Awesome update subham bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
Insaan jab kisi se door hota hai tabhi use uske kimat ka pata chalta hai aur yahi baat ritu ke sath bhi ho raha hai use ab viraj aur uske dwara diye jane wale ijjat ki kimat ka pata chal raha hai,
ritu ne ab faisla kar liya hai ki vidhi ke liye vo viraj ko jaroor dhundh kar layegi,
bhai aapne bhavnatmak drishyo ki rachana itne adbhut shabdo me ki hai ki mai bata nhi sakta,
ab dhire dhire ritu ko apne mummy papa ki burayiya dikhne lagi hai,
aur naina ko bhi pura vishwas hai ki gauri kabhi aisa kar hi nhi sakti hai, jo uspar iljaam laga hai,
vahi farm house par ritu ne unn charo ki maut ko aur adhik dard naak banane ka kaam kar diya hai,
ritu ne phone par aisa kya kaam diya hai jo subah tak ho jana chahiye,
bhai aapke iss update ki jitni bhi tarif karoo kam hi hai,
dekhte hai ab aage kya hota hai,
Waiting for next update