Points: 8/10
Story : Flight
Written by: Harshit1890
Review: Overview- Ab iske bare me kya hi bolu, this one is a sci-fi masterpiece, shuru se leke ant tak kahani aapko bandhe rakhti hai aur aage kya hone wala hai iski utsukta banaye rakhti hai. Kahani bas do kirdaro ko lekar hai ek time guard aur dusra wo banda jisne ye sab khel rachaya tha, shuruwat hoti hai time guard ke baar baar flight board karne se aur fir uske mission ki aur aage badhti hai, jaha use information ke sahare kisi ko maarne ka assignment pura karna hota hai aur yahi se kahani me mod aana shuru ho jate hai, aur fir us insan ki entry hoti hai jise maarne ke liye time guard waha aaya tha par jab dono ki mulakat hoti hai aur time guard apna kaam pura kar deta hai to yahi kahani ka main twist aata hai aur wo ek time loop me fas jata hai only to know that jise maarne use bheja gaya tha ye sab usi ka plan tha.
Pros- theme selection, it's execution and dialogues, the story simply stands out as sci fi masterpiece of this contest, sci fi likhte huye bahut sari bato ko soch kar science ke concept ke bare me padh kar likhna hota hai, isme kahani ke plot ka execution bahut mayne rakhta hai, ek galti aur kahani ki disha bhatak jayegi aur yaha harshit bhai ne ye kaam bahut ache tarike se kiya hai, kahani ke dialogues time ke conpects ko jis tarah use kiya hai usse aapka knowledge pata chalta hai, conversation details really stands out, kahani me hero kaun hai aur villain kaun hai batana bhi behad mushkil kaam hai aur aise kahani likhna apne aap me ek trophy hai.
Cons- complexity, kahani ki language writer ne bhaut normal rakhi hai taki sabko aasani se samajh aaye lekin fir bhi padhte time dono characters mein differentiate karne mein kuch jagah confusion hota hai halanki isse kahani aur rochak ho jati hai lekin jin logo ko time, usse jude contepts, time travel theories nahi pata unhe ise samajhne me thodi dikkat aayegi.
Overall the story was a thrilling entertainer.
Points: 6.5/10.
Story : माचिस की तीली
Written by: Amirhydkhan
Review: Overview- A typical sex story jisme ek ladki hai jo ki model banna chahti hai aur ek aadmi jo ki kapdo ka safal vyapari hai aur jise apne brand ki advertisement ke liye model ki jarurat hai.. dono hi kirdaro ki mulakat delhi se lucknow ke daryaman train ke safar me hoti hai lekin yaha dono ekdusre ko nahi jaante the and then they met through work and got intimate.
Pros- the sex scene. aapne sex scene ko bahut ache se narrate kiya hai aur aapki language par pakad bhi kafi achi hai.. sath hi dono main characters ka train waala conversaton bahut ache tarike se likha gaya hai aur wo machis ki tili jo alia ne mangi thi usne is kahani ki neev rakhi ye kahani ke title ko justify karta hai.
Cons- kahani shuruwat se kafi sahi track par rahi lekin alia ka amir ke sath itni jaldi sex me involve hona jachta nahi hai, wo aisa laga mano usne modeling ka contract pane ke liye apne jism ka sauda kiya ho.. sath thi dusri baar jab wo dono mile hotel me tab unke reactions se aisa laga mano dono ko pata tha ke ye hoga, no shock eliment.
overall the story was good and the narration and seduction was awesome
Points: 5/10
Story : ghar aur fuck screen
Written by: nilu12
Review:
Overview- An incest theme story but without a sexscene, is story ke bare me likhne ko jyada kuch nahi hai, aisa laga mano writer ko contest me koi kahani likhni thi aur usne likh di aur apne hath jhatak diye, kahani me hero aur uski maa apne rehne ke liye ek naya ghar dekhne jate hai aur wahi hero ki mulakat us ghar me majud ek aatma ya yu kahe ek shakti se hoti hai jo use kuch powers deta hai jisse hero jis bhi aurat ko chhuyega uske sar par ek screen open ho jayegi jo hero ko us aurat ke sath sharirik sambandh banane me madad karegi..
lekhak ka writing style bhi kafi promising hai jisme aur betterment ki umeed hai.
Pros- the concept, kahani ka conpect kafi unique hai, usually incest stories me bas pariwar me sex ko dikhaya jata hai aur us journey ko aur jab kisi incest theme story me fantasy ka tadka joda jata hai tab logo ko wo kahani aur bhi pasand aati hai.
Cons- lazy writing, aisa laga mano writer ne kahani likha chaha lekin beech me hi unka man kahani se ub gaya aur unhone jitna likha tha utha hi contest me post kar diya.. kahani padhne ke baad ek incomplete feel deti hai mano abhi to kahani bas suru hone wali thi aur jis chiz ki logo ko talash thi wo main element hi is kahani se missing laga jo ki tha sex scene..
overall kahani ka concept sahi tha bas writing me aur mehnat ki jati to ye ek behtarin kahani ban sakti thi.
Points: 7.0/10
Story : man bawlo
Written by:Fighter
Review:
Overview- Started with a normal story and slowly becomes an erotic one.. kahani ka premise ek gaon ka hai jaha ek ladke ko ek ladki ki aankho me dekhte hi usse pyaar ho jata hai and then uske baad wo us ladki ko apni patni maan baith ta hai, baad me kahani kisi ladies function ki or hame le jati hai jaha gaon ki mahilao ka masti majak chal raha hai aur wahi hero ki mulakat dobara us ladki se hoti hai jise achanak saanp kaat leta hai aur fir hero uski jaan bachata hai.
Pros- the theme, kahani ka theme unique nahi hai, humne aisi gaon ki prem kahaniya pehle bhi padhi hai par ha ye baki stories se thoda alag hai aur writer ne likha bhi achi tarah se hai. Narration bhi kaafi hadd takk sahi thi aapki.
Cons- the language, kahani local language me likhi gayi hai jisse kahi na kahi kahani ka impact thoda kam ho jata hai, though writer ne ise likhne me bahut mehnat ki hai aur kahani ko local language me bahut achi tarah se likha hai lekin yahi agar ye kahani puri tarah hindi me likhi gayi hoti to isse jhyada log connect kar pate sath hi kahani ka pace bhi thoda jyada laga mano sab chize jaldi jaldi ho rahi ho
Overall kahani achi hai but aur better ho sakti thi.
Points: 6/10
Story : रजनी और तनु की गुडलक अकादमी
Written by: deeppreeti
Review:
Overview- kahani shuru hoti hai ek ladki shina se jo ki haal hi me 18 saal ki huyi hai aur is waqt apne exams dekar chhutiya bitana chahti hai lekin uski maa chahti hai ke shina apni chhutiya goodluck academy me bitaye jo ki garmiyo ki chhutiyo me ladkiyo ko groom karne ke liye famous hai, jabki shina waha jane ke bilkul virodh me hai fir bhi use apni maa ki baat manni hi padti hai jiske baad shina ka goodluck me jana aur fir ek sex scene and the end.
Pros- the narration.. kahani ki narration bilkul sahi hai khas kar sex scene kafi detail me likha gaya jisase pata chalta hai ke writer ki kalam par achi pakad hai sath hi unka hindi bhasha ka knowledge bhi kamal ka hai.
Cons- poor title selection, title ke anusar ye kahani gooduck academy k bare me honi chahiye thi par ultimately it ends with tanu and deepak’s sex scene, goodluck ke bare me jyada baat na karke tanu aur shina ke bare me jyada baat ki gayi hai, kahani shina ke goodluck me jane ke sath shuru hoti hai aur deepak aur tanu ke sex par khatam jisse shina ke character ka importance khatam ho jata hai.
overall kahani achi hai umeed hai aap aage bhi aise hi kahaniyo se hamara manoranjan karte rahenge
Points: 6.5/10
Story : finally
Written by: Osiris
Review:
Overview- There is nothing much to talk about the story, sexy story between a boyfriend and a grilfirend rather I would love to say between a sub female and a dominant male..kahani megha ke point of view se likhi gayi hai jo ki kahani ko padhne me aur bhi badhiya banata hai, writer ne megha ke feelings ko aur uski icchao ko kahani ke jariye bahut ache se bataya hai aur ant me megha ko jo chahiye tha wo akhir mil hi gaya.
Pros- writing and dialogues, writer did a superb job in writing this one, sex kahani ke bare me bolne ko kuch jyaada hota nahi hai, unhe bas unko likhne ka tarika khas banata hai.. this story is a sheer treat for BDSM lovers
Cons- though the story was good but kahani me kuch kuch jagah thodi kami si mehsus huyi, you can say lack of emotions.. mujhe aisa lagta hai kahani ko aur bhi detail me likha ja sakta tha jo is kahani ko aur bhi behtar bana deta.
Points: 7/10
Story : Bhoot-e-Jasoosi
Written by: Mr. Magnificent
Review:
Overview - very nice story
Aksar aisa hota hai ki ham Bachpan me superhero ya kuch khas banna chahte hai lekin wo bate Bachpan me hi reh jati hai aur ham aage jindagi me kuch aur mukam hasil karte hai lekin kuch aise bhi log hote hai ki wo apne kuch banne ki khwaish puri karna chate hai jiska ek udhaharn hai
Jaydev urf jD jisko Bachpan se hi jasoosi kahani padhne ka shauk tha wo bada hokar ek jasoos banna chahta hai lekin uski kismat uska sath nahi deti aur har baar sab ulta hi natija nikalta hai fir uske chalte use kya kya jhelna padta hai ye aap ne kafi badhiya tarike se kahani me dikhaya hai.
Pros - kahani ka flow kafi badhiya tha
Start se End tak kahani me itna kho jate hai ki wo khatam kab ho gayi ye pata hi nahi chala. Unique concept tha aap ka aur kafi sahi tarike se likha hai jiske plus point jarur milte hai.
Cons - kahani me loose part tha woh kam funny hona agar aisi kahani ko aur funny banaya jaye to aur maza aata hai aap chahe to logo ke jD ko diye tane galiya dikha kar kisso ko aur funny bana sakte they jisase story mein ek comic element aata or story or interesting banti.
Overall a good read.
Points: 7/10
Story : jennifer
Written by: Moody_jatt
Review:
Overview- A teenage romance erotica, this is a story of dan and Jennifer, dan a 18 year old highschool student who like his batchmate Jennifer and didn't know that Jennifer was also seeing him, well we can't say that they love each other but they surely like each other and then the story moves towards their first official date..
Pros- writing style and theme selection, writer has done a splendid job writing this story, the emotions and feeling of an eighteen year old for someone they like was prortrayed beautifully in the story, the scenes at drive in where dan and Jennifer gets a bit physical with each other stands out, dialogues were written well which makes you feel invested into the story, dan and Jennifer's chemistry was amazing.
Writer has shown some great skills in writing this one.
Cons- the title and the premise, well for me the title didn't go that well, this story is about dan and Jennifer not only Jennifer the title could have been better and the premise of the story is a bit western which most of the people on XForum didn't connect with,
Overall the story was awesome and people who likes to read teegane romance should read this one
Points: 6.5/10
Story : najayaz rishtay
Written by: hira
Review:
Overview- story based on theme of extra marital affair, ye kahani huma ki hai jo ki apne apti amir aur saas ke sath rehti hai aur uski saas baar baar use baanjh hone ke taane deti rehti hai jiski shikayat wo apne pati se karti hai, huma ek behad hi reserved family me pali badhi ladki hai jiski duniya pehle uska mayka hua karti thi aur baad me sasural aur uski duniya tab badli jab uski jindagi me hira aur kamal ki entry hoti hai, aur ek bacche ki chah me huma hira se ek deal karti hai jiske chalte uske aur hira ke pati ke beech physical relations banne lagte hai.
Pros- narration, sexstory ke bare me bolne ko jyada kuch nahi hota hai except its narration jiske chalte padhne wala us kahani me kho jaye and this one provides you that.. the story line was superbly written aur writer ne kahani ka flow bhi ache se maintain kiya hai
Cons- lack of seduction, aisa laga hira ne huma ki majburi ka fayda utha kar apna kaam usse nikalwaya hai, halanki is sab me huma ki bhi rajamandi thi par aisa laga jaise huma ko as a whore portray kiya gaya hai jabki uska starting me character ekdum different bataya gaya tha, sath bhi jab huma apne pati se doctor ko dikhane kehti hai to wo baat taal jata hai jisse pata chalta hai ke amir ko bhi kahi na kahi apni kamjori ka pata tha to fir huma ke achanak pregnent hone par use hairani kyu nahi huyi sath hi wo easily apna baccha dene kaise maan gaya is baat ko detail me bataya jata to kahani me aur tadka aata
overall it was a good and hot story....
Points: 6/10
Story : पेटीकोट की जीत। -
Written by: deeppreeti
Review:Overview- ye is contest me writer ki dusri peshkash hai jo ki unki pehli kahani se bilkul alag hai, ye kahani kahani kam aur kisi artical ke jaise jyada lagti hai jisne uddant ladko ko kaise sabak sikha kar sidha karna hai iska kissa bataya gaya hai.. kahani ladko aur ladkiyo ki mansikta aur unke behaviour ko sudharne ke experiment ke bare me hai
Pros- the concept, kahani ka concept bahut hi alag aur badhiya choose kiya hai, humari male dominant society me agar kisi ladke ko ladkiyo ke samne saja di jaye to iska uspar gehra fark padta hai aur wo apne aap ko un ladkiyo ke samne behtar banane ki koshish karta hai ye is kahani dwara bataya gaya hai.
Cons- though concept kafi sahi tha but ise kahani kehne se better ek kissa kehna jyada sahi hoga jisme do log ek school ke baccho ki uddandta ko sudharne ke liye kiye gaye experience ke bare me baat kar rahe hai, kahani ka pace bahut jyada tha sath ki character introduction me writer ne jyada mehnat nahi ki hai, pehle experiment me us ladke ke sath us mahila teacher ne jo prayog kiya use sudharne ke liye unhe aur detail me likha ja sakta tha ya khud us ladke ke perspective se likhna kahani aur aur bhi behtar bana sakta tha.
Koshish kafi achi thi, a good read
Points: 8.0/10.
Story : Wishmaster
Written by: Adirshi
Review: Overview - An emotional story that touched readers heart with its simplicity. Atti uttam :claps:. Nilesh ek apangh tha or start mein jiss hissab se aapne usko show kiya football k match k dauraan usase readers ki sympathy or jyaada hogayi Nilesh k sath. Story was full of emotions from the beginning to the end. Narration was on point.
Pros - Story kaa plot main kahunga iss story kaa sabse strong part tha. Although plot kaafi common tha but disabled angle daalke aapne isko unique bana liya :claps:. Then second point tha story mein bharrpur emotions jo iss tarah ki stories mein chaar chand laga detey hain or waisa he hua story mein 4 chand laga diye aapne :bow:.
Cons:- Well sabse pehle toh main aapko ek daant lagaana caahunga aapki jaldbaaji k liye i know you are a busy person but itani awesome story ko aapko thoda or time dena cahiye tha kyunki kaafi spelling and grammatical mistakes thi story mein jiss wajah se story k andar ghussne mein mujhe thodi takleef hui. Then secondly start bahot he badhiya thi story ki flow ekdum on point tha woh football kaa match woh Nilesh kaa introduction uski job ki details then uss Shanaya ki entry lekin middle mein jaake aapne flow todd diya i think maybe sci fi angle dene k liye yaa jo bhi ho but Aisa laga bichmein aap distracted they obviously end mein aapne flow firse catch karliya jiss wajah se story ne firse apni or khincha readers ko. Overall ye mistakes nahi hoti and participating story hoti toh ye story winner thi mere liye..
Points: 6/10
Story : behan ko bhai se chudwaya behan ki saheli ne
Written by: Rajizexy
Review: Overview- An incest theme story, jisme ek ladki ko uski saheli usi ke bhai se sex karne ke liye raji karti hai, it was a normal story with a little bit of twist jisme ek teesra character hai jo ki main characters ke beech huye sex ki main sutradhar hai, shalu jo ki ek gaon ki ladki hai aur 12th ka exam pass kar ke apne bhai vikas se sath rehne shahar me aayi hai waha uski dosti pihu se hoti hai jo use sex ke bare ne batati hai aur dheere dheere pihu ki bato se shalu vikas ki or akarshit hone lagti hai aur ultimately vikas aur shalu ek dusre ke sath sex relations bana lete hai jisme pihu ka bahut bada yogdan hai
Pros- the narration, kahani ko kafi ache se narrate kiya hai aapne sath hi sare characters apna role bakhubi nibhate hai
Cons- story’s pace and less seduction, aisa laga story bahut fast chal rahi hai aur kahani me slow seduction ki kami lagi, usually incest stories me sex se jyada uske pehle ka seduction logo ko jyada appeal karta hai jo ki yaha thoda missing laga sath hi pihu aur vikas ke beech ka relation theek se describe nahi kiya gaya hai, bagair kisi strong dosti ke koi bhi ladki kisi ladke ko uski behan ke sath sex karne ke liye nahi mana pati, use aur ache se describe kiya ja sakta tha jisse kahani aur bhi jyada badhiya ho jati.
Writer has done a good job writing this one, umeed hai aapse aage bhi aisi hi behtarin kahaniya dekhne milengi
Points: 6.5/10
Story : मामी की ट्रेनिंग
Written by: prkin
Review:
Overview- An incest themed story which shows open sex in family, deep jise uski maa ne uske mama ke ghar chhutiya bitane bheja tha wo thoda upset tha aur jab use uske waha bhejne ka reason pata chala tab uske hosh ud gaye, deep ki maa ne uski mami ko chuna tha use sex ki training dene ke liye ya yu kahe ki ye ek tarah se unki family ka ritual tha ki jab ladka ya ladki ek typical age Cross kar le to unhe family me se hi koi sex ki traning deta tha aur yaha deep ko uski mami ne ye training di
Pros- characters and plot selection, though plot unique nahi tha but uska execution bahut ache dhang se kiya gaya hai, sath hi kahani ka har kirdar apna role bakhubi nibhata hai,
Cons- story ka pace, story ending tak pahuchte huye bahut hi fast chalne lagti hai, sath hi yaha sab deep ko pehle hi pata chal jata hai ki use waha kyu bheja gaya hai isse kahani ka excitement kam ho jata hai, open sex in family ek raaz ki tarah hota hai jise yaha dheere deere deep ke saamne laya jata to kahani aur bhi achi ho jati, sath hi jab deep ko pata chal hi chuka tha ke use uski mami ke sath sex karna hai isse seduction wala part hi khatam ho gaya.
Overall a good try mate, keep writing
Points: 7/10
Story : Lost soul
Written by:sweet but psycho
Review:
Overview- Yeh meri is contest me padhi ki sabse umda kahaniyo me se ek hai, esha jo ki kahani ki main lead hai aur wohi hame uski kahani sunati hai, about her lost soul, the girl dealing with some mental trauma and living into her own world creating world of her own imagination creating her own stories, this one amazed me while I was reading it
Pros- the concept and its execution, is tarah ke kirdaro ko likhna bahut mushkil kaam hota hai wo bhi first person perspective se and the writer has done it with an ease, esha's story, her struggle to find her lost soul was shown very beautifully and the character of her brother prateek who is the only member in her family who is trying to understand the state of esha really stands out
Cons- I felt a lack of emotions at some points in the story, esha ki family uski condition ke bare me jaante the still kisi ne usse samajhne ki koshish nahi ki, yaha esha ki family ka pov dikhana kahani ko aur jyada interesting bana sakta tha.
Overall the story was brilliantly written and writer deserves a applause for writing such a story with an ease
Points: 6.5/10
Story : BTB- burn the bitch
Written by: aksh_blood
Review:
Overview- A story of an extra marital affair, kahani vikram jo ki ek airforce officer hai, uski patni sharmila aur vikram ke dost kabir ke ird gird ghumti hai jaha sharmila ne apne hi pati ke best friend ke sath sharirik sambandh banaye jiska pata vikram ko chal gaya jab woh sharmila ko surprise dene ke hetu se ek hafte pehle hi chhuti lekar ghar aa gaya aur usne kabir aur sharmila ko apne hi ghar me sex karte huye dekh liya aur wahi usi moment par usne sharmila ke sath apne sabhi rishte khatam karne ka man bana liya, well pati patni ka ristlhta bahut najuk hota hai aur uske tikane ke liye vishwas ki jarurat hoti hai, kayi baar kuch halat aise ban jate hai ke insan aisi galtiya kar baithta hai jiske liye use jindagi bhar pachtana padta hai jo ki yaha sharmila ke sath hua.
Pros- the narration, story ka narration bahut ache tarike se kiya gaya hai har ek character apna role bakhubi nibhata hai vikram ka gussa, sharmila ka darr jab use lagta hai ke vikram ko sab pata chal gaya hai was portrayed very well.
Cons- the pace, kahani bahut jyada fast gati se daud rahi thi aur hame bas yaha vikram ka perspective dekhne mila, yaha agar vikram aur sharmila ka koi interaction hota to kahani aur bhi jyada interesting ho jati hame sharmila ka point of view bhi dekhne milta ke aisi kya situation thi ke use kabir ke sath sambandh bane.. vikram aur sharmila ke beech lack of communicaton se kahani thodi adhuri lagti hai.. yaha sharmila ka point of view ek badhiya kaam nibhata.
Overall the story was a good read
Points: 7/10
Story : Luck favours the brave
Written by: Rusty blade
Review:
Overview- A futuristic story based on an alien attack on earth, ye ek thoda unique concept hai aur future me ho sakne wali ghatnao ke bare me sochna aur use ek behtarin kahani ka roop dena writer ke skills ko darshata hai, kahani me san 2060 me prithvi par huye alien attack ko bataya gaya hai jisse saari duniya me tabahi ka manjar faila hua hai aur aise me do jabaz, aryan aur leera jimma uthate hai prithvi ko bachane ka, aryan jo ki ek mma fighter hai aur leera jo ki ek police officer hai dono ne aliens ka bakhubi mukabla kiya aur ant me unhe pata chala ke ye attack ek galat information ke chalte hua tha jo ki unhi ke logo ki failayi thi
Pros- plot selection and execution, futuristic theme ki story select karna aur likhna bahut mushkil kaam hai jo chize abhi huyi hi nahi hai hum unki kewal kalpana kar sakte hai aur aapne unhe shabdo me lakar apni kalpana ko sajeev kar diya hai, kahani ke actin scene kafi badhiya tarike se likhe gaye hai jo ki kahani ko aur bhi rochak banata hai
Cons- the love angle and lack of clarity, mere hisab se kahani me aryan aur leera ka love angle unnecessary tha wo agar kahani me na bhi hota tab bhi kahani par kuch fark nahi padta sath hi earth par itna bada alien attack ho gaya lekin uski back story kisi ko pata nahi chali, end me aisa laga mano writer ne man rakhne ke liye wo galat information wali baat likh di, ye aur bhi ache se likha ja sakta tha jisse kahani ka leval aur bhi badhiya hota, story ka premise amsterdam me bataya gaya hai wo bhi agar india ke location pe hota to baki characters se connection jud pata foreign character ka hindi me baat karna ajeeb lagta hai.
Baharhaal kahani kafi badhiya hai aur hum umeed karte hai aage bhi aap apni umda kahaniyo se hamara manoranjan karte rahenge
Points: 7.5/10
Story : Pencil
Written by: Mugen
Review:
Overview- Ye is contest ki un chuninda kahaniyo me se ek hai jo aapke dimag ko hila ke rakh degi, past aur present me chalti ye kahani yug naam ke ek bande ke ird grid ghumti hai jo dissociative identity disorder se peedit hai aur apne ander 3 shaksiyat paal raha hai yug sehyug aur yash
Ye ek behad hi pechida topic hai jispar kahani likhna apne aap me ek tarif ki baat hai aur writer ne ise bahut ache tarike se nibhaya hai
Yug jo ki DID se peedit hai wo apni dusri identity se wakif hai jo ki sehyug hai lekin yash ki use koi khabar nahi hai aur yash ke bare me kewal uski behan naina ko pata hota hai aur uska pencil ka fobia bhi kuch had tak yash ki hi den hai
Yaha yug ek padhne me kamjor aur darpok baccha hai wahi sehyug ek hoshiyar aur yash ke nidar aur gussail personality hai aur ek hi insan ke in teeno kirdaro ko kahani me bakhubi bataya gaya hai
Pros- the theme of story, is kahani ka concept hi ise unique banata hai DID ke marij ko center me rakh kar uske ird grid kahani likhna ek mushkil kaam hai lekin writer ne use bahut ache tarike se kiya hai, kahani ka har kirdar apne role bakhubi nibhata hai, dr. Anand se leke ayan tak sab apne role me umda najar aate hai
Cons- timeline of the story, kahani har scene me past aur present me switch hoti hai jisse padhne walo ke dimag me confusion badhne lagta hai aur wo yug ke character se sahi se connect nahi ho pata wahi priyanshi ka character par writer ne thoda dhyan kam diya hai isiliye jaha priyanshi jo bas apne aap se pyar karti thi wo yug/sehyug ki success dekh ke usse saccha pyar karne lagi ye thoda atpata laga wahi naina aur yash ka sex karna bhi khatakta hai kyuki DID yug ko tha naina ko nahi us ek scene se story ka genre thriller ke sath sath incest thriller ho gaya.
Baharhaal kahani ko bahut hi ache dhang se pesh kiya gaya hai superbly written
Points: 6.5/10
Story : घोड़ों को नहीं मिल रही घांस और गधे खा रहे च्यवनप्राश!’
Written by: Sangeeta Maurya
Review:
Overview : very nice.. Story ka plot reality based tha jisko aap ne ek natkiya dhang se aur vyang ka rup de ke prastut kiya hai
Wo bhi is baat ka khayal rakhte huwe ki story padhne pe kisi ko maza aaye na ki gussa aur sath me hi aap ne chunav me hone wale sare kaale kand ko apni taraf se ujagar kiya hai.
Pros: aap ki story telling adbhut thi koi bhi is tarha ki reality based story ko sahi tarike se nahi likh sakta lekin ise aapne kafi sahi dhang se likha hai, comic timing bhi aapki bahot sahi thi. Good job on that.
Cons : jaisa ki maine pehle hi kaha tha reality based story likhna mushkil hota hai wahi aap ke sath bhi huwa hai story ko jyada bhagaya gaya hai jabki aap ke pass aur words baki they likhne ke liye Plus aapne story ko funny rakhne ke liye funny naam use kiye hai lekin agar dialouges wagairaah bhi us tarha hote to ye ek behtar story hoti.
Overall a good try.
Points: 7/10
Story : Breaker of chains : Rise of New EraWriter
Written by: Dungeon Master
Review:
Overview - nice story..Dungeon Master jo ki apne duniya ko bachane ke liye sabke khilaf jata hai uski ek galti se dusre universe se uska alag variant jo ki dark mage tha wo aake uske pita aur use harakar Dungeon Master ki jagah pure 2saal tak rehta hai lekin uska ant kabhi to hona hi tha aur story me wahi huwa akhir me Dungeon Master ne ya yu kahe uske pita ke sacrifice se use jo shakti mili usse dark mage ko Dungeon ne hara diya aur baad me apni duniya bhi bachai
Pros- fantasy ke hisab se dekhe to story ek alag lavel pe thiJo sab ko sochne pe majbur karti hai ki kya ho agar multiverse exist karta ho aur hamara hi dusra koi variant ho tab kya ho agar wo hamse alag ho? Aap ne bhi isi baat ko bakhubi dikhaya hai aur last me jo multiverse ke khulne ke baad ke khatre ko dikhate huwe twist dala hai wo story ko kafi damdar banata hai.
Cons- story kafi unique idea se likhi thi lekin kuch kami he jo mujhe lagi jaise drogon ka intro jo kafi lamba khicha tha jabki uska jyada role hi nahi thaAur dusri baat ye ki hero ko flashback khatam hote hi azad karwa diya jabki story ka naam Breaker of chains hai kuch aur twist rakhte to story ka lavel hi alag hota. Story kaa narration fantasy k hissab se upto standards nahi tha so you really need to work on that overall a good read..
Points: 9.0/10
Story : This shall too paas
Written by: Surreal
Review:Overview - A mystery thriller story, kahani shuru hoti hai hamari heroine se jo koi therapy ka session le rahi hai jaha ko apni life ki story batati hai ke jaise usne apni maa ko use uske boyfriend ke sath live in me rehne ke liye manaya, jiske baad apne partner se dhokha milna, that rough sex, betrayel from a friend, baad me use apni pregenency ka pata chalna aur sath hi aman ki asliyat ka bhi jo bas uske sath uske bacche ke liye tha, and at last a pre planned murder of her childs father..
Pros- Presenting such a huge plot in a short story is amazing, is kahani me wo sabkuch hai jo ki ek reader thriller stories me padhna chahta hai, it has love, sex, drama, betrayel, murder, everything and the way writer as presented it is amazing, the dialogues and language stands out, also the narration was good which makes you feel invested into the story, writer kahani ka flow barkarar rakhne me kamiyab huyi hai aapko aisa nahi lagega ke kahani kahi chhut rahi hai na hi kahani me boriyat feel hoti hai jo writer ki skills show karta hai, dialoues kafi depth ke sath likhe gaye hai jiise us scene ke emotions readers tak ache se pahuchte hai, and at the end the character developement, har character apne apne role me bakhibi fit baitha hai, ek short story me padhne wale ko characters se connect karne ka kaam writer ne bahut ache se kiya hai..
Cons- jab ek short story me itne sare scene characters aa jate hai to unko manage karna bahut hi mushkil kaam ho jata hai jiske chalte kahi kahi kuch scene bahut jaldi khatam kar diye gaye aisa lagta hai, padma ka character jaha starting me ek main role nibhata najar aata hai wahi kahani ke later half me puri tarah gayab ho jata hai, and same with neeraj, over all it is a brilliant story
Points: 7.0/10
Story : Transit
Written by: Rawat@7
Review: Overview - A close to reality story which showed us a whole lot of things from comedy by describing the exmas as t20 format then knowledge by your quotes and to seriousness.. Story was kind of a satire to modern college life. Overall very well written.. :claps:
Pros:- Story was real life based and these type of stories are very hard to write but you did a fantastic job writing this. The narration was also on point and there wasn't many grammatical mistakes that made this story easier to read. Scenes were described in depth that also made this a must read story..
Cons - My issue with this story was that it was too pacy it was like you were skipping through time zones like i was reading this story in a flow and suddenly out of nowhere and with no particular reason came "3 days later, 3 year earlier, after the exams" it was like i was missing a lot of this story.A tip i want to give you if you are describing past or skipping some days then describe why you went there in the first place do not suddenly just start "3 years earlier". That ruins the flow of the story. Otherwise a worth read.*
Points: 7.5/10.
Story : The Undying Love
Written by: Rawat@7
Review:
Overview - Back to back stories by you with the kind of same motive. But this one was a lot improved then previous one the reason was it was more focused on the plot rather than anything else. It was another emotional love story that i Loved reading. All the characters were perfectly added to the story. Be it Ashwin His Dad, Madhu, Adithya or Yazhini..
Pros:-As i said the story was perfectly on plot and the plot you selected was wonderful. Indian Army and a love story that's a typical Bollywood movie plot but you made it interesting with your writing. The flow of this story was a lot better then your previous story.
Cons - You messed this story with the point of views story had so many pov's due to the changing timezones that it got confusing for you and you made many mistakes using him instead of me and the other way around. Second issue was ending was boring because it was kind of expected and was copied from Bollywood movies Which isn't necessarily a bad thing but it had nothing new to offer to the readers and because of a brilliant start to this story we needed a lot better ending..
Points: 7/10
Story : नए रिश्ते
Written by: randeep
Review:
Review - dekha jaye to ye story incest thi lekin jis tarha se aapne ise dikhaya hai tarif ke kabil he past aur present ka jod hamesha sahi rehta hai aur aapne ise achhe se dikhaya hai. Ye ek bhai behan ki story he jisme kuch saal pehle dono me kuch huwa tha jisse unke bich duriya aagai thi. Lekin abhi ke samay me jab raaj ko rucha ke ghar jana padta hai to wahi baate fir se dohrai jati hai lekin is baar pehle jaha rucha ki sehmati nahi thi is baar uski bhi rajamandi rehti he aur isi se unke naye rishte ki shuruwat hoti haiPros - incest ke hisab se aap ne sahi dhang se ise dikhaya hai Jaise raaj ka rucha ke taraf akarshit hona fir uske hawas me andha hoke apni behan ke sath wo ganda kaam uski sehmati Jane bina hi karne ki koshish karna Lekin uske baad raaj ko apni galti ka pachtawa hota hai tab ki uska guilt jo tha ya hona chahiye wo aapne sahi dhang se dikhaya haiCons - dekha jaye to kafi chije thi jo dhang se likhi nahi gayi ya dikhai nahi gayi, jaise raaj ka rucha ke taraf akarshit hona aur uske sath wo sab karna bas wo ek din ka incident tha jo thoda atpata laga ki akhir kyu ek bhai bas ek din me itna badal jata hai. Aur raaj ne jo pyar ka naam Ise diya tha wo bhi sahi nahi he kyu ki wo pyar nahi ho sakta jo bathroom me bra aur panty dekh ke jage.ise aap kuch kuch dino ke incident me likhte to raaj kyu itna badla wo sahi dikha sakte they
Ab aate hai story ke main part pe jo mujhe sahi nahi laga aur wo tha rucha ka itne salo baad achanak se Maan jana lekin kyu ye nahi pata, shayad apne pati ke wajah se jise aapne dikhane ki koshish ki lekin wo itni sahi nahi thi.
Points: 6/10
Story : Best Buddy
Written by: the kingpin
Review:
Overview :- Very well tried.
Ye story ek one sided love story hai
Jisme jass aur Poonam main character's he jinki dosti itni achhi hoti hai ki usme koi darar nahi la sakta fir chahe wo Poonam ka bf ravi hi kyu na ho.
Pros - story ka Strong point tha jass ka uske sath itna hone ke baad bhi apni story pe tike rehna Fir chahe Poonam ka apne kiye wade ko bhul jana ho ya ravi ke uske sath kiye jhagde ke baad bhi apni dosti pe tike rehna wo kabhi badla nahi yahi story ko strong banata hai.
Cons - story ka end thik nahi tha ya kahe wo end nahi laga , aap chahte to story aur behtar bana sakte they jaise last me jass aur Poonam ka KYa huwa Ravi kyu gaya wagera jisse story kafi hadtak sahi rehti
Points: 7.5/10
Story : साजिश
Written by: mahi Maurya
Review:
Overview :- very nice story suspense thril se bharpur apne title ko justify karti hui Kahani shuru hoti he ek murder se jisko suljhate huwe crime branch ke 2 officers aur police commissioner tak involve hote hai fir aage jake suspence ka tadka lagta hai wo story ko aur char chand lagata hai
Aur jab last me khooni ka pata lagata hai to uske kehane hi kya :bow:
Pros - story me Dale gaye hint is story ko behatar banate hai, Jaise lash ko dekhte waqt commissioner ka chaukna fir chor ke kagaj chin ke bhagne ke baad uska waha aana ho ya fir aditya ke sath jhadap ke baad use arrest karne aane pe uske gale pe patti hona ye saf jahir karta hai ki commissioner isme involve hai lekin jab aditya hi khuni sabit hota hai wo twist jabardast tha.
Cons - kaha jaye to story ki speed jyada thi lekin wold limited story ke wajah se use ignore kar sakte hai lekin aur bhi bate thi jaise Aaditya ka hi suyash hona ye khatakta hai kyu ki usne apni pehchan kyu na chupai ho last me usne bola tha ki meri help us shahar se nikalne me chaitanya ne ki thi to fir use to pata hoga na aditya ya suyash ka?? Ye baat koi nahi socha
Aur sabse badi baat ye ki writing expert ke janch se hi kaise aditya khuni sabit huwa? Aap ko ye baat detail me dikhani chahiye thi aur last me judge ka aditya ko bolna ki tum hi batao ki khun kyu kiya? Matlb aap use khuni ghoshit kar rahe ho aur puch usse hi rahe ho ye kya baat hui :D
Points: 7.0/10
Story :Woh bhi kya din thee**
Written by: agasthya
Review:
Overview :- pehle to :bow: itni badhiya kavita likhne ke liye
Story ke half tak to yahi laga tha ki writer nahi koi kavi hi he jo apni kavita writing competition me post kiya hai :D
Lekin baad me jab story start hui wo bhi kamal ki thi :superb:
Hamare bachpan ke kisse bhi kisi kahani se kam nahi hai aur aap ne bhi usi ko yaha sabit kiya hai :claps:
Story me jis tarha bhaiyyo ko dikhaya hai usse koi bhi reader chote bhai ke jagah apne aap ko hi dekhega agar usse bada koi bhai ho to :D
Kahani ke kuch part mazedar they jaise bhaiyyo ka ek dusre ki gf ke taraf ungli uthana is tarha ke funny aur awkward scene ko padhte time maza bahut aaya
Pros - story ka sabse strong part tha uska end jo end tha hi nahi aap ne wo sab padhne walo pe choda hai ki aap jaisa chaho apni imagination se use pura kardo fir chahe chakka laga ke jitwao ya bold hoke harao ya chauka laga ke tie hi kyu na Karde :D
Sare readers relate karenge agar unhone bhi aisa Bachchan jiya ho to aur is baat ka aap ne bhi bakhubi fayda uthaya hai is baat ka + point to aap ko jarur milega :thumbup:
Cons - story ka half part bas kavita me kon nikalta hai :doh:
Iske baad story me kuch dailoge ki kami lagi jiss wajah se narration theek se nahi hua story kaa you need to work on that..
Points: 9.5/10*
Story : कर्मों का फल
Written by: Mahi Maurya
Review:
Overview - kahani shuru hoti hai jagdish naam ke insan se jo apne bete ko apni bahu ke sath maar peet karte dekh dukhi ho raha hai aur apne bete ko rokne ki koshish karta hai lekin uska beta uski baat nahi sunta, jisse wo aur dukhi ho jata hai, jiske baad kahani chalti hai flash back me jaha jagdish apni hi kahani batata hai ki kaise wo apni jawani ke dino me kuch bure dosto ki sangat ki wajah se ek aiyaash aadmi bana, apni ki patni par julm kiya, use dhoka diya jiske chalte uski patni ne atmahatya kar li, par wo yaha bhi nahi ruka, usne dusri shadi ki jiske baad se uske jivan me badlav hone shuru huye aur aaj jo kuch bhi usne apni pehli patni ke sath kiya ha wohi uska beta uski bahu ke sath kar raha hai, aise me jagdish ko apni mrit patni ki chitthi milti hai jisme wo use apne bete ko acha insan banane kehti hai jise padh ke jagdish atmaglani se bhar jata hai aur ant me apni bahu ke sath mil kar apne bete ko sahi raah par le aata hai.
Pros- The story line, narration, and dialogues, writer ne kahani ka plot bahut hi acha choose kiya hai aur use execute bhi ache tarike se kiya hai, ye ek emotinal kahani hai jo ek insan ke puri life ko batati hai sath hi hame ye bhi batati hai ke hum jaise karma karenge unka fal hame kisi na kisi rup me isi janm me bhugatna padega, kahani ka title use ache se justify karta hai, writer ne emotional dialogues bahut ache tarike se likhe hai jinse characters ki feeling ka aapko ache se andaj aata hai. sath hi jagdish ke character ko bhi bahut achi tarah se likha gaya hai uska character developement hame puri kahani me dekhne milta hai. Aap kahin bhi plot se nahi hatti jo ek or plus point hai aapne humessa plot ko pehle rakha jiss wajah se kahaani wahaan takk pohanchi jahaan aap pohanchaana caahti thi.
*Cons- Kahani thodi slow speed se aage badhti hai, kayi scene aise lagte hai mano unhe bahut jyada khicha gaya ho jisse kahani ke flow par asar padta hai aur waha kahani padhte huye thodi boriyat si hone lagti hai, jise aur better kiya ja sakta tha overall it is a brilliant story.
Points: 6.5/10.
Story : .Accidentally Accident
Written by: blue bull
Review:
Overview :- An extremely weird story with Adultery and cheating wife theme. Siraj or Naina dono kaa he character thoda weak laga mujhe. Naina ka husband hospitalised tha and woh uske sath thi wahin Siraj unexpectedly wahaan hota hai and woh Naina ko stalk karne lagta hai and then suddenly wohlog sathmein raat gujaartey hain and next thing you know they had sex..
Pros :-Story kaa plot kaafi interesting select kiya tha aapne, second part story kaa narration bahot he badhiya tha itana pace par chalne k baad bhi narration bahot he acha maintain kiya aapne so props on that.
Cons - Jaisa maine pehle kaha story bahot jyaada jaldbaaji mein likhi aapne jiss wajah se bahot kuch miss kiya aapne. Adultery stories ko itminaan se seduction way mein likha jaata hai jisase story mein interest banta hai jabki aapne sabkuch jaldbaaji mein dikhaaya jo realistic nahi laga mujhe so you need to work on that..
Points: 7.5/10
Story : The Shadi Market
Written by: Adirshi
Review:
Overview :-- very nice story
Jis tarha se story ka naam he waise hi story bhi hai. Ye story he rohan ki jo shadi ke liye sale pe laga huwa hai lekin kismat ke chalte har baar deal cancel ho jati hai aur wo apna "for sell" ka bord gale me latkaye yaha se waha ghumta rehta hai jisme uske pariwaar aur rishtedar bhi uske piche lage rehte hai Yaha se waha dikhane ko. Aap ne story me aaj ke ladko ko shadi ke liye kya kya musibat jhelni padti he ye dikhaya hai chahe wo fir kam qualification ho ya kam Sallery isse to ladki aur ladki ke gharwalon ko nafrat rehti hai aur fir wo kis tarha se bina inkar kiye bhi inkar karte hai wo bhi sahi se dikhaya gaya hai
Pros - story ka comic way hi story ka strong part tha. Jis tarha se aap ne ise dikhaya hai uski tarif karni padegi. Dialouges aur situation ek dam relatable lagti hai aisa kahi bhi nahi lagta ki ye kuch atpata hai. All around ye ek behtarin story thi mere hisab se :bow:
Cons - story ki ending thodi fiki lagi warna iske alawa kuch kami nahi hai nikalne ko
Agar aap last scene ko aur jyada funny banate to aur behtar lagta lekin jo tha wo bhi sahi hi laga.
Ab bas itna hi mujhe bhi ladki dekhne jana hai :D
Points: 7/10
Story : दोस्त
Written by: rakeshbakshi
Review:
Review - very nice story
Kahani shuru hoti hai gopal ke apni ma chanda aur dost harish ke najayaj sambandho ko pakadne se jaha wo gusse me apne dost ki pitai karta hai to wahi chanda pe hath uthane ke chalte wo jakhmi ho jati hai aur use hospital me admit karna padta hai. Kuch din baad jab wo ghar laut raha tha to use ek apne hi maa ki ham umar aurat milti hai
Jiski madat wo karta hai aur apne ghar le jata hai fir halato ke chalte unme sharirik samband bante hai jisme wo aurat gopal ke maa ka role play karti hai
Aur jab gopal dusre din use chhodne jata hai to use pata chalta hai ki wo uske dost harish ki maa hai.Fir jo kuch bhi pehle huwa aur raat me jo huwa uske chalte gopal apne dost ko maaf karta hai
Lekin kahani ka twist yahi aata hai ki sudha jo ki harish ki maa thi wo uski maa na hoke bas ye mohra thi jo harish ke kehne pe gopal ko fasane gai thi aur usme kamiyab bhi hui thi.
Pros - Admi agar niche gire to wo kis kadar nicha gir sakta hai aur wahi admi apne aap ko sahi sabit karne ke liye samne wale ko apne se aur nicha gira bhi sakta hai ye bakhubi dikhaya hai
Harish ne bhi kahani me yahi kiya usne apne aap ko sahi batane ke liye gopal ko hi galat bana diya. Yahi story ka sabse strong part tha
Cons - kahani ke kuch part atpate lage jaise sudha ka bold tarike se baat karna jiske chalte aisa lagta hai ki ye ek bajaru aurat he aap agar sudha ke kirdar ko aur sahi se dikhate to kahani aur jabardast ban sakti thi.
Points: 6/10
Story :HAVELI
Written by: Legend
Review:
Review - nice story
Kahani nadipur gaav ke haveli ki hai jisko haunted mana gaya hai jiski sachhai janne kuch log waha jate hai aur puchtach karte hai lekin log batane ko tayyar nahi they lekin ek bujurg ne bataya uske mutabik waha rehne wale thakur ne apni beti ke pyar ko maar diya tha jiske chalte uski beti ne bhi apni Jaan di aur tabse wo waha atma ban ke ghum rahi hai. A unique story with an interesting concept.
Pros - nandini wali story, story ka strong part thi jo har horror stories Ke liye jaruri hota hai. Story kaa flow aapne throughout the story maintain rakha jo ek or plus point tha story kaa..
Cons - bahut kami thi story me aap ne horror story likhi lekin story me horror tha hi nahi use bas 1line me nipta diya agar kuch add karte jaise unke sath raat me kya kya huwa tha wagera to story me jaan aati. Story k andar suspense missing tha jo aap create nahi kar paaye unfortunately so you need to work on that.
Points: 6.5/10.
Story : Bawadi
Written by: Mr.Writer
Review:
Overview - A horror genre story, kahani shuru hoti hai aaju aur sanju se jo dono behad jigri dost hai aur apne gaon me hi masti karte hai, wahi unke gaon me ek aisi bawadi hai jisko leke kafi kahaniya wo apne gaon ke bade budho se sunte aaye hai, ki kaise waha ek aurat nr bawadi me kud ke jaan de di thi aur ab waha uski aatma ka vaas hai aur gaon ke log use shant rakhne ke liye waha us aatma ko kuch bhet vastu dete hai, jab ajju aur sanju ne ye sab baate suni too unke man me us bawadi ke paas jakar dekhne ki icha huyi, human psychology hai jis chiz ke liye aapko mana kiya jata hai insan wahi chize karne lagta hai aur yahi ajju aur sanju ke sath hua jiske baad dono ki jindagi badal gayi, waha unka samna us aatma se hua jiske chalte ajju ki maut ho gayi, sanju bhi jab dobara himmat juta kar aaju ko bawadi par dhundhne pahucha to use ajju ki aatma aur wo chudail dono wala dikhai diye aur darr ke mare wo bhi mar gaya.
Pros- Horror story ka ek main element hota hai uska fear factor jo ki yaha is kahani se apne ache se dekhne ko milta hai, gaon ka mahol, ek abandoned bawadi, do shaitan ladke jinke man me us bawadi ka raaz janne ki icha hoti hai ek perfect environment create karta hai horror kahani ke liye, kahani ka plot unique nahi tha, end twist me kya hona tha jo sab jaante the lekin fir bhi writer readers ko kahani ke ant tak khichne me kamiyab rahe hai, predictable end hone ke bawajud aage ka hoga iski utsukta bani rehti hai aur uske liye writer praise deserve karte hai.
Cons- lack of suspense and details, fear ke sath sath horror kahani ne suspense ka role bhi utna hi ahem hai taki padhne walo ke man ne jyada utsukta bani rahe, jo yaha is kahani me thoda missing lagta hai sath ki horror scene ko aur bhi detail me agar likha jata jaise ki us chudail ke apperence ko to kahani aur bhi behtar ho sakti thi.
Points: 6/10
Story : Saloni ka Pyar
Written by: Legend
Review:
Review - story ek restaurant ki he jisme saloni manager thi. Ek din use pata chalta hai ki uske staff ka ek waiter jiska naam ravi hai wo logo ka khana chura raha hai
Aur iski wajah janne ki saloni jab koshish karti hai to ye pata lagta hai ki ravi wo sara khana anath bachho ko de raha tha jisse un bachho ko madat ho rahi thi
Ye baat janne ke baad saloni bhi Ravi ki alag tarha se madat karne ko tayyar ho jati hai aur ravi ki achhai dekh ke use usse pyar hota hai..
Pros - story ke jariye jo message dene ki aapne koshish ki he wo kabile tarif he jaha bade log adhe se jyada khana fek dete hai to wahi dusri taraf kuch ko wo khana dekhne ko bhi nasib nahi hota iske liye hame kuch aisa jarur kanra chahiye ki koi bhi aadmi aaj ke jamane me bhuka na rahe.
Cons - bas anath bachho ko khana dene ki baat se kisi se pyar ho jaye ye atpata lagta hai yeah attraction jarur create hojaata hai but wahaan se writer ko apne skills se uss relationship ko showcase karna hota hai jisme aao thoda piche rahe. Aapka narration kaafi weak tha aapke plot k muqable jiss wajah se story thodi boring hogayi in the end.
Points: 7/10
Story : Pre-plann
Written by: Prem pyasa
Review:
Overview - An unique story jisme number 64 (last) ki jaldbaaji saaf najar aai. Story kaa plot unique tha but aapne usko waapis simple bana diya apni skills ki madad se.. Story mein limited characters they and sabka apna role perfectly distributed tha. Ending kaafi weak thi, overall a good read.
Pros-Story simple and clean thi jaisa maine kaha isme writer ki simplicity saaf najar aai. Malini kaa character mera favorite tha and uska introduction and uske emotions kaafi ache dhang se likha aapne.
Cons-Jaisa maine kaha number 64 ki jaldbaaji saaf dikhaai di aapki story mein yaani kaafi galatiyan thi iss kahani mein jo obviously time ki kami ki wajah se hua hoga. Spelling mistakes bhi kaafi thi jiss wajah se story kaa flow nahi bana readers k liye. Ye ek bahot achi story hoti agar aap time nikaal k isko likhtey..