Review :
Story Genre : Horror + Thriler
Story : kahani bahut hi unmda tarike se pesh kari gayi hai, kahani ek dusre mod se shuru hoti hai, reader ko apne me kheech leti hai aur sath me le chalti hai ek anokhi ghatana ki aur, halaki shuruwat me hi kahani ke mukhya ghatna ho jaata hai, ek horror kahani me aisa hona laajami bhi hai. par ant kya tha aur kaise hona tha wo maanya rakhta hai. kahani ka mukhya paatra ek civil engineer liya gya hai

jiska kahani me thededari ka kaam nahi...thukwaane ka kaam hai. kahani majedaar hai padhne me, kahani me gum ho jaane ke baad asal me horror aur thrill ki feel aati hai.
writing skills : Writing skills bahut shaandaar the, jagah jagah par majedaar kisse de kar kahani ko rochak banaya gaya hai, kahani me mukhya paatra ko hi jyatar discuss kiya gaya hai uske sath hui ghatnao ko bakhubi taur par acche dhang se likha gya hai kahani me kahi bhi gap ya bemuniyaad likhawat nahi hai, umda dhang se 7000 word limit ka prayog kiya hai. ek acche lekhak/writer hone ke naate ye kahani apne aap me is genre me perfect hai.
Reader's view: reader ke taur par jis reader ko thrill kahani pasand hai wo maje se isko padh sakta hai bahut hi accha romanchit anubhav hoga.