adhyay 8...
ab tak aapki kahani lekhan shaili se bahut prabhawit hua hoon... bina baato ko lamba kheenche hue aap samwaad aur kahani kee chalte drishye ka bakhubi bakhan karte hain...
aate hain iss adhyay pe... isme do baate khatki... jaise kee kahani abhi vartaman mein chali rahi hain,,, toh ek 5 saal ke bachhe(ronit) ka charachter kaisa hain yeh kaise bata diya,,, aur agar past se shuru hui hain toh,,, yeh batane kee jaroorat na thee,,, tabhi toh maza aata readers ko do muhe saanp ko pehchanne mein,,, aise mein toh uski harek gatibidhi readers sandeh kee drishti se dekhenge...
doosri baate... incestuous marriage... rajyavardhan kee shaadi uski hi mausheri behen se ho gayee,,, yeh hindu dharm mein ajeeb na hain,,, wo bhi pure pairwar kee sehmati se,,,, aur ab doosri kee charcha ho rahi hain,,, akhir bare bujurgo ne ispe aapattti kyun nahin jatayee... ya phir iss pariwar mein parde ke pichhe aise rishte pehle se aam the aur ab parde ke aage bhi hain... mana kee gajendara ke pariwar mein hoga yeh baate lekin kya malini devi aur unke pati ke khandaan waali ne aapatti nahin jatayee.... aur intro mein unke pati ka bhi jikra gayab hain na hi mrit bataya gaya hain na koi aur baate...
kya gajendra rathore bhi apni behno se aisi hi sambandh mein sanliptt hain,,, jaisa kee uska kirdaar hain...
****
teesri madhuri khanna..... jinhe sp jee ne god liya lekin apni behen kee tarah,,, ek anath ko god mata pita hi le shakte wo bhi beti kee tarah.... wo bhi umra mein 30 saal ka antar.... kaafi jyada hain...
waise iss kahani mein saari mahila kirdar jo bhi hain saari kee saari abhi hi pregnanat kyun hui hain,,,, ab inke ghar bhi bhagwan kee kripa barsi thee kya...
****
jahir hain wo do aadmi gajendra aur purohit jee hain,,,, ek aisa insan jiske liye dharm sarvoparri hain (purohit) jo dharm ke liye apni bewi bachhe aur khud ka balidan tak karne ko tayaar hain,,,, wo khud se ussi dharm ke liye apne paap karm ko kubool kyun nahin kar shakta jab itna hi dharmatma hain,,, ya toh wo dharmatam hi nahi hain,,, jo bhi bola usne wo dhong tha,, wo puri tarah se bhrast aur kapti insan hain,,, ya phir hamari samajh se pare hain yeh baat...
***