Story -
"पट"
Writer -
Raj_sharma
Rating - 8/10
kahani padhne ke baad na thodi mixed feelings hain, lekin overall ye apun ko acchi lagi. Shuru me toh bhai, writer ne jo scene set kiya hai na, woh raat ka andhera, ghane baadal, aur woh patjhad ke patton ki sarasarahat wali awaaz... bilkul 'bhutiya' type mahaul bana diya tha! Aur wo Amjhara ghati ka description, woh purane khandahar, ekdum intrigue पैदा karte hai. Rajat ka character, jo पुरातत्व विभाग se hai, aur wo uss sunsaan jagah pe akele rehne ka decision leta hai, wahi se suspense shuru ho jata hai.
Jo cheez mujhe sabse zyada pakad ke rakhi, woh thi mandir ke 'pat' (darwaze) ka raaz. Das saal se band hai, aur phir Rajat ko baar-baar wo khule dikhte hai, ye kaafi mysterious tha. Aur phir woh ladki, Roop Kunwar, ka baar-baar dikhna, wo bhi har baar bheegi hui, jaise abhi naha ke aayi ho, aur uske pairon ke nishaan jo baarish me bhi nahi mit-te... woh scenes kaafi chilling the. Genda Singh ka character bhi accha tha, wo local aadmi jo Rajat ko darrata bhi hai aur uski madad bhi karta hai.
Haan, kahani mein kuch jagah thoda laga ki shayad thodi slow ho rahi hai, especially jab Rajat roz wahi khandahar aur teele explore karta hai. Aur wo Roop Kunwar ki umar wali baat mujhe thodi si confuse kar gayi. Genda Singh kehta hai ki usne usse 10 saal pehle dekha tha, aur tab bhi woh 15-16 saal ki thi (underage

), aur Rajat ko bhi woh utni hi badi dikhti hai. Toh woh 10 saal mein badi kyun nahi hui, yeh thoda ajeeb laga. Shayad woh 'aatma' wala angle tha, but thoda aur clear ho sakta tha.
Lekin bhai, jo end mein twist aata hai na, jab Raja Jai Singh khud confess karta hai ki usne apni beti ko maara... woh toh bilkul hi unexpected tha! Main toh kisi aur hi disha mein soch raha tha. Wo poora scene, jab wo batata hai ki kyun usne aisa kiya, woh kaafi emotional tha. Usske baad kahani thodi jaldi-jaldi khatam ho gayi, aisa laga. Thoda aur uss reveal ke baad ka impact ya Rajat ka reaction dekhne ko milta toh aur maza aata. bahut bahut badhiya raj bhai

pichli wahi se better hai ye