise ye baat bhi keval 2 line ki hai ki Pratibha public lawer appointed thi aur sacchai usse baad mein pata chali)
2) Vishwa aur Vaidehi ka relation (Vo bhi thoda streched hai)
Aur bhi aisi ek do kuch information...
Baki pura flashback skip kar sakte hai, still story ki understanding pe koi farak nhi padega...
Court room ka discussion, ESS ka establishment, Pratibha ki family ka family humour time ye sab abhi tak ki storyline ko dekh ke lagta nhi ki final story plot mein kuch contribute karte hai..... Jab se flashback chalu hua hai story aage hi nhi badh rahi hai... Bas past ki information pe information mil rahi hai....
Even if itna detailed past jaroori hai to past and present dono parallel chale taki kuch aage badhti si lage story...
Ye ek suggestion hai baki writer ki apni Marzi